18-01-2019, 01:47 PM
Update 72
Un teeno ne boht masti ki…aur lagbhag kheton ke beech har ek raste ka round laga liya…wo kafi der baad ghar laute…wo boht khus the…
Jaise hi wo ghar aye toh sab lunch kar rahe the in logon ne Sabhi ko join kiya aur fir sabhi Apne apne rooms mein chale gaye…Sham ko sab mandir Jane wale the toh abhi sab aram kar rahe the…
Ab age…
Sham ko sab ready ho gaye the mandir Jane ke liye…4 cars nikal li gayin thi…ek car mein Raghuveer mohit Sunidhi aur Geeta baithe dusri mein Ranjit Sushma Monty aur Sandy baithe teesri mein Riya Sonia Diksha aur fourth mein Priya Raj aur Isha baithe…drivers drive karne wale the…
Raj samne wali seat par baitha tha aur Priya aur Isha peeche baithi thin…Fir Charon gadian mandir ki taraf chal padin…Mandir gaon se bahar hi tha par haweli wali side se dusri taraf…toh gaon mein se gujrna tha…
Sab gaon ke alag mahol ko dekh kar khus ho rahe the…sabhi ke kiye yeh ek naya experience tha…isliye sab ke dil mein ek alag si utejna thi…sab gadi se bahar us gaon ki galiyan gharon….as paas se nikal rahe logon ko dekh rahe the…
Raj bhi bahar ki taraf dekh raha tha…Priya aur Isha bahar dekhne ke sath sath batein bhi kar rahi thin…unki baton ka topic gaon ke log ghar galiyan aur bhi boht kus tha...
Fir thode lambe but khubsurat safar ke baad gaon ki dusri taraf pahunch gaye…Wahan bhi khet hi khet the…fir gadi ek mandir ke samne ja kar ruki…mandir kafi unchi jagah par bana huya tha…
Khair cars rukte hi sabhi bahar nikle aur upar ki taraf dekhne lage…
Sandy(majak karte huye): are baap re itna uncha chadna padega…yahan toh koi utha kar le jaye Toh acha hai…
Raj: bhai kion nautanki karta hai chup chap chal na…vaise bhi yahan tak toh gadi se aya hai thodi mehnat pairon ki bhi hone de…nahi Toh saand ban jayega…
Raj ki baat par sabhi hans pade…aur fir bhagban ka naam lekar chal pade upar ki taraf…sach mein kafi lambi duri thi…pata nahi bnaya kaise hoga…kise ne…
Khair Jaise taise kar ke sabhi pahunch hi Gaye…ladkion ke toh paseene chhut gaye…
Sushma(hanste huye): yeh sehar ki ladkian bhi na thoda bhi nahi chal sakti…
Sushma ki baat se sabhi ka dhyan ladkion ki taraf gaya aur unki halat dekh kar sab ki hansi chhut gayi…
Fir sabhi ne wahan lage nal se apne hath pair dhoye aur apne jute utar kar mandir mein chale gaye….
Mandir jyada bada toh nahi tha but tha boht khubsurat aur Radha karishan ji ki murti is mandir ki khubsurati ko char chand laga rahi thi…sham ka time tha toh Suraj ka parkash thoda kam ho gaya tha aur as paas laali chayi huyi thi…jo mahol ko aur bhi khusnuma bana rahi thi…
Sab ne bhagban ke samne sir jhukaya aur apne aur apno ke liye manga…fir sab wahan se bahar ka nazara dekhne lage…kionk mandir boht uncha tha toh sab kus boht acha najar a raha tha…
Raj(as paas dekhte huye): kitna sundar nazara hai na…
Raghuveer: Han beta sahi kaha…kitni shanti milti hai yahan…
Par ek insan tha jise yahan bhi koi shanti nahi thi…Diksha…
Diksha(Apne man mein): khak shanti mil rahi hai…agar Priya yahan se neeche gir jaye toh boht shanti milegi…
Ranjit: chalo mandir ke peeche ki taraf chalte hain wahan ek river hai…
Priya(jhumte huye): chalo nanu…maja ayega…
Fir wo sabhi us taraf chal pade…wahan se niche utarne ke liye koi sidi nahi thi…bas dhalan se neeche utrna tha…aur wo Sabhi jaldi hi niche utar Aye..aur upar Jane ke mukable yeh kaam jyada asan tha…
Niche pahunch kar sab nadi ke paas pahunch gaye…wahan ka drisya boht manmohak tha…har taraf haryali aur beech mein behti nadi…
Sonia: wow kitna khubsurat hai…
Riya: han di kitna acha hai…jaise dharti par swarg utar aya ho…
Raj (har taraf najar ghuma kar): yah sayad swarg se bhi sundar…
Ranjit: yeh nadi na kewal sundrta ko badhati hai balki hamare gaon ke kisano ke liye yeh kisi bardan se kam nahi…yeh pure gaon ki faslon ko palti hai…
Sandy: yeh toh boht achi baat hai...
