Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
Martin ne dragon ki ankho me darte hue dekha aur bola..."mujhe apne Maa aur Pitaji ki jaan bachani hain...."
us dragon ne jaise Martin ki aawaj ko samajh liya ho...wo ekdum shant ho gaya aur Martin ki ankho me jhakne laga...
"mujhe apne Maa aur Pitaji ki jaan bachani hain...kya tum samajh sakte ho ki main kya kahna chah raha hoon..."kahte hue Martin ne us safed dragon ko darte hue sahlaya...dragon baukhala gaya aur Martin ko pakad kar upar udd gaya...
"ye mere ghar ka rasta nahi hain..."Martin teji se chillaya...aur jawab me dragon ne Martin ko uchayi pe lejakar chhod diya..Martin neeche girne laga...
"bachao....."
Martin teji se neeche gir raha tha...aur uske peechhe peechhe Dragon bhi...achanak us safed dragon ke pankh toot kar Martin ki taraf girne lage aur thodi hee der me Martin ke kandhe se dono pankh is tarah jud gaye jaise Martin paida hee in pankho ke sath hua ho...Martin aasman me udne laga...
"ye to kamal ho gaya...uuuhhhhhoooo...main udd sakta hoon,mujhe yakin nahi ho raha..."
safed dragon seedhe jakar Martin se ja takraya...dragon ke bhari vajan ko Martin sambhal nahi paya aur neeche gir gaya.lekin wo jaise hee utha use yakin nahi hua...uske hatho aur pairo me dragon ki parat zam chuki thi...Martin apne sharir ko sahlakar dekhne laga...
"ye to sachmuch bahut lazwab hain...chalo dost ab apna kaam pura kare..."
*****************************
"beta Gabriel tum itne gusse me kyun ho..."
"tumne mujhse jhoot kaha Maa,tumne mujhse jhoot kaha ki Martin ek sadharan bachcha hain...tumne mujhse ye bhi kaha tha ki Martin ke kandhe pe bana nishan kuch dino me mi jayega...maine bilkul sach kaha na..."
Gabriel ke hath me khoon se sani talwar dekhkar uski Maa samajh chuki thi ki Gabriel ne gusse me aakar apne pita ki hatya kar di hain...
"Gabriel tumne apne pita ko maar dala..."Wo rote hue boli...
"tumne bilkul sahi andaza lagaya...ab tumhari bari hain..."
"lekin kyun..."
"kyun mara maine unhe ye janna chahti ho..."Gabriel ne apni maa ko bistar se utha ke neeche patak diya"tumhari vajah se mara maine apne pita ko yadi tum mujhse jhoot nahi bolti...par ab iska kya fayda ma ab to sab kuch khatam ho gaya..."
"hosh me aao Gabriel..."
"hosh me to aap nahi thi...aapne mujhe pahale kyun nahi bataya tha ki mera chhota bhai bhi dragon holder hain...is samundar par meri hukumat hogi kis ore ki nahi...ab yadi us hukumat ke beech me mere Ma-baap ya mera bhai bhi aayega to bhi main nahi rukunga...aur iski shuruat ho chuki hain..."
Gabriel ne apni talwar upar uthayi hee thi Martin dragon holder ke roop me waha aa pahuncha...
"rook jayiye bhaiya....aap aisa nahi kar sakte...."
"to tu abhi tak zinda hain..oho tera dragon bhi tere sath hain..."
Martin ne jyada samay na gavate hue Gabriel par kud pada..dono ghar se bahar aa gire...Gabriel bina dragon ke Martin ke samne kamjor pad gaya aur jald hee wo haar gaya...
"ye pitaji ki maut ke badle..."kahte hue Martin ne Gabriel ki talwar uthayi...lekin Gabriel ko Martin maar nahi paya...uske hath kanpne lage...
"main aapke jaisa nahi hoon..."
"tu kamjor hain Martin...."
Martin ne apne dono hath hawa me uthaye aur Gabriel ko door phenk diya...
"Martin,,,,,"
Martin rote hue apni maa ke pass pahuncha"Maa tumhe kuch nahi hoga..."
Martin ki maa ne uske dragon se jude sharir ko sahlate hue boli...
"tumhara drogan tumhe mil gaya bete...ab jaldi se yaha se bhag jao,,,Gabriel dubara aayega..."
Martin ki maa ne itna kaha hee tha ki pure ghar me samundar ka pani bharne laga...dragon Martin se alag hokar waha se chala gaya..aur Martin samundar ke us badh me bahte hue death iceland aa pahuncha...
Ron ne dekha ki wo bawandar ke andar ghusta ja raha hain...uska dam ghutne laga tha.. Ron ne apni ankhe kholne ki koshish ki lekin use kuch nahi dikh raha tha...bawandar ab shant ho chuka tha...Ron ne mahsoos kiya ki wo samundar ki satah par pahunch chuka hain...waha bahut andhera tha...
"mujhe maloom tha ki yaha aisa hee andhera hoga isiliye maine balladonna se tourch maar li..."Ron ne khud se kaha..aur tourch lekar aage badha...use tourch ki roshani me spiritual ship ki ek jhalak mili....
"mil gaya mera jahaj...duniyawalo Captain Martin...maaf karna Captain The Ron is back...."khud ko sarahte hue Ron aage spiritual ship ki taraf badh gaya...
------------------------------------------
"bilandar- Raaj wo apne dono nakshe to dikhana..."
"ab un naksho ka kya karega..."
"main chahta hoon ki ab humare pass aisi koyi bhi chiz na rahe jisse Gabriel hum par dobara hamla kare..."
bilandar aur Raaj dono ne apne jeb me hath dale lekin naksha un dono ke pass nahi tha..
"abey Raaj mere pass naksha nahi hain..."
"mere pass bhi nahi hain..."
"Raaj-Riya ek naksha jo tumhare pass tha use lana..."
Riya bhagti hui balladonna ke andar gayi...aur kuch der baad wapas aa gayi...
"Raaj naksha waha bhi nahi hain..."
"Raaj-zara ruko tumhe yaad hain Ron bawandar me kudne se pahale balladonna ke andar gaya tha aur wo humse gale bhi mila tha..."
"iska matlab ye hua ki us sale ne naksha chura liya aur hume pata bhi nahi chala.."
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
"Morgan- Malik,Ron to us bawandar me sama gaya..lekin wo marega nahi..."
"mujhe maloom hain Morgan ki Ron ko koyi na koyi kinara jaroor mil jayega...lekin is bawandar ke jariyr jo main maloom karna chahta tha wo mujhe maloom ho gaya..."
"aap kis baat ka pata lagana chahte the Malik..."
"mujhe abhi bhi yaad hain,jab Ron humare kabje me tha to usne mujhse kaha tha ki uska dragon abhi zinda hain,yadi aisa hota to uska dragon use us bawandar se bachane jaroor aata...lekin wo nahi aaya iska matlab saaf hain ki Ron akela hain..."
"aap aage ki yojana kya hain Malik..."
"aage ki yojana..."Gabriel hasne laga"dragons ki sena lekar khatam kar do sabko...."
"Malik aapke liye Ron khatra hain,uske baki ke namunese nahi...phhir aap un becharo ko kyun marna chahte hain..."lisa jo abhi-abhi waha aayi thi usne Malik se kaha...
