Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#12
Tabhi light aa gyi or main hairaan-pareshaan wahi khada ka khada hi reh gya meri samajh me nahi aa rha tha ki mujhse essi galati kaise ho gyi kyoki woh ladki fiza nahi nazi thi jisko main gale lgaye khada tha. Light aane ke baad jaise hi maine usko dekha jaldi se usse alag ho gya or rasoyi se bahar nikal gya tez kadmo ke sath.


Fiza : arre tum yha kya kar rhe ho main to tumko mombatti dene gyi thi.
Main : kuch nahi woh main bhi mombatti lene aaya tha

Main tez kadmo ke sath wapis kamre me aa gya. Raat ko khane par nazi mujhe ajeeb si nazaro se dekh rhi thi lekin mujhme usse nazare milane ki himmat nahi thi na hi yeh baat main kisko bta sakta tha. Main bas jaldi-jaldi khana khatam karke waha se uthna chahta tha tabhi nazi boli...


Nazi: bhabhi aajkal bijli jane ke bhi fayede ho gye hain naa (meri taraf dekhti hui)
Main : (Darr se naa me sir hilate hue or minnat wale andaaz me nazi ko dekhte hue)
Fiza : (kuch na samjhne wale andaaz me) kya matlab.
Nazi : kuch nahi woh aajkal hum jaise gaav wale bhi shehar walo ki tarah mombatti jaga ke khana khaa sakte hain jaise filmo me dikhate hain.
Fiza : chal pagal (hasti hui)
Nazi : (mujhe dekh kar hasti hui or aankh maarte hue) hhhhmmmm.
Fiza : achha nazi tum sabko ek baat btani thi (sir jhuka kar muskurate hue)
Nazi : kya bhabhi.
Fiza : ab tu thodi samajhdaar ho ja tujhe ek naye mehmaan ki jimmedari uthani hai mere sath.
Nazi : kya matlab
Fiza : matlab yeh ki tum buaa banne wali ho (sharmaa kar muskurati hui)
Nazi : sachhhiiiii.....(apni jagah se khadi hoke fiza ko gale lagate hue) haaye koi mujhe sambhalo kahi main khushi se behosh hi na ho jau.
Main : bohot-bohot mubaarak ho fiza ji.
Fiza : shukriya...
Nazi : chalo qasim bhai ne ek kaam to achha kiya
Fiza : chal badmash kahi ki (kandhe par mukka marte hue)
Nazi : achha bhabhi subah baba ko bhi bta doo woh bhi yeh sunkar bohot khush honge.
Fiza : (sharm se mooh niche karte hue) jo tumko thik lage.

Issi tarah baaten karte hua humne khana khaya or raat ko sab jaldi sou gye. Fiza bhi kal raat ki chudayi se bohot khush thi isliye woh bhi mujhe bulane nahi aayi or kuch hum dono par neend ka bhi khumaar tha isliye aaj main or fiza bhi sou gye the apne-apne kamro me. Subah baba ko nazi ne bta diya to woh bhi fiza ke bare me sunkar bohot khush hue or usko bohot si duayen di. Agle din maine shehar jana tha fasal ke liye naye beej lene ke liye isliye jaldi hi teiyaar ho gya. Aaj main pehli baar akaila shehar jaa rha tha kyoki 2 bar hum jab bhi shehar gye the to fiza or nazi bhi mere sath jati thi. Fiza mujhe jane se pehle tamaam hidayete de rhi thi jaise main shehar nahi kisi jung par jaa rha hoo. Jab main ghar se nikala to nazi or fiza dono darwaze par khadi mujhe jata hua dekhti rhi.

Fir main Bus Stand aa gya jaha shehar jane ke liye Bus aati thi or waha khade tamaam logo ke sath bus ka intezaar karne lga tabhi ek kaale rang ki Car mere samne aake ruki jiska kaanch niche hua to ander Sarpanch ki beti bethi thi.

