Posts: 42
Threads: 0
Likes Received: 37 in 23 posts
Likes Given: 3
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Bhai ye konsa update aagya bich me shreya ki story me
Posts: 154
Threads: 5
Likes Received: 274 in 104 posts
Likes Given: 190
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
Chapter 48
Shreya bilkul sunn baithi hui thi, abhi abhi Rishabh ne use jo kuch kaha tha usne use suna toh tha par use samajh nahi aa raha tha yeh kaise mumkin tha. Koi uske saath aisa bhadda majak kaise kar sakta tha, par ek maa ki umeed use yeh baat jhuthlane nahi de rahi thi.
Rishabh ne kaha ki woh bas abhi Rohit ko wapas layega... Shreya se baat karne ke liye. Filhaal uski aankhen band thi... aur Shreya bas bechain hoti hui apne haath aapas mein mal rahi thi. Uska chehra buri tarah latka hua tha, jaise kisi bhi pal yeh majak khatam ho sakta tha.
Ekdam se Rishabh ki aankhen khuli aur usne ek zor ki saans li. Shreya turant kursi par seedhi ho kar baith gayi aur Rishabh ki aankhon mein dekhne lagi. Uski aankhon mein waise toh kuch bhi nahi badla tha, par fir bhi kyun aisa lag raha tha jaise sab kuch badal gaya ho. Wahan Rishabh nahi... sach mein koi aur ho.
Rishabh ki kaanpti hui aawaz dheere se bahar nikli - Mmmm... Mommm....
Shreya ka gala ekdam se sookh gaya... aawaz abhi bhi Rishabh ki thi par aisa lag raha tha jaise woh shabd Rohit hi bol raha ho. Shreya ki aankhen tezi se ghoomti hui uski taraf dekh rahi thi.
Rishabh ne apna haath Shreya ki taraf aage badhaya - Mommm....
Shreya ka dimaag uske mann ke saath dwand kar raha tha - Rishabh... kyun kar rahe ho tum yeh sab!
Rohit - Mom... main Rishabh nahi... Rohit hoon...
Rishabh ka haath jakar Shreya ke haath par padha aur usne use halka sa masla. Shreya ke andar ek zor ki kampan hui, andar ek aawaz keh rahi thi woh uski baat ka yakeen kar le. Usne apni aawaz ekdam se kadak kar li - Rishabh! Agar tum yeh sab mujhe bas kisi tarah acha feel karwane ke liye kar rahe ho toh... toh... yeh bilkul galat hai... bas ab yeh natak khatam karo...
Shreya seat se khadi hui bahar jaane ke liye... yeh tamasha kuch jyada hi lamba khinch gaya tha.
Rohit peeche se zor se chillaya - MOM!!! Please... mat jayo... I am sorry... bohot dard ho raha hai mujhe... aap please mat jayo mujhe akela chhod kar...
Shreya ne palat kar dabdabayi aankhon se Rishabh ki taraf dekha.
Rohit - Main aapko kaise yakeen dilayu... main hi hoon...
Shreya apne chehre par tyoriyan lekar wahin khadi rahi.
Rohit - Yaad hai aapko... 4th class mein... main cycle chalate hue main kafi buri tarah gir gaya tha... mere yahan ek chhot ka nishaan ban gaya tha...
Rohit ne apni kalai ki taraf ishaara kiya, jahan ek chhot ka nishaan hona chahiye tha, par ab tha nahi. Shreya ke dil mein ek halchal si hui... par uske dimaag ne samjhaya... zaroor Rishabh ne kabhi woh nishaan Rohit ki kalai par dekha hoga.
Rohit - Aur Papa mujhe kis naam se bulate they... Rolu...
Shreya ke dimaag ki nase fatne ko ho rahi thi. Yeh naam toh woh bhi nahi leti thi... yeh toh bas Ravi ki nishaani thi jo usne saalon se nahi suni thi.
Rohit - Aur... aur... kaise aap mere lunchbox mein roz ek note daal deti thi... kaise aap Rajan Sir se bhid gayi thi jab unhone mujhe punish kiya tha... Jab hum Jaipur gaye they tab kaise main kuch pal ke liye bheed mein kho gaya tha...
