Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#42
Uske baad maine phone rakh diya ab mujhe ek nayi fikar hone lagi thi ki main ghar jake rubi ko inn dono ke bare me kya btaunga isliye aagey ke baare me sochne laga or chup-chap gaadi chalane laga. Kuch der baad hum ek dhaabe par ruke jaha hum sab ne milkar khana khaya. khana khate hue kuch log hume azeeb nazaro se ghoor-ghoor kar dekh rhe the lekin maine nazar andaaz kar diya or khane par dheyaan dene laga kyoki uss waqt hum sab ko bohot zor ki bhookh lagi hui thi. Khana khane ke baad hum sab wapis apni gaadiyo me beth kar apni manzil ki taraf badhne lage. Kuch door jane ke baad mujhe Lala ka phone aaya ki security officer ki kuch gaadiyan hmari gaadiyo ke pichhe aa rhi hain. Yeh sunkar mujhe samajh aa gya ki dhaabe par woh kon log the jo humko ghoor-ghoor kar dekh rhe the. Isliye maine sabko bina koi khoon-kharab kiye waha se shaanti se chalne ka hukum de diya kyoki ab raat ke waqt main ek or khoon-kharaba nahi chahta tha isliye maine sabko goli chalane se mana kar diya. Lekin woh security officer ki gaadiyaan lagatar apna siren bajate hue hmari gaadiyo ke pichhe aa rhi thi or humko rukne ke liye keh rhi thi. kuch der baad humari sabse pichhe wali gaadi par fire hone shuru ho gye.

Ab hum log kuch nahi kar sakte the naa chahte hue bhi humko jawab me goli chalani hi thi isliye ab chalti gaadiyo me hi dono taraf se fire hona shuru ho gye meri gaadi uss waqt sabse aagey thi or mere sath nazi, chhota Neer or heena bhi thi isliye maine sirf gaadi chalane par hi dheyaan dene laga. Kuch der baad ek security officer ki jeep pichhe ki tamaam gaadiyo ko over take karti hui ek dam mere barabar me aa gyi or lagatar meri car par goliyaan chalane lagi maine jaldi se heena or nazi ko niche jhuka diya taaki unko goli naa lag jaye lekin ek goli mere kandhe par lag gyi or gaadi ka balance bigadne laga. maine jaldi se stairing ke samne rakhi apni revoler uthayi or samne wali jeep par jawabi goliyaan chalane laga 5 hi fire me meri revolver khaali ho gyi thi or ab mere pass kartoos bhi nahi the kyoki baaki hathiyaar or kartoos car kidiggi me pade the or car rokne ka mere pass moqa nahi tha. lekin jeep me se ab bhi firing jaari thi ab mere pass dusra koi asla nahi tha isliye maine ek risk uthaya maine apni gaadi ki speed kam ki or apni gaadi ko uss jeep ke ek dam sath me kar liya or nazi or heena ko jhuke rehne ka kehkar jor se apni gaadi ko uss jeep me dhakel diya jisse unki jeep ka balance bigad gya or woh samne wali chattan me jake takra gyi or jeep palat gyi. ab mera uss jeep se to pichha chhut gya tha lekin mere aadmiyo ki gaadiyo ke pichhe ab bhi kaafi security officer ki jeep lagi hui thi or dono taraf se fire ho rha tha. Mere kandhe me bhi goli lag chuki thi jis wajah se tez dard uth rha tha or ab mujhse gaadi bhi nahi chalayi jaa rhi thi lekin fir bhi main himmat karke gaadi chalata rha. Meri ab himmat jawab de rhi thi kyoki baaju se kaafi khoon nikal rha tha isliye maine lala ki gaadi ko hath se ishara karke meri gaadi ke barbar aane ko kaha kuch hi seconds me uski gaadi raftaar pakadti hui ek dam meri gaadi ke sath aa gyi.....

Main : (Chillate hue) Mere kartoos khatam ho gye hain or mujhe goli bhi lagi hai mujhe hathiyaar wala bag de lalaaa....
Lala : (Hath se ishara karte hue) Detaaa hooo....

