Thread Rating:
  • 6 Vote(s) - 2.33 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Aab......Baaassssssss.....(A Journey Of House Wife)
#7
Update 2


nidhi- kya janana chahtey hain saheb aap mere bare mein........ye ki maine un sab ko kaise mara......ya..... fir ye ki in logon ne mere saath kya kiya tha.......aapke liye aacha hoga saheb ki is revolver ke ander jitna loha bhara hain sara ka sara mere jism mein poora utar do........main aab jeena nahin chahti..........na hi mera aab jeenay ka koi khaas maksad bacha hain.........shoot me immediately................aur kamrey mein fir se ek gheri khamoshi chaa jati hain......................................................

Ab Aage.............................................

Kuch deer tak khamoshi ka silsila yu hi chalta rehta hain aakhirkaar veer apni chuppi todta hain........

veer- agar tumhein marney ka itna hi shauk tha to fir kyon tumne yahan aakar humare samney surrender kiya......kyon nahin khud ko goli maar li.......sara kissa hi khatam ho gaya hota......

nidhi- ye sab kehna bahut aasan hain saheb.........magar karna utna hi mushkil........main do baar apni kanpati par bandookh rakh chuki hoon magar mere ander zara bhi himmat nahin hui ki main trigger aagey daba sakun........haan agar aap mujhe shoot karengey to shayad us waqt mere ander se ye durr bhi nikal jaye.........

veer kabhi samney rakhi us revolver ki taraf dekh raha tha to kabhi samney baithi us ladki ki taraf.......usey samajh nahin aa raha tha ki wo aagey kya kahe.........fir wo apne haath mein thami file open karta hain aur us file ko bade gaur se padhney lagta hain......

veer- tumhare pati ka naam sagar malhotra......am i right......uski umar 27 saal......wo ek bussiness main tha.......mere khyaal se uske paas rupiye paison ki koi kami nahin thi........sehar mein ek bada sa bangla, naukar chakar aur gadi sab kuch tha uske paas......yani dusare lafzon mein kaha jaye to wo puri tarah se sampaan tha.......aur tum uski biwi thi.......ek baat samajh mein nahin aayi ki tum saxsena aur wo malhotra.......kahin tumhari love mariage to nahin hui thi na......

nidhi- aap sahi soch rahin hain saheb........do saal pehle humne ghar se bhag kar shadi ki thi.......maa baap ko ye rishta bilkul manzoor nahin tha.........wey log jaat paat ko lekar humari shadi ke khilaaf they......is liye humare paas aur koi dusara rasta nahin bacha tha.......... siwaye bhag kar shadi karney mein........

veer- to fir tumhare pyaar ka rang itna jaldi feeka kyon padh gaya........aisi kya wajah thi jo tumhein uska khoon karna pada.......

nidhi is baar zoron se cheekh padti hain aur apni baat rakhney ke liye wo apna ek haath table par zor se marti hain- maine apne pati ka khoon nahin kiya.......maine nahin mara usey.........

veer- chillawo mutt.......tumhare cheekhney se sach nahin badal jayega.........jab tum ye kubul kar rahi ho ki tumne 7 logon ka murder kiya hain to fir tum is baat se kyon inkaar kar rahi ho ki tumne usey nahin mara......agar tumhari baat sach hain to fir tumhare pati ko kisney mara.......jawab do mujhe.......is baar veer ki awaaz mein gussa saaf jhalak raha tha........

nidhi- aslam khan........aslam ne mara mere pati ko........is liye mujhe uska murder karna pada........

veer nidhi ki baateion ko sunkar chaunk sa gaya tha- aslam khan........ye wahin naukar hain na jo tumhare ghar par hi rehkar kaam kiya karta tha.......fir ek naukar ki itni himmat ki wo apne malik ka katal kar dein.......kamal hain..........mere khyaal se aise cases mein do wajah aksar dekhney ko milti hain.....pehli wajah hai daulat........uski nigaah zaroor tumhare daulat par hogi.......aur dusari wajah ho tum.........kahin us aslam khan ka chaakar tumhare saath to nahin tha naa........kahin tumhare wajah se hi to usney apne malik ki jaan nahin li.......aksar dekha gaya hain ki shadi shuda biwiyan naukron se jismani talukaat bana hi leti hain........aur fir wo faithful se unfaithful biwi bankar reh jati hain.....

