Posts: 107
Threads: 4
Likes Received: 223 in 79 posts
Likes Given: 155
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
16-10-2026, 03:23 AM
(This post was last modified: 16-10-2026, 03:29 AM by Celebrorn. Edited 4 times in total. Edited 4 times in total.)
Chapter 43
Shareer nashwar hai, aatma amar hai
Shreya ki bujhi hui aankhon ke saamne baar baar room ke bahar laga ek patla sa board nazar aa raha tha jis par yeh likha tha. Uska chehra pichle teen dino mein itna dhal gaya tha maano woh barso jee li ho. Aankhen laal jalti hui si, unhe khuli rakhna bhi mushkil ho raha tha. Shareer aur aatma poori tarah thaki haari hui, use khud bhi nahi pata tha woh yahan kaise pahuchi thi.
Kuch pal baad andar se ek doctor nikla aur usne kafi softly kaha - Shreya ji, aaiye...
Shreya turant khadi ho gayi aur uske andar ki bachi kuchi jaan use kisi tarah kamre ke andar kheench ke le gayi.
Doctor ne Shreya par ek sarsari nazar daali aur fir bed par pade patient ki taraf dekhne laga - Sorry mujhe aapko is halat mein call karna pada. Abhi tak hum is ladke ke family ko contact nahi kar paaye hain.
Shreya ki nazar bistar par gayi jahan Rishabh kayi saare medical equipment, wires aur tubes se ghira bistar par bejan sa leta hua tha. Shreya uski taraf bas dekhe jaa rahi thi, jaise usme kuch dhoond rahi ho.
Doctor - Abhi sedatives diye hain... uski body ko thoda aaram karne ki zaroorat hai.
Shreya - Aap ek baar fir batayenge... jo aapne call par kaha tha?
Doctor kuch bhi bolte hue kafi hesitate kar raha tha - Ummm... dekhiye... mere khayal se jo hua woh bas... uski body thodi confused hai shayad abhi.
Shreya - Kya har case mein aise hi hota hai?
Doctor - Nahi actually... meri knowledge mein toh aisa mumkin nahi hai. Tabhi maine aapko call kiya.
Shreya - Aap ek baar shuru se batayenge? Jab woh sab hua... main... us halat mein nahi thi...
Shreya ke liye khada reh paana mushkil ho raha tha aur usne apna sar pakadte hue deewar ka sahara liya.
Doctor - Shreya ji! Aap baitheye please! Main imagine kar sakta hoon ki aap kis halat mein hai... aur mujhe shayad aapko call nahi karna chahiye tha.
Shreya - Nahi nahi! Aapne theek kiya.
Shreya bed ke paas rakhi ek chair par baith gayi. Uski nazrein abhi bhi Rishabh par tiki hui thi - Aap please... boliye...
Doctor - Ummm... kafi tragic tha jo bhi hua. Dono ladke kafi young they... hain...
Shreya ki aankhen bhaari ho rahi thi, unke aage andhera sa chhaa raha tha. Doctor ki aawaz bas kisi tarah kaano mein jaa rahi thi. Usne apne aap ko focused karte hue Doctor ki taraf dekha.
Doctor - Uhhh... fir aapne kafi... himmat dikhayi.
Shreya ko kuch adhoora sa yaad aa raha tha. Doctor ne uske haath mein kuch kagaz pakdaye they aur usne un par ek lakeer kheench di thi, Rishabh ko bachane ke liye.
Doctor - Operation successful raha tha, body ne organs ko accept kar liya tha.
Shreya ne jhatke se palat kar Rishabh ki taraf dekha. Uske andar Rohit ke shareer ke hisse they.
Doctor - Usually aise cases mein patient ko 12-15 ghante tak hosh aa jaata hai. Is case mein thodi... external injuries jyada thi, toh hum log 24 hours tak expect kar rahe they. Ummm....
Shreya - Fir?
Doctor - Ummm... like I said... nurse ne mujhe notify ki uski heart rate ekdam se kafi elevate ho gayi aur fir bilkul flatline bhi aur fir ab normal. Beech mein use 2-3 baar hosh bhi aa chuka hai, par uska mind kafi scattered sa hai. Woh baar baar aapko bula raha tha.
Shreya - Mujhe?
Doctor - Haan... thoda strange tha... woh aapko Mmmm... khair... like I said ki body shayad adjust ho rahi hai.
Shreya - Par aapne kaha ki aisa normally nahi hota?
Doctor - Normally nahi, kabhi bhi nahi hota! I mean internationally kuch doctors ki theories hain... but... scientifically koi evidence nahi hai.
Doctor Shreya ko ek haath se umeed de raha tha aur doosre hi haath se use chheen raha tha. Shreya ko samajh nahi aa raha tha woh is waqt kya mehsoos kare.
Doctor - Mujhe baaki patients ko bhi dekhna hai. I think aap is ladke ko bhi jaanti hain, am I right? Aap yahan aaram se baith sakti hai. Agar kuch chahiye toh nurse yahin hai.
Shreya ne haan mein sar hilaya aur Doctor kuch pal baad kamre se bahar nikal gaya tha.
Shreya ne apni sikudi hui aankhon se Rishabh ki taraf dekha. Uska chehra aur shareer buri tarah zakhmi tha. Shayad koi miracle hi tha ki woh jinda tha. Par woh yahan Rishabh ke liye toh nahi aayi thi. Jab Doctor ne use call par woh bataya tha tab use yakeen nahi aaya tha. Fir bhi woh is waqt yahan thi.
