Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
UPDATE 17-12-11

AB AAGE


Ghar aake humlogo ne chai nashta kiya aur fir apne kamon busy ho gaye seema apne ghar chaligayi aur sham ko fir aa gayi

Raat ko seemastudy karti rahi aur fir so gayi shahnaz ka paper 31 ko tha lekin seema ka ekpaper 25 ko bhi tha is liye wo apni study kar rahi thi

main apne room me thi aur seema mere room mehi baithi hui parhayi kar rahi thi der raat tak parhayi karne ke bad wo apne room me chali gayi shahnaz pahle hi sochuki thi

25 march ko seema ka paper ho gaya aur wo raat ko fir mere ghar aagayi aur yunhi bat chit me hamara time beeta maine seema ko kaha ki ab tumharezyada paper hain nahi

aur beech me kayi din hain to tum kuch din rest kar loaur is tarah der raat tak jagna thikbhi nahi hai Meri baat man kar wo chaligayi .

Sunday 26 march2006

Principalmadam ne bulaya tha to Sunday hone kiwajah se main seema aur shanaz ke
sath unke ghar gayi hum logon ko dekh kar wobahut khush hui aur bahut der tak hum
logon ne baten kii madam se maine seemake liye bat ki to unhone kaha ki wo usko
computer ke liy kah dengi aur madam neus ko apni beti ki bike bhi de di bike zyada
purani nahi thi aur bahut achicondition me thi maine madam se kaha ye scooty to bahut achi hai jis pe madamkuch nahi boli
lekin unki maid ne kaha ki hank al hi service hoke aayi hai .

Kafi der tak humlog sath rahe madam ne shahnaz se bhi bahut bat ki unhone shahnaz se pucha toaap kya gul khilane ja rahi hain apne graduation me

Jee bahut achepapaer ho rahe hain aur umeed hai mera result bhi acha hhi hoga – wo boli

Wo jo kuch bhiho lekin ye mat bhulna kit um iski bahan ho – wo meri taraf ishara karti huiboli college ke sath sath gulnaaz ken am ka bhi khyal rakhna – madam ne kaha

Jee madam zarur –shahnaz boli

Fir madam seemase mukhatib hote hue boli – tum ko aur koi zarurat to nahi hai

Nah madam thankyou – seema boli

Thik hai mujhe bahutkhushi hai tumhare bare me bahut kuch gul ne bataya fir bhi agar kisi tarah kihelp chahiye to mujhe zarur batana – madam ne kha

Ok – seema sahmatime sir hilate he boli

Fir madam semeri baten hone lagi un ki beti ke bare me aur madam mujhe meri maa ke
bare mebatane lagi au raise hi baton baton memaine madam se us juloos ke bare me zikar kiya jo maine us shahar me dekha thajahan chuzi admit thi

Madam ne us serelated mujhe bahut si baten batayin aur mujhe ek book di parhne ke
liye aurkaha tum ye parh ke dekho is ko parhne ke baad tum ko bahut si jankari milegi

Maine us book koliye us pe ek khaki cover charha hua tha aur bina khole hi us ko apne bag me rakh liya aurkuch der baithne ke baad hum teeno wahan se nikal aaye

Wapsi par apnibike maine shahnaz ko de di aur madam ki di hui bike ko main chalati hui gharki taraf chal dii shahnaz aage chal rahi thi aur seema mere sath baithi hui thi


Kuch hi der kebaad hum log ba khairiyat apne ghar aa gaye maine seeama se kaha Mubarak ho aapko bike mil gayi

Thank you didiye sab aap logon ki wajah se hai sab wo bahut zyada jazbaat se bhari hui lagrahi thi maine kaha ab is ko le jao

Main kahan lejaun mujhe toabhi chalana bhi nahi aata – wo boli

Koi bat nahiseekh logi tum ko cycle chalana to achi tarah aata hai is lie koi probem nahihogi maine kaha

Thik hai didilekin ye scooty yahin rahegi main apne ghar nahi le jaungi kyunk mere ghar keandar jane me bahut problem hogi – wo boli

Thik hai mainekaha main tumko sikha dungi

Abhi sikhaogi –wo boli

Nahi abhi nahisubah sikhaungi 2-3 din me seekh jaogi bahut ache se – main boli

Thik hai didi –seema boli fir hum logon lunch kiya aur seema apne ghar chali gayi
shahnaz bhichange karke apne room me chali gayi

Main bhi apneroom me aa gayi aur apne bag se madam ki dii hui book nikal kar bed pe aa gayi .

Sarhane 2-2takiye laga ke main tek lagakar baith gayi uar kitab ko kholkar pahla page
dekha to main dekhti hi rah gayi
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 03-02-2019, 06:05 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 9 Guest(s)