Posts: 14,688
Threads: 250
Likes Received: 18,236 in 9,581 posts
Likes Given: 1,904
Joined: Nov 2018
Reputation:
381
Update 45
Sam: han jao yaar…nahi toh tumhara kaam nahi ho payega…
Divya: I love you Sam…main tumhe miss karungi…
Sam: I love you too…Main bhi miss karunga tumhe…
Fir divya ne sam ko hug kiya aur bye bol kar wahan se chali gayi…Aur Sam bhi apne ghar chala gaya…
Ab age…
Sam wahan se apne ghar chala gaya…wo boht khus tha…uske dil ko ek ajeeb sa sukoon mila tha…use samaj nahi a raha tha k yeh sab itna jaldi kaise ho gaya…
Sam(apne man mein): yeh sab itna jaldi kaise ho gaya…achanak yeh divya ka is tarah kiss karna aur propose karna…aur maine bhi itni jaldi han keh di…yaar yeh accident ke baad se mere sath ho kya raha hai…kahin main aur divya pehle se hi toh pyar nahi karte…par kisi ne itni badi baat mujhe batayi kion nahi…mom se puchunga toh wo pareshan hongi…kya karun…
Sam bas in sab sochon mein duba huya tha…use nahi pata tha k sab kya ho raha hai kion ho raha hai…par itna jarur pata tha k acha ho raha hai…
Udhar office mein Divya bilkul tension free thi aur khus thi…use pata tha k Sam Ko is waqt kus chijein yaad nahi hain…par yeh pata tha k wo bilkul hosh mein hai...isliye aj jo kus bhi huya aisa nahi tha k Sam use bhul jayega…is liye Divya boht khus thi....
Usne aj akhirkar apne pyar ka izhar kar hi diya…par jis andaz mein kiya use soch kar ab use khud se hi sharam a rahi thi…
Par han use ek baat ki fikar jarur thi k wo shakas kon hai jise dekh kar Sam itna upset ho gaya tha…aur wo Ashu ke sath kya kar raha tha…
Khair main ap logon ko bata dun k Ashu aur Neha ab Divya ki company mein job nahi karte the…balki Neha ke bhai ki company mein uski help karte the…kionk Neha ne apni family se Ashu ko milwa diya tha…aur sab ne use pasand bhi kar liya tha…
Chalo main bhi kahan ki baat ko kahan le gaya…toh yeh din Sam aur divya ka udhed bun mein hi nikal gaya…dono ko raat ko bhi dhang se neend nahi a rahi thi…
Divya(apne ap se): kya karun Sam ko phone karun yah na karun…agar wo so gaya hoga…1:00 baj raha hai…ek baar call karti hun agar utha liya toh thik hai nahi toh rehne dungi…
Yeh soch kar divya ne sam ko call kiya…aur Sam ne bina koi deri kiye…jhat se call pick kiya…
Divya: toh janab ap bhi meri hi call ka wait kar rahe the…
Sam: yaar wo main kab se tumhe phone karne ki soch raha tha par socha tum so gayi hogi toh nahi ki…itne mein tumne khud hi phone kar liya…
Divya: kamaal ki baat hai na main bhi yahi soch rahi thi…par socha karke dekh Lun…toh fir tumhe bhi neend nahi a rahi…
Sam(sad si tone mein): nahi a rahi yaar…
Divya(pyar se): acha kion nahi a rahi neend…kus huya hai kya…
Sam: han pyar ho gaya hai…
Divya: kisse…
Sam: hai koi pari…
Divya: praion se pyar nahi karte…ud jati hain…
Sam: main udne dunga tab na…
Sam ki baat par Divya hans padi aur sath mein sam bhi hans pada…aise hi kus der baatein karne ke baad dono so gaye….
