Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#37
Uske baad naazi or main heena ke kamre se bahar nikal aaye. Nazi wapis teaz kadmo ke sath seedhiyo se niche utar gyi or main uss darbaan ke sath dusri seedhiya utarta hua haveli ke darwaze ke pichhe ke raste par aa gya.

Darbaan : kya bhai kitni der laga di tumne meri to jaan nikal rhi thi darr se.
Main : tumhara bohot-bohot shukriya tumne meri bohot madad ki hai ( apni jeb se kuch or paise nikalte hue) yeh lo rakho.
Darbaan : nahi bhai tumne pehle hi kaafi paise de diye hain
Main : arre rakh le yaar tere kaam aayenge.
Darbaan : (nazre niche karke muskurate hue) shukriya... or koi kaam ho to yaad kar lena.
Main : fikar mat karo shaam ko hi tumse ek or kaam hai mujhe.
Darbaan : achha...

Uske baad hum dono pichhe ke rastey se haveli ke bahar nikal gye or wapis haveli ke samne wale darwaze par aa gye waha se main apni gaadi me beth gya or woh darbaan apni jagah par jake beth gya. Maine gaadi start ki or wapis haveli ke pichhe ke darwaze ki taraf le gya waha nazi pehle se khadi mera intezaar kar rhi thi usne ek chhote se bache ko bhi pakad rakha tha. Maine jaldi se gaadi ka darwaza khola or usko ander aane ka ishara kiya woh bina kuch bole muskurakar gaadi ke ander beth gyi.

Nazi : (muskurate hue) yeh dekho hmara chhota Neer ... sunder hai naa

Main bina kuch bole uss bache ko apne god me uthaya or usko dekhne laga bohot hi masoom or khubsurat tha uska naak ek dam fiza jaisa tha or aankhen ek dam mere jaisi. Akhir tha bhi to mera khoon usko main jee bhar ke dekhta rha or khushi se meri aankho me aansu aa gye maine usko apne chehre ke kareeb kiya or uska matha chum liya or wapis nazi ko pakda diya. Uske baad maine gaadi ko apne purane ghar ki taraf wapis ghuma diya jaha ab qasim rehta tha.

Nazi : hum kaha jaa rhe hain Neer .
Main : hum qasim se milne jaa rhe hai.
Nazi : nahi main waha kabhi nahi jaungi uss zaleel insaan ka main mooh bhi nahi dekhna chahti.
Main : Tumhare samne hi sara hisaab barabar karke jaunga main.

Nazi bina kuch bole nazre jhuka kar beth gyi. kuch hi der me maine ghar ke samne gaadi ko rok diya.

Main : naazi tum yhi betho main abhi aata hoo.
Nazi : (haa me sir hilate hue ) achha.

Uske baad main gaadi se utra or jake ghar ke darwaze ke samne khada ho gya. Maine 1-2 baar darwaza khat-khataya jab kisi ne darwaza nahi khola to maine ek jordaar laat darwaze par maari jisse jhatke se darwaze ka ek hissa toot gya or hawa me latakne laga darwaza khul gya tha main bina kuch bole ander chala gya or charo taraf dekhne laga poora ghar waise ka waisa tha lekin samaan kaafi badal gya tha tooti-phooti chijo ki jagah nayi or mehangi chije aa gyi thi. Abhi main ghar ko dekh hi rha tha ki ek aurat meri taraf bhaag kar aayi. baad hum kuch der baate karte rhe phir waha se partol bharwa kar usko kuch paise diye patrol pump ki marammart ke liye or kuch paise uske khud ke ilaaj ke liye. Phir main apne safar ke liye wapis nikal pada. Main kareeb 9 ghante se lagatar gaadi chala rha tha isliye buri tarah thak gya tha or mujhe bhookh bhi bohot lag rhi thi lekin aas-pass kahi bhi koi hotel ya dhaba nahi khula tha jaha main khana khaa saku isliye maine gaadi chalate rehna hi munsahib samjha main subah tak lagataar gaadi chalata rha. Subah main uss shehar me aa gya tha jaha heena aksar mujhe ilaaj ke liye laya karti thi. Isliye gaadi ko maine ussi shoping mall ke samne rok diya jaha se rizwana ne mujhe kapde dilwaye the maine jaldi se gaadi ko park kiya or uss mall me chala gya subah ka waqt tha isliye poora maal khali nazar aa rha tha waha koi bhi log nahi the bas dukaan wale hi aaye hue the jo apna-apna maal set kar rhe the maine ek dukaan me jake Nazi, Fiza, Heena or baba ke liye naye kapde liye or kuch or samaan leke wapis gaadi me aake beth gya or fir se apna safar shuru kar diya. Uss shehar se mera gaav pass hi tha isliye jaldi hi main apne gaav ki sarhad me ghus chuka tha jaha se mera gaav shuru hota tha.

