Thread Rating:
  • 1 Vote(s) - 3 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Choti si Bhool By Mr. Jatin ( COMPLETE )
#72
Maine apni saanso ko thaamte huve kaha, acha vo to ek electrician ko bulaya tha, vo washing mechine wala plug achaanak khraab ho gaya tha, vahi theek karne ke liye bulaya tha ushe.
Mujhe hi pata hai ki ush vakt ek ek shabd maine kaise kaha, mera gala dar ke maare shukha ja raha tha.
Sanjay ne kaha, arey mujhe apne clinic mein bhi electrician ki jaroorat hai, tumne jishe bulaya tha, ushka number, ya address de do mai ushe clinic bula lunga.
Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mai kya karun.
Maine kaha, abhi to number nahi hai ek kaagaj par likha tha, jaane kaha pada hoga ab, mai shaam ko dhund kar de dungi.
Sanjay ne kaha theek hai shaam ko de dena mai ushe kal bula lunga.
Jaise taise meri jaan mein jaan aayi. Par ab mai ye soch rahi thi ki ab shaam ko kya jawaab dungi.
Sanjay ke jaane ke baad, mai aur jyada bechan ho gayi.
Baar baar mujhe yahi dar sata raha tha ki kahi sanjay ko mujh par shak to nahi ho gaya.
Mai ab soch rahi thi ki shaayad ab vakt aa gaya hai jab mujhe sanjay ko sab kuch bata dena chaahiye. mujhe lag raha tha ki ish se pehle ki sanjay ko ye sab kahi aur se pata chale mujhe khud unhe sab kuch bata kar unshe maafi maang leni chaahiye.
par mujh mein sanjay ko kuch bataane ki himmat nahi ho paa rahi thi.
Mai ye sab soch hi rahi thi ki achaanak phone ki ghanti baj uthi.
Ye billu ka phone tha.
Maine kaha, acha huva tumne phone kiya ?
Ushne pucha, kyo kya huva ?
Maine kaha, tumne mujhe ajeeb musibat mein fansa diya hai.
Ushne kaha, bataao to sahi ki baat kya hai.
Maine kaha, hamaare ghar ke saamne sharma uncle rahte hai, unhone tumhe mere ghar se nikalte huve dekh liya aur baato baato mein sanjay ko phone par puch liya ki aapke ghar koyi aaya hai kya ?
Vo bola, mujhe ishi baat ka dar tha, maine bhi ush uncle ko dekh liya tha, tabhi to maine tujhe phone kiya.
Maine kaha, maine apne pati ko bata diya ki ek electrician ko bulaya tha, washing mechine ka plug theek karne ke liye.
Vo bola, ye tune acha kiya.
Maine gussey mein kaha, kya khaak acha hai, mere pati ne electrician ka pata maanga hai, unhe apne clinic mein kuch theek karvaana hai.
Vo bola, tu itni chinta kyo karti hai, mai abhi apni electric shop ka number de deta hu.
Maine pucha, to tum khud jaaoge na unke clinic.
Vo bola, nahi kisi aur ko bhejunga.
Maine kaha, arey tum paagal ho kya, kisi aur ko tum kaise bhej sakte ho, mere pati ne mere ghar ki washing mechine ke plug ki problem ke baare mein ush se pucha to.
Vo bola, to ish mein kya dikkat hai, mai jishko bhejunga ushey sab kuch samjha dunga, tu chinta mat kar.
Maine kaha, kya tum kisi aur ko hamaare baare mein sab kuch bata kar mujhe badnaam karoge.
Vo bola, aisa kar tu ish sab ko chod, aur apne pati ko sab kuch sach sach bata de, kab tak ushe dhoka degi, yahi moka hai ushe sab kuch bataane ka.
Maine kaha, majaak mat karo.
Vo bola, mai majaak nahi kar raha, jo hamaare beech shuru huva, vo kahi na kahi to khatam hoga hi na. To abhi sab khatam ho jaane de.
Ek pal ko mai gahri chinta mein dub gayi.
Mujhe billu se ye sab shun-ne ki ummid nahi hi. Mujhe to apne kaano par vishwaas hi nahi ho raha tha.
Maine pucha, aakhir tum chaahte kya ho.
Vo bola, mai ye chaahta hun ki tu apne pati ko sab kuch bata kar apna man halka kar ley kab tak yu hi sab kuch chupaati rahegi.
Maine gussey mein pucha, tumhe kya lagta hai, vo ye sab kuch shun kar mujhe khusi se gale laga lenge aur mujh se khush ho jaayenge ki maine sab sach-sach bata diya. ye sab paap karke to mai khud apne aap ko maaf nahi kar paa rahi hun. Unki to baat hi dur hai.
Vo bola, kuch bhi bol par hamaare riste ko paap mat bol, badi gahraayi se pyar kiya hai maine tujhe.
Maine kaha, na jaane kaisa pyar hai tumhaara jo mujhe barbaad karne par utaaroo hai. kabhi tum mujhe kisi aur ke aage parosh dete ho, kabhi meri chinta karte ho aur mere liye kisi ki jaan bhi ley lete ho aur kabhi mujhe kaamdev ki tarah kisi dusri duniya mein ley jaate ho, aakhir tum kaun ho, kya ho ? mujhe lag raha hai tum jaroor mere saath koyi khatarnaak khel khel rahe ho.
[+] 1 user Likes hirarandi's post
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Choti si Bhool - by Mom228 - 09-11-2019, 09:12 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:26 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:27 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:28 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 09-11-2019, 02:29 PM
RE: Choti si Bhool - by rajeshsarhadi - 09-11-2019, 03:07 PM
RE: Choti si Bhool - by Rizzi1198 - 09-11-2019, 03:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:30 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:31 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 10-11-2019, 05:32 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:34 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 11-11-2019, 12:37 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 12:22 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 12-11-2019, 01:36 PM
RE: Choti si Bhool - by sakzkhan - 12-11-2019, 04:54 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:23 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:24 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:25 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 14-11-2019, 07:26 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 15-11-2019, 12:49 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 04:59 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:02 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:03 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 18-11-2019, 05:04 PM
RE: Choti si Bhool - by Simran chavda - 19-11-2019, 12:00 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:39 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 19-11-2019, 05:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:17 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:20 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 20-11-2019, 02:22 PM
RE: Choti si Bhool - by blackdesk - 21-11-2019, 02:15 AM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 10:22 AM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:09 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:10 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:11 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:12 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:13 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 21-11-2019, 04:14 PM
RE: Choti si Bhool - by salman7349 - 21-11-2019, 07:08 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:39 PM
RE: Choti si Bhool - by jamanuram - 21-11-2019, 08:49 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:38 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:40 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:41 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:42 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:43 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:44 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:45 PM
RE: Choti si Bhool - by hirarandi - 23-11-2019, 03:48 PM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)