Hum dono ne ek hi waqt par chalti car ka darwaza khol diya or apni dono gaadiyo ko brabari par laake maine ek hath se hathiyaar wala bag ander khich liya sath hi maine apne ek aadmi ko meri gaadi me aane ko kaha taaki woh car chala sake. Hum dono ki gaadiyo ki raftaar kaafi tez thi isliye gaadi barabar aane me dikkat ho rhi thi kuch efforts ke baad maine uss admi ko apni gaadi me khinch liya. Ab woh meri jagah gaadi chala rha tha or main sath wali seat par betha bag se hathiyaar nikaal rha tha bag kholte hi meri nazar Bazzuka par padi maine jaldi se usme bomb load kiya or apni jeb se phone nikala or lala ko phone kiya...

Main : Lala ek idea aaya hai main gaadi ki chhat par jaa rha hoo jab main ishara karunga tab apne aadmiyo ko bolna ki sab apni gaadi ko baayi taraf kar le or ek dam se apni sab gaadiyo ki raftaar badha de...
Lala : Thik hai.... bhai main abhi sabko phone karke keh deta hoo....

Uske baad maine phone rakh diya or lala ke ishare ka intezaar karne laga kyoki uske baad hi main gaadi ki chhat par jaa sakta tha. Tabhi mujhe Heena ki awaaz aayi...

Heena : Neer tum thik to ho naa....
Main : Main thik hoo fikar mat karo tum niche raho....
Heena : tumhari baaju se to bohot khoon nikal rha hai...
Main : koi baat nahi abhi sab thik ho jayega tum dono niche rho bahar firing ho rhi hai....

Tabhi mujhe lala ne gaadi se hath bahar nikaal kar apne hath ka angutha dikhate hue done ka ishara kiya. Maine jaldi se gaadi ka dusri taraf ka darwaza khola or bazzuka lekar gaadi ki chhat par beth gya or bazzuka ko apne kandhe par set kar liya or security officer ki bich wali gaadi ki nishana lagaya taki dhamake se aagey or pichhe dono taraf ki gaadiya udd jaye lekin usse pehle mujhe meri aadmiyo ko ishara karna tha isliye main kuch seconds ke liye apna balance bnata hua gaadi ki chhat par seedha khada ho gya jisse mere sab aadmiyo ne mujhe dekh liya or apni saari gaadiyo ko ek sath baayi taraf kar liya. Mere pass yhi sahi moqa tha meri iss chaal ko koi bhi security officerwala samajh nahi paya or woh ek seedh me hi gaadi chalate rhe tabhi maine bazzuka ka trigger daba diya or unki bich wali jeep par fire kar diya. Mera idea kamyab rha 3 jeep dhamake se ek sath udd gyi or baaki 7 jeep ne wahi apni gaadi ko rok liya. Lala Yeh dekh kar kaafi khush lag rha tha or gaadi ke sheeshe se mooh bahar nikaal kar jor-jor se chilla rha tha or unn security officerwalo ko gaaliyaan nikaal rha tha. Maine ek nazar muskurakar usko dekha or phir bazzuka gaadi ke ander phenk kar khud bhi gaadi ke ander jake beth gya. Gaadi ke ander aate hi Heena or nazi ne mera baaju pakad liya or dekhne lagi...

Heena or naazi : tum thik ho naa...
Main : Main ek dam thik hoo tum dono fikar mat karo yar...
Heena : fikar kaise nahi kare tumko goli lagi hai dekho kitna khoon nikal rha hai

Itna keh kar usne khoon wali jagah par apna hath rakh diya taaki khoon ruk sake...

Heena : (Driver ko dekhte hue) apne aadmi se kaho kisi doctor ke pass leke chale khoon bohot nikal rha hai.
Main : Bich highway me ab main doctor kaha se leke aau ab to shehar jake hi doctor milega or tum log fikar mat karo yaar main ek dam thik hoo.

Uske baad koi khas baat nahi hui Heena poore rastey meri baaju pakad kar bethi rhi. Kuch hi der me shehar aa gya jaha lala gun point par ek doctor ko utha laya jisne meri baaju se goli nikali or gaadi me hi meri marham patti bhi kardi. Doctor ke diye hue pain killer se dard to kam hua hi sath hi mujhe neend aane lagi or main sou gya. Subah jab aankh khuli to hum apni basti ke kaafi kareeb the kuch hi der hum basti pohonch gye jaha rasool hmare tamaam admiyo ke sath hmara intezaar kar rhe the. Jaise hi meri gaadi ruki mere sab log daudkar meri gaadi ke pass aa gye or ek aadmi ne jaldi se meri gaadi ka darwaza khola samne rasool apni sada-bahar muskaan ke sath mera intezaar kar rha tha usne aate hi mujhe gale se laga liya. Wahi pass hi mere ghar ke bahar rubi bhi khadi thi jo mujhe dekh kar muskura rhi thi.

