Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 3 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance BESHARAM by entertainerjatt - ( Completed)
#81
posting all one by one dear.

waiting for helping hands.
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#82
Update 33

Sam: yaar par kion nahi bana sakta…

Neha (ekdum se): kionk main use pyar karti hun aur koi kaise uski life mein a sakti hai…

Neha ki baat sunte hi Sam Hans pada…Aur Neha hairani se uski taraf dekhne lagi k Sam has kion raha hai...


Ab age…

Neha: kya huya ab has kion rahe ho…

Sam(hansi rok kar): hansu nahi toh aur kya karun…tum jab Ashu se itna pyar karti ho toh pehle hi maan jati…faltu mein mujhe jhuth bolna pada…

Ab neha bhi samjh gayi k baat kya hai…aur wo gussa hone ka natak karne lagi…

Neha(jhuthe gusse ke sath): acha toh tumne mujhe jhuth bola...main ab tumse baat nahi karungi…

Sam: dekho yaar ab main us baat ko toh badal nahi sakta…par agar tumhe jhuth acha nahi lagta toh use sach kar sakta hun…Ashu ko koi ladki dhundh deta hun…

Neha (Sam ko majak mein marte huye): tum na mujhse maar khaoge…koi ladki laye toh main tumhe jaan se maar dungi…

Sam: chal thik hai….par main toh Teri baat kar raha tha…ab rehne deta hun…

Ab bechari Neha ko kus samjh nahi a raha tha k wo kya bole kya nahi…Sam toh har baat ko usi ki taraf ghuma deta tha…

Neha(tang a kar): tumhara Jo man aye karo…par mujhse baat mat karo…

Sam: acha sorry yaar maafi chahta hun…main tumhari help karunga Ashu ko patane mein…ab khus…

Sam ki baar sun kar Neha ke chehre par smile a gayi…

Neha: pakka?

Sam: Han bilkul pakka…

Neha: OK toh fir thik hai…par abhi toh ghar chalo…

Sam: han yaar tumhe drop karke mujhe bhi ghar Jana hai…

Fir Sam ne car neha ke ghar ki taraf badha di…Neha rashta batati gayi…akhir neha ne ek ghar ke age car rukwayi…us ghar ko dekh kar lag raha tha k jarur kisi rich family ka ghar hai…

Khair Sam ne Neha ko good night wish kiya aur apne ghar ki taraf chal pada…

Ghar pahunch kar Sam jaise hi hall mein pahuncha toh usne dekha k Seema wahin sofe par baithi thi…wo Sam ko dekhte hi khus ho gayi…

Seema: are agaya beta tu…

Sam: han aunty…ap abhi tak soye nahi…

Seema: beta socha tere ane ke baad so jaun…nahi toh fikar mein neend bhi nahi ani thi…

Sam: are aunty main konsa koi bacha hun…ap fikar mat kiya kijiye...

Seema: OK baba…ab jaldi se jakar so ja…

Sam: OK aunty ap bhi so jao…good night…

Fir Seema ne bhi Good night wish kiya aur apne room ki taraf chali gayi…sam bhi apne room mein chala gaya…

Khair koi tha Jo chhup kar Sam aur Seema ki batein sun raha tha…sayad ap log samjh hi gaye honge k yeh Divya hi thi…asal mein jab Sam ghar nahi aya toh use fikar hone lagi…par dinning table par Seema aur Riya ki baton se use pata chala k wo Ashu ke sath uske ghar gaya hai…

Ab jab Sam ghar a gaya tha toh Divya bhi be fikar hokar apne room mein jakar so gayi…

Agle din Thursday subah sab dinning table par baithe nashta kar rahe the…

Seema: Sam tum kal apne dosto se mil aye…kaise hain Sab…

Sam: unko kya hona hai sab thik hain…

Seema: Acha vaise tumne toh kaha tha10:00 baje tak a jaoge…late kaise ho gaye…

Sam(khana Khate huye): wo aunty main Neha ko uske ghar chhodne gaya tha…

Sam ne Jaise hi yeh baat boli Divya ke toh gale mein khana atak gaya aur wo khansne lagi…Sam ne jhat se pani ka glass uthaya aur Divya ko diya…

Sam: aram se kha office do mint late chali Jana…

Divya(pani pi kar): tumhe kya main jab marji jaun…

Sam: aisa kya…abhi tumhare jane ka time ho gaya hai isliye bol raha tha…

Divya ko Sam ke sath Neha ke Jane se problem thi aur isliye wo gusse mein bhi thi…

Divya: main aj office nahi jaungi…tumhe kya…

Sam ko pata tha k Divya aise hi gusse mein bol rahi hai…Aur ab Sam ko bhi Divya ko chedne mein maja a raha tha…

Sam: mujhe kya nahi Jana toh mat jao…main toh chala…

Yeh bol kar Sam ne sabko bye kiya aur office ke liye nikal gaya…Divya gusse mein pair patakte huye apne room mein chali gayi…

Par room mein jate hi Divya ko laga k usne gusse mein Sam ko akele hi office bhej diya hai…

Divya(khud ko koste huye): le liya maja…gusse mein tujhe Kus samjh nahi ata na…ab bhej diya na Sam ko akele office ab wo Neha khub gappe ladayegi tere Sam ke sath…wo toh ab Sam ke dosto se bhi jaan pehchan badha rahi hai…aur tu baithi reh is kamre mein aur ab khud ko kosti reh…par jaun bhi toh kaise gusse mein bol toh diya k main aj office nahi jaungi par ab Sam ke bina dil nahi lag raha…

Divya apni hi baton mein fas gayi thi wo chup chap bed par baith gayi…wo Sam ke paas Jana chahti thi par khud ko galat sabit bhi nahi hone Dena chahti thi…

Udhar Sam office pahunch gaya tha…Usne office jate hi dekha k Ashu aur Neha ek jagah khade batein kar rahe the…

Sam(man mein): are wah yeh dono toh kafi khul gaye…achi baat hai lage raho…

Yeh bol kar Sam bina un dono ko disturbe kiye apne cabin mein chala gaya…

Tabhi uske dimag mein kus baat ayi…

Sam (apne man mein): yaar Divya ne chhoti si baat par itna jyada react kion kiya…sayad wo mere Neha ke sath raat ko Jane se jal gayi hogi…par ab kya karun wo toh munh fula kar ghar par hi baith gayi...main yahan bore hota rahunga…ab kya karun…

Sam ne kafi socha aur tabhi use kus idea aya aur usne Divya ko phone kiya…Divya ne thoda sochne ke baad phone pick kiya…

Divya(gusse ka natak karte huye): han bolo mera sir boht dard kar raha hai...

Sam(drama karte huye): oho tabhi tum aj office nahi ayi…mujhe laga k tum office aogi…par koi baat nahi main Neha se help le leta hun…

Neha ka naam sunte hi Divya ki sari akad hawa ho gayi…aur wo jhat se boli…

Divya: Sam kya help chahiye thi…bolo main bata deti hun…

Sam: are nahi yaar phone par discuss nahi kar paunga…

Divya(bed se khadi ho kar): are bas 15 mint ruko main abhi ayi…

Sam: yaar tumhara sir dard kar raha hai…main Neha se hi puch lunga tu aram kar….

Divya : Maine kaha na main abhi ati hun…Tum phone rakho main Abhi nikal rahi hun…

Yeh bol kar Divya ne khud hi phone kaat diya…aur apni car lekar office ke liye nikal padi…

Sam apne cabin mein baitha muskura raha tha…kionk Divya ki jaladbaji dekh kar use yakeen ho gaya tha k Divya uske liye kitni possessive hai…

Sam yeh sab soch hi raha tha k Tabhi Neha wahan a gayi…

Sam (neha ko dekh kar): are tum kaise ho…

Neha(smile dekar): main thik hun…

Sam: han bhai thik toh kion nahi hogi…subah subah Ashu se batein Jo kar rahi thi…

Neha: han yeh toh hai…usse baat karne ke baad mujhe alag sa sukoon milta hai…Jaise aur kus chahiye hi na ho…

Sam: ise hi toh pyar kehte hain…jab sirf mehbub hi puri duniya ban jaye…

Neha: han yaar bilkul sahi kaha mujhe bhi ab aisa hi mehsus ho raha hai…

Sam: toh ab tum use bol kion nahi deti…

Neha: kya?

Sam: I love you…

Sam ne jab last wali line kahi toh Divya usi waqt teji se Sam ke cabin mein dakhil huyi…aur Divya ko dekh Sam ki puri tarah se fat gayi…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#83
Quote:Originally Posted by Aryan sahu
Aur Ek Misunderstanding...
Lagta hai abb Divya Sam ki jaan le legi ....
Aue ek baat, Sam kabhi bhi apna pyar ka ehsash Divya ko hone hi nehi deta,Sayad divya ka v shaq karna bhi bilkul jayaj hai...
Nice yaar...

entertainerjatt
Thanks bhai....yeh Sam hai hi gadha...hamesha kus na kus ulta kar hi deta hai...
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#84
Update 34

Sam: toh ab tum use bol kion nahi deti…

Neha: kya?