Kuch hi der me main mere gaav ke kaafi kareeb tak pohonch gya tha. Leh-lahate khet or taazi hawa ne meri saari thakaan ko ek dam gayab kar diya gaav ki taazi hawa me saans lete hi jaise mera rom-rom khil utha. Maine gaadi side par rok di or kuch der bahar aake gaav ki taza hawa or kheto ki haryaali ka maza lene laga wahi pass hi ek saaf paani ka tube-well tha jaha maine paani peeya or chehre ko dho kar wapis apne safar ke liye nikal pada. Ab kuch hi doori reh gyi thi or ab main kisi bhi waqt main mere gaav tak pohonch sakta tha isliye ab maine apni gaadi ki raftaar bhi badha di . Mujhe gaav me ghuste hi ek ajeeb si khushi mehsoos ho rhi thi ess lag rha tha jaise main apne ghar wapis aa gya hoo. kuch hi doori par mujhe mera khet nazar aya jaha main kaam kiya karta tha. maine foran gaadi roki or sabse pehle apne khet me chala gya waha ganne ki fasal ek dam teiyaar khadi thi. Main kuch der apne khet me ruka or fasal ka jayeza lene laga or sochne laga ki jarur yeh fasal nazi or fiza ne ugaayi hogi fir wapis aake apni gaadi me beth gya or apni gaadi ko apne ghar ki tarah dauda diya aaj main behad khush tha isliye bar-bar apne gharwalo ke liye khareede hue samaan ko bar-bar dekh rha tha or chum rha tha.


Kuch hi der me maine meri gaadi mere ghar ke samne rok di. Main jaldi se gaadi se utara or apna bag or gharwalo ke liye khareeda hua samaan nikala or tez kadmo ke sath apna ghar ke darwaze ke bahar khada ho gya. Main behad khush bhi tha or darr bhi rha tha ki jane itne waqt ke baad sab log mujhe dekh kar kaisa bartaav karenge. Fiza to jarur mujhse naraz hogi or naazi to jarur mere sath jhagda tak kar legi lekin haa baba jarur mera sath denge or unn dono ko chup karwa denge ese hi kayi an-ginat khayaal or apne jor-jor se dhadakte dil ke sath maine darwaza khat-khataya. Kuch der baad ek aurat ne darwaza khola or mere samne aake khadi ho gyi.

Aurat : haa kya kaam hai.
Main : ji main Neer hoon...
Aurat : (berukhi se) kon Neer ... kisse milna hai tumko.
Main : Aap kon ho or yha kya kar rhi ho.
Aurat : Aree ajeeb aadmi ho mere ghar me mujh se puch he ho ki yha kya kar rhi hoo... tum ho kon or kisse milna hai.
Main : ji aap baba nazi ya fiza me se kisi ko bhi bula dijiye woh mujhe jante hain.
Aurat : yha iss naam ka koi nahi hai daffa ho jao yha se.