Rasool : Waah bhai waah Maan gye shera... kamaal kar diya yaar tune....
Main : maine kya kiya yaar....
Rasool : bhai akele hi iss kutte ko utha ke waha se le aaya yeh kya chhoti baat hai...
Lala : (Bhaag kar hmare pass aate hue) kameeno mujhe kyo bhool jate ho... Or yeh tumhara sher wahi dher ho jata agar main waqt par nahi aata.... bada aaya kamaal karne wala...
Rasool : Achhaaa.... thik hai yaar.... Waise woh hamra naya mehmaan hai kaha zra darshan to karwao.
Lala : Hona kaha hai wahi gaadi me pada hai.
Main : Rasool yaar tu zara iss khan ke bache ko dekh main zra rubi se milkar aata hoo.
Rasool : Thik hai bhai...

Uske baad maine apni gaadi ka pichhe ka darwaza khola or Nazi, Neer or heena ko lekar apne ghar ki taraf badhne laga. Nazi or heena dono bade gaur se charo taraf ke mahol or logo ko dekh rhi thi.

Nazi : Hum log yhi rahenge kya...
Main : Hhhmmm kyo jagah pasand nahi aayi kya...
Nazi : nahi woh baat nahi hai lekin yha par bohot sare log hain to inn sabke samne ajeeb sa lagta hai. apne gaav me to hum chand hi log rehte the naa.
Main : (muskurate hue) yha ke log bhi bohot achhe hain or tumhara khayaal rakhenge tum jaise chaho yha reh sakti ho tum yha ek dam mehfooz ho.
Heena : Yha par sab log tumko Shera keh kar kyo bula rhe hain.
Main : kyoki mera asal naam shera hi hai Neer nahi bhool gyi maine tumhe btaya to tha.

Ese hi baate karte hue hum sab mere ghar ke samne pohonch gye jaha rubi gate ke samne khadi hmara intezaar kar rhi thi. Rubi ko dekhte hi main usko side par le gya jaha main usko dono ki saari kahani btadi isliye rubi ne bohot achhe se unka swaagat kiya or unko ghar ke ander le gyi. Main unn teeno ke sath betha tha lekin mujhe uss waqt bohot ajeeb sa mehsoos ho rha tha or main ek ajeeb si dimagi jung se guzar rha tha samajh nahi aa rha tha ki inn teeno ko ek sath yha kaise rakhu. Agar teeno me se kisi ne bhi puch liya ki baaki 2 se tumhara kya rishta hai to main kya jawaab dunga. Ese hi kai sawaal ab ghar aake ek dam se mere dimaag me chalne lage the. yuh to hum sab sath me bethe the lekin bolne ki himmat koi bhi nahi kar paa rha tha Heena or naazi naye mahol or guzre hue waqt ki wajah se chup thi, Rubi unn dono ke sath mere rishtey ko shayad samajh nahi paa rhi thi isliye chup thi or main inn teeno me phas gya tha kyoki teeno hi mujhe pyaar karti thi or main kisi ka bhi dil nahi todna chahta tha. Ek taraf heena or naazi thi jo mujh par bharosa karke sirf mere liye yha tak aa gyi thi dusri taraf rubi thi jo hamesha se hi mere sath thi or hamesha mujhe khush rakhne ki koshish me lagi rehti thi. Ese hi kai sawaal the jinke jawab hum me se kisi ke pass nahi the. Tabhi rasool aa gya or usne hmare bich bani khamoshi ko ek dam se tod diya.

Rasool : yaar tum log yha bethe ek dusre ki shaqal hi dekhte rahoge ya kuch khane peene ka bhi mood hai... bhai itne lambe safar se aaye ho pehle kuch khaa lo...
Rubi : haa bhaijaan main khane peene ka hi intezaam karne jaa rhi thi...
Rasool : koi jarurat nahi hai ali ki ammi (Rasool ki biwi) ne sab intezaam kar diya hai shera ne aane se pehle bta diya tha isliye maine sab intezaam karwa diya hai ab aap sab log mere ghar chaliye or daawat qabool farmaye...