Rohit ek ke baad ek cheez bole jaa raha tha... Shreya ka dil ab apne dimaag se aur nahi ladh sakta tha... yeh aisi cheezen thi jo Rishabh ko kabhi pata nahi ho sakti thi. Shreya tezi se wapas Rishabh ki taraf badhi aur uska jakhmi haath dheere se thaam liya. Uski aankhon se aansu behne lage they. Usne medical equipments aur taaron ke beech mein se hote hue apna sar Rishabh ke seene par rakh diya.
Shreya - Rohit.... Rohit.... Rohit...
Uski saansein tez ho chuki thi aur use poora yakeen ho gaya tha ki uska Rohit yahin tha... woh uske dil ki dhadkan ko ache se jaanti thi.
Rohit - Mommmm.... Mom....
Shreya foot foot kar rone lagi, woh kuch kehne ki halat mein nahi thi - Rohit....
Rohit ne bhi bhilakhte hue bas kisi tarah Shreya ke kandhe par apne haath rakh diye. Dono maa bete kafi der tak ek doosre se lipte rahe.
Kuch der baad Shreya ne Rishabh ke seene se apna sar upar utha kar Rohit ki taraf dekha. Shreya ne halke se Rishabh ke chehre ko apne haathon mein thaama, woh wahan Rohit ke chehre ko imagine karne ki koshish kar rahi thi.
Shreya - Mujhe lagal... mujhe laga... maine tumhe kho diya hai...
Rohit - Mom....
Shreya - Tumhare bina... meri jindagi ka matlab bhi kya hota...
Rohit - Mom...
Shreya - Abhi bhi yakeen nahi ho raha... tum sach mein yahin ho na...
Rohit - Haan Mom... mujhe nahi pata kaise... par... kuch yaad bhi nahi aa raha... woh doctor keh rahe they accident...
Shreya - Tumhe sach mein kuch yaad nahi? Us din kya kya hua tha?
Rohit - Nahi... bas jo kuch abhi pata chala... Rishabh keh raha tha maine ghar chhod diya tha... mujhe toh bhi yaad nahi...
Shreya ne chaunkte hue uski taraf dekha - Kya tum aur Rishabh ek doosre ke baat kar sakte ho? Yahan... ek hi shareer ke andar...
Rohit ne dard mein apna sar pakda - Haan... ahhh.... ouchh...
Shreya - Aaram se... jyada zor mat daalo apne aap par...
Rohit - Haan... shayad mujhe wapas andar jaana hoga... aur Rishabh ko bahar bhejna padega.... jab bhi yeh dard hota hai... tab...
Shreya ne ekdam se hadbadate hue kaha - Rohit... suno... Rohit...
Par Rohit kuch hi pal mein fir se behosh ho gaya tha, aur Shreya bas uska haath thame reh gayi thi. Use abhi bhi yakeen nahi ho raha tha, par Rohit abhi bhi yahin tha... Rishabh ke shareer ke andar... uske saath.
(This post was last modified:
11 hours ago by
Celebrorn. Edited 2 times in total.)
Posts: 253
Threads: 3
Likes Received: 96 in 89 posts
Likes Given: 170
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Very surprised to see updated but excited for further progress
Posts: 154
Threads: 5
Likes Received: 274 in 104 posts
Likes Given: 190
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
Chapter 49
Agle kuch ghante Shreya Rishabh ke side se bilkul nahi hati. Use hospital mein baithe baithe 36 ghanton se jyada ho chuke they, par use aisa lag raha tha ki kahin woh yahan se hili toh Rohit ko fir se na kho de.
Beech beech mein kabhi Rishabh hosh mein aa jaata aur kabhi Rohit. Dono ka baat karne ka tareeka bilkul alag hota, bilkul jaise woh dono pehle they. Shreya ko un dono se baat karke jo kuch pata chala tha usse aisa lag raha tha jaise woh apni kuch kuch memories kho chuke they, aur shareer ke andar kahin koi jagah thi, shayad Rishabh ke dimaag mein... jahan woh ek doosre se baat kar sakte they.
Jab kabhi kamre mein nurse ya doctor aate, Shreya unke saamne normal hone ki acting karti. Woh nahi chahti thi ki woh Rohit / Rishabh waali baat ko jyada kare... kahin doctors use pagal na samajh le... ya usse bhi bura... kahin woh Rohit ko usse na chheen le.
