Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) Complete
#42
Phone rakh k naina kitchen mai chali gayee aur sath hi aunty bhi kitchen mai aa gayeen. Naina nay aunty ko bata dia us nay jimmy ko bhi yahin bula lia hay for breakfast jis pay aunty nay narazgi ka izhar kia k yeh baat thek nahi hay.

Khair jimmy bhi aa gaya aur then sab nay mil k breakfast kia aur then jimmy aur aunty apnay ghar chalay gaye aur naina ghar k kam kaaj mai masroof ho gayee.

Ghar k tamam kaam khatam karnay k baad naina nay time daikha dopehr k 12 baj rahay thay. Aaj subha say shaan nay bhi koi phone nahi kia tha. Naina nay socha shaan ki khair khairiat pata kar li jaye. Phone uthay aur shaan ko call ki.

Shaan: Hello naina kesi rahi raat akailay?
Naina: Akaili to nahi thi.
Shaan: Shak bhari awaz main. To kaun tha sath tumharay?
Naina: Aunty ko bula lia tha mai nay saath say. Aap ko pata hay akailay mujh say kesay raat guzarti?
Shaan: Oh plz naina ab raat guzarna seekho akailay coz ab mujhay week mai aik ya do din night time kaam karna paray ga.
Naina: Ok kar loon gi. Aur aap ki raat kesi guzri?
Shaan: Bhot kaam tha saari raat kartay rahay abhi bhi neend say bura haal hay.
Naina: to ghar aa jain na? Aram kar lain.
Shaan: Nahi ab chuti kar k hi aaon ga aik he dafa. Kuch mangwana hay bazar say to mujhay sms kar daina main laita aaon ga.
Naina: Ok Take Care.
Shan: Take care aur phone band.

Naina then tv lounge mai aa gayee aur shaan k baray mai sochnay lagi k shaan us k saath aisa kiun kar rahay hain? Kia wo khubsoorat nahi hay? Kia wo sexual kamzore hay? Kia shaan ka us say dil bhar gaya hay? Ya us larki nay shan ko apnay jaal mai phansa lia hay?

Abhi yehi soch rahi thi k aunty ki call aa gayee k wo bazar tak ja rahi hain kuch shopping karnay aur if naina jana chahti hay to ready ho jai. Pehlay to naina nay socha k nahi jati k shaan kia kahain gay phir yeh soch kar janay ki haami bhar li k shaan ko kaun sa farq parta hay wo jiay ya maray aur then haan kar di.

Thori dair main dono ready ho kar bazar shoping karnay chali gayeen. Shoping kartay kartay 2 baj gaye aur naina ko bhook lagnay lagi. Aunty nay bhi bhook ka izhar kia aur dono aik fast food main lunch karnay chali gayeen.

Wahan pay dono nay ikhata lunch kia aur lunch kar k jesay hi dono fast food say bahir aain agay say shaan usi larki k saath fast food k andar dakhil ho rahay thay. Shaan ki nazar naina pay par gayee aur naina nay bhi shaan ko daikh lia. Shaan ki shakal say confusion clear dikh rahi thi kiun k shaan k haath main us larki ka haath tha aur naina nay dono ko usi position mai daikh lia tha.

Aunty nay naina ka kuch na bolnay ka kaha aur khamoshi say agay chal diay. Naina ko aik baat to confirm ho gayee k us larki nay naina ko nahi daikha hua tha warna wo bhi fauran usay pehchan jati. Naina ghusay say ja k gari mai aunty k saath baith gayee aur ronay lagi.

Aunty nay usay samjhaya k yeh munasib jaga nahi hay. Ghar ja k aram say baat kar laina shaan say aur gari le kar chal dien. Ghar pahonchtay hi naina nay ro ro k bura haal kar dia. Aunty nay munasib nahi samjha un k apas k mamlat mai interfare karna isi liay wo naina k ghar nahi i.

Naina abhi ro ro k bed pay laiti hi thi k door bell hui. Nain nay apnay face ko theek kia aur ja k door open kia to hairan ho gayee. Bahir shaan kharay thay jo k bahot ghusay mai dikh rahay thay.

Darwaza band kartay hi naina pay baras paray. Tumhain sharam nahi aati meri ijazat k baghair tum bahir kiun nikali? Tumhain kis nay kaha k tum is tarha fast foods aur bazar mai ghoomti phiro. Tumhain apnay husband ki izat ka koi khayal nahi hay? Laanat hay aisi wife pay jo apnay husband ki ghair hazri mai bazaron mai ghoomti hay. Pata nahi aur kia kia gul khilaye hon gay meri ghair maujoodgi mai.

Is baat pay naina ko sakht ghusa aaaa gaya aur wo shaan pay baras pari k wo jo larki aap k saath thi wo kia us k saath lunch kar k aap ko sharam nahi i? Us k saath raat guzar k sharam nahi i? Bus itna hi kehna tha k shaan nay naina k gaal pay zore ka chanta raseed kar dia aur ghusay say zore say gate band kar k gari start kar k chalay gaye.

Naina aur shaan ki life mai aaj first time itni shadeed larai hui thi. Aur wo bhi itni k naina ko shaan nay chaanta tak day mara. Naina nay to ro ro kar bura haal kar dia. Wo ja bhi to kahin nahi sakti thi. Parents itnay door the k 24 hours ka safar tha. aur un ko bata k perishan nahi karna chahti thi.

Raat k 10 baj chukay thay laiken shaan ab tak ghar wapis nahi aye thay. Naina ka ghusa bhi thora thanda ho chuka tha. naina phone uthaya aur shaan ko call ki. Shaan nay naina ka phone attend nahi kia. Naina nay do dafa aur try kia to shaan nay naina ki call cut kar di. Jis pay naina ko bahot dukh hua k apni wife ki call attend nahi kar rahay. Thori dair mai naina k cell pay msg aya jis mai likha tha k wo aaj raat bhi ghar nahi aain gay aur wo naina ki shakal nahi daikhna chahtay. Naina nay ghusay say phone sofay pe phainka aur aa k apni kismat pay ronay lagi.

Kafi dair youn shaan k behavour aur fast food wali larki k baray mai sochnay k baad us nay socha k aunty ko kiun na bula lia jaye kiun k usay maloom tha k wo aaj raat bhi akaili hi hogi. Laiken phir yeh soch k apnay aap ko hi mana kar dia k nahi aunty kia sochain gi. Aunty ko to nahi pata na k shan ghar pay aye thay aur yeh sab kuch kar k gaye hain. Phir sochnay lagi k aunty ko to sab kuch maloom hay k meray aur shaan k beech kia chal raha hay aur aaj unhon nay apni ankhon say shaan ko fast food mai daikha tha. Phir socha k bula hi loon to behtre hay. Uthi aur aunty ko phone karnay hi lagi thi k Naina k cell pay sms aya. Naina nay yeh soch k fauran cell phone uthaya k shaan ka msg hi hoga. Laiken wo msg aunty ka tha jis mai likha tha k naina tum jaag rahi ho? Naina k to jaisay mun mai ladu phoot para k abhi hi soch rahi thi aur aunty ka msg aa gaya. Aur saath hi naina k moon say nikal para think of devil, devil is here. aur khud hi hansnay lagi. Phir same yehi likha sms mai k aunty think of devil, devil is here. hehehehe and yes jaag rahi hoon and missing you. aur msg send kar dia.

Naina ka msg send karna hi tha k landline phone pay ring hua. Naina nay phone uthaya to doosri tarf aunty thien.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) - by hirarandi - 25-11-2019, 04:19 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)