Itna keh kar usne mere mooh par darwaza band kar diya. mujhe kuch bhi samajh nahi aa rha tha ki yeh kya hua sab log kaha gye or yeh kon aurat thi jo itni berukhi se mujhse baat kar rhi thi. Baba kaha hai, fiza kaha hai, Nazi kaha hai ese hi kai sawaal ek sath mere dimaag me chal rhe the jinka mujhe jawab dhoondhna tha. Main wapis Udaas or pareshaan halat me wapis apni gaadi ke pass aa gya or sara samaan wapis gaadi me rakh diya. Kuch der gaadi me bethne ke baad main sochne laga ki ab main kaha jau or kisse puchu inn sab logo ke bare me tabhi achanak mujhe yaad aya ki Heena mujhe inn sabke bare me bta sakti hai. Maine foran gaadi start ki or gaadi ko heena ki haveli ki taraf ghuma diya. Main uss waqt kaafi pareshaan tha isliye bohot tez raftaar se gaadi chala rha tha. kuch hi minute me maine gaadi ko choudhary ki haveli ke samne rok diya. samne mujhe 2 darbaan bethe nazar aaye. main foran gaadi se utaraa or unn dono ke pass jake khada ho gya. Inn dono darbano ko main janta tha isliye unko dekhte hi maine foran pehchaan liya.

Darbaan : kon ho bhai kya kaam hai.
Main : arre bhai mujhe bhool gye kya main Neer hoo yaad aya.
Darbaan : (sawaliya nazaro se mujhe dekhte hue) kon Neer ... kya kaam hai.
Main : yaar bhool gye main tumhari chhoti malkin ko gaadi chalani seekhta tha yaad hai.
Darbaan : (kuch yaad karte hue) haa... haa... yaad aa gya tum haidar baba ke chhote bete ho naa.
Main : haa main unhi ka beta hoo... mujhe tumhari memsaab se milna hai
Darbaan : (haste hue) pagal ho kya khud bhi maar khaoge humko bhi maar khilwaoge unse milne ki ijajat kisi ko nahi hai.
Main : lekin masla kya hai yaar pehle bhi to main unse milta hi tha naa.
Darbaan : aaj chhoti malkin ki shaadi hai isliye aaj unse milne ki ijajat kisi ko nahi hai.
Main : kya... aaj heena ki shaadi hai.
Darbaan : (haa me sir hilate hue) haa
Main : dekho yaar mera usse milna bohot jaruri hai meri majboori ko samjho.
Darbaan : (aapas me baat karte hue) thik hai lekin isme hmara kya phayeda.
Main : (apni jeb se kuch paise nikaal kar darbaan ko dete hue) ab to mil sakta hoo naa.
Darbaan : (khush ho kar note ginte hue) kitna waqt lagega.
Main : bas 10-15 minute jada se jada.
Darbaan : Thik hai lekin jada waqt mat lagana yeh mera sathi tumko pichhe ke rastey se haveli me le jayega lekin agar kisi ne tumko pakad liya to hum tumko nahi jante tum humko nahi jante bolo manzoor hai.
Main : (haa me sir hilate hue) manzoor hai ab chalo jaldi.

Uske baad ek darbaan mujhe haveli ke pichhe ki taraf le gya jaha se ek chhota sa darwaza tha jis par taala laga hua tha usne mere samne jaldi se taala khola or phir hum dono ander chale gye woh chaaro taraf dekhta hua or logo ki nazaro se bacha kar uper tak le aya or ungali se heena ke kamre ki taraf ishara kar diya.

Darbaan : (ungali se ishara karte hue) yeh wala kamra hai chhoti malkin ka ab jaldi jao or jada waqt mat lagana kahi koi aa na jaye nahi to dono marenge.
Main : shukriya... main jaldi aa jaunga.

Main dabe paav heena ke kamre me chala gya or kamre ko ander se kundi laga lee taaki koi bhi bahar ka ander naa aa sake. Maine jaise hi kamre me ghusa mujhe samne bed par heena leti hui nazar aayi jiski haalat dekh kar andaza lagaya ja sakta tha ki ya to woh bimaar hai ya phir woh sou rhi hai. uske pass hi mera kurta pajama pada tha jo usko maine pehanne ke liye diya tha jisse maine foran pehchaan liya. main jaldi se uske pass gya or usko kandhe se hila kar uthaya.

Main : (dabi hui awaz me)Utho Heenaaa.... Heenaa.... Heenaaa
Heena : (bina meri taraf dekhe) daffa ho jao yha se maine kaha naa main yeh shaadi nahi karungi.

Yeh baat sunkar mujhe bhi jhatka laga ki yeh heena kya keh rhi hai. Lekin main janna chahta tha ki asal majra kya hai heena kyo shaadi se mana kar rhi hai.

Main : (heena ko pakadkar uthate hue) Heena main hoo dekho mujhe ek baar...
Heena : (Thappad maarne ke liye apna hath uthate hue) Neer tummm... tum wapis aa gye.
Main : (muskurate hue) ha main wapis aa gya hoo kya hua hai... tumne yeh kya halat bna rakhi hai apni. (Apne hath se heena ke bikhre hue baal sawarte hue)
Heena : (rote hue mujhe gale lagakar) mujhe le chalo yha se Neer main yha ek pal bhi ab rehna nahi chahti.

Main kuch samajh nahi paa rha tha ki hua kya hai. Isliye bina usse koi or sawaal kiye main usko chup karwane laga. kuch der rone ke baad woh chup ho gyi phir maine pass pade glass se usko paani pilaya.

Main : ab thik ho.
Heena : (paani peete hue haa me sir hilate hue) Hhhmmm.....
Main : ab mujhe btao kya hua hai yha.
Heena : tumhare jane ke baad tum nahi jante yha bohot kuch ho gya hai mere sath bhi or tumhare gharwalo ke sath bhi.
Main : kya hua hai btao to sahi...
Heena : tumhare walid or fiza ab iss duniya me nahi hain.
Main : (hairaani se) kya... kab hua yeh sab kaise hua.
Heena : tumhare jane ke baad baba ki tabiyat bohot kharab rehne lagi thi isliye maine or naazi ne milkar unko hospital admit karwa diya bichari nazi ne bohot unki khidmat ki aakhri waqt me lekin uper wale ki marzi ke aagey kiya bhi kya jaa sakta hai woh nazi or fiza ko rota hua chhod kar chale gye.
Main : (apni aankh se aansu saaf karte hue) or fizaaa...
Heena : baba ke jane ke kuch din baad hi qasim jail se riha hoke wapis aa gya or aate hi usne dono ladkiyo par julm karne shuru kar diye. woh paise ke liye roz fiza ko marta tha uss begairat ko itna bhi taras nahi aya ki fiza maa banne wali hai usne to yha tak inkaar kar diya tha ki woh bacha uska nahi hai or woh fiza par gande-gande iljaam laga ke roz usko marta tha. ese hi ek baar usne fiza ke pet me laat maar di jisse uski tabiyat bohot jada kharab ho gyi bichari nazi bhagi-bhagi mere pass ayi hum dono milkar usko shehar leke gye lekin doctor ne kaha ki fiza ko bachana bohot mushkil hai or bache ki jaan ko bhi khatra hai isliye operation karna padega lekin operation ke baad bacha to bach gya lekin fiza ko doctor bacha nahi sake. lekin uski nishani aaj bhi nazi ke pass hai. Fiza ke kafan dafan ke baad qasim ne makaan or khet par kabza kar liya uske baad usne ek tavayaf se shaadi kar lee bichari nazi uss bache ko bhi sambhalti thi or din bhar ghar ka kaam bhi karti thi badle me usko 2 waqt ka khana bhi poora nahi diya jata tha qasim ki nayi biwi roz nazi ko bohot marti thi. Phir ek din Uss bad-zaat aurat ne nazi ko bhi ghar nikal diya. Qasim ke pass jab paise khatam ho gye to usne tumhare khet mere abbu ko bech diye.
Main : (Rote hue) Naazi or fiza ka bacha kaha hai.
Heena : (apne aansu ponchte hue) yhi hain mere pass nazi ab haveli me hi kaam karti hai.
Main : kya main mil sakta hoo unn dono se.
Heena : haa jarur mil sakte ho lekin mujhe niche jane ki ijajat nahi hai tum ruko main kisi ko bhej kar nazi ko bulwati hoo.

Uske baad heena ne mujhe parde ke pichhe chupne ko kaha or khud bahar khade darbaan se nazi ko bula kar laane ka kaha or wapis aake gate band kar liya or phir se aake mere pass bed par beth gyi.

