Posts: 46
Threads: 0
Likes Received: 37 in 23 posts
Likes Given: 4
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Bhai ye konsa update aagya bich me shreya ki story me
Posts: 457
Threads: 8
Likes Received: 2,283 in 359 posts
Likes Given: 1,208
Joined: Dec 2024
Reputation:
79
Chapter 48
Shreya bilkul sunn baithi hui thi, abhi abhi Rishabh ne use jo kuch kaha tha usne use suna toh tha par use samajh nahi aa raha tha yeh kaise mumkin tha. Koi uske saath aisa bhadda majak kaise kar sakta tha, par ek maa ki umeed use yeh baat jhuthlane nahi de rahi thi.
Rishabh ne kaha ki woh bas abhi Rohit ko wapas layega... Shreya se baat karne ke liye. Filhaal uski aankhen band thi... aur Shreya bas bechain hoti hui apne haath aapas mein mal rahi thi. Uska chehra buri tarah latka hua tha, jaise kisi bhi pal yeh majak khatam ho sakta tha.
Ekdam se Rishabh ki aankhen khuli aur usne ek zor ki saans li. Shreya turant kursi par seedhi ho kar baith gayi aur Rishabh ki aankhon mein dekhne lagi. Uski aankhon mein waise toh kuch bhi nahi badla tha, par fir bhi kyun aisa lag raha tha jaise sab kuch badal gaya ho. Wahan Rishabh nahi... sach mein koi aur ho.
Rishabh ki kaanpti hui aawaz dheere se bahar nikli - Mmmm... Mommm....
Shreya ka gala ekdam se sookh gaya... aawaz abhi bhi Rishabh ki thi par aisa lag raha tha jaise woh shabd Rohit hi bol raha ho. Shreya ki aankhen tezi se ghoomti hui uski taraf dekh rahi thi.
Rishabh ne apna haath Shreya ki taraf aage badhaya - Mommm....
Shreya ka dimaag uske mann ke saath dwand kar raha tha - Rishabh... kyun kar rahe ho tum yeh sab!
Rohit - Mom... main Rishabh nahi... Rohit hoon...
Rishabh ka haath jakar Shreya ke haath par padha aur usne use halka sa masla. Shreya ke andar ek zor ki kampan hui, andar ek aawaz keh rahi thi woh uski baat ka yakeen kar le. Usne apni aawaz ekdam se kadak kar li - Rishabh! Agar tum yeh sab mujhe bas kisi tarah acha feel karwane ke liye kar rahe ho toh... toh... yeh bilkul galat hai... bas ab yeh natak khatam karo...
Shreya seat se khadi hui bahar jaane ke liye... yeh tamasha kuch jyada hi lamba khinch gaya tha.
Rohit peeche se zor se chillaya - MOM!!! Please... mat jayo... I am sorry... bohot dard ho raha hai mujhe... aap please mat jayo mujhe akela chhod kar...
Shreya ne palat kar dabdabayi aankhon se Rishabh ki taraf dekha.
Rohit - Main aapko kaise yakeen dilayu... main hi hoon...
Shreya apne chehre par tyoriyan lekar wahin khadi rahi.
Rohit - Yaad hai aapko... 4th class mein... main cycle chalate hue main kafi buri tarah gir gaya tha... mere yahan ek chhot ka nishaan ban gaya tha...
Rohit ne apni kalai ki taraf ishaara kiya, jahan ek chhot ka nishaan hona chahiye tha, par ab tha nahi. Shreya ke dil mein ek halchal si hui... par uske dimaag ne samjhaya... zaroor Rishabh ne kabhi woh nishaan Rohit ki kalai par dekha hoga.
Rohit - Aur Papa mujhe kis naam se bulate they... Rolu...
Shreya ke dimaag ki nase fatne ko ho rahi thi. Yeh naam toh woh bhi nahi leti thi... yeh toh bas Ravi ki nishaani thi jo usne saalon se nahi suni thi.
Rohit - Aur... aur... kaise aap mere lunchbox mein roz ek note daal deti thi... kaise aap Rajan Sir se bhid gayi thi jab unhone mujhe punish kiya tha... Jab hum Jaipur gaye they tab kaise main kuch pal ke liye bheed mein kho gaya tha...