"lisa jinhe tum namuna kah rahi ho unlogo ne hee Ron ki madad ki...unhi logo ne humare kayi sathiyo ko mara....jung chhid chuki hain...aur maut ab sabki hogi...Morgan jaldi se hamle ki taiyari karo....jeet humari hogi..."
Morgan waha se chala gaya...Morgan ke jane ke baad Gabriel lisa ki taraf badha aur lisa ke kandho par hath rakhkar bola..."lisa yadi tum dragon holder hoti to kya karti...."
"yadi main dragon holder hoti to ye nahi puchhati ki mujhe kya karna hain....seedhe jakar Ron ke seene me wo khanjar ghusa deti jo usne dewan ke seene me ghusaya tha...."
Gabriel ne apne hath ko upar uthaya...teji se ek khanjar uske hath me aa gaya....
"ye lo lisa wo khanjar....ye wahi khanjar hain jis khanjar se Ron ne dewan ko mara...aur rahi dusari baat to main tumhe dragon holder bana sakta hoon...."
lisa ne khanzar apne hath me le liya aur khanjar ko sahlati hui boli"kya ye sach me mumkin hain ..."
"dragon holder ko rokne ke liye kayi saal pahale ek mantra taiyar kiya tha ,jiske anusar us mantra ko jo bhi padhe wo kisi bhi dragon ke sath jud kar dragon holder ban sakta tha...aur us dragon ki shaktiya us shaks me aa jati thi jisne aisa kiya tha...aur mujhe wo mantra yaad hain..."
"mujhe yakin nahi ho raha hain Malik ki main bhi ek dragon holder ban sakti hoon...."
"lekin isme khatra bhi hain lisa...tum dragon holder kuch hee samay ke ban paogi aur jab wo dragon tumse alag hoga to wo tumhari jaan lene se nahi chukega...kyunki kisi bhi dragon ko ye pasand nahi kikoyi uspar ukumat kare..."
"kya aapka dragon bhi aap par hamla karta hain...."
"main janam se ek dragon holder hoon lisa...mujhe koyi khatra nahi hain..."
"mujhe manjoor hain..."
"bahut achchhe phhir Ron ka samna ek nahi teen teen dragon holder se hoga..."
"teesara kaun hain..."
"Morgan ko itani jaldi bhool gayi...."
*****************************
Raaj balladonna me chahal kadmi karte hue Ron ko galiya bak raha tha...
"sala chor kahi ka...marte marte bhi usne apni aukat dikha di...kahi hume wo khazana na mil jaye isliye usne wo naksha apne sath lekar chala gaya..."
"Aditya-tujhe vakayi me lagta hain ki Ron mar chuka hain..."
"wo to gaya ab yadi tu uski tarafdari karega to tujhe bhi usi ke pass pahuncha dunga..."
"abey oye laparjhandis ,ye apni shaktiyo ka rubab kahi aur dikhana..."
"ab to tu gaya kaam se..."
"aaja sale,abhi tujhe line pe lata hoon...."
har baar ki tarah is baar bhi Riya ne beech bachav karke Raaj ko shant kiya...aur Aditya ko waha se jane ke liye kaha...
"Aditya-mere pass ek sharab ki ek aakhiri botal hain...jisko bhi peena ho mere sath chale..."
"abey ullu ke dum naksha to Ron ke liye nikal gaya...ye botal hee khali kar de..."bilandar ne botal ki taraf dekhkar socha aur turant hee uthkar khada ho gaya...
"main aata hoon sath me..."
bilandar aur Aditya waha se chale gaye...tabhi seth chillaya..
"samne dekho ,Gabriel apni dragon ki sena lekar aa raha hain..."
"Riya-ye to bahut jyada hain ,ab kya karenge..."
samne se ek dragon aata hue balladonna se ja takraya...balladonna ka samne ka hissa puri tarah tahas nahas ho gaya....
"Raaj-jaan bachani hain to ..."Raaj olte bolte hee rook gaya...
"tum rook kyun gaye bolo jaldi ki hume kya karna chahiye..."
Raaj ki aawaj hee gale me atak gayi thi,usne samne ki taraf ishara kiya...
"Lisa-yaha to teen teen dragon holder hain..."
"sabhi neeche kud jao...."
Raaj,lisa aur seth to neeche kud gaye lekin bilandar aur Aditya balladonna ke dusare hisse me baithe sharab pee rahe the...
"bilandar-abey tujhe koyi aawaj sunayi di..."
"chadh gayi hain be tujhe...yaha ka mahol to ekdum shant hain..."
tabhi Gabriel ne apne farse ko balladonna par patak diya...aur apni shaktiyo se baladonna ko nast karne laga...
"lisa aur Morgan tum dono un teeno ko maro jo abhi balladonna se neeche kud gaye hain...main inke jahaj o tabah karta hoon..."
aisa kahte hee Gabriel aasman me udd gaya aur tej gati se wapas upar se balladonna par kud gaya...balladonna puri tarah toot gaya...
"Aditya-abey mujhe aisa kyun lag raha hain hum neeche ja rahe hain..."
"abey tujhe chadh gayi hum neeche nahi ja rahe hain samundar ka pani upar aa raha hain..."
tabhi un dono ko samundar ke andar kuch halchal sunayi di..."
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
"abey tujhe kuch sunayi diya..."
"mujhe aisa lag raha ki humlog sapna dekh rahe hain...ab ye dekh jo shaks samne khada hain use dekhkar aisa lag raha hain ki wo Gabriel hain...lekin wo Gabriel nahi hain...de tali..."
"tum dono ki koyi aakhiri khwaish hain"Gabriel un dono ki taraf badhta hua bola...
"abey iski aawaj bhi Gabriel ki tarah lag rahi hain...lagta hain ye sharab bahut kadakdar hain..."bilandar ne sharab ki botal ko chumte hue kaha...
Tabhi puri tarah se barbaad ho chuka balladonna ship buri tarah se hil gaya...ek baar to Gabriel bhi ghabra gaya ki ye kya ho raha hain...Riya aur Raaj ko Morgan aur lisa ne jakad liya tha,aur un dono ko marne ke liye bilkul taiyar the...tabhi samundar ko cheerte hue ek jahaj bahar nikla...sabki aankhe phhati ki phhati rah gayi...wo spiritual ship tha...jo balladonna ship se dugna bada aur kayi guna chauda tha...spiritual ship ke samne nukeele wale hisse me maut ka nishan bana hua tha...wo jahaj kale kapdo se puri tarah dhaka hua tha...dheere dheere jahaj puri tarah saundar se bahar aa gaya...sabki aankhe us jahaj par gadi thi...tabhi Ron bahar aaya..uske gale me sone ki ek mala latak rahi thi aur sone ki kayi angutthiyo ko usne apne ungali me pahan rakkha tha...
"dekh kallu,kabhi dekha hain ye sona..."
Morgan ne Gabriel ki taraf dekha ....Gabriel ne Morgan ko shant rahne ke iye ishara kiya...mauka dekhkar Aditya aur bilandar neeche kudkar spiritual ki taraf badhne lage...
"Gabriel-main janta tha ki tu wapas jaroor aayega...lekin is tarah aayega ye nahi socha tha..."
