03-12-2019, 05:03 PM
Yeh baat hum sab ke liye kisi jhatke se kam nahi thi. Sabke dimaag me ek hi baat thi ki kyo doctor rizwana ne mujhe galat dawayi di. Akhir kyo khan jaisa neq or imaandar insaan mere sath essa kar rha hai. ab meri samajh me aa rha tha ki raat ko mujhe itni bachaini kyo hui akhir kyo mere sir me itna jabardast dard hua yeh sab doctor rizwana ki di hui dawayi ka hi kamaal tha. abhi main isi baat par soch hi rha tha ki heena ki awaz aayi.
Heena : yeh konse befkuf doctor ke pas leke gye the aap log Neer ko agar inhe kuch ho jata to kabhi socha hai.
Fiza : (pareshaan hote hue) mujhe to khud kuch samajh nahi aa rha nahi to inka bura to hum soch bhi nahi sakte.
Doctor : koi baat nahi abhi to sirf ek hi dose ander gyi thi isliye jada kuch asar nahi hua. yeh main aapko kuch dawayi likhkar deta hoo aap log le aayiye or inhe dena shuru kar dijiye or baki yeh wali dawayi inhe dubara mat dena.
Heena : (dawayi ki parchi pakadkar haa me sir hilate hue) koi baat nahi main kisi ko bhej kar abhi shehar se mangwa leti hoo.
Fiza : hume maaf kar do Neer hume nahi pta tha ki uss khabeez ne tumko galat dawayi di hai hum to usse neq insaan samajhkar bharosa kar bethe.
Main : koi baat nahi isme apka kya kasoor hai. ab jawab to khan ko dena hai.
Fiza : ab ghar me ghuskar to dikhaye kameena taangey tod dungi uski.
Main : koi kuch nahi bolega usko... abhi mujhe yeh baat janne do ki usne essa kyo kiya.
Fir doctor ne mujhe ek injection lagaya jisse kuch hi der me mera bukhaar bhi utar gya uske baad heena ne bhi apne driver ko doctor ko shehar chhodne ke liye bhej diya sath hi woh dawayi ki parchi bhi usko de di. jab tak driver nahi aaya heena or fiza mere pass hi bethi rhi lekin nazi kamre ke bahar hi khadi rhi usko sab ander bulate rhe lekin woh ander nahi aayi bas darwaze par khadi mujhe dekhti rhi.
Mere dimaag me bas inspector khan or doctor rizwana ka hi khayaal tha mere dimaag me iss waqt ek sath kai sawaal chal rhe the. fir achanak iss doctor ki kahi hui baat yaad aayi ki mujhe mere khoon me mili sharab ne bachaya. Lekin main to sharab peeta hi nahi fir mere khoon me sharab kaise ayi. ese hi kai sawaal the jinke jawab mujhe chahiye the mujhe sirf ek hi insaan pta tha jo meri beeti hui jindagi ke bare me janta tha jisse main apne bare me jaan sakta tha ki main kaun hoo or meri asaliyat kya hai isliye maine soch liya tha ki ab inspector khan se hi apni asaliyat pta karunga.
Heena or fiza mere pass bethi rhi or mere bare me hi baate karti rhi lekin main bas apne hi khyaalo me gum tha or aane wale waqt ke bare me soch rha tha. jane kab mujhe neend aa gyi or main sou gya mujhe pta hi nahi chala. Raat ko jab meri jaag khuli to main uthkar beth gya mere pass hi kursi par fiza bethi-bethi hi sou gyi thi main uth kar khada hua to maine khud ko bohot taaza mehsoos kiya jaise mujhe kuch hua hi nahi. maine fiza ko uthana sahi nahi samjha isliye usko dheere se seedha karke kursi par bithaya or ek baju uski gardan me daali or dusri uski taango ke niche se lejakar usse god me utha liya or bed par achhe se lita diya woh ab bhi neend me thi or soyi hui bohot masoom lag rhi thi. uske chehre par aane wali latt uski khubsurati ko or nikhaar rhi thi maine uske khubsurat chehre se woh bal ki latt ko ungali se side par kiya or uske masoom chehre ko dekhne lga or din bhar hue sare halaat ke bare me sochne lga ki kaise fiza ne sara din meri khidmat ki. woh shayad thik hi kehti thi ki duniya ke liye uska shohar qasim tha lekin asal me woh mujhe apna shohar manti thi. ek waffadar biwi ki tarah hamesha mera itna khyaal rakhti thi. maine halke se uske hotho ko chum liya jisse uski aankhen khul gyi or woh muskurakar mujhe dekhne lagi.
