Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE
#6
Aaj main kaafi der tak sota rha. jab aankh khuli to ussi kothari me khud ko paya or raat wala sara scene kisi film ki tarah meri aankho ke samne aa gya lekin abhi bhi dil me kai sawaal the ki raat essa kyo hua aakhir fiza ne essa kyo kiya. main apni socho me hi gum tha ki kisi ne kothari ka darwaza khat-khataya to mera dheyaan khud par gya kyoki raat ke baad main nanga hi sou gya tha maine jaldi se samne pade kapde pehne  or dheemi si awaz me aa jao kaha. mere kehne ke sath hi darwaja khul gya or nazi kothari me aa gyi.


Nazi: aaj to janab bohot der tak sote rhe(muskurate hue).
Main: haa woh aaj jaag hi nahi khuli (sir par hath ferte hue)
Nazi: chalo achhi baat hai waise bhi aapne konsa kahi jana hai
Main: aaj aap doodh kaise le aayi roz to fiza ji laati hai naa
Nazi: kyo mere hath se doodh  pee lene se kuch ho jayega kya.
Main: nahi essi baat to nahi hai
Nazi: bhabhi aaj rasoyi ke kaam me mashroof thi isliye unhone mujhe doodh de kar bhej diya
Main: achha...wese naaz ji mujhe aapse ek baat karni thi agar aap sab ko bura na lage to.....
Nazi: mujhe bhi aapko kuch btana hai
Main : ji boliye kya bat hai
Nazi: woh hum kal se khet jaa rhe hain fasal ki katayi shuru karni hai fasal tiyaar ho gyi hai isliye...
Main: yeh to bohot achhi bat hai.... kya main bhi aapki madad kar sakta hoo?
Nazi: (haste hue) aap chalne firne lag gye ho iska matlab yeh nahi ki aap thik ho gye ho abhi koi kaam nahi chup karke araam karo
Main: sara din yha pade-pade kya karu aapki badi meharbani hogi agar aap mujhe bhi apne sath kheto me lejaye waha main aap sabko kaam karta dekhta rahunga to mera dil bhi behal jayega le chaliye na sath mujhe bhi.
Nazi: baat to aapki thik hai lekin qasim bhai ko hum sabne aapke bare me kuch nahi btaya iss tarah aap hmare sath chaloge to unko kya kahengi hum ki aap kon ho or fir baba bhi pta nahi aapko sath le jane ki ijajat denge ya nahi main to yeh bhi nahi janti
Main: wese qasim bhai kaha hai
Nazi: (mooh bnate hue) hona kaha hai honge apne awaara dosto ke sath woh ghar par kabhi tikk kar thodi beth te hai. bas naam ka hi beta diya hai ,.' ne hume agar woh kaam karne wale hote to humko kheto me yeh sab kaam kyo karna padta sab naseeb ki baat hai.
Main: aapne mere liye itna kuch kiya hai ek ahsaan or kar dijiye ho sakta hai main qasim bhai ki thodi bohot kami hi poori kar doo wese bhi aap dono ladkiya itna kaam akele kaise karogi main aap dono ki madad kar dunga kheto me....maan jayiye naa
Nazi: (kuch sochte hue) thik hai main bhabhi se or baba se baat karti hoo tab tak aap yeh doodh pee lijiye.
Main: thik hai
fir naazi niche chali gyi usne pehle fiza se or fir baba se baat ki mere liye to woh log maan gye main yeh sab roshandaan se bade araam se uper se betha dekh rha tha. fir nazi uper aayi or usne mujhe niche bulaya ki baba aapko bula rhe hain. main baba ke kamre me gya to baba hamesha ki tarah charpayi par bethe hukka pee rhe the or kuch soch rhe the.

Main: hanji baba ji aapne mujhe yaad kiya
Baba: ha beta pehle to yeh btao ki ab tumhari tabiyat kaisi hai
Main: baba ji bohot behtar hoo ab main. ab to mere tamaam zakham bhi bhar chuke hai
Baba: beta yeh to bohot achhi baat hai. achha maine tumse kuch baat karne ke liye bulaya hai
Main: ji boliye
Baba: beta mere 2 hi bache hai ek yeh nazi or ek mera beta qasim lekin qasim ab hath se nikal gya hai. socha tha uska nikaah ho jayega to sudhar jayega lekin woh kuch waqt baad fir se waisa ho gya. ab woh 5 maheene baad jail se nikalkar aaya hai to bhi usme koi sudhaar nazar nahi aa rha. mere dil par yeh bojh hai ki anjane me maine apni bahu ki jindagi bhi barbaad kardi ese nakara insaan ke sath uski shaadi karke woh bichari ek bahu ke sath-sath ek bete ke farz bhi nibhati chali aa rhi hai jab se iss ghar me aayi hai. fiza ne iss ghar ko bhi sambhala meri bhi achhe se dekh-bhaal ki or kheto ka kaam bhi sambhalti hai. ab kal se kheto me katayi shuru ho rhi hai or har baar ki tarah qasim kheto ka kaam sambhalne ki jagah apne awara dosto ke sath hi ghumta rehta hai. yeh ek budhe ki iltejja hi samajh lo aaj mujhe tumhari madad ki jarurat hai agar tum bura na mano to kuch din jab tak kheto me katayi ka kaam chal rha hai tab tak tum inn dono ladkiyo ke sath chale jaya karoge inki madad ke liye.tumhara mujhe budhe par upkaar hoga.