"tareef ke liye shukriya..."
"kat dalo un dono ko ,main isse nipat lunga..."
Morgan aur lisa...Raaj aur Riya ko kuchh karte usse pahale hee Ron ne do khanzar un dono ki taraf phenk diya...Ron ka nishana achuk tha wo khanzar seedhe jakar Morgan aur lisa ke seene me ghus gaye...pahale Raaj ne khud ko chhudaya aur baad me Riya ko unki kaid se aazad karke spiritual ki taraf teji se badha...Seth,bilandar aur Aditya pahale se hee waha pahunch chuke the...
"Raaj-tune naksha churaya..."
"nahi bilkul nahi..mere pass to koyi naksha nahi hain..."
"jhoot mat bol..."
tabhi ek dragon teji se unki taraf badha aur bilandar ko daboch kar udd gaya...
"Ron-dekha teri faltu baato ka nateeja..."
Ron ne jhat se bandook nikali aur dragon par taan di..tej aag ki lapteo ne bilandar ko us dragon se aazad karwa diya...bilandar seedhe samundar me aa gira
"abey iss pakad kar jaldi aa ,mujhe sabki jaroorat hain..."Ron ne ek rassi uski taraf phenk kar bola...
Lisa aur Morgan ne apne seene se khanzar nikal liya ...lisa ne wahi khanzar Ron ki taraf henka...lekin lisa nishana Ron ki tarah nahi wo khanzar Ron ke bagal se nikal gaya...
"Lisa-Ron ab hum bhi dragon holder hain...aur tujhe yadi hume marna hain to tujhe dragon se judkar khud dragon holder banna padega...lekin afsoso ki tere pass dragon hee nahi hain..."
"kisne kaha mere pass dragon nahi hain,jaroor Is Gabriel ne kaha hoga...lekin bura mat manna meri jaan iske pass akal ki thodi kami hain...isne ye nahi socha ki jis mantra se isne tujhe aur us vahiyat kallu ko dragon holder banaya main bhi usi mantra ka istemaal karke in sabko dragon holder bana sakta hoon..."
"Raaj-tu sach me aisa kar sakta hain..."
"ab to yakin karo be..."
tabtak bilandar waha pahunch chuka tha...
"Raaj ko chhodkar sabhi kisi bhi ek dragon par kud jao aur main tumhe jo mantra bataunga use bol dena...tum sab dragon holder ban jaoge..."
"main kyun dragon holder nahi ban sakta...main in sabbe sabse kabil hoon"
"tu isliye dragon holder nahi ban sakta kyunki tere me dimak ki kami hain ...pahale meri baat to khatam hone de....jab kaam ho jaye to usi mantra ko ulta padh dena wapas insan ban jaoge...ab jao kamino meri shakal kyu dekh rahe ho...."
Gabriel ne apna hath hawa me uthakar kuch bola jisse hazaro ki tadad me dragons ne spiritual ship par hamla bol diya...Ron ne mantra puchhkar sabse pahale seth ek dragon par kudkar baith gaya...aur dekhte dekhte hee wo dragon holder ban gaya....
"Aditya-billu pahale tu jayega ya main jaun.."
"mere khayal se tujhe hee pahale jana chahiye..."
"Ron- yaha samay barbaad mat karo...dono ek sath jao,lekin bhool se bhi Gabriel,Morgan aur lisa se mat bhidna...tum sab dragons ki sena ka safaya karo...."
Aditya aur bilandar bhi dragon holder ban gaye...lekin Riya rook gayi thi wo daudti hui Raaj ke pass aayi aur usko kiss karne lagi...
"Riya-i love u Raaj..."
"Ron-dil mera tod diya tune bura kyun mane....janeman ab tumhari bari taiyar ho jao..."
"tum kya karoge yaha rahkar jung me jaane se dar lagta hain..."
Ron ne Riya ko pakad kar uthaya aur pass aate hue dragon ke upar phenk diya...lekin Riya neeche gir gayi...seth teji se udta hua waha aaya aur Riya ko uthakar waha se chala gaya...Ron ki ye harkat dekhkar Gabriel taaliya bajata hua bola....
"Ron tum tareef ke kabil ho...lekin main ye janna chahta hoon ke tujhe wo mantra mila kaha se...."
"isi jahaj par mila...aur koyi sawal..."
"tu aaj bhi ladayi se darta hain...isiliye dusaro ko to bhej diya lekin tu khud nahi gaya..."
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
"Riya...main tumhe ek dragon ke upar phenk raha hoon...jaldi se wo mantra bol dena..."
"ek minut ruko,main abhi taiyar nahi hoon..."
"bhad me jao..."kahte hue seth ne Riya ko phenk diya...
"Gabriel-aaj to ladayi se mat bhag Ron...ya to mujhse jeet ja ya phhir shaheed ho ja..."
"mujhe pahla wala sujhav jyada pasand aaya..."
Riya,seth,Aditya aur bilandar dragon holder me badal chuke the...aur sabhi spiritual par jakar khade ho gaye...unke samne hazaro ki tadat me dragon the jo Gabriel ke ishare ka intezar kar rahe the...
"bilandar-Ron tu apne is jahaj ki fikar mat kar...main hoon na,in salo ko akele hee nipta dunga..."
"yadi mere is jahaj ko kuch hua to ek ek ko samundar me dafan kar dunga...dragon khali jahaj par kabhi hamla nahi karte isliye galti se bhi is jahaj par mat bhatakna..."
"Riya-hume to tumne dragon holder bana diya...par tum ,tum kya karoge...yaha baithkar humari ladayi ka maza loge..."
"waise khayal bura nahi hain,lekin phhir bhi main ladayi karunga,wo bhi apne dragon ke sath...kabhi safed dragon dekha hain..."
"nahi..."
"phhir aaj dekh lena..."
"Gabriel-Ron to jung shuru ki jaye..."
"ek min ,ladayi shuru ho usse pahle main kuchh spasht karna chahta hoon...ek taraf tum teen dragon holder sath me dragons ki taqatvar sena...aur dusari taraf Captain The Ron yani main akela tumse ladunga aur ek ek ko maar dalunga...haan yadi koyi mere pair pakad kar apni jaan ki bheek mange to main apna irada badal sakta hoon..."
"Gabriel-bahut ho gaya..."
Gabriel ka itna kahna tha ki dragons ki sena spiritual ship ke charo taraf madrane lagi...
"Ron-sabhi jao...aur dragon ki sena ka safaya kar do aur yadi apni jaan pyari ho to Gabriel ,Morgan aur lisa se akele mat bhidna...ab jao namurado mera mu kya dekh rahe ho..."
Ron ke chillate hee sabhi hawa me udd gaye...lekin Riya wahi ruki rahi...
"Riya-tumhara safed dragon mujhe kahi nahi dikh raha...kahi tumhara bhagne ka irada to nahi..."
Riya bas itna kah payi thi ki ek dragon use pakad kar upar khinch liya...
"mera dragon mere samne hain..."Ron ne Raaj ki taraf ishara karke kaha...
" pagal hain kya...main ek insan hoon..."
"tere kandhe pe jo nishan bana hain kabhi use gaur se nahi dekha tune wo nishan ek dragon ka hain.."
"Gabriel-lekin maine tere dragon ko to apne hatho se mara tha..."
