Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#7
Fiza: Neer uss raat ke liye mujhe maaf kar do main jazbat me beh gyi thi or khud par kaabu nahi rakh payi
Main: koi baat nahi lekin mujhe to woh ahsaas bohot achha lga tha
Fiza: (chonkte hue) nahi yeh gunah hai hum woh sab nahi kar sakte kyoki main shadishuda hoo or uss din jo hmare bich hua woh sirf ek shohar or uski biwi ke bich hi ho sakta hai kisi or ke sath yeh sab karna gunha hota hai samjhe budhu....
Main: thik hai main samajh gya
Fiza: uss raat jo hua woh aap bhi bhula dijiye or ho sake to mujhe maaf kar dena mujhse bohot bada gunah ho gya tha qasim ki maar ne mujhe ander se tod diya tha lekin aapke pyaar ke 2 meethe bol ne mujhe behka diya tha. lekin aagey se hum essa kuch nahi karenge thik hai
Main: thik hai


ese hi baate karte hue hum ghar aa gye or hmare ghar aane ke kuch der baad nazi bhi aa gyi uske hath me ek thela tha jisko usne chhupa liya or bhagti hui apne kamre me chali gyi mujhe kuch samajh nahi aaya ki yeh kya leke aayi hai fir bhi chup rha or aake bister par let gya fiza rasoyi me chali gyi raat khana bnane ke liye. itne me nazi mere pass aa gyi ek feeta lekar or usne mera maap liya. mujhe kuch bhi samajh nahi aa rha tha ki nazi kya kar rhi hai isliye hath pair felaye khada rha jaise woh khada hone ko kehti ho rha tha lekin woh bas apne kaam kiye jaa rhi thi lekin mere koi bhi sawaal ka jawab nahi de rhi thi. maap lekar nazi wapis apne kamre me chali gyi or main wapis bister par let gya.Aaj mera poora badan dard se toot rha tha. raat ke khane ke baad mujhe bister par padte hi neend aa gyi. shayad kisi ne sach hi kaha hai ki jo maza mehnat karke roti khane me hai woh haram ki roti khane me nahi aa sakta.

Agle din subah jab main utha to mere bister ke pass 2 nayi jodi kapde pade the ab baat meri samajh me aa gyi ki nazi ne raat bhar jaag kar mere liye naye kapde sile hain main woh kapde uthaye bahar aaya or nazi ko shukariya kaha. to usne sirf itna hi kaha ki ab dekhti hoo tum par kaun hasta hai.main aaj bohot khush tha or naye kapde pehankar khet ke liye nikal rha tha. aaj koi mujh par nahi hass rha tha lekin aaj fiza or nazi mujhe dekh kar bohot khush thi. shayad kal gaav walo ka mujh par hasna unko bura lga tha isliye unhone mere liye naye kapde sile the. ese hi main nazi or fiza teeno poora din kheto  ke kaam me lage rhe.

Din guzarne lage roz main nazi or  fiza ke sath khet jata or unki madad karta. qasim roz din bhar apne awara dosto ke sath ghumta rehta or raat ko kothe par pada rehta. baba mere kaam se mujhse bohot khush rehte the lekin qasim mujhse nafrat karta tha isliye meri mojudgi me bohot kam ghar par rehta. Lekin ek nayi chij jo maine mehsoos ki thi woh yeh ki ab fiza mujhse door-door rehne lagi thi lekin nazi mera bohot khayaal rakhne lagi thi kisi patni ki tarah. jab kabhi pass ke kheto me kaam karne wali koi aurat mujhse hass kar baat kar leti to nazi ka chehra gusse or jalan se laal ho jata or bina wajaha mujhse jhagadne lag jati. kuch hi din me humne milkar sari fasal ki katayi kar di thi ab fasal bechne ka waqt tha. Isliye maine nazi se pucha ki ab is fasal ka kya karenge to usne kaha ki hum sab gaav wale apni fasal gaav ke bade zameendaar ko bechte hain.

