25-11-2019, 02:51 AM
in my words :—–
ye ek alag hi kahaani hai. bachpan se main thoda spiritual raha hun. aksar shaant jagah dekh kar main aankhe band karke baith jaata tha. tumhe ye baat thodi ajeeb lagegi lekin ye sach hai.
Ek baar college mein history ke teacher ne bhagvaan buddh ki kahaani shunaayi thi. ush kahaani ki kuch khaas panktiyaan mujhe aaj tak yaad hain.
Kahaani ke anushaar bhagvaan buddh ko bodhvriksha ke neeche enligtenment huyi thi. mere man mein bachpan se ye sawaal baar baar aaya hai ki kya hai ye enlightenment.
Pata to kuch tha nahin. main aksar shaant jagah dekh kar chupchaap aankhe band karke baith jaaya karta tha. kyonki maine shuna tha ki bhagvaan buddh bhi aankhe band karke baitha karte the. par kabhi kuch khaas ahsaash nahi huva.
Jab bhi aankhe band karta tha to bas andhera hi deekhta tha. vaise bachpan mein itna kuch pata bhi nahi tha meditation ke baare mein. Lekin pata nahin kyon main phir bhi kuch na kuch try karta rahta tha
Didi jab mujhe kabhi aisi haalat mein dekhti thi to kahti thi, “jatin kya koyi jholachaap baba ban-ne ka iraada hai, chalo padhaayi karo”
Didi aksar mujhe jatin kah kar hi bulaati thi. vaise har koyi mujhe bachpan se billu kah kar hi bulaata hai
Maine Osho ki maditation practices ke baare mein kaafi shun rakha tha. par kabhi kishi jagah ja kar try nahi kiya tha.
Jab main ush din tumhaare ghar se nikla tha to man bahut jyada udaas tha. delhi jaane ka bilkul man nahi tha. aur main mumbai mein ruk kar tumhe aur jyada pareshaan nahi karna chaahta tha.
Pune mein jo osho ashram hai ushke baare mein kaafi shun rakha tha. man mein achaanak ek vichaar aaya ki chalo pune chalta hun aur kuch maditation sikhta hun, shaayad dukhi man ko kuch shaanti mil jaaye.
Maine jeendagi mein tumhe barbaad karne ke alaawa koyi bura kaam nahi kiya. Par tumhe barbaad karna hi mera sabse bada paap ban gaya. Agar ush vakt tum mujhe apna leti to mere dil ka bojh halka ho jaata, par aisa ho nahi paaya. tumhe paane ki ummeed kho chuka tha. aise mein meditation mein mujhe roshni ki ek kiran nazar aa rahi thi.
Maine shun rakha tha ki meditation mein inshaan mar kar ek naya janam leta hai. aur ish tarah main apne ander ke ush billu ko maarne nikal pada jishe tum jaanti thi
Aur ish tarah mein pune pahunch gaya
Mera ek college ka friend, madan pune mein ek call center mein laga hai. mujhe bhi ushne vahi lagva diya. madan bhi osho ke ashram jaata rahta tha. maine 4-5 baar ashram ja kar dynamic meditation seekh li. Ushke baad mein madan ke ghar par roj subah dynamic meditation karne laga.
Dynamic meditation ka 3 mahine ka ek pura complete cycle hota hai. ishe pura kar liya jaaye to inshaan ko kuch bahut gahre ahsaash hote hain. Unko shabdo mein nahi kaha ja sakta.
Pure 3 mahine maine ye meditation ki. kabhi madan ke ghar par aur kabhi ashram par. Ish meditaion ne meri jeendagi badal di. Main billu se jatin ban gaya. Pehle bas naam ka jatin tha. ish meditation ke baad sach mein jatin ban gaya.
“hmm…. to tum meditation seekh rahe the, ishliye apni didi ko dekhne nahi aaye, mujhe ye sab shun kar bilkul acha nahi lag raha jatin. Kuch kaam aise hote hain jinhe aap kabhi nahi taal sakte. Tum apni didi ko bhula kar aatma parmaatma ke chakkar mein pad gaye, kya tumhe nahi lagta ki tumne bahut galat kiya hai, aur tum meditation seekhne bhi kahaan gaye,….ek sex guru ke asharam mein, lagta hai tum khud ko dhoka de rahe ho” ritu ne kaha
“aisi baat nahi hai main didi ko ush haalat mein tv par hi nahi dekh paaya to vaha ja kar kaise dekh leta. Mere ander itni himmat nahi thi ritu. Maine to ish baat ko hi swikaar nahi kiya ki vo meri didi hi thi. haan par aaj baat dushri hai. aaj main bahut shaant hun. 3 mahine jo maine meditation ki hai, ushne meri jeendagi badal di hai. vaise kaafi had tak to tumhaare pyar mein main badal hi chuka tha, baaki ka kaam ish mediatation ne kar diya aur ish tarah billu maara gaya. Aur haan osho par sex guru ka thappa vo log lagaate hain jo sex mein upar se neeche tak dube huve hain, maine osho ko khub padha hai unhone kabhi sex ko promote nahi kiya” —- maine kaha.
“Mujhe laga sanjay ne tumhaare saath kuch aisa vaisa kar diya. vo ush din jish din tum aakhri baar letter daalne aaye the, tumhaare peeche hi gaya tha. ushne mujhe bataaya tha ki ushne tumhaare tukde tukde karke mumbai ke naalo mein baha diye. Main ye shun kar soch baithi thi ki ab tum ish duniya mein nahi ho” —- ritu ne kaha
“ritu inshaan frustration mein kaafi kuch bol jaata hai. sanjay ne yu hi tumhe pareshaan karne ke liye bol diya hoga. This is natural tendancy of frustrated person” ———- maine kaha
“par mujhe lagta hai ki tumhe ek baar to kavita ke liye aana chaahiye tha” — ritu ne kaha