Main : salaam chhoti malkin.
Chhoti malkin : W.Salaam shehar jaa rhe ho?
Main : hanji
Chhoti malkin : chalo ander gaadi me aa jao main bhi shehar hi jaa rhi hoo
Main : ji nahi shukriya main Bus me chala jaunga bekaar me aapko taqleef hogi.
Chhoti malkin : isme taqleef ki kya baat hai waise bhi main akeli hi to hoo aa jao ander chalo shabaash. (car ka darwaaza kholte hue)
Main : ji aapka bohot-bohot shukriya. (car me beth te hue)
Chhoti malkin : kal maine tumko bulaya tha tum aaye nahi.
Main : maaf karna kaam me masroof tha fir bhool gya.
Chhoti malkin : koi baat nahi or yeh tum mujhe kya chhoti malkin-chhoti malkin bulate ho main tumhari thodi na malkin hoo.
Main : sara gaav aapko yhi kehta hai to maine bhi yhi bula diya
Chhoti malkin : gaav walo me or tum me fark hai.
Main : kya fark hai ji main bhi to unn jaisa hi hoo.
Chhoti malkin : (hasti hui) gaav me kisi ki himmat nahi ki mere ghar me iss tarah ghus kar mere hi logo ki pitayi kar de.
Main : ji maafi chahta hoo woh main.....
Chhoti malkin : arre main naraz nahi hoo ulta khush hoo ki koi to hai jisme itni himmat hai bas kal thoda sa bura lga.
Main : ji.... kya hua mujhse koi galati ho gyi kya.
Chhoti malkin : aap milne jo nahi aaye bas yhi khata hui pehle maine socha ki main chalti hoo fir abba jaan ghar the to aapka masla yaad aa gya fir maine baat ki thi abbu se.
Main : achha fir kya kaha unhone Chhoti malkin.
Chhoti malkin : woh keh rhe the ki ab kuch nahi ho sakta qasim ko saja elaan ho chuki hai ab to saja poori hi katni padegi...(nazare jhuka kar) maaf karna main aapki madad nahi kar saki.
Main : koi baat nahi chhoti malkin aapne koshish ki yhi mere liye bohot hai. (muskurate hue)
Chhoti malkin : yeh tum kya mujhe chhoti malkin bula rhe ho Heena naam hai mera.
Main : lekin main aapko apke naam se kaise bula sakta hoo
Heena : kyo nahi bula sakte main bhi to tumko Neer hi kehti hoo naa
Main : thik hai jaisa aap behtar samjhe heena ji.
Heena : heena ji nahi sirf heena.
Main : achha heena
Heena : Achha main to shehar naye kapde khareedne jaa rhi hoo tum shehar kyo jaa rhe ho.
Main : woh maine fasal ke liye naye beej lene the isliye jaa rha hoo.
Heena : achha.... tumko maine pehle iss gaav me kabhi dekha nahi tum kahi bahar rehte the kya pehle...?
Main : jee... (mujhe yaad aa gya ki fiza ne apne bare me kisi ko bhi btane se mujhe mana kiya hua hai)
Heena : achha tumne essa ladna kaha seekha?
Main : pta nahi jab jarurat hoti hai khud hi sab kuch aa jata hai.
Heena : hathiyaar bhi chala sakte ho?


Yeh baat sunkar mujhe jane kya ho gya or mujhe ajeeb si tasveeren nazar aane lagi jisme main logo par goliyaan chala rha hoo maine shehar ke logo jaise kapde pehne hai mere aas-pass bohot saare log hai tabhi mere sir me dard hone laga or mujhe chakkar se aane lage or mera poora badan paseene se bheeg gya...

Heena : kya hua thik to ho. (mujhe kandhe se hilate hue)
Main : ji nahi...ha main thik hoo.
Heena : kaha kho gye the.
Main : kuch nahi.... kuch nahi aap mujhe yhi utaar dijiye main chala jaunga apne aap.
Heena : maine kuch galat bol diya kya.
Main : nahi meri shayad tabiyat kharab hai aap mujhe yhi utaar dijiye main chala jaunga.
Heena : aare kya hua btao to sahi....ruko...yeh lo pani peo (paani ki bottal mujhe dete hue)
Main : (paani pee kar apna paseena saaf karte hue) shukriya
Heena : kya hua tha tumko ek dam se.
Main : pta nahi
Heena : beej baad me le lena pehle tum mere sath doctor ke pass chal rhe ho thik hai
Main : nahi main thik hoo bekaar me taqleef na kare.
Heena : arre thik kaise ho abhi dekha nahi kaise paseena-paseena ho gye the.

Shehar aake heena mujhe doctor ke pass le gyi jisne mera check-up kiya. fir doctor ne mujhe bahar jane ko keh diya or khud heena se baat karne lga kuch der baad heena bhi doctor ke kamre se bahar aa gyi.

Main : kya kaha doctor ne aapse?
Heena : tum thik ho (muskurate hue) bas yeh kuch dawayiyaan di hai doctor ne jo tumko leni hai or ek baar fir humko check-up ke liye aana padega or kuch test karwane padenge.
Main : heena ji kyo paise kharab kar rhi hai main ek dam thik hoo yeh doctor to bas ese hi....
Heena : tum doctor ho....nahi naa fir jaisa kehti hoo waise karo.
Main : kitne paise hue ?
Heena : tumse matlab
Main : nahi woh aapko wapis bhi to karne hai isliye.....
Heena : tum itna kyo sochte ho...paise ki fikar chhodo or apni sehat ka khyaal rakha karo agar main sath naa hoti to....
Main : to kuch nahi (muskurate hue)
Heena : ab tum mere sath hi wapis jaoge samjhe....
Main : mera to yha chhota sa kaam hai main yha kya karunga
Heena : kuch nahi pehle hum tumhare beej lene chalte hain fir meri shoping ke liye chalenge thik hai.
Main : thik hai.


