Poll: aap sab ko yeh kahani kaisi lagi?
You do not have permission to vote in this poll.
Achi
0%
0 0%
Bohot achi
100.00%
1 100.00%
Total 1 vote(s) 100%
* You voted for this item. [Show Results]

Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika
#5
Chapter-2 (update-6)
Pratap ne pahli baar renuka ko gaur se dekha. Gora rang , badi badi kajal lagi aankhe, gulaabi honth aur chhoti si naak. Chehre par bahut hi sadha hua paripakva (mature) look. Lagbhag 5"6' lamba bhara hua sharir. Pink colour ka salwaar kurta, ghane kaale lambe baalo ko aakarshak lekin betarteeb joode me lapeta hua. Kul mulakar renuka me ek aadarsh bahu ban-ne ke sabhi bahri lakshan usme the. Pratap ko ye hairaani bhi hui ki abhi tak renuka ne shaadi kyu nahi ki.
.
Khaana khaate samay baat karna major ram singh ko pasand nahi tha, isiliye sabhi log bahut hi shaanti se khaana kha rahe the. 
.
"beta, tum itna lamba safar karne ke baad kaafi thak gaye hoge. Jao jaakar aaram karo." khaana khaane ke baad major ram singh ne pratap se kaha.
.
Pratap abhi bhi ye tay nahi kar pa raha tha ki use dusri shaadi karni chahiye ya nahi. Pratap soch raha tha ki- 'Achaa hua jo major ram singh ne aaj shaadi ke baare me koi baat nahi ki.' iske 2 kaaran the. pahli baat ye ki pratap kaafi thaka hua tha aur dusri baat ye ki wo abhi tay nahi kar paya tha ki dusri shaadi kare ya nahi. 
.
Renuka me koi kharabi pratap ko najar nahi aayi. Renuka bilkul vaisi hi ladki thi jaisi har maa apni bahu ke roop me chahti hai. Pratap ne tay kiya ke kal wo renuka se baat karega. 
.
Ye saari baate sochte sochte pratap upar apne kamre me aa gaya. Sone se pahle pratap ko ciggrate ki talab mahsoos hui. 
.
Ciggrate yahi ek buri aadat ya lat thi pratap ki. Pratap ne apne bag se ciggrate aur lighter nikala aur chhat ki taraf chal diya.
.
Chhat par pahuch kar pratap ne ciggrate jalayi aur kash bharne laga. Pratap ko apne peeche kuch halchal mahsus hui to pratap ne peeche mud kar dekha. 
.
Piche Chetna khadi thi. "hi" chetna ne kaha. "hi" pratap ne jawab diya.
.
"aaj aap kaafi boring mahsus kar rahe hoge na??" chetna ne pucha. "nahi. Aisi koi baat nahi hai. Vaise tum kis claass me ho?" pratap ne baat badhate hue pucha.
.
"12th claass" chetna ne jawab diya. " mayank bhaiya kanpur se b.tech kar rahe hai aur renu didi art professor hai" thodi der jab pratap ne kuch aur nahi pucha to chetna ne khud hi bolna start kar diya.
.
"last week mera 18 birthday tha. Isiliye mayank bhai aur renu didi aaye hai. Mayank bhaiya to kal chale jaayege but didi abhi kuch din aur rukegi. Maine bhaiya ko bhi rukne ko kaha lekin unke next semester ke exam aane waale hai so unhe jaana padega. Vaise mujhe ye exam bilkul pasand nahi hai phir bhi mai har saal apni claass top karti hu" chetna lagataar bolti ja rahi thi.
.
"aapne ghar me lagi pantings to dekhi hogi, wo sab didi ne banayi hai. Unhe panting banana bahut pasand hai. Maine bhi ek do baar try ki lekin mujhse nahi banti ye pantings " chetna non-stop bole ja rahi thi. 
.
"lagta hai aapko neend aa rahi hai , ok gud night kal morning me milte hai" itna bol chetna neeche gayi. Pratap bhi apne kamre me aakar so gaya.
happy 
Like Reply


Messages In This Thread
BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:19 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:22 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:24 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:27 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:49 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:51 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:53 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:54 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 21-11-2019, 09:56 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:09 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:13 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:14 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:16 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:18 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:20 AM
RE: BECHARA-DIL-KYA-KARE ~ Monika - by monikat - 24-11-2019, 08:22 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)