Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#8
Main apni socho ke sath bister par aake let gya or jaldi hi neend ne apni aaghosh me mujhe le liya. Subah baba jaldi jaag jate the or unki awaaz se meri bhi aankh khul jati thi. Main din ke jaruri kaamo se farig hoke fiza or naazi ke sath khet par kaam ke liye nikal gya. Din bhar hum teeno kheto me kam karte rhe or shaam ko jab ghar aaye to baba ne hum sab ko gehri fikar me daal diya. kyoki Qasim kal raat se ghar nahi aaya tha yeh sunkar hum teeno ke hosh bhi udd gye kyoki lakh ladne -jhagdne ke baad bhi woh din me kam se kam ek baar to ghar aa hi jata tha. Baba ki baat sun kar mujhe bhi qasim ki chinta ho rhi thi or main usko dhoondhne ke bare me hi soch rha tha. ki baba ne mujhe kaha......


Baba : neer beta Qasim raat se ghar nahi aaya hai.... jane yeh la-parwah insaan ko kab aqal aayegi.
Main : baba aap fikar na kare main abhi jata hoo or qasim ko dhoondh kar lata hoo.
Fiza : main bhi aapke sath chalu?
Main : nahi aap ghar me hi ruko baba ke pass main abhi Qasim bhai ko lekar aata hoo.
Fiza : aap apna bhi khayaal rakhna
Main : achha

fir main qasim ko gaav bhar me dhoondhta rha shaam se raat ho gyi thi lekin qasim nahi mila tha. maine uske tamaam addo par bhi dekha jaha woh aksar sharaab peene or juwa khelne jata tha lekin waha bhi kisi ko qasim ke bare me kuch nahi pta tha. tabhi mujhe ek aadmi mila jisne mujhe btaya ki qasim aksar kothe par bhi jata hai. Maine qasim ko barhaal wahi dhoondhne jane ka faisla kiya. Aaj main pehli baar essi kisi jagah ki taraf jaa rha tha. Mere dil me hazaro sawaal the lekin iss waqt mujhe qasim ko dhoondhna tha isliye apne ander ki baichaini ko maine dar-kinaar kar diya or kothe ki taraf badh gya.

                                                                            Main tez kadmo ke sath kothe ki taraf jaa rha tha or dil me darr bhi tha ki kahi koi yeh baat fiza ya nazi ko naa bta de ki main bhi kothe par gya tha jane woh mere bare me kya sochegi. Main apni socho me hi gumm tha ki achanak mujhe ek imaarat nazar aayi jo poori tarah jag-magaa rhi thi light ki roshni ke sath mano sirf uss imaarat ke liye abhi bhi din hai baki tamaam gaav ki raat ho chuki hai. Imarat se bohot shor aa rha tha meri samajh me bhi nahi aa rha tha ki qasim ke bare me kisse puchu. maine gate ke samne khade ek kaale se aadmi se qasim ke bare me puchha....

Main : suniye
Aadmi : ander aa jao janab bahar kyo khade ho
Main : nahi main bahar hi thik hoo mujhe bas qasim ke bare me puchhna tha woh kahi yha to nahi aya
Aadmi : (jor se haste hue) Saahab yha to kitne hi qasim roz aate hain or roz chale jate hain. aapko agar puchhna hai to ander ameena bai se pucho.
Main : thik hai aapka bohot-bohot shukriya.