Filhaal Rishabh hosh mein tha. Is waqt woh pehle se thoda jyada recovered aur fresh lag raha tha.
Rishabh - Ma'am... aap kafi tired lag rahi hain... aap kuch der ghar chali jaiye na...
Shreya - Nahi nahi... main theek hoon... Rohit kya kar raha hai andar... tum usse yahan se baat kar sakte ho kya?
Rishabh - Nahi Ma'am... main jab hosh mein hota hoon toh usse baat nahi kar sakta. Theek hai woh... kafi jyada shock tha uske liye bhi... yeh janna ki woh... woh... ab nahi raha...
Rishabh ki baat jakar Shreya ko ekdam se chubhi. Woh yahan tha toh.... toh Rishabh kaise keh sakta tha ki woh "ab nahi raha".
Rishabh ne Shreya ka utra hua chehra dekhte hue kaha - I mean... usko aisa laga... ki bas... uski body... Woh toh yahin hai abhi... I am sorry agar aapko bura laga ho toh...
Shreya - Nahi nahi... tumne kuch galat nahi kaha.
Rishabh - Ma'am... woh... aapne mere mummy ko call kiya kya?
Shreya ekdam hadbadate hue boli - Haan... main call milaya tha... par woh mil nahi raha tha...
Yeh bilkul jhooth tha. Usne koi call nahi milaya tha. Agar woh Rishabh ki mummy ko call kar deti, aur woh log yahan aa jaate, toh woh yahan kis adhikaar se ruk paati? Woh log apne bete ko paa lete aur Shreya apne bete ko kho deti. Uski mamta use yeh jhooth bolne par majboor kar rahi thi.
Rishabh - Oh acha...
Shreya - Koi nahi... main try karti rahungi... par main hoon na yahan.... tumhe fiqr karne ki zaroorat nahi hai...
Rishabh - Thank you Ma'am...
Shreya - Thank you ki zaroorat nahi hai.... thank you toh shayad mujhe tumhe kehna chahiye... tumhari wajah se... tumhare shareer mein... mera Rohit zinda hai...
Rishabh - Par shayad is shareer mein uske bhi toh parts hain.... isliye shayad...
Shreya - Haan shayad...
Ekdam se Shreya ko aisa laga jaise uska dimaag ghoom raha ho aur woh chakkar kha kar gir jayegi.
Rishabh - Ma'am! Aap apni halat dekheyi please... aapko thode rest ki zaroorat hai...
Shreya - Nahi... main theek hoon....
Rishabh - Please Ma'am... Kuch der pehle Rohit bhi yehi kar raha tha... aap thodi der ke liye ghar ho aaiye...
Shreya ne shayad 4-5 dino se apne kapde nahi badle they aur uske poore shareer mein se badboo aane lagi thi. Uska shareer kafi kamzor sa mehsoos ho raha tha, aur dimaag jaise khaali sa ho chuka ho. Shayad Rishabh aur Rohit theek keh rahe they, par agar jab woh wapas aayi aur Rohit yahan nahi hua toh?
Shreya - Rishabh.... mujhe waada karo... Rohit ko kahin nahi jaane doge... use apne saath rakhoge...
Rishabh - Ma'am....
Rishabh ko samajh nahi aa raha tha woh yeh waada kaise kar de. Use toh khud ab tak samajh nahi aaya tha ki yeh sab kaise possible tha. Par Shreya ki badi si aankhen use ek maa se yeh waada karne par mazboor kar rahi.
Rishabh - Ji Ma'am...
Shreya - Main bas 2-3 ghante mein wapas aati hoon.... kuch khane ka bhi bana kar le aayungi...
Rishabh - Ma'am... suniye...
Par Shreya ne uski baat nahi suni aur Rishabh ko ek baar ji bhar ke dekhne ke baad woh uth khadi hui aur hospital ke bahar jaane lagi. Beech hallway mein use Doctor mil gaye.
Shreya - Doctor Saab... main bas thodi der ke liye ghar jaa rahi hoon... abhi aati hoon...
Doctor - That's good... I think ab uski body stabilize ho rahi hai... aur woh Rishabh Rohit wali confusion khatam ho rahi hai...
Shreya - Ji... aap use kab chutti de sakte hain?
Doctor - Meri advice rahegi ki kuch din yahin hospital mein rahe... taaki hum ache se monitor kar sake...
