Thread Rating:
  • 1 Vote(s) - 1 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance PYAR RULATA HE…..
#4
Wink 
UPDATE-3
 
Kai dino baad aaj hum apni kahani aage badhyenge….
 
 
Agle kuch din aise hi bit jate he. sam aur sandy apna pura din sirf padhne me hi nikalte he. aur aaj exam ka din he. har bar ki tarah aaj bhi sam riya ka hi intzaar karta he. aaj ek hafte baad wo riya ko dekhta he. aur har bar ki tarah aaj bhi sam ko riya utni hi sundar lagti he jab riya ko paheli bar dekha tha tab lagi thi. Aur is tarah exam bhi khatam ho jate he aur riya apne ghar chali jati he. jab sam ko ye pata chalta he ki riya ab pune me hi rahne vali he to vo bhi apni maa se jidd karta he ki use bhi pune me padhna he. isliye vo puna padhne ke liye chala jata he. ya yu kahe ki wo riya ke piche chala jata he.
 
Lekin lagta he kismet ko kuch aur hi manjoor tha. Riya jisne college badla tha wo aur sam jise pyar karta tha wo riya dono same nahi thi balki woh to riya agrwal thi jo riya ki hi best friend thi.
 
Isliye use din principal ki office me dono friend riya Agarwal ka leaving certificate lene gayi thi. Lekin sandy ne aadhi baat sunke hi ye lafda khada kar diya.
 
Aur isliye jab sam ko ye baat pune jakar bata chali tab use kuch hosh hi nahi raha. Aur usi bich uske  sath ek accident ho gaya. Aur is accident se sam bahot bura ghayal huva. Vo marte marte bacha. Kai dino tak woh hospital me raha.
 
Isliye aaj kajal sam ko bahar nahi bhejana chahti ti. Lekin sab ke kahene pe who bhi maan gayi. Aur sam ko apne se dur bhejne ke liye tayaar ho gayi.
 
PRESENT DAY
 
Subah subah aaj sam jaldi uth jata he. aaj use nind hi nahi aati. Who bas apne maa ke javab ka intzaar kar raha tha. Ke jab kajal singh sam ko pune jane de.
 
Sam jaldi hi niche jakar dinning table par beth jata he….
 
Jab tak sab log aate he tab tak uske ghar ka intro de deta hu.
 
Sam ke pitaji ache businessmen the to unka ghar bhi bahot bada he..
Ghar ke niche ki aur 3 kamre he. jaha sam ke mummy papa ke bed room he aur uske sath bathroom attached he, dusra kitchen aur ek guest room he aur iske sath bathroom bhi he.
 
First floor pe, sam aur divya ka kamra he. uske sath do aur room bhi he. lekin who abhi khali he. second floor pe kuch khass nahi he. lekin waha bhi kuch kamre he. jo aise hi pade he Aur ha sam ke pita ka ek aur  ghar unke ganv me bhi he. jo bilkul ek bade se mahal jesa he. wo mahal sam ke dada ne banaya tha. Kyunki who log pahele se hi paise vale the.
 
Lekin sam kabhi bhi vaha par nahi gaya. Aur use ye bhi nahi pata ki uske dada uske ganv me rahete he.
 
Present………..
Breakfast ready ho chuka tha aur sabhi breakfast kar rahe he.
Sam man me : maa kuch kah kyu nahi rahi he..
Sam : maa aapne javab nahi diya ke me ja sakta hu ya nahi.
Maa : ha ja sakte ho..
Sam man me bahot khush hota he lekin dikhata kuch bhi nahi.
 
Maa : lekin meri kuch sart he. agar vo sab manoge to hi tumhe me jane dungi.
Sam : kesi condition.
Maa : paheli , tum vaha jakar hafte me ek phone to mujhe karna hi hoga.
Sam : thik he..
Maa : tum apna dhyan rakhoge. Aur agar kuch bhi taklif ho jaye to hame bataoge.
Sam : thik he mujhe ye sab manjoor he..
Maa : aur sabse badi baat tum apni padhay me nuksaan nahi hone doge. Aur accha result laoge. Aur is baar clg khatam hone par tumhara pahela number aayega.
Sam : mujhe ye bhi manjoor he. aur kuch he to abhi batato.
Divya : ha mujhe har roj phone karoge.
Sam divya ko chidhate huye : pahele phone to lele…
 
Aur isi tarah din nikal jata he. aaj sam bahot khush tha kyunki aaj uski maa sam ko pune jane ke liye maan gayi thi.
 