Fiza : aap uth gye jaan... ab kaisa mehsoos kar rhe hain.
Main: bohot achha mehsoos kar rha hoo jaise kuch hua hi nahi mujhe. lekin yaar tum kyo jaag gyi sou jao abhi bohot raat baki hai.
Fiza : main to aapke pass hi bethi thi.... jaan pta hi nahi chala kab aankh lag gyi.
Main : koi baat nahi ab tum aram karo.
fiza : nahi aap yha sou jao main ab uss kamre me jake sou jaungi.
Main : kyo yha sou jaogi to kuch ho jayega.
Fiza : hoga to kuch nahi par abhi aapko aaram ki jarurat hai.
Main : tumhare uper let jata hoo naa isse jada araam to duniya me nahi hoga.
Fiza : (mere dono gaal pakadkar khinchte hue)thik hote hi badmashi shuru kardi (muskurate hue) ab aap uper letna to bhool hi jayiye kuch waqt ke liye.
Main : kyo.....
Fiza : woh isliye kyoki ab mere sath koi or bhi hai...main nahi chahti mere chhote neer ko aapki kisi shararat ki wajah se taqleef ho. (muskurate hue) Lekin haa sath jarur let sakti hoo.
Main : achha matlab ab pyaar karna bhi band...(rone jaisa mooh banate hue)
Fiza : sirf kuch maheeno ke liye uske baad jaise chahe pyaar kar lena. (mere hoth chumte hue)
Uske baad hum ese hi kuch der baate karte rhe or fir fiza apne kamre me jake sou gyi or main bhi wapis apne bister par aake let gya or kuch der me dawayi ke nashe ki wajah se dubara sou gya. mere 2-3 din ese hi guzre baba ne mujhe khet par bhi nahi jane diya or main sara din ghar par hi betha rehta. Lekin nazi se ab main doori bnake rakhne lga tha woh har waqt mujhse baat karne ki koshish karti lekin main har baar uski baat ko ansuna kar deta. Haa itna jarur tha ki roz sham ko heena mera pta lene aati or mere sath thoda waqt guzarti meri wajah se woh nayi gaadi lene bhi nahi gyi kyoki woh chahti thi ki main thik hoke uske sath shehar chal saku. jitne din main khet nahi gya utna din heena ne apne mulazimo ko mere khet me lagaye rakha taaki meri gair-mojudgi me woh log mere khet ka khyaal rakhe.
Mujhe ab ghar me pade hue 3 din ho gye the or fir agli subah Doctor rizwana aa gyi mera Check-up karne ke liye. Uss waqt baba sair karne gye hue the isliye Fiza ne or Nazi ne aate hi usko sunani shuru kardi. Main bhi uss waqt sou rha tha lekin fiza or naazi ki oonchi awaz se meri jaag khul gyi or main uthkar apne kamre se bahar chala gya to waha fiza or nazi Doctor rizwana se jhagad rhi thi or Rizwana nazre jhukakar sab sunn rhi thi.
Main : Kya hua shor kyo macha rakha hai.(Ankhen malte hue)
Fiza : Tum ander jao neer mujhe baat karne do. (gusse me)
Rizwana : Ab aap kaise hain.
Main : Arre doctor aap... ji main ek dam thik hoo. (muskurate hue)
Fiza : yeh jhoothi ham-dardi agar aap naa dikhaye to hi achha hai agar aapko neer ki itni hi fikar hoti to aap usko kabhi galat dawayi na deti. Humne aap par or Inspector khan par itna bharosa kiya or aapne hmare sath kitna fareb kiya. kabhi aapne socha agar aapki galat dawayi se inko kuch ho jata to....
Rizwana : Ji kuch nahi hota inko.... aap log ek baar meri baat sunn lijiye.
Nazi : Hume ab aapki koi baat nahi sunni Meharbani karke aap yha se chali jao.
Rizwana : (pareshan hoke apne purse se mobile nikalte hue) Achha thik hai main chali jaungi lekin ek baar meri baat sunn lijiye plzzz.
Nazi : Ab kya jhoothi kahani sunani hai.
Rizwana : (phone par number dail karte hue) Bas 2 mint dijiye mujhe.
Rizwana : (phone par) Kaha ho tum..... jaldi se shera ke ghar aao.... mujhe nai pta.... Haa thik hai.... Achha..... Ok (phone rakhte hue)
Fiza, Nazi or main hum teeno Rizwana ke jawab ka intezaar kar rhe the or sawaliya nazaro se uski taraf dekh rhe the.