Uske baad hum sab rasool ke ghar chale gye jaha hamesha ki taraf ali mere sath aake khelne laga or chhote Neer ke aa jane se woh bhi kaafi khush lag rha tha or uske sath khelne me lag gya. uske baad heena nazi or rubi ko rasool ki beghum ke pass chor kar main or rasool apne addey par chale gye jaha khan ko baandh rakha tha. Addey par sooma , gaani or lala pehle se mojud the jo shayad mere aane ka hi intezaar kar rhe the.

Main: Lala yeh sooma kaha hai nazar nahi aa rha.
Lala : (muskurakar) Bhai woh apne naye mehmaan ki khatir me laga hua hai.
Main : Abbe... kameeno jan se mat maar dena abhi usse chhote khan ka maal kaha rakha hua hai uska bhi pta nikalwana hai.
Lala : bhai apna kaam tha khan ko sooma tak pohonchana main apna kaam kar diya hai ab aagey tu jaan sooma jaane or tera khan jane... main to khana khane jaa rha hoo (Rasool ko dekhkar) sala bhookh se jaan nikal rhi hai or yha to kisi kameene ne khana tak nahi pucha. khud to maze se biryaani khaa aaye hain.
Rasool : Sale tu mehmaan hai jo tujhe invitaion card deke jau... jaa ghar chal jaa or jake khana thoos le...
Main [Image: frown.gif]hastey hue) Achha thik hai jaa khana khaa le jake tab tak main sooma se milkar aata hoo.

Uske baad hum uss kamre me chale gye jaha khan or sooma the. sooma, khan ko buri tarah maar rha tha or kamre ke bahar hi khan ke chillane ki awaz aa rhi thi. Humne jaise hi kamre ka darwaza khola to dekha khan zameen par gira pada tha or sooma usse buri tarah thokar se maar rha tha.

Main: Bass... Bass... Bas kar sooma mar jayega yaar..
Sooma : marta hai to mar jaye sala lekin aaj isse sare maal ka pta nikalwake rahunga iss harami ki wajah se sabse jada mera nuqsaan hua hai. Iss harami ke kutto ne mere maal par raid daal kar sara maal pakda tha janta hai baba se kitni baar gaali khayi hai maine iss harami ki wajah se or iss bhenchod ne sara maal apne baap chhote ko de diya. Madarchod ko paise hi chahiye the to mere pass nahi aa sakta tha.

Uske baad hmare kaafi puchhne par khan ne apna mooh khol diya usne chhota sheikh ke sare addey or godam humko bta diye jaha woh sara maal rakhta tha iske alawa security officer department me khan ke kitne log the unn sabke bare me bhi usne humko bta diya. Khan ki di hui information se lala, gaani or sooma ne chhote khan ka sara bussiness khatam kar diya or uske lagbhag sab aadmiyo ko maar diya tha. uske sare godamo ka maal mere aadmiyo ne loot liya or yha le aaye jisse market me hum logo ki monopolly ho gyi thi. ab hum har gair kanooni chij ko apne price or apni condition par bechne lage the. Khan ke department ke sab logo ko humne apne paise ki taqat se khareed liya or apni taraf kar liya ab woh log dusre dealers ke pakde hue druggs or sare hathiyaar humko supply karte the unn logo ke hamare sath mil jane se maal pakde jane ki tention bhi khatam ho gyi thi. Khan se saari information nikalwane ke baad humne khan ko bhi khatam kar diya. Dekhte hi dekhte kuch hi din me humne market me apni pehle se bhi mazboot postion hasil kar lee thi ab hmare videshi clients ke pass bhi humse maal khareedne ke alawa koi rasta nahi tha isliye unhone mujhse maafi maang kar phir se mere sath bussiness shuru kar diya. Iss tarah humne chhote seikh ko poori tarah barbaad kar diya tha sath hi jo chhote-mote gang the woh ya to khatam kar diye the ya apne sath mila liye the. Ab sirf intezaar tha to chhote sheikh ko khatam karne ka lekin hmari badhti hui taqat ko dekhte hue woh bhi under ground ho gya tha ya mulq se faraar ho gya tha. Ab uske pass naa paisa tha naa hi aadmi the or naa hi bussiness tha baba ke sikhaye hue niyam ke damm par hum ab underworld me sabse uper aa gye the. kuch hi maheeno ki mehnat ke baad ek din humko chhota sheikh bhi mil gya jisse hum sab bhaiyo ne milkar badi tasalli se tadpa-tadpake maar diya. uske baad hamare sare oponent khatam ho chuke the ab underworld me hum hi hum the. 1 saal ke ander-ander maine baba ke faisle ko sahi sabit karte hue apne har bussiness ko 100 guna badha diya tha ab hume pehle jitni poore bussiness me kamayi hoti thi usse jada ab hume ek-ek bussiness me hone lagi thi. wahi dusri taraf naam or badhti hui shohrat ne mujhe poore mulq me Most-Wanted qarar karwa diya tha kyoki khan ki kiddnaping se lekar mujh par kai security officerwalo ke murders ke case bhi chal rhe the sath money laungry, hathiyaro ki or druggs ki taskari jaise mamle bhi ab mere naam par the isliye ab mera iss mulq me rehna safe nahi tha lihaza mujhe sara bussiness rasool, lala, gaani or sooma me baant kar iss mulq ko chhodna tha kyoki ab agar kuch din or iss mulq me main rehta to security officer mujh tak kabhi bhi pohonch sakti thi or unka mujhe girafftar karne ka mood to bilkul bhi nahi tha or iss baar main ek aur security officer Ancounter ke liye main raazi nahi tha lifaza maine mulq chhorne ka failsa kar liya.