Shreya ne apni kursi thodi aage sarkayi, itni ki woh Rishabh ke bed se poori tarah satt gayi thi. Woh bilkul paas se Rishabh ko dekhne lagi. Fir dheere se khadi hui aur apna chehra Rishabh ke theek upar la aayi, uski taraf gaur se dekhte hue.
Usne apna kaanpta hua haath dheere se aage badaya aur darte hue Rishabh ke baalon mein halke se fera. Rishabh ne turant ek halki si saans chhodi aur Shreya ne apna haath peeche kheench liya.
Shreya ne kuch pal baad fir apna haath badaya aur uske sar par rakha.
Rishabh ka muh halke se khula - Mmmmm..... Mmmmmm...
Shreya ke dil ki dhadkan tez hone lagi. Woh apna sar Rishabh ke thoda aur paas laayi, itna ki bas woh use chhoo nahi rahi thi par uski khushboo mehsoos kar sakti thi.
Rishabh - Mmmm.... Mmmmm.... Mmmmmooom
Aawaz itni halki jise shayad uske kaano ne bhi nahi suna bas usne un shabdon ki kampan mehsoos ki ho. Uski aankhen bhar aayi aur ek boond aansu Rishabh ke sar par tapak gaya. Jaane kyun Shreya ko mehsoos ho raha tha ki Rohit yahin tha, ho na ho yeh uski hi khushboo thi.
Posts: 107
Threads: 4
Likes Received: 223 in 79 posts
Likes Given: 155
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
16-10-2026, 05:54 AM
(This post was last modified: 16-10-2026, 05:56 AM by Celebrorn. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Chapter 44
Shreya bina palke jhapke Rishabh ki taraf dekhe jaa rahi thi. Beech mein uski aankhen apne aap hi band ho gayi thi aur woh kuch der ke liye so gayi thi. Par jab woh jagi toh uska poora focus Rishabh ke chehre ki taraf dekha.
Kamre mein ek nurse ghusi - Madam... yeh lo... aap paani piyo thoda sa.
Nurse ne achanak se ek paani ka glass Shreya ke honthon par lagate hue use kuch ghoont pila diye aur fir glass uske haathon mein thama diya. Paani Shreya ke sookhe gale se utarta hua neeche gaya toh Shreya ko laga jaise use ek nayi energy mil gayi ho. Usne khud se ek ghoont aur piya aur Rishabh ki taraf dekhti rahi.
Nurse - Abhi thodi der mein hosh mein aa jayega. Bhai hai aapka?
Shreya - Nahi... umm...
Shreya Nurse ko samjha bhi nahi sakti thi ki Rishabh uska kaun tha, ya kaun ho sakta tha.
Nurse ne ek injection liya aur upar latki hui bottle mein ghusa diya - Aapko kuch aur laakar du? Chai? Biscuit?
Nurse ne Shreya ka view block kar diya tha aur woh tedi hoti hui Rishabh ki taraf jhaank rahi thi - Nahi... main theek hu.
Nurse - Theek hai... abhi aati hoon.
Shreya ne ek aur ghoont paani ka liya aur Rishabh ko dekhti rahi. Uski aankhen fir se band ho chali thi.
Par tabhi room mein lagi ek machine mein thodi si beep beep aawaz hone lagi aur Shreya ki aankhen jhat se khul gayi.
Rishabh apna muh khol raha tha aur aankhen kholne ki koshish kar raha tha - Ahhh... ahhh.... ohhh... ufff...
Shreya turant khadi hui aur glass ko side mein rakha - Ro... Beta...
Shreya ne halke se Rishabh ke baalon mein haath fera, uski saansein ukhad si rahi thi.
Rishabh ne halki si aankhen kholte hue Shreya ki taraf dekha - Mmmmm.... Mmmmm.... Maaa'aammm...
Rishabh ke muh se Ma'am sunte hi Shreya ka mann ekdam se baith gaya aur woh turant thoda sa peeche ho gayi. Uski saari umeede fir se chaknachoor ho rahi thi, shayad usne galat suna tha. Woh pehle Mom nahi Ma'am keh raha tha.
Shreya ki aankhen bhar aayi aur usne rote hue apne honth apne muh mein daboch liye taaki woh wahan zor se na ro pade.
Rishabh - Ma'am... ahhh. Ahhh... bohot dard ho raha hai... ahhh... Kya hua tha?
Shreya kuch boli nahi bas apna chehra doosri taraf palat liya aur apne muh par haath rakhte hue subkiyaan lene lagi, uska dil andar se dahade maar kar rone ka kar raha tha. Usne aisa betuka sapna dekhne ka socha bhi kaise. Rohit jaa chuka tha!
Rishabh - Ma'am.... ahhhh.... ahhh... UFFFFFFFF..... AAHHHHH.....
Rishabh ekdam zor se chillaya, yeh koi shareer ke dard ki cheekh nahi thi. Aisa lag raha tha jaise woh andar kahin se cheekh raha ho.
Room mein machines zor se beeep beeeeep booop karne lagi.
Rishabh - AHHHHH... FFFF.... FUCKKKKK.... UFFFFFF... Moooommmmm!
Yeh sunte hi Shreya ki siski beech mein hi atak gayi aur uska dil tezi se dhadakne laga. Woh palatne ki himmat hi nahi kar paa rahi thi.