"Gabriel...jab tak dragon,dragon holder ke sath juda na rahe wo dragon kabhi nahi marta...jab tune mere safed dragon ko mara tha to wo mujhse alag tha...aur apni shaktiyo ke karan mere dragon ne manushya yoni me dubara janam liya..."
"Raaj-bakwas hain ye..."
"ye bilkul sach hain...main to tujhe bahut pahle hee pahchan gaya tha...ab wo samay aa gaya hain jab tujhe wapas dragon ka roop dharan karna hoga..."
"chup rah nahi to main tujhe jaan se maar dunga..."
"ye baat hain"Ron ne apne kapde utar diye aur apne kandhe par bane nishan ko Raaj ki taraf dikhaya...Ron ke kandhe par nishan ko dekhkar Raaj ke andar ek toofan sa aa gaya...uska pura sharir jwalamukhi ki tarah garam hone laga...uske ankho se dhua bhi nikalne laga...
"ye nahi ho sakta ,main dragon nahi hoon..."
Raaj ne apne dono hatho ko dekha...uskepura sharir bada hota ja raha tha agle hee pal Raaj ke sare kapde jal gaye...spiritual ship me ye nazara dekhkar sabhi usi taraf dekhne lage...chahewwo Morgan.Gabriel aur lisa hee kyun na ho...yaha tak ki hazaro ki tadat me maujood dragons ki sena ki bhi chahal pahal kuch samay ke liye rook gayi thi...
"Riya-Ron.ise kya ho raha hain..."
"Ron-khud hee dekh lo janeman..."
Ron ki taraf se koyi jawab na pakar Riya ne Raaj ko kayi baar aawaj di...lekin Raaj pagalo ki tarah hans raha tha...Raaj ke daant uske galo ko phadkar bahar nikal aaye...Raaj dard se pagalo ki tarah chillane laga...aur dekhte hee dekhte Raaj ek bade se vishal dragon me tabdil ho gaya...jaise hee Raaj dragon bana usne ek ke baad ek tej dahad marni shuru kar di...
"Ron-tumse dobara milkar achchha laga..."
Safed dragon ne Ron ki taraf dekha...aur gusse se uski taraf badhne laga aur Ron ko apne bade nakhun wale panjo me jakad kar upar udd gaya...ye nazara dekhkar waha maujood sabki aankho me dar sama gaya...
"seth-upar dekho dono wapas aa rahe hain...
Sabne apni nigah upar ki...safed ragon ka pankh Ron ke kandho me jud gaya aur dragon ka sar Ron ke sar se judkar ek alag hee aakar ka ban gaya..dekhte hee dekhte dragon ka pura sharir Ron se judkar dragon holder ban gaya...Ron seedhe aakar spiritual ship ke upar wale hisse me khada ho gaya...aur samundar ke raja ki tarah dekhne laga...
"bilandar-ye to kamal ho gaya...maine white dragon holder ko dekh liya...is dragon holder ke baare me bahut suna tha...lekin iska wo farsa kaha hain..."
Ron ne apna hath upar kiya...ek roshani se chamkati hui chiz neeche girne lagi..jise Ron ne pakad liya...wo safed rang ka ek farsa tha...jo abhi bhi chamak raha tha...
"Ron-main hoon death iceland ka raja samundar ka shikari Martin..."
Ron ne apne farse ko teji ke sath hawa me uchhal diya ,wo chamakdar farsa ne kisi dragon ka sar kaat diya to kisi dragon ke sharir ko ek pal me do tukde ho gaye.
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
Quote:Masoom Shahzada
Waah bhaai waah kyaa shaandaar update diya hai.
Raaj asal me ek dragon, waah aapke dimaag ka to kahna hi nahi hai.
Riya to hairat ki lahro me dabkar saans lena hi bhool gayi hogi.
Bahut mazaa aayaa aapke es update ko parkar.
Bahut achchaa likh rahe ho aap.
Bas ek baat jo kahani me atpati lagti hai wo hai, eske kirdaaro ki language warna sab baate bahut achchee hai.
Aap soch bahut achchaa raheN hai, bas kirdaaro ke dialogs pe bhi thora sa dhayaan de.
.
Aur haaN plz buraa mat maanna jaisa mujhe lagaa waise maine kah diya.
Waise mujhe kahani likhne ke baare me kuch ataa pataa to hai nahi,shayad esiliye liye mujhe kuch aesa lagaa ho.
.
A/w update jabardast hai...
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
Update-52
Ron ke dwara phenke gaye farse ne kayi dragons ko ek hee pal me maut ke ghat uar diya tha..Ron ne apna hath farse ki taraf kiya jisse farsa wapas Ron ke hath me aa gaya...
"Ron-Gabriel ,ab bhi vaqt hain...apni dragons ki sena ko lekar chale jao..."
Gabril...lisa aur Morgan ki taraf dekhta hua bola..."dekho to ye hume yaha se bhagne ke liye kah raha hain ,jo khud jung me bhag gaya tha..."
"Gabriel yadi tera yuddh karne ka hee irada hain to mujhe manjoor hain...ab intejar kiska hain..."
"apni shaktiya to tune dikha di Ron...ab kya meri nahi dekhega..."kahte hue Gabriel ne apne dono hath neeche kiye aur apni hatheli ko kaskar bandh liya...samundar ki lahre upar uthani lagi...aur dekhte hee dekhte Gabriel ka aadha sharir aag me tabdil ho gaya...Gabriel ne Ron ko ghoor kar dekha aur hawa me uddkar agale hee pal uske pass pahunch gaya...yuddh ki shuruat ho chuki thi..seth,Aditya,bilandar aur Riya dragons ki sena se ladne ke liye bilkul taiyar the...Gabriel ne apne mu se aag ki tej lapte Ron ke taraf phenki...Ron ne aag ki lapto ke aage apne farse ko kar diya..jisse aag ki lapte Ron ko koyi nuksan nahi pahuncha payi...Gabriel apni shaktiyo ko nakam hota dekh baukhala gaya aur teji se Ron pe jhapat pada aur Ron ko jakad kar aasman me chala gaya...
"Riya-ye dono kya kar rahe hain..."
"seth-are un dono ko chhodo peechhe se aa rahe dragon ko sambhalo.."
seth ke kahne par Riya turant peechhe mudi..aur apne taraf aa rahe dragon ke upar se dusari taraf ke liye nikal gayi..."
Aditya aur bilandar ne ek dusare se shart rakhi thi ki wo jyada dragon ko marenge...
"Aditya-tu dekh lena...tujhse jyada dragon main marunga..."
"to bas bolta rah maine to do ko nipta bhi diya hain..."
"aisi baat hain phhir ye dekh..."kahte hue Aditya jakar seedhe ek dragon par kud gaya aur us dragon ka sar pakad kar modne laga...
"bilandar dekh be main iska sar mod raha hoon..."
