Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#29
Main kursi par araam se betha tha ki itne me ek ghanti ki tannnn ki awaz se fight shuru ho gyi. sab logo ne dono fighters par apna daav lagana shuru kar diya. Main bade gaur se dono fighters ko dekh rha tha jo ghanti ki awaz se hi ek dusre par toot pade the or ladna shuru ho gye the. Kuch der fight ese hi chalti rhi tabhi fight ke bich me pichhe se mere kandhe par kisi ne hath rakha. Maine palat kar dekha to yeh japani tha jaisa ki mujhe khan ne btaya tha ki iss poore gang me yhi mera sabse jigri dost tha. Main usko dekhte hi foran apni kursi se khada ho gya or usko muskurakar dekhne laga. woh bina kuch bole mujhe gaur se dekh rha tha woh mujhe dekhkar rou bhi rha tha or muskura rha tha or fir usne mujhe apni taraf khinch kar gale se laga liya.

Japani : (Rote hue or muskurakar) bhai tu kaha chala gya tha yaar tujhe kitna dhoondha maine.
Main : bas yaar kya btau jane de bohot lambi kahani hai fir kabhi btaunga.
Japani : shera tu yha kyo betha hai chal uper aaja apne office me waha se fight dekhenge.
Main : (lala ko dekhte hue) chal lala chalte hain.

Uske baad hum teeno waha se uthe or sidhiya chadhte hue ek alishan se kamre me aa gye jiski samne ki poori deewar kisi kaanch ke glass ki bani thi jisse hum aar-paar dekh sakte the main cabin me ghuste hi glass ke pass jake khada ho gya or niche ho rhi fight dekhne laga. uper se niche ka nazara or bhi shaandar dikhayi de rha tha. tabhi mujhe japani ki awaz aayi.

Japani : shera bhai yha kyo khada hai yeh le yeh T.V me Live fight dekh le. (Bada sa Tv on karte hue)
Main : (palatkar Tv me dekhte hue) Yeh to or bhi saaf nazar aa rha hai.
Japani : bhai ab tu beth kar fight dekh main thoda kaam kar loo (pareshaan hote hue)

Uske baad woh log bethkar baate karne lage or main betha aram se Tv me fight dekhne laga. Fight khatam hote hi kuch log japani ke cabin me aa gye or aate hi 1 admi ne jor-jor se hasna shuru kar diya. Maine note kiya ki unn logo ke aane se japani kuch or jada pareshaan ho gya tha.

Unme se ek aadmi japani se : japani bhai tera fighter aaj phir se haar rha hai.
Japani : chhod naa yaar sali taqdeer hi kharab hai (kuch kaagaz ke tukdo ko phadte hue)
Main : kya hua japani pareshan lag rha hai bhai
Japani : kuch nahi yaar yeh to chalta rehta hai tu araam se fight dekh main thodi der me aata hoo lala iska khyaal rakhna.
Lala : (hath hilte hue ) ok....
Main : kya hua lala yeh pareshan kyo lag rha tha sab thik to hai.
Lala : kuch nahi yaar isne apna beda-gark khud kiya hai kitni baar bola hai ki yeh fight club iske bas ka nahi hai. iss dhandhe ko chhodkar mere sath club me aa jaye lekin yeh manta hi nahi.
Main : yeh bta masla kya hai.
Lala : hona kya hai yaar abhi jo log aaye the naa unke sath iski betting chalti hai carodo rupiyaa daav par lagta hai or har baar iska fighter haar jata hai japani iss waqt kaafi loss me chal rha hai ab agle hafte baba ko hisaab dena hai bas isliye yeh pareshaan hai.
Main : kya hum japani ki madad nahi kar sakte.
Lala : (apni kursi mere pass karte hue) meri jaan abhi to tu aaya hai itni jaldi yeh sab pangey me mat pad tu bas aish kar yaar.
Main : lekin yaar jab main tha tab bhi kya yeh fight club ese hi loss me chalta tha?
Lala : nahi yaar jab tu tha.... tab to yhi baba ka top bussiness hota tha uss waqt yha sab achha tha lekin aaj tere hi bnaye hue sab fighter shammi ke liye kaam karte hain or uski taraf se fight karte hain. isliye to japani ke pass ladne ke liye strong fighter nahi hai.
Main : yeh shammi kon hai.
Lala : wahi banda jo abhi hass rha tha paglo ki tarah.
Main : (haa me sir hilate hue) thik hai... achha mujhe fight ke rules bta mere pass ek fighter hai.
Lala : (jor se haste hue) rules konse yaar.... koi rule nahi hai jab tak samne wala fighter apne pairo par khada hone layak hai tab tak fight chalti rehti hai.
Main : (haa me sir hilate hue) samajh gya... ek kaam kar shammi ko bol ek or fight rakh le or yha ke fav fighter ko bula le jo bhi uske pass hai.
Lala : (hairani se mujhe dekhte hue) bhai tu kya karne wala hai.
Main : hisaab barabar karne ka waqt aa gya hai.
Lala : (pareshaan hote hue or sath hi phone utha kar kisi ko phone lagate hue ) jaldi uper aa yaar shera ka kuch masla hai...