Main : heena mujhe samajh nahi aa rha main yeh tumhara ahsaan kaise utarunga tum nahi janti tumne mere liye kya kiya hai.
Heena : pagal ho kya maine kuch nahi kiya... yeh to mera farz tha tumhare baad unka khayaal mujhe hi to rakhna tha na.
Main : (Heena ke dono hath chumte hue) shukriya... tumhara bohot-bohot shukriya agar main kabhi tumhare kisi kaam aa saku to khud ko bohot khush naseeb samjhunga.
Heena : Neer janna nahi chahoge meri shaadi kisse ho rhi hai.
Min : (sawaliya nazaro se heena ko dekhte hue) kis ke sath..?
Heena : tumhare Inspector khan ke sath.

Yeh mere liye ek or bada jhatka tha kyoki ussi ko to main yha maarne aya tha.

Main : kyaaaa...
Heena : main uss begairat insaan se shaadi nahi karna chahti Neer kyoki main tumse pyaar karti hoo uss kameene ne mere abbu ko bhi pta nahi kaise shaadi ke liye raazi kar liya hai jante ho jiss kameene par tum apne parivaar ke jimmedaari chhod kar gye the usne ek baar bhi aake yeh nahi dekha ki woh log zinda hai ya mar gye. bas Doctor rizwana kabhi-kabhi aati thi jo nazi or fiza ko kuch paise de jaya karti thi ghar kharch ke liye uske baad usne bhi aana band kar diya suna hai uski kisi car accident me maut ho gyi thi. mujhe woh insaan bilkul pasand nahi hai jo insaan apni jimmedaari thik se nahi sambhaal sakta kya garrenty hai ki woh mera khayal rakh lega.
Main : tum mujhse pyaar karti ho heena...??
Heena : (muskurakar nazare niche karke haa me sir hilate hue) Hhhmmm... kya tumhari jindagi me koi or ladki hai.
Main : (mujhe kuch bhi samajh nahi aa rha tha ki main kya jawab doo lekin heena ka mujh par ahsaan tha isliye maine bina kuch soche samjha usko haa kehne ka faisla kar liya) nahi yaar essi koi baat nahi hai mujhe bhi tum bohot pasand ho. Lekin tum meri jindagi ke bare me kuch nahi janti ek baar mera sach sun lo uske baad jo tumhara faisla hoga mujhe manzoor hoga.
Heena : mujhe kuch nahi pta mujhe sirf itna pta hai ki main tumse bohot pyaar karti hoo tum mujhe jis haal me bhi rakhoge main reh lungi or bohot khush rahungi tumhare sath.
Main : lekin main ek gangster hoo or mera naam Neer nahi shera hai.
Heena : to kya hua gangster shaadi nahi karte kya. mujhe usse koi pharak nahi padta main bas tumse pyaar karti hoo isse jada mujhe kuch nahi pta ab bolo mujhse shaadi karoge ya nahi.
Main : (bina kuch bole heena ka chehra pakad kar uske hoth chumte hue) mil gya jawab.
Heena : (aankhen phaad-phad kar mujhe dekhte hue) haaaa....

Tabhi kisi ne darwaza khat-khataya to hum log door hoke beth gye. Heena ne mujhe dubara parde ke pichhe chhup jane ka ishara kiya or khud darwaza kholne chali gyi. uske baad mujhe 2 awaaze sunayi dene lagi kyoki main parde ke pichhe tha isliye kuch bhi dekh nahi paa rha tha inme se ek awaz heena ki thi or dusri naazi ki thi.

Naazi : apane mujhe bulaya chhoti malkin.
Heena : kaha thi itni der chal ander aa tere liye ek tohfa hai mere pass.
Naazi : Konsa tohfa malkin?
Heena : pehle tu ander to aa phir dikhati hoo or aate hue darwaza band kar dena ander se.
Naazi : achha.

Uske baad kuch der kamre me khamoshi chha gyi phir main bahar nikalne ka intezaar karne laga ki kab heena mujhe awaaz de or main bahar nikalu.

Nazi : band kar diya darwaza chhoti malkin.
Heena : tujhe ek jaadu dikhau.
Nazi : konsa jadu.
Heena : shart laga le teri aankhen bahar aane ko ho jayengi mera jaadu dekh kar.
Naazi : main kuch samjhi nahi malkin.
Heena : samjhati hoo ruk... ab dekh mera jaadu... 1.... 2.... 3.....