Aditya ka itna kahna tha ki us dragon ne apne sar ko itani jor se jhatka diya ki Aditya door pheka gaya...dragons ki sankhya badhti ja rahi thi..upar se lisa aur Morgan ke rahte bahut kam dragon hee mar rahe the...Dragons ne seth,bilandar,Aditya aur Riya ko gherna shuru kar diya tha...wahi dusari taraf Gabriel aur Ron ladte ladte death iceland ki taraf badh rahe the...Ron ne apne farse ko puri taat ke sath Gabriel ki taraf phenk diya jisse pure aasman me bijali kadak uthi... gahre andhere ne pure aasman ko thak liya...Gabriel teji se udta hua Ron ko pakad kar death iceland ke andar phenk diya..aur khud bhi death iceland ke andar pahunch gaya...
"kaha chhup kar baith gaya tu Ron..."
"peechhe bhi dekh lena chahiye kabhi kabhi aur tab ye karna aur bhi jaroori ho jata hain jab tumhare samane mere jaisa koyi ho..."
Gabriel peechhe muda,Ron hath me farsa liye khada tha...
"Gabriel-Ron teri vajah se maa is duniya me nahi hain...tu humari maa ka katil hain..."
Ye sunkar Ron ka gussa bhadak utha auryahi Gabriel chahta tha...gabriel yahi chahta tha ki Ron gusse me apna aapa kho baithe...
"main sach kah raha hoon mere bhai...tu maa ke marne ka jimmedar hain...teri vajah se hee maine unhe mara..."Ron ka gusa badhta ja raha tha aur uski ankhe laal hoti ja rahi thi...aur ek samay aisa aaya jab Ron ka pura safed sharir safed rang se laal me badal gaya...uski shaktiya kam hoti ja rahi thi lekin kaise ye use khud nahi pata tha...
"Ron tujhe yaad hain ,jab maine humhare pita ka sar dhad se alag kiya tha tab maine unki ankho me tere prati nafrat dekhi thi...teri main unhe marna nahi chahta tha lekin phhir bi mujhe unhe marna pada sirf aur sirf teri vajah se ...."
"chup ho ja Gabriel...."Ron chillate hue bola...uska farsa uske hath se chhutkar zameen me aa gira...Ron ki sari shaktiya eka ek khatam ho rahi thi..uske pair uke sharir ko sambhal nahi pa rahe the...Ron ke ankho se laal ansu nikalne lage the wo apne ghutano ke bal baith gaya....
"Morgan-lisa ab hume chalkar in namuno ka kaam tamam karna chahiye..."
"ye to dragons se hee nahi lad pa rahe hain Morgan...hume Malik ki madad karna chahiye..."
"Malik ki fikar mat karo tum lisa...unke pass aisi shakti hain jiska jawab The Ron ke pass bhi nahi hain...wo malik ke samne khud ko kamjor mahsoos karega aur ghutno ke bal baith kar malik se bheek mangega..."
"aisi kaun si shakti hain malik ke pass..."
"malik kisi ko bhi apne vash me kar sakte hain...wo Ron ke dimak me ghuskar use ye yakin dila denge ki unke maa baap ka katil humare malik nahi balki Ron hain aur Phhir Ron ka kaam tamam..."
Ron apne sar ko pakad kar joro se chilla raha tha...Gabriel Ron ne Ron ke dimak me ye bhar diya tha ki wo hee apne maa baap ka katil hain...
"to batao mere bhai ,kya us shaks ka jeena sahi hain jisne apne hee maa baap ka khoon kiya ho wo bhi badi berahami se..."
Ron ab Gabriel ke vash me aa chuka tha..Ron ab bilkul shant hokar ghutno ke bal baitha tha...Gabriel Ron ki taraf badha aur seedha ek laat Ron ke chehare pe de mara..
"tu sala ye sochta hain ki tu meri badshahat ko khatam kar dega...samundar sirf mera hain sirf mera...."
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
"tu sala kya sochta hain ki tu meri badshahat ko khatam kar dega...samundar sirf mera hain sirf mera aur jo bhi mere raste me aayega uska wahi anzam hoga jo aaj main tera karunga...."
Gabriel ne apna farsa uthaya aur ghumakar Ron ke pet me de mara ,Ron dard se chilla utha...wo apne hatho se farse ko nikalna chahta tha lekin uske hath rook gaye the...
"khud ko samundar ka shikari kahta hain tu...aaj dekh tu mere samne kitna asahay hain...dragon holder ke nam pe tu ek kalank hain..."
"Gabriel ne Ron ka sar pakda aur pass hee pade bade se chattan me Ron ka sar patakne laga...Gabriel kayi baar Ron ke sar ko us chattan par marta raha..Ron ka sar ko dragon ki majboot khal bhi aakhir kab tak bajati uske sar se khoon nikalne laga...
"tujhe to ek dragon holder ki shaktiyo ke baare me bhi nahi maloom...dragon holder ki shaktiya anant hain Ron...lekin tu iske kabil nahi hain......"
Ron ke pet me abhi bhi Gabriel ka farsa ghusa tha...Gabriel ne usi farse ko pakad ko pura ka pura Ron ke andar ghusa diya...
Dusari taraf dragons ne charo ko gher liya tha ,Seth,Aditya,bilandar aur Riya lad to rahe the lekin hazaro ki tadad me maujood dragon ko harana unke bas ke baat nahi thi...
"Morgan-lisa tum yahi ruko main inka kaam tamam karke aata hoon..."
Morgan ne sabse pahale Riya par hamla kiya,..Riya Morgan ke samne ek nanhisi bachchi sabit hui aur apni jaan bachane ke liye Riya waha se bhag kar spiritual ship me jakar chhup gayi..
"Aditya-Riya janeman to gayi kaam se ,tum dono yahi ruko aur dekho mera kamal ...main abhi gaya aur abhi aaya..."
"seth-lekin Ron ne kaha tha ki Morgan aur lisa se akele mat bhidna..."
"abey main to Gabriel ko akele hara doon...phhir ye kallu kya chiz hain..."
Aditya apni shan aithta hua Morgan ko lalkarne laga...
"Morgan,dam hain to mujhse lad aaja..."
Morgan teji se Aditya ki taraf badha aur Aditya ki gardan ko kaskar daboch liya....
"abey kallu chhod ye cheating hain...main ladayi ke liye taiyar nahi tha...chhod sale dam ghut raha hain mera..."
Aditya ki ye halat dekhkar bilandar aur seth ka paseena chhut gaya...
"bilandar-abey tujhe nahi lagta ki hum dono ko uski madad karni chahiye..."
"mujhe bhi aisa hee lagta hain ..."
"to phhir chale..."
seth aur biandar Aditya ki taraf badh rahe the jaha Morgan ne Aditya ka gala daba rakkha tha...lekin wo Aditya ki madad karte usse pahale hee dragons ne un dono ko gher liya..
Morgan ne Aditya ki gardan pakde hue hee use hawa me utha diya aur lisa ki taraf uchhal diya...
"lisa tum ise pakad kar rakhna main baki bache do ko dekh ke aata hoon...salo ne bahut dino se pareshan karke rakha hain..."
*****************************
Gabriel ne Ron ko ulta lita diya aur ek khanzar nikal kar seedhe Ron ke seene me gad diya...