Uske baad kuch der cabin me khamoshi chhayi rhi or thodi der me japani uper aa gya.

Japani : haa kya hua
Lala : shera bhai jaan kuch farma rhe hain.
Japani : (sawaliya nazaro se mujhe dekhte hue ) kya baat hai shera....
Main : shammi ko bol apne best fighter ko leke aaye aaj yha fir se fight hogi.
Japani : nahi yaar aagey hi bohot paisa haar chuka hoo baba meri jaan le lenge agar unko pta chal gya to....
Main : mujhe par aitbaar hai to fight rakh le tujhe haarne nahi dunga
Japani : tujh par to jaan se jada aitbaar hai yaar lekin yeh to bta fighter kon hai.
Main : Ring me dekh lena... abhi jitna bola hai utna kar.

Uske baad japani kuch der mere samne khamosh khada kuch sochta rha or fir bina kuch bole wapis niche chala gya or kuch der baad uske sath shami or uske aadmiyo ke sath dubara uper aa gya.

Shami : (mujhse hath milate hue) kya haal hai shera bhai aapka naam bohot suna tha darshan pehli baar hue hain.
Main : janab aaj ki ek fight or rakh lete hain
Shami : aapka hukum sir aankho par lekin baba ka hukum hai ki yha hafte me ek hi fight hogi dusri fight ki ijajat nahi hai mujhe baba se puchhna padega.
Main : baba se puchhne ki jarurat nahi hai jab main keh rha hoo to garenty bhi meri hai.
Shami : woh to thik hai lekin daav par kya lagaoge aap logo ka aaj ka collection to japani haar chuka hai (muskurate hue)
Main : agar main haar gya to main samne betha hoo tumhare jo chahe kar sakte ho lekin agar jeet gya to mere jeetne ke baad tumne jo bhi japani se jeeta hai sab wapis karna padega.
Shammi : (haste hue) main itna chutiya lagta hoo kya jo ek jaan ka sauda carodo me karunga.
Japani : (bich me bolte hue) agar hum yeh fight haar gye to hmara fight club aapka.
Shammi : yeh hui naa mardo wali baat mujhe manzoor hai
Lala : ghanta manzoor hai.... tum dono pagal to nahi ho gye ho itna bada daav khel rhe ho woh bhi baba se ijajat liye baigair.
Japani : jo hoga main dekh lunga mujhe mere yaar par aaj bhi poora aitbaar hai (mere kandhe par hath rakhte hue)
Lala : tum dono pagal ho gye ho japani yaar ek baar fir soch le bohot lafda ho jayega.
Main : kuch nahi hoga yaar bharosa kar mujh par
Lala : (sir jhatakte hue) tum jo marji karo lekin yaad rakhna kuch panga hua to baba ko jawab tum dono dogey maine bol dena hai ki maine mana kiya tha tum dono ko.
Japani : Thik hai.... jo hoga dekha jayega (muskurate hue)
Shami : thik hai fir special fight hai to special ring bhi hona chahiye kya kehte ho...
Japani : special ring hi hoga shammi bhai (meri taraf muskurakar dekhte hue)

Uske baad shammi waha se chala gya or main or japani niche ring me chale gye jaha humne ek special fight announce kar di. jiske jawab me waha ke logo ne shor machake apni khushi ka izhaar kiya. Uske baad japani apne logo ko kuch samjhane chala gya or main wapis uper cabin me aake beth gya. aate hi lala fir se mere pass aa gya or mujhe samjhane me lag gya.

Lala : yaar ek baar fir soch lo tum bohot jaldbaaazi kar rhe ho kuch masla na ho jaye.
Main : kuch nahi hoga yaar fikar mat kar.
Lala : lekin tum jis fighter par itna bada daav khel rhe ho woh fighter hain kon milwa to de yaar.
Main : (muskurakar ) leh mil le fir... fighter tere samne betha hai.
Lala : (had-badakar khada hote hue) shera tera dimaag to thik hai yaar tu abhi itni badi bimari se wapis aaya hai.... nahi...nahi.... yaar tu rehne de tu inn fighters ka muqabla nahi kar payega or waise bhi japani bhi tujhe ladne ki ijajat nahi dega.
Main : tu fikar mat kar kuch nahi hoga yaar main hoo naa sab sambhaal lunga or apne yaar ko itna kamzor mat samajh.... apne hi jeetenge.... aaj sala changez khaan bhi kyo na aa jaye sala apne pairo par chalkar nahi jayega.
Lala : dekh yaar tu hmara yaar hai isliye rok rhe hain humara kaam paisa lagana hai yaar khud ring me utarkar ladna nahi hai.
Main : kya maine pehle kabhi fight nahi ki iss ring me?
lala : ki hai yaar bohot fight ki hai or aaj tak tu kabhi hara bhi nahi lekin pehle or ab me bohot farak hai yaar ab to tujhe kuch yaad bhi nahi hai tu kaise ladega uske fighter ke sath.
Main : (kuch sochte hue) abhi fight me bohot waqt hai.... ek kaam kar agar meri purani fight ki koi video padi hai to leke aa main dekhna chahta hoo.
Lala : achha abhi lata hoo

Uske baad main akela cabin me betha tha isliye wapis sheeshe ke pass aake niche dekhne laga jaha japani ke tamaam log lage hue the naya ring teiyaar karne me. main bas yhi soch rha tha ki maine ladne ke liye haa to bol diya hai lekin kya main lad bhi sakta hoo ya nahi. ander se mujhe bhi darr lag rha tha lekin inn logo ke dil me jagah bnane ka mere pas isse achha moqa nahi tha isliye maine ladayi ke liye haa bol diya tha. kuch hi der baad lala wapis aaya uske hath me ek bada sa cartoon tha jisme bohot si C.D padi thi.

Lala : leh bhai tera kaam kar diya hai aaj tak tune jitni bhi fight ladi hai unn sab ki video footage isme mojood hai araam se beth kar dekhta reh.
Main : thik hai
Lala : or kuch chahiye....
Main : (naa me sir hilate hue) shukriya.


Uske baad main woh cartoon me se video CD nikal kar player me lagane laga or apni purani jindagi ko yaad karne ki koshish karne laga. Lekin afsos mujhe kuch bhi yaad nahi aa rha tha isliye main bas apne daav-pech hi gaur se dekhne lga jo shayad meri fight me kaam aa sakte the mujhe nahi pta tha ki yeh daav- pech mere kisi kaam bhi aa sakte hain yaa nahi lekin fir bhi main iss fight ko jeetne ke liye sab ko bade gaur se dekh rha tha. uske baad fight shuru hone ka waqt aa gya niche logo ki bheedh bhi badhne lagi thi or sab teiyaariyan bhi mukammal ho chuki thi ring bhi teiyaar tha or shammi ka fighter or shammi bhi niche aa chuke the. Lekin main abhi tak unhi video fottege ko hi dekh rha tha tabhi lala cabin me aa gya.

Lala : bhai sab kuch ready hai.
Main : haa chalo main bhi ready hoo.
Lala : yaar ek baat fir soch le tujhe yeh fight ladne ki koi jarurat nahi hai
Main : jarurat hai lala apne liye nahi apne yaaro ke liye aaj shera ladega or naa sirf ladega balki jeetega bhi.
Lala : (mujhe gale lagate hue) kon bolta hai tu pehle jaisa nahi rha.

Uske baad maine apni shrt utaar di or sirf jeans pent pehna hua sidhiyo se niche utar gya tab tak shami ka fighter bhi ring me aa chuka tha jo iss ring ka ab fav. ban chuka tha or ek bhi fight nahi hara tha. Mere niche utarte hi reffary ne mera naam pukara jis par sab log ne hath hawa me utha kar mere naam ka naara buland kar diya. Lala mere pichhe mera naam pukaarte hue aa rha tha lekin mujhe japani kahi bhi nazar nahi aa rha tha meri nazre chaaro taraf japani ko dhoondh rhi thi isliye maine lala ko ishare se japani ke baare me puchha to usne ring ke ander ishara kiya. uske baad main bina koi jawab diye ring ki taraf badh gya jaha shami or shami ka fighter mojud the. Mere ring ke pass aate hi japani mere pass aake khada ho gya or mera ek hath pakad kar hawa me uper utha diya....

Japani : bhai aaj dikha de purana shera....
Main : (muskurakar japani ko gale lagate hue) koshish karunga...

Uske baad main ring ke ander chala gya jaha shami ka fighter mere samne aake khada ho gya woh qadd me or shareer me mujhse lag-bhag doguna tha lekin fir bhi waha par mojud tamaam log shera...shera....shera..... naam pukaar rhe the jisse mujhe bohot hosla mil rha tha.

Fighter : shammi sahab yeh ladega mere sath.
Shami : haa bhai kya kare kuch logo ko shaheed hone ka shonk hota hai.
Fighter : (haste hue) Logo ne tujhe sher bola or tu aa gya pinjre me marne ke liye, Aaj to iss sher ki bhi qurbani hogi....
Main : (haste hue) hathi kitna bhi bada ho jaye sher ka shikaar nahi kar sakta munna or wese bhi qurbaani bakre ki di jati hai sher ki nahi sher apni khuraak khud dhundh leta hai.
Fighter : dekhte hain aaj kon kisko khuraak bnata hai tere jaise kitne hi aaye or dhool chaat kar chale bhi gye. lekin main wahi ka wahi khada hoo.
Main : tu khada hai kyoki tera shera se samna nahi hua tha aaj tera yeh khade rehne ka weham bhi door ho jayega kyoki fight ke baad tu khada hona to door ki baat hai keede ki tarah rengne layak bhi nahi bachega.

Uske baad shammi or japani ring se bahar chale gye or reffery hum dono ka naam elaan karne ke baad woh bhi ring se bahar chala gya. ab ring ka darwaza bahar se band ho gya tha or main ghanti bajne ka intezaar karne laga tabhi uper se paani barasne laga jaise bareesh ho rhi ho. Maine sir utha kar uper dekha to uper bohot saare fuwware lage hue the jinse bareesh jaise paani nikal rha tha kuch hi der me ring ki zameen poori tarah geeli ho gyi. Ab main or woh fighter dono ring ke alag-alag kone me khade the. Tabhi ghanti ki tannnn se awaaz hui or woh fighter meri taraf bhaga or jump lagake mere uper kood pada. Usse bachne ke liye maine apni karwat badal lee jisse woh jake lohe ki jaali se takra gya. maine jaldi se palatkar ek taang hawa me uthayi or uski peeth me maar di. jab main dubara usko taang maarne laga to woh palat gya or usne meri taang pakad lee isse pehle ki woh kuch kar pata maine apni body ka sara weight ussi pakdi hui taang par daal diya or uske hath par khada hoke uper ko uchhal gya sath hi apna ghutna uske mooh par maara jisse uske naak se khoon nikalne laga. ab main usse kuch door khada tha or uske agle hamle ka intezaar kar rha tha. woh apne hath se apna naak saaf karte hue fir se meri taraf gusse se badhne laga. Maine gili zameen ka faida uthaya or jaldi se niche zameen par fisal gya jisse meri dono taangey uski taango ke samne aa gyi maine apni ek taang uske ghutne ke jod par jor se maari jisse woh khud ko sambhaal nahi paya or mere uper hi gir gya. mere uper girte hi usne mera gala pakad liya or mera gala dabane laga. maine kaafi koshish ki lekin uske haath ki pakad kaafi mazboot thi. Uske gala dabane se niche pade paani se mujhe saans lene me taqleef ho rhi thi. maine jaldi se apne dono hath uske mooh par rakhe or apne hath ki 2 ungaliyaa uski aankhon par maar di jisse kuch pal ke liye usse dikhna band ho gya mere liye itna waqt kaafi tha maine jaldi se usko palat diya or khud uske uper aa gya tha ab maine uski ek hath se garden pakdi or dusre hath se uske chehre par mukke marne laga lekin shayad mere mukko se uske chehre par kuch khass asar nahi ho rha tha isliye maine apni kohni ko uske sir me jor se maara jisse uske sir se khoon nikalne laga.
Mujhe mera yeh daav kaam ka lga isliye maine bar-bar apni kohni uske sir me maarni shuru kardi. 5-6 baar sir me chot khane ke baad usne apni dono baaju uper kar lee or apna sir bacha liya ab maine apni jagah badli or uska pair pakad liya or ulti direction me ghumane laga jisse shayad usko intehaa dard hua tha isliye usne apna dusra pair jor se mere pet me mara or main door jake gir gya. Main fir se khada ho gya or uske khade hone ka intezaar karne lga isse baar usne kuch waqt liya khada hone me or lohe ki jaali ko pakd kar woh fir se khada ho gya main ab usse kaafi fasle par tha main ab soch rha tha ki isko kaise dubara girau tabhi mujhe video fottage ka ek move yaad aaya jo maine kaafi video me istemaal kiya tha maine door jaake khada ho gya or kisi janwar ki tarah apne dono hatho par or ghutno par beth gya woh poore gusse ke sath meri taraf badhne laga. woh jaise hi meri taraf bhaga main bhi niche jhuk kar bhagne laga or hawa me uchhal kar kisi mendhak ki tarah uss par kood pada mera kandha uske pet me laga jisse woh wahi zameen par gir gya. ab main usko uthane nahi dena chahta tha isliye jaldi se uske pass gya or uska sir apni dono taango me daba kar jor se khinch diya isse death lock kaha jata hai. woh kuch der apne hath-pair hilata rha lekin ab uski saans tootne lagi thi maine jab dekha ki woh ek dam bejaan sa hone laga hai to maine apni pakad se usko azaad kar diya. Iss baar woh khada nahi ho sakta tha kaafi der intezaar karne ke baad bhi jab woh khada nahi hua to ring ka gate khul gya or japani or lala ring me aa gye or mujhe apne kandho par utha liya. woh dono mere jeetne se bohot khush the or bahar logo ki bheedh sirf mera hi naam pukaar rhi thi. tabhi ring me shammi aa gya...