Hospital se nikalkar hum pehle beej mandi gye fir waha se heena ke liye shoping karne chale gye jaha maine fiza or naji ke liye bhi kuch kapde khareed liye fir hum ghar ke liye nikal pade. Saare safar ke doraan main bas chup-chap betha apne zehan me aane wali tasveero ke bare me sochta rha ki akhir main hoo kaun...kyo mujhe mera ateet yaad nahi hai.... kyo 20-20 log bhi milkar mujhse ladayi nahi kar sakte....or woh hathiyaar chalana mujhe kaha se aaye woh mere zehan ka bas khyaal tha yaa main sach me hathiyaar chala sakta hoo. Tabhi ek jeep tezi se hmari taraf aayi jisme kuch shehar ke ladke bethe the jo bar-bar chilla rhe the unhone hath me sharab ki bottale pakadi hui thi. Achanak unhone bich sadak me jeep rok di or hmari car bhi unki wajah se rokni padi.

Heena : Driver bahar jake dekho kya masla hai inn ladko ke sath.
Main : heena ji main jake dekhta hoo
Heena : nahi tum rehne do jao driver tum jao or unko jeep side par karne ko bolo
Driver : achha chhoti malkin.


Driver unn ladko ke pass gya or thodi-der behas ke baad unhone driver ko maarna shuru kar diya maine ek muskurahat ke sath heena ki taraf dekha or bina kuch kahe car se bahar nikal gya....Bahar nikalte hi main daudkar unki taraf gya or unn ladko par dhaava bol diya sabse pehle ek samne khada tha jis par maine hamla kiya isse pehle ki woh kuch keh pata ya kar pata maine uske mooh par mukka mara or woh zameen par gir gya.....

Achanak sab ladke mujhe dekhkar hairaan se ho gye or mujhse ladne ki bajaye sab apne ghutno par beth gye or maafi mangne lage mujhe kuch samajh nahi paya ki yeh kya hua yeh to abhi itni gundagardi kar rhe the achanak inhe kya ho gya jo yeh mujhse maafi maangne lage....

1 ladka : bhai maaf kar do humko pta nahi tha aap ki gaadi hai.
2 ladka : bhai aap zinda ho yeh jaankar bohot khushi hui.

Mujhe unke iss tarah ke bartaav se kuch samajh nahi aa rha tha ki kya kahu inko....

Main : tum jante ho main kaun hoo.
1 ladka : bhai maaf kar do aapke pair padta hoo pehchaane me galati ho gyi.
Main : btao mujhe main kaun hoo kya tum mujhe jante ho.
2 ladka : bhai maaf bhi kar do aagey se essa nahi hoga humko pta nahi tha aapki car hai
Main : bta mujhe main kaun hoo main tumhe kuch nahi kahunga.
1 ladka : sheraa bhai kaisi baat kar rhe ho aapko kaun nahi janta.
Main : main shera hoo....kaun shera....

Isse pehle ki main kuch or keh pata heena car se nikalkar bahar aa gyi or jaise hi main pichhe ko muda woh log waha se bhaag gye or apni jeep me bethkar chale gye.

Heena : (muskurate hue) kya baat hai ek hi mukke me itne sare ladko ko apne pairo me daal liya
Main : heena ji aapne yeh kya kiya unko bhaga diya janti ho aapke aane se woh log bhaag gye mujhe unse kuch puchhna tha...
Heena : kya puchhna tha arre maaf bhi kar do unko bicharo ne pair to pakd liye ab kya jaan loge unki chalo car me..... arre ab car kaun chalayega yeh to behosh ho gya or mujhe car chalani to aati hi nahi (rone jaisa mooh bnake or apne driver ki taraf dekhte hue )
Main : main chalaunga
Heena : (hairani se) tum car bhi chala lete ho.
Main : haa shayad
Heena : waah kya baat hai tum to chhupe rustam ho chalo pehle iss dhakkan ko car me fenko koi kaam ke nahi hai abbu ke aadmi (mooh bnate hue) main agli seat par tumhare sath hi beth jati hoo pichhe yeh manhoos pada rahega.

(Asal me main nahi janta tha ki main car chala sakta hoo ya nahi lekin unn ladko ne jaise kaha ki humko pta nahi tha ki aapki car hai usse maine bas andaza lgaya tha ki shayad main car chala sakta hoo.)

Main car me Driver seat par betha or main nahi janta maine car chalani kaha seekhi lekin jaise hi main car ki driver seat par betha achanak se mujhe sab kuch yaad aane lga or kuch hi der me car hawa se baaten karne lagi aaj na jane kyo car chalate hue mujhe bohot khushi ho rhi thi or main hawa se baate karte hue car ko tez-tez duda rha tha......

Heena : Neer aaram se chalao tum bohot tez chala rhe ho mujhe darr lag rha hai.
Main : dekhti jao aaj bohot waqt ke baad yeh stairing wheel mere haath aaya hai aaj isko chalaunga nahi udaa dungaa...
Heena : itna khyaal rakhna ki kahi mujhe naa udaa dena. hahahahahahaha

Ese hi baate karte hue hum gaav wapis aa gye maine sarpanch ki haveli ke samne car roki or khud paidal chalta hua apne ghar ki taraf kadam badha diye aaj main bohot khush tha kyoki aaj itne waqt ke baad mujhe mera asal naam pta chala tha shera haa yhi naam leke pukara tha unn ladko ne mujhe main be-qaraar hua jaa rha tha yeh khabar fiza or nazi ko dene ke liye...
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 8 Guest(s)