Rizwana : dekhiye maine koi bhi kaam galat nahi kiya maine wahi kiya jo mujhe inspector khan ne kaha. neer jaisa ab hai waisa hi sari umer rhe isliye iski purani yaddasht mitni jaruri thi kyoki agar iski yaadashat wapis aati hai to fir yeh aaj jaisa nahi rahega mumkin hai fir yeh neer bhi na rhe or fir se shera ban jaye. kyoki iski purani jindagi me yeh ek bohot bada apradhi hai. Khan ko bhi iski ese hi jarurat hai woh purane shera par bharosa nahi kar sakta lekin neer par kar sakta hai kyoki woh isko ek ese mission par bhejna chahta hai jaha yeh jayega shera bankar lekin hoga neer hi.
Fiza : meri to kuch samajh nahi aa rha aap kya keh rhi hai. (pareshaan hote hue)
Rizwana : neer aaj ek neq-dil insaan hai isme koi shaq nahi maine hi iska Lie ditector test kiya tha usme isne mujhe wahi sab btaya jo aap logo ne khan ko btaya tha. Lekin iske dimaag ki scanning karke mujhe pta chala ki iski yaddasht wapis aa sakti hai agar isko iski purani jindagi yaad karwayi jaye to or aaj bhi iske dimag ke sirf ek hisse se yaddasht khatam hui hai agar isko iski purani jindagi me wapis leke jaya jaye to iski woh yaddasht wapis aa sakti hai or isi wajah se aaj bhi isko apni purani jindagi ki kaafi chije aaj hi yaad hai or iske dimaag ke internal memory me store hai isliye aaj bhi yeh ladayi karna, gaadi chalana, hathiyaar chalana or baaki kaam jo yeh bachpan se karta aaya hai isko aaj bhi yaad hai or aaj bhi yeh wese hi bohot maharat ke sath sab kaam kar leta hai agar yeh waha jake shera ban gya to fir yeh hmare kisi ka kaam nahi rahega.
Fiza : Inko bhejna kaha hai (sawaliyaa nazaro se)
Rizwana : wahi to main bta rhi hoo ki khan isko iske gang tak pohoncha dega jaha yeh khan ka informer bankar iske gang ki khabar hum tak pohonchayega. isse khan iske saare gang ko khatam kar sakta hai.
Abhi Rizwana baat hi kar rhi thi ki ghar ke samne ek Jeep aake ruki or sab log ek sath darwaze ke bahar dekhne lage. Jeep me se khan utra or seedha ghar ke ander aa gya Fiza or nazi ab bhi usse gusse se dekh rhi thi.
Rizwana : achha hua tum aa gye inko dawayi ke or mission ke bare me btao. (gusse se)
Khan : maaf kijiye maine aapse kuch baate raaz rakhi lekin maine aapke Baba ko sab bta diya tha or unki ijajat se hi isko yaddasht ki dawayi dilwayi thi.
Fiza : (hairani se) Baba jante the galat dawayi ke bare me.
Khan : ji jante the... maine hi unko mana kiya tha ki abhi kisi se kuch na kahe.
Nazi : aane do baba ko bhi inse to hum baat karengi pehle tum yeh btao yeh doctorni kya keh rhi hai neer ke bare me inko kaha bhejna hai tumne.
Khan : Maine aapse pehle hi kaha tha ki aaj neer kuch bhi hai lekin iske purane paap isko itni asani se nahi chhodenge isko kanoon ki madad karni padegi tabhi yeh azad ho sakta hai.
Main : (jo itni der se khamosh sabki baate sunn rha tha) kya karna hoga mujhe.
Khan : hmari madad karni hogi tumhare gang ka safaya karne me.
Main : Gang konsa gang
Khan : (apne coat ka button band karte hue) Yeh log har bura kaam karte hain Druggs bechne se leke hathiyaar bachne tak har gunaah me inka naam hai. Inke naam an-ginnat case hain lekin koi saboot nahi hai isliye hamesha bari ho jate hain.
Main : to aap mujhse kya chahte hain.
Khan : mujhe saboot chahiye jo mujhe sirf tum hi lake de sakte ho.
Main : main hi kyo apne pass to itne log hai kisi ko bhi shamil kar dijiye unn logo me....
Khan : kyoki tum inke purane aadmi ho tum par woh log asani se bharosa kar lenge naye aadmi ko woh apne pass tak nahi aane dete. Tum apni purani jindagi me sheikh sahab ya tumhare liye baba ke right-hand the isliye jaha tum pohonch sakte ho mera koi aadmi nahi pohonch sakta.