Uss aadmi ne mujhe ander jane ke liye rasta diya or main apne joro se dhadkte dil ke sath charo taraf nazar daudakar dekha ki kahi mujhe koi dekh to nahi rha or fir sidhiya chadh gya. Ander bohot tez gaano ka shor tha or logo ki wah-waahi ki awaaze aa rhi thi. jaise hi main ander pohoncha to waha ek bohot hi sunder si ladki chhote-chhote kapdo me naach rhi or uske chaaro taraf bethe log uss par noto ki bareesh si kar rhe the. koi aadmi uski choli me note daal rha tha to koi uske ghaghre ki dori ke sath note latkaa rha tha. Woh ladki bas mast hoke gol-gol ghume jaa rhi thi jaise usko kisi ke bhi hath lagane ki koi parvaah hi na ho . Achanak woh ladki nachti hui mere or aayi or khud ko sambhal na saki or mujh par girne ko hui maine foran aagey badhkar uss ladki ko thaam liya or girne se bachaya. jab main usse nazar bharke dekha to woh paseene se lath-path thi or uski saans bhi phooli hui thi.

Main : aap thik to hai aapko lagi to nahi?
Ladki : Haye...ab jake to qaraar aaya hai aapne jo thaam liya hai.
Main : (mujhe kuch samajh nahi aaya ki kya jawab doo isliye bas muskura diya)
Ladki : haye tumhara badan kitna kassa hua hai....kaun ho tum.... yha pehli baar dekha hai
Main : mera naam Neer hai main qasim bhai ko dhoondhne ke liye aaya hoo woh to kal raat se ghar nahi aaya...
Ladki : Oh achha woh qasim.... aap ander chale jayiye or shabnam se puchiye woh uska khass hai (aankh maar ke)
Main : shukriya aapki bohot meharbani ji


Main ander kamre me chala gya jaha bohot saari ladkiyaan bethi hui thi. main waha shabnam ka puchhne jane lga to ek budhiya ne mujhe rok diya ki eh nawabzaade ander kaha ghusa chala aaya hai yeh ladkiya intezaar me hai koi or bahar wali me se koi dhoondh jake. Mujhe uski kahi hui baat samajh nahi aayi isliye ussi se puchha ki main shabnam ji ko dhoondh rha hoo.


Budhiya : shabnam jiiiii (jor se hasti hui) kaun hai re tu chikne ?
Main : mera naam Neer hai or shabnam ji se milna hai
Shabnam : bol chikne kya kaam hai main hoo shabnam
Main : ji main qasim ko dhoondh rha tha to bahar wali ladki ne btaya ki aapko malum hoga qasim ke bare me woh raat se ghar nahi aaya hai ghar me sab uski fikar kar rhe hai.
Shabnam : woh to kaafi din se yha bhi nahi aya. wese bhi uss kangaal ke pass tha kya... naa sale ki jeb me dam tha naa hathiyaar me (bura sa mooh bna ke).
Main : yha nahi aya to kaha gya
Shabnam : mujhe kya pta uski biwi ko jake puch.

Ab mujhe koi umeed nazar nahi aa rhi thi ki jo mujhe Qasim ke bare me bta sake main waha se bahar nikal aaya.  kisi ko bhi qasim ke bare me nahi pta tha. Main poori raat usko dhoondh-dhoondh kar thak chuka tha or mere pair bhi chal-chal kar jawab de chuke the. ab na to mujh me chalne ki himmat thi na hi qasim ka kuch pta chala tha maine ghar wapis jane ka faisla kiya or bo-jhal dil ke sath wapis ghar aa gya jab ghar aya to ghar ke bahar security officer ki gaadi khadi thi jisko dekhkar na-jane kyo ek pal ke liye main chonk gya. Baba or fiza thaanedar se kuch baat kar rhe the mujhe unko dekh kar kuch samajh nahi aaya isliye waha jake sara mamla pta karna behtar samjha. Jab main waha pohoncha to jane kyo thaanedar mujhe gaur se dekhne lga jaise kuch yaad karne ki koshish kar rha ho. lekin fiza ne mujhe aankhon se hi chup rehne ka ishara kiya or main bas pass jake khada ho gya or thanedaar ko salaam kiya.