Fir Ranjit un sab ko us jagah aur mandir ke bare mein kafi kus batata gaya…sab badi gaur se sun rahe the Priya aur Diksha ko chhod kar…
Diksha Raj ko besharmon ki tarah ghur rahi thi…aur Priya ke liye ab aur bardast karna muskil tha…kionk Diksha ab boht jyada khul kar apni chahat ko dikha rahi thi…
Khair aise hi kus der ghumne ke baad sabhi ghar wapis Jane ke liye chal pade…Jaise aye the waise hi usi seating order mein baith kar ja rahe the…Priya pure raste bas is bare mein sochti rahi k Diksha ko kaise roka jaye…
Ghar pahunch kar sabne khana khaya aur apne Apne kamre mein chale gaye …Priya apne room mein pareshan si baithi thi…wo Diksha ke bare mein hi soch rahi thi…
Priya(Apne man mein): ab main kya karun…Diksha ki himmat din b din badhti ja rahi hai…mujhe kus toh jarur karna hoga…Raj bhi meri baat par dhyan nahi deta aur na hi Diksha ki is problem ko seriously leta hai…wo bas yahi samjhta hai k main usse jalti hun…but aisi baat nahi hai…kionk Diksha us raste ki taraf badh rahi hai yahan Raj ke prati uski chahat janoon mein badal jayegi…aur fir ho sakta hai k wo Apne ap ko yah kisi dusre ko nuksan pahunchaye…
Khair Priya ki soch bilkul sahi thi…kionk Diksha galat raste par Chal padi thi…par Kya Raj sach mein itna bhola hai Jo Diksha ki is diwangi ko samajh nahi pa raha hai…aur agar sach mein aisa hai toh ho sakta hai uski yeh nadani sab barbad karde…Kionk agar Diksha ko is waqt koi samjha sakta hai toh wo sirf Raj hi hai…
Khair Priya ko ab aur koi rasta nahi mil raha tha siwa Diksha se baat karne ke…
Priya(man mein): kya mujhe sach mein Priya se baat karni chahiye…aur kya wo meri baat ko samjhegi…agar usne meri baat ko nahi samjha Toh wo mujhe Apni dushman samjhne lagegi…par aur koi rasta bhi nahi hai…mujhe usse baat karni hi padegi…nahi toh boht kus barbad ho jayega…han kal ko hi usse baat karne ki kosish Karungi…
In sab sochon mein khoyi huyi Priya na Jane kab tak bed par aise hi laiti rahi par use kafi time ke baad neend ayi…
Udhar Raj bhi apne kamre mein bed par baitha kus soch raha tha…
Raj(man mein): Priya mujhse kitna pyar karti hai…jab bhi main Diksha se thodi bhi baat karta hun toh kitna tadap uthti hai…mere liye wo kus bhi kar sakti hai…wo mujh par kitna bharosa bhi karti hai…par main kya kar raha hun…usse kion jhuth bol raha hun…mujhe usse ab aur nahi chupana chahiye…mujhe usse jarur baat karni hogi….but aise hi nahi sahi mauka ane par…nahi Toh kahin jyada der na ho jaye…par kya karun aisa karna meri majburi hai…main nahi chahta k hamari family par koi musibat aye…
Ab yeh Raj ne yeh konsa naya twist la diya wo Priya se kya chipa raha hai…aur kab btayega…yeh toh nahi pata…khair Raj aise hi kafi der soch bichar karne ke baad kus soch kar so gaya….