Agli subaj jab Sam ki neend khuli toh wo kafi better feel kar raha tha…use aisa lag raha tha jaise aj ka din kus khas hone wala hai…khair sam washroom mein gaya aur brush bghera karke bahar aya…uski najar phone par padi toh Divya ka morning wish ka msg tha… use dekhte hi Sam ke chehre par muskan fail gayi…
Sam ne jhat se Divya ko call lagayi…Par dusri taraf Divya ki mom Divya se apni galatfehmi ko suljhane mein lagi thi…
Seema(serious hokar): beta tum janti ho na main tumse boht pyar karti hun…par pichle kus waqt se humare beech kus bhi normal nahi hai…Beta kya tum is bare mein mere sath thoda time baat kar sakti ho…
Divya(pyar se): mom apko meri kisi permission ki kabhi jarurat nahi hai…apko jo baat karni hai khul kar kariye…
Seema(Divya ka hath apne hath mein pakad kar): beta sabse pehle toh sorry…maine tumhare sath kitna bura behaviour kiya…
Divya(apni ke hath ko press karke): mom koi baat nahi…ap pareshan thi…aur vaise bhi galti toh meri hi thi na…
Seema: thanks beta…aur main…
Itne mein Divya ka phone baj utha…kionk unke piya ne unko yaad jo kiya tha…aur ekdum se Divya ke khile huye chehre ka rang ud gaya…use samaj nahi aya k kya kare…
Seema(Divya ko aise tension mein dekh kar): beta kya baat hai pareshan lag rahi ho…kiska phone hai utha kion nahi rahi…
Divya(haklate huye): mom wo kisi ka nahi hai…bas aise hi hoga koi…ap apni baat puri kijiye…
Divya ki baat sun kar aur uski shakal dekh kar Seema ki hansi nikal gayi…Divya confusion ke sath apni mom ki taraf dekhti rahi…itne mein seema kus aisa bol kar chali gayi jisse Divya ki khusi aur hairani ka koi thikana hi na raha…
Seema(hanste huye Divya ke gaal par hath rakh kar): beta phone utha Lo JAMAI RAJA naraz ho jayenge…
Yeh bol kar Seema uth kar bahar jane lagi aur Divya hairani se munh fade uski taraf dekhti rahi…Seema door tak jake ruki…
Seema: beta main naraz thi… par tum dono se pyar boht karti hun…mujhe tumhare aur Sam ke milne aur whatever jo tum log karte ho…koi gussa nahi hai…ulta main boht khus hun ab main jati hun ache se baat karna…
Yeh bol kar Seema ne door band kiya aur chali gayi…kus pal ke liye toh use kus samajh hi nahi aya…fir wo ekdum se uthi aur khusi ke mare nachne lagi…
Phone toh kab ka cut ho gaya tha aur Sam ka munh bhi utar chuka tha…par Divya ko ab na toh phone ki fikar thi aur nahi jarurat…use mom se license jo mil gaya tha…
Usne phone uthaya aur car ki keys uthayi…aur seedha Sam ke ghar ki taraf chal padi…Wo jaldi hi uske ghar pahunchi aur parking mein car khadi karke…pagalon ki tarah khusi se nachte huye Sam ke kamre mein ja ghusi…
Wo toh acha huya kisi ne use dekha nahi tha…kionk madam itni jyada khus thi k wo raat ko pehne huye dheele se top aur ek lower mein hi daudi chali ayi…
Sam udas sa chhat ki taraf munh karke apne bed par ankhein band karke leta huya tha…Divya seedha bed par gayi aur Sam ke upar ulti let gayi…
Sam ne jhat se ankhein kholi toh dekha k uske samne Divya ka chehra tha aur wo uske upar leti huyi thi…Sam ko laga wo koi sapna dekh raha hai…toh usne socha k wo apne chimti kaat kar dekhe…par iski jarurat hi nahi padi…
Kionk agle hi pal Divya ne apne gulabi aur naram honth Sam ke honthon par rakh diye…aur uske upar wale honth ko apni grifat mein le liya…
Sam ke hath khud wa khud Divya ki peeth par kaste chale gaya…Sam ne puri tarah se Divya ko apni bahon mein bhar liya aur kiss mein uska sath dene laga…
Dhire dhire dono ki kiss ne passionate roop le liye aur Divya ne apni jeebh Sam ke munh mein dakhil karwa di…ab Sam Divya ki jeebh se apni jeebh ke sath khelne laga…
Jab dono ko saans lena muskil ho gaya toh dono alag huye aur Sam ne Divya ko apne sath leta liya…Divya bhi uski taraf munh karke uske sath chipak kar let gayi…
Divya(Sam ke gaal par kiss karke): good morning babu…
Sam: isse achi morning kabhi nahi ho sakti…
Divya: jaan ab toh hamari subah roj aise hi hogi…ek dusre ki bahon mein…par shadi tak ka wait karna padega…
Sam: acha fir age ka kya irada hai…
Divya: boht hi nek irade hain…tumhe shadi karke puri umar ke liye kaid karne ke…
Sam(Divya ko aur apne se chipka kar): aj kya huya…itni jyada excited kion ho gayi ho…
Divya: kus nahi bas samjh lo k meri life mein aj se jyada khusi kabhi nahi ayi…Jaan kya aj tum mere liye time nikal sakte ho…
Divya ne yeh baat Sam ko bade pyar se kahi…uski ankhon mein sirf pyar tha sirf beinteha pyar…
Sam(divya ke honthon par halki si kiss karke): yaar tum kya puch rahi ho…meri puri life tumhari hai toh ek din ki kya khas baat hai…aj ka pura din tum jo kahogi wahi karenge…
Divya khus ho kar Sam ko fir se kiss karne Lagi…Usne blanket dono ke upar khincha aur khud Sam Ke upar sawar ho gayi…ab ander kya ho raha tha yeh toh main nahi keh sakta…par limit mein hi ho raha tha…
Yaar jyada dimag mat lagao sirf kiss yah kahe toh passionate kiss ho rahi thi…par itne mein Sam ke room ka door khula aur Simran ander ayi…
Usne bed ki taraf dekha toh use laga Sam so raha hai…kionk ander dono is tarah ek dusre mein ghuse pade the…k bahar se lag raha tha…koi do char pillow ko hug karke so raha hai…aur upar se koi movement bhi nahi ho rahi thi…
Simran ne apne mathe par hath mara aur blanket ekdum se utha di…blanket uthte hi teeno ke hosh bhi ud gaye…jab simran ne blanket uthayi toh Divya sam ke upar thi aur Sam niche se use hug karke leta huya tha…wo dono kiss kar rahe the…wo bhi kafi ap samaj hi gaye honge khair scene par ate hain…
Simran ko pehle toh embarrassment feel huyi…par kionk Sam aur Divya ki family open hai khas kar Sam aur Divya ke case mein…Toh wo gayi nahi…
Divya uth kar bed par hi khadi thi…aur Sam abhi bhi lete Huye hi idhar udhar dekh raha Tha…
Simran(Divya ke kapde dekh kar): Divya beta tum yahan raat mein kisi ko bina bataye?
