Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) Complete
#54
Good Morning Sahab ji.

Shaan nay peechay mur k daikha to takreeban 30 saal ki aik aurat khari thi. Sahab ji, kehnay say shaan ko yakeen ho gaya tha k wo is ghar ki naukraani hay. Shaan ko bahot sharam i k nokrani nay usko is halat main daikha jab wo uski malikan k kamray main jhaank raha tha aur uski nangi malikan ko daikh raha tha. Shaan kuch nahi bola aur bahir launge main ja k newspaper parhnay laga.

Wo naukrani shaan k peechay chalti chalti shaan k kareeb aa k khari ho gayee. Shaan nay poocha kia baat hay?

Nokrani: Sahab nashta laga doon?
Shaan: Sona utha jaye to ikhatay kar lain gay.
Nokrani: Sahab ji wo to 12 ya 12:30 say pehlay nahi uthain gi. Aur wo uth k nashta nahi kartien sirf juice peeti hain.
Shaan:Ok theek laga do nashta. Aur samnay paray tv remote say tv on kar lia aur news daikhnay laga.

Thori dair main shaan ko ghar main idhar udhar log nazar aana shuru hogaye, Maali bahir paani laga raha tha lawn main, Aik kaam wali dusting kar rahi thi, Aik banda bahir khari garion ko wash kar raha tha. Shaan nay dining table ki tarf daikha to wahan us aurat k saath aik aged banda bhi tha jo us k saath table pay nashta laganay main help kar raha tha.

In sab ko daikh kar shaan k zehn main fauran yeh khayal aya k yeh sab aa gaye hain aur ooper sona ko mom ka room ka darwaza open hay jahan wo dono nangay laitay hain. Kitni besharmi hay yahan. Aur pata nahi kitni dafa aatay jatay yeh nokar inko is halat main daikhtay hon gay. Nokar bhi kia sochtay hon gay? Ghar k tamam logon ki kia izzat hogi nokron ki nazar main?

Shaan k zehn main aik dum say kayee khayalat nay janam lay lia. Shaan abhi yehi soch raha tha k shaan k kaan main us aged aadmi ki awaz i. Sahab ji nashta lag gaya hay aap nashta kar lain.

Shaan utha aur ja k nashtay ki table pay ja k baith gaya. Table pay tarha tarha ki cheezain available thien. Nashta itna kuch tayar hua para tha jo k ghar k tamam log aur yeh tamam nokar bhi kha lain to tab bhi kuch na kuch bach jaye.

Shaan nay us aged aadmi ko awaz lagayee wo aged aadmi daurta hua aya ji sahab ji.

Shaan: Aaap ka naam kia hay?
Nokar: Ji Mannu naam hay ji mera.
Shaan: Acha yeh itna zayada nashta kiun bana dia? Khanay wala to sirf main hoon akaila?
Mannu: Bus ji yeh sab ameeron k styles hain. Ooper wala unhain dono hathon say day raha hay aur wo usi speed say kharch bhi kar rahay hain.
Shaan: Manuu aap yahan baithain mujhay aap say aik baat poochni hay.
Mannu: Ji poochiay sahab aur Mannu neechay zameen pay baith gaya.
Shaan: Aray nahi bhai yahan ooper baitho chair pay meray saath.
Mannu: Nahi sahab yeh jaga to malik logon ki hay. Ham nokron ki jaga to yahan neechay hay.
Shaan: Ghusay say main nay kaha na k yahan baitho ooper.

Mannu dar sa gaya aur ooper aa k baith gaya.

Shaan: Haan yeh hui na baat. Acha yeh batao k yeh larka kon hay jo raat madam k saath aya tha?
Mannu: Ji hamain nahi pata. Madam k saath pehlay bhi aik do dafa aya tha. Ab hum logo ki itni jurat kahan k hum in say poochain k yeh kon hay.
Shaan: Ok. Acha tumharay elawa aur kitnay log is ghar main kaam kartay hain?

Mannu abhi kuch bolnay hi wala tha k doosri tarf say sona kisi shairni ki tarha cheekhti hui i.

Mannu how dare you to sit beside Shaan? Tumhain pata nahi k tumhari jaga wahan neechay hay? Get lost from here. Mannu dartay dartay utha aur shaan ki taraf is nazar say daikha jesay keh raha ho k main nay kaha nahi tha k meri jaga wahan neechay hi hay aur kitchen main chala gaya.

Sona phir shaan ki tarf muri aur boli tum say thori dair sabar nahi hosakta tha. Maira wait to kar laitay, ikhatay nashta kartay.

Shaan pehlay kehnay hi laga tha k wo us naukrani nay kaha tha k tum 12 ya 12:30 say pehlay nahi jago gi laiken phir Mannu ki halat daikh kar sari baat apnay ooper hi daal li aur bola.

Actually poori raat tumharay saath sex main mehnat ki na to pait khali ho gaya tha. So mujhay sakht bhook lag rahi thi. Aur tumhain disturb karna munasib nahi samja.

Shaan ki is baat say sona ka temp thora down hua aur shaan k saath aa k baith gaye.

Sona: Yaar tum in nokron ko plz itna free mat karo. Inhain inki auqat main rehnay do.
Shaan: Sona main nay usay kaha tha k ooper baitho wo to bechara neechay hi baitha tha.
Sona: Koi zaroorat nahi hay hamdardi karnay ki in k saath. Salay kaam k na kaaj k dushman anaaj k.

Shaan ko sona k is behaviour k ooper bahot afsos hua. Sona k yeh roop shaan nay aaj pehli dafa daikha tha. Khair Sona nay phir juice ka glass lia aur shaan ko yeh keh kar chali gayee k wo ready ho kar aati hay then wo kaheen niklain gay ghoomnay phirnay. Shaan nay haan main haan mila di aur khamoshi say nashta karnay laga aur sona k behaviour, Mannu ki batain, Aunty ka naked ho k aisay hi befikar ho k sona, in k baray main sochnay laga.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) - by hirarandi - 25-11-2019, 04:31 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)