Is waqt Sabhi so rahe the…har taraf shanti hi shanti thi…par Teen logon ke man mein boht sare swaal aur pareshanian thi…Raj Priya aur Diksha…khair Raat ko toh beetna hi tha toh yeh Raat bhi beet gayi…
Agle din subah sab breakfast kar rahe the…Raj aur Priya aj ek dusre se ankhon ke jariye baat kar rahe the…but dono hi ander se pareshan the…
Priya ko toh yeh dar tha k Diksha najane uski baat ko samjhegi yah nahi aur Raj yeh soch raha tha wo Priya se kab aur kaise baat kare…baki sab toh enjoy kar rahe the…Diksha bhi apne routine ka kaam kar rahi thi…matlab Raj ko ghurna…par wo dhyan rakhti thi k Priya ko chhod aur kisi ko kus pata na chale...kionk wo toh sirf Priya ko jalana chahti thi…
Par Priya jalne se jyada dar rahi thi…khair sabhi ne breakfast khatam kiya aj kahin bhi ghumne ka plan nahi tha…sab aram karne wale the…isliye sab khana khatam karte hi apne apne kamron mein chale Gaye…jab ke kus garden mein jakar batein karne lage…
Priya bhi thodi soch beechar karne ke baad himmat juta kar Diksha ke room ki taraf chal padi…wo wahan pahunchi aur usne door knock kiya Diksha ne bhi jaldi hi door khol diya…
Asal mein toh Diksha ko Priya ke wahan ane ki koi khusi nahi thi but wo bahar se smile karke aise dikha rahi thi mano wo toh dhanya ho gayi…
Diksha(jhuthi smile ke sath): Are Priya di aap koi kaam tha kya…
Priya: nahi asal mein mujhe kus baat karni thi tumse…agar tum free ho toh…
Diksha ko ajeeb sa laga k Priya usse kya baat karne wali hai bhale hi college mein dono ek hi friend group mein hain but dono mein jyada baat nahi hoti thi…
Diksha(confuse si hokar par Bahar se khus): are mujhe kya kaam hai free hi toh hun…ap ayie ander…
Fir Priya ander ayi aur Diksha ne door band kiya aur use baithne ko kaha…Priya bed par baith gayi...
Priya a toh gayi thi baat karne par use samaj nahi a raha tha k wo kaise baat ko shuru kare…Priya ko is tarah chup chap baithe dekh Diksha hi bol padi…
Diksha: kya huya kisi baat ki tension hai kya…ap aise chup chap baithi hain…
Priya: nahi Diksha asal mein mujhe tujhe kus samjhana tha…but pls tu meri baat ka bura mat manna main sirf ek dost hone ke Nate tumhe samjhana chahti hun…
Diksha: are koi baat nahi apko Jo baat karni hai khul kar kijiye…main bilkul bura nahi manungi…
Priya(ek lambi sans bhar kar): Diksha tum janti ho na Raj aur main ek dusre ke pyar karte hain…
Diksha ko kus samajh nahi a raha tha k wo kaisi batein kar rahi hai…par ab use aisa lag raha tha k wo usse jarur Raj ke bare mein kus baat karegi but kya…
Toh dosto aj ke liye itna hi…ab dekhna yeh hai k kya Priya itni himmat juta payegi k wo Diksha ko samjha paye Aur kya Diksha samjhegi…par is sab se alag ab Raj ke man mein kya hai Jo wo aj tak chipa raha tha aur ab Priya ko batana chahta hai…yeh sab janne ke liye Dildariyan ko support karte rahiye aur apne dost SIDHU ko pyar dete rahiye…
To be continued…