Wahi dusri taraf Rubi, Nazi or Heena akeli ho gyi thi main unke sath hoke bhi poori tarah unke sath nahi tha naa to main poori tarah se kisi ko apni keh pa rha tha or naa hi main ab unko chor sakta tha isliye ek din maine Rasool se apne dil baat karne ki sochi kyoki hum sab me ek rasool hi tha jo naa sirf umar me mujhse bada tha balki woh shadi-shuda bhi tha isliye ek din maine baat karne ke liye rasool ko bulaya or khud apne cabin me bethkar uske aane ka intezaar karne laga.

Rasool : ha bhai tumne mujhe bulaya tha.
Main : haa yaar tumse ek dil ki bat karna chahta tha samajh nahi aa rha kaha se shuru karu.
Rasool : (mere samne ki kursi par beth te hue) bol bhai kya baat hai
Main : yaar tu to janta hai ki main yeh mulq chorkar jaa rha hoo lekin jane se pehle main ek uljhan me hoo.
Rasool : btana yaar kaisi uljhan ab to apni saari problems bhi solve ho gyi hai bussiness bhi top par chal rha hai ab kaisi uljhan.
Main : Yaar jab se heena or nazi yha aayi hai main bohot ulajh gya hoo. Rubi , Heena or Nazi teeno hi mujhe bohot pyaar karti hai or unn teeno ne hi mere liye apna sab kuch chhod diya hai ab mujhe samajh nahi aa rha ki apne matlab ke liye unko ese chhorkar jana sahi hoga ya nahi.
Rasool : Hhhmmm baat to tumhari sahi hai... Yaar meri maano to tum shaadi kar lo saari uljhan door ho jayegi.
Main : lekin kisse karu shaadi yaar teeno hi mujhe pyaar karti hain or kahi na kahi teeno hi mere bure waqt me mere sath thi or mera hamesha sath diya bilkul tum sab ki tarah.
Rasool : Hhhmmm meri maanega to usse shaadi kar jisse tu pyaar karta hai samjhaaa.... or yaar bohot soch samajhkar faisla karna.
Main : thik hai...

Uske baad rasool mujhe meri soch ke sath tanha chhorkar woh chala gya or main sochne laga ki pyaar kisko karta hoo. Sach to yeh tha ki main teeno se pyaar karta tha lekin ab main teeno se shaadi kaise karta bas isi qash-m-qash me main uljha hua tha lihaza maine yeh faisla bhi unn teeno par hi chhor diya or waha se seedha ghar chala gya. Ghar pohonchkar maine bohot himmat se ghar ka darwaza khat-khataya kuch der baad heena ne ek dil-qash muskaan ke sath darwaza khola.

Heena : Aaj jaldi aa gye Neer ...
Main : haa aaj kuch khas kaam nahi tha isliye jaldi aa gya.

Uske baad maine charo taraf dekha to mujhe sirf nazi nazar aayi jo Neer ko bottal se doodh pila rhi thi. Lekin mujhe Rubi kahi nazar nahi aayi...