"mujhe maloom hain mere bhai tujhe bahut dard ho raaha hain lekin main kya karu main aisa karne ke liye majboor hoon...samundar ke shikari ka ant yahi hona chahiye...lekin main chahta hoon ki marne se pahake tujhe ye jaroor malom chale ki maine ye sab kaise kiya...mere andar vash me karne ki ek khas kabiliyat hain...maine apne inhi shaktiyo se tujhe kayi baar vash me karna chaha lekin main kamyab nahi hua...tab mujhe samajh me aaya ki jab tu dragon holder ke roop me rahega to main tujhe jaroor vash me kar lunga...aur rahi baat tere is dragon ki to ise to maine bahut saal pahale hee jaan liya tha...aur ye meri hee yojana thi ki tujhe tera dragon mile...tu khud ko bahut shatir samjhta hain na...lekin tere bheje me ye baat kyun nahi ghusi ki maine balladonna ko abhi tak surakshit kyun rakha...kyunki mujhe maloom tha ki ek dragon holder ko tabhi mara ja sakta hain jab wo apne dragon ke sath juda ho...aur main bas intezar kar raha tha ki tu kab dragon holder ke roop me aaye aur main tera kaam tamam karu...aur ek baat maine teri maa baap ko to mara hee hain par sath me Raaj yani iske maa baap ko bhi maine hee mara tha...ab bol kaun hain samundar ka asli shikari...aur yaha se jane ke baad main sabko khatam kar dunga...:"
Ron ki saanse ukhad rahi thi Gabriel Ron par hase ja raha tha...Ron ne aakhii ummid se apni gardan ghumayi uska safed farsa usse kuchh hee dori par pada tha...achanak Ron ko aisa lagne laga jaise uski sari shaktiya wapas aa rahi hain...Ron uthkar khada ho gaya...Ron ne apne pet me ghuse Gabriel ke farse ko nikala...
"Ron-Gabriel teri yojana ab bhi bekar gayi...tune mujhe to vash me kar liya lekin jaise hee tune ye bola ki tune hee Raaj ke ma baap ko mara hain to mera dragon gusse me aa gaya...aur mujhe meri shaktiya wapas mil gayi...ab tu gaya kaam se..."
"ye maine kya kar diya...is dragon ke samne sach nahi bolna chahiye tha..."
Gabrielwaha se bhagne laga Ron ne apna farsa uthaya aur apni puri shakti ko apne farse me bhejane laga...Ron ka sharir chheel raha tha ,Gabriel ke kadam zameen me dhans gaye...Ron Gabriel ke pass gaya aur Gabriel ke ankho me dekhta hua bola...
"mujhe maaf kar dena mere bhai..."aur agle hee pal Ron ne apna farse se Gabriel ka sar uske sharir se alag karke Gabriel ka ant kar diya....
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
Gabriel ke sar aur uska sharir jalne lage aur kuch hee der me rakh me tabdil ho gaye...Ron bahut der waha khada raha...aur dragon ko khud se alag kar diya...Raaj insani roop me nahi tha..
"tum ek bahadur insan the mere bhai...lekin galat.tumhara ant yahi hota alvida..."
Ron dragon ki taraf muda uske sharir me kayi zakham the...Ron dragon ka sar sahlata hua bola...
"tumne mujhe bacha liya shukriya mere bhai...ab jab shuruat ho hee chuki hain to ant bhi jald hee kar dete hain...Aaj ke din sare dragons ka vinash hoga..."
aur phhir Ron wapas dragon holder ke roop me aa gaya...
"ye kya ho raha hain dragon se meri pakad dheeli ho rahi hain..."Morgan ghabrata hua bola..."iska matlab ye ki Ron ne Malik ko...ye nahi ho sakta..."
Morgan,dragon se alag ho gaya...aur lisa bhi dono ke dragon unhe aasman me utha le gaye...Morgan ke dragon ne seedhe hee Morgan ko sharir ke do tukde kar diye...aur lisa ke dragon ne bhi lisa ka wahi haal karna chaha jo Morgan ka hua lekin Lisa kisi tarah bachkar spiritual ship me ja giri...Itani uchayi se girne karan lisa ka sar bahut teji se deck se takraya...lisa ko chakkar aane lage aur uske samne uske pichhali zindagiyo ke kaye sach samne lage....
"maharani ji hume bade afsoos ke sath kahna pad raha hain ki aapke bhai ab nahi rahe..."Dewan ne jhoota shok prakat karte hue kaha...
"aisa hargiz nahi ho sakta ,Martin aisa kabhi nahi hone denge...hume un par pura yakin hain..."
"maharani ji apko ye jaankar atyant dukh hoga ki aapke bhai ko kisi aur ne nahi humare maharaj ne hee mara hain...unhone unki berahami se hatya kar di..."
"ye sach nahi hain..."lisa bilakhte hue boli"Martin aisa kabhi nahi kar sakte..."
"ye sach hain maharaniji"aur phhir dewan ne apni yojana ke mutabik Martin par jhoota aarop lagane laga
"maharani ji Aapke bhai ko Gabriel aur Maharaj Martin ke gupt sandhi ke baare me pata chal gaya tha...aur isi vajah se Maharaj ne Aapke bhai ki hatya kar di..."
Lisa ne jaise ye suna uske dil ki dhadkane band ho gayi...uch pal ke liye use aisa laga ki jaise uski sari zindagi hee ujad gayi hain..
"hum Maharaj se swaym baat karenge tab tak ke liye hume akela chhod do..."
dewan waha se bahar aa gaya...dewan janta tha ki yadi Martin aur Lisa ne aapas me baat chit kar li to uski sari yojana vifal ho jayegi...is baat ki khabar dewan ne Gabriel ko di...Gabriel seedhe Martin ke mahal me ghusa aur lisa ko pakad kar bahar laya...jis bhi sainik ne Gabriel ko rokna chaha use Gabriel ne maut ki neend sula di...Gabriel ne lisa ko behosh kar diya aurdewan ko saup diya...
"dewan jab ye hosh me aayegi to ye tumhari hogi ...iske andar maine tumhare liye pyar aur Martin ke liye nafrat bhar di hain..."
...............
"abey bilandar idhar dekh ye to lisa hain..."
"to sale dekh kya raha hain maar daal usko,isse pahale ki wo tujhe mare..."
Aditya apni talwar lekar lisa ki taraf badha...
"dekho ,tum bhale hee Gabriel ki item rahi ho par mere se hoshyari nahi karne ka..."
"Martin kaha hain...mujhe usse abhi milna hain..."
"mujhme kya kharabi hain..."
"bakwas band karo..."aur lisa ne Aditya ko puri sachchayi bata di...jise sunkar Aditya ne apna sar pakad liya...
"sala kamal ki love story bani hain tum dono ki...Ron abhi aata hee hogaaaaaa yeeeeeeee"Aditya bol hee raha tha ki Ek dragon ne ue utha liya...
"abey bachaho mujhe sala ye kha jayega..."
"us sale ka mu fad de Aditya tu ye kar sakta hain..."seth chillaya..
"ghanta kar sakta hoon....abey mujhe bacha le..."
seth Aditya ki taraf badha lekin usi samay ek aur dragon ne seth ko bhi dhar dabocha...usi samay aasman me udta hua Ron waha aa pahuncha aur spiritual ship ke upar khada ho gaya...usne aasman ki taraf apne farse ko ghumaya...Ron ka wo farsa bahut tej chamakne laga aur agle hee pal waha maujood sabhi dragon ko khatam kar diya...seth aur Aditya samundar me ja gire...Ron ne Riya,Seth,bilandar aur Aditya ko hawa me uthaya aur bola..."ab us manta ko ulta padho ..."
