Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#13
Jaise hi main ghar pohoncha to nazi ne darwaza khola or mujhe dekhte hi uske chehre par ek muskaan aa gyi jiska jawab maine bhi ek muskaan ke sath diya....



Nazi : itni jaldi kaise aa gye.
Main : main waha beej lene gya tha ghar basane nahi (haste hue)
Nazi : aaj kal Neer sahab aapko bohot baate aa gyi hai (muskurate hue)
Main : bas ji aapki sohbat ka asar hai
Nazi : achha jiiii...... dekhna kahi sohbat me bigad na jana hmari.
Main : nahi bigadta ji aap to bohot achhi ho
Nazi : hhhmmm tabhi achhayi ka fayeda uthate ho andhere me badmash... (hasti hui)
Main : woh main woh.....(zameen par dekhte hue)
Nazi : bas...bas... achha yeh btao shehar se aa rhe ho mere liye kya laaye?
Main : beej laya hoo khaogi (hahahahahahahahaha) yeh lo tumhare, baba or fiza ji ke liye or naye suit laya hoo.


Itne me fiza ki rasoyi se awaaz aayi...
Fiza : kon aya hai nazi
Nazi : koi nai bhabhi ek budhu hai jo naye kapde laya hai (hasti hui)
Main : achha....budhu wapis karo naya suit.....
Nazi : (bhagte hue) bhabhi bachao......mera naya suit le rhe hain.



Itne me fiza rasoyi me se belan leke bahar aa gyi.....or nazi uper kothari me kapde leke bhaag gyi or ander se darwaza band kar liya.....


Fiza : arre Neer tum ho yeh pagal to keh rhi thi budhu hai koi
Main : ji woh budhu aapke samne hai
Fiza : nazi bhi pagal hai ese hi daraa diya.... mujhe lga pta nahi kaun hai
Main : ohh achha to isliye aap belan leke aayi thi....hahahahahahaha
Fiza : Achha tum itni jaldi kaise aa gye
Main : woh bus sidhi mil gyi thi naa isliye
Fiza : lekin apne gaav se to shehar ke liye sidhi bus koi hai hi nahi
Main : Woh kuch log car me shehar jaa rhe the to mujhe bhi unhone shehar chhod diya paise bhi nahi liye (maine fiza ko jhooth bola kyoki heena ke bare me bolta to usko achha nahi lagta isliye)
Fiza : ohh achha...ese hi kisi anjaan ke sath naa jaya karo Neer agar woh galat log hote to....apne bare me nahi to kam se kam hmare bare me hi soch liya karo....
Main : arre tum to ese hi ghabra jati ho dekho kuch nahi hua sahi salamat to hoo wese bhi tumko lagta hai mera koi kuch bigaad sakta hai (muskurate hue apne doley fiza ko dikhate hue)
Fiza : fir bhi agey se ese kisi anjaan ke sath nahi jana thik hai
Main : jo hukum sarkaar ka (muskurate hue)
Fiza : achha woh beej mil gye
Main : hanji mil gye..... yeh baaki ke paise bhi rakh lo or isme se kuch paise kharch ho gye woh main naye kapde aapke nazi or baba ke liye laya tha woh nazi uper leke bhag gyi
Fiza : koi baat nahi.... Neer tum sare paise mujhe kyo de rhe ho kuch apne pass bhi rakha karo tumhari jarurat ke liye
Main : mera kharcha hi kya....khata yha hoo, rehta yha hoo or koi buri aadat mujhe hai nahi siwaye tumhare to fir paise kisliye aap hi rakho.
Fiza : Hhhmmm pta hai.....ab main buri aadat ho gyi hoo naa..... Neer tum apne liye kuch nahi laaye.
Main : nahi woh apne liye mujhe kuch pasand hi nahi aya
Fiza : agli bar jab jaoge to ya to apne liye bhi kuch leke aana nahi to yeh bhi wapis kar aana mujhe nahi chahiye.
Main : arre ese bhi kya kar rhi ho main bohot pyaar se laya tha
Fiza : janti hoo....lekin tum apne liye agar kuch khareed loge to kya ho jayega akhir mera bhi mann karta hai ki mera neer achhe-achhe kapde pehne or gaav me sab aadmiyo se sundar dikhe...
Main : kuch nahi woh bas ese hi paise bohot lag gye the isliye.....achha chhodo yeh sab baba kaha hai....
Fiza : woh zra pados me haider saab ke ghar gye hain unke pote ka pta lene
Main : kyo kya hua
Fiza : kuch nahi dupehar ko woh chhat se gir gya tha uski taang toot gyi
Main : ohhh achha... tabhi main soch rha tha aaj yeh titli itna shor kaise macha rhi hai
Fiza : iss titli ko jaldi iss ghar se rawana karna padega (muskurate hue)

hum ese hi baate kar rhe the ki tabhi pichhe se Nazi ki awaz aayi....

