Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance College Life - A successful Dream
#3
UPDATE 2


 Me abhi garden me ghum raha iske kuch der bad me apne room me chala aaya or chala gaya fresh hone kuch der ke bad me vaha se collage ke liye tayar hua( sahi suna apne collage ke liye) or dinning table per pahuch gaya jaha per bhaiya and bhabhi already baithe the mene unhe morning wish kiya or meri jaan aradhana ko ek kiss kiya iske bad me bhi naste ke liye baith gaya or hamari bate shuru hone lagi or iske bad kuch der bate kerne ke bad me nikal gaya collage ke liye .
 
Ab aage
 
Abhi bhi sab log yahi soch rahe honge ki me collage jane ki bat kyo ker raha hu apko bhi bata deta hu
 
Kuch din pahle :-
 
Me is wakt office me baitha tha or kuch soch raha tha abhi kuch wakt pahle mera friend mujhse milne aaya tha vo bhi mere barabar hi tha ham log ek hi sahar se belong kerte hai vo bhi abhi 23 saal ka tha bachpan me hum log sath padhe the or ye mera best friend hua kerta tha per pichle 2 saal me hum dono hamari jindgi me is kader busy ho gaye ki mil hi nahi paye or vo ek middle class family se belong kerta hai uska nam rahul hai usne mujhe bataya ki uska B.com pura ho chuka hai or usne CAT ka exam diya jisme use aache marks mile or ab vo pune me rahker yaha ke sabse bade collage se MBA kerne vala hai iske bad hamari kuch bate hui or vo chala gaya or me soch me pad gaya mujhe laga ki abhi me bhi collage life enjoy ker sakta hu mene socha ki me bhi apne friend ke sath usi collage me admission le leta hu
 
Mere dost ka nam hai rahul 23 saal ka hai rang gora hai six packs and body aachi hai padhai me bahut hosiyar hai or ye mere bare me itna nahi janta ise sirf itna pata hai ki me ek CA hu or kahi per job kerta hu mene abhi ise apne business ke bare me bataya bhi nahi hai  
 
Ye bat mene bhabhi ko batayi unhone bhi mujhe support kara bhaiya se bat kerne ke bad unhone kaha
 
Bhaiya :- Thik hai aman jaise teri marji ager tujhe usme khusi milti hai to tu join ker le collage
 
Me :- Thank you bhaiya mere collage ka time 8 to 11 AM hai me pahle collage chala jaunga vaha se sidha office pahuch jaunga
 
Bhaiya ko bhi ye idea sahi laga or iske bad mene mere dost ko bhi bataya vo bhi bada khush tha halanki collage shuru hue 1 hafta ho chuka tha per abhi tak uska bhi koi naya friend nahi bana tha bas abhi tak akela tha iske bad mene collage ki formality puri kari or mera admission ho gaya us collage me
 
Collage ke principle se meri aachi jan pahchan thi isliye mene socha ki me unse milne chala jau me unse milne unki cabin me gaya
 
Principle :- Hello Mr. Khurana aj yaha per kaise
 
Me :- Sir ab to roj mulakat hogi isi collage me admission liya hai
 
Meri bat sunker vo kuch shock hue fir bolo
 
Principle :- Tumhe ab padhne ki kya jaruvat hai tumhara itna aacha business set hai
 
Fir mene unhe apne sapne ke bare me bataya to unhe pata chala hi mene collage kyo join kiya hai vo is bat ko sunker khush hue per mujhe vo kuch kuch udas bhi lag rahe the
 
Me :- Sir ap kuch udas lag rahe hai kuch tension hai kya
 
Principle :- Are nahi nahi koi tension nahi hai ek bas choti si problem hai use sort out kerna hai
 
Me :- Ap mujhe bata sakte hai me sayad apki kuch madad ker saku
 
Principle :- Kuch nahi beta hamare collage me ek professor hai unka accident ho gaya hai vo ap logo ki class ke professor hi the doctor ke according ab vo agle 2 mahine tak unhe bed rest kerna hai to vo collage join nahi ker sakte hai ab 2 mahine to hum log course delay nahi ker sakte hai
 
Me :- Vaise sir subject konsa hai
 
Principle :- Accounting and financial management
 
Me :- Ager sir apko koi problem nahi ho to me ye subject padha sakta hu
 
Meri ye bat per sir mujhe bas dekhe ja rahe the or chup the mene chuppi todte hue kaha
 
Me :- Sir ap bhul rahe hai I am a qualified charted accountant also or is subject me mujhe badi aachi knowledge bhi hai
 
Principle :- Aman tumhara idea aacha hai per without any experience me tumhe allow nahi ker sakta hu you know ki haamra collage MBA me india ke top collage me se ek hai ham eek experience teacher ki jaruvat hai
 
Me :- Ok sir vo apki marji hai per sir ager ap kahe to me 3 din tak demo class le leta hu uske bad ap students ka opinion le lena ki unhe problem hai ya nahi vaise bhi sir me 2 mahine ki hi bat ker raha hu uske bad apke professor vapas continue ker sakte hai
 
Principle :- Idea tumhara aacha hai Aman I think me tumhe demo ke liye allow ker sakta hu
 
Aman :- Ok sir thank you me Monday se join ker lunga ap mujhse schedule bata dijiye ki kaise classes hone vale hai
 
Principle :- First class 8 Am to 8:45 Am second class 9 Am to 9:45 Am and last class 10:15 Am to 11:00 Am tumhe sabse last vala class lena hai
 
Aman :- Ok sir thank you
 
Principle :- Are beta thank you to mujhe tumhe bolna chaiye tumne mera problem sort out ker diya and beta ek or bat hum ager student ne tumhe select ker liya to uske bad me tumhara pay bhi decide ker lete hai
 
Aman :- Sir ye sab me paise ke liye nahi ker raha hu me sirf apki problem solve ker raha hu sir me apse kuch paise leker ker bhi kya lunga mujhe kuch nahi chaiye sir mera business meri sabhi jaruvat ko pura kerne ke liye kafi hai or me sirf mere pass jo knowledge hai use mere classmate ke sath share karunga so sir ap agli bar ye sawal mat phuchiyega
 
Principle :- Per beta
 
Aman :- Sir fir ap kisi or ko dondh lijiye
 
Principle :- Are sorry beta tum bura man gaye per tumne aj vapas show ker diya ki tum kitne aache insaan ho mujhe tumhari soch per garv hai beta
 
Aman :- Thank you sir ab me chalta hu mujhe ek meeting attend kerni hai apse monday ko milunga
 
Back to present :-
 
Aj Monday hai sath hi mera collage me pahla din bhi hai mera friend rahul pahle hi ja chuka hai me ab collage ke liye nikal raha hu per aj me sirf middle class life ke dino ko enjoy kerna chahta tha isliye mene ek simple sa dress pahna or aj me bus me collage jane vala hu apne purane dino ki yad taja kerne ke liye mene sath me ek formal dress bhi rakh liya tha kyoki mujhe uske bad ek class me padhana bhi tha isliye to ab aage jaker kya hota hai meri collage life me ye dekhne vali bat hogi
Like Reply


Messages In This Thread
RE: College Life - A successful Dream - by sexyaakash123 - 20-10-2019, 10:40 PM



Users browsing this thread: