25-11-2019, 02:41 AM
Maine kaha, “theek hai chalo phir”
Papa ghar par nahi the, maine jaate jaate mammy ko bata diya ki mai dipti ke saath jaroori kaam se jaa rahi hun.
Man mein faridabad jaate huve apne ghar ki yaad aa rahi thi, soch rahi thi ki kaash kisi tarah se sanjay kahin mil jaaye. Par aisa nahi huva.
Hum koyi 10:30 pm par faridabad pahunch gaye.
Manish ek privete hospital mein tha, jo ki sanjay ke clinic se kaafi dur tha.
jaise hi hum hospital pahunche, baahar hamein manish ka assisstant rahmaan mil gaya.
Dipti ne rahmaan se pucha, “kaisa hai manish ab”
Vo bola, abhi abhi hosh aaya hai, right leg mein frecture aaya hai, rod daalni padi hai, doctor ne kaha hai ki vo 2 ya 3 mahine chal nahi sakenge.
“oh my god, itna jyada serious hamlaa tha kya” — dipti ne rahmaan se pucha.
“Haan madam, mai bhi ush vakt unke saath hi tha, hum aaj subah prinstin mall ki aur ja rahe the. Mai footpath par baithe ek cigrate vaale se cigrate lene laga ki achaanak ek car ne manish sir ko takkar maar di” — rahmaan ne kaha
“ par tum to kah rahe the ki hamlaa huva hai, ye to accident lag raha hai” —- dipti ne rahmaan se pucha.
“Ek takkar maarne ke baad vo car phir se, mud kar manish sir ki aur aa rahi thi, jaise ki ek aur takkar maarni ho, par maine jaldi se manish sir ko vaha se hata liya” —- rahmaan ne kaha
“tumne kisi ka chehra dekha ki kaun tha car mein” —- dipti ne pucha
“ nahi madam car mein black screen lagi huyi thi, ander kaun tha, kuch nahi deekh raha tha” —- rahmaan ne bataaya.
“hmm…. Chalo theek hai, hum manish ke paas chalte hai, kaun se kamre mein hai vo” dipti ne rahmaan se pucha.
“Ji, room no 7…… aap chaliye mai jara apna phone recharge karaane jaa raha hun” — rahmaan ne dipti se kaha.
Jaise hi hum room no 7 mein ghusse hamne dekha ki manish, kinhi gahre vichaaro mein khoya huva hai, aur bistar par pade huve room ki chhat ko ghoor raha hai.
Hamein dekhte hi vo uthne ki koshis karne laga, ushke chehre par dard ke bhaav saaf deekh rahe the.
“Arey lete raho utho mat, dekho tumse milne kaun aaya hai” —– dipti ne manish se kaha.
Manish ne mujhe ek najar utha kar dekha aur wish karke apni najre jhuka li.
Bahut kam aadmi ek aurat ko aisi respect de paate hai. jyada tar log to kisi bhi ladki ko upar se neeche tak havash bhari nazro se dekhte hai.
Mujhe tab ahsaas huva ki, really manish is a nice man
“Sorry ritu ji aapka kaam pura nahi ho paaya par mujh par bharosa rakhiye, mai theek hote hi aapko puri sachaayi bata dunga” — manish sorry feel karte huve bola.
“mujhe koyi jaldi nahi hai, aap apna khyaal rakhiye, mere saath to jo hona tha, so ho chuka” —– maine manish se kaha.
“Par kya tumhe kuch pata chala ki ye hamlaa kishne karvaaya hai” —- dipti ne manish se pucha
“dekho abhi bahut kuch uljha huva hai, kuch nahi kah sakte ki kaun aisa karva sakta hai, haan itna jaroor hai ki koyi hai jo nahi chaahta ki hum kuch jaan paayein” — manish ne kaha.
“Kaun ho sakta hai vo” — dipti ne pucha
“koyi bhi ho sakta hai, billu ka koyi saathi ho sakta hai, ya phir……” —- manish ne kaha.
“Ya phir matlab” – dipti ne manish se pucha.
‘Matlab ki koyi bhi ho sakta hai, abhi kuch clear nahi hai” —- manish ne kaha.
Mai chupchaap sab kuch shun rahi thi.