Rohit ek ke baad ek cheez bole jaa raha tha... Shreya ka dil ab apne dimaag se aur nahi ladh sakta tha... yeh aisi cheezen thi jo Rishabh ko kabhi pata nahi ho sakti thi. Shreya tezi se wapas Rishabh ki taraf badhi aur uska jakhmi haath dheere se thaam liya. Uski aankhon se aansu behne lage they. Usne medical equipments aur taaron ke beech mein se hote hue apna sar Rishabh ke seene par rakh diya.
Shreya - Rohit.... Rohit.... Rohit...
Uski saansein tez ho chuki thi aur use poora yakeen ho gaya tha ki uska Rohit yahin tha... woh uske dil ki dhadkan ko ache se jaanti thi.
Rohit - Mommmm.... Mom....
Shreya foot foot kar rone lagi, woh kuch kehne ki halat mein nahi thi - Rohit....
Rohit ne bhi bhilakhte hue bas kisi tarah Shreya ke kandhe par apne haath rakh diye. Dono maa bete kafi der tak ek doosre se lipte rahe.
Kuch der baad Shreya ne Rishabh ke seene se apna sar upar utha kar Rohit ki taraf dekha. Shreya ne halke se Rishabh ke chehre ko apne haathon mein thaama, woh wahan Rohit ke chehre ko imagine karne ki koshish kar rahi thi.
Shreya - Mujhe lagal... mujhe laga... maine tumhe kho diya hai...
Rohit - Mom....
Shreya - Tumhare bina... meri jindagi ka matlab bhi kya hota...
Rohit - Mom...
Shreya - Abhi bhi yakeen nahi ho raha... tum sach mein yahin ho na...
Rohit - Haan Mom... mujhe nahi pata kaise... par... kuch yaad bhi nahi aa raha... woh doctor keh rahe they accident...
Shreya - Tumhe sach mein kuch yaad nahi? Us din kya kya hua tha?
Rohit - Nahi... bas jo kuch abhi pata chala... Rishabh keh raha tha maine ghar chhod diya tha... mujhe toh bhi yaad nahi...
Shreya ne chaunkte hue uski taraf dekha - Kya tum aur Rishabh ek doosre ke baat kar sakte ho? Yahan... ek hi shareer ke andar...
Rohit ne dard mein apna sar pakda - Haan... ahhh.... ouchh...
Shreya - Aaram se... jyada zor mat daalo apne aap par...
Rohit - Haan... shayad mujhe wapas andar jaana hoga... aur Rishabh ko bahar bhejna padega.... jab bhi yeh dard hota hai... tab...
Shreya ne ekdam se hadbadate hue kaha - Rohit... suno... Rohit...
Par Rohit kuch hi pal mein fir se behosh ho gaya tha, aur Shreya bas uska haath thame reh gayi thi. Use abhi bhi yakeen nahi ho raha tha, par Rohit abhi bhi yahin tha... Rishabh ke shareer ke andar... uske saath.
(This post was last modified: 12-11-2026, 09:24 PM by
Sriya2. Edited 2 times in total.)
Posts: 257
Threads: 3
Likes Received: 98 in 91 posts
Likes Given: 175
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Very surprised to see updated but excited for further progress
Posts: 457
Threads: 8
Likes Received: 2,283 in 359 posts
Likes Given: 1,208
Joined: Dec 2024
Reputation:
79
Chapter 49
Agle kuch ghante Shreya Rishabh ke side se bilkul nahi hati. Use hospital mein baithe baithe 36 ghanton se jyada ho chuke they, par use aisa lag raha tha ki kahin woh yahan se hili toh Rohit ko fir se na kho de.
Beech beech mein kabhi Rishabh hosh mein aa jaata aur kabhi Rohit. Dono ka baat karne ka tareeka bilkul alag hota, bilkul jaise woh dono pehle they. Shreya ko un dono se baat karke jo kuch pata chala tha usse aisa lag raha tha jaise woh apni kuch kuch memories kho chuke they, aur shareer ke andar kahin koi jagah thi, shayad Rishabh ke dimaag mein... jahan woh ek doosre se baat kar sakte they.