Nazi :bhabhi Neer agar kamre me chale gye to main niche aa jau
Fiza : haa niche aaja woh budhu apne kamre me chala gya (hasti hui)
Main : tum bhi budhu....thik hai (naraz hoke jate hue)
Fiza : arre jaan gussa kyo hote ho main to mazaak kar rhi thi achha lo kaan pakde ab to maaf kar do apni fiza ko.
Main : (muskurate hue) tum or nazi dono ek jaisi ho ek number ki dramebaaz.
Nazi : kyo ji aap meri bhabhi se kaan kyo pakdwa rhe ho (apne dono hath kamar par rakhte hue)
Main : maine to kuch bhi nahi kaha ji aapki pyaari bhabhi ko yeh khud hi kaan pakde khadi hai.
Fiza : dekho nazi yeh hum sab ke liye naye kapde laye hain or apne liye kuch nahi laaye.
Nazi : kyo ji apne liye kuch kyo nahi laaye
Main : arre galati ho gyi agali baar jab jaunga to le aaunga ab to khush ho dono
Fiza : thik hai fir hum sab ek sath hi naye kapde pehnege tab tak nazi mere kapde bhi sambhalkar ander rakh do

Abhi hum teeno ese hi baat kar rhe the ki itne me baba bhi aa gye or mujhe ghar me dekhkar khush hote hue bole....

Baba : aa gye beta
Main : ji baba aap beej dekh lijiye thik laya hoo ya nahi
Baba : (beej hath me leke dekhte hue) bohot achhe beej laye ho beta ab to tum lagbhag sara kaam hi seekh chuke ho.
Main : ji yeh sab to mujhe fiza ji ne sikhaya hai
Baba : haa beta yeh meri sabse layak bachi hai
Fiza : (nazre jhuka ke muskurate hue)
Nazi : or main.....baba main aapki layak bachi nahi hoo (rone jaisa mooh bnake)
Baba : ohhooo tumhare samne to baat karna hi bekaar hai jane tumhara bachpana kab jayega
Fiza : baba ab humko iske liye koi achha sa ladka dekhna shuru kar dena chahiye sir par jimmedari aayegi to khud hi bachapana karna chhod degi.
Nazi : kya bhabhi aap bhi.... (muskurate hue or meri taraf dekhte hue)
Baba : beti koi achha ladka bhi to mile tab hi baat chalaye tumhari nazar me koi ho to bta do
Fiza : nahi baba main to ese hi mazaak kar rhi thi abhi to iske khelne khane ke din hai....
Baba : chalo fir yeh jimmedari bhi main tumko hi deta hoo jab tumko lage ki yeh shaadi ke layak ho gyi hai to khud hi iske liye ladka dhoondh lena mujhe tumhari pasand par poora bharosa hai.
Fiza : ji baba..... achha baba aap or neer baate karo main rasoyi me zra khana bna loo
Baba : haa beta achha yaad karwaya fiza ne.... mujhe tumse ek jaruri baat karni thi.
Main : ji baba hukum kijiye
Baba : beta ab to tum sab kaam dekhne lag gye ho or tum to jante ho ki apni fiza beti bhi ab umeed se hai to iss halat me iska kaam karna sahi nahi hai or khet ka mehnat wala kaam to bilkul bhi nahi to main soch rha hoo ki jab tak bacha nahi ho jata tum akele hi khet ka sari dekhbhaal karo kyoki fiza ke baad ek tum hi ho jis par main bharosa kar sakta hoo qasim ka to tum jante hi ho woh hua naa hua ek barabar hai.... baki nazi ko tum chaho to apni madad ke liye sath leke jana chaho to le jana tumhe mere faisle se koi aitraaz to nahi.
Main : aitraaz kis baat ka baba aapka hukum sir aankho par
Baba : khush raho beta mujhe tumse yhi umeed thi....,.' sabko essi layak aulaad de
(itna keh kar baba nazi ko awaaz lagate hue apne kamre me chale gye)


