Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) Complete
#23
Phone ring hua landline.
Naina: aunty wait main phone sun k i.
Naina: Hello? Ji aap aaye nahi abhi tak aap ka phone bhi band ja raha hay aur aunty tea pay wait kar rahi hain aap ka? Acha laiken aap aa jatay to aunty ko acha lagta aap dopehr ko lunch par bhi nahi thay............ Laiken main nay to aisi koi baat nahi ki................... Ok baat to sunain, hello, hello are you there? aur phone rakh dia. Aur wahan hi baith kar ronay lagi. Phir khayal aya k aunty kitchen main wait kar rahi hain to aansoo saaf kar k kitchen main janay lagi to samnay aunty khari thien.
Naina: Aunty aap yahan?
Aunty: I am sorry wo tum phone pay ooncha bol rahi thi to raha nahi gaya to aa gayi. Kia hua beti shaan nahi aa rahay?
Naina: Ji wo nahi aa rahay. Kia main itni buri hoon k mera itna bhi khayal nahi hay unhain? Or ronay lagi.
Aunty: Kiun kia hogaya?
Naina: Main nay kabhi un pay shak nahi kia kabhi to wo mujhay kiun keh rahay thay k tum mujh pay shak kar rahi ho k mera number off tha. Main yahan office main kaam k liay busy hota hoon na k kisi larki k saath enjoy kar raha hota hoon. Samji? Tum bivion ko to ghar baith kar batain bananay aati hain sirf. Aunty believe me main nay to sirf itna kaha tha k aap ka cell band tha.
Aunty: Koi baat nahi baita ho jata hay kabhi kabhi aisa. (aunty nay baat ko mazid discuss karna zayada munasib nahi samja laiken wo sari soort.e.haal ko fauran hi samaj gayee thi k naina kis tarha ki life g rahi hay laiken khamosh rahi aur naina ko tasali daitay huay boli aao jao kitchen main).
Naina: ok aur uth k kitchen ki tarf chal pari.

Ab aunty ki first interaction with arayan wali baat adhoori reh gayee thi kiun k naina ka mood aik dum say off ho gaya tha. Naina khamoshi say kitchen main kaam karnay lagi aur thori dair baad boli.
Naina: I am sorry aunty.
Aunty: Sorry for what?
Naina: is sab k liay jo abhi thori dair pehlay hua.
Aunty: aray nahi nahi yeh to ab har ghar ki kahani banti ja rahi hay k husband ko din main koi aur khush kar daita hay aur bivi bechari rah tak.ti reh jati hay.
Naina: Aik dum say khush kar daita hay matlab?
Aunty: Oho yeh hum kia ulti seedhi batain kar rahay hain choro wo party ka bata rahi thi main.
Naina: Nai aap jo main pooch rahi hoon wo batain. Is dafa naina ka lehja thora sakht tha.
Aunty: I mean k koi bhi nayee larki ka life main na. Lazmi nahi hay k shaan bhi aisa ho. Tum bus possitive hi socha karo.
Naina: Ji main to aaj tak possitive hi sochti i hoon jabhi to aaj yeh haal hay k guests ghar pay hain aur hoest ghar say bahir.

Door bell hui. Naina gate open karnay gayee. Agay jimmy khara tha.
Jimmy: Hello naina ji.
Naina: Aa jao andar jimmy aur yeh haath main kia utha rakha hay?
Jimmy: Yeh samosay, yeh pakoray, yeh biscuits, yeh cream cake.
Naina: Gate band kartay huay andar kamray ki tarf aatay huay chaltay chaltay boli. Ok wahan samnay rakh do jatay huay ghar lay jana.
Jimmy: Aray nahi naina ji yeh main apnay ghar ki liay nahi yahan k liay laya hoon with tea khain gay na.
Naina: Aray yeh kia kya tum nay? Banda pooch to laita hay. Tum guest ho ok?
Jimmy: Ok but poochta to aap nay refuse kar daina tha k mat laana to main nay poocha hi nahi aur naina ko aankh maar di.

Naina jimmy ki is aankh marnay wali harkat pay aik dum perishan c ho gayee aur aik pal k liay sochnay lagi k wo itna free kiun ho rahi hay jimmy say? Phir khayal aya k wo bhi to kitna kar raha hay daikho kia kia lay kar aya hay. Chalo kia hua jo aankh maar di. Mazak main hi to maari hay. Mazak main sab chalta hay. Andar hi andar apnay aap say batain karnay lagi aur saath hi jimmy ki awaz nay dara dia.
Jimmy: Kia ho gaya naina ji. Itni dair say tamam cheezain aap ko pakra raha hoon aur aap hain k haath agay kia hua hay laiken grip nahi kar rahien?
Yeh sun k naina nay apnay right aarm ko daikha jo k is position mai tha k jaisay jimmy say maang raha ho kuch. Aik dum say haath peechay kia aur boli oh i am sorry lao day do mujhay aur muskura di. Saman lay kar kitchen main chali gayee. Kitchen main gayee to daikha k aunty pehlay say sub kuch ready kar chuki thien, plates, tomato ketchup, chatni.
Aunty: Kia kehta hay jimmy?
Naina: Aray aap nay us say kaha tha yeh sab lanay ko phone pay?
Aunty: Nahi to. Zara dikhao to kia laya hay? Aan haan yeh sab to wo bachpan say bahot like karta hay with tea. Isi liay lay aya hoga.
Naina: Aray mujhay keh dia hota yeh sab pasand hay to main yahan ghar pay hi bana daiti jimmy ko.
Naina ki baat khatam hi nahi hui thi poori k peechay say jimmy ki awaz i. Haye naina ji hamaray naseeb itnay achay kahan aur muskra k bola k kesa fit dialauge bola hay? hahahahahaha. Dont worry ji aap ko bhi takleef doon ga zaroor ab to waisay hi deewar k saath deewar mil rahi hay to i hope k bahot jald aap k haath k banay huay samosay khanay ko milain gay aur apni mom ko ankh martay huay bola. Kiun mom?
Aunty: Haan haan kiun nahi beta. Kiun naina theek kaha na?
Naina: Agar aisay hi sharartain karta raha na to phir to kabhi bhi nahi. aur smile kar di.
Aunty: Oh mujhay financial advisor ko call karni thi company k, k wo report submit kar day. Main call kar k i tum dono gup karo aur muskura k kitchen say bahir chali gayee.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Naina ( Ek Larki ki daastan by Sarfarosh ) - by hirarandi - 25-11-2019, 03:56 PM



Users browsing this thread: 6 Guest(s)