Saam ke vakht sam ready hoke sandy ke ghar ki aur jata he.
 
 Sam sandy ke ghar ki bell bajata he..
Ghar ka door sandy ki maa kholti he. aur sam ko dekhte hi sam ko ghar me aane ko kaheti he.
 
sam : sandy kaha he. mujhe usse kuch kaam he.
Sandy ki maa : wo apne kamre me he. tum wahi chale jaav.
sam : thik he unty..
 
Sandy ke family ka intro abhi nahi diya. Kyunki abhi uska koi kaam nahi he.
 
Sam sandy ke kamre me jakar wahi beth jata he.
Sandy : kya baat he. aaj hum garib ke ghar kese aana huva.
Sam : kaminey har roz to aata hu . abhi chutiyya chal rahi he isiliye kam aata hu. Tu kaheta he to yahi ruk jata hu.
Sandy : iski koi jarurat nahi. Waise kaam kya tha jo tum yaha chale aaye.
Sam : yaar wo baat aisi he ki, maa pune jane ke liye maan gayi.
Sandy : kya baat kar raha he. sach lekin ye huva kese. Aur tune aunty ko kab bataya.
Sam sandy ko puri baat batata he..
 
Sandy : teri to lottery lag gayi..
Sam : sahi kaha tune.
Sandy : ye baat to tu phone pe bhi bata sakta tha. Lekin ghar pe kyu aaya. Kuch aur kaam he kya.
Sam : waah tera dimaag bhi ab chal raha he.
Sandy : tera sath jo raheta hu. Bata kya baat he.
Sam : dekh hum bachpan se hi saath me he. aur ab me jab pune jane waala hu to tubhi mere sath waha chal sath me padhenge.
Sandy : baat to tu sahi kar raha he. lekin mujhe ghar par baat karni padegi. Uske baad hi kuch kah paunga.
Sam : to aaj hi baat kar lena. Kyunki ab jyada der me yaha nahi rah ne wala. Agle Sunday hi me vaha jane vala hu.
Sandy : aaj rat ko hi baat kar leta hu. Agar mujhe aane denge to Sunday ko sath me hi chalenge. Aur waha maze karenge.
 
Phir kuch der dono dosto ki baat chalti he. aur phir sam apne ghar chala aata he.
 
Raat ko sandy ka phone aata he. aur wo bhi pune clg ki padhyi kar ne aane vala he sam ko batata he.
 
Sam apne mummy-papa ko ye baat batata he ki sandy bhi aane vala he. Is baat par sabhi khush ho jate he.
Papa : sam tum pune to ja rahe ho. Lekin tum waha jese yaha raheto ho wese nahi rah paoge.
Sam : me kuch samjha nahi. Kya waha koi problem he.
Papa : mera matlab he, me tumhari rahne ki sari seting kar dunga lekin uske baad sab tumhe hi manege karna ho.
Sam : uski fikar aap mat kariye me sab dekh lunga. Wese mujhe rahna kaha he.
Papa : waha jaha tum pichli bar ruke the. tumhare chacha ke yaha. tum usi ke ghar par rahoge. Baki sab wo hi dekh lenge.
Sam : thank you papa. meri baat ka support kar ne ke liye.
Phir dono baap bete ki baate chalti raheti he. aur uske baad do din bhi nikal jate he.
 
Sunday morning…
Sam ke papa ki car me woh dono pune jane wale the. Sam fresh hoke ke niche aata he.waha sab uska hi intzaar kar rahe the.
Divya : kya baat he aaj kuch jyada hi chamak raha he.
Maa : kyu na chamke. Mera beta he hi aisa.lakho me ek he.
Papa : sahi kaha tumne. Aaj aisa lag raha he mera beta bada ho gaya he.
Maa : bas bhi karo ab use nasta to kar ne do. Phir use niklna bhi he.
Sam : mom me jaldi hi apni padhyi puri karke laut aaunga.
 
Phir sab sath beth kar nasta karte he..
 