Main : thik hai lekin uske liye meri yaddasht khatam karne ki kya jarurat thi main to waise bhi aapka kaam karne ke liye teiyaar tha.
Rizwana : kyoki tumhare dimaag ki sccaning karke mujhe pta chala ki agar tumko tumhari purani zindagi me leke jaya jaye to tumhari yaddasht laut sakti hai fir na tum neer rahoge na hi yeh tumhare gharwale. Matlab saaf hai fir tum unn logo me jake hmari madad nahi karoge apni purani jingadi me hi laut jaoge bas isliye tumhari purani yaddasht mitaa rhe the taki tumko tumhare yeh gharwale or tumhari neqi yaad rhe.
Khan : Seedhi si baat hai humko neer par aitbaar hai Shera par nahi.
Tabhi baba bhi ghar aa gye....
Baba : arre khan sahab aap kab aaye.
Khan : (Adab se salaam karte hue) ji bas abhi woh thoda masla ho gya tha.
Nazi : baba aapko sab pta tha to humko kyo nahi btaya (gusse se)
Baba : beti maine jo kiya iske bhale ke liye kiya main nahi chahta tha ki yeh bhi qasim ki tarah jail me apni jindagi guzaare.
Main : baba aapne jo kiya thik kiya lekin mujhe iss dawayi ki jarurat nahi hai main aapka beta hoo or aapka hi beta rahunga or yaqeen kijiye main khan ka har haalat me saath dunga.
Khan : Soch lo.. tum par main bohot bada daav khelne jaa rha hoo kuch gadbad hui to....
Main : (bich me bolte hue) aap ko mujh par bharosa karna hoga.
Khan : thik hai... wese bhi mere pass or koi rasta hai bhi nahi....
Main : to kab jana hai mujhe fir...
Khan : Arre itni jaldi bhi kya hai tum abhi iss layaq nahi ho ki waha tak bhej doo uske liye pehle tumko trained karna padega har chij seekhani padegi.
Rizwana : kyo naa aap kuch din ke liye hmare pass shehar aa jaye waha hum aapko sab kuch seekha bhi denge.
Fiza : Kitne din ka kaam hai. (pareshan hote hue)
Khan : jada nahi bas kuch hi din ki baat hai.
Baba : khan sahab aapko humse ek vaada karna hoga
Khan : (sawaliya nazaro se baba ko dekhte hue) kaisa vaada janab...
Baba : yhi ki aapka mission poora ho jane ke baad aap sahi salamat neer ko wapis bhej denge. ab yeh hmari amaanat hai aapke pass.
Khan : ji be-fikar rahiye mera kaam hote hi main khud isse azaad kar dunga or yha tak ki security officer records se iska naam bhi mita dunga. uske baad security officer records me shera mar jayega or fir yeh neer banke apni saari jindagi chain se aap sab ke sath guzaar sakta hai.
Baba : thik hai.
Khan : kuch din ke liye neer ko mere pass bhej dijiye taki isko main iska kaam seekha saku uske baad isko main mission par bhej dunga.
Main : mere jane ke baad inka khyaal kon rakhega.
Khan : tum inki bilkul fikar na karo yeh ab meri jimmedari hai inko kisi chij ki kami nahi hogi yeh main vaada karta hoo.
Main : thik hai fir main kal hi aa jata hoo
Khan : jaisa tum thik samjho. Achha janab (baba ki taraf dekhte hue) ab ijajat dijiye.
Baba : Achha khan sahab.
Uske baad Doctor rizwana or khan dono chale gye or main dono ko jate hue dekhta rha. baba ek dam shaant hoke kursi par bethe the jaise woh kisi gehri soch me ho.
Main : kya hua baba
Baba : beta mujhe samajh nahi aa rha ki tumko essi khatranaak jagah par bheju ya nahi.
Main : arre baba aap fikar kyo karte hain apne bete par bharosa rakhiye kuch nahi hoga.
Baba : ek tum par hi to bharosa hai beta....lekin tumhari fikar bhi hai kahi tumko kuch ho gya to mujh gareeb ke pass kya bachega.
Main : kuch nahi hoga baba.
Fiza : baba aapko itne khatarnaak kaam ke liye khan ko haa nahi bolna chahiye the jane woh log kaise honge.
Baba : shayad tum thik keh rhi ho beti lekin main bhi kya karta ek beta aagey hi jail me betha hai dusre ko bhi jail kaise bhej deta isliye majboor hoke maine haa kaha tha.