ye bhi ajeeb hain naa......bechara pati kaam se thak haar kar shaam ko ghar aata hain aur sochta hain ki uski biwi uske lautney ki raah taak rahi hogi......uska besabri se intezar kar rahi hogi magar bechara wo kya janta hain ki uski biwi uski ke peeth peechay dusare mardon ke saath gulchaarey uda rahi hogi......kitna aasan hain pati ko dhoka dena......pati ko to shak bhi nahin hota wo to apne kaam mein hi din raat doobey rehta hain......raat mein fir pati ke saath humbister hona aur fir roz ka wahin silsila......ye silsila tab tak yu hi chalta rehta hain jab tak biwiyan pati ke nazar mein nahin aa jati........

aur agar aisa hua to ilzaam bechara uske naye aashiq ke upar aata hain ......aur fir se wo pati ke nazreion mein wahin jagah paa leti hain.......kamal ki duniya hain ye......

veer ek nazar nidhi ke chehey ki taraf dekhta hain is waqt wo apni nazrein neechay jhukayi hui thi.......aab usey samajhtey zara bhi deer nahin lagti ki inmein se kaun si wajah ho sakti hain sagar ke maut ke peechay.......

veer- chalo mana ki tumhara us aslam ke saath chaakar tha......fir bachey 5 log.......tumne un sab ko kyon mara.......kya in sab ke peechay bhi aisi hi kuch wajah tha........

nidhi kuch deer tak khamosh rehti hain aur chup chaap farsh ki ore ek tuk dekhti rehti hain........fir wo bolna shuru karti hain........

nidhi- aap sach janana chahte hain na saheb........main aapko batungi ki sach kya tha.........kyon maine un sab ko mara.........aisi kaun si wajah thi ki mujhe aisa kadam uthana pada........magar aab sawal ye hain ki kya aap mera sach sun sakengey..........hain aapke laude mein itna takat jo mera ateeth janakar bhi aap khud ko rok payengey.......agar aap mein mard ka kalega hain to fir main aapko apna guzara hua wo kal batungi jo maine guzare hain........

veer ke mano hosh udd chukey they nidhi ke mooh se aise open words sunkar........usney kabhi bhi us masoom si dikhney wali ladki se aisi baat ki umeed kabhi nahin ki thi.........nidhi ne aaj uske mardangi ko open challenge kiya tha.......veer ko ye baat bardaast nahin hui aur wo turant apne kursi se uthkar nidhi ke kareeb gaya aur uske bal ko apni mutthi mein zoron se bheech liya.......nidhi ke mooh se ek dard bhari siskari foot padi.......

veer- bahut ghamand hain na tujhe apne is husn par.........aab puri zindagi is jail mein bitayegi to tera ye husn bhi dheere dheere feeka padta chala jayega........

nidhi veer ki baateion ko sunkar dheere se hans padti hain- aap to meri baat ka bura maan gaye saheb.........pata hain sach humesha kadwaa hota hain........aur aap galat keh rahein hain agar mujhe apne is sunderta par guroor hota to baat hi kya thi........aaj jo kuch bhi mere saath hua hain wo mere is husn ki wajah se hi to hua hain........main aaj is husn ki wajah se hi aaj is mukaam par aapke samney khadi hoon......veer fir nidhi se door ho jata hain aur fir se jakar apne kursi par baith jata hain......aab uska gussa lagbhag bahut hudd tak kum ho chuka tha........

veer- mujhe shuru se lekar aanth tak tumhara wo guzara hua kal janana hain.........jo kuch tumne bitaya in do salon mein........har ek lamha.....har ek pal........sab kuch.........aab kehna shuru karo ye to aane wala waqt hi batayega ki tumhari baat mein aakhir kitna dum hain..............................................................

Nidhi ka sach aab samney aayega uska guzara hua kal sare raaz ek ek kar khulengey uske liye saath bane rahiyega...........................................
[+] 3 users Like thepirate18's post
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Aab......Baaassssssss.....(A Journey Of House Wife) stroy need help - by thepirate18 - 09-11-2019, 02:45 PM



Users browsing this thread: 7 Guest(s)