14-11-2019, 07:23 PM
Par mujhe ye bhi dar sata raha tha ki kahi ye sab sach huva to, agar sach mein uska bapu yaha aa dhamka to kya hoga ?
Aisey kayi sawal mere deemag me ghum rahe the. Kab 11 baj gaye pata hi nahi chala.
Mujhe ye faisala karna tha ab mai billu se milne jaa-oon ya na jaa-oon.
Bahut sochne ke baad maine faisla kiya ki mujhe vaha chal kar dekhna to chahiye ki aakhir puri baat kya hai, vakayi mein ye sach hai yaa feer vo kamina billu koyi majak kar raha hai.
Mai koyi 12:30 baje ghar se chal di.
Ghar se nikal kar maine ek auto kiya aur uski electric shop ke samne aa gayi.
Vo kuch kaam kar raha tha. mujhe dekh kar ushne mujhe rukne ka ishara kiya. Mai vaha ek ghane ped ki chayan me khadi ho gayi.
Koyi 5 minut baad vo mere paas aaya aur dheere se bola, chalo paas ke garden mein chaltey hain.
Maine uski aur dekha aur kaha, chalo.
Mujhe bhi vaha khade rahna acha nahi lag raha tha.
Hum alag, alag paidal chal kar garden mein pahunch gaye, aur ek koney mein jaa kar baith gaye.
Vo bola, kaisi hai tu.
Maine pucha, tumhe kya lagta hai mai kaisi ho sakti hu.
Vo bola, kya matlab
Maine pucha, ye kya majak laga rakha hai.
Vo bola, ye majak nahi hai. mujhe dhyan se dekh sab pata chal jayega.
Maine ushe dekha to paya ki, ushe buri tarah se peeta gaya hai. uska muh peetayi se sujha huva tha.
Vo bola, kal bapu ne bahut mara hai mujhe.
Maine man hi man mein kaha acha huva, aise badmas ki yahi saja hai.
Vo bola, mera bapu bahut gusse mein hai.
Maine pucha aakhir tumhe kya jarurat thi aisi diary likhane ki.
Vo bola, kya karta, mai teri yaado ko har dam apne sath rakhna chahta tha. tune mujh se milna bhi chod diya. khidki bhi band kar di. Ab bas teri yaade hi mera sahara thi.
Maine pucha, ye kya pagalpan hai, tum meri jeendagi se khel rahe ho.
Vo bola, mai tumhe chahta hu, tum mujhe achi lagti ho, mai koyi khel nahi khel raha.
Maine kaha, band karo ye bakwas aur ye batao ki ab tumhare bapu ka kya kare. Vo mere ghar kyo aana chahta hai.
Vo bola, tujhe nahi pata, mera bapu tere pati ko ache se janta hai. tere pati ne mere bapu ki kidney ka operation kiya tha. tab se vo tere pati ko pujata hai.
Mai hairani se chupchap baithe huve sab sun rahi thi.
Vo bola, mujhe dar hai ki mera bapu tere pati se jarur milega aur sari baat ushe bata dega.
Maine dartey huve pucha, ab kya hoga, tumne ye kaisi musibat mein fasa diya.
Vo bola, ish se pehle ki vo tere pati ke paas jaye hame mere bapu se milna hoga.
Maine puche hume matlab, ye tumhari galti hai tum khud bhukto.
Vo bola, theek hai mai to jo hoga dekh lunga. Par tera kya hoga ? mujhe kya farak padta hai ki mera bapu tere pati se milta hai ki nahi. mere sath to jo ho sakta tha , ho gaya. Ish se jyada kya ho jayega mere sath.
Maine socha, ki baat to billu theek hi kah raha hai.
Maine pucha, hum tumhare bapu se mil kar kya karenge. Agar vo fir bhi nahi maane to.
Vo bola, vo sab to mai nahi janta, par hum ek koshis to kar hi sakte hai.
Maine kaha kya, koyi aur rasta nahi hai.
Vo bola, nahi mujhe to pata nahi, tu kuch bata.
Maine bahut sochne ke baad billu se pucha, hamey kab milna chahiye.
Vo bola, kal subah miltey hai, aaj vo vaise bhi bahut gusse mein hai.
Baaten karte, karte 2:15 baj gaye. Maine pucha, kaha milna hai ?
Vo bola, hamare ghar par.
Maine kaha nahi, vaha mujhe dar lagega. Tum unhe yaha garden me le aao.
Vo bola, arey pagal hai kya tu ? Yaha sab log tamasa dekhenge. Ho sakta hai mera bapu gusse mein tej, tej bolne lage. Yaha milna theek nahi hai, mere ghar par hi miltey hai.
Mai asmanjas mein thi ki kya karu. Mujhe uskey ghar jaana theek nahi lag raha tha.
baar baar mujhe ye bhi lag raha tha, ki kahi ye billu ki mujhe apne ghar par bulane ki koyi chal to nahi.
Par mujhe uske chehre par jakham dekh kar yakin tha ki vo sach bol raha hai. aur ye bhi to sach tha ki mai aisey najuk moke par ush par yakin karne ke alawa kar bhi kya sakti thi.