Shammi : (phiki hassi ke sath) mubaarak ho shera bhai
Japani : ab bolo shammi bhai kya kehte ho... afsos !!! apka paisa or aapka fighter dono kaam se gye. ab apna agla pichhla sab hisaab barabar.
Shami : (apne maathe se paseena saaf karte hue) thik hai....

Uske baad shammi apne zameen par pade fighter ko ek laat maar kar ring se chala gya or mere dost mere aane ki or jeetne ki khushi me lag gye. Fir jaise hi main ring se bahar aaya to waha par khade logo ne mujhe uper utha diya or poore fight club me mera naam pukaara jane laga. kuch der main ese hi unn logo ke sath apni khushi manata rha fir uper se mujhe lala ne ishara kiya or uper aane ko kaha to main waha ke logo ka shukriya ada karke wapis uper aa gya.

Lala : Aaja mere sher aaj to tune kamaal kar diya yaar tu nahi janta tune shammi ko kitna bada loss diya hai.
Main : maine yeh fight loss ya profite ke liye nahi dosti ke liye ki thi.
Japani : (glass me sharab dalte hue) janta hoo yaar lekin kuch bhi bol sale shammi ki shaqal dekhne wali thi essa lag rha tha jaise kisi ne uski ijjat loot lee ho...
Main : chal ab jo hona tha ho gya kal se tu yha naye ladke bula jinko main fir se training dunga.
Lala : lekin yaar tu kaise.....
Main : kyo mujhe kya hai main agar lad sakta hoo to ladna nahi seekha sakta kya.
Japani : woh baat nahi hai yaar lekin pehle tu baba se ijajat le lega to behtar hoga.
Main : haa yaar yeh baba ka naam bohot suna hai kon hai yeh baba inse kab milunga main.
Lala : shera baba woh hai jinhone ne teri meri hum sabki parvarish ki hai yeh sab kuch baba ka hi to hai.
Main : kya baba jante hain main wapis aa gya hoo.
Japani : mere dost jo bhi hota hai woh sab kuch baba ko pta hota hai
Main : to mujhe baba se bhi milwao naa yaar
Lala : abhi nahi yaar kuch din tu hmare sath hi reh fir baba se bhi mil lena kyoki abhi baba mulq se bahar gye hue hain.

Uske baad main kuch din waha rha or sab logo ke sath ghulne milne ki koshish karne laga main waha ke tamaam logo ka dil jeet bhi liya tha lekin mera maksad yha se information collect karna tha isliye ab mera sara din hotels me or raat fight club me guzarne lagi thi. mere bohot koshish karne ke baad bhi main kisi bhi tarah ki information nahi nikaal paa rha tha kyoki sab mujhe kisi mehmaan ki tarah treat kar rhe the woh log mujhe apne jashan me or party me to shamil karte the lekin apne bussiness ki koi bhi baat mere samne nahi karte the. kuch din ese hi guzarne ke baad ek din mujhe lala se pta laga ki chhote sheikh (sheikh sahab ka beta) wapis aa rha hai or mujhse milna chahta hai. Kyoki mujhe pichhla kuch bhi yaad nahi tha isliye main use bhi apna dost or hamdard hi samajh rha tha yhi aagey chalkar meri sabse badi galati sabit hui.
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)