3 kehne ke sath hi jhatke se heena ne mere samne aya hua parda hataa diya. Nazi mujhe aankhen phaad-phaad kar dekhne lagi or main bhi itne waqt ke baad nazi ko dekh rha tha isliye ussi jagah par kisi pathar ki tarah khada usko dekhne laga. Nazi pehle se bohot kamzor ho gyi thi or shayad rou-rou kar uske aankho ke niche kaale daag pad gye the. Hum dono ki hi aankhon me aansu the or bina palak jhapke ek dusre ko dekh rhe the. Nazi bina kuch soche samjhe bhag kar mere pass ayi or mere gale se lag kar jor-jor se rone lagi. Main bhi uske sir par hath fer kar usko chup karwane laga mujhe samajh nahi aa rha tha ki usko kya kahu or kaha se baat shuru karu. Woh kisi chhote bache ki tarah lagataar sisak-sisak kar mujhse liptak kar rou rhi thi. Maine heena ko ishara se paani laane ko kaha to woh bhagti hui bed ke pass pada 1/2 glass paani hi utha layi maine woh paani nazi ko pilaya or chup karwaya or usko pakad kar bed tak le aaya or usko bed par bitha diya or khud bhi uske sath beth gya. Kaafi der rone ke baad nazi ka man halka ho gya tha isliye ab woh behtar lag rhi thi.

Nazi : tum kaha the itne din Neer tum nahi jante tumhare pichhe hmare sath kya-kya ho gya baba or fiza bhabhi... (usne phir se rona shuru kar diya)
Main : main sab jaan gya hoo naazi mujhe heena ne sab bta diya hai. phikar mat karo main ab aa gya hoo naa tumhare sath jo bura hona tha ho gya ab rone ki unki baari hai jinhone hmare parivaar ko itna rulaya hai.
Heena : Nazi akeli aayi ho Neer kaha hai.
Main : tumhare samne to betha hoo.
Heena : (haste hue) tum nahi hmara chhota Neer .
Main : (sawaliya nazaro se heena ko or nazi ko dekhte hue) chhota Neer ...???
Heena : fiza ke bete ka naam bhi humne Neer hi rakha hai kyoki yeh naam humne nahi balki khud fiza ne hi rakha hai woh chahti thi ki uska beta bada hoke tum jaisa bane.
Nazi : (apne aansu saaf karte hue) main abhi leke aati hoo.
Heena : yha mat leke aana usko... tum essa karo haveli ke pichhe wale rastey par pohoncho hum dono abhi wahi aa rhe hain.
Main : abhi nahi shaam ko jayenge.
Heena : pagal ho gye ho shaam ko khan or uske log yha aa jayenge tab nikalna na-mumkin hoga.
Main : kuch nahi hoga mujh par bharosa rakho aaj khan ko maare bina main bhi yha se jane wala nahi hoo.
Heena : woh security officer wala hai usko maroge to sare security officerwale hmare pichhe pad jayenge.
Main : Won security officerwala hai to ab main bhi koi mamooli aadmi nahi hoo security officer ke har record me hmara naam shaan se most wanted ki list me top par likha jata hai (Muskurakar) ab chahe kuch bhi ho jaye usko maare bina mujhe chain nahi aayega ya to mar jaunga ya uss haramkhor ko maar dunga. Heena maine mere parivaar ke 2 azeez log khoye hain or woh sab uss kameene ki wajah se kyoki main jane se pehle apne parivaar ki jimmedari usko deke gya tha. Wese bhi uske sath mera kuch purana hisaab bhi hai woh nuksaan to main usko maaf bhi kar deta agar usne mere parivaar ka khayaal rakha hota. lekin yha aake jo mujhe pta chala hai uske baad agar maine usko zinda chhod diya to lahant hai mujh jaise bete par jo apne baap ki maut ka badla bhi nahi le saka.
Heena : main hamesha tumhare sath hoo.
Nazi : Neer tumko kya lagta hai sirf khan hi doshi hai baba ki or fiza bhabhi ki maut ka.... tum nahi jante qasim ne bhi hum par kam zulm nahi kiye Aaj agar fiza bhabhi hmare bich nahi hai to woh sirf uss kameene ki wajah se nahi hai.
Main : (Nazi ka hath pakadkar usko khada karte hue) chalo pehle yeh hisaab hi barabar kar lete hain.
Heena : ab tum kaha jaa rhe ho.
Main : main zra qasim se mil kar aata hoo... tab tak tum kisi se kuch mat kehna bas shaadi ke liye teiyaar ho jao.
Heena : thik hai lekin shaam tak tum aa jaoge naa.
Main : (haa me sir hilate hue) hhhmmm... fikar mat karo.
Heena : (haa me sir hilate hue) thik hai jaise tum kaho.
Main : naazi tum niche jao or chhote Neer ko leke tum mujhe haveli ke pichhe wale gate par milo.
Nazi : Achhaa...