Sam: I love you…

Sam ne jab last wali line kahi toh Divya usi waqt teji se Sam ke cabin mein dakhil huyi…aur Divya ko dekh Sam ki puri tarah se fat gayi…


Ab age…

Sam Divya ko dekhte hi pasine se tar hone laga…kionk use dar tha k kahin Divya ne kus sun na liya ho…khaskar last wali line…nahi toh Divya us par fir se shak karegi…

Par wo toh acha huya k jab Divya ne door khola tab tak Sam apni baat puri kar chuka tha aur Divya bhi itni jaldi mein thi k use kus sunayi nahi pad raha tha…toh Sam bach gaya…

Par jaise hi Divya ki najar Neha par padi toh usko boht bura laga k wo itni jaldi mein uske liye yahan ayi aur Sam ne Neha se hi help le li…isliye wo munh latka kar wapis Jane lagi…

Sam ne jaise hi yeh dekha toh wo Neha se bol pada…

Sam: neha main tumse baad mein baat karta hun abhi Divya se kus kaam hai mujhe…

Aur sath hi Sam ne piche ki aur ishara karke Neha ko Divya ke darshan karwa diye….Neha chup chap wahan se uthi aur bahar chali gayi…Divya Sam ki baat sun kar wahin ruk gayi thi…Neha ke bahar jate hi wo jakar Sam ke samne wali chair par baith gayi…

Sam: Divya tumhara sir dard tha toh tum rehne deti main manage kar leta…

Divya: nahi wo maine medicine leli thi isliye ab thik hai…tum batao kya puchna tha…

Sam: oh han main abhi files nikalta hun…

Fir Sam ne drawer se files nikali aur Divya ke samne rakh di aur wo aise hi kus na kus puchta raha…aur Divya uske swalon ka jawaab bade hi pyar se deti gayi…

Sam ko bada acha lag raha tha k Divya ka behavior uske liye thoda toh change huya…par use kya pata k Divya kabhi badli hi nahi…Sirf thoda boht naraj thi aur ab wo narajgi bhi dur ho chuki hai…

Khair aise hi Sam ne kayi swaal puche halanki unka answer Sam ko pata tha par fir bhi Divya se puchta gaya…

Baad mein Sam ne file rakhi aur apni chair par baith gaya…Divya abhi bhi wahin baithi thi…

Sam: Divya thanks yaar tum mere kehne par office mein ayi…

Divya: koi baat nahi mujhe vaise bhi ana hi tha….bore ho jati ghar par…toh ab main apne cabin mein chalti hun…agar fir se kus puchna ho toh jarur bata dena…

Sam: OK…

Fir Divya wahan se chali gayi…Sam ne yeh soch kar chain ki saans li k Divya ko shak nahi huya k Sam bekar se swaal puch raha tha…

Udhar Divya apne cabin mein jakar kus soch rahi thi…

Divya: Sam aise bachon wale swaal kion puch raha tha…aur yahan tak mujhe pata hai wo sab toh use mujhse bhi ache se pata hai…fir in bekar se swalon ke liye usne mujhe phone kion kiya…kahin wo mujhe yahan bulana toh nahi chahta tha…par wo aisa kion karega…sayad wo bhi meri hi tarah…

Yeh soch kar Divya ke chehre par ek cute si muskan a gayi…wo bilkul sahi soch rahi thi par uske paas koi proof nahi tha khud ki baat ko 100% sahi banane ka…aur Sam bhi toh kus nahi bol raha tha…wo abhi bhi nahi samjha tha…


Khair aise hi din nikalte gaye…yahan Sam aur Divya ke beech ek khamoshi thi…wo dono ek dusre ke liye tadap rahe the…wahin dusri taraf Ashu Aur Neha ke beech aisa Kus nahi tha…

Wo dono khul kar batein kar rahe the…ek dusre ke kareeb a rahe the…Ab dhire dhire Ashu ko bhi apne pyar ka ahsah ho raha tha par wo bolne se dar raha tha…

Khair ek din dono ne office se chhuti li aur ek restaurant mein chale Gaye…Ashu ne apni hasiyat se jyada kharach karke ek table book karwaya…us par boht sare flowers se decoration karwaya…

Khair jaise hi wo Neha ko lekar wahan pahuncha toh Neha yeh sab dekh kar boht khus ho gayi…

Neha(excited ho kar): so beautiful…tumne yeh sab mere liye kiya hai Ashu…

Ashu: han sirf tumhare liye…

Neha: tum bhi toh ho na…

Ashu: han sirf hum dono ke liye…chalo ao…

Fir Ashu Neha ko lekar table ke paas gaya…usne chair pull ki neha ko bethne ko kaha aur khud jakar Neha ke samne wali chair par baith gaya…

Neha: thanks Ashu…

Ashu: ab yeh thanks kis liye…

Neha: tumne mere liye itna sab kus kiya…

Ashu: ismein thanks ki kya baat…main tumse kus baat karna chahta tha…isliye tumhe yahan laya hun…

Neha ko bhi pata tha k Ashu kya baar karne wala hai…par wo usi ke munh se sunna chahti thi…

Neha: kab se bol rahe ho baat karni hai baat karni hai…ab bata bhi do k kya baat karni hai…

Ashu(nervous ho kar): wo neha main wo tumse kus kehna chahta hun…

Neha: kya kehna chahte ho…

Ashu: main wo…

Neha(Ashu ka hath apne hath mein pakad kar): kya wo wo laga rakha hai bol bhi do na…

Ashu ko apna hath Neha ke hath mein mehsus karke thoda acha mehsus huya aur confidence bhi mila…

Ashu: Neha…I…

Jaise hi Ashu ne bolna shuru kiya Neha ka dil nach utha…uski ankhon mein ajeeb si chamak thi…wo Ashu ke agle shabdon ka dil tham kar wait kar rahi thi…

Ashu(atakte huye): Neha I ….I…

Neha(pyar se): han Ashu bolo na kya bolna chahte ho…

Ashu: wo neha main wo…

Asal mein Ashu kabhi bhi ladkion ke chakar mein nahi pada tha wo toh college mein kabhi books se munh nikalta hi nahi tha toh ab Neha se baat karna uske liye Ji ka janjal bana huya tha…uski buri tarah se fati padi thi…

Neha ko laga k Ashu kus nahi bol payega…isliye wo thoda nirash ho gayi…aur apni chair se uth gayi…

Neha(dukhi man se): Ashu mujhe ghar Jana hai…main tumhe kal office mein milungi…

Ashu(wo bhi Neha ke paas jakar khada ho gaya): Neha plz baitho na yaar…

Neha: nahi yaar boht der ho gayi…mujhe ghar Jana hai…

Neha yeh bol kar wahan se Jane lagi…par tabhi Ashu ne bolna shuru kiya…

Ashu: Neha plz mat jao yaar aj bolne ki himmat badi muskil se juta paya hun…jab se tumhe dekha hai…tab se dil out of control ho gaya hai…pehle toh fir bhi thik tha par ab toh tum mujhse baat karti ho mujhse hansi majak karti ho toh man karta hai waqt wahin thehar jaye…bas tum aur main hi hon…aur koi bhi nahi…plz aj mat jao…agar aj na bol paya toh kabhi bhi nahi bol paunga…I LOVE YOU NEHA…

Ashu ne puri unchi awaj mein last ke words bole…Neha ka toh Jaise janam Lena safal ho gaya…ek pal ke liye wo sun si pad gayi…wahan maujud har ek shakhs ki najar sirf Ashu aur Neha par tiki huyi thi…

Neha ne apne dhadakte dil ke sath palat Ashu ki taraf dekha toh wo ek hath mein red rose liye apne ghutno ke bal baitha tha…Ashu ki ankhon mein besabari thi…sayad wo Neha ke answer ka wait kar raha tha…usne bina kus soche Jo dil mein aya bol diya tha…ab uski halat us student ki tarah thi…jo paper mein bina padhne jate hain aur kus bhi likh kar answer sheat bhar dete hain aur baad mein baghban se paas karwane ke liye pray karte hain...

Neha ne kus nahi bola wo bas Ashu ke paas gayi…aur pyar se uske hath se gulab liya…aur kapati awaj mein boli…sayad boht jyada emotional ho gayi thi…

Neha: I love you too Ashu…

Ashu ne jaise hi Neha ka reply Suna toh uska dil ek pal ke liye dhadakna band hi ho gaya…aur agle hi pal kisi bullet train Ji tarah speed pakad di…Ashu ki khusi ka koi thikana nahi tha…use samjh nahi a rahi thi k wo kya bole kya kare…wo khada huya aur bas Neha ko apni bahon mein bhar liya….

Sab logon ne in dono ke liye taliyan bajayi…Neha ne bhi Ashu ko apni bahon mein samet sa liya…wo dono ek dusre se aise lipate pade the Jaise dono kabhi bhi alag na hona chahte hon…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#85
Quote:Originally Posted by samrocker
yaara tum na ladko ka image nae rakte ho yaar
humaesha ladke se kyu bulvate ho uff tum neha se bhi tho bulvasakte the
bahut dino baad comment kar raha hun
esa comment karunga mei khud expect nae kiya

entertainerjatt
Bhai yeh apki soch hai...aur ise image nahi ego kehte hain...aur ladke isliye aksar pehle propose karte hain..kionk wo ladkion se kam nervous hote hain...but Maine kaisa likha hai mujhe pata hai...ab sab ko khus toh nahi kar sakte na...par fir bhi sorry par Maine apna best diya hai...
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#86
Update 35

Ashu ne jaise hi Neha ka reply Suna toh uska dil ek pal ke liye dhadakna band hi ho gaya…aur agle hi pal kisi bullet train Ji tarah speed pakad di…Ashu ki khusi ka koi thikana nahi tha…use samjh nahi a rahi thi k wo kya bole kya kare…wo khada huya aur bas Neha ko apni bahon mein bhar liya….

Sab logon ne in dono ke liye taliyan bajayi…Neha ne bhi Ashu ko apni bahon mein samet sa liya…wo dono ek dusre se aise lipate pade the Jaise dono kabhi bhi alag na hona chahte hon…


Ab age…

Kafi der aise hi rehne ke baad dono alag huye aur jab itne sare logon ki taraf neha ka dhyan gaya toh wo sharma gayi...aur uske gore gaal laal ho gaye…

Yeh dekh kar Ashu ke hontho par muskan tair gayi…Neha ki khubsurati ko dekh use aur bhi jyada pyar a raha tha aur wo lagatar uski taraf dekhe ja raha tha…

Yeh dekh kar Neha ko pehle toh sharam ayi par usne Ashu se puch hi liya…

Neha(sharmate huye): aise kya dekh rahe ho…

Ashu: kus nahi bas dekh raha hun k tumhari khubsurati ko kis tarah ankun…koi shabad nahi mil rahe jisse tumhari tareef kar sakun…

Yeh sun kar Neha toh mano ander se khusi ke mare nachne lagi par bahar se wo sharam ke karan jameen mein dhasi ja rahi thi…

Ashu(pyar se): Neha ek baat puchun…

Neha(najrein jameen ki taraf kiye huye): han pucho…

Ashu: tum mujhe kabhi chhod kar toh nahi jaogi na…

Ashu ki yeh baat sunte hi Neha ne apni najrein upar ki aur Ashu ki ankhon mein dekha…Neha ki ankhon mein sirf Ashu ke liye pyar najar a raha tha…wo kus boli nahi par Ashu uski ankhon mein dekh kar samjh gaya k Neha usse kitna jyada pyar karti hai…