"seth-abey kahi hamara bhi to wahi haal nahi hoga jo Morgan ka hua.."
jitna bolta hoon utna karo warna dragon se pahle main tumhara wo haal kar dunga..."
sabhi ne mantra ko ulta padha aur jaise hee un charo ke dragon un par hamla karne ke liye unki taraf badhe Ron ne apne farse se un charo dragons ko kat diya...charo wapas samundar me aa gire...
"Aditya-Ron tujhe ek bahut jaroori chiz batani hain..."
"abey teri aawaj saaf nahi aa rahi hain jahaj par aa pahle..."
"Aditya-jaldi chalo warna anarth ho jayega..."
Ron spiritual ship ke deck par aa gaya...uski nazar lisa par padi...
"jab shuruat ho hee chuki hain to iska bhi ant hona hee chahiye..."Ron ne khud se kaha...
Lisa ki ankh me ansu the..itane salo baad wo Martin ko dekh rahi thi apne hosh me...
"Martin mujhe Gabriel ne..."
lisa ki aawaj rook gayi uske mu se shabd hee nikal rahe the..uske pet me kuch chubha tha...Ron ne ek khanzar lisa ke pet me ghusa diya tha...lisa ne samne dekha,Ron ki ankho me ansu the uski aankhe laal ho chuki thi...
"maine kaha tha na lisa ki mujhe us din bahut dukh hoga jab main tumhe marunga"
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
UPDATE-55
"maine kaha tha na lisa ki mujhe us din bahut dukh hoga jab main tumhe marunga"
lisa ne Ron ki taraf dekha,Ron ki ankhe bhi nam thi lekin gussa kahi jyada tha...Lisa chahti to Ron ko sach bata sakti thi lekin wo aage kuch nahi boli usne socha ki yadi Ron ko wo sab sach bata deti hain to Ron zindagi bhar khud ko maaf nahi karega...isliye wo chup rahi...lisa ne apne dono hatho se Ron ka chehra thama...
"Martin zindagi me chahe kitani bhi pareshani aaye jeena mat chhodna..."
"ab ye meharbani kyun kar rahi ho..."
"mujhe maaf kar dena Ro....."lisa ke shabd wahi rook gaye uska sharir thanda pad chuka tha...Aditya waha daudta hua aaya aur lisa ko mara hua pakar use bahut dukh hua...
"Ron ye nahi hona chahiye tha..."
"kya nahi hona chahiye tha...aur ye tujhe lisa ke prati hamdardi kyun paida ho gayi..."
Aditya kuch nahi bol paya aur waha se dusari taraf chala gaya...Ron ne lisa ke sharir ko samundar me phenk diya...
"bilandar-oye hum jeet gaye...lekin mujhe ab bhi ek baat khatak rahi hain aur wo ye ki yadi Ron hee Martin hain to phhir wo abhi tak zinda kaise hain..."
"Ron-chhodo yar ab kaise zinda hoon ye puchh raha hain...kuch der baad puchhega ki main kyun zinda hoon...tum log apne hisse ka khazana lo aur baki ki zindagi shan se guzaro..."
sabhi ki is baat par sahmati ban gayi ki koyi Ron se kuch bhi nahi puchhega...spiritual ship ab pallora ki taraf badh raha tha...Ron spiritual ship ke ek hisse me kakele khada spiritual se takra kar wapas jati hui lahro ko dekh raha tha...dusari taraf bilandar aur Aditya khazane ke batware ke baare me baat kar rahe the...
"sun be Aditya...tujhe aaj Ron badla badla kyun lag raha hain...."
"kyunki usne lisa ko apne hatho se maar diya...."
"to kya galat kiya yadi Ron use nahi marta to lisa use mar deti..."
"lisa use ab nahi marti...Ron ne lisa ko markar bahut badi galti kar di...."
"tujhe lisa se pyar ho gaya tha kya be "
"lisa ko Gabriel ne apne vash me karke rakha tha is baat ki khabar Ron ko nahi thi usne anjane me hee lisa ko maar diya..."
"Ron ko tune abhi tak bataya kyun nahi ki sach kya tha..."
"main jab spiritual [ar pahuncha tab tak lisa mar chuki thi...aur uske baad batane ka koyi fayda nahi tha..."
"to kab tak chhupayega usse..."
"kuch baate Ron ko bhi maloom na chale ye hee uske liye behtar hoga..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Riya ab puri tarah thik thi..ladayi me usko bahut chot aayi thi lekin ab wo bilkul thik thi...Riya ki bhi halat kuch Ron ke hee tarah thi...wo bhi akele khadi samundar ko tak rahi thi...
"Ron-yaha kya kar rahi ho..."
"Ron kabhi kabhi hum jise chahte hain use hee kyun khona padta hain..."
"tum Raaj ki baat kar rahi ho..."
"haan main Raaj ki hee baat kar rahi hoon...ab dekho na Raaj mere samne hain lekin phhir bhi main use mahsoos nahi kar sakti...usse baat nahi kar sakti..."
"mujhe maaf kar do Riya..."
"isme tumhari koyi galti nahi..."
"mujhe tumhe pahle hee bata dena chahiye tha..."
lisa waha se chali gayi...Ron use jate hue dekhta raha...Ron ne ab dragon ko alag kar diya Raaj dragon ke roop me udta hua chala gaya...sabhi use jate hue dekhte rahe...
"seth-Ron kya wo wapas insan ban payega..."
"mujhe nahi maloom..."
dekhte -dekhte dragon aankho se door chala gaya...
"bilandar pallora pahunchne wale hain,kitna maal chahiye tujhe..."
"main soch raha tha ki main bhi ek baar bahar ki duniya ko dekhu aur waise bhi tu Riya ,Aditya aur seth ko chhodne to jayega hee..."
"tujhe bhi hawa lag gayi chal phhir..."
2 DAYS LATER...................
"hum pahunch gaye kya..."spiritual ke rukne par seth ne Ron se puchha...
"calcutta se abhi thodi doori par hain...yaha se hum koyi chhoti naav lenge aur phhir chalenge ...."
"yaha naav kahkar mangega to kuch nahi milne wala boat bolna warna dehati samajh kar bhaga denge..."
"yadi tum logo ki itani hee akat hoti to aaj tak devils traingle ki mystery khul chuki hoti...ab chale mujhe mere sharabkhane me bhi jana hain"
sabhi waha se do boat me nikle ek me Riya ,Ron aur seth the aur dusare me bilandar aur Aditya...
"Aditya-abey tu itane sare paiso ka kya karega...kahi tu yahi rahne ka vichar to nahi kar raha hain..."
"yaha hain hee kya aisa...apun to pallora me jakar aish karega...tujhe maloom hain pallora me apun ne ek item pata ke rakhi hain...jake usi ke sath zindagi gujarunga..."
"chal beta teri to life ban gayi apun to abhi bhi talash me hoon ki koyi achchhi si maal mil jaye ..."
"meri ek baat manega..."
"chal bak..."
"tu mere sath pallora kyun nahi chalta jise main pyar karta hoon uski ek chhoti bahan hain...ekdum tanatan hain..."
