10-11-2019, 05:32 PM
2 kab baj gaye pata hi nahi chala. Mujhe khyal aaya ki mujhe bahar dekhna to chahiye ki, vah ab aata hai ki nahi, aur yaha na aane ka, apna vada, nibhata hai ki nahi.
mai khidki me aa gayi aur charo taraf najre ghuma kar dekha, par vaha koyi nahi tha.
mere man ko tasalli mili ki sukar hai, ye kahani yahi khatam huyi.
mai vapas apne kaam me lag gayi, par baar baar bahar dekhne ke liye khidki ki aur aaney lagi. par mujhe koyi nahi dikha.
Maine gehari saans li aur socha, theek hi to hai, ye sab yahi khatam hona chahiye tha aur mai sochne lagi ki billu ne apna vaada nibhaya hai.
Kayi din beet gaye aur mujhe yakin ho gaya ki vo ab dubara yaha nahi ayega.
Ab mai, khidki se jhankna lag bhag band kar chuki thi. Kabhi agar, bahar dekha bhi to paya ki vaha koyi nahi hai.
Ek din, sanjay sham ko jaldi ghar aa gaye aur boley, chalo aaj movie dekhne chalte hai. Aur mai foran saj-sanvar kar taiyar ho gayi. Mujhe movies dekhna, khaskar theater mey bahut acha lagta hai.
Mujhe pani ki pyas lagi aur mai kitchen me aa gayi. Maine ek bottle nikali aur ek gilas me pani daala. Pani ka gilas le kar mai achanak khidki ki aur mud gayi.
Maine baher dekha to pani pina bhul gayi. Khidki ke baher billu khada tha.
Mai soch me dub gayi ki ab kya karu ?
Ushey bahut dino baad, dekh kar mere man me ajeeb si bechani ho rahi thi.
Mai hath me pani ka gilas liye khadi rahi aur ushe dekhti rahi.
Vah khidki ke paas aa gaya aur bola kaisi hai tu.
Ish se pehle ki mai kuch bol pati, andar se sanjay ki aawaj aayi, ritu kaha ho, hum late ho rahey hai.
Mai ghabra gayi ki kahi ,sanjay kitchen me na aa jaye aur mai pani ka gilas ek taraf rakh kar mud gayi.
Bahar se billu ki aawaj aayi, mai kal aaunga, maine peeche mud kar uski aur dekha, mai ruk kar ushe ye kahna chahti thi ki dubara yaha aane ki koyi jarurat nahi hai.
Par mere pass kuch bhi kahne ka vakt nahi tha
Mai foran kitchen se bahar aa gayi.
Sanjay bedroom se hath me ghadi bandhtey huve nikal rahey the. Unhone pucha, chaley ab, maine kaha ha chalo, mai taiyar hu.
Hum ghar se, apni gadi me nikal pade. Chintoo ko, mausi ke yaha chod diya, taki aaram se movie enjoy kar sakey.
Rastey bhar mai billu ke barey me sochati rahi. mai soch rahi thi ki vah itney dino baad aaj kyo aaya hai ? kya vah apna vada bhul gaya ?
Par ushe aaj phir se dekh kar dil me kuch-kuch ho raha tha, rah rah kar mujhe ab tak ki sari baatey yaad aa rahi thi.
Theater kab aa gaya pata hi nahi chala. Hum theek time se pahunch gaye the.
Sanjay ko movie bahut achi, lag rahi thi aur mai billu ke karan bechan ho rahi thi. mai ye janena chahti thi ki billu aaj vaha kyo aya tha.
mai khud ko bahut samajha rahi thi aur apna dhyan baar-baar movie par laga rahi thi, par sab bekar tha.
mai rah rah kar billu ko kos rahi thi aur soch rahi thi ki vah ajeeb preshani khadi kar deta hai. mai ushe bhulne hi lagi thi ki vah aaj phir aa gaya aur saare jhakam hare kar gaya.
Mai ek pal ke liye bhi movie enjoy nahi kar payi.
Movie kab khatam ho gayi pata hi nahi chala. Mai khud par sharminda thi ki, mai pehli baar apne pati ka sath nahi de payi.
mai baar-baar soch rahi thi ki aisa kyo ho raha hai.
movie dekh kar hum, seedhey ghar aa gaye. Maine kapde change kiye aur dinner taiyar karne lagi.
achanak mai khidki me aayi aur bahar jhanka, mai bahar dekh kar hairan rah gayi.
billu ek ped ke sahare khada tha, mera dil dhak-dhak karne laga.
mujhe dekh kar vah khidki ke paas aa gaya.
Maine turant pucha, tum abhi tak yahi ho.
Vo bola, kya karta tere se baat karne ka man kar raha tha.
Maine kaha tumhe yaha nahi aana chahiye tha.
Vo bola, itni bhi jaalim mat ban sirf tujhe dekhne hi to aaya hu.
Mai boli, mere pati andar hai, tum jao yaha se.
Vo bola, chala jaaunga, bas thodi der tujhe jee bhar ke dekh lene de.
Mai ajeeb pareshani me thi.
Sanjay ghar par the aur ye billu aisi batey kar raha tha.
Maine pucha, tum kya uske baad aaj hi yaha aaye ho ?
Vo bola haa, mai apne gaanv chala gaya tha, mere ek chacha ki death ho gayi thi.
ushne pucha kyo kya huva ?
Maine kaha, kuch nahi bas yu hi.
Vo bola, kaisi hai tu
Maine uski baat ka koyi jawab nahi diya aur boli, tum chale jao, mere pati ghar par hai.