Thanedaar : W.Salaam, yeh kaun hai.
Baba : janab yeh mera chhota beta hai.
Thanedaar : (kuch yaad karte hue) tumko maine pehle bhi kahi dekha hai.
Main : jee nahi saab main to aapko pehli baar mil rha hoo.
Thanedaar : kya naam hai tera ?
BaBa : janab iska naam Neer hai bohot seedh-sadha ladka hai koi buri aadat nahi isko.
Thanedaar : ohh achha-achha beta hai tumhara.... fir yeh koi or hai isko dekh kar kisi ki yaad aa gyi jo ek-dam iske jaisa tha.

itne me fiza ne nazi ko ishara kiya or woh mujhe leke ander chali gyi. yeh sab kya ho rha tha mujhe kuch bhi samajh nahi aa rha tha...yeh thanedaar yha kyo aaya hai itni raat ko, kisi ne bhi mujhse qasim ke bare me kyo nahi puchha ese hi mere ander kai sawaal ek sath khade ho gye the. Achanak meri nazar jeep me bethe qasim par padi to main uski or jane lga lekin nazi ne mujhe baaju se pakad liya or ander aane ka ishara kiya. main bina koi swaal kiya chup-chap uske sath ander aa gya.

Main : yeh sab kya ho rha hai or yeh Qasim ko kaha leke jaa rhe hain, thanedaar mujhe ese kyo dekh rha tha?
Nazi : Ek to tum sawaal bohot karte ho....abhi kuch mat bolo bas ander chalo baba baat kar rhe hain naa...
Main : achha thik hai (haa me sir hilate hue)

Kuch der baad thanedaar bhi chala gya or unke sath qasim bhi lekin main bas khamosh hoke apne sawalo ka jawab janne ke liye be-qarar hoke baba or fiza ka intezaar karne lga. kuch der me baba or fiza bhi ghar ke ander aa gye.

Main : Baba yeh sab kya ho rha hai or yeh qasim ko kaha leke jaa rhe hain?
Baba : Bas beta jane konse gunaho ki saza mil rhi hai mujh budhe ko jo budhape me yeh din dekhne ko mil rhe hain (apne sir par hath rakhkar beth te hue)
Main : kya hua hai baba koi mujhe kuch btata kyo nahi.
Nazi : woh bhai jaan ne hmari fasal sarpanch ko bech di thi or usse paise leke juwe or sharab me udaa diye the ab sarpanch apne paise wapis maang rha hai lekin qasim bhai ne woh sab paise kharch kar diye isliye uss sarpanch ne apne paise nikalwane ke liye security officer ko bula liya or woh unko pakad ke lai gyi hai.
Main : to hum unke paise wapis kar dete hain naa usme kya hai aakhir woh iss ghar ka beta hai wese bhi hmare pass fasal ke kaafi paise bache hue hain
BaBa : nahi beta qasim ke liye hum bohot baar paise de chuke hain ab jarurat nahi hai shayad jail me rehkar hi usse aqal aa jaye.
Main : baba main sarpanch se bat karke aata hoo qasim bhai ke liye shayad woh maan jaye?
Baba : nahi beta woh bohot be-reham insaan hai woh nahi manega tum bhi inn sab chakkaro me naa pado to behtar hoga.(or mayus qadmo ke sath apne kamre me chale gye)
Main : Manega baba jarur manega Nazi main abhi aaya.
Nazi : nahi neer woh bohot ghatiya kism ka insaan hai jane do
Main : mujh par bharosa hai ya nahi?
Nazi : (haa me sir hilate hue) sabse jada tum par hi to bharosa hai.
Main : bas fir chup raho main abhi aata hoo

Main sarpanch ki haweli ki taraf chala gya. Jab main haweli ke gate par pohoncha to ek darbaan ne mujhe rok diya.

Darbaan : kya kaam hai ander kaha ghusa chale aa rha hai?
Main : mujhe sarpanch se milna hai bulao usko.
Darbaan : unki ijajat ke bina unse koi nahi mil sakta or tu hai kaun jo itna roub jhaad rha hai chal daffa hoja yha se.
Main : (darbaan ki gardan pakadte hue) main bola mujhe abhi sarpanch se milna hai gate khol nahi to teri gardan tod dunga samjhaaa....
Darbaan : kholta hoo bhai meri garden to chhodo.... jao ander.