Jab kabhi kamre mein nurse ya doctor aate, Shreya unke saamne normal hone ki acting karti. Woh nahi chahti thi ki woh Rohit / Rishabh waali baat ko jyada kare... kahin doctors use pagal na samajh le... ya usse bhi bura... kahin woh Rohit ko usse na chheen le.
Filhaal Rishabh hosh mein tha. Is waqt woh pehle se thoda jyada recovered aur fresh lag raha tha.
Rishabh - Ma'am... aap kafi tired lag rahi hain... aap kuch der ghar chali jaiye na...
Shreya - Nahi nahi... main theek hoon... Rohit kya kar raha hai andar... tum usse yahan se baat kar sakte ho kya?
Rishabh - Nahi Ma'am... main jab hosh mein hota hoon toh usse baat nahi kar sakta. Theek hai woh... kafi jyada shock tha uske liye bhi... yeh janna ki woh... woh... ab nahi raha...
Rishabh ki baat jakar Shreya ko ekdam se chubhi. Woh yahan tha toh.... toh Rishabh kaise keh sakta tha ki woh "ab nahi raha".
Rishabh ne Shreya ka utra hua chehra dekhte hue kaha - I mean... usko aisa laga... ki bas... uski body... Woh toh yahin hai abhi... I am sorry agar aapko bura laga ho toh...
Shreya - Nahi nahi... tumne kuch galat nahi kaha.
Rishabh - Ma'am... woh... aapne mere mummy ko call kiya kya?
Shreya ekdam hadbadate hue boli - Haan... main call milaya tha... par woh mil nahi raha tha...
Yeh bilkul jhooth tha. Usne koi call nahi milaya tha. Agar woh Rishabh ki mummy ko call kar deti, aur woh log yahan aa jaate, toh woh yahan kis adhikaar se ruk paati? Woh log apne bete ko paa lete aur Shreya apne bete ko kho deti. Uski mamta use yeh jhooth bolne par majboor kar rahi thi.
Rishabh - Oh acha...
Shreya - Koi nahi... main try karti rahungi... par main hoon na yahan.... tumhe fiqr karne ki zaroorat nahi hai...
Rishabh - Thank you Ma'am...
Shreya - Thank you ki zaroorat nahi hai.... thank you toh shayad mujhe tumhe kehna chahiye... tumhari wajah se... tumhare shareer mein... mera Rohit zinda hai...
Rishabh - Par shayad is shareer mein uske bhi toh parts hain.... isliye shayad...
Shreya - Haan shayad...
Ekdam se Shreya ko aisa laga jaise uska dimaag ghoom raha ho aur woh chakkar kha kar gir jayegi.
Rishabh - Ma'am! Aap apni halat dekheyi please... aapko thode rest ki zaroorat hai...
Shreya - Nahi... main theek hoon....
Rishabh - Please Ma'am... Kuch der pehle Rohit bhi yehi kar raha tha... aap thodi der ke liye ghar ho aaiye...
Shreya ne shayad 4-5 dino se apne kapde nahi badle they aur uske poore shareer mein se badboo aane lagi thi. Uska shareer kafi kamzor sa mehsoos ho raha tha, aur dimaag jaise khaali sa ho chuka ho. Shayad Rishabh aur Rohit theek keh rahe they, par agar jab woh wapas aayi aur Rohit yahan nahi hua toh?
Shreya - Rishabh.... mujhe waada karo... Rohit ko kahin nahi jaane doge... use apne saath rakhoge...
Rishabh - Ma'am....
Rishabh ko samajh nahi aa raha tha woh yeh waada kaise kar de. Use toh khud ab tak samajh nahi aaya tha ki yeh sab kaise possible tha. Par Shreya ki badi si aankhen use ek maa se yeh waada karne par mazboor kar rahi.
Rishabh - Ji Ma'am...
Shreya - Main bas 2-3 ghante mein wapas aati hoon.... kuch khane ka bhi bana kar le aayungi...
Rishabh - Ma'am... suniye...
Par Shreya ne uski baat nahi suni aur Rishabh ko ek baar ji bhar ke dekhne ke baad woh uth khadi hui aur hospital ke bahar jaane lagi. Beech hallway mein use Doctor mil gaye.
Shreya - Doctor Saab... main bas thodi der ke liye ghar jaa rahi hoon... abhi aati hoon...
Doctor - That's good... I think ab uski body stabilize ho rahi hai... aur woh Rishabh Rohit wali confusion khatam ho rahi hai...