Uske baad naazi or main heena ke kamre se bahar nikal aaye. Nazi wapis teaz kadmo ke sath seedhiyo se niche utar gyi or main uss darbaan ke sath dusri seedhiya utarta hua haveli ke darwaze ke pichhe ke raste par aa gya.

Darbaan : kya bhai kitni der laga di tumne meri to jaan nikal rhi thi darr se.
Main : tumhara bohot-bohot shukriya tumne meri bohot madad ki hai ( apni jeb se kuch or paise nikalte hue) yeh lo rakho.
Darbaan : nahi bhai tumne pehle hi kaafi paise de diye hain
Main : arre rakh le yaar tere kaam aayenge.
Darbaan : (nazre niche karke muskurate hue) shukriya... or koi kaam ho to yaad kar lena.
Main : fikar mat karo shaam ko hi tumse ek or kaam hai mujhe.
Darbaan : achha...

Uske baad hum dono pichhe ke rastey se haveli ke bahar nikal gye or wapis haveli ke samne wale darwaze par aa gye waha se main apni gaadi me beth gya or woh darbaan apni jagah par jake beth gya. Maine gaadi start ki or wapis haveli ke pichhe ke darwaze ki taraf le gya waha nazi pehle se khadi mera intezaar kar rhi thi usne ek chhote se bache ko bhi pakad rakha tha. Maine jaldi se gaadi ka darwaza khola or usko ander aane ka ishara kiya woh bina kuch bole muskurakar gaadi ke ander beth gyi.

Nazi : (muskurate hue) yeh dekho hmara chhota Neer ... sunder hai naa

Main bina kuch bole uss bache ko apne god me uthaya or usko dekhne laga bohot hi masoom or khubsurat tha uska naak ek dam fiza jaisa tha or aankhen ek dam mere jaisi. Akhir tha bhi to mera khoon usko main jee bhar ke dekhta rha or khushi se meri aankho me aansu aa gye maine usko apne chehre ke kareeb kiya or uska matha chum liya or wapis nazi ko pakda diya. Uske baad maine gaadi ko apne purane ghar ki taraf wapis ghuma diya jaha ab qasim rehta tha.

Nazi : hum kaha jaa rhe hain Neer .
Main : hum qasim se milne jaa rhe hai.
Nazi : nahi main waha kabhi nahi jaungi uss zaleel insaan ka main mooh bhi nahi dekhna chahti.
Main : Tumhare samne hi sara hisaab barabar karke jaunga main.

Nazi bina kuch bole nazre jhuka kar beth gyi. kuch hi der me maine ghar ke samne gaadi ko rok diya.

Main : naazi tum yhi betho main abhi aata hoo.
Nazi : (haa me sir hilate hue ) achha.

Uske baad main gaadi se utra or jake ghar ke darwaze ke samne khada ho gya. Maine 1-2 baar darwaza khat-khataya jab kisi ne darwaza nahi khola to maine ek jordaar laat darwaze par maari jisse jhatke se darwaze ka ek hissa toot gya or hawa me latakne laga darwaza khul gya tha main bina kuch bole ander chala gya or charo taraf dekhne laga poora ghar waise ka waisa tha lekin samaan kaafi badal gya tha tooti-phooti chijo ki jagah nayi or mehangi chije aa gyi thi. Abhi main ghar ko dekh hi rha tha ki ek aurat meri taraf bhaag kar aayi.
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)