Rishabh ke cheekhne ki aawaz aayi - Mooooommmmmm! Ahhhhhh.... Mommmm!
Woh Rishabh ki aawaz ho kar bhi Rishabh ki aawaz nahi lag rahi thi. Shreya buri tarah hairaan hote hue jhatke se palti aur Rishabh ki taraf dekha.
Nurse bhi tabhi kamre mein dandanati hui ghusi - Kya hua yahan! Madam aap peeche hato!
Nurse ne aage badte hue upar tang rahe liquid ki bottle ko check kiya. Itne mein Rishabh ne Shreya se nazrein milate hue apna sar pakad liya - Uhhhhh... Mommmm.... mera sarrrr...
Par uske aisa karte hi uske haathon mein lagi naliyan khich gayi, sab kuch kafi messy hota jaa raha tha, aur Nurse use rokne mein nakamyaab ho rahi thi. Shreya jaise wahin jameen par jam gayi thi, na kuch keh paa rahi thi na kar paa rahi thi.
Nurse - Bhaiyaaa... aap hilo mat... tsskkkk.... oh ho!
Nurse ne turant ek injection bhara aur Rishabh ke arm mein laga diya. Rishabh dard mein tadapta hua kuch hi palon mein bistar par fir se dher ho gaya.
Shreya acharaj se Rishabh ki taraf dekh rahi thi, use kuch samajh nahi aa raha tha yahan kya ho raha tha. Uske saamne bistar par yeh Rishabh leta hua tha ya Rohit?
Posts: 243
Threads: 3
Likes Received: 92 in 86 posts
Likes Given: 162
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
•
Posts: 333
Threads: 0
Likes Received: 141 in 121 posts
Likes Given: 275
Joined: Jun 2021
Reputation:
0
•
Posts: 107
Threads: 4
Likes Received: 223 in 79 posts
Likes Given: 155
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
16-10-2026, 10:25 PM
(This post was last modified: 16-10-2026, 11:43 PM by Celebrorn. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Chapter 45
Rohit ne disoriented hote hue apni aankhen kholi. Uska dimaag buri tarah chakra raha tha aur use samajh nahi aa raha tha woh kahan tha. Usne apne haathon ko alat palat kar dekha, abhi kuch pal pehle aisa lag raha tha jaise un par dher saari taare aur needles lagi hon. Aur ab uska haath bilkul saaf tha.
Usne khade hote hue idhar udhar dekha, chaaro taraf bas ek safed roshni si thi, jiski koi seema na ho, kahin koi deewar na ho. Usne is jagah ko pehle dekha tha, shayad kisi sapne mein. Sar mein jo bhayanak sa dard ho raha tha dheere dheere kam hone laga.
Woh ek baar aur palta toh thodi door par ek aur ladka uski tarah hi zameen par se khada ho raha tha. Usne gaur se dekha, yeh toh Rishabh tha.
Rohit jaldi se uski taraf badha - Rishabh! Rishabh!
Rishabh apna sar pakadte hue khada hua - Ahhh... Rohit bhaiya...
Rohit - Ye kahan hai hum? Yahan kaise pahuche?
Rishabh - Ahhh... Nahi pata. Bas kafi ajeeb sa sapna dekha jaise main kisi hospital mein hoon.
Rohit - Haan! Exactly! Maine bhi... aur Mom bhi thi wahan!
Rishabh - Uhhh... yahan toh kuch nahi dikh raha.
Rohit upar ek taraf focus karte hue kaha - Woh aawaze sunai de rahi hai?
Rishabh - Kaunsi aawaze?
Rohit - Ruk! Ek minute!
Door se kahin aisa lag raha tha jaise koi halke se Rishabh ka naam pukaar raha ho. Rohit ne us taraf focus kiya hi tha, ki use ek tez ki beep beep beep sunayi dene lagi, aur usne jaise hi aankhen band karke kholi, woh haanfta hua ek hospital ke kamre mein jaga. Saamne ek doctor baitha usko check kar raha tha.
Rohit ne zor ki saans li - Huhhhh... huhhhh... kya ho raha ye?
Doctor - Rishabh... aaram se... tum thoda shock mein ho... aaram se.
Rohit - Kya bol rahe ho aap... main Rishabh nahi! Rohit hu!
Doctor ke peeche khadi use Shreya ka chehra nazar aaya aur woh Shreya ko wahan dekh kar chilla utha - Mom!!! Ye kya ho raha hai...
Uske sar ka dard fir se ekdam se badh raha tha aur usne apna sar pakadna chaha, par ek hi pal mein jaise woh wapas us safed jagah par wapas pahuch gaya tha aur ab Rishabh wahan nahi tha.
Rishabh - Ahhhh....
Doctor - Rish... Rohit...
Rishabh - Doctor aap kya bol rahe hain... main Rishabh hoon!
Doctor ne hairaan hote hue Shreya ki taraf dekha, jo khud bhi utni hi confused khadi thi.
Rishabh ne dard mein muh banate hue idhar udhar dekha - Kya hua hai mujhe? Kahan hoon main? Abhi mujhe Rohit dikhayi diya tha... woh kahan gaya?
Shreya ekdam se excited hokar - Tumhe Rohit dikhayi diya tha! Kahan?
Rishabh - Ahhhh.... nahi pata... ufff... mera sar...
Doctor ne nurse ko ishaara kiya aur Nurse ne use ek aur injection laga diya. Aur kuch palon mein woh fir se besudh ho gaya tha.