Fiza: zameendar har saal apne hisaab se fasal ki keemat lagata hai or khareed leta hai ese hi hum sab ka kisi tarah guzara ho jata hai.
Main: lekin agar tum kisi or ko yeh fasal becho to ho sakta hai ki tumko jada paise mile.
Nazi: yeh baat hum sab jante hain lekin uske liye humko shehar jana padega jo hmare liye mumkin nahi kyo ki hum ladkiya akeli kaise shehar jaye or zameendar yeh baat kabhi bardasht nahi karega ki gaav ka koi bhi apni fasal bahar beche woh apne gunde bhej kar uss kisaan ko bohot buri tarah se marta hai.
Main: (yeh sunkar jane kyo mujhe gussa aa gya or mere mooh se nikal gya) mar gye marne wale...sher ki jaan lene ke liye faulaad ka kaleja chahiye.
Nazi: (hairaan hoti hui) essi boli tumne kaha se seekhi?
Main: pta nahi jab tumne maar-peet ka nam liya to khud hi mooh se nikal gyi

ese hi baate karte hue hum ghar aa gye dekha fiza kamre me bethi rou rhi thi. hum bhagkar uske pass gye or puchha ki kya hua rou kyo rhi ho.

Fiza: qasim abhi aya tha usne kaha ki iss bar sari fasal bechne woh jayega
Main: to isme rone ki kya baat hai yeh to achhi baat hai na woh ghar ki zimmedari utha rha hai
Fiza: nahi woh agar fasal bechega to sara paisa joowe or sharab or kothe me udaa dega fir saal bhar hum sab kya khayenge. kuch bhi ho jaye yeh fasal qasim ko mat bechne dena neer main tumhare aagey hath jodti hoo.
Main: tum ghabrao mat jaisa tum chahti ho waisa hi hoga lekin rona band karo

itne me qasim kuch aadmiyo ke sath ghar aaya or anaaz ki boriya uthwane lga to baba ne usko mana kiya lekin usne unki baat ko ansuni karte hue boriya uthwane me unn aadmiyo ki madad karne lga. main yeh sab kuch betha dekh rha tha. itne me baba ne mujhe awaz lagayi or qasim ko boriya lejane se rokne ka kaha to main khada hua or darwaze ke pass jake ruk gya,

Main: qasim jab baba mana kar rhe hain to tum kyo fasal bech rhe ho baba khud apne hisaab se bech lenge naa inn aadmiyo ko yha se jane ka kaho.
Qasim: bakwas mat kar kameene aya bada dalaal sala ab tu mujhe sikhayega ki kya karna chahiye or kya nahi pehle mere ghar par kabja kar liya ab iss anaaj ke paise par kabja karega essa kabhi nahi hone dunga main budhdha to pagal hai. chal mere kaam me dakhal na de nahi to yhi zinda gaad dunga tujhe.
Main: dekho qasim pyaar se keh rha hoo maan jao baba ki baat mujhe gussa na dilao
Qasim: tu ese nahi manega na ruk tera ilaaj karta hoo main