Papa : driver sam ka sara saman car ki dikki me rakh do..
Driver : ji malik.
Sam ghar se bahar aakar apna sara saman driver ko deta he.
Aur phir saru hoti he. aasuo ki dhara. Jo sam ki maa ke aankho me se bah rahe hota he. tabhi sandy bhi apne papa ke sath waha aajata he.
Sam apni maa ko sant karta he. aur use vaada karta he ki vo apna dhyan rakhega. Aur sabko bye bol kar wo dono apni car me beth jaate he.
 
Sam aur sandy dono hi nikal padte he pune ki aur.  
 
Sam aaj bahot jyada khush tha ki is baar vo kuch bhi kar ke riya ko apna bana hi lega. Aur dusri aur sandy pune sirf aur sirf ghumne ke liye ja raha tha. Lekin sath me use padhyi bhi puri karni thi. Iske sath hi dono pune pahoch jate he.
 
Pune pahoch kar sam sandy ko uske mama ke ghar par chodta he. aur wo bhi waha se apne chacha ke ghar ki aur nikal jata he.
 
Chacha ke ghar ka intro:
 
Ajay Singh
Age : 41 years , Sam ke chacha. Unka bada achha sa business he pune me. Pune me unka bahot naam he. Kai bade bade businessman unke talve chate he. dil ke bahot hi ache he. lekin jab apni aukat par aate he to is par kuch kaheno ko kuch bachta hi nahi.
 
Amrita Singh
Age : 38 years , sam ki chachi. Wo jyada padhi likhi nahi he. lekin sabka dhyan achhe se rakhti he.
 
Diya Singh
Age : 18 years , sam ki bahen. Dikhne me bahot hi khubsoorat he. iske sath hi uska nature bhi bahot achha he. wo hamesha sabko khush rakhna chahti he.
 
Singh Village
Age : 128 years , ye ajay singh ke ghar ka naam he. aur ye ghar ek samay  bahot bade khandan ka tha lekin uske baad se hi singh parivaar yaha raheta he. uske naam me village likha huva he. kyunki ye ghar bhi sam ke ghar jitna hi bada ya u kaho ki usse bhi bada he. ghar ke aage bahot bada garden he. aur piche bhi swimming pool aur garden he. ghar do manzilla he. ghar ke niche ki aur ajay aur amrita ka karma he. aur upar diya raheti he.  uske sath hi guest room aur waha par kaam karne valo ke liye rahena ka room piche ki aur he.
 
Baki ka intro baad me aata rahega.
 
dopher ke 3 baj chuke he. kyunki sam ka ghar pune se kafi dur tha. Isliye pahochne me 6 ghante nikal gaye.  Sam apne chacha ke ghar par pahuchta he. driver sam ka sara saman ghar me pahocha kar vapas nikal jata he.
 
sabhi log sam ka hi intzaar kar rahe hote he. ek min yaha diya kahi dikh nahi rahi he.
ajay and amrita singh sam ke aane ke intzaar me hall me bethe hote he.
 
sam : chachi , me aa gaya.
Chachi banavti gusse me: besaram ab aa raha he. pichli bar jab gaya tab se yaha vapas nahi aaya. Tujhe humari yaad nahi aayi.
Sam : mujhe bhi aapki bahot yaad aayi lekin me bhi kya karta padhyi ko chodke to nahi aa sakta tha na.
Chichi : lekin….
Chacha baat ko bich me hi kaat te huye : bas bhi karo ab wo lamba safar karke thak gaya hoga. Use kuch aaram to karne  do. Uske baad uske piche pad jana. Aur vaise bhi woh ab yaha hi rahne vala he.
Chachi : mera raja beta , chalo tumhe apna kamra dikha deti hu. Tum ab vahi pe rahoge.
sam : thik he…
chachi sam ko uska kamra dikha ke chali jati he. kyunki chacha aur chachi dono ko kahi bahar jana tha.
sam bahot thak gaya tha isliye vo apna bag aise hi rakh ke apne kamre me so jata he.
 
saam ke 6 baje uski aankh khulti he. vo fresh hoke niche chala aata he. vaha use diya dikhay deti he. jo sofe pe beth ke apne phone me kuch kaam kar rahi hoti he.
 
