Thread Rating:
  • 1 Vote(s) - 3 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Choti si Bhool By Mr. Jatin ( COMPLETE )
#95
Mai ye sab shun kar chonk gayi thi
Maine dipti se pucha, “aur kuch pata chala ya phir bas itna hi pata chala hai”
“Haan, haan puri baat to shuno” — dipti jor se boli.
“ushke kamre mein manish ko ek diary mili hai. diary mein ek papar par sanjay ka naam pata sab kuch likha hai. aur to aur ush mein vivek ka bhi naam pata likha hai. hairaani ki baat ye hai ki puri diary mein bas un dono ka hi naam, pata hai” —– dipti ne kaha..
“acha aur koyi baat bhi hai kya diary mein” ? — maine utshukta mein pucha
“ush mein sanjay ke clinic aur ghar ka pura address likha huva hai, pata nahi ishka kya matlab hai. khair ye to hum jaante hi the ki sanjay billu ko jaanta hai, ye baat ab confirm bhi ho gayi. Par sabse badi baat shuno” — dipti ne kaha.
Maine kaha, “haan shunaao”
Dipti ne detail mein kaha “Diary mein tumhaare baare mein, sanjay ke baare mein aur chintoo ke baare mein kuch detail likhi thi. likha hai ki sanjay subah kish vakt clinic jaata hai, kish vakt lunch karne aata hai, aur kish vakt tak shaam ko ghar vaapas aata hai. chintoo ke baare mein leekha hai ki kish vakt college jata hai, aur kish vakt dopahar ko vaapas aata hai. chintoo ke college ka address bhi likha hai.Tumhaare baare mein kaafi detail leekhi thi. jaise ki tum kish vakt dopahar ko kitchen ki khidki se jhaankti ho, kaun se beauty parlour jaati ho, kab aksar sanjay ke saath shaam ko ghumne jaati ho….. ityaadi, matlab ki ushne tumhaare ghar ka daily routine chart bana rakha hai”
Maine hairaani mein pucha, “ yaar ye sab ushne kaha se pata kiya hoga”
Dipti boli, “Aage to shuno”
Maine kaha, “haan, haan shunaao”
“Diary mein laal aksharo mein ek baat likhi thi, jishka ki matlab abhi clear nahi ho raha. manish ke anushaar vo inshaani khun se leekhi thi” dipti ne kaha
“kya likha tha bataao to sahi” —- maine jor se pucha
dipti ne kaha, likha tha ki “doctor ki to yahi saja hai par vakil ko har haal mein marna hoga”
“ishka kya matlab hai dipti, kuch samajh nahi aaya” —- maine hairaani mein dipti se pucha.
“Vahi to mai kah rahi thi, abhi kuch nahi pata, lekin manish puri koshis kar raha hai, vo ish raaj ki gahraayi tak jaa kar rahega. Par tum ye dekho mai kah rahi thi na ki kahi na kahi kuch bhari gadbad jaroor hai” —- dipti boli.
“haan yaar par mujhe ab bahut dar lag raha hai, aisa lag raha hai jaise ki mai kishi criminal ke saath involve thi” —- maine dipti se kaha.
“Agar vo criminal tha to, vo mar chuka hai, phir ab darne ki kya baat hai” —- dipti ne mujhe dilaasa dete huve kaha.
Maine pucha “aur vo electric shop vaha kuch pata chala”
Vahi bata rahi hun, “vaha bhi vo naya naya hi laga tha. shop owner ko ushke baare mein kuch nahi pata. Owner ne bataaya ki unhone newspaper mein ek electrician ke liye advertisement nikaali thi, billu sabse pehle aa gaya aur unhone ushe rakh liya. unhe to ushke ghar tak ka nahi pata. Owner ne bhi yahi bataaya ki vo bahut kam bolta tha aur aksar chupchaap rahta tha. par vo ushke kaam se khus nahi the, kyonki unke anushaar vo aksar shop se gaayab rahta tha.”
Ye sab shun kar mai hairaan rah gayi. Ye jaroor tha ki in baato se kisi nateeze par nahi pahuncha ja sakta tha. haan par ye baat jaroor ajeeb lag rahi thi ki vo naya naya hi faridabad mein aaya tha. kya vo delhi se hi tha. kya vo delhi se hi mujhe jaanta tha, ye kuch aise sawaal the jo mujhe baar baar pareshaan kar rahe the.
Mai hairaan thi ki logo ke anushaar vo gum shum chupchaap rahta tha, par mere saath to bahut hi be-huda bakwaas karta tha, aakhir kyo ? mere liye billu ek rahashya banta ja raha tha.
Mujhe ab billu koyi bahut hi khatarnaak mujrim malum ho raha tha. maine man hi man mein socha ki acha huva ki vo maara gaya, aisey kamino ki ish duniya mein koyi jagah nahi hai.
Dipti ne kaha, “ritu, bas itna hi pata chala hai abhi tak. manish bahut mehnat kar raha hai, kah raha tha ki jaldi hi vo ish raaj ki gahraayi tak pahunch jaayega”
“Ab to mujhe bhi lag raha hai ki acha kiya tumne manish ko ye kaam de kar. Sach mein ab to saaf ho gaya hai ki daal mein kuch kaala jaroor hai” — maine gambhirta se kaha
“kuch kaala nahi, mujhe to puri daal hi kaali lag rahi hai. khair tum chinta mat karo, mera james bond sab kuch pata karke jaldi hi bata dega” — dipti ne kaha
maine hanste huve pucha, “ mera matlab, lagta hai tumhe ush se pyar ho gaya hai, hai na”
“hmm… pata nahi yaar but I like him very much” — dipti sochte huve boli.
maine kaha, “ ok, acha ye bataao tumhe kya lagta hai ki kya baat ho sakti hai.”
“pehle tum ye batao ki kya vo vivek vakil hai” ? — dipti ne pucha.
“ haan hai to sahi, par kyo” —– maine hairaani mein pucha.
Arey paagal yaad kar vo khun mein leekhi baat, “doctor ki to yahi saja hai par vakil ko har haal mein marna hoga” —- dipti jor se boli.
“Oh no, kya tum bhi vahi soch rahi ho jo mai soch rahi hun” — maine dipti se pucha.
“Tumhaara to pata nahi par mujhe lagta hai ki doctor ka matlab hai sanjay aur vakil ka matlab hai vivek. Mujhe jald se jald ye baat manish ko bataani hogi ki vivek, vakil hai, ushka kaam ashaan ho jaayega” — dipti ne kaha
“maine kaha, haan mein bhi yahi soch rahi hun par yaar tum itne yakin se kaise kah sakti ho ki ush leekhavat ka matlab sanjay aur vivek se hi hai” — maine dipti se pucha.
“Puri diary mein bas sanjay aur vivek ki hi detail hai aur kya chaahiye yakin karne ke liye. acha mai phone rakhti hun, manish ko ye baat bataani jaroori hai ki vivek vakil hai, baad mein baat karenge” —- dipti ne bye karte huve kaha.
Dipti jaate jaate mujhe bahut saare sawaal de gayi. Mai saara din yahi sab sochti rahi
16 october ko dipti ka phone aaya
vo boli, “ ritu, manish ish raaj ki gahraayi tak pahunchne waala hai. ushne mujhe kaha hai ki kal tak saari baat pata chal jaayegi. Bas ek din ki baat hai aur sachaayi hamaare saamne hogi.
maine kaha, “ theek hai, mai kal ka beshabri se intezaar karungi, mai baar baar sab kuch soch kar pareshaan ho rahi hun. jab tak mujhe puri baat pata nahi chalti tab tak mujhe chain nahi aayega.
dipti boli, “theek hai phir, kal ka intezaar karo”
dipti ne phone rakh diya aur mai be-sabri se kal ka intezaar karne lagi.
agle din yaani 17 october 2008 ko, shaam ko dipti ka phone aaya
maine jhat se phone utha liya.
“yaar ek bahut buri khabar hai” — dipti mayusi se boli
maine pucha, “ kya hai bataao to sahi”
“manish hospital mein hai, ush par jaanleva hamla huva hai, badi mushkil se jaan bachi hai, mai ush se milne faridabad ja rahi hun, mujhe dar lag raha hai” —
dipti rotey huve boli.
“Kya…. Ye kaise ho gaya. Kishne karvaaya ye hamla. Tum chinta mat karo mein bhi tumhaare saath chalti hun” — maine dipti se kaha.
“Pata nahi yaar, abhi manish ko hosh nahi aaya hai, ushke assisstant ka phone aaya tha ki vo hospital mein hai. manish hi hosh mein aakar bata sakta hai ki ye kishka kaam hai.” – dipti ne kaha
maine kaha, “hmm…. Chalo tum chinta mat karo sab theek ho jaayega, aisa karo yahi mere paas aa jao, yahi se saath saath chalenge”
“theek hai mai abhi tumhaare ghar aa jaati hun, vahi se faridabad ke liye nikal lenge” —- dipti ne kaha
Vo aisa pal tha, jab mai bhi bahut ghabra gayi thi. mai soch rahi thi ki dipti ko kah dun ki vo manish ko bol de ki band karde ye kaam. Mai nahi chaahti thi ki manish ko kuch ho. Mujhe ab dipti aur manish ki chinta ho rahi thi.
Dipti apni car ley kar 8 baje mere ghar aa gayi.
Maine pucha, kya tumhe faridabad ka rasta pata hai, nahi to koyi private taxi kar lete hai.
Dipti ne kaha, “haan, haan pata hai, mai kayi baar office ke kaam se vaha khud drive karke ja chuki hun, tumhe to pata hi hai, rasta lamba nahi hai, koyi 2 ghante mein vaha pahunch jaayenge”.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Choti si Bhool - by Mom228 - 09-11-2019, 09:12 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:26 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:28 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:29 PM
RE: Choti si Bhool - by rajeshsarhadi - 09-11-2019, 03:07 PM
RE: Choti si Bhool - by Rizzi1198 - 09-11-2019, 03:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:30 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:31 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:34 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 12:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 01:36 PM
RE: Choti si Bhool - by sakzkhan - 12-11-2019, 04:54 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:26 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 15-11-2019, 12:49 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 04:59 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:02 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:03 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:04 PM
RE: Choti si Bhool - by Simran chavda - 19-11-2019, 12:00 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:39 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:17 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by blackdesk - 21-11-2019, 02:15 AM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 10:22 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:09 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:12 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:14 PM
RE: Choti si Bhool - by salman7349 - 21-11-2019, 07:08 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:39 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 08:49 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:45 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:48 PM
RE: Choti si Bhool By Mr. Jatin ( regular updates ) - by hirarandi - 25-11-2019, 02:40 AM



Users browsing this thread: 9 Guest(s)