Thread Rating:
  • 1 Vote(s) - 3 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Choti si Bhool By Mr. Jatin ( COMPLETE )
7:00 pm
Abhi abhi dipti ka phone aaya tha. ushne kuch aisa bataaya hai ki ush ki baat shun kar dil dahal gaya hai aur aankhe nam ho gayin hain
“ arey ritu news dekh rahi ho ki nahi”
Maine pucha, “kyon kya baat hai” ?.
“Arey dekho to sahi tumhaara faridabad wala ghar live aa raha hai. tumhaare ghar ke peeche kavita ki laash mili hai. laash kankaal ban chuki hai. bahut hi khaufnaak nazaara hai” — dipti ne kaha
“ohh my god, kavita ki laash mere ghar ke peeche” —- maine kaha
“haan, ek baat aur shuno, manish ko sanjay ke clinic se ek pen drive mili hai. ush mein kavita ke ** ki puri video hai, vo video bhi manish ne media ko de di hai. ushe bhi dhundala karke deekhaaya ja raha. chaaro logo ke chehre saaf deekh rahe hain. Billu theek kah raha tha ritu, kavita ka bahut brutal ** huva tha”
“Kya ? ye tumhe kab pata chala” — maine pucha
“Pen drive to koyi ek hafte pehle mil gayi thi. manish ne mujhe bata bhi diya tha par aaj kavita ki laash mili hai”
“ohh god tum mujhe aaj bata rahi ho” —- maine kaha
mai bhaag kar apni khidki mein gayi aur baahar dekha
baahar billu ki taxi khadi thi par ush mein koyi nahi tha
“yaar mujhe laga tumhaara ish sab mein koyi interest nahi hai” dipti ne kaha
“aur vo jo sunita ne bataaya tha vo kya tha dipti” —- maine pucha.
“Vo jhut bol rahi thi ritu, dar-asal sunita ye afvaah sanjay ke kahne par uda rahi thi. maine to bataaya bhi tha tumhe ki manish ko khud ushki baat par yakin nahin hai” —- dipti ne kaha.
“Ohh god,….. dipti, maine billu ko na jaane kya-kya bol diya” — maine kaha
tab achaanak mujhe dhayaan aaya ki peechle 2 hafte se billu mujhe kahin nahi deekha. Na hi 2 hafte se ushki koyi chit ghar mein mili. Haan ushki taxi abhi bhi vahin ki vahin khadi hai.
maine dipti ka phone kaat diya
maine tv on kar ke dekha to sabhi channels par kavita ka kankaal deekhaaya ja raha tha. sach mein bahut khaufnaak najaara tha. news mein bataaya ja raha tha ki forensic report ke mutaabik kavita ko jeenda hi dafna diya gaya tha.
dipti ka phir se phone aa gaya
“manish ne media ko ish sab mein involve karke acha kiya na ritu. Ab mujrimo ko saja mil sakegi. Ab ye case media sambhaal legi. Manish bata raha tha ki sanjay ke saath saath baaki ke teen logo ko giraftaar kar liya gaya hai. par yaar media wale kavita ke bhai ke baare mein puch rahein hain. Kya billu abhi bhi vahin hai” —- dipti ne kaha
“mujhe nahi pata dipti, peechle 2 hafte se maine ushe nahi dekha. Haan ushki taxi yaha jaroor khadi hai” — maine kaha
mera dil bahut bhaari ho raha tha. main badi mushkil se dipti se baat kar paa rahi thi.
aakhri baar maine billu ko 8-03-09 ko dekha tha. ushki vo dard bhari halki si mushkaan aur aankho ki nami mujhe abhi tak yaad hai. ush din billu ke jaane ke baad sanjay bhi ushke peeche peeche gaya tha.
kahin sanjay ne to ushke saath kuch aisa vaisa nahi kar diya. vo kah to raha tha ki, “marna to ushe hai hi, yaha nahi to kahin aur marega”
tabhi mujhe yaad aaya ki maine ush din ushki chit apni diary mein rakhi thi.
maine vo chit nikaali aur ushe padhne lagi
ushmein leekha tha :——-
“ meri pyari ritu.
Tum maano ya na maano. Mai tumhe bahut pyar karta hun. mujhe khud bhi nahi pata ki aisa kyon hai. haan bas ek ahsaash hai ki tumhaare bina jee nahi sakta. tum meri jeendagi ho ritu. main bas tumhe paane ki ek koshish kar raha tha. kya karun apne dil ke haatho majboor tha. par main ye baat bhul raha tha ki tum mujhe kabhi maaf nahi kar paaogi. Karogi bhi kyon. ** meri didi ka huva tha,tumhaari ish mein kya galti thi. aur haan ritu maine pehle jaroor kahaani banaayi hai, bahut jhut boley hai. itne jhut boley hai ki aaj tumhaara vishwaas kho chuka hun. par maine apni didi ke ** ki kahaani nahi banaayi. Haan mere paas koyi saboot nahi hai. tabhi to bina saboot ke kuch kar nahi paaya. Aur didi ka ab tak kuch pata nahin ki kaha hai, jo aakar khud sach bata sakein. to tum kuch bhi soch sakti ho. Aaj lagta hai ki main haar gaya. Koshish bahut kar raha tha tumhe apna pyar deekhaane ki par….. chalo chhodo.. aur kuch nahi leekha ja raha. dil bhaari ho raha hai aur aankhe bhar aayi hai. vaise pata nahi tum padhogi bhi ya nahi. but I will love you forever. Kabhi meri yaad aaye to yahi mat sochna ki maine tumhe barbaad kiya tha. ho sake to ek baar ye bhi sochna ki maine tumhe pyar bhi kiya tha. main jhuta inshaan sahi par mera pyar sacha hai.…… billu”
Ye letter padhte padhte meri aankho se aanshu tapak rahe the aur letter ki leekhaavat ko dhundala kar rahe the.