Shreya - Doctor ye kya ho raha hai?
Doctor - Mujhe bhi kuch samajh nahi aa raha! I think uski body kafi stressed out hai. Mere khayal se aap uske saamne abhi na aaye, kyunki aapko dekhte hi uska stress level aur badh raha hai.
Shreya - Par Doctor....
Doctor - Please Shreya Ji... aap samjhe... kafi nazuk situation hai yeh.
Shreya - Theek hai!
Andar us safed kamre mein Rishabh ki fir se aankh khuli aur usne Rohit ko apne paas khada paaya.
Rishabh - Rohit bhaiya... uhh... ye kya ho raha hai?
Rohit gehri soch mein tha - Woh mujhe Rishabh kyun bula rahe they!
Rishabh - Aur mujhe Rohit!
Rohit - Kya... kya tha tune?
Rishabh ghabrate hue - Kuch nahi... maine kya kiya?
Rohit - Nahi... jab woh aawaz aane lagi thi... tab maine apni aankhen band karke un par focus kiya aur aisa laga jaise main wahan pahuch gaya.
Rishabh - Haan! Mere saath bhi kuch aisa hi hua! Par aisa laga jaise wahan koi pehle se hai aur mujhe dhakelne ki koshish kar raha hai.
Dono ne ek doosre ki taraf dekha. Dono samajhne ki koshish kar rahe they yeh ho kya raha tha.
Rohit - Lagta hai... jaise... ummm... pata nahi kaise possible hai woh par!
Rishabh - Ummm... aapko last kya yaad hai?
Rohit - Mujhe... ummm... ghar par.... Mom ki birthday party chal rahi hai... sab badiya hai... fir... uske baad... kuch yaad nahi aa raha!
Rishabh - Kya?! Uske baad ka aapko kuch yaad nahi?
Rohit - Matlab? Kya yaad nahi aa raha?
Rishabh - Ummm... aap ghar chhod kar chale gaye they, aur fir....
Rohit - Main ghar chhod kar chala gaya tha! Kyun!?
Rishabh - Mujhe nahi pata... Ma'am ne bataya tha... woh kafi pareshaan thi aapke liye.
Rohit - Kya??! Main ghar chhod kar kyun jayunga, aur woh bhi Mom ko akela chhod kar? Mujhe kyun nahi yaad aa raha hai is baare mein? Tujhe kya yaad hai aakhri cheez?
Rishabh - Ehhhh... main... shayad... office mein tha... kuch dhoond raha tha... nahi... aisa lag raha hai kuch missing hai!
Rohit - Dono ke saath hi?
Rishabh - Aapko lagta hai hume aliens utha ke le gaye?
Rohit - Kya??? Kya bakwaas kar raha hai!
Rishabh - Nahi... woh... pata nahi... hum par experiment kar rahe ho aur...
Rohit ne use ignore karte hue upar ki taraf dekha - Hum dono ko woh aawaze sunayi di thi, aur tujhe woh doctor dikha tha?
Rishabh - Haan.... doctor aur... Shreya Ma'am.
Rohit - Ummm... hum dono hi us aawaz ki taraf gaye... aur apne aap ko wahan paaya. Hmmmm... kafi weird hai!
Rishabh - Uhhh... aisa karte hain... ek ek karke try kare? Matlab main jaata hoon par aap yahin rehna.
Rohit - Main thodi na kahin gaya tha! Bas aawaz ki taraf focus kiya aur apne aap ko wahan paaya!
Rishabh - Shayad hum kisi secret science experiment mein hai! Aisa karte hain ki main aawaz par focus karta hoon aur aap mat karna.
Rohit - Hmmm... try kar sakte hain...
Rishabh - Theek hai... ummm... main ready hoon!
Rohit - Theek hai...
Rishabh ne apni aankhen band karke us room mein ho rahi aawazon par focus kiya. Kuch pal baad usne aankh kholi toh usne apne aapko fir se hospital ke us bed mein paaya.
Rishabh ko dard ho raha tha par utna nahi jo pehle hua tha - Ahhhhh....
Doctor thoda hairaan hote hue - Nurse! Aapne dosage theek diya tha kya?
Nurse - Haan Doctor... main dekhti hoon...
Doctor - Nahi ab over dosage mat kar dena! Let me check. Ummm.... kaisa feel kar rahe ho tum?
Rishabh - Uhhh... main kahan ho doctor?
Doctor - Hospital mein...
Rishabh ne kamre mein idhar udhar dekha, yeh jaane ke liye ki yeh sab sach hi tha na. Sab kuch bilkul sach jaisa hi mehsoos ho raha tha. Us safed kamre se toh kahin jyada. Use ab kamre mein Shreya kahin nazar nahi aa rahi thi - Yahan kaise pahucha main?
Doctor - Relax thoda sa... aapka accident hua tha.
Rishabh - Accident!
Doctor - Relax Relax!
Rishabh ko doctor ki baat par yakeen nahi ho raha tha, woh kisi aur ke muh se yeh sab sunna chahta tha - Ahhh... woh... Shreya Ma'am... woh kahan gayi?
Doctor - Woh abhi... medicines lene gayi hain. Aati hongi.
Rishabh - Kaisa accident tha?
Doctor ne paas mein rakha ek clipboard uthaya - Jo mujhe bataya gaya... aap sadak par bhaag rahe they... aur ek bike aapse takra gayi.