Khair in dono ne wahan lunch kiya aur apne apne ghar chale Gaye…udhar office mein Sam bore ho raha tha kionk na toh Ashu tha aur na Neha thi…

Uska aj kaam mein man nahi lag raha tha…usne apni mom ko call kiya…aur Simran ne bhi jaldi hi call pick kar liya…

Simran: kya baat hai beta koi pareshani hai kya…

Sam(hairani se): mom apko kaise pata chala…

Simran: are beta maa hun main tumhari…aur vaise bhi tu kabhi is time phone nahi lagata toh jarur koi khas baat hi hogi…

Sam(halka sa muskura kar): ap toh boht samjhdar ho…asal mein mujhe ek baat samjh mein nahi a rahi…

Simran: bol beta kya baat hai aisi…

Sam: mom pichle kus Dino se Divya ka behavior mere sath kus acha hai…aur ab wo mujh par baat baat par gussa bhi nahi karti hai…

Simran: toh ismein kya hai…yeh toh achi baat hai…

Sam: mom wo toh hai par mujhe kus samjh nahi a raha k Divya se baat karne ke liye yeh time sahi hai yah nahi…

Simran: beta time kabhi bhi sahi galat nahi hota…sahi galat toh hum hote hain…agar hum apna dimag khol kar baat karein toh kus bhi galat nahi hota…

Sam: maa main kus samjha nahi…

Simran: beta main bas yeh bolna chahti hun k tum bas apne dil se bolo aur soch samjh kar bolo k tumhari baat se Divya ko koi dukh na pahunche…dekhna sab thik ho jayega…

Sam: samjh gaya mom…main puri kosish karunga k purani batein na ho...

Simran: han beta agar tum dono unhi baton ko leke baithe rahoge toh kus bhi thik nahi hoga…ek nayi suruwat karo…

Sam: thanks mom…I love you…

Simran: love you too beta…

Sam: bye mom take care…

Fir simran ne bhi bye bola aur phone kaat diya…Sam ki samjh mein yeh toh a gaya tha k use purani baton ko chhod kar ek nayi suruwat karni hogi…par yeh samjh nahi a raha tha k Divya se baat kaise Kare…

Sam( khud se): Yaar ab Divya se baat kaise karun…par baat toh karni hi padegi chup chap baith kar toh kus hone wala nahi hai…ek kaam karta hun use kahin leke chalta hun…agar Jane ke liye maan gayi toh sayad maaf bhi karde…

Yeh soch kar Sam apne Cabin se nikla aur Divya ke cabin ki taraf chal pada…

Divya apne cabin mein chair par baithi kus soch rahi thi…

Divya(apne ap se): yaar Sam toh kus bolta hi nahi…lagta hai mujhe khud hi kus karna padega…wo toh bas idhar udhar ki batein karta rehta hai…mujhe hi use batana padega k kitna pyar karti hun main usse…nahi toh pehle ki tarah kahin mujhe chhod kar na chala jaye is baar toh mar hi jaungi…

Abhi Divya yeh sab soch hi rahi thi k itne mein Sam wahan a gaya…Sam ko dekhte hi Divya ke hothon par smile a gayi aur uske deemag ki sari soch sari tension dur ho gayi…

Sam thoda ghabraya sa Divya ke samne a kar khada ho gaya…Sam ne aj tak kabhi kisi ladki ko yeh sab nahi kaha tha toh use boht nervousness ho rahi thi…aur isi karn use AC mein bhi pasina a raha tha…

Divya(Sam ki halat dekh kar): kya huya sab thik toh hai na…tum aise ghabraye huye kion lag rahe ho…

Sam ne jaise hi Divya ki baat suni toh uski halat aur jyada patli ho gayi k wo kya bole…

Sam: wo main wo tumse kus baat karne aya tha…

Divya: han toh bolo na aur pehle baitho…

Divya ki baat sunte hi Sam aise jhat se baith gaya jaise koi chota bacha apni maa ki baat sun kar baith gaya ho…


Sam ne baithte hi apna pasina rumaal se saaf kiya aur lambi lambi sans li…Divya yeh dekh kar soch rahi thi k Sam akhir kar kya raha hai…akhirkar Sam apni puri himmat jutane ke baad bola…bola kya usne toh mano chhod diya top ka gola…

Sam: Divya kya tum mere sath date pe chalogi…

Sam ki baat sunte hi Divya ka munh khula ka khula reh gaya…aisa nahi tha k Divya ko bura laga par jis tarah se Sam ne bola wo boht ajeeb tha…kionk koi aise kisi ladki ko date ke liye puchta hai kya…aur aise ek dum se toh koi maut ki khabar bhi nahi deta…

Divya(hairani se): kya bol rahe ho…

Divya ki baat sunte hi Sam ko bhi samajh a gaya k usne toh ek dum se bomb fod diya hai…aur ab wo apni baat ko cover karne ki kosish karne laga…

Sam(sochte huye): wo mera matlab tha k kya tum mere sath coffee ke liye bahar chalogi…

Ab Divya bhi apne ap ko sambhal chuki thi…aur ander hi ander boht khus bhi thi k Sam ne use date ke liye pucha…aur ab wo usse khul kar ache se baat kar sakti thi…

Divya abhi yeh sab soch hi rahi thi par Sam uski khamosi ka galat matlab samjh gaya aur dukhi man se bola..

Sam: koi baat nahi agar tum nahi chahti ho toh rehne dete hain…

Divya: yaar aisi baat nahi hai…asal mein main bhi tumse kus kehna chahti thi toh chalte hain par sorry aj nahi…

Divya ki baat sun kar Sam boht khus hua…

Sam: thanks yaar…toh kal ko chalna hai kya…

Neha: han kal ko pakka…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#87
Update 36


Divya: yaar aisi baat nahi hai…asal mein main bhi tumse kus kehna chahti thi toh chalte hain par sorry aj nahi…

Divya ki baat sun kar Sam boht khus hua…

Sam: thanks yaar…toh kal ko chalna hai kya…

Neha: han kal ko pakka…


Ab age…

Sam: OK toh ab main chalta hun…

Divya: OK…

Sam apne cabin ki taraf chala gaya…ab use itna toh yakeen ho gaya tha k ab Divya use maaf kar rahi hai…aur wo kafi khus bhi tha…

Sham ko jab Sam aur Divya ghar pahunche toh dono khus the…aur Seema se behtar yeh baat aur koi nahi samajh sakta tha…

Seema ne jab dekha k dono boht khus lag rahe hain toh use bhi badi khusi huyi aur wo Sam ke kamre mein usse uski khusi ka karan Janne ke liye chali gayi…

Sam abhi washroom se fresh hokar nikla tha aur apne kapde pehan kar bed par baitha tha…

Seema: are beta change kar bhi liya…

Sam: han aunty…

Seema: aj bade khus lag rahe ho kya baat hai…

Sam: aunty baat toh boht achi hai…

Seema: acha toh fir mujhe bhi batao k kya baat hai…

Fir Sam ne seema ko puri baat batayi…Aur Seema bhi is baat se boht khus thi k akhir dono baat karne wale hain…aur kya pata dono ki berang jindagi firse hari bhari ho jaye…

Seema: beta bada acha kiya tune…akhir Divya se ek din toh baat karni hi thi…ab toh Divya bhi tumse naraz nahi hai…

Sam: han aunty ab bas sab thik ho jayega…

Seema: jarur beta…

Fir Seema wahan se chali gayi aur Sam bhi apne kamre se nikal kar Riya aur Sahil ke kamre ki taraf chala gaya…wahan un dono ke sath full masti ki aur fir dinner karke Sab apne apne kamron mein chale gaye…

Next day Sunday sab breakfast kar rahe the…

Sam(Divya se): Divya toh kab chalein hum…

Divya(kus soch kar): dopehar mein chalte hain 11:00 baje…

Riya: kahan Jana hai ap dono ko…

Sahil: han humein bhi leke chaliye na…

Seema(halke gusse se): wo dono kisi jaruri kaam se ja rahe hain…tum dono chup chap nashta karo…

Seema ki baat sunte hi wo dono chup chap nashta karne lage…fir sab ne nashta Khatam kiya aur apne apne room mein chale gaye…

Dopehar ko 11:00 baje Sam aur Divya ko coffee ke kiye Jana tha toh wo dono tyar hokar nikal pade…

Dono khus the k akhirkar dono ek sath kahin akele ja rahe hain aur sayad Sab kus thik ho jaye…Divya baithi yeh sab soch rahi thi…wo baar baar muskura rahi thi…jaise wo pagal ko gayi ho…

Aise hi pura rashta khatam huya aur dono apni manjil par pahunch gaye…Sam car se utra aur usne dusri taraf jakar Divya ke liye door khola...aur apna ek hath age badaya…Divya ne uska hath pakda aur muskura kar car se utri…

Fir Sam Divya ko sath lekar ek coffee shop ke ander gaya…Wahan ek waiter ne un dono ka welcome kiya aur Sam ke book kiye table par baitha diya…

Sam ne do coffee order ki aur wo waiter wahan se chala gaya…thodi der baad wo waiter un dono ko coffee serve karne ke baad wahan se chala gaya…

Ab Sam aur Divya ko koi disturbe nahi karne wala tha…wo dono ab akele the…sayad isliye dono nervous bhi the…un dono ko kus samaj nahi a raha tha k baat kaise shuru karein…

Sam abhi soch hi raha tha k kaise wo Divya se baat shuru kare…itne mein Divya hi bol padi…

Divya(apni coffee ka cup uthate huye): Sam toh ab bolo kya baat karne aye ho…

Sam: han wo…main tumse hamare bare mein baat karna chahta tha…

Divya(Sam ki taraf dekh kar): hamare bare mein?