Shreya - Ji... aap use kab chutti de sakte hain?
Doctor - Meri advice rahegi ki kuch din yahin hospital mein rahe... taaki hum ache se monitor kar sake...
Shreya - Nahi... main ghar par ache se care kar lungi uski... aap fiqr mat kariye...
Doctor - Uske parents? Unse baat hui?
Shreya - Haan... meri baat hui... woh abhi kahin fase hue hain... main... main filhaal sab manage kar lungi... Rishabh... woh sign kar dega papers...
Doctor - Ok... ultimately aapki aur Rishabh ki call hai.... kal tak release karne ka try karte hain...
Shreya - Thank you Doctor saab....
Shreya Doctor ko thank you bol kar hospital se bahar nikal gayi. Usne bahar se apni society ke liye auto kiya aur Auto mein kisi tarah jhoolte hue apni building tak pahuchi. Bahar Guard ne use hairani bhari nazron se dekha, par Shreya use ignore karte hue building ke andar badh gayi.
Jaise hi woh building ke andar pahuchi, neeche kuch log khade hue dikhe, un mein se Khanna ji, unki beti Naina bhi thi. Naina ne turant aage badhte hue Shreya ko hug karte hue sambhala. Uski aankhen laal padi thi, jaise woh bohot ro chuki ho.
Khanna - Shreya Ji! Kahan thi aap... hum sab log aapko dhoondh rahe they... aapka phone bhi nahi lag raha tha.
Shreya - Haan.... shayad mere phone ki battery khatam ho gayi thi...
Khanna - Par aap aise bina bataye chali gayi thi... sab log bohot pareshaan they... kahin aapko kuch....
Shreya ki kamzor thaki hui aawaz bahar nikli - Nahi... main... theek hoon...
Khanna - Naina beta... tum inhe upar lekar chalo.... hamare ghar mein...
Naina - Ji Papa...
Shreya - Nahi nahi... main apne ghar jayungi...
Naina ekdam fir se ro padi - Aunty... uhhh.... I am sorry aunty....
Naina apne andar ek guilt ki feeling liye ghoom rahi thi. Agar us din woh Rohit ko wahan college ke bahar woh sab keh kar na chhod aayi hoti, toh shayad yeh sab nahi hota.
Shreya ko samajh nahi aa raha tha woh kya kahe. Ek taraf Rohit duniya ke liye jaa chuka tha, doosri taraf woh kisi tarah Rishabh ke andar abhi bhi zinda tha. Par abhi kisi ko bhi yeh sab kehna sahi nahi hoga.
Khanna - Naina... aap ko sambhal beta... Shreya ji ko upar lekar chalo...
Naina ne apne aansu pochte hue kaha - Haan Papa... chaliye aunty...
Shreya Naina ke saath lift mein upar jaane lagi.
Naina - Aunty woh... Tarun uncle... woh bhi kayi baar aa chuke hain... bohot pareshaan they aapke liye...
Shreya - Hmmmm....
Naina - Main unhe call karke bata deti hoon ki aap theek ho... aap unse baat kar lo ek baar...
Shreya - Baad mein call kar lena please... abhi mera mann nahi hai kisi se bhi baat karne ka...
Naina ne apna phone neeche kar liya - Haan... main samajh sakti hoon....
Woh dono Shreya ke ghar ke bahar pahuche. Naina se Shreya ki taraf pareshaan hote hue dekha.
Naina ki aankhon mein darr saaf tha - Aunty... aap sure ho ki aap akele... aap kuch... aap kuch...
Shreya - Pareshaan mat ho... main kuch galat nahi karungi... promise...
Naina - Aunty main aapke saath reh lungi... aap apne aap ko akela mat samajhna... hum sab log hain aapke liye...
Shreya ne pyaar se Naina ke gaal par haath fera - Naina... thank you beta... abhi tum jayo... main bohot thaki hui hoon...
Naina ne dheere se sar hilaya aur Shreya ne kisi tarah ghar ka darwaza khola aur andar ghusi. Andar aisa lag raha tha jaise woh apne khud ke ghar ko hi bhool gayi ho. Sab kuch ekdam bikhra hua sa alag sa lag raha tha. Hall ke beech mein Rohit ki ek photo thi, jis par ek foolo ki maala chadhi hui thi. Usne jaldi se aage badh kar maala ko uski photo se hataya aur photo ko utha kar apne seene se laga liya.