usne unn aadmiyo ko awaz lagayi to unn logo ne aake mujhe dono baaju se pakad liya or qasim ne or ek or aadmi ne mujhe marna shuru kar diya. mere pet me or mooh par ghuso ki jaise barsaat si ho gyi. mere mooh se khoon nikal rha tha aankhen band ho rhi thi ki achanak ek lohe ka sariya mujhe mere kandhe par lga shayad kisi ne pichhe se mujhe sariye se mara tha. Dard ki ek tez lehar mere poore badan me beh gyi or mooh se bas ek aaahhh hi nikal payi or main zameen par niche gir gya or sab log mujhe dekh kar hass rhe the. nazi or fiza ko bhi 2 admiyo ne pakad rakha tha woh dono rou rhi thi or qasim ko rok rhi thi lekin qasim kisi ki bhi baat sunne ko tiyaar nahi tha. Achanak meri aankhe band hone lagi or meri aankho ke samne ek tasveer si doud gyi jisme main ek sath kai logo ko peet rha hoo yeh dekh kar maine achanak se aankhe kholi to mujhe ek laat meri chhati ki taraf badhti hui mehsoos hui. mere hath apne aap uss pair ke niche chala gya or maine apne dono hatho se uss pair ko jor se gol ghuma diya woh admi ek tez dard ke sath zameen par ghum kar gir gya uska pair girne ke baad bhi waisa hi ulta tha shayad uska maine pair poori tarah se tod diya tha. Ab maine apni dono taangey hawa me gol ghuma ke apne hath ke sahare ek jhatke se khada ho gya. itne me ek or aadmi jiske hath me sariya tha woh mujhe marne ke liye meri taraf lapka maine apni ek taang hawa me uthakar uske mooh par maari to woh wahi gir gya or uske mooh se jaise khoon ka fawara sa nikal gya. jaise hi maine palat kar baki admiyo ki taraf nazar ghumayi to sab apne-apne hathiyar chhod kar bhaag gye. qasim wahi khada mere samne kaamp rha tha main uski taraf badha to nazi or fiza bich me aa gyi or mujhe usko marne se mana kiya. maine apni ungali uske mooh ke pass lake nahi me ishara kiya or phir niche zameen par padi tamaam anaaj ki boriyo ko unki jagah par wapis rakh diya or wapis apne kamre me aake baba ke pas beth gya. Qasim tez kadmo ke sath ghar se bahar nikal gya ab poore ghar me ek shanti si chha gyi koi kuch nahi bol rha tha thodi der me nazi ke sath fiza bhi kamre me aa gyi sab mujhe herani se dekh rhe the.


Baba: beta tumhara bohot-bohot shukriya aaj tum na hote to meri bachiyo ki saal bhar ki mehnat jaya ho jati
Main: aapne mujhe beta kaha tha na to yeh kaise ho sakta hai ki ek bete ke hote uske gharwalo ki mehnat jaya ho jaye
Baba: (mere sir par hath ferte hue) tum sada khush raho beta. fiza beti dekho neer ke kitne chot lagi hai isko dawa laga do
Nazi: koi baat nahi baba dawa main lga deti hoo.
Fiza: (meri taraf dekhte hue)Lekin aapne essa ladna kaha seekha?
Main: pta nahi jab woh log mujhe maar rhe the to pta nahi mere samne ek tasweer si aayi jisme main bohot sare logo ko ek sath maar rha tha bas uske baad kya hua tumne dekha hi liya hai.
Nazi: waise kuch bhi kaho maza aa gya kya mara hai....waaaahhhh ab woh log kam se kam 6 maheene bistar se nahi uthenge
Fiza: chal pagal kahi ki tujhe maze ki aag lagi hai mujhe to ab yeh darr lag rha hai ki zameendar kya karega neer ne uske aadmiyo ko mara hai.
Main: aap fikar na karo ab iss ghar ki taraf koi ungali bhi uthake nahi dekh sakta zameendar to kya uska baap bhi ab kuch nahi kar sakta.Main hoo na.
Fiza: lekin humko aapki bhi to fikar hai naa...apko kuch ho gya to.... dekho aaj bhi apko kitni chot lag gyi hai kahi kuch ho jata to....woh to gunde mawali hai unka na aagey koi na pichhe koi lekin aapka ab ek parivaar hai.
Main: arre aap log fikar kyo kar rhe ho kuch nahi hua mujhe thodi si kharash aayi sab thik ho jayega kuch din me.