Main wahi par betha baba ke fasile ke bare me sochne lga or sath hi apne asal naam ke bare me soch rha tha. kaafi der main bahar khada rha or apni purani jindagi ko yaad karne ki koshish karta rha lekin mujhe kuch bhi pichhla yaad nahi aa rha tha. Ab main soch rha tha ki apne naam ke bare me sabko btau ya chup rhoo barhaal maine yehi faisla kiya ki main iss bare me kisi ko bhi kuch nahi btaunga or jab tak mujhe kuch or baate apne bare me pta nahi chal jati ya fir yaad nahi aa jati apne bare me tab tak chup rahunga. Raat ko khane ke waqt main nazi or fiza teeno khane par beth gye or roz ki tarah baba aaj bhi jaldi sou gye the. khane ke waqt maine sabko baba ka faisla suna diya. jis par pehle to fiza nahi maani lekin mere israar par woh maan gyi or ghar me rehne ka faisla kar liya. lekin usne yeh shart rakhi ki main akele kaam nahi karunga or nazi ko bhi apne sath lek

Nazi : achha bhabhi baba ne mujhe aapke liye kuch hidayaten di hai.
Fiza : (khana khate hue) kya kaha baba ne
Nazi : woh shaam ko baba ne mujhe kamre me bulaya tha to keh rhe the ki ab hmare ghar me koi badi bujurg aurat to hai nahi jo tumhari bhabhi ka khyaal rakh sake isliye main hi abse tumhara khyaal rakhungi.
Fiza : (hasti hui) achha ji..... khud ko sambhaal nahi sakti mere khyaal rakhegi.
Nazi : (chidte hue) Hasso mat naa bhabhi main sach keh rhi hoo ab se aap naa to rasoyi me jada kaam karengi naa hi koi saaf-safayi karengi.
Fiza : chalo ji.... to khana kaun bnayega ghar kaun saaf karega maharani ji.
Nazi : main hoo naa main sab sambhaal lungi itna to aapse kaam seekh hi liya hai
Fiza : koi baat nahi kal subah dekh lenge tum kitne paani me ho. (haste hue)
Nazi : ha...ha....dekh lena
Fiza : mazaak chhod naa nazi main kar lungi tu rehne de tujhse akele nahi sambhala jayega yeh sab.
Nazi : aap bhi to sambhalti ho naa...fir main bhi sambhaal lungi fikar na karo.
Fiza : lekin abhi to mujhe bas dusra maheena lga hai tum sab abhi se mujhe bister par daal rhe ho yeh to galat hai abhi to main kaam karne layak hoo sach me.
Nazi : main kuch nahi janti baba ka hukum hai unhi ko jake bolo mujhe naa sunao haan.
Fiza : (mujhe dekhte hue) tum hi samjhao na isse
Main : (abhi tak chup-chap bas inki baate sunn rha tha) yaar main kya samjhau baba ka hukum hai to main kya bol sakta hoo isme.
Fiza : thik hai sab milkar mujhe mareez bna do (rone jaisa mooh bnate hue)
Nazi : yeh hui naa baat (fiza ka gaal chumte hue) meri pyaari bhabhi.


Ese hi hum baate karte hue khana khate rhe fir khane ke baad main tabele me pashuwo ko bandhne chala gya or fiza or nazi rasoyi me kaam nibtane me lag gyi. Main mere sab kaam se farig hoke jab ander aaya tab tak nazi or fiza bhi lagbhag apna sara kam nibta chuki thi. tabhi fiza ne mujhe ishare se rasoyi me bulaya. Jab main ander gya to naazi waha nahi thi or fiza mujhe kuch pareshaan si lag rhi thi.