Shreya - Nahi... main ghar par ache se care kar lungi uski... aap fiqr mat kariye...
Doctor - Uske parents? Unse baat hui?
Shreya - Haan... meri baat hui... woh abhi kahin fase hue hain... main... main filhaal sab manage kar lungi... Rishabh... woh sign kar dega papers...
Doctor - Ok... ultimately aapki aur Rishabh ki call hai.... kal tak release karne ka try karte hain...
Shreya - Thank you Doctor saab....
Shreya Doctor ko thank you bol kar hospital se bahar nikal gayi. Usne bahar se apni society ke liye auto kiya aur Auto mein kisi tarah jhoolte hue apni building tak pahuchi. Bahar Guard ne use hairani bhari nazron se dekha, par Shreya use ignore karte hue building ke andar badh gayi.
Jaise hi woh building ke andar pahuchi, neeche kuch log khade hue dikhe, un mein se Khanna ji, unki beti Naina bhi thi. Naina ne turant aage badhte hue Shreya ko hug karte hue sambhala. Uski aankhen laal padi thi, jaise woh bohot ro chuki ho.
Khanna - Shreya Ji! Kahan thi aap... hum sab log aapko dhoondh rahe they... aapka phone bhi nahi lag raha tha.
Shreya - Haan.... shayad mere phone ki battery khatam ho gayi thi...
Khanna - Par aap aise bina bataye chali gayi thi... sab log bohot pareshaan they... kahin aapko kuch....
Shreya ki kamzor thaki hui aawaz bahar nikli - Nahi... main... theek hoon...
Khanna - Naina beta... tum inhe upar lekar chalo.... hamare ghar mein...
Naina - Ji Papa...
Shreya - Nahi nahi... main apne ghar jayungi...
Naina ekdam fir se ro padi - Aunty... uhhh.... I am sorry aunty....
Naina apne andar ek guilt ki feeling liye ghoom rahi thi. Agar us din woh Rohit ko wahan college ke bahar woh sab keh kar na chhod aayi hoti, toh shayad yeh sab nahi hota.
Shreya ko samajh nahi aa raha tha woh kya kahe. Ek taraf Rohit duniya ke liye jaa chuka tha, doosri taraf woh kisi tarah Rishabh ke andar abhi bhi zinda tha. Par abhi kisi ko bhi yeh sab kehna sahi nahi hoga.
Khanna - Naina... aap ko sambhal beta... Shreya ji ko upar lekar chalo...
Naina ne apne aansu pochte hue kaha - Haan Papa... chaliye aunty...
Shreya Naina ke saath lift mein upar jaane lagi.
Naina - Aunty woh... Tarun uncle... woh bhi kayi baar aa chuke hain... bohot pareshaan they aapke liye...
Shreya - Hmmmm....
Naina - Main unhe call karke bata deti hoon ki aap theek ho... aap unse baat kar lo ek baar...
Shreya - Baad mein call kar lena please... abhi mera mann nahi hai kisi se bhi baat karne ka...
Naina ne apna phone neeche kar liya - Haan... main samajh sakti hoon....
Woh dono Shreya ke ghar ke bahar pahuche. Naina se Shreya ki taraf pareshaan hote hue dekha.
Naina ki aankhon mein darr saaf tha - Aunty... aap sure ho ki aap akele... aap kuch... aap kuch...
Shreya - Pareshaan mat ho... main kuch galat nahi karungi... promise...
Naina - Aunty main aapke saath reh lungi... aap apne aap ko akela mat samajhna... hum sab log hain aapke liye...
Shreya ne pyaar se Naina ke gaal par haath fera - Naina... thank you beta... abhi tum jayo... main bohot thaki hui hoon...
Naina ne dheere se sar hilaya aur Shreya ne kisi tarah ghar ka darwaza khola aur andar ghusi. Andar aisa lag raha tha jaise woh apne khud ke ghar ko hi bhool gayi ho. Sab kuch ekdam bikhra hua sa alag sa lag raha tha. Hall ke beech mein Rohit ki ek photo thi, jis par ek foolo ki maala chadhi hui thi. Usne jaldi se aage badh kar maala ko uski photo se hataya aur photo ko utha kar apne seene se laga liya.
Uska Rohit kahin nahi gaya tha... yahin tha... use bas ab jaldi se uske paas wapas jaana tha.