Main : rubi kaha hai...
Heena : woh yateem khane me hain abhi bacho ka school chal rha hai naa isliye shaam ko aayegi.
Main : achha... Yaar main tum logo se ek jaruri baat karna chahta tha

Yeh sunkar dono mere pass ake khadi ho gyi or sawaliya nazaro se mujhe dekhne lagi. Maine dono ko ek nazar dekha or dono ka hath pakadkar apne sath unko bhi bed par apni dono taraf bitha liya.

Main : Tum dono to janti hi ho ki hmare badhte hue bussiness or mere karnamo ki wajah se main poore mulq me Most-wanted hoo isliye mujhe yeh mulq chhorna hoga lekin main soch rha hoo iss mulq se main akela nahi balki shaadi karke apni biwi ke sath jau.
Heena : (khush hote hue) Yeh to bohot achhi baat hai ki tumne shaadi karne ka faisla kar liya hai wese kon hai woh khush-naseeb.
Main : Yaar iska faisla main nahi bulki tum teeno milkar kar hi kar lo kyoki main janta hoo tum, nazi or rubi teeno hi mujhe be-inteha pyaar karti ho mere liye tumne apna sab kuch daav par laga diya ab mujh me itni himmat nahi hai ki tum teeno me se kisi ko bhi bich rastey me ese hi chorkar chala jau.
Heena : (hastey hue) bas itni si baat to isme confuse hone ki kya baat hai... chalo tumhari ek mushkil to main asaan kar deti hoo.. tumko rubi or Nazi me se ek ko chunna hai kyoki mujhe lagta hai mujhse jada tumko yeh dono pyaar karti hain.
Nazi : Nahi... mujhe lagta hai tumko Rubi or heena baji zada pyaar karti hai...
Heena : chalo ji ho gya faisla... tum rubi se hi shaadi kar lo woh tumko hum dono se jada pyaar karti hai.
Main : Aur tum dono...
Nazi : Hum dono ki fikar mat karo hum dono yha mehfooz hai naa to fikar kaisi or waise bhi rubi baji ke jane ke baad yateem khana sambhalne wala bhi to koi hona chahiye naa.

Unki baat sunkar main kuch der sochta rha or phir bina kuch kahe bed se utha or chup-chap ghar se bahar nikal gya. Main apni gehri soch me itna uljha hua tha ki mujhe pta hi nahi chala kab main yateem khane tak paidal hi aa gya. Waha jake main rubi se mila or yhi baat rubi se bhi kahi to uska bhi jawab yhi tha ki heena or nazi mujhe usse jada pyaar karti hai isliye main unn dono me se kisi se shaadi karu. uska jawab sunke main waha se wapis ghar ki taraf chal diya or jane kab mere kadam mujhe baba ki qabr tak le aaye. waha main kuch der betha rha or apne sawalo ke jawab hasil karne ki koshish karta rha lekin main nakaam sabit ho rha tha phir main apni guzri hui zindagi ko dekhne laga jab main sabse pehle naazi se mila tha waha usne kaise pehle meri jaan bachayi phir fiza ke sath meri behtareen dekh-bhal ki jisse main chand maheeno me apne pairo par khada ho gya kahi na kahi mera rom-rom Nazi or uske parivaar ke Ahsaan ke niche daba hua tha or wese bhi ab uska mere siwa kon tha main usko kaise chhorkar jaa sakta tha, Dusri taraf Heena thi jisne meri ek chhoti si dillagi ko pyaar samajh kar mere jane ke baad Neer or nazi ka naa sirf khayaal rakha balki meri gair haazri me baba or fiza ki bhi hamesha madad ki woh nahi hoti to aaj shayad nazi or Neer bhi zinda nahi hote, Wahi rubi ke bare me sochta to woh sabse alag thi saari duniya ne maan liya tha ki main mar chuka hoo phir bhi woh mera intezaar karti rhi mujhe shaadi kiye bina bhi meri bewa bankar woh apni umar guzarne ke liye teiyaar thi or mere chale jane ke baad usne mere sapne ko apni zindagi ka maksad bana liya or apni sari zindagi yateem khane ke naam kardi. Dekha jaye to main inn teeno ka hi kahi na kahi karzdaar tha inke kiye hue pyaar or ahsaan ko main ese kaise chhorkar jaa sakta tha lihaza maine ek essa faisla kiya jo shayad kisi ne bhi naa socha ho. Ek nateeje par phonch kar main khud ko kaafi shaant mehsoos kar rha tha or baba ki kabar ke pass betha khush ho rha tha. Tabhi pichhe se ek hath mere kandhe par aake ruk gya. Maine pichhe mudkar dekha to yeh rasool tha.