Nazi : lekin baba agar waha neer ko kuch ho gya to....
Fiza : (bich me bolte hue) essi baate na karo nazi wese hi mujhe darr lag rha hai.
Main : arre aap sab to ese hi gabhra rhe ho kuch nahi hoga... mujhe bas aap logo ki hi fikar hai.
Baba : tum bas apna khyaal rakhna beta..... hume or kuch nahi chahiye (mere sir par hath ferte hue)
Ese hi hum kaafi der tak baate karte rhe shaam ko heena fir se mera pta lene aa gyi maine usse kuch din ilaaj karwane ka bta kar shehar jane ka bahana bna diya jis par pehle woh naraz hui lekin fir woh maan gyi or kuch waqt uske sath bitane ke baad woh bhi chali gyi. Agle din vaade ke mutabiq subah khan ne jeep bhejdi mujhe lene ke liye. Baba Nazi or fiza ne mujhe bohot saari duayen or bheegi aankhon ke sath rukhsat kiya. Main tamam raste nazi. baba, fiza or heena ke bare me hi sochta rha or inke sath bitaye waqt ke bare me hi yaad karta rha. Mujhe nahi pta tha ki jaha main jaa rha hoo waha se wapis aaunga ya nahi lekin inn logo ke sath bitaye waqt ne mere dil me inn logo ke liye be-intehaa pyar paida kar diya tha. Wese to yeh log mere koi nahi the lekin fir bhi yeh mujhe mere apno se badhkar the or aaj main jo kuch bhi karne jaa rha tha inn logo ke liye hi karne jaa rha tha. Aaj mere pass jo jindagi thi woh inn logo ka hi "Ahsaan" tha. Essi hi main apni hi socho me gumm tha ki mujhe pta hi nahi chala kab hum shehar aa gye or kab ek ghar ke bahar gaadi ruki.
Main : yeh konsi jagah hai yeh to khan ka daftar nahi hai.
Driver : aapko khan sahab ne yhi bulaya hai.
Main : achha...
Uske baad main jeep se utra or uss ghar me chala gya jo dekhne me sarpanch ki haveli jaisa bada nahi tha lekin kaafi shandar bna hua tha. Gate ke bahar 2 security officerwale bandook thame khade the jinhone mujhe dekhte hi chhota gate khol diya. Main jab ander gye to ghar ke charo taraf lage khushbudaar phoolon ne mera Welcome kiya samne ek kaanch ka bada sa gate lga tha jise main dhakelta hua ander chala gya. ghar kaafi khubsurati se sajaya gya tha main charo taraf nazare ghumakar ghar ki khubsurati dekh rha tha tabhi ek meethi se awaaz mere kaano se takrayi....
Rizwana : ghar achha lga (muskurate hue)
Main : ji bohot khubsurat ghar hai....kya yeh khan sahab ka ghar hai (charo taraf dekhte hue)
Rizwana : ji nahi yeh mera ghar hai...arre aap khade kyo ho betho.
Main : lekin mujhe to khan sahab ne bulaya tha
Rizwana : ab kuch din aapko bhi yhi rehna hai yhi hum aapki training bhi mukammal karwayenge or yeh ek secret mission hai isliye khan ne daftar me kisi ko bhi iske bare me nahi btaya.
Main : achha... lekin khan sahab hai kaha.
Rizwana : aap bethiye woh aate hi honge.
Main : thik hai.
Rizwana : yha aapko rehne me koi aitraaz to nahi.
Main : ji nai mujhe kya aitraaz hoga main to kahi bhi reh lunga.
Abhi main or rizwana baate hi kar rhe the ki khan bhi apne hath me ek file thaame hue aa gya or aate hi table par file fenk di or dhaad se sofe par gir gya.
Khan : Hanji janab aa gye
Main : ji... btayiye ab mujhe kya karna hai
Khan : yaar tum har waqt jaldi me hi rehte ho kya....
Main : nai...woh aapne kaam ke liye bulaya tha to socha pehle kaam hi kar le.
Khan : kuch khaoge....
Main : ji nahi meharbani.
Khan : yaar sharmao mat apna hi ghar hai....
Main : ji nahi main ghar se kha kar aaya tha...
Khan : chalo jaisi tumhari marzi... achha yeh dekho tumhare liye kuch laya hoo.
Main : (sawaliya nazaro se khan ko dekhte hue) ji kya...
Khan : (uthkar mere sath sofe par beth te hue) yeh tumhare purane dosto ki tasveere hain jinke sath ab tumko kaam krna hai. (file kholte hue)