Uska Rohit kahin nahi gaya tha... yahin tha... use bas ab jaldi se uske paas wapas jaana tha.
Posts: 46
Threads: 0
Likes Received: 37 in 23 posts
Likes Given: 4
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
KAfi badiya update bohot din baad.. congratulations on Start bro for Second chapter.
Posts: 2
Threads: 0
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 0
Joined: Aug 2026
Reputation:
0
Majja aa gya by god. Badhao badhao aage badhao achi story chal rahi hai
Posts: 457
Threads: 8
Likes Received: 2,283 in 359 posts
Likes Given: 1,208
Joined: Dec 2024
Reputation:
79
Chapter 50
Agle din subah Shreya Rishabh ke discharge ke papers ko sign kar rahi thi.
Woh kal shaam hi kuch ghanto baad jaldi jaldi hospital wapas aa gayi thi. Jab tak woh hospital wapas nahi aayi thi uski saans atki hui thi ki kahin woh wapas aaye aur use wahan Rohit nahi mila toh!
Par sab waisa hi tha jaisa woh chhod kar gayi thi. Kabhi Rishabh aur kabhi Rohit. Raat bhar usne hospital ke kamre mein chair par baithe baithe bitayi, aur ab woh aakhir Rishabh aur Rohit ko ghar lekar jaa rahi thi.
Shreya - Rohit... main yeh kapde laayi thi... tum in mein change kar lo...
Shreya ne ek plastic bag se Rohit ke kapde nikaal kar Rohit ko diye. Rohit un kapdon ko dekhne laga, woh uske hi kapde they, par woh unhe kisi aur shareer par pehenne wala tha. Uski aur Rishabh ki kad kathi almost same si hi thi, toh uske kapde Rishabh par theek hi fit aane wale they.
Shreya ne Rohit ko uska gown utaarne mein madad kari, aur ek pal ke liye woh Shreya ke saamne poori tarah nagn ho gaya. Shreya ne ek pal uski taraf dekha, uske liye bhi sab alag sa lag raha tha, saamne uska beta khada tha par woh shareer jaana pehchaana nahi tha.
Rohit ne ekdam se jhepte hue kaha - Mom! Aap please doosri side dekho...
Shreya - Haan... sorry...
Shreya ne muh fer liya aur Rishabh bed par baith kar jaldi se kapde pehenne laga. Tshirt toh aaram se pehen li par neeche underwear pehenne ke liye jhuka nahi jaa raha tha. Use sharam aa rahi thi woh kaise Mom ko bole... aakhir yeh uska shareer bhi nahi tha... kisi gair mard ka shareer tha.
Shreya ne khud hi halka sa palat kar dekha, Rohit apne haath mein underwear use apni taangon tak pahuchane ki koshish kar raha tha par woh jhuk nahi paa raha tha. Shreya jaldi se uski taraf aayi aur uski taangon ke paas neeche jhuk kar baith gayi. Saamne Rishabh ki nangi taangen aur lund lehra rahe they.
Rohit ek dam se hadbada utha - Mom!!! Kya kar rahi ho aap... aap Nurse ko bula do na...
Shreya - Kuch nahi hota... mujhe do...
Shreya ne Rohit ke haath se underwear liya aur uski taangon ko dono chhedon mein daalte hue pairon par chadha diya. Shreya ne underwear ko thoda upar kheench kar uski jaanghon tak pahuchaya aur fir apne haath chhod diya. Rohit ne jaldi se underwear ko pakadte hue poori tarah upar kar diya.
Uske baad Shreya ne Rohit ko ek pyjama bhi pehna diya. Rohit ke kaan sharam se laal ho rahe they par Shreya ko jaise koi fiqr hi nahi thi.
Itne mein doctor kamre mein aa gaya - Rishabh... Shreya ji... aap ready hai discharge ke liye?
Shreya - Haanji Doctor saab... aapka bohot bohot thank you!
Doctor - Kis cheez ke liye?
Shreya - Agar aap us din... mujhe call nahi karte... toh pata nahi... kya ho jaata...