Jab main haweli ke ander gya to uski shaan-o-shaukat se hi andaaza lgaya jaa sakta tha ki jane kitne hi gareebo ka khoon choos kar iss insaan ne itna paisa jama kiya hai haweli ki har chij se paisa jhalak rha tha. ander se haveili bahut hi aalishaan or shandar thi jahan mein khara tha wahan se charon taraf raste dikhaee de rahe the mujhe kuch samjha nahi aa rahi thi ke abb mein kiss taraf jaoon main waheen khara ho ker intizar kerne laga ki koi nazer aye tu mein sarpanch ka poochon abhi mein isi shasho punj me tha ke mujhe havaili ke left side se kisi ki khankhti hansi ki awaz sunaee di uss hansi ke baad foren hi kafi sari larkiyun ke khilkhila ker hansne ki awaz aayi mera rukh khood-b-khood uss taraf ho gaya jahan se awazen aa raheen theen. mujhe waha kuch larkiyan apas me athkheliyan kerti nazar ayi. maine apne kadam unki taraf badha diye isse pehle ki main unse kuch puch pata kuch logo ne aake mujhe pichhe se pakad liya. isse pehle ki main apna hath uthata unn ladkiyo me se ek ladki ne aagey badhkar unn logo ko hukum diya ki mujhe chhod diya jaye or sab logo ne sir jhuka kar uss ladki ka hukum maan liya or mujhe chhod diya....

Ladki : hanji kaun ho aap or ander kaise aaye......
Main :  ji mujhe sarpanch ji se milna hai
Ladki : abbu to ghar par nahi hai btao kya kaam hai main unki beti hoo
Main :  (kuch sochte hue) ji kuch nahi fir main chalta hoo maaf kijiye aapko meri wajah se pareshani hui
Ladki : tumko pehli baar dekh rhi ho tum kaun ho or yha naye aaye ho kya (sath hi unn logo ko ungali se jane ka ishara karte hue)
Main  : ji mera naam Neer hai main haider ali ka chhota beta or qasim ali ka chhota bhai hoo
Ladki : hhhmmm tumne abhi tak btaya nahi ki tumko abbu se kaam kya tha or itni raat gye iss tarah kyo aaye.?

Maine ladki ko saara masla bta diya or unki rakam dheere-dheere karke lautane ki baat bhi keh di or usko meri madad karne ko kaha....

Ladki : thik hai main dekhti hoo kya kar sakti hoo aapke liye.
Main : aapka bohot-bohot shukariya
Ladki : ab bohot raat ho gyi tum apne ghar jao subah abbu aayenge to main unse baat karke dekhungi ki kya ho sakta hai
Main : thik hai ji aapka mujh par Ahsaan hoga agar aap meri madad kar dengi to.


Main khushi-khushi ghar ki taraf jaa rha tha lekin bar-bar mujhe uss ladki ka chehra aankho ke samne nazar aa rha tha. Kuch to tha uss ladki me jo mujhe apni or khinch rha tha....ladki intehaa khubsurat thi...... gol sa chehra, chehre par baalo ki patli si latt jo bohot qatilana lagti thi... badi-badi heerni jaisi aankhen... gulaab ki pankhudi jaise patle se rass-bhare hoth jab hasti thi to gaalo me gaddhe se padte the jo uski khubsurati me chaar-chaand lgate the shayad yeh pehli ladki thi gaav me jo maine itni saji-sawari hui dekhi thi or uske baat karne ka saleeka bhi bohot achha tha. main uss ladki ke bare me hi sochta hua pta nahi kab ghar ke samne aa gya mera dheyaan tab toota jab nazi ne mujhe hila kar kaha....
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)