Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Galti ka saja (Completed )
#7
Raat ke kareeb 1 baje men peshab lagane ke karan uthi, to men room se bahar nikal kar bathroom ke taraf jane lagee. Mene dekha ki , unke room men abhi bhee light jal rahi thee. Aur ander se neeta ke siskaryon ke awaz aa rahi thee. Mujhe to bus yahi dar sata raha tha ki, kahi rama aur Sonia ko kuch pata naa chal jaye. Par kisi tarah raat kat gaye. Subhe hui to mene unke room ke door par knok kar unhe uthaya.

Rama aur Sonia pehale hee chai nasta taiyaar kar chuke thee. Amit aur neeta uth kar fresh hue, nasta kaye aur jane ke taiyaari karne lagee. Men ghar ke kaam men lagi hui thee, tab neeta mere pass aye. “achha rekha ab hume chalana hai” par jane se pehale mujhe tujhse kuch jaroori baat karni hai.”

Men: haan bol naa.

Neeta: dekh too to janti hai ki, amit ka iss dunaya men koi nahi hai, aur wo apne dost ke sath uske room men reh raha hai. Amit apne liye room doondh raha hai, aur tumhare pass to itne room khali pade hai. Ho sake to issko apne ghar men room kiraye par dee dee. Tera kharcha pani bhe chalata rahega. Dekh ye tuje mahine ke 5000 rs deta rahega. Bus ek adami ka khana hee dena padega tuje. 

Men neeta ke baat sun kar chup ho gaye. Men janti thee ki, amit dekhane men chahe hee bacha lagta ho. Par neeta ke sath reh kar wo kuch jayda hee mature ho gaya hai. Aur mere ghar men do jawan betiyaan bhee to thee. Issliye men usse haan nahi kar paa rahi thee.

Men: neeta mujhe sochane ke liye kuch waqt chahye. Too to janti hai naa ki, ghar men do do jawan betiyaan hai.

Neeta: haan men samajh sakti hun. waise amit waisa ladka nahi hai. Bahut hee samajhdar hai. Men usse samajha bhee dungi. Baki too soch lee. 

Uske baad neeta aur amit dono ghar se chale gaye. Neeta ne jo 5000 rs mujhe daye thee. Usse humae bahut rahat mili. Din raat phir se ussi tarah katane lagee. Mene bahar kai logo se bhee keh diya tha ki, agar koi family wala room kiraye par reahne ke leye doondhe to usse humare ghar ke bare men bata dain. 

Men nahi chathi thee ki, men apne ghar par kisi akle ladke ko rakhun. Jo mere hee ladkyon ke umer ka ho. Men unhe samajh ke iss gandgi se bacha kar rakhana chathi thee. Mera yahi sapana tha ki, wo apne daman par kisi tarah ka daag liye bina apne sasural chali jaye. Par abhi naa to mere pass itne paise thee. Aur nee hee abhi un dono ke shadi ke umer thee.

Ab wo 5000 hajar to khatam hone hee thee. Aur akhir kab to un paison se gujara hota. Din beet rahe thee. Ek baar phir se humari mali halat kaharab hoti jaa rahi thee. Kabhi-2 mujhe lagta ki, uss din mene amit ko kamara dene se inkaar kar mene bahut badi galati kar dee. Par ab naa to neeta ka koi pata tha aur naa hee amit kaa. Men kisi tarah silai ka kaam karke apne ghar ka kharach chala rahi thee.

Novmber ka mahina shuru ho chuka tha. ab sardyan shuru ho chuki thee. Ek din men apni chhat par baithe hue, dhoop men silai ka kaam kar rahi thee. Rama aur Sonia dono apni sehali ke bhai ke shadi men gaye hui thee. Tabhi bahar se door bell baji. Mene chat ke diwar ke pass akar neeche dekha to, neeche koi khada tha. men uska chehara nahi dekh paa rahi thee.

Men: (chhat par se awaz lagate hue) jee kisi milana hai.

Mere awaz sun kar usne ooper ke taraf dekha to, mene dekha ke neeche jo ladka khada hai, wo koi aur nahi amit hai. Usne mujhe neeche se namste kaha. Men neeche aa gaye, aur gate khola.

Amit: namste aunty jee.

Men: namste beta. Tum idhar kaha ?

Amit: wo uss din shyad neeta aunty ne aapko bataya ho ki mujhe room ke jaroart hai.

Men: haan bataya tha. tum ander aao.

Men aur amit ander aa gaye. Mene usse room men baithaya. Aur usse pani ke liye poocha, to usne mana kar diya. “chai to pee lo.” Par amit ne mana kar diya ye keh ki, ussi thoda jaldi hai wapis jana hai kaam par. Wo lunch time par ghar aya tha. mujhe ek baar phir se kuch amadai ke ass hui. Par mujhe najane kyon sahi nahi lag raha tha. mere ander hajaro sawal thee. Aur akhir kaar mene usse apni maan ke baat keh dee.
thanks 
Like Reply


Messages In This Thread
Galti ka saja (Completed ) - by sakzkhan - 28-01-2019, 02:43 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 28-01-2019, 03:03 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 01:20 AM
RE: Galti ka saja - by Eswar P - 29-01-2019, 07:47 AM
RE: Galti ka saja - by hhhotboy2000 - 29-01-2019, 04:05 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 08:49 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 29-01-2019, 08:51 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 06-02-2019, 02:16 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 08-02-2019, 01:46 AM
RE: Galti ka saja - by angel - 08-02-2019, 07:57 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 02:36 PM
RE: Galti ka saja - by Blackking - 10-02-2019, 12:54 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 01:38 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 17-02-2019, 01:39 AM
RE: Galti ka saja - by krishkish - 17-02-2019, 11:50 AM
RE: Galti ka saja - by Kaminii - 17-02-2019, 07:28 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 11-03-2019, 01:46 AM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 05:16 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 05:18 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:53 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:54 PM
RE: Galti ka saja - by sakzkhan - 27-03-2019, 06:56 PM
RE: Galti ka saja [Completed] - by sakzkhan - 27-03-2019, 07:01 PM
RE: Galti ka saja - by kamdev99008 - 01-11-2019, 08:10 AM
RE: Galti ka saja (Completed ) - by raj500265 - 07-06-2022, 12:37 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)