Rishabh - Kab... uhh... Kab hua yeh sab?
Doctor - Teen din pehle.
Rishabh - Teen din? Kya din tha woh?
Doctor - 26th July... aap jyada sawaal na kare... aap bas apne mind ko thoda rest de.
Rishabh - Ahhh...
Doctor - Aap apna naam bolenge ek baar...
Rishabh - Rishabh...
Doctor - Good... good...
Rishabh - Doctor... ek aur question poochu...
Doctor - Haan sure...
Rishabh - Ummm... abhi aapne kuch der pehle mujhe Rohit kyun bulaya tha?
Doctor - Sorry woh meri galti thi... main naam mein confuse ho gaya tha.
Rishabh ka dimaag jaise sambhalta jaa raha tha, ab aisa lag raha tha jaise woh Rohit wali conversation usne bas sapne mein dekhi ho. Par tabhi dimaag mein ek question kaundha.
Rishabh - Woh... aapne kaha... ki mera accident... kisi bike se ho gaya tha? Woh bike kaun chala raha tha?
Doctor - Aap rest kariye please.
Rishabh - Please doctor... woh bike kaun chala raha tha? Aur uske saath kya hua?
Doctor ne idhar udhar dekha - Woh bike rider... ab nahi raha... Rohit... Rohit naam tha uska.
Rishabh ka sar fir se buri tarah dard karne laga aur aisa laga jaise use koi andar kahin kheench raha ho. Machine par tez ki beep ki sound hui, aur uski aankhen ek jhatke mein band ho gayi.
Posts: 107
Threads: 4
Likes Received: 223 in 79 posts
Likes Given: 155
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
16-10-2026, 11:22 PM
(This post was last modified: 16-10-2026, 11:54 PM by Celebrorn. Edited 3 times in total. Edited 3 times in total.)
Chapter 46
Rishabh wapas us safed jagah par tha. Woh apna sar pakadte hue khada hua. Abhi toh wahan bahar tha, aur fir wapas yahan. Bahar jahan sab kuch asli sa lag raha tha, aur yahan jahan... yeh jagah thi bhi kya?
Rohit - Kya hua? Kya pata chala?
Rishabh - Aapne mujhe wapas andar kheech liya kya? Par Kaise?
Rohit - Pata nahi... bas ho gaya! Tum itna time laga rahe they, toh main bas thoda sa... impatient ho gaya tha I guess. Par kuch pata chala ki kya ho raha hai?
Rishabh - Mujhe sochne do!
Rishabh Doctor ki kahin baaton ko sochne laga. Hospital... Accident... Bike... Rohit... Oh god! Rohit!
Rohit - Main jaakar dekhta hoon is baar!
Rishabh - Nahi nahi! Aap nahi jayo!
Par Rohit tab tak bahar pahuch chuka tha.
Nurse - Doctor ise fir se hosh aa raha hai!
Doctor - Main dekh raha hoon... Rishabh... Rishabh... tum theek ho na.
Rohit - Doctor... main kahan hu... aur kya hua hai mujhe?
Nurse - Abhi toh aapko doctor ne sab bataya tha!
Doctor - Nurse... aap bahar jaayo! Zara woh Doctor Singh ko bulana.
Nurse kamre se bahar chali gayi.
Doctor - Relax relax... maine tumhe kaha na ki abhi tum apne dimaag par stress mat daalo... kafi bada accident tha.
Rohit - Accident!
Doctor - Haan... woh bike accident. Tum apne kisi family member ka number de sakte ho? Hum unhe contact kar lenge.
Rohit - Meri Mom... woh yahin thi abhi... kahan ho woh?
Doctor hairaan hote hue - Ms Shreya? Tumhari Mom? Rishabh... woh tumhari Mom nahi hain. Tum rest karo.
Rohit ne pehli baar apne haathon ki taraf dekha, yeh patle se haath uske toh nahi lag rahe they. Woh kafi confused sa lag raha tha.
Itne mein ek aur Doctor kamre mein daakhil hua - Yes... kya progress hai?
Doctor - Sir... organ transplant ke baad body adjust karne mein struggle kar rahi hai.
Doctor Singh - Aisa kariye filhaal inki dose bada dijiye... shaam ko dubara dekhte hai?
Rohit ko samajh nahi aa raha tha woh kya bol rahe they. Organ Transplant? Kya transplant hua tha? Uske haath? Kuch ajeeb sa lag raha tha is poori body mein. Use clearly kyun nahi dikh raha tha.
Doctor - Are you sure Doctor? Dosage already kafi high hai.
Doctor Singh - I think it will help him heal faster.
Parde ke peeche se Nurse kamre mein dubara ghusi, aur Rohit ko wahin darwaze ke bahar ek aurat andar jhaankti hui dikhi. Kya woh Mom thi?
Rohit zor se chillaya - Mom!!! Mom!!!
Dono doctors turant uske saamne aa gaye aur uska view block ho gaya, aur kuch hi pal baad woh fir se behosh hu chuka tha.
Jab aankh khuli toh usne apne aap ko firse usi safed jagah par paaya.
Rishabh ki ghabrayi hui aawaz aayi - Maine aapko wapas nahi kheencha... mujhe nahi pata kheenchte bhi kaise hain!
Rohit - Hmmm... haan woh... nurse ne shayad fir se injection de diya tha.
Rohit khada hua soch raha tha ki yeh sab kya ho raha tha.
Rishabh - Aapko kya pata chala?