Doctor ne Shreya ke haath par apna haath halke se rakha - You are welcome Shreya ji... I am truly sorry... aapke bete ke liye... aapne jo himmat dikhayi hai... woh shayad hi koi parent dikha sakta hai...
Shreya - Hmmm....
Doctor - Agar kabhi bhi koi problem lage toh aap seedha mujhe contact kar sakti hain...
Shreya - Sure Doctor...
Doctor - Take care Young Man! And all the best...
Doctor ke jaane ke baad Shreya ne kamre mein apna samaan sameta aur Rohit ko sahara dete hue khada kiya. Rohit ek pal ke liye apne pairon par khada hua tha sab kuch ajeeb sa lag raha tha, jaise woh chalna hi bhool gaya ho. Use bed par pade pade ek hafta ho chuka tha, par use is naye shareer ko chalane ki aadat bhi nahi thi. Usne ek kadam liya toh woh ladkhada sa pada.
Shreya ne turant Rohit ko sahara diya - Aaram se... mere kandhe par haath rakh lo...
Shreya ne Rohit ka haath apne kandhe par rakhte hue use sahara diya aur woh dheere dheere hospital ke kamre se bahar nikle. Rohit ne bas kuch hi kadam liye they ki ekdam se aisa laga jaise woh fir se control kho raha tha. Ek hi jhatke mein uski aankhen band hui aur doosre hi pal Rishabh shareer ke control mein tha.
Rishabh jaise hi hosh mein aaya use realize hua ki uska haath Shreya ke kandhe par tika hua hai aur Shreya ne apna ek haath uski kamar par rakhte hue use sahara diya hua hai. Shreya Ma'am usse poori tarah sati hui thi. Ekdam se uske haath pair foolne lage aur uske kadam ruk gaye.
Shreya - Kya hua Rohit?
Rishabh ki haklati hui aawaz nikli - Ma'am... main.... Rishabh...
Shreya ek dam chaunk gayi - Oh! Tum log... fir se... change ho gaye... Koi nahi... hum bas bahar meri gaadi ki taraf jaa rahe hain... aayo...
Shreya abhi bhi Rishabh ko usi tarah sahara dete hue hospital se bahar le aayi. Rishabh ka dil zor se dhadak raha tha. Usne kabhi sapne mein bhi nahi socha tha ki woh Shreya Ma'am ke itna nazdeek ho sakta tha. Par yeh halat aise they ki yeh koi khushi ya excitement ki baat nahi thi.
Shreya Rishabh ko bahar apni gaadi tak le gayi aur peeche ka darwaza khol kar use aaram se peeche baithne mein madad kari. Aur fir aage driver seat par baith gayi.
Rishabh - Ma'am... hum log kahan jaa rahe hain?
Shreya - Hamare ghar... I mean mere ghar... aur kahan jayenge?
Rishabh - Hmmm... aapki baat ho paayi kya meri Mummy se?
Shreya - Nahi... abhi nahi... abhi tum aaram karo... main shaam ko unhe fir se try karungi call karne ka...
Rishabh - Hmm....
Shreya ne kuch sochte hue kaha - Rishabh... meri ek baat maanoge... abhi hum log kisi ko yeh Rohit wali baat ka jiqr nahi karenge... pata nahi log is sab ke baare mein kaise sochenge...
Rishabh - Theek hai Ma'am... aap theek keh rahi hain...
Shreya ne car chalani shuru kar di. Woh car ko behad dheere dheere aaram se chala rahi thi taaki peeche Rishabh ko zara bhi jhatka na lage. Beech beech mein uski nazar peeche chali jaati, dekhne ke liye ki sab theek tha na. Uski gaadi ko beech mein kayi horn padhe par aakhir woh kisi tarah Saket ke apne ghar ki building tak pahunch gayi.
Shreya ne fir se Rishabh ko car se utarne mein madad kari aur fir use lift se upar apne floor tak pahunch gayi.
Woh floor par utri hi thi ki saamne Naina khadi thi.
Naina Rishabh ko Shreya ke saath dekhte ekdam se chaunk gayi - Rishabh bhaiya!! Kaise hai aap?
Use pata chala tha ki is haadse mein Rohit aur Rishabh ka accident hua tha, par usne ek baar bhi Rishabh ke baare mein nahi socha tha. Sochti bhi kyun, woh usse sirf ek-do baar Shreya aunty ke ghar par hi mili thi.
