21-11-2019, 09:22 AM
"taashipur" utrakhand ke khubsurat parvato ke beech basa ek chhota sa town. Bus apne nishchit samay par taashipur ke liye rawana ho gayi. Bus lagbhag khali hi thi kyuki bus me is samay keval 15-20 log hi the.
.
Tashipur ka safar 7-8 ghante ka tha. Pratap baithe baithe ek baar fir apne ateet me kho gaya. Aaj se 10 saal pahle pratap ki job lagi thi delhi ki ek multinational company me. Pratap ke maa-pita jee bahut khush the aur unhone pratap ke liye ladki dekhna bhi shuru kar diya. Ek mahine ki kadi mehnat ke baad maa ko ek ladki pasand aa gayi thi. Pratap ko lekar maa-pita jee ladki dekhne gaye the. "punam" yahi naam tha us ladki ka. Ladki ko khana banana aur ghar ke baaki kaam karne nahi aate the lekin wo dekhne me bahut hi khubsurat thi. Maa-pita jee to pahle se hi raaji the. Pratap ne punam se akele me kuch baat karni chahi to dono ko akela chhod diya gaya. Pratap ne punam se sirf itna hi pucha ki ye shadi uski marji se ho rhi hai ya nahi? Wo kisi aur se pyar to nahi karti? Punam ne jawab me sirf itna hi kaha ki ye shaadi uski marji se ho rahi hai. Punam se baat karne ke baad pratap ne shaadi ke liye haa kar di. 15 din me hi dono ki shaadi bhi ho gayi. Suhaagraat ko punam ne pratap se kaha ki "she needs some time to adjust in new family. Isliye use kuch samay chahiye." pratap ko uski baat sahi lagi. 7 din baad jab pratap ki chhutiya khatam ho gayi to wo vapas delhi chala gaya aur punam apne ghar. Kuch samay baad jab pratap vapas aaya to punam ko lene uske ghar gaya lekin punam ne pratap ko na-mard (impotent) bata kar uske saath jaane se inkaar kar diya aur sath me devorce ki demaand bhi ki. Jabki sachayi to ye thi ke un dono ne kabhi ek dusre ke sath sex kiya hi nahi tha. Is baat ne pratap ke dimaag par gahra prabhaav dala tha. 6 mahine tak case chalne ke baad pratap aur punam ka devorce ho gaya. Punam ne aisa kyu kiya pratap kabhi nahi jaan paya aur na hi usne jaan-ne ki koshis ki. Is ghatna ke baad pratap ke maa-pita jee ne uski dusri shadi karaani chahi lekin pratap ne saaf inkaar kar diya. Pichle 10 saal pratap ne sirf kaam par dhyaan diya. Uske maa pita jee lagataar use maanane ki koshish karte rahe . Kal jab pratap ghar aaya to maa-pita jee pratap ko tashipur major ram singh ke yaha apni chhuttiya bitaane ke liye raaji kar liya. Pratap ache se jaanta tha ki chhuttiya sirf bahana hai. Lekin pratap ne kaafi der sochne ke baad ye tay kiya ki kisi dusre ki vajah se wo apne aap ko saja nahi dega. Pratap ne tay kar liya tha ke agar use ladki pasand aayi to wo shaadi kar lega.
.
"excuse me, can i sit here" is awaaz ke saath hi pratap apne ateet se nikal kar vapas present me aa gaya. Ek 25-26 saal ki videshi ladki pratap ke saamne khadi thi. "yeah sure" pratap ne kaha to wo ladki pratap ke bagal me baith gayi.