Main: baba ji aap mujhe essa bolkar sharminda na kare meri ek-ek saans aap sabki karjdaar hai aaj main zinda hoo to aap sabki meharbani se hoo agar main aap logo ke kuch kaam aa saku to yeh mere liye badi khushi ki baat hai main kal se roz inke sath khet chale jaya karunga.
Baba: jeete raho beta ,.' tumhe lambi umer de... mujhe tumse yhi umeed thi aaj se tum bhi mere bete ho (mere sir par hath ferte hue)
Main: lekin baba qasim bhai se aap kya kahoge ki main kon hoo kaha se aaya
Baba: beta main ab bhi iss ghar ka malik hoo mujhe kisi ko kuch kehne ki jarurat nahi hai  (itne me nazi bich me bolte hue)
Nazi: uski fikar aap log na kare main hoo na main sambhaal lungi qasim bhai ko woh kuch nahi kahenge
Main: thik hai
Baba: beti inka bistar bhi mere kamre me laga do aaj se yeh bhi iss ghar ka beta hai ab isko qasim se chhup kar rehne ki koi jarurat nahi hai aaj se yeh bhi mere sath mere kamre me hi soyenga. tumhe koi aitraaz to nahi Neer beta..???
Main[Image: frown.gif]naa me sir hilate) nahi mujhe kya aitraaz ho sakta hai
ese hi sara din nikal gya or shaam ko main baba ke kamre me betha unke pair daba rha tha ki qasim ghar aa gya. pehle to woh mujhe dekhkar thoda heraan hua fir baba se puchha ki kon hai to baba ne usse jhooth bola ki jab tu jail me tha tab meri tabiyat kharab ho gyi thi iss naujawan ne meri bohot dekh-bhaal ki thi or mujhe sambhala tha iss bichare ka duniya me koi nahi tha yeh naukari ki talash me tha isliye main isko bhi apne ghar me le aaya. qasim yeh baat sunkar aag-baboola ho gya or kehne lga ki aap kaise kisi ajnabi ko ghar me uthake laa sakte ho. woh mere samne hi baba se jhagra karne lga main waha bas khamosh betha sab sunta rha. ant me baba ne yeh kehkar baat khatam kardi ki main ab bhi iss ghar ka malik hoo mujhe kisi se ijajat lene ki jarurat nahi ki mere ghar me kon rahega kon nahi jisko mera fesla manjoor nahi woh yeh ghar chhodkar jaa sakta hai. qasim ki yeh baat sunkar gusse se aankhen laal ho gyi thi lekin fir bhi woh khud ko be-bas sa mehsoos karke pair patakta hua ghar se bahar nikal gya or raat bhar ghar nahi aaya.

Raat ko main apne bister par pada aane wale din ke bare me soch rha tha or bohot khush tha ki kal subah mujhe bhi ghar se bahar nikalne ka moqa mil rha hai kyoki itne maheeno se main bas ek kheedki se hi sari duniya dekha karta tha. Wese to main yha kai maheeno se tha lekin aaj pehli baar main iss ghar se bahar nikal rha tha bahar ki duniya se main ek dam anjaan tha. yeh sab baate mujhe ek ajeeb si khushi de rhi thi. inhi socho ke sath main kab sou gya mujhe pta hi nahi chala. lekin 1/2 raat ko fir meri jaag khul gyi. fir wahi ajeeb sa ahsaas mujhe mehsoos hone laga pajame ke ander mera lund fir se sakht hua pada tha or mujhe bechain sa kar rha tha lekin aaj mujhe maze ki wadiyo me lejane wali fiza sath nahi thi. aaj koi mere badan ko choom nahi rha tha. khud me ek ajeeb sa khalipan sa mehsoos kar rha tha. aaj mujhe fir ussi nazuk badan ki jarurat thi jisne kal raat mere badan ke har hisse ke sath khela tha or ek ajeeb sa maza mujhe diya tha. ek pal ke liye mere dil me aaya ki aaj agar fiza nahi aayi to main uske kamre me chala jau or fir unhi maze ki wadiyo me kho jau lekin meri uske kamre me jane ki himmat nahi hui isliye bister pada fiza ka intezaar karta rha. lekin fiza nahi aayi or main fir se unhi neend ki wadiyo me kho gya.

subah jab meri aankh khuli to khud ko bohot khush mehsoos kar rha tha kyoki aaj main bahar ki duniya dekhne wala tha. main jaldi se bister se utha or taiyaar hone lag gya lekin pehan ne ke liye mere pass kapde nahi the. isliye main udaas hoke wapis kamre me aake beth gya. tabhi nazi kamre me aayi or mujhe kandhe se hilake boli...

Nazi: jana nahi hai kya khet me....kal to itna bol rhe the aaj aram se bethe ho kya hua?
Main: kaise jau mere pass pehan ne ke liye kapde hi nahi hai
Nazi: (hasti hui) bhabhi ne kal hi qasim bhaijaan ke kuch kapde nikal diye the aapke liye. woh jo samne almari hai usme sab kapde aapke hi hai bas poore aa jaye aapka qad konsa kam hai (haste hue)
Main: koi bat nahi main pehan  lunga hasso mat
Nazi: thik hai jaldi se kapde pehan lo fir khet chalenge hum aapka bahar intezaar kar rhi hai
Main: (haa me sir hilate hue) thik hai ab jao to main kapde pehnu.
Nazi: achha jaa rhi hoo lamboooooooooo (hasti hui zeebh dikha kar bhaag gyi)
fir main jaldi se kapde pehan kar teiyaar ho gya. kameez mujhe kaafi tang thi isliye maine kameez ke button kholkar hi kameez pehan lee or pajama mujhe pairo se kaafi uncha tha main ese hi kapde pehankar bahar nikal aaya jab mujhe fiza or nazi ne dekha to zor-zor se hasne lag gyi maine wajah poochi to dono ne kuch nahi me sir hila diya. uske baad main bhi sir jhatak kar nazi or fiza ke sath khet ke liye nikal gya. aaj main bohot khush tha or har taraf nazar ghumake dekh rha tha. gaav ke sab log mujhe ajeeb si nazaro se ghoor-ghoor kar dekh rhe the or hass rhe the uski wajah shayad mera pehnava thi. Lekin gaav walo ke iss tarah mujh par hasna nazi or fiza ko bura lga tha isliye dono ka chehra utra hua tha or chehra zameen ki taraf jhuka hua tha. kuch der me hum khet pohonch gye waha sarso ke lehlahate peele phool, gehu ki fasal or uska sunehra rang or yeh khula asmaan dekh kar meri khushi ka thikana hi nahi tha main kisi chhote bache ke tarah dono bahe felaye kheto me bhaag rha tha kyoki mere liye yeh sab nazara naya tha. kuch der main iss qudrat ki sundarta ko niharta rha fir mera dheyaan nazi or fiza par gya jo ki kheto me kaam karne me lagi thi or mujhe dekh kar muskura rhi thi. mujhe khud par thodi sharmindagi hui ki main yha inke sath kam karwane aaya tha or yha masti karne lag gya. isliye main wapis unke pass aa gya or unse kaam ke liye puchhne lga unhone jo sarso or gehu ki fasal kaat lee thi or uski gathari si bna lee thi. jisko mujhe uthakar ek jagah jama karna tha or baad me saaf karke boriyo me bharna tha. ese hi sara din main unke sath kam karta rha. shaam ko jab hum ghar aa rhe the tab nazi fiza ke kaan me kuch bol kar kahi chali gyi or mujhe fiza ke sath ghar jane ka bol gyi mujhe kuch samajh nahi aaya ki nazi kaha gyi hai lekin fir bhi main or fiza ghar ke liye chal pade. kaafi door tak hum dono khamoshi se chalte rhe ab hum dono me uss raat ke baad ek jhijhak thi or ab bhi mere dimaag me wahi raat wala scene tha main fiza se puchhna chahta tha ki usne essa kyo kiya. lekin isse pehle ki main kuch bol pata fiza khud hi bol padi.
Like Reply


Messages In This Thread
Ahsaan ( by Storyking ) - COMPLETE - by hirarandi - 03-12-2019, 04:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:22 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:49 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:51 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:53 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:54 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:55 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:57 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:58 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 04:59 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:00 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:02 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:03 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:05 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:08 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:09 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:10 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:11 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:12 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:13 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:14 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:15 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:16 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:17 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:18 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:19 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:20 PM
RE: Ahsaan ( by Storyking ) - by hirarandi - 03-12-2019, 05:21 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)