Divya ki toh buri halat ho gayi thi…wo yeh bhi nahi bol payi k main abhi subah hi ayi hun…par uske bachaw ke liye uske piya ji jo the…
Sam(dari dabi si awaj mein): mom wo main…
Simran(halke gusse se): tum toh chup hi raho…mujhe tum dono se baat karni hai…par pehle jao tum dono washroom se munh dho kar ao…main yahin baithi hun…
Simran ki baat sunte hi Divya toh chali gayi par Sam wahin khada raha…Simran ne Sam ki taraf gusse se dekha toh sam bhi ander chala gaya…
Ander dono ek dusre se ankhein nahi mila pa rahe the…aur jab mirror mein dono ne khud ka chehra dekha toh unhein samajh a gaya k Simran ne unhein munh dhone ko kion kaha…kionk dono ne itni kisses barsa di k unke faces par har jagah thuk lag chuki thi…aur khud ko aise dekh kar dono ko aur jyada sharam ane lagi…
Khair dono ne munh dhoya aur bahar akar kisi murjim ki tarah Simran ke samne a kar khade Ho gaye…
Simran(un dono ki taraf dekh kar): toh Divya tum yahan sari raat iske sath thi…kisi ko pata tak nahi…yeh baat Seema ko pata hai…
Divya(ghabra kar): nahi aunty…
Simran(divya ki puri baat sune bina): beta aise nahi karte…hum logon ne kabhi tum dono ko roka nahi hai…par aisa bhi nahi hai k tum dono apni hi marji karte raho…seema ko agar pata chala toh use kitna bura lagega…
Simran ki baat se Sam ko laga k jarur uska aur Divya ka relation pehle se hai…par situation ko dekh kar usne abhi is baat par jyada gaur nahi kiya…
Divya: aunty main subah hi ayi thi…main toh abhi abhi ayi thi…but jo bhi apne dekha uske liye sorry…humein khud ko control karna chahiye tha…
Yeh bol kar Divya ki ankhon mein ansoo a gaye…simran se yeh kaise bardast hota usne Divya ko apne paas bithaya aur Sam ko bahar jane ke liye Ishara kiya…jise sam jaldi hi samjh gaya…
Simran(Divya ke ansoo ponch kar): beta sorry feel karne ki jarurat nahi hai…wo hamesha se tera hai aur tera ho rahega…par beta main sirf itna kehna chahti hun k…
Divya bhi ab rona chhod kar simran ke taraf dhyan se dekhne lagi…aur use bhi laga k Aunty ki advise leni chahiye…
Divya(apne ansoo poch kar): aunty ap jo kahengi main wo karungi…
Simran(ek lambi sans chhod kar): main bas itna kehna chahti hun k yeh sab door lock karke karna chahiye aur ek dusre ka face kam ganda karna chahiye…
Simran yeh bol kar jor jor se hasne lagi aur Divya bhi apna sir niche karke sharmate huye hasne lagi…
Simran: ok sorry beta…but koi baat nahi mujhe tum dono par pura trust hai...ab chalein nasta kar lete hain…
Divya(simran ke gale lag kar): ji aunty…and thanks…
Fir dono bahar chali gayin…ab Divya pehle se better feel kar rahi thi…aur wo dono breakfast ke liye Sam ko awaj dene lagi…par Sam wahan nahi tha…pure ghar mein dhundha par kahin nahi mila…Rajeev ne bhi use bahar dhundha garden backyard garage gym sab jagah par wo kahin nahi mila…
Ab yeh kahan gaya yeh toh baad mein hi pata chalega…
To be continued
•
Posts: 505
Threads: 0
Likes Received: 97 in 79 posts
Likes Given: 8,980
Joined: Mar 2019
Reputation:
6
This story is wonderfully crafted, and one can relate to the happenings in the sequence. Also, I somehow feel that towards the ending, it could have been drafted in a much better way rather to finish the whole ending in haste, another chapter or two could have been added.
But, this is awesome romantic story... Thanks mate
•