Rasool : bhai kaha hai tu dupehar se main ghar bhi gya tha lekin heena or nazi ne btaya ki tu bina kuch kahe waha se chala gya maine samjha tu yateem khane gya hoga waha se bhi rubi se essa hi jawab mila tujhe kaafi dhoondha jab tu nahi mila to main janta tha tu kaha milega.
Main : Yaar shaam ho gyi pta hi nai chala main yaar aaj khud ko kaafi uljha hua mehsoos kar rha tha isliye socha yha aa jau to mann shaant ho jayega.
Rasool : main janta hoo yaar... chal bta phir kisko pyaar karta hai tu or kisse shaadi karega main kal hi qazi ko bulwa leta hoo.
Main : tu qazi ko bulwa le maine meri hum-safar ko chun liya hai.
Rasool : (khush hoke mere gale lagte hue) arre waah bhai khush kar diya kya mast khabar sunayi hai.... chal bta kon hai hmari hone wali bhabhi...
Main : (muskurakar) kal nikaah par dekh lena
Rasool :Yaar tu kal hi shaadi karega kya...
Main : haa kyo... Nahi kar sakta kya...
Rasool : nahi... nahi yaar essi baat nahi hai mera matlab tha shaadi agar dhoom-dhaam se hogi to jada behtar hoga or uske liye teiyaariyaan karne ke liye waqt chahiye.
Main : (kuch sochte hue) Ek hafta bohot hai kya....
Rasool : haa ek hafte me to main sab intezaam kar dunga...
Main : to thik hai phir teh ho gya....

Uske baad main or rasool car me beth kar ghar aa gye jaha nazi rubi or heena mera intezaar kar rhi thi.

Rasool : lo ji aapka mujrim pakad laya hoo ab khud hi sambhaal lo main to chala shaadi ki teiyariyan karne... Mujhe bohot kaam hai.

Rasool ki baat sunnkar woh teeno mere pass aake beth gyi or mujhe sawaliyaa nazaro se dekhne lagi kyoki rasool ki tarah woh bhi janna chahti thi ki main kisse shaadi karna chahta hoo lekin unme se koi bhi mujhse yeh sawaal nahi puch rhi thi shayad unme kisi me bhi dusre ka nam sunne ki himmat nahi thi isliye kuch der mere pass khamosh bethi rehne ke baad teeno apne-apne kaamo me lag gyi. Main janta tha ki woh teeno hi ander se behad udaas hain lekin phir bhi meri khushi ke liye teeno rasool ki biwi ke sath shaadi ki shoping me lag gyi. Teh kiye hue din poori basti ko dulhan ki tarah saja diya gya or meri shaadi basti me karna hi teh hua kyoki mera bhi koi apna khas rishtedaar to tha nahi jo bhi the yeh basti wale or mere dost mere yaar hi the isliye maine basti me hi shaadi karne ka faisla kiya jisko sabne khushi-khushi maan liya. Lekin inn guzre dino me sab mujhse aake bar-bar ek hi sawaal puchhte the ki dulhan kon hai or main kisi ko kuch nahi bta rha tha isliye sab ek ajeeb si uljhan me shaadi ki teiyariyan kar rhe the. Shaadi wale din Qazi ne dulhan ko bulane ka kaha tha to sab meri taraf sawaliya nazaro se dekhne lage ki ab main kiska naam lunga. Maine charo taraf nazar ghumake dekha to waha par na to nazi thi na hi rubi thi or nahi hi heena thi isliye maine rasool se teeno ka puchha.


Rasool : woh teeno ghar me hain jo bhi tumhari dulhan hai usko jake khud le aao.

Itna sunkar main waha se utha or chupchap ghar ke ander chala gya jaha teeno alag-alag bethi hui thi or ek dam khamosh thi woh kaafi udaas lag rhi thi mujhe dekh kar woh kuch jada hi pareshaan si lagne lagi.

Main : kya hua tum teeno yha kyo ho...
Heena : Neer bas karo ab bohot ho gya hai hum teeno kitne din se dekh rhi hai tum naa to kuch kehte ho naa kisi ki sunte ho akhir tum btate kyo nahi ki tumne kisko chuna hai kitne din ho gye tumne hum teeno ki jaan sooli par taang rakhi hai samajh hi nahi aa rha hai ki tumhare dil me kya hai.
Main : (Zor se hastey hue) Agar main kahu ki main tum teeno se shaadi karna chahta hoo to tum teeno me se kisi ko aitraaz hai kya...

