25-11-2019, 02:39 AM
20 april 2008, se lekar 26 september 2008 tak, koyi 5 mahino mein, mere saath itna kuch ho gaya aur meri hansti khelti jeendagi barbaad ho gayi. Vo 26 september ka hi din tha jish din dipti mujhe apni itni lambi kahaani shuna rahi thi.
ush din dipti ke jaane ke baad mai ander hi ander gahre vicharo mein kho gayi. Mujhe bhi ab ye baat pareshaan kar rahi thi ki aakhir baat kya hai.
achaanak mujhe yaad aaya ki billu ne kayi baar mujh se kaha tha ki tumhe vakt aane par sab kuch pata chal jaayega. Aakhir kya pata challega mujhe, mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ??
mujhe bas itna hi pata chala tha ki sanjay aur vivek billu ko jaante the, kyo jaante the, unki kya jaan pehchaan thi, ishke baare mein mai kisi bhi nateeze par nahi pahunch paa rahi thi.
vahi vo pal tha jishmein ki maine apni choti si bhool ko ek diary mein likhne ka fainsala kiya, taaki ushe padh kar baad mein kisi nateeze par pahuncha ja sake.
Par agle hi din yaani ke 27 september ko ghar par divorce ke paper aa gaye aur mai tut kar bikhar gayi aur kuch bhi nahi leekh paayi. Din raat apne kamre mein pade pade mai aanshu bahaati rahi. ishke alaawa kar bhi kya sakti thi. jo paap maine kiya tha ushi ki saja to mujhe mil rahi thi.
mujhe andesha to tha ki sanjay shaayad aisa hi karenge aur mai khud ko mentally prepare bhi kar rahi thi, par phir bhi jab vaakayi mein aisa ho gaya to aanshuvon ko rokna mushkil ho gaya. Khud se jyada mein chintoo ke liye pareshaan thi, mere kaaran vo apne papa ke pyaar se juda hone ja raha tha.
Aaj 6 january 2009 hai aur mai peechle chaar dino se ye diary leekh rahi hun. jab peechle hafte 29 december 2008 ko sanjay se divorce ho gaya to kuch samajh nahi aaya ki kya karun. Baar baar apni kishmat ko ro rahi hun.
2 january ko mai yu hi pareshaan baithi thi ki achaanak mujhe apni table par ek diary deekhaayi di aur maine ek pen uthaaya aur apni dard bhari daastaan leekhni shuru kar di.
Aaj 6 january 2009 hai aur mai mumbai mein hun. chintoo apne naana naani ke saath delhi mein hai. abhi 15 din hi huve hai mujhe yaha aaye, ishliye yaha bilkul man nahi lag raha. Yaha settle ho kar chintoo ko thode dino baad ley aaungi
Dipti ne mujhe bataaya tha ki unki company ki sister concern zedco pvt ltd mein assisstant manager ki post khaali hai, tum chaaho to join kar lo. Par tumhe mumbai jaana padega.
Maine bahut sochne ke baad join karne ka faisala kar liya aur ish tarah mai mumbai aa gai. Ab mujhe chintoo ke liye to jeena hi tha ishliye maine join karna theek samjha. Company ne mere rahne ke liye colaba mein ek flat de diya hai par itne bade ghar mein mujhe bahut akela mahsush ho raha hai.
Abhi abhi office se aayi hun aur pehli baar itna kaam karke thak gayi hun. thoda fresh hone ke baad aage ki kahaani leekhungi..