Rohit - Uhhh... pata nahi... woh kuch... accident ki baat kar rahe they... organ transplant... meri body ajeeb si thi. Jab tum hosh mein aaye they toh kya tum apni hi body mein they?
Rishabh - Haan... shayad... aapko kaise laga ki aap apni body mein nahi ho?
Rohit - Nahi mere haath... kafi patle they... bilkul... tumhare haathon ki tarah... uhhh... weird...
Rishabh gehri soch mein padh gaya - Mere haathon ki tarah?
Rohit - Haan... matlab... kafi wires aur instruments lage hue they, par definitely mere haath toh nahi they.
Rishabh - Hmmm.... organ transplant? Ok... kya isiliye...?
Rohit - Haan... koi bike accident? Tumhe koi bike accident yaad hai kya? Mujhe toh kuch yaad nahi aa raha.
Rishabh apne dimaag mein ek theory bana chuka tha, par woh theory soch kar hi uske rongte khade ho gaye they. Agar yahan rongte ho bhi sakte they toh.
Rohit ne Rishabh ki taraf dekha - Kya soch rahe ho tum?
Rishabh - Ummm... mere paas ek theory hai... par aapko achi nahi lagegi.
Rohit - Aliens? Science Experiment? Ya ab kya - Bhoot?
Rishabh ke chehre par halka sa darr aa gaya - Emmm... actually... woh last wala shabd na hi bolo toh acha hoga.
Rishabh mann hi mann ek jaap karne laga.
Rohit - Bologe bhi? Kya theory hai?
Rishabh - Ummm... toh.... Bike accident... Organ Transplant... Hospital... Bike Accident... Transplant... Doctor... get it?
Rohit - Kya bol raha hai? Mujhe kuch samajh nahi aa raha hai?
Rishabh - Ok Ok... toh... ummm... I think hum dono ka koi accident hua tha... teen din pehle... 26th July... emmm... fir... hum dono hospital pahuche... aur fir... aap... aur main... aur ab hum yahan hai.
Rohit ne jhunjhulate hue Rishabh ki taraf dekha - Accident... hospital... wahan tak samajh aaya... fir aage kya hua?
Rishabh ne Rohit ki taraf dekha, use samajh nahi aa raha tha yeh sab kaise possible tha aur woh use kaise bataye. Bas shayad jaldi se bol dena theek hoga. Usne ek gehri saans bhari aur ek saans mein poora bol gaya - Accident ke baad aapke organs mujh mein transplant kar diye gaye aur aapki death ho gayi aur ab aap kisi tarah se yahan meri body mein ho!
Rohit ne Rishabh ki taraf muh banate hue dekha, jaise woh pata nahi kya bakwaas kar raha ho, aur aakhir uske muh se zor se nikla - KYA NONSENSE BOL RAHE HO!
Posts: 38
Threads: 0
Likes Received: 34 in 21 posts
Likes Given: 2
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Dimag hila diya bhai... Superb story Plot
Posts: 6
Threads: 0
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 0
Joined: May 2026
Reputation:
0
Bhai ab jaldi se koi sex scene lao kaafi samay hogya hai
•
Posts: 198
Threads: 0
Likes Received: 26 in 26 posts
Likes Given: 8
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
Posts: 681
Threads: 0
Likes Received: 177 in 155 posts
Likes Given: 4,069
Joined: Apr 2019
Reputation:
6
Amazing scene creation and amazing detailing
What a twist.
Posts: 107
Threads: 4
Likes Received: 223 in 79 posts
Likes Given: 155
Joined: Jan 2026
Reputation:
6
Chapter 47
Rohit aur Rishabh apas mein behas kiye jaa rahe they. Time ka toh unhe yahan koi andaza nahi tha par behas kafi lambi khich chuki thi.
Rishabh poore josh mein bola - Nahi toh fir aapki kya explanation hai, aap batayo!?
Rohit - Mere paas koi explanation nahi hai filhaal! Par jo tumne explanation di hai woh koi sense hi nahi banati.
Rishabh - Nahi par aap soch kar toh dekho!
Rohit ne gusse mein ek gehri saans chhodi - Agar tumhari explanation sahi hai toh main soch kaise raha hoon!
Rishabh - Pata nahi... shayad aapke organs hai mere andar, isliye?
Rohit - Nahi! Ye bas ek nonsense sa sapna hai! Ek baar fir bahar jaakar dekhte hain.
Rishabh - Theek hai, main jaakar dekhta hoon!
Rohit - Nahi! Main jayunga.
Rishabh - Yeh body meri hai toh mind bhi mere control mein hona chahiye na.
Rohit ko gusse bhari hasi aa gayi - Abhi hume kuch nahi pata.
Rishabh - Hume pata hai! Aap marr chuke ho!
Rohit ne Rishabh ko ghoora aur Rishabh ko turant apni kahe shabdon ka ehsaas ho gaya.
Rishabh - I am sorry... mera woh matlab nahi tha. Main bas kehna chah raha tha ki agar meri theory sach hai toh.... toh... aapko yahan nahi hona chahiye. Yeh mera shareer hai.
Rohit - AGAR... AGAR... Agar... Agar tumhari theory sach bhi hai na... toh mere sacrifice ki wajah se hi tum aaj zinda ho. Aur is body mein mere bhi hisse hain!
Rishabh - Aise thodi na hota hai! Ek dimaag aur shareer mein do log kaise reh sakte hain!