Meri yeh baat sunkar teeno ek dusre ki shaqal dekhne lagi unko shayad samjh nahi aa rha tha ki woh kya kahe shayad kisi ne bhi mujhse ese jawab ki umeed nahi ki thi isliye ab mere jaisi unn teeno ki haalat hui padi thi.

Rubi : Tum pagal to nahi ho gye ho tum jante bhi ho tum kya keh rhe ho yeh na-mumkin hai.
Main : Main ek dam thik hoo or maine jo kaha woh bhi ek dam sahi hai main tum teeno ke bare me socha lekin koi bhi faisla nahi kar paya isliye maine tum teeno ko hi choon liya kyoki main janta hoo tum teeno me se koi bhi mere bina nahi reh sakti or ek ko khush karke main do ka dil nahi tod sakta. Ab btao tum teeno ko isse koi aitraaz hai ya nahi.

Itna kehkar maine sabse pehle nazi ki taraf dekha to usne naa me sir hila diya phir rubi ki taraf dekha to usne bhi naa me sir hila diya or last heena ki taraf dekha to usne bina kuch kahe mujhe gale se laga liya.

Main : Agar aitraaz nahi hai to 5 mint me ready hoke bahar aa jao bahar qazi intezaar kar rha hai.

Uske baad main wapis bahar aa gya or apni jagah par jake beth gya or rasool or lala ko saari baat bta di to meri baat sunkar unke bhi hosh udd gye lekin meri baat ko samajhne ke baad woh bhi maan gye or meri khushi me woh bhi khush ho gye. Kuch der baad teeno teiyaar hoke aa gyi or Qaazi ne thode bohot naatak karne ke baad mera teeno se nikaah karwa diya uske baad maine, meri biwiyo ne or Neer ne ek sath yeh mulq chhor diya. Ab main apni teeno biwiyo ke sath bohot sukoon se rehta hoo. Mujhe mera mulq chode hue 24 saal ho gye hain or inn beete 24 saalo me mujhe heena, rubi or nazi se ek-ek beta hua hai jo abhi schools or collage ki education poori kar rhe hain or hmare sath hi rehte hain lekin teeno me meri koi na koi khoobi hai ladkiyon ka shonk sabko hi hai jinse unki maa hamesha hi pareshan rehti hain lekin woh har baar mujhe daant khane ke liye aagey karke khud saaf bachkar nikal jate hain. chhota Neer bhi ab bada ho gya hai or woh or Ali (Rasool ka beta) ab mera bussiness sambhalne lage hain. Neer dekhne me kaafi had tak mere jaisa hai lekin naturewise ek dam meri jawani jaisa hai or thoda garam mizaz ka bhi hai ali ek dum rasool jaisa thande dimaag ka hai jo neer ko thanda karne me laga rehta hai. Hmare jane ke baad Yateem khana ab woh koi normal yateem khana nahi rha waha ab humne ek shaandar school or bacho ke rehne ke liye ek aalishan hostal banwa diya hai jaha bache achhi taleem hasil karte hain kyoki hum unn bacho ko apne jaisa nahi bnana chahte. Basti bhi woh purani tooti phooti nahi rhi humne waha sabke liye achhe or shandaar appartment bnawa diye hain or logo ke rozgaar ke liye waha factories or mills khol di hain jisko lala, sooma sambhalte hain. Arre haa hmare bussiness ka btana to main bhool hi gya. Humne ab apna druggs or arms ka bussiness band kar diya hai or sara paisa real estate, hotels, casino or finance company me laga diya hai or apne har galat dhandhe ko shareefo wala bussiness bna diya hai jisko mere sath rasool, gaani sambhalte hain. Lala, Sooma or gaani ne bhi shaadi kar lee hai or sudharne ki poori koshish kar rhe hain lekin aaj bhi unke ander ka gunda kabhi kabhi bahar aa jata hai jisko mujhe or rasool ko sambhalna padta hai. Aaj main ek Underworld don hote hue bhi ek normal busnessman ki jindagi guzaar rha hoo or apne parivaar ke sath bohot khush hoo.


                                        -----The End-----
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)