Main : kya hua pareshaan ho?
Fiza : jaan ek or gad-bad ho gyi hai (mooh rone jaisa bnate hue)
Main : kya hua sab khairiyat to hai
Fiza : aaj se nazi bhi mere sath mere kamre me soya karegi taaki raat ko agar mujhe kisi chij ki jarurat ho to meri madad kar sake.
Main : to isme rone jaisa mooh bnane ki kya baat hai yeh to achhi baat hai tumne to mujhe bhi bekaar me daraa diya.
Fiza : nahiiii..... jaan tum meri baat nahi samjhe.
Main : ab kya hua hai yaar baba thik hi to keh rhe hain ab main ya baba to tumhare sath sou nahi sakte naa isliye nazi ek dam sahi hai.
Fiza : lekin fir main meri jaan ko pyaar kaise karungi (rone jaisa mooh bnate hue)
Main : achha to essa bolo naa fir.....
Fiza : yeh baba ne to sab gadbad kar diya ab hum kya karenge. (mere kandhe par sir rakhte hue)
Main : main sochta hoo kuch aaj-aaj ka din kaise bhi guzaar lo kal dekhenge thik hai
Fiza : kal raat bhi humne pyaar nahi kiya ek-dusre ko or ese hi sou gye the jaan....
Main : ab kar bhi kya sakte hain mujhe bas ek din do kuch sochta hoo main tum bhi kuch socho.
Fiza : Hhhhmmm
Main : yeh nazi kaha hai
Fiza : tumhara bister karne gyi hai (muskurate hue)
Main : tabhi tum itna chipak ke khadi ho.
Fiza : kyo ab chipak bhi nahi sakti.....meri jaan hai (mujhe jor se gale lagati hui)
Main : achha ab chhodo nahi to nazi aa jayegi to kya sochegi.
Fiza : mmmmmm thodi der basss....fir chale jana wese bhi raat ko sona hi to hai.
Main : jaisi tumhari marzi. (fiza ko gale se lagate hue)


Itna me nazi ki awaz aayi or humko naa chahte hue bhi alag hona pada.

Nazi : kya baat hai aaj tum bhi rasoyi me (mujhe dekhte hue) bartan dhulwane aaye ho kya.
Fiza : ji nahi inko maine bulaya tha
Nazi : kyo koi kaam tha to mujhe bula leti.
Fiza : arre nahi woh bas kal se tum dono ne hi khet jana hai to inko sab kaam achhe se samjhaa rhi thi or konsa samaan maine kaha rakha hai woh sab bta rhi thi.
Nazi : woh sab to inko pehle se hi pta hai bhabhi tum to ese kar rhi ho jaise hum pehli baar khet jaa rhe hain (hasti hui)
Fiza : nahi fir bhi btana to mera farz hai naa.


Fir hum teeno rasoyi se apne-apne kamro me chale gye or kamre me jate hue fiza bar-bar mujhe palatkar dekhti rhi or main bas usko dekhkar muskurata rha. fir main bhi apne kamre me aake apne bister par let gya uss raat chudayi wala kaam to ho nahi sakta tha isliye main bhi karwat badalta hua akhir sou hi gya. Subah main or nazi teiyaar hoke khet chale gye or apne-apne kaamo me fiza wale kaam bhi shamil karke apna kaam baant liya. Dupehar ko main or nazi khana khaa rhe the tabhi Heena bhi waha aa gyi.


Heena : Salaam janab....lagta hai main galat waqt par aa gyi (muskurate hue)
Main : W.Salaam chhoti malkin (khane se uthte hue)
Heena : arre utho mat bethe raho khana khate hue uthna nahi chahiye pehle khana khaa lo main bahar intezaar kar rhi hoo
Main : bahar kyo yhi aa jayiye....aap bhi aayiye naa hmare sath hi khana khaa lijiye.
Heena : nahi shukriya main khaa kar aayi hoo aap log khao

Main heena ki wajah se jaldi-jaldi khana khatam karne lga ki tabhi nazi mujhe dheemi awaaz me boli....

Nazi : yeh chudail yha kyo aayi hai.
Main : mujhe kya pta maine thodi bulaya hai tumhare samne to baat hui hai abhi jake dekhte hoo
Nazi : mujhe iski shaqal pasand nahi hai jaldi daffa karo isse yha se chain se khana bhi nahi khane deti (mooh bnate hue)
Main : arre to kya ho gya ab aa gyi hai to usko dhakka maarkar to nahi nikaal sakte na.
Nazi : (Hawa me sir jhatkate hue) hhuuuhhh...

Main khana khane ke baad bahar chala gya or bahar aake samne dekhne lga to mujhe heena nazar nahi aayi tabhi mujhe baayi or se kisi ne pukara to mera dheyaan uss taraf gya jab maine dekha to heena paani ke naale ke pass me bethi hui door se mujhe haath hila rhi thi. main bhi uss taraf hi chala gya. jab jake dekha to woh apni salwar ghutno tak uper kiye hue thande paani me pair doobaye bethi thi or mujhe dekhkar muskura rhi thi. main bhi uske pass hi chala gya.
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)