Rohit - Yeh tumhara dimaag hai? Tabhi itna khaali hai?
Rishabh ka muh ek dam se utar gaya.
Rohit - Joke... Joke! (Doctor ki tone mein) Relax Relax! Waise yeh jagah hai bhi kya?
Rishabh - Maine ek film dekhi thi jab main chhota tha... usme woh ladka hota hai... aur use woh kaala aadmi aise hi koi jagah lekar aata hai.
Rohit ko kuch samajh nahi aaya ki woh kya keh raha tha aur usne haath ke ishaare se pucha ki woh kya kehna chahta tha.
Rishabh - Areee woh wali movie... jisme woh... end mein... goliyaan chalti hai... aur hero aise... slow motion mein peeche jhuk kar goliyon se bachta hai... aur fir end mein goliyon ko haath se rok leta hai.
Rishabh acting karte karte peeche jhuk gaya tha.
Rohit - Matrix!
Rishabh - Haan haan! Wohi Wali! Ye mera dimaag bilkul us kamre jaisa hai jahan kuch bhi ho sakta hai.
Rohit ne apni hasi dabate hue apna sar na mein hilaya - Unbelievable ho tum! Khair... main jaa kar aur pata karta hoon.
Rishabh - Agar aapko jaana hi hai toh... meri advice rahegi... ki... aap bas aankhen band kiye lete raho... kuch react mat karna. Nahi toh woh nurse fir se mujhe injection de degi... Ouchhhhh... bohot dard hota hai.
Rohit - Bas leta rahu?
Rishabh - Haan... unhe lagega ki aap behosh ho... par aap sab kuch clearly sun payoge.
Rohit - Hmmm... idea bura nahi hai... par Mom? Mujhe Mom ko dekhna hai...
Rohit ki aawaz end mein thodi udaas si ho gayi.
Rishabh ne dheemi aawaz mein kaha - Main... main samajh sakta hoon... par abhi filhaal please... hame bas meri theory confirm karni hai.
Rohit ne haan mein sar hilaya - Theek hai... main ready hoon.
Rishabh - Aap... pareshan mat hona... sab theek ho jayega.
Rishabh ko yeh bolte hi laga ki kaise theek ho jayega. Agar Rohit sach mein marr chuka tha toh sab kaise theek ho sakta tha.
Rohit ne apni aankhen band kari aur ek-do pal ke baad apne aapko usi shareer ke control mein paaya. Usne apni aankhen band rakhi par apni ungliyaan halke se hilayi.
Saath mein rakhi machine ekdam se beep beeep beep bol padi, aur Nurse fir se harkat mein aa gayi. Par usne dekha ki Rishabh ki aankhen abhi bhi band thi.
Doctor Saxena jaldi se kamre mein daakhil hue - Kya hua? Woh sound? Patient jag gaya hai kya?
Nurse - Kuch nahi doctor... woh abhi bhi so raha hai.
Doctor - Ok...
Doctor ne darwaze par khadi aurat ki taraf dekha - Shreya ji... aap ghar chali jaiye... aapko hospital aaye hue bhi bohot ghante ho chuke hain.
Shreya - Nahi... main yahin theek hu... hum ise kab tak aise... behosh rakhenge. Main baat nahi kar sakti kya usse?
Doctor - Hosh mein aate hi patient kafi unstable ho raha hai. Hume lagta hai abhi yehi better hai.
Shreya - Mujhe abhi bhi kuch samajh nahi aa raha... woh kabhi kehta hai ki woh Rishabh hai... aur kabhi mujhe Mom kehkar bula raha hota hai.
Doctor Saxena - Doctor Singh ko lagta hai bas temporary hai... body adjust kar rahi hai.
Shreya - Aapko kya lagta hai?
Doctor Saxena - Shreya ji... main aapki umeed samajh sakta hoon... aap ek mother ho. Par hume scientific facts toh manne hi padenge na. Rohit... I am sorry to say this... Rohit ab is duniya mein nahi hai. Par Rohit ki yaadein hamesha aapke aur uske loved ones ke saath rahengi.
Doctor sab bol toh raha tha par Shreya ki nazrein andar bed par pade Rishabh par tiki thi. Use andaza bhi nahi tha ki unki yeh conversation Rohit sun paa raha tha.
Rohit ne woh shabd sune par woh uske andar utre nahi. Woh bahar hi atke rahe, jaise woh kisi aur Rohit ki baat kar rahe hon.
Rohit ab is duniya mein nahi hai!
Woh toh yahin tha. Woh apni aankhen aur muh khol kar chilla kar kuch kehna chahta tha. Par pata nahi kyun aisa lag raha tha jaise sach mein yeh shareer uska na ho, aur woh is shareer par se apna control kho raha ho, bilkul bejaan padh raha ho. Kya jo woh sun raha tha woh sach tha? Kya woh sach mein marr chuka tha? Fir woh yahan kaise tha?
Uske seene mein jiska bhi dil tha woh tezi se dhadakne laga aur usne apni mutthi kas li. Shayad Rishabh ki theory bilkul theek thi, yeh uski body nahi Rishabh ki body thi. Uski aankhon se ek aansu ki boond nikal kar side mein tapka. Usne apni aankhen aur kas ke band kar li. Aisa laga jaise woh andhkaar mein jaa raha ho.
Tabhi aisa laga jaise use koi hila raha ho. Usne aakhen kholi toh saamne Rishabh tha, wahin us safed kamre mein.