Mujhe ye samajh nahi aa raha tha ki aakhir billu ke dil mein pyar ka phool kaise khil sakta hai. par jo bhi ho ushka pyar ab mujhe meri aatma tak mahsush ho raha hai.
Date : 29-03-09
Aaj ek hafta ho gaya kavita ki laash ko mile par billu ka kuch ata pata nahi. aisa kaise ho gaya ki vo apni sister ki laash tak dekhne nahin aaya.
Pura hafta meri najre billu ko dhundati rahi. roj subah office jaate vakt aur shaam ko office se aate vakt main billu ki taxi ko dekhti hun. vo 8-03-09 se vaisi ki vaisi ek hi jagah khadi hai.
Shaam ko ghar aate hi darvaaje ke aas paas dekhti hun ki kahin billu ne koyi chit to nahi chhodi par mujhe kuch nahi milta.
Ek baar vo apni didi ka antim shanskaar kar deta to acha hota. Mere man se ek bojh hat jaata. Aaj phir se bahut dukh ho raha hai ki maine bina soche samjhe ush din mandir ke baahar pata nahin billu ko ushki didi ke baare mein kya kya bol diya.
Aaj subah mandir jaate vakt meri aankhe billu ko dhund rahi thi. Pata nahin billu se kya rista ban gaya hai mera. Vo hota hai to main chaahti hun ki vo dafa ho jaaye. Vo nahi hota to kuch na kuch aisey haalaat ho jaate hai ki meri nazre bas ushe hi dhundati hain
Har pal yahi lagta hai ki abhi kahin se billu aayega aur kahega “ritu ruko tumse kuch jaroori baat karni hai”
Jab bhi apne ghar mein ghusti hun to man yahi sochta hai ki mujhe abhi ek chit milegi jish mein leekha hoga, “meri pyari ritu” aur main pura letter pyar se padhungi.
Par aisa kuch nahi ho raha. pata nahi billu kaha chala gaya.
Mandir se aate vakt maine ushki taxi mein jhaank kar dekha to mujhe ek diary aur gift pack deekha
Maine ek pathar uthaaya aur gaadi ka sheesa tod diya aur diary aur vo gift pack baahar nikaal liya.
Mai apne ghar ke ander aa gayi aur bedroom mein baith kar ushki diary padhne lagi.
Ushmein leekha tha :——-
Jabse hosh aaya hai mai bas ritu ke liye hi tadap raha hun. pata nahi kish janam ka rista hai mera ush se. jaroor koyi janmo ka rista hai varna ye pyar hona mushkil tha.
Mai to ritu ke jariye sanjay ko barbaad karne gaya tha par apna dil kho baitha. Acha hi huva. Jabse ritu se pyar huva hai, tab se ye ahsaash huva hai ki badla lene se kuch haansil nahi hota. Sanjay ko barbaad karne ke chakkar mein maine ritu jaisi ek achi inshaan ki jeendagi barbaad kar di. Mujhe kya mila ? kuch nahi. na meri didi ko insaaf mila, na meri didi ka kuch pata chala.
Ab ek koshish karta hun apne pyar ko paane ki. maine ritu ki aankho mein apne liye pyar dekha hai. mujhe ummeed hai ki main ek na ek din apne pyar ko paa lunga. Baaki ish kishmat ka kuch pata nahin. Main bas ek ummeed hi rakh sakta hun.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Choti si Bhool - by Mom228 - 09-11-2019, 09:12 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:26 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:28 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:29 PM
RE: Choti si Bhool - by rajeshsarhadi - 09-11-2019, 03:07 PM
RE: Choti si Bhool - by Rizzi1198 - 09-11-2019, 03:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:30 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:31 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:34 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 12:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 01:36 PM
RE: Choti si Bhool - by sakzkhan - 12-11-2019, 04:54 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:26 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 15-11-2019, 12:49 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 04:59 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:02 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:03 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:04 PM
RE: Choti si Bhool - by Simran chavda - 19-11-2019, 12:00 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:39 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:17 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by blackdesk - 21-11-2019, 02:15 AM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 10:22 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:09 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:12 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:14 PM
RE: Choti si Bhool - by salman7349 - 21-11-2019, 07:08 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:39 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 08:49 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:45 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:48 PM
RE: Choti si Bhool By Mr. Jatin ( regular updates ) - by hirarandi - 25-11-2019, 02:50 AM



Users browsing this thread: 7 Guest(s)