“Acha tum to kah rahe the ki kal tak sab kuch pata chal jaayega, kya tum ish raaj ke bahut karib pahunch gaye the” —- dipti ne manish se pucha
“mujhe parso ek phone aaya tha, kisi veena joseph ka, unhone mujhe aaj subah 10 baje pristine mall ke baahar milne ko kaha tha, mai rahmaan ke saath vahin ja raha tha ki ye sab ho gaya.” — manish ne dipti ki aur dekhte huve kaha.
“ab ye veena joseph kaun hai, ushka ish sab se kya lena dena hai” —- dipti ne manish se pucha.
Veena ka naam shun kar mai chonk gayi thi, ushe mai jaanti thi. vo sanjay ke clinic mein nurse thi. ushki umar koyi 40 ya 42 saal ki hogi.
“Vahi to pata karne mai ja raha tha, mujhe billu ke ghar ke paas rahne waale ek padoshi ne bataaya tha ki ek-dau baar ushne veena joseph ko billu ke ghar aate jaate dekha tha. mai veena joseph ke ghar ka pata laga kar, ushke ghar pahunch gaya , par vo ush vakt ghar par nahi mili. mai ek chit veena joseph ke ghar chhod aaya tha ki jab vo free ho to mujhe phone karein, mujhe billu ke baare mein kuch baat karni hai. maine apna phone no chit par leekh diya tha” — manish ne kaha
“mai kuch kahun” ? maine manish aur dipti kau rokte huve kaha
dipti boli, “haan haan kaho kya baat hai”
“ek veena joseph ko mai jaanti hun, vo kerala se thi, umar koyi 40 ya 42 saal, aur abhi ek saal pehle tak vo sanjay ke clinic mein nurse thi” —– maine un dauno se kaha
“Acha ye baat pehle kyo nahi bataayi” —- dipti ne mujh se pucha.
“Arey bhai, mujhe kya pata tha ki ushka ish maamle se koyi lena dena hai” —- maine dipti ki aur dekhte huve kaha.
“Aap theek kah rahi hai” —- manish meri aur dekhte huve bola.
“acha ab kya hoga” — dipti ne pucha.
“Mujhe yakin tha ki veena joseph se mil kar saare raaj khul jaayenge, par…..” — manish ne gahri saans ley kar kaha.
“Par kya, ush se hum mil lete hai ya phir rahmaan mil lega, ish mein pareshaani waali kya baat hai” — dipti ne manish se kaha.
Manish ne apni jeb se ek kaagaz nikaala aur dipti kau dete huve bola, “abhi kisi ne, ek nurse ke haato, ye mere kamre mein bheezwaya tha, padho tum khud samajh jaaogi”
Vo kaagaz padh kar dipti ke chehre ka rang ud gaya
Maine ushke haath se vo kaagaz ley kar padha, to mere pairo ke neeche se bhi jamin nikal gayi
Ush mein leekha tha
“ abey detective, bahut hoshiyaar samajhta hai kya khud ko, chupchaap ye bekaar ki inquary band kar aur yaha se rafa dafa ho jaa. Jish se tum aaj milne jaa rahe the, vo veena joseph bhi maari ja chuki hai. tumhaari kishmat achi hai ki tum aaj bach gaye, par agar yaha se nahi gaye to agli baar nahi bachoge”
maine rotey huve kaha. “Please band karo ab ye sab, ish sab se milne waala bhi kya hai”
“lagta hai tum theek kah rahi ho ritu, manish ish kaam ko foran band karo, aur jaldi yaha se chalo, yaha mujhe ab dar lag raha hai” dipti ne kaha.
Ushke kahne ke andaaz se saaf lag raha tha ki vo kaafi dari huyi hai.
manish bola, “maine aaj tak aisa case nahi dekha. Aaj tak kisi ki himmat nahi huyi ki koyi mujhe yu hospital mein pahuncha de. Par mai apna koyi kaam adhura nahi chhodata. Ab vaise bhi ye mera personal kaam ho gaya hai. jisne bhi mere saath aisa kiya hai, ushe mai nahi chhodunga”
Dipti boli, “apni haalat dekho manish, tum abhi 2 ya 3 mahine tak chal nahi paaoge, baad mein sochenge ki kya karna hai ish baare mein, philhaal yaha se nikalte hai”.
hum manish ko convince karke jaise taise vaha se delhi ley aaye.