Rishabh ko bhi samajh nahi aa raha tha woh Naina se kya bole. Aaj tak usne kabhi Naina ko jaise khaas notice bhi nahi kiya, par pata nahi kyun aaj Naina ko dekh kar use kuch ajeeb sa kyun lag raha tha. Jaanboojh kar nahi... pata nahi kaise anjaane mein.
Shreya beech mein bol padi - Abhi bas hospital se aa rahe hain...
Shreya ko dekh kar Naina ki aankhen fir se bhar aayi - Aunty... kuch help karu? Main kal shaam ko khana dene aayi thi... par aapne darwaza nahi khola...
Shreya - Main ghar par nahi thi... hospital gayi thi...
Naina - Oh... acha... samaan dijiye... main help kar deti hoon...
Naina ne Shreya ke haath se thoda samaan liya aur Shreya Rishabh ko apne flat tak le aayi. Naina ne Shreya ke haath se chaabi li aur ghar ka darwaza khol diya. Shreya Rishabh ko sahara dete hue andar Rohit ke kamre mein le aayi. Hospital jaane se pehle hi usne bed ki chaddar change kar di thi aur kamre ko theek kar diya tha.
Rishabh Rohit ke kamre ko ek ajeeb tarah se dekh raha tha. Woh yahan bas ek baar pehle aaya tha... jab woh yahan apne geele kapde badal raha tha aur ekdam se Rohit ghar aa gaya tha. Par aaj yeh kamra pehle se jyada jaana pehchaana sa mehsoos ho raha tha. Shreya ne Rishabh ko bed par litaya, Naina bhi theek uske peeche khadi thi.
Shreya - Rishabh... tum aaram karo... main aati hoon abhi...
Shreya aur Naina kamre se bahar nikal aaye.
Naina ne anjaane mein ekdam se pooch liya - Aunty... aap Rishabh ko apne saath le aayi?
Shreya - Haan... yahan uska koi nahi hai na... uske gharwalon ko aane mein time lagega... isliye filhaal main use apne saath le aayi.
Naina gehri saansein lete hue ekdam se Shreya ke gale lag gayi aur foot foot kar rone lagi - Aunty.... aunty... ab sach mein itni brave ho na... pata nahi aap kaise kar rahi ho yeh sab...
Shreya ne halke se Naina ko hug kiya aur uski peeth thapthapayi - Naina... sambhalo apne aap ko beta...
Naina - Aunty... main pagal ho rahi hoon... aisa lag raha hai jaise sab meri hi galti thi...
Shreya - Nahi... aisa mat socho... is sab mein tumhari koi galti nahi thi.
Naina - Baar baar bas Rohit ka chehra dikhayi deta rehta hai... main kuch aur soch hi nahi paa rahi hoon... pata nahi aap kaise itni himmat rakh paa rahi ho...
Shreya Naina ko chup karane ke liye boli - Naina... Rohit yahin hai...
Naina - Yahin? Kaise...
Shreya ne baat ko sambhaalte hue kaha - Mujhe bas mehsoos ho raha hai... jaise woh abhi bhi yahin hai... tum apne aap ko dosh mat do... thoda time lagega hum sab ko sambhalne mein... par ab hume aage toh badhna hi padega na bachhe...
Naina - Aunty... aap sach mein... bohot hi jyada brave ho...
Shreya ne roti hui Naina ko dilaasa diya aur kuch der baad Naina wahan se chali gayi thi. Uske jaate hi Shreya ne jaldi se Rohit ke kamre mein aakar check kiya toh Rishabh aankhen band kiye soya hua tha. Shreya ne paas aakar uske seene par halke se haath rakha, jaise check kar rahi ho sab theek tha na. Bilkul hospital ki tarah woh ek kursi lekar wahin uske side mein baith gayi, taaki kuch bhi ho toh woh turant wahin upasthit ho... Rohit ke saamne.
(This post was last modified: 20-11-2026, 07:16 PM by
Sriya2. Edited 1 time in total.)
Posts: 46
Threads: 0
Likes Received: 37 in 23 posts
Likes Given: 4
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Nice story bro. Accha jaa raha hai plot