23-11-2019, 06:27 AM
2 dinio ke bad uske waldain aa ke 2 din usske han reh kar mehwish ko le kar chale gay . ab jab hi rafique aur zeenat ko chance milta woh uss se bharpoor faeida uthate . waqt guzarte pata hi nah chala keh raqreeban 6 mah baad rafique ke waled ka khat aya jiss mein usse karachi aane ko kaha geya kiunkeh uske walid ki retirement qareeb thi aur woh usse apne karkhane mein hi mulazmat dilwana chahta tha. woh dono aik doosre ke itne qareeb aa gaey keh doori ka tasawar bhi un ke liye muhaal ho geya magar 2 dino ke baad Rafique ko jana tha aur Zeenat ka dil abhi se doobne laga tha . Rafique ki maan bhi uss ke jane se afsurda thi aur zeenat bhi . ankhein dono ki bheegi rehti thein zeenat aur zeenat ne akhri mulaqat mein aik doosre se bahut se wahde waaeed kiye .Rafique jitni tasalli deita zeenat itna hi roti . usse aise lag rah tha jaise uski duniya luti ja rahi ho. in 6 months mein woh dono bahut qareeb aa gay thay un ko aik doosre waqehi muhabbat ho gai thi . Rafique bhi kafi preshan tha magar mard hone ki wajeh se iss ka izhar nah karta tha apni ammi aur zeenat ka usse ehsaas tha . zeenat se woh har roz kehta tha shadi kar lein magar zeenat duniya ki rasam wa riwaj ke hathon majboor thi warna woh tu ko apna rafiq e hayat banane ke liye kuch bhi kar guzarti .....akher rafique apni ko aur zeenat ko alvidah keh kar karachi chala geya .woh dono uss ke liye dua kartein aur apne apne ghron mein uss ke liye ansoo bhatein . hasbe wahda Rafique ka aik hafta ke bad zeenat ko apne bakheriay paunchne ka khat milla tu zeenat uss parh kar dhaar dhaar kar roi . rafique ne usse phir shadi karne ka likha tha . magar kaash zeenat ka jawab tha. 2 mah ke baad rafique ka baap retirement le kar wapis aa geya aur apni jageh apne baite rafique ko naukar karwa aaya . ab jab bhi zeenat ne qareebi city mein aik general store ka address de kar khat mangwane shuroo kar diye har hafta woh city jati tu usse 2-3 kht milte woh unko doosre hafte tak parhti rehti .har khat rafique uske liye apni muhabbat ka izhaar ke sath shadi ke liye likhta .akher ab woh har khat mein uss se judaai bardasht karne ka likhta keh agar tum nah mil saki tu mein jald hi apna khatma kar loonga kiunkeh tum se judaai bardasht nahein kar sakta . phir aik hafta khat nah aya tu zeenat bahut preshan hoi woh har roz city jati aur khat nah pa kar usse hazaron kheal aate akher dher sari duaaon ke bad daswein din ko rafique ka khat milla aur uss mein sirf yahi likha hoa tha keh tum ne agar khat ke jawab mein shadi ke liye haan nah ki mein khudkashi karloonga . zeenat kabhi aisa soch bhi nahein sakti 2 din ki soch bichar ke baad uss ne rafique ko khat likha keh apne maan baap ko razi kar le tu woh shadi ke liye tiyar hai . RAfique ko khat milta geya tu hadsaati chutti le kar 10 din ke liye ghar aageya yeh aik sakht marhala tha dono parteis ke liye zeenat ki mukhalfet rafique ka khandan shiddat se kar rah tha aur zeenat ke maan baap ne chupp sadh li thi. woh apni baiti ke randaapa ko samajhte thay, hazaron batein hoein lakhon fitno ne sar uthaya magar rafique dat geya , uske walden ka woh akloti nareebna aulad thi aur un ko man na pari magar unki shart thi keh nikah karlo magar zeenat bahu ban kar hamre ghar nahein aeigi woh apni haveli mein hi rahe gi . tu rafique aur zeenat ne yeh shart maan li . rafique ke walden ne socha keh yeh waqti josh hai akher kar rafique apni hum umar ko biah laay ga . khair nikah ke teesre din woh dono karach chale aay aur nai duniya bassa li . rafique mrehnti tha . dono miyan beevi ka iss par itfaaq hoa keh zeenat apni property baich de tu karachi mein koi karobar shuroo karein 6 mah ke baad woh phir gaaon mein aay aur zeenat ne apni haveli ke siwa sab zameen baich dali aur phir karachi aa gay . aik transport company mein unhon ne 3 busein le kar sharing kar li Rafique ne apni naukri jari rakhi 2 saal ke bad unke haan aik chand sa baita paida hoa aur uske baad doosre saal bhai ki behn bhi aa gai . transport company mein ab unki 8 basein ho chuki thein aur teesre saal baiti ki paeidaeish ke baad woh gaaon gay tu sab unhein milne aaya Rafique ke waldein bhi apne pota poti se milnne aay aur zeenat ko apne ghar lee gaey jo keh zeenat ka bhi ghar tha aik mah reh kar woh phir wapis aay aur Rafique ne naukri chor kar Bus drivery shuro kardi aur apni bus par hi woh mulazim hogeya transport company ke malek borha ho geya ss ne Rafique ke haton kabar baich diya aur Rafique zeenat transport ke naam se rafique zenat ke pass 35 busses ho gaein . Aaj unki aulaad karachi mein aik bahut bara figure samjhe jate hein.
The End
The End