  ese hi kuch der baad nazi ne mere dawayi laga di. or fir hum sab khana khake sou gye agle din main nazi or fiza shehar jake fasal bech aaye or hume zameendar se duguni keemat mili fasal ki jisse sab log bohot khush the.  Fir humne shehar se hi ghar ka jaruri samaan khareeda or nazi kehne lagi ki usko naye kapde lene hai sabke liye. uski jidd ke karan hum teeno ek dukaan par gye jaha sabke liye kapde khareedne lag gye. itne me fiza ko ek chakkar sa aaya or woh mere kandhe par gir gyi jise maine zameen par girne se pehle hi sambhaal liya. usne sirf itna hi kaha ki kamjori ki wajah se chakkar aa gya hoga or hum sab fir se kapde dekhne me lag gye. ese hi sara din khareed dari karne ke baad bus me ghar aa gye. aaj ghar me sab bohot khush the siwaye qasim ke. maine ek jodi kapde uthaye or qasim ko dene uske kamre me chala gya lekin usne woh kapde zameen par fenk diye. maine bhi jada usko kuch nahi kaha or kamre se bahar aake baba ke pas beth gya jaha nazi baba ko naye kapde dikha rhi thi. thodi der baad main or baba hi kamre me bethe the. raat ko sabne milkar khana khaya or sou gye qasim aaj bhi ghar me nahi tha. abhi meri aankh hi lagi thi ki kisi ne mujhe kandhe se pakadkar hilaya to meri jaag khul gyi. yeh fiza thi jo mujhe utha rhi thi or bahar chalne ka ishara kar rhi thi. main uske pichhe-pichhe kamre ke bahar aa gya.

Main: kya hua itni raat ko kya kaam hai
Fiza: mujhe aapse ek jaruri baat karni thi
Main: iss waqt...bolo kya kaam hai
Fiza: ek gad-bad ho gyi hai samajh nahi aa rha hai kaise kahu
Main: kya hua khulkar btao naa
Fiza: woh main maa banne wali hoo
Main: to yeh to khushi ki baat hai isme meri neend kyo kharab ki yeh baat to tum subah bhi bta sakti thi
Fiza: (jhunjhlate hue) aap baat nahi samajh rhe....main aapke bache ki maa banne wali hoo
Main: kya.......(herani se) ye kaise ho sakta hai....
Fiza: uss din woh sab hua tha na shayad tab hi ho gya.
Main : ye bhi toh sakta hai ki yeh qasim ka bacha ho
Fiza: mujhe poora yaqeen hai yeh aapka bacha hai kyoki qasim jabse jail se aaya hai usne mujhe hath tak nahi lgaya. jane uss din mujhe kya ho gya tha....(yeh kehte hue woh chup ho gyi)
Main: to kisi ko kya pta yeh kiska bacha hai tum bol dena qasim ka hai or kya. Main bhi kisi se kuch nahi kahunga
Fiza: nahi qasim ko pta chal jayega or woh sabko bol dega ki yeh mera bacha nahi hai. kyoki usne to mujhe chhua bhi nahi to main maa kaise ban gyi (pareshaan hote hue)
Main: chalo jo hoga dekha jayega abhi tum bhi sou jao bohot raat ho gyi hai hum subah kuch soch lenge tum fikar na karo main tumhare sath hoo
Fiza: pakka mere sath ho naa
Main: ha baba
Fiza: mujhe chhod kar kabhi mat jana neer main tumhare bina bohot akeli hoo (mujhe gale lagate hue or rote hue)
Main: nahi jaunga meri jaan chup ho jao (uske mathe ko chumte hue)ab jao jake tum bhi sou jao bohot raat ho gyi
Fiza: (haa me sir hilte hue or mere gaal ko chum kar) achha aap sou jao ab.


fir hum ek dusre se alag hue or apne-apne kamre me jake bister par let gye neend dono ki aankho se koso door thi shayad aaj hum dono hi ek hi chij ke bare me soch rhe the. mere ander uss din ke soye jazbaat aaj fir jaag gye the. Lund fir se khada ho gya tha fir wahi ek ajeeb sa ahsaas mehsoos hone lag gya tha lekin khud ko kabu karte hue maine aankhe band kar lee or sone ki koshish karne lga. main ab bas aane wale din ke bare me soch rha tha mere dimaag me kai sare sawaal the jinka jawab sirf aane wale waqt ke pass tha.
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)