Sam: han…

Divya: aisi kya baat hai jo tum mujhe yahan laye ho…

Sam(ek lambi sans lekar): Divya main ghuma fira kar baat nahi karunga…main yahan India tumhe manane aya tha…

Yeh sun kar Divya ko jhatka laga kionk Seema ne use kaha tha k Sam ko uske papa ne office ke kaam ke liye bheja hai…

Divya(hairani se): tumhe uncle ne nahi bheja kya…

Sam: nahi main yahan tumhe manane aya tha…nahi toh main tumhare ghar mein rukne ki jagah apne ghar mein na ruk jata…

Divya: toh fir mom ne jhuth kion bola tha…

Sam: kionk wo nahi chahti thin k tum mujhe ghar mein rehne se mana kar do…

Divya Sam aur Seema ki kosishon ko galat samaj gayi thi…use laga k Sam Jo kus bhi uske liye kar raha tha wo sab planned tha…aur sayad wo bhi sahi hi thi kionk adha toh planned tha par wo kiya toh usi ke liye hi tha…Usko manane ke liye …par sab ulta ho gaya tha kionk ab Divya ko lag raha tha k Sam Jo kus bhi uske sath acha kar raha tha sab natak tha…

Divya(halke gusse se): toh tum aur mom milkar mujhe bewkoof bana rahe the…tumhara India ana…hamare ghar rukna…office ana…shimla jana…sab plan ka hissa tha…

Sam: nahi yaar ismein koi plan nahi tha main toh bas apne relation ko ek aur chance dena chahta tha…

Divya: nahi Sam tum sirf mujhe dubara dukh dena chahte the…maine socha tum badal gaye ho…tum apni galti maan loge par nahi tum toh mujhe fasane ki planning kar rahe the…taki Jo kasar reh gayi thi use pura kar sako…

Sam: Divya dekho tum galat samjh rahi ho aur ek saal Pehle bhi aisa hi kus huya tha…plz dobara wo galti mat karo…

Divya(gusse se): tumhara matlab hamesha main hi galat hoti hun…us waqt bhi mujha laga tha k tum apni galti manoge aur aj bhi lag raha tha…par main us waqt bhi galat thi aur aj bhi galat hun…tumhe sirf mujhe galat thehrana ata hai…

Divya ab boht unchi awaj mein bol rahi thi…aur as paas baithe sabhi log un dono ki taraf hi dekh rahe the…

Sam(as paas logon ko dekh kar): Divya plz chup raho…kion tamasha kar rahi ho…

Divya(tikhe sawar mein): Sam tum duniya ke sabse bade dokhebaz ho…hamesha mujhe apni chikni chupdi baton mein fasa kar dokha dete ho…main hi pagal hun Jo har baar tumhari baton mein a jati hun…par ab nahi ab mujhe pata chal chuka hai k tum kaise ghatiya insan ho…

Sam bhale hi yeh bol kar aya ho k wo Divya se jhagda nahi karega par koi insan bina galti ke kitna sun sakta hai…toh Sam bhi aur bardast na kar paya wo chup chap table se utha aur Divya ke hath mein car ki keys de di…

Sam(shant tone mein): aram se ghar chali Jana…chot mat kha Lena…meri jimedari par ayi ho toh aunty mujhe gali degi…toh plz dhyan se gadi chalana…

Yeh bol kar Sam ki ankhon mein ansoo a gaye aur wo apne ansoo saaf karte huye coffee shop se bahar chala gaya…par uski baat ne Divya ko ek dum shant kar diya…

Divya apne hath mein keys liye Sam ko jate huye dekh rahi thi…use lag raha tha k uska dil uske sine se nikal kar kahin ja raha hai…ek baar socha k wo Sam ko awaj dekar Rok le…par agar hosh mein ho tab toh roke…

Sam ki akhri kahi huyi baat ne pata nahi kya kiya k Divya sun si pad gayi kionk usne Sam ko itna sunaya par Sam use aram se ghar Jane ko bol kar nikal gaya…

Par Jaise hi use hosh aya toh wo gabhra gayi k Sam kahan chala gaya hoga…aur wo jaldi se uth kar bahar ki taraf bhagi par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#88
Quote:Originally Posted by ashiq119
Bhai dildaariya puri ho gayi read karke story mast thi but ye story ka concept different rakhna romance thora zyada dikhana or agar is story me b villain he to thora hatke dikhana bas yahi request he apse baki story apki he u knows better how to write it
entertainerjatt
Apki baton par gaur karunga bhai
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#89
Quote:
Yuvrajkumbhare

Ye kya kar diya Divya ne Sam ko hi galat bol diya hai....!!!
Bechara Sam ke Anko me Ansoo ha gaye...
Divya bahut gusss ho gayi hai.....ab sam kya karega....!!!!
 Sam Rote huye bahar chal gay hai....!!!
Divya ab Pachata rahi hai....
Pyar ke panchi tadap rahe hai....!!!
Divya ko apni galati ka Ehsas hua hai ab kya sam ko mana legi ????
Ya aur jada akad dikayegi....!!!
Superb , fabulous update Sidhu paji....
Ha..ha..ha..
☺☺☺

Always keep smile.....!!!
Always Be happy Dear....!!
!
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#90
Update 37


Sam ki akhri kahi huyi baat ne pata nahi kya kiya k Divya sun si pad gayi kionk usne Sam ko itna sunaya par Sam use aram se ghar Jane ko bol kar nikal gaya…

Par Jaise hi use hosh aya toh wo gabhra gayi k Sam kahan chala gaya hoga…aur wo jaldi se uth kar bahar ki taraf bhagi par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…


Ab age…

Divya boht jyada pareshan ho gayi aur idhar udhar dekhne lagi…par Sam kahin dikhayi nahi de raha tha…

Divya(jor se): Sam kahan ho tum…plz mujhe pareshan mat karo…mere paas a jao main gusse mein kus jyada hi bol gayi…mujhe maaf kardo plz…

Usne kayi baar awaj di….boht idhar udhar dhundha par Sam use kahin najar nahi aya…wo ab boht jyada pareshan ho gayi thi…

Uski ankhon mein ansoo aur dil mein apne kiye ka boht jyada dukh tha…

Divya(apna matha pakad kar): yeh maine kya kar diya…ab use kahan dhundhun….agar usne kus galat kar liya toh main toh jinde ji mar jaungi…mujhe use dhundhna hoga…

Yeh soch kar Divya hadbadi mein apni car nikalti hai aur Sam ko dhundhne chal padti hai…

Usne boht dhundha par Sam nahi mila…

Divya(pareshan hokar): ab kya karun wo toh mil hi nahi raha…kya pata kahan hoga…ghar par bataun yah nahi…par agar bataungi toh mom pareshan ho jayengi…par agar na bataya toh akele Sam ko kaise dhundhu…oh God plz help me…

Divya yeh sab sochte huye age badhi ja rahi thi…tabhi use beech road mein logon ki bheed lagi dikhayi di…ek toh wo pehle se pareshan thi…upar se log sadak ko roke khade the…

Divya horn pe horn bajaye ja rahi thi…par wo log koi dhyan hi nahi de rahe the…akhir tang a kar Divya apni car se nikli aur gusse se us bheed ki taraf chal padi…

Divya(badbadate huye): najane log kion har jagah bheed laga kar khade ho jate hain…jaise bas isi kaam ke liye paida huye ho…

Divya un logon ko koste huye wahan pahunchi…aur wahan khade ek admi se boli…

Divya: bhaiya kya huya hai itne sare log yahan aise kion ikathe huye hain…

Admi: wo kisi ladke ka accident huya hai…

Yeh sun kar Divya ka gussa thanda ho gaya…kionk kisi ki jaan ka swaal tha…

Divya: toh fir ise hospital kion nahi leja rahe….

Admi: ab madam aise pange mein kon padega…yahan koi ise bachayega…kya pata usi ko is case mein lapet liya jaye…

Divya: jaise apki marji…

Yeh bol kar Divya wahan se jane lagi…thodi dur ja kar use aisa laga k use dekhna chahiye k kon hai….par wo Sam ko dhundhna chahti thi…par akhir kar wo us bheed ki taraf dobara chal padi…

Wo bheed ko chirte huye jaise jaise age badh rahi thi…uski dhadakne tez hoti ja rahi thin…ek anjana sa dar mehsus ho raha tha…

Divya jaise hi us jakhmi ladke ke paas pahunchi toh samne ka najara dekh uski rooh tak kamp uthi…ap sab samaj hi gaye honge k kya huya…

Samne Sam jameen par gira huya tha…uske mathe se khoon bahe ja raha tha…wo behosh tha…aur sab log hijdon ki tarah khade dekh rahe the…par Divya kaise apni jaan ko is halat mein dekh sakti thi…

Divya ki ankhon se jara jar ansoo behne lage…Aur wo Sam ke paas daud kar gayi aur usko hilane lagi…

Divya(rote huye): Sam kya huya yeh sab kaise huya…utho Sam…Mujhe maaf kardo plz…

Fir divya rote huye wahan khade logon ki taraf dekh kar hath jod kar boli…

Divya: plz koi meri help kijiye…yeh mere mangetar hain…inki jaan khatre mein hai…plz koi meri car tak inhein le jane mein help kar dijiye..

Divya ki baat sun kar 3-4 admi aye aur Sam ko utha kar Divya ki car ki taraf le chale…aur fir un logon ne Sam ko back seat par litaya…aur usko girne se bachane ke liye Divya ne seat thodi piche ko kardi….aur fir driving seat par baith kar car teji se hospital ki taraf badha di...

Divya jaise taise hospital pahunchi….aur wahan wo staff ki help se Sam ko car se stretcher Ke jariye hospital mein leke gayi…Wahan Sam ko bed par lita kar icu ki taraf lejane lage…

Divya bhi sath sath chal rahi thi aur lagatar roye ja rahi thi…

Divya(siskate huye): doctor plz ise bacha lijiye agar ise kus ho gaya toh main apne ap ko jindagi bhar maaf nahi kar paungi…

Doctor: dekhiye mam inhein lane mein kafi der ho chuki hai aur khoon jyada beh gaya hai toh main apko pakka nahi bata sakta…inke bachne ke chances kam hain…par main apni puri kosish karunga…

Doctor ki baat sunte hi Divya ke pairon mein jaise jaan bachi hi na ho…aur wo bed ko chhod wahin ek bench par baith gayi aur Sam ko ICU mein lejaya gaya….