Rohit ne aakhen kholi toh uska chehra poora safed pada tha.
Rishabh - Rohit... Rohit bhaiya... aap theek ho?
Rohit poori tarah lost tha - Hhh... haan... nahi... pata nahi...
Rohit ki shakal dekh kar Rishabh ko realize ho gaya ki Rohit sach confirm kar chuka tha - I am sorry...
Rohit abhi bhi kahin shoonye ki taraf dekh raha tha, woh samajh nahi paa raha tha woh kaisa mehsoos kare. Marna toh sabko ek din hota hai, par use toh apni maut tak yaad nahi thi. Sab kuch unreal sa lag raha tha.
Woh bas chup chaap us safed zameen par baith gaya. Usne apne aakhri yaad ko pakadne ki koshish ki. Mom ka birthday. Ghar roshniyon se bhara hua. Mom white aur golden saree mein, cake kat raha tha, uska haath pakde. Naina ne jaane se pehle Mom ko gale lagaya tha, aur use ishaare se bye bola tha. Usne socha tha ki bas ab kuch galat nahi ho sakta tha.
Fir kahan aur kaise yeh sab ho gaya tha. Usne kab ghar chhoda aur kab uski maut ho gayi.
Dimaag mein hazaro khayal chal rahe they. Mom... woh kaisi thi... uski death ne toh unhe buri tarah tod diya hoga. Kahin woh kuch... galat na kar baithe... nahi nahi... woh usse kafi jyada strong thi. Naina... kya woh use miss karegi?
Rishabh ne dheere se Rohit ke kandhe par haath rakha - Bhaiya... aap theek hai na.
Rohit ko realize hua ki Rishabh bhi wahin tha, ya shayad woh wahan tha Rishabh ke andar.
Rishabh - Main... main bhi pehle mara nahi... toh pata nahi kaisa feel hota hai... matlab... aapko kaisa feel ho raha hai.
Rohit ne Rishabh ki taraf ek tirchi nazar daali aur is ajeeb si jagah par is khaufnaak si news ke baad bhi use ek halki si hasi aa gayi - Pata nahi... mera bhi first time hi hai. Par haan... tumhari theory bilkul sahi thi.
Rishabh - Par abhi bhi samajh nahi paaya ki aap yahan kaise... shayad yeh mera dimaag hi hai... khaali sa...
Rohit ne kandhe uchkaye, uski aawaz mein abhi bhi ek khokhlapan tha - Pata nahi... shayad hum jo sochte hai life aur death ke baare mein, waisa real mein nahi hota... pata nahi...
Rishabh - Par ab kya? Ab kya karenge hum?
Rohit - Karenge kya? Yeh tumhari body hai... tum apni body par control le lo.
Rishabh - Aur aap?
Rohit - Pata nahi... aisa kuch heaven ya hell jaane ka raasta toh dikh nahi raha... main bas yahin baitha rahunga... chup chaap.
Rishabh - Hmmmm...
Rohit - Aur kahin jaa sakta toh chala jaata... par agar mujhe mare hue teen din se jyada ho chuke hain toh shayad unhone ab tak meri body bhi...
Rishabh - Hmmmm... shayad koi aur tareeka ho... kuch...
Rohit - Rishabh... please... mujhe thodi der akela chhod do... kabhi socha nahi tha ki apni hi death ki news ko process bhi karna padega.
Rishabh - Ji... main samajh sakta hoon... matlab nahi bhi... main jaata hoon.
Rishabh ne Rohit ki taraf dekha aur kuch palon baad woh use wahin akela baitha chhod kar apni body ka control le chuka tha. Usne ek gehri saans bhari aur apni aankhen nahi kholi. Use nahi pata tha ki bahar kaun tha. Par apne sar par ek behad soft sa haath mehsoos hua.
Usne apni aankhen dheere se kholi toh apne theek upar ek udaas sa dhundla sa chehra nazar aaya. Shreya Ma'am ka haath uske sar par tha.
Rishabh ki aankhen khulte dekh Shreya ne ekdam se apna haath peeche kheench liya par is baar machine ka zor zor ka shor nahi ho raha tha.
Shreya fusfusate hue mudi - Main Doctor ko bulati hoon.
Rishabh - Ma'am... nahi... rukiye...
Shreya ne palat kar Rishabh ki taraf dekha. Use shayad Ma'am ki jagah Mom sunna tha, aur uski aankhen bhar aayi thi.
Shreya - Rishabh... tum... tum theek ho...
Rishabh - Ma'am... ahh... main... aap theek hain?
Shreya ne na chahte hue bhi halke se haan mein sar hilaya.
Rishabh - Ma'am... Rohit...
Rohit ka naam sunte hi Shreya ke aansu uski aankhon se tapakne lage they.
Rishabh - Ma'am.... Rohit... yahin hai... mere andar...
Shreya ki aankhen fati ki fati reh gayi. Usne woh shabd toh Rishabh ke muh se sune they, par use unka matlab nahi samajh aa raha tha.
Posts: 243
Threads: 3
Likes Received: 92 in 86 posts
Likes Given: 162
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
Bhai wonderful update excited for further instances
•
Posts: 333
Threads: 0
Likes Received: 141 in 121 posts
Likes Given: 275
Joined: Jun 2021
Reputation:
0
•
Posts: 243
Threads: 3
Likes Received: 92 in 86 posts
Likes Given: 162
Joined: Nov 2024
Reputation:
0
•
|