"ek ladki ke liye main pallora jau.."
"chal ek baar chal ke dekh waha ki sharab aur ladki ka kahna hee kya..."
"chal tu itna bolta hain to ek baar chal ke dekhta hoon..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
"janeman tum ab bhi udas ho..."
"rang me aa gaye tum ..."
"ab kya karu janeman jo hua so hua ab jab mere pass mera jahaj hain wo bhi khazane se bhara hua...aur duniya me ladkiyo ki kami nahi hain..."
sabhi boat se neeche utar gaye...seth ne apne hath hawa me uthate hue bola.."chalo sala sab khatam ho gaya..khazana bhi mil gaya aur jaan bhi salamat hain...problem bas ek hee hain ab meri life me..."
"Ron-kya"
"sala jis ladki ko pasand karta hoon uska baap bhav kha raha hain..."
"to chhod usko aur pakad le dusari ko ..."
"haan ab to aisa hee karna padega..."
Ron seth ko pakad kar kinare le gaya aur dheere se bola...
"Nair ke ghar ka pata janta hain tu..."
"haan lekin tu kyun puchh raha hain..."
"aaj raat ko tere ghar me jo bhi main bhejunga uska aadha hissa Nair ko de dena..."
seth ne apna address likhkar Ron ko de diya...Riya bhi kal milne ke liye kahkar waha se chali gayi...aur Ron ,bilandar aur Aditya ek chhote se bar ki araf mud gaye.....
NEXT DAY ON MORNING................
seth abhi abhi utha tha aur usne jaise hee apne flat ka gate khola use samne do box rakkhe dikhayi pade...seth ne waha kaam karne wale guard ko aawaj lagayi...
"ji sahab aapne bulaya..."
"ye box kaun rakh ke gaya..."
"wo koyi aaya tha maine jab aapko uthana chaha to unhone mana kar diya aur ye aapko dene ke liye kah kar chale gaye..."
"thik hain tum jao..."
seth dono box ko andar laya tabhi use dhyan aaya ki Ron ne use kuch dene ke liye kaha tha...Seth ne utsukta purvak ek box ko khola uski ankho me chamak aa gayi wo box pura khazane se bhara pada tha usme beshumar sona bhara pada tha...seth ne dusare box ko bhi jaldi se khola usme bhi wahi tha jo pahale me the lekin us box me ek letter bhi tha...seth us letter ko padhne laga...
"""ye box nair ke yaha bhejwa dena main nahi chahta ki uske ghar walo ko koyi pareshani uthani pade....aur tu yahi soch raha hoga ki mujhe likhna padhna kab se aa gaya lekin ye letter maine nahi Aditya ne likha hain...apni zindagi shan se jeena...kismat me hoga to phhir milenge ALVIDA..."
"sala ye Ron to nekdil insan nikla..."
Riya ko Aditya aur seth ne kal jo mobile number diya tha uspe wo lagatar call kar rahi thi lekin koyi bhi call ka jawab nahi de raha tha...
"ye sale kaha bhag gaye.."
tabhi uska mobile baj utha...usne screen par number dekha call Aditya ki thi...
"hello Aditya ,kaha ho tum..."
"janeman main Ron hoon tumhare ghar ke pichhale hisse me kuch rakhha hain tumhare liye aur haan ab dobaa phone mat karna...."
"kyun..."
"phone lagega hee nahi...ALVIDA"
Riya teji se pichhe ki taraf gayi...waha bhi waisa hee box rakhha tha jaisa Ron ne seth ke ghar bheja tha..Riya ne jaldi se box khola usme bhi ek letter tha...
"Riya janeman ,ye tumhare hisse ka maal ab kya hain ki mehnat maine ki aur khazana barabar hisso me bate ye thik nahi laga mujhe...aur ek sawal tumhare dimak me ghoom raha hoga ki mujhe likhna padhna kaise aata hain to main bata doon ki ye letter Aditya ne likha hain...ALVIDA..."
"sala kameena kahi ka..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
PALLORA ICELAND..........
Ron spiritual ship par khada tha..bilandar aur Aditya pallora ke kinare par khade the...
"Aditya-Ron ab tu kaha jayega..."
"jitna maal diya hain utne me aisa kar jyada sawal jawab mat kar aur haan us mote ko jaroor marna jisne hum dono ko pareshan kiya tha..."
"abey main to jate hee wo sharabkhana khrid lunga aur us mote sand ko naukar bana kar rakhunga..."
"mujhe tujhse aisi hee ummid thi..."
"Ron ab sab sahi ho gaya...ab tu bhi apni zindagi jee le tera jahaj jo mil gaya hain ja aish kar..."
"ek baat yaad rakhna sab sahi nahi hua hain abhi ye to sirf shuruat hain ant isse bhi bura hoga...Alvida
~~~~~~~~~~~~~~~T H E E N D~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
•
Posts: 14,686
Threads: 250
Likes Received: 18,232 in 9,580 posts
Likes Given: 1,903
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
kuch baat apun ki taraf se....
mere dimak me ye story PIRATES OF THE CARRIBBEAN ko dekh aayi lekin jald hee light ki velocity se ye vichar mere dimak se kuch dino ke liye nikal gaya tha...jiska karan exbii par hit hone wali stories ki list thi...exbii par incest aur adult stories jyada chalti hain usme koyi shaq nahi aur ekka dukka hee stories yaha aisa hain jo bina sex ke bhi hit hui hain...aur usme se best hain DEAD NEVER LIE....jo ki meri fav. story hain.ab jab light ke velocity se ye vichar mere dimak se chala gaya tha to phhir wapas kaise aaya hua yun ki main pirates of ... ki 4th part june me dekhi aur jis speed se wo vichar mere dimak se gaya tha wo wapas reflect hokar mere dimak me ghus gaya...aur maine ye story likh mari
sabse pahle i want to say thanks my oldest friend in the xb ADITYA, SETH,BILANDAR ,PAWAN JANEMAN,aur equel thanks to my new friends lovely bhai(name batao apna),VIKRANT BHAI(selected for shivam-2),Aadi yara(i like his av),MASOOM BHAI(sorry bhai time ki kami ki vajah se aapki story nahi padh paya),Gabriel(sorry bhai maine aapko negative role diya lekin main kya karu dragon holder ke name ki talash kar raha tha main aur koyi dhansu nam mujhe sujhanahi),SINGH_MUNNA(ab to aa jao),the immortals(i really like his review),saif143(gumsuda ke roop me bane rahe hamesha),mishrar037(new reader ),cool_guy(respected member and great eriter),triveni,ultimate fucker(fan of the_vampire),rajputji,veer sing,innocentvipin,rajgarh,sks,sahil,uday(known as silent reader),nox,......in sabhi ko bahut bahut thanku ....and waiting review from rockstar
ummid karta hoon aapko is story me maza aaya hoga...aur meri language wali problem ko maaf kare abhi kachcha hoon baad me seekh jaunga....
ummid hain ye mehfil the owner of red eyes me jamegi..........................
aur ek baat is post ko likhne me jyada mehnat lagi hain last update ki apeksha
•
Posts: 7
Threads: 0
Likes Received: 1 in 1 posts
Likes Given: 0
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
kya likhteho bhai boleto khkaas intajaar he parth 2ka
•
|