Divya boht dar chuki thi…use pata tha k agar ghar par yeh pata chala k yeh sab uski wajah se huya hai toh sab use boht dantenge…is liye usne ghar par bhi phone nahi kiya…aur wahin baithi apna sir pakad kar roti rahi…

Kafi der ho chuki thi…5:00 pm ho chuke the…par Sam aur Divya abhi tak ghar nahi pahunche the…isliye Seema ko boht fikar ho rahi thi…

Seema(ghadi dekhte huye): kitni der ho gayi hai yeh dono abhi tak ghar kion nahi aye…phone karke puchun kya…

Yeh soch kar Seema ne Sam ko call kiya…par Sam ka phone toh wahin accident ke time tut gaya tha…isliye switch off a raha tha…

Seema ko ab aur jyada dar lagne laga…uski fikar badhti ja rahi thi…Seema ne iske baad Divya ke phone par call kiya…

Seema ka number dekhte hi Divya ka dar ke mare bura haal tha…par wo phone kaat toh nahi sakti thi…usne himmat karke phone pick kiya…

Divya(apne ap ko normal karke): hlo…

Seema: beta tum dono abhi tak aye kion nahi…aur Sam ka phone kion switch off a raha hai…jaldi se meri baat karwao usse…

Seema ki baat sunte hi Divya ki ankhon mein ruke huye ansoo beh nikle…aur usne rona shuru ka diya…aur Seema ko bhi yeh mehsus ho gaya k kus gadbad hai…ab uska man aur ghabrane laga…

Seema: beta kya huya ro kion rahi ho…Sam ne kus kaha kya…

Divya(rote huye): mom Sam ka accident ho gaya hai…abhi wo xxx hospital mein ICU mein hai…

Yeh sunte hi Seema ke paon ke tale se jameen khisak gayi…uski ankhon ke age andhera cha gaya…aur wo wahin gutno ke bal baith gayi…

Divya(Seema ki awaj na sunkar): mom kya huya ap kus bol kion nahi rahe ho...ap thik toh ho na…

Seema(dabi si awaj mein): han main abhi hospital ati hun…

Yeh bol kar Seema ne phone kaat diya aur wo himmat karke khadi huyi aur bahar ki taraf chal padi…usne driver se gadi nikalne ko kaha…

Driver ne gadi nikali aur Seema usmein baith kar Hospital ke liye nikal gayi…usne gadi mein baithte hi Driver ko hospital ka naam btaya aur mobile nikal kar Simran(Sam ki mom) ko call kiya…

Simran(call pick karte huye): hlo seema kaisi Ho…

Seema: Simi dekh jyada time nahi hai…mere paas…bas tu aur jiju jaldi se india a jao…Sam ka accident huya hai…

Yeh baat sunte hi Simran ka dil boht ghabrane laga…use samjh nahi a raha tha k wo kya kare…kionk itni jaldi toh wo ja bhi nahi sakti thi…par usne himmat rakhi aur seema se pucha…

Simran: Abhi kaisa hai wo…

Seema: pata nahi mujhe bhi abhi pata chala hai…main hospital ja rahi hun…

Simran: thik hai uska dhyan rakhna hum bhi jaldi hi ane ki try karte hain…

Yeh bol kar simran ne phone kaat diya aur apne husband ko call karke puri baat batayi…aur Sam ke papa ko bhi boht jayada fikar huyi…unhone bola k wo abhi tickets ka intzam karte hain…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#91
Update 38


Simran: thik hai uska dhyan rakhna hum bhi jaldi hi ane ki try karte hain…

Yeh bol kar simran ne phone kaat diya aur apne husband ko call karke puri baat batayi…aur Sam ke papa ko bhi boht jayada fikar huyi…unhone bola k wo abhi tickets ka intzam karte hain…


Ab age…

Seema jaise hi hospital pahunchi toh wo daudati huyi ICU ki taraf gayi…wahan Bahar ek bench par Divya baithi thi…uski ankhein lal ho chuki thin…ro ro kar bura haal tha…

Seema ko dekhte hi Divya uth kar uski taraf bhaagi aur gale lag kar rone lagi…

Seema(sir par hath ferte huye): beta chup ho jao…sab thik ho jayega…

Divya(rote huye): mom yeh sab meri galti hai…mujhe aisa nahi karna chahiye tha…

Divya ki baat sunte hi Seema ko ek bada jhatka laga…wo soch mein pad gayi k Divya ne kya kar diya…wo Divya se alag ho kar uski taraf hairani se dekhne lagi…

Seema(hairani se): beta kya bol rahi ho…tumhari wajah se kaise?

Ab Divya apni mom se kus nahi chupana chahti thi toh usne ek gehri sanas lekar bolna shuru kiya aur sab kus bata diya…

Seema yeh sab sunne ke baad bhi gusse aur hairani ke bhaw chehre par liye khadi thi…par wo na toh hospital mein koi tamasha karna chahti thi aur na hi aise waqt jab Sam jindagi aur maut ke beech lad raha tha wo faltu ki baton mein apna dhyan lgana chahti thi…par use Divya ki aisi harkat par gussa toh tha…

Seema(berukhi se): Sam kahan hai…

Seema ki awaj mein berukhi Divya ache se samaj gayi thi par usne kus nahi kaha aur ICU ki taraf ishara karke bata diya…aur bench par dukhi dil ke sath baith gayi…

Seema ICU ki taraf chal padi…wo ander toh ja nahi sakti thi toh bahar hi idhar udhar ghumane lagi aur beshabri se kisi ke bahar ane ka intzar karne lagi…taki Sam ke bare mein puch sake…

Kafi time baad ek doctor bahar nikla…aur use dekhte hi Seema uski taraf gayi…

Seema: doctor Sam kaisa hai ab…

Doctor: abhi toh operation chal raha hai…abhi kus keh nahi sakte…vaise bhi patient ki condition jyada achi nahi hai…chhot kafi lagi hai…aur khoon bhi boht beh chuka hai…

Yeh bol kar doctor toh wahan se nikal gaya…par Seema ko boht jyada pareshan kar gaya…aj use Divya par sach mein boht gussa a raha tha…usne ek baar gusse se Divya ki taraf dekha toh wo apni ankhon se ansoo bahaye ja rahi thi…par Seema ne apni najrein fer lin…

Aise hi kafi time nikal gaya…Raat ke 9:00 baj rahe the…Divya ke phone par ghar se call aya…Divya ne apni ankhein saaf karte huye pick kiya…

Riya(samne se): di kahan ho ap sab…mom bhi nahi hai…

Divya(khud ko normal rakhne ki kosish karte huye): beta hum jara bahar aye huye hain…office ka kus kaam hai…

Riya:par di mom bhi ghar par nahi hain…

Divya: wo bhi hamare sath hi hain…company unke hi naam par hai toh unki bhi jarurat thi…

Riya: ok di kab tak ghar aoge…

Divya: pata nahi aisa karo mom se baat karlo…

Yeh bol kar Divya seema ke paas gayi aur darte darte boli…

Divya: mom Riya ka phone hai…

Divya ki baat sunte hi Seema ne ek baar toh Divya ki taraf dekha aur bina kus kahe phone pakad liya…

Seema: hlo han beta…

Riya: mom apka kaam kab khatam hoga…

Seema(hairani se): konsa kaam…

Riya: are mom di ne bataya k ap log office ke kisi kaam mein busy hain…

Seema: Han beta kus kaam hai…beta aisa karti hun Divya ko ghar bhej deti hun…

Riya: ji mom…

Yeh bol kar Riya ne phone kaat diya…aur Seema ne Divya ko uska phone wapis kar diya...

Seema(rukhi si awaj mein): tum ghar chali jao…

Divya: par mom Sam…

Seema(halke gusse se): tumhe uski itni fikar karne ki koi jarurat nahi hai…main hun yahan uska khyal rakhne ke liye…

Seema ki baat seedha Divya ke dil par lagi…par wo kus bol bhi nahi sakti thi…kionk usne Sam ke liye apne sabhi haq khud hi khoye the…Isliye wo bina kus bole wahan se jane lagi…

Seema: aur han sun dhyan se jana…

Divya ok keh kar wahan se nikal gayi…Seema ki last wali baat se use thodi tasali mili k wo jaldi hi maan jayegi…toh uske man ka bojh bhi kus halka huya…

Seema wahan parshan si thi…kionk ek taraf uska pyara Sam beta ander jindagi aur maut se lad raha tha toh dusri taraf Divya ghar akele ja rahi thi ek toh andhera ho gaya tha upar se wo janti thi k Divya aj dopehar se hi boht pareshan thi…

Seema bhale kitna bhi gussa dikhaye par maa akhir maa hi hoti hai…isliye use tension ho rahi thi…

Khair Divya thik thak ghar pahunch gayi aur car park karke Sam ki fikar mein khoyi huyi ghar ke ander gayi…Sahil aur Riya dono wahin hall mein baithe wait kar rahe the…

Jaise hi Divya ander enter huyi toh dono daud kar usse lipat gaye…

Divya: are kya huya tum dono ko…

Riya: di ghar mein akele dar lag raha tha…

Divya: are itne sare servants toh hain…

Sahil: par ap teeno mein se toh koi nahi tha na…

Divya(sahil ke gaal khinch kar): are mera baby kitni badi badi batein karne laga hai…acha yeh batao tum dono ne dinner kiya hai kya…

Riya: nahi di apka hi wait kar rahe the…

Divya: chalo fir jaldi se baitho aur khana khao…

Fir wo teeno dinning table par baithe…Divya ka khana khane ka bilkul mood nahi tha…isliye usne bola k wo kha kar ayi hai…

Khair uske baad teeno apne apne kamre mein ja kar so gaye…par Divya ki raat badi bhari aur lambi hone wali thi…

To be continued...
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#92
Update 39


Divya: chalo fir jaldi se baitho aur khana khao…

Fir wo teeno dinning table par baithe…Divya ka khana khane ka bilkul mood nahi tha…isliye usne bola k wo kha kar ayi hai…

Khair uske baad teeno apne apne kamre mein ja kar so gaye…par Divya ki raat badi bhari aur lambi hone wali thi…


Ab age…

Divya ko puri raat neend nahi ayi…wo bas Sam ke bare mein hi sochti rahi…wo apne kamre mein idhar se udhar ghumti rahi…

Hospital mein Seema ki halat bhi kus aisi hi thi…wo pareshan thi k ek baar fir Sam aur Divya ka rishta fail raha…

Aur ab use is rishte ka bajood hi khatre mein lag raha tha…kionk ab use yeh lag raha tha k jab Sam ke parents ko pata chalega k Divya ki galti se Sam ki aisi halat ho gayi hai toh wo log na jane kya sochenge…

Ab puri tarah se baat Sam ke mom dad ke upar hi depend karti thi…ab intzar tha toh sirf un ke ane ka…khair Simran ka phone aya tha k wo aj der raat tak pahunch jayenge…

Seema bas ICU ke bahar baith kar is baat ka intzar kar rahi thi k koi use akar bol de k Sam bilkul thik hai…

Par Sam ki abhi tak halat koi jyada thik nahi thi…adhi raat hone ko thi…Seema chup chap gehri soch mein khoyi baithi thi…

Tabhi Simran aur Rajeev Tej kadmon ke sath hospital mein enter huye aur Seema ko dekh uske paas chale gaye...