sam : hii ,diya.
Diya hadbada kar : hii sam , kab aaye tum.
Sam : abhi dopher ko hi aaya.Me jab aaya tab tum ghar pe nahi thi.
Diya : ha vo..a..vo..a...vo me apne friends ke yaha kuch kaam ke liye gayi thi.
Sam : kya kar rahi ho abhi. Kahi admission liya ke nahi.
Diya : nahi abhi to kahi nahi liya. Lekin soch rahi hu ki kal hi achhi si clg me jake admission le loo. Kyunki ab to result bhi aa gaya he.
Sam : me bhi tumhare sath chalunga. Mujhe bhi admission lena he. dono sath me hi le lenge.
Divya khush hoke : ye achha rahega. Kal subah hi chalenge. Meri ek friend ko bhi admission lena he.
Sam : done. Mera bhi ek friend he use bhi admission lena he.
Diya : wo bhi tumahare sath admission lega ??
Sam : wo me jis bhi clg me admission lunga wahi par aajayega.
Diya : accha kal subah chalenge.
 
 
Tabhi chacha aur chachi bahar se aate he.
Chachi : kya baat chal rahi he dono bhai bahen me.
sam : kal hum clg me admission lene jane vale he. dono ek hi clg me admission lene vale he.
chacha : ye to acchi baat he. dono sath padhoge to hame bhi diya ke padhne ki fikar nahi rahegi.
Chachi : sahi kaha aapne..
Sam : chachi bahot bhukh lagi he.. dopher se kuch nahi khaya. Aap jaldi fresh hoke aa jao sath me hi dinner karte he.
 
Dinner time
Sabhi log dinner pe bethe he. chacha aur chachi ek side me aur diya and sam ek side me bethke dinner kar rahe he.
Sam : chacha yaha sabse achha college konsa he.
Chacha : tum aisa karna mera friend hi ek college ka principal he. tum usi college me jake admission le lena. Wo college bhi achha he. uska naam bhi bahot bada he.
Sam : thik he to tey raha wahi college me admission le lenge. Kyu sahi kaha na diya.
Diya : me tumhe vahi par le jane vali thi. Mujhe bhi vahi par admission lena he.
Tabhi sam ko sandy ka call aata he. aur wo uth ke bahar chala jata he. waise bhi uska dinner ho chukka tha aur use garden me ghumna bhi tha.
Sandy : kaisa chal raha bhai.
Sam : ek dam thik thak . kal hum college admission lene jane vale he. tum taiyaar rahena subah subah hum nikalenge.
Sandy : isliye hi to mene tujhe phone kiya tha.
Sam : me janta tha isi liye tujhe mene pahele hi bata diya.
Sandy : thik he. me ready rahunga. Bye.
Sam : bye.
 
Phir sab apna apna dinner karke apne room me chale jate use din aur jyada kuch nahi hota he. aur sab apne apne kamre me sone chale jate he.
 
 
Dekhate he naya din kya naya leke aata he unlogo ke liye. Abhi tak to kahani me kuch jyada musibat nahi aayi apne hero pe. Lekin aage kuch kah nahi sakte Kuch bhi ho sakta he.
To dosto jaldi hi milenge ek nayi subah ke sath. Good night…..
Like Reply


Messages In This Thread
PYAR RULATA HE….. - by Rockybhai - 19-01-2019, 01:44 PM
RE: PYAR SIRF RULATA HE….. - by Rockybhai - 19-01-2019, 01:49 PM
RE: PYAR SIRF RULATA HE….. - by Rockybhai - 20-01-2019, 12:40 AM
RE: PYAR SIRF RULATA HE….. - by Rockybhai - 01-02-2019, 10:53 PM
RE: PYAR SIRF RULATA HE….. - by rabiakhan338 - 08-02-2019, 03:25 PM
RE: PYAR SIRF RULATA HE….. - by Rockybhai - 09-02-2019, 02:18 PM
RE: PYAR RULATA HE….. - by Rockybhai - 17-02-2019, 11:07 AM
RE: PYAR RULATA HE….. - by raj500265 - 07-03-2019, 11:13 PM
RE: PYAR RULATA HE….. - by Rockybhai - 14-03-2019, 10:36 PM
RE: PYAR RULATA HE….. - by Rockybhai - 14-03-2019, 10:38 PM



Users browsing this thread: