21-11-2019, 04:23 PM
Shaan: Haan naina kesi ho?
Naina: Ji theek ho.
Shaan: Kia ho raha tha?
Naina: Tea p rahi thi.
Shaan: Ok carry on. Acha suno main aaj late aaon ga ghar mairay liay raat ka khana mat banana.
Naina: OK kitnay bajay tak aa jain gay?
Shaan: Kuch pata nahi may bhi raat 11 tak ya is say bhi late.
Naina: Oh ok.
Shaan: Aur haan tum nay shopping k liay jana tha na to aik kaam karo tum chali jao aur jo khareedna hay kharid lo. Ghar mai akailay waisay bhi bore ho rahi hogi.
Naina: Ji akaili?
Shaan: haan to kia hay choti bachi nahi ho apni hifazat khud kar sakti ho achi tarah.
Naina: Ok daikhkti hoon.
Shaan: Ok agar jao to mujhay bata daina.
Naina: Theek.
Shaan: Ok Bye. aur phone rakh dia.
Naina ko bahot hairangi hui shaan ki is baat par k akaili chali jao. Shaan kabhi bhi naina ko akailay baazar nahi janay dia kartay thay kiun k naina thi hi itni khubsoorat k koi bhi us pay aashiq ho sakta hay. Achanak shaan ko kia ho gaya tha? Aur ooper say aisay keh daina k apni fikar khud kar sakti ho choti bachi nahi ho jaisay k koi fikar hi na ho apni BV ki? Kafi saray question nay aik saath naina k demagh mai janam lay lia.
Aur chaye ka to jaisay maza hi kharab ho gaya. Time daikha to shaam k 5:30 ho rahay thay. Aur ab naina ka bhi time nahi guzar raha tha kiun k koi kaam nahi tha karnay wala. Phir shaan ki baat zehn mai i k ghar baithay baithay bore ho rahi ho gi to chali jao.
Yeh baat naina k zehn main click kar gayee. Tayar to wo pehlay say hi thi. Nahai hui aik dum fresh to socha k theek hay usay bazaar akailay hi chalna chahiay. Aur yeh soch k us nay tv off kia aur apnay room main chali gayee apna purse lainay aur apni bari chadar lainay takay apnay Khubsoorat jism ko bharay bazar ki buri nazron say chupa sakay. Aur Chadar ko apnay jism pay lapait kar aur ghar ki tamam lites off kar k purse lay lia. Purse main janay say pehlay ehtiatan paisay daikh liay, Taqreeban 10,000 rupay maujood thay jo shopping k liay kaafi thay. Apna cell phone uthaya jo k sirf us waqt istemal hota tha jab naina apnay ghar mai na ho aur shaan us say baat karna chah rahay hon, warna to landline hi use hota tha.
Tamam tarah ki tassali k baad naina nay Tamam doors ko achi tarah say lock kia aur Ghar say bahir aa gayee.
Bahir main road say Naina nay rikshaw lia aur seedha Super Market pahonch gayee. Naina ko pooray rastay dar sa mehsoos ho raha tha k najanay yeh rikshay wala kaheen or na lay jaye usay. Laiken aisa kuch nahi hua aur Rikshay wala seedha Super Market pahonch gaya aur bola yeh lain bibi ji aa gayee super market. Naina nay purse say pehlay he paisay nikal liay thay wo paisay rikshay walay ko diay aur Market ki taraf ho li.
Sab say pehlay naina Kapray lainay gayee aur market mai bheer say thora ghabra gayee thi. Kiun k super market main aaj tak wo akailay nahi i thi. Hamaisha say shaan hi us k saath hua kartay thay. Naina ko Market ki tamam shops ka idea tha k kon c cheez kahan say milti hay. So naina seedha Kapray wali shop pay gaee or wahan apnay liay dress pasand karnay lagi. Har tarha k rang rang k dresses maujood thay shop main. Bus dil kar raha tha k sab hi khareed lay laiken aisa mumkin nahi tha. Itnay main aik awaz nay naina ki tawajo dresses say hata di.