Seema bhi Simran ko dekh bench se uthi aur uske gale lag gayi…apni saheli ko lagbhag ek saal baad mil kar uski ankhon mein ansoo a gaye…par use samjh nahi a raha tha k wo uske ane par khus ho yah fir ane ke karan par dukhi ho…

Simran(Seema se alag ho kar): yeh sab kaise ho gaya…aur kahan hai mera bacha…

Seema ne ICU ki taraf ishara kiya…Simran daudti huyi ICU ki taraf gayi aur usne apne bete ko dekhne ki kosish ki par dekh nahi payi…

Seema ki ankhon mein ansoo the…Simran ne toh rona hi shuru kar diya tha…Rajeev uske paas gaya aur use hausla dene ke liye hug kiya…

Rajeev: Kus nahi hoga hamare bete ko sab thik ho jayega…tum himmat se kaam lo...

Simran(rote huye): kya ho gaya yeh sab…mere ko agar kus ho gaya toh main kaise jinda rahungi kiske bharose jinda rahungi…

Rajeev: kus nahi hoga use…sher beta hai wo mera…dekhna jaldi hi thik ho jayega…fir mere sath ladna bhi toh hoga na use…

Rajeev ki baat sun kar Simran ke face par halki si smile a gayi par ek maa ka dil itni asani se nahi manta toh uske dimag mein yeh baat bar bar a rahi thi k uska beta ICU mein jindagi aur maut ke beech lad raha hai…

Khair ab wo log kus kar toh nahi sakte the sirf prey karne ke ilawa…Simran aur Rajeev bhi wahin jakar baith gaye yahan Seema baithi thi…

Simran(bench par baithte huye): Divya kahan hai…

Seema: wo Riya aur Sahil baar baar phone kar rahe the…isliye Maine use ghar bejh diya…

Seema ne Simran ko sach nahi bataya kionk abhi wo kus nahi bolna chahti thi aur Sam ke theek hone ke baad hi baat karna chahti thi…

Simran: acha kiya nahi toh bache ghar par akele reh jate…

Seema: han yeh toh hai…vaise tumne ane ke baad btaya nahi main gadi bhej deti…

Simran: nahi wo inhone(Rajeev) ghar phone kar ke driver ko car lane ko bol diya tha…

Seema: fir thik hai…

Abhi wo log baat kar hi rahe the k itne mein doctor bahar aya…Doctor ko dekhte hi Rajeev uth kar uske paas gaya…

Rajeev: doctor mera beta kaisa hai…

Doctor: ji ap patient ke pita ho…

Rajeev: ji…

Doctor: toh plz ap mere sath chaliye mujhe apse kus baat karni hai…

Rajeev: ji thik hai…

Fir Rajeev us doctor ke sath uske cabin mein chala gaya…Doctor apni chair par baitha aur Rajeev ko bhi baithne ko kaha…

Rajeev(baith kar): ji boliye kya baat karni hai…sab thik toh hai na…

Doctor: ji mujhe apke bete ke bare mein baat karni hai…

Rajeev: ji boliye…

Doctor: dekhiye patient ki halat mein kus improvement toh huyi hai par sir mein kayi injuries hain…toh

Rajeev(ghabra kar): toh kya doctor… wo thik toh ho jayega na…

Doctor: han thik toh ho jayega…par agar jaldi hosh na aya toh coma mein bhi ja Sakta hai…aur yah fir yaadast bhi ja sakti hai…

Doctor ki baat sun kar Rajeev ko kafi bada jhatka laga use laga jaise uske pairon ke tale se jameen khisak gayi ho…

Wo kus bol bhi nahi pa raha tha…khair usne doctor se ijajat li aur bahar chala aya…Uske chehre se hi pata chal raha tha k wo kafi pareshan hai…

Simran: kya huya apko aur ap doctor ke sath kahan gaye the….kya bola doctor…sab thik toh hai na…

Rajeev ne puri baat in dono ko bhi bata di aur ab unki halat bhi Rajeev jaisi yah sayad usse bhi buri thi…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#93
Quote:
Yuvrajkumbhare

Shandar update bhai.....!!!
sam ki yadast gaya to divya ko kaise pahen karega.....!!!
vo sab se kaise react karega....!!!
divya ke sath kaise bartav kareg......bechari pahile hi pyar me chot khayi hai aur usko dard de rah hai.....
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#94
Update 40


Wo kus bol bhi nahi pa raha tha…khair usne doctor se ijajat li aur bahar chala aya…Uske chehre se hi pata chal raha tha k wo kafi pareshan hai…

Simran: kya huya apko aur ap doctor ke sath kahan gaye the….kya bola doctor…sab thik toh hai na…

Rajeev ne puri baat in dono ko bhi bata di aur ab unki halat bhi Rajeev jaisi yah sayad usse bhi buri thi…


Ab age…

Simran(rote huye): ab kya hoga mere bache ka…

Rajeev: kus nahi hoga…hum ache se ache doctor ko dikhayenge…jitna paisa lagega laga denge…par mera beta bilkul thik hoga…

Simran(ansoo pochte huye): han bilkul sahi kaha apne…hamare bête ko hum kus nahi hone denge…

Rajeev: toh fir shant ho jao aur hausla rakho…

Simran: ab main nahi roungi…

Fir Simran Seema ke pas ja kar baith gayi…udhar ghar par Divya boht pareshan thi…use bilkul bhi andaza nahi tha k Sam ki condition an kaisi hai…

Divya(khud se): najane kaisa hoga wo…hosh aya hai yah nahi…abhi toh mom bhi naraz hain nahi toh unse puch leti…

Divya aise hi tension mein rahi…aur puri raat room mein idhar se udhar ghum kar nikali…

Subah tak Sam ko hosh nahi aya…puri family pareshan thi…hospital mein teeno hi mojud the…

Ghar par Divya ne dono bachon ko nashta karne ke baad school bheja aur khud bina kus khaye piye hospital ke liye nikal gayi…

Hospital pahunchte hi uski mulakat Rajeev aur simran se huyi…Divya ne un dono ke pair chuye…

Simran: kaisi ho beta…

Divya: thik hun aunty…ab kab aye…

Simran: kal raat ko hi a Gaye the…tab tak tum ghar ja chuki thi…

Divya: aunty ab Sam kaisa hai…

Abhi Rajeev uski baat ka jwab Dene hi wala tha k ek nurse bhagti huyi seema ke paas ayi aur un teeno ka dhyan bhi us taraf gaya…

Nusre: mam patient ko hosh a gaya hai…

Nurse ki baat sun kar Sab khus ho Gaye…

Rajeev: wo ab bilkul thik hai kya…

Nurse: ji han par ap ek baar doctor se mil lijiye…unhone ne kaha tha…

Rajeev(halki santusti ke sath): sure…

Yeh bol kar Rajeev doctor ke cabin ki taraf chala gaya…Usne doctor se ander ane ki permission li aur chair par ja kar baith gaya…

Rajeev: ji boliye doctor…

Doctor: asal mein mujhe apko kus btana hai…

Yeh sun kar Rajeev ko thodi fikar hone lagi…

Rajeev: ji Sab thik toh hai na…

Doctor: WO baat yeh hai k apke bete ke brain ko chhot ke karan jyada toh nahi par thoda boht nuksan pahuncha hai…

Rajeev: kya matlab…

Doctor: Matlab yeh k uski memory gayi toh nahi par sayad WO kus incident yah fir kisi person ko bhool gaya ho…

Rajeev yeh baat sun kar gehri chinta mein dub gaya…

Rajeev: iska koi ilaj?

Doctor: ilaj toh dhire dhire hi hoga par ap logon ko thoda dhyan rakhna padega…agar wo kisi shakhs ko na pehchane toh use yaad dilane ki kosish mat kariyega…

Rajeev: par yeh kaise pata chalega…wo kya bhul gaya hai aur kya yaad hai…

Doctor: ab yeh toh wahi bata Sakta hai…

Rajeev: par kya ab hum usse mil sakte hain…

Doctor: han jarur par meri baat ka dhyan rakhiyega nahi toh uski Jaan ko khatra ho Sakta hai…

Fir Rajeev bahar chala gaya aur puri baat baki sab ko bhi bata di…sab kafi pareshan huye…par is baat ki khusi bhi thi k ab wo log Sam ko mil sakte hain…

Sab ander Sam ke paas gaye toh wo leta huya tha…uske sir par patiyan bandhi huyi thin…aisa lag raha tha jaise wo confuse sa leta huya ho…

Rajeev(Sam ke paas pahunch kar): kaisa hai beta ab…

Sam(halki awaj mein): thik hun dad…

Simran Sam ke paas gayi aur uske chehre par hath fera…Simran ki ankhon mein ansoo the…

Sam: are mom ro kion rahi ho…main thik hun na ab…

Itne mein Divya bol padi…

Divya: Sam ab tum thik ho na…

Sam ek bar Divya ki taraf dekha…fir thode upari man se bola…

Sam: ji thik hun…par sorry Maine apko pehchana nahi…ap kon ho…

Sam ki baat sun kar ek baar sab shock reh gaye…Divya ki toh mano duniya hi lut gayi ho…use sab khatam hota najar a raha tha…

Divya ka chehra ek dum se utar gaya tha…Sam ne bhi yeh notice kiya…par agle hi pal usne apne dimag par thoda jor dala…

Sam: sayad Maine apko kahin dekha hai…par yaad nahi a raha…aur pata nahi kion koi incident mere dimag mein clear nahi hi…jaise adhi chijein bhul gaya hun…

Simran: beta dimag par jyada pressure mat daal…wo chhot ki wajah se ho gaya hoga…sab thik ho jayega…aur yeh meri childhood friend ki beti hai…isi ne tumhari jaan bachayi hai…wo(seema ki taraf ishara karke) meri friend hai

Sam: oh thanks…apne meri jaan bachayi…aur namaste aunty apko toh main mila hun par kab yeh yaad nahi…

Ab Sam ko baki sab toh yaad the par Divya nahi aur uski life ke kua important incidents bhi…ab age wo kis kis ko pehchanega yeh toh baad mein hi pata chalega…

Sam: mom mere sath huya kya tha main yahan kaise pahuncha…yeh chhot kaise lagi kus bhi yaad nahi a raha…

Simran: beta Maine kaha na jyada soch mat aram kar…aur ab hum log bahar jate hain tu shant ho kar let ja jaldi aram milega…

Yeh bol kar sab bahar chale Gaye taki Sam aram kar sake…

To be continued
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#95
Update 41


Sam: mom mere sath huya kya tha main yahan kaise pahuncha…yeh chhot kaise lagi kus bhi yaad nahi a raha…

Simran: beta Maine kaha na jyada soch mat aram kar…aur ab hum log bahar jate hain tu shant ho kar let ja jaldi aram milega…

Yeh bol kar sab bahar chale Gaye taki Sam aram kar sake…


Ab age…


Sam ko wahan aram ke liye chhod kar sab bahar chale gaye…Rajeev Doctor ke paas gaya…

Doctor: kya patient ne kus alag behavior kiya…

Rajeev: han…par iska ilaj kaise hoga…

Doctor: vaise toh kus khas nahi kar sakte…kus dwayian aur thoda dhyan rakhna hoga…

Rajeev: usko ghar kab leja sakte hain…

Doctor: abhi wo puri tarah se thik nahi hai…1-2 din aur rakhna hoga…uske baad wo ghar ja Sakta hai…

Rajeev: OK…

Fir Rajeev bahar chala gaya…aur bahar ja kar yahi baat baki Sab ko bhi bata di…

Simran: par ab kya karenge…wo toh Divya ko bhi nahi pehchan raha…

Rajeev: yahi toh problem hai…par kar bhi kya sakte…

Divya: koi baat nahi aunty…main usse dur reh sakti hun par uske bina nahi…

Yeh bol kar Divya ki ankho mein ansoo a gaye…aur wo wahan se chali gayi…

Simran(Divya ko rokne ke liye): are beta kahan ja rahi ho…

Seema(berukhi se): kus nahi hoga use Jane do…

Seema ke bolne ka tarika Simran ko thoda ajeeb laga…par usne koi jyada dhyan nahi diya…

Divya wahan se bahar chali gayi…wo wahan aur jyada time nahi ruk sakti thi…isliye usne apni car uthayi aur ghar ki taraf chal padi…

Ab wo ruk kar karti hi kya…jiske liye gayi thi wo toh pehchan hi nahi raha tha…Divya aj boht jyada dukhi thi…uske dil par jo beet rahi thi use wo khud hi samaj sakti thi…

Sayad is sab ke liye wo khud hi jimedar thi…wo kehte hain na jab koi cheej ap se cheen jati hai uske baad hi apko uski keemat ka andaza hota hai…yahi Divya ke sath bhi huya…jab tak Sam uske paas tha toh use uske pyar ki kadar nahi thi…aur aj jab Sam use aur uske pyar ko bhul chuka tha toh use uski kami mehsus ho rahi thi…

Khair Divya ghar chali gayi…wo bilkul tut chuki thi…aj jab Riya aur Sahil ghar aye toh un dono ko bhi sach bata diya gaya…

Wo dono bhi Sam se milne hospital gaye…Sam ne un dono ko bhi nahi pehchana aur Simran ne unka intro Sam ko diya…

Kus dino ke baad Sam ko ghar le jaya gaya…Sabhi Dosto ko jab is bare mein khabar mili toh wo bhi Sam ka haal chaal puchne aye…

Sam ne apne dosto ko badi asani se pehchan liya tha…Neha ko chhod kar…

Sab Sam ka pata lene ate par Divya kabhi nahi gayi thi…wo bas apne kamre mein baithi roti rehti thi…office bhi kam hi jati thi…wo puri tarah se tut chuki thi…

Sam ke accident ko 15-16 din ho gaye the…ab Sam bilkul thik ho gaya tha…physically toh thik tha par memory abhi bhi vaisi hi thi…

Ek din Simran Sam ke bedroom mein uske paas baithi thi…tabhi Sam ke deemag mein ek baat ayi…

Sam: mom wo Seema aunty ki beti ka kya naam hai…

Simran: Riya…

Sam: are mom wo toh mujhe pata hai…main toh badi ka puch raha hun…

Simran(halka sa muskura kar): acha Divya…par tu kion puch raha hai…

Sam: mom wo toh main soch raha tha k sab mujhse milne ate hain par wo kabhi nahi ayi…aisa kion?

Sam ki baat sunte hi Simran ka dimag soch mein pad gaya k wo kya jwaab de…simran ko pata tha k Divya kion nahi ati…par yeh baat wo sam ko nahi bata sakti thi…

Simran(jhuth bolte huye): beta wo kaam mein busy rehti hogi…

Sam: han yeh bhi hai…par mom usne meri jaan bachayi hai…main usse ek baar milna chahta hun…

Simran: beta koi baat nahi mil lena…main use bata dungi wo yahan a jayegi…

Sam: nahi mom use kus mat batana…hum uske ghar jayenge…isse use jyada acha lagega…

Simran(kus soch kar): han thik hai…hum jayenge uske ghar…ab khus…

Sam(simran ke gale lag kar): han mom…thanks…

Simran: ok ok…par jana kab hai yeh bhi toh batao…

Sam: dekhte hain…kal ko chalein kya…

Simran: chal thik hai…vaise bhi kal ko Sunday hai…

Sam: ok fir done…Dad ko bhi leke chalenge…Teeno jayenge ek sath…

Simran: han pakka…ab ok bye mujhe kaam karna hai…

To be continued….
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#96
Update 42


Sam: dekhte hain…kal ko chalein kya…

Simran: chal thik hai…vaise bhi kal ko Sunday hai…

Sam: ok fir done…Dad ko bhi leke chalenge…Teeno jayenge ek sath…

Simran: han pakka…ab ok bye mujhe kaam karna hai…


Ab age…


Toh Sunday wale din Sam apne mom Dad ke sath Divya ke ghar jane ko tyar tha…wo tyar hokar bahar nikla toh uske mom Dad uska hi wait kar rahe the…

Rajeev: toh chalein beta…

Sam: han dad chaliye…

Fir wo teeno car se Divya ke ghar ki taraf chal pade…Simran ne yeh baat seema ko bata di thi k wo log uske ghar ane wale hain…

Divya ko Seema ne nahi bataya tha…kionk wo usse baat hi nahi karti thi…

Lagbhag 9:30 baje wo log Divya ke ghar pahunch gaye…Baki sab toh Unke welcome ke liye bahar a gaye…par Divya ko koi khabar sar nahi thi…

Seema(khus hote huye): are acha huya tum logon ko bhi hamare ghar ane ka time mila…

Simran: yaar aisi baat nahi hai…tumhe pata toh hai ghar ke kamon se fursat Hi kahan milti hai…

Seema: han yeh toh hai…toh Sam beta tumhari tabiyat ab kaisi hai…

Sam: aunty ab pehle se better hun…Riya aur Sahil tum dono kaise ho…

Riya: ek dum thik bhaiya…ap toh humein bhul ho gaye…

Sahil: sahi kaha Riya…yeh toh hamare ghar ate hi nahi hain…

Riya aur Sahil ne bhale hi normally bola ho…par Sam ko laga mano yeh sab uske sath pehle bhi ho chuka hai…par kab aur kahan yeh use nahi pata tha…aur isi baat ki soch mein wo kho sa gaya tha…tabhi use is tarah soch mein dube dekh kar Simran ne uska dhyan hatane ke liye bola…

Simran: toh kya ab hum log ander chalein…

Sam: han han chaliye…

Fir sabhi ander aye…Seema ne un logon ko hall mein baithne ko kaha aur naukar ko pani lane ko bola…

Simran(idhar udhar dekh kar): Seema kya baat hai Divya kahin najar nahi a rahi…

Seema: wo ander hai apne room mein…

Simran: toh fir use bulao na…hum log usi ko toh milne aye hain…

Seema: Riya jao di ko bula kar lao…

Riya: Ok mom….

itna bol kar Riya wahan se chali gayi…Divya apne room mein roj ki tarah gum sum si baithi thi…

Riya(divya ke paas ja kar): di mom ne apko niche bulaya hai…

Divya(Riya ki taraf dekh kar)kion kya huya…

Riya: Di simran aunty aur Rajeev uncle aye hain…

Divya(beman se): chalo thik hai toh main ati hun…

Itna bol kar Riya wahan se chali gayi…Riya ne Sam ke bare mein nahi bataya…kionk wo Divya ko surprise dena chahti thi…

Divya utra sa munh leke bahar hall mein gayi aur bina kisi ki taraf dhyan diye…Simran se boli…

Divya: hlo aunty…

Simran: hlo beta…kaisi ho…

Divya: thik hun aunty…ap…

Abhi Divya isse age kus bolti uska dhyan ek dum se samne baithe Sam ki taraf gaya…uski jaise sansein ruk si gayin…

Divya ko samjh nahi a raha tha k wo ab kya kare…kya bole…ek pal ke liye toh use aisa laga mano…sare jahan ki khusiyan uske angan mein a giri hon…

Par agle hi pal use yaad aya k Sam toh use bhul chuka hai…yeh baat dimag mein ate hi…uske chehre ka rang ek dum se ud sa gaya…mano pura sareer bejaan sa pad gaya ho…wo fir se udaasi ke us gehre andhere mein kho si gayi…

Simran: beta kahan kho gayi ho…

Simran ki baat ne mano Divya ko neend se jaga diya ho…aur wo ek dum se apni sochon se bahar ayi…

Divya(hadbada kar): kus nahi aunty…

Simran: chal koi baat nahi…vaise hum log tumse hi Milne aye the…

Divya(hairani se): mujhe par kion…

Simran: wo asal mein Sam tumhe thanks bolna chahta hai…

Rajeev: are bhai kya fajool ki baton mein ulajh rahe ho…Divya beta tum Sam ko apne sath leke jao…aur ghar dikhao…

Divya(nervous hokar): chalo Sam…

Sam bhi chup chap Divya ke sath uth kar chal pada…

Seema(un dono ke jate hi): kya jiju...apne Sam ko Divya ke sath kion bhej diya…agar wo uski wajah se kisi musibat mein pad gaya toh…

Rajeev: uski wajah se wo kion kisi musibat mein padega…

Seema(thoda haklate huye): nahi mera matlab hai k agar Divya ke sath rehne se use koi baat yaad ane lagi toh uske dimag par pressure padega…aur yeh uske liye thik nahi hai…

Simran: kus nahi hoga tum faltu ki tension mat lo…

Vaise Simran ko Seema ka behavior thoda ajeeb sa lag raha tha…wo kahin khoyi khoyi si lag rahi thi…

Khair Seema ne jaise taise apni baat ko cover-up kar hi liya…

To be continued….
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#97
Update 43


Seema(thoda haklate huye): nahi mera matlab hai k agar Divya ke sath rehne se use koi baat yaad ane lagi toh uske dimag par pressure padega…aur yeh uske liye thik nahi hai…

Simran: kus nahi hoga tum faltu ki tension mat lo…

Vaise Simran ko Seema ka behavior thoda ajeeb sa lag raha tha…wo kahin khoyi khoyi si lag rahi thi…

Khair Seema ne jaise taise apni baat ko cover-up kar hi liya…


Ab age…


Udhar Divya Sam ko sath lekar use apna ghar dikhane lagi….par wo usse jyada baat nahi kar rahi thi…aur thoda nervous bhi lag rahi thi…

Sam: kya huya ap comfortable toh hain na…

Divya(haklate huye): han han bilkul…aur yeh mera room hai…

Divya ne apne room ki taraf ishara karke kaha…

Sam: Ander nahi leke chaleingi…

Divya: han chaliye…

Yeh bol kar Divya ne room ka door khola aur Sam us room mein chala gaya…

Divya: ap baithiye na…

Sam bed par baith gaya…sam as paas har chij ko badi gaur se dekh raha tha mano sab usne pehle bhi Dekhi…par ek baar fir se uska dimag in tasweeron ko saaf nahi kar pa raha tha…


Divya: kya soch rahe ho Sam…

Sam: yaar kus nahi soch raha…pata nahi aisa Kion lag raha hai jaise main pehle bhi yahan a chuka hun…

Divya Sam ki baat sun kar chup ho gayi…use samjh nahi a raha tha k wo kya jwaab de Sam ko…

Sam: ab tum kahan kho gayi…

Divya: nahi kus nahi…

Iske baad Divya chup chap baith gayi…Sam kus Der baad bola…

Sam: asal mein main tumhe thanks kehne aya tha…

Divya: koi baat nahi maine aisa kus khas nahi kiya…

Sam: nahi agar tum time par na ati toh sayad mar…

Abhi Sam itna hi bola tha k Divya ne achanak uske Munh par hath rakh diya…Sam Divya ki is harkat par hairan sa reh gaya…par Divya ka use chuna use acha bhi laga…

Sam ne koi reaction nahi diya…wo toh Bas Divya ki taraf dekhne laga aur uski khubsurati mein kho sa gaya…

Kus der baad jab Divya ko dhyan aya k Sam ab pehle wala nahi raha wo uske liye ab ajnabi hai toh usne ek dum se apna hath piche khinch liya…

Divya(sir niche jhuka kar): sorry wo mujhe tumhare sath aisi harkat nahi karni chahiye thi…

Sam: its OK yaar…

Divya: wo kya hai na mujhe aisi negative batein pasand nahi hain…par fir bhi mujhe bina permission ke is tarah tumhe touch nahi karna chahiye tha…

Sam: yaar ab itna formal hone ki koi jarurat nahi hai…chal chhod is baat ko…

Divya: chalo chhod diya…ab bahar chalein sab wait kar rahe honge…

Sam(majak mein): Kion mere sath rehna acha nahi lag raha…

Divya: maine aisa kab kaha…par bahar toh Jana hi padega nahi toh sab pata nahi kya sochenge…

Sam: acha kya sochenge…

Divya: mujhe nahi pata…chalo ab bahar…

Yeh bol kar Divya bahar ki taraf Jane lagi…tabhi Sam ne use awaj di…

Sam: ek mint…

Divya: han kya huya…

Sam: kya tum meri dost banogi…

Yeh bol kar Sam ne apna hath age bdaya…Divya ne bhi kus soch kar usse hath milaya…

Divya: friends…

Divya ke chehre par na Jane kitne dino baad smile wapis lauti…Sam ko bhi acha lag raha tha…usne bhi Divya ka hath nahi chhoda aur na Jane kahan kho sa gaya…

Divya(ankh se ishara karke): mera hath…

Sam(ek dum se hath chhod kar): han tumhara hi hai…

Divya is baat par has padi aur sath mein Sam bhi…

Divya: toh ab chalien sab ke pas…

Sam: han chalo…boht jaldi hai Jane ki tumhe…

Fir wo dono wahan se bahar chale aur sab logon ke paas ja kar baith gaye…

Simran ache se samjh gayi k Divya ka chehra ek dum se Kion khil gaya…use itna toh pata chal hi gaya k jarur uske aur Sam ke beech kus huya…aur wo is baat se khus thi…

Toh fir kus Der sab ne batein ki aur fir Sam aur uske mom dad apne ghar ke liye nikal gaye…

To be continued…
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#98
posted upto 200 page
 horseride  Cheeta    
Like Reply
#99
Quote:Ashish120
Inteha Ho Gayi Intezaar Ki Aayi Na Kuchh Khabar Mere Yaar Ki
yeh Hamein Hai Yakeen Bewafaa Woh Nahin Phir Wajah Kya Hui Intezaar Ki
Please update.

entertainerjatt
Yaar sorry... Time hi nahi mila...aj likhta hun..bhai story toh puri karunga par kitne time mein hogi yeh pata nahi....main kosish karunga k thodi chhoti kardu...kionk abhi k liye story ko jyada lamba nahi khinch paunga...kion regular update nahi de pa raha hun...is liye jitni jaldi ho sakta story ko complete karta hun...
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Update 44


Sam: han chalo…boht jaldi hai Jane ki tumhe…

Fir wo dono wahan se bahar chale aur sab logon ke paas ja kar baith gaye…

Simran ache se samjh gayi k Divya ka chehra ek dum se Kion khil gaya…use itna toh pata chal hi gaya k jarur uske aur Sam ke beech kus huya…aur wo is baat se khus thi…

Toh fir kus Der sab ne batein ki aur fir Sam aur uske mom dad apne ghar ke liye nikal gaye…


Ab age…

Sam ghar ane ke baad bhi lagatar Divya ke bare mein hi sochta raha uska wo masoom chehra Sam ki ankhon mein Bas gaya tha…

Udhar divya bhi khus thi k anjane mein hi sahi par use Sam ke sath batein karne ka time mila tha…Wo aj kafi dino baad khus thi…uske chehre par wo mayusi kahin najar nahi a rahi thi…uske chehre par sirf khusi hi thi…

Seema ko is baat ki fikar thi k kahin Divya apni bewkufion se Sam ki jaan dobara khatre mein na daal de….

Khair kus din bite aur Sam puri tarah se thik bhi ho gaya…Aj Sam ghar mein bore ho raha tha…halanki uske dost use milne ke liye ate the par use jyada acha nahi lagta tha…uska man hamesha Divya se milne ko karta tha…

Divya ko Seema ne kabhi Sam ke ghar jane hi nahi diya aur wo use Sam se dur rehne ko bolti thi…

Par aj Sam ne khud divya ko call kiya…aur divya ne bhi khusi khusi pick kar liya…

Sam: hlo kaisi ho…

Divya: thik hun aur tum…

Sam: main bhi bilkul thik hun…acha ek baat batao…

Divya: pucho…

Sam: mujhse kabhi milne kion nahi ati ho…

Sam ke sawal se Divya soch mein pad gayi k wo kya jawab de…use kus samajh nahi a raha tha…

Divya(soch soch kar): yaar wo kya hai na main office ke kaam mein boht busy rehti hun…kahin ane jane ka time hi nahi milta…

Sam: chalo koi baat nahi…aj kahin ghumne chalein…

Divya(apni mom ko pata lagne ke dar se): nahi nahi main aj office mein hun…boht kaam hai…

Sam(mayus ho kar): thik hai…ok toh main phone rakhta hun…

Sam ki awaj mein yeh mayusi Divya bardast nahi kar payi…wo yeh nahi dekh payi k Sam uski wajah se Sad hai…

Divya(jaldi se): ek mint phone mat rakhna…meri baat suno…

Sam: han bolo kya baat hai…

Divya: yaar aise sad mat ho…thik hai ghumne chalenge par aj nahi…kal ko…par plz ghar par mat batana…na apne na mere ghar par…

Sam(hairani se): kion hum konsa ghar se bhag rahein hain…

Divya: yaar tumse jitna kaha hai utna karo na plz…nahi toh hum nahi ja payenge…

Sam: ok thik hai baba…toh kal ka pakka na…

Divya: han bilkul pakka…

Sam(khusi se): thanks yaar…love you…ab main phone rakhta hun…

Yeh bol kar Sam ne bina der kiye phone rakh diya…Sam bhale hi love you normally aur friendly way mein kaha tha par divya ko boht acha laga…

Divya toh mano wahin atak si gayi…uske dimag mein baar baar Sam ki kahi huyi wahi line ghumti rahi…

Agle din Sam tyar huya…usko Divya ne bata diya tha k kahan milna hai…Sam tyar hokar apne kamre bahar nikla aur bahar jane laga…tabhi Simran ne use awaj di…

Simran: beta kahan ja rahe ho…

Sam: mom deepak se milne ja raha hun…

Simran: thik hai beta dhyan se jana…

Fir Sam wahan se apni car lekar nikla aur Divya ki batayi huyi jagah par pahuncha…usne car ek coffee shop ke age roki…

Wahan Divya pehle se majood thi…aur ek table par baithi Sam ka wait kar rahi thi…sam ko ate dekh wo kafi khus ho gayi….

Divya: hii sam…kaise ho…

Sam: thik hun yaar tum batao….

Divya: main toh ek dum thik hun…

