24-01-2019, 11:23 AM
Us ka pahnawa to hamesha hi ajeeb rahta hai
wo waise hi aayi thi aur hum sab ne sath me nashta kiya
fir chuzi apni nigrani me apne decoration aur sara kaam karwane lagi
Aaj nawroz ka din tha aur jaisa ki main pahle hi bata chuki hun to thik time pe jab aftab burj e hamal me dakhil hota hai – yani suraj mesh rashi me pravesh karta hai
to us time se hi new year shuru hota hai aur wahi time prayer ka hota
Baki jashn e nawroz aur birthday dono night me hi celebrate karte the
Maine prayer ke waqt pe sara intezam kiya aur haft sheen table sajayi jis me hum dono bahno ke alawa seema aur uski mom razia aunty aur surjeet aunty unk bachon ke shirkat kii
Sab ne Mubarak baad di aur hum ne apni khushiyan sab ke sath banti
Fir mere chacha chachi ne phone kiya ur mujhe nawroz aur shahnaz ko birthday wish kiya aur shahnaz se bahut bat ki nausheen ne bhi munje call kiya aur nawroz wish kiya aur shahnaz ko birthday wish kiya
Aise mauke par mujhe apni kayi friend ki yad aati hai waise to koi zyada frnd nahi thi
meri lekin nausheen , bushra , aur sheela aura b ek new friend chuzi jo bahut hi kam time me mere bahut nazdeek ho gayi thi
nausheen ki to shadi ho gayi thi lekin bushra aue sheela ke bare me mujhe pata hi nahi hai ki wo kahan hain aur kis hal me hain
Aur aise hi sab apne kamo masroof rahe aur sham ho gayi sara intezam ho chukka tha chuzi ka sara intezam bahtut acha tha
arkestra light sab kuch dekhne layak tha back side lawn me cake katne ke liye usne set kiya tha aur bahar ke hisse me arkestra tha dinner ka intezam har bar ki tarah colony me hi tha
Sham ko 6:00 baje chuzi apne ghar jane lagi to maine mana kiya ki ab kyun ja rhai ho to wo boli ki abhi aati hun ab family ke sath aungi
Maine kaha sab log aa jayenge tum yahin ruku
Mujhe change bhi karna hai kya aise hi rahungi log mujhe tumhare ghar ki kam wali bua samjhenge – wo boli
Shahnaz boli – didi aap yahin taiyar ho jao na bahut sii new dress rakhi hain
Thank you my sweet sister lekin main gharjake abhi aati hunt um fikar mat karo
tumhare sab mehman nahi aa payenge aur ye chuzi aa jayegi - wo boli aur wo bahar jate he boli gul main bike leke ja rahi hun tumhari ye kahte hue wo wahan se chali gayi
Mehman aane shuru ho gaye the 7:00 baje se hi music shuru ho gaya
7:15 pe chuzi aa gayi us ne sahi kaha tha ki mehmano ke aane se pahle hi aa jaungi aur bhi kuch hi log aaye the
chuzi ko maine dekha to dekhti hi rah gayi wo aaj salwar suit me aayi thi jo mujhe ek ajooba hi lag raha tha
us ne blue color ke kurte ke sath yallow churidar pahna hua tha kurte ki sleev net kit hi main ek tak usko dekhti rahi
Chuzi ke mammi papa ko Namaste kiya maine aur un ko andar le aayi kyunki main janti thi ki uski mom ka ana kitna mushkil tha lekin wo aayi unko kafi zahmat hui hogi aane me
Us se milkar bahut khushi hui shahnaz ko unhone gale se lagaya aur us ki lambi umar ki duayen kii
shahnaz change kar rahi thi jab chuzi enter hui chuzi ko dekhte hi shahnaz bhi shock thi
Wo boli chuzi didi ye aap ho