24-01-2019, 11:26 AM
Bibbi mujhe koi gift nahi chahiye – wo boli
Dekho beta koi bat nahi main hun na tumhare liye tum bilkul bhi kuch mat socho
acha tum kaho to main abhi seema aur chuzi ko yahin bula leti hun – maine kaha
Bibbi mammi kab ayengi – wo boli
Uski is baat pe main chaunk gayi ki wo kya kah rahi hai
Beta mammi kaise aayengi mammi to nahi hain wo hum dono se bahut door ja chuki hain – maine kaha
Lekin aap to bahut dino se yah kahti thi ki jab main khoob parhungi to mom mujh se milne ayengi
ab to maine bahut parh liya aur parh rahi hun mom kab aayengi
Main chup rahi kya jawab deti bachpan me wo puchti thi to main ye kah deti thi lekin aaj barson ke baad usko ye kaise yaad aa gaya mujhe nahi pata
Boliye bibbi aap chup kyun hain – wo rote hue bahut halki awaz me kah rahi thi
Dekho beta tab tum bahut choti thi aur ab samajhdar ho aur ye samajh sakti ho ki main kyun kahti thi
lekin aaj mujhe ye ehsas ho raha hai ki mujhe aap se ye nahi kahna chahiye tha
Agar main ghalat hun to mujhe maaf kar doo – main boli
Ye mat kaho bibbi – wo boli lekin main aaj tak sochti thi ki ek din mom zarur aayengi
Beta aaaj aap se kisi ne kuch kaha kya party me kahin pe – maine pucha
Nahi bibbi – lekin seema didi chuzi didi aur sab log apni momke sath the sir hum logon ki mom kyun nahi hain
Aisa mat socho main hun na main hi tumhare liye sab kuch hun ab chup ho jao aur sone ki koshish karo ye sab mat socho
Main shahnaz ke balon me ungliyan fira rahi thi har saal apni birthday par wo mom ko bahut miss karti thi
aur wo kya main khud kayi gaam par apne mom dad dono ko miss karti thi
Main uske balon me ungliyan firate hue boli ab tum so jaao bahut rat ho gayi hai beta
aur usko leke main uske room ma chali gayi maine kaha ab tum so jaoo aur main uske pas hi bed pe baith gayi
shahnaz fir se meri god me hi sar rakh ke let gayi
Ab tum sone ki kshish karo aur koi fikar mat karo tum main hun yahan par tumhare liye har din har pal har ghari har waqt tumhare sath – main bol rahi thi
Aur wo meri aagosh me sar rakhe hue ankhen band kar ke let gayi maine us ke balon me ungliyan firate hue gana shuru kar diya
Kuch is tarah teri palken meri palkon se mila de
Aansu tere saare meri palkon pe saja de
Kuch is tarah .....
Main chup ho gayi ye soch kar shayad wo sone lagi hai lekin wo ankhen kholkar meri taraf dekhte hue boli
Kya hua bibbi gaao na bahut acha lag raha tha

![[+]](https://xossipy.com/themes/sharepoint/collapse_collapsed.png)