25-11-2019, 04:02 PM
Naina kuch dair aisay hi kuch dhondti rahi aur phir kitchen main chali gayee. Kitchen mai jatay saath hi usay bahot hi khushi hui k yes wo jaisa soch rahi hay jimmy waisa hi hay. Us nay aik martaba daikha aur dobara nahi daikha. Ab us say raha nahi gaya aur seedha kitchen say bahir nikali aur jimmy k samnay ja k baith gayee.
Jimmy: Tea ready ho gayee mom ko bulaon?
Naina: Tea ready ho gayee hay.
Jimmy: Ok main mom ko bulata hoon.
Naina: aik min jimmy.
Jimmy: Ji?
Naina: Wo i am sorry k main nay aap say oonchi awaz mai baat ki aur aap ko bura lag gaya.
Jimmy: Kon c baat? (jesay usay kuch yad hi na ho)
Naina: Wohi kitchen mai jo aap nay question poocha tha us k rep mai jo main harsh ho gayee thi.
Jimmy: Oh its ok no prob. Yeh aap ka right hay, ghalti to meri hay ji jo aik dum say itna free ho gaya. Mujhay hi khayal rakhna chahiay tha. Next time i'll be careful.
Naina: (Apnay aap pay mazid sharminda hotay huay k daikho kitna nice hay jimmy isay to zara bhi bura nahi laga mera yeh behaviour) aur phir muskra di ok thanx jimmy.
Jimmy: Ok main mom ko bulata hoon aur wo chala gaya.
Naina sab kuch bahot acha lag raha tha. Usay aik dum say apna pariwar poora lagnay laga. Jaisay tamam khoi hui khushian wapis aa gayee hon. Usay ab yakeen honay laga k wo ab is ghar mai akaili nahi rahi jo sara din apni sochon mai khoi rehti hay. Apnay andar usay energy feel honay lagi. Usay aik dum say sab energetic lagnay laga. Dil hi dil mai bahot khush thi aaj naina.
Thori he dair mai Aunty ji andar daikhil huin.
Aunty: Sorry naina call thori lambi ho gayee. Yeh hisab kitab k kaam bhi na banday ko pagal kar daitay hain. Agar arayan zinda hotay to jhat say nipta laitay sab kaam.
Naina: Chalain ab arayan junior jo ready hay jhat say kaam niptanay k liay. bus kuch months hain.
Aunty: hehehehehehe acha naam dia hay wesy jimmy ko. Kiun na hum yehi naam rakh dain aur saath hi jimmy ko aankh maar di.
Jimmy: Ji mom bus ab yehi hona baqi reh gaya tha. hahahahaha sab hans paray.
Phir ikhatay baith kar tea peenay lagay aur idhar udhar ki batain hoti rahien. Tea p kar jimmy nay kaha ok mom mai ghar ja raha hoon mujhay study karni hay. Aap jab free ho jain to aa jaiaye ga. aur keh kar chala gaya.
Aunty aur naina dono kitchen mai aa gayeen aur mil kar kaam karnay lagien. Aunty ko laga k ab naina ka mood theek hogaya hay aur normal hi batain kar rahi hay. Bahir sooraj bhi gharoob ho raha tha aur andhaira chaata ja raha tha.
Naina: bartan wash kartay huay. Aunty phir kia hua?
Aunty: kia phir kia hua?
Naina: wohi jo aap baat bata rahi thien first interaction with arayan?
Aunty: Oh acha tumharay zehn mai abhi tak wo baat chal rahi hay? Mai to samji k tumhain bhool hi gayee ho ge wo baat.
Naina: Nahi mujhay batain nahi bhooltien jo aik dafa sun loon ya mairay saath beet jaye hamaisha yaad rehti hay. Wesay bhi jab say shaadi hui hay yadain hi to mera sahara hain.
Aunty: Ok dont bhi sad. Acha kahan pahonchi thi main?
Naina: Kuch sochtay huay. haan wo aap nay us larkay ko daikha jo maria ko acha laga tha magar aap ko nahi.
Aunty: Aray tumhari memory to bahot taiz hay.
Haan to phir abhi hum yehi discuss kar rahay thay k aik khoobsoorat sa young larka maria k paas aya aur us say dance ki request karnay laga. Maria nay bhi fauran haan kar di aur us larkay ka hath pakar k floor pay chali gayee jahan sab couples dance kar rahay thay. main thori dair wahan baithi aur bore honay lagi. phir kuch ghutan c feel honay lagi to main nay socha k ooper terace mai chali jati hoon for fresh air. Aur main juice ka glass lay kar ooper tarace mai chali gayee.
Naina: Phir?
Aunty: Bartan apni jaga par rakhtay huay. Phir kia mujhay thandi thandi hawa bahot hi achi lag rahi thi k achanak awaz i.
Wo aye hamaray ghar mai Khuda ki Qudrat
Kabhi hum unko kabhi apnay ghar ko daikhtay hain
main nay mur kar daikha to mujhay kuch nazar na aya aur main hairan hui k awaz kahan say aa rahi hay. Phir main nay dhayan hataya aur bahir lights ko daikhnay lagi. Achanak aik phir awaz i.
Tunay mekhana nigahun mai chupa rakha hai
Hoshwalon ko bhi deewana bana rakha hai
Naaz kesay na karun banda nawazi pe teri
Mujse nacheez ko jab apna bana rakha hay
Jab bhi gham milta hay seenay say laga laita hoon
Main nay har dard ko taqdeer bana rakha hay
Main nay ghaur kia to waha tarace pay hi andhary mai koi black color ka pent coat mai maujood tha. Main nay thora sakht lehjay main bola Kon hay wahan? aur wahan say awaz i.
Ae meray parda nasheen teri tajwajo k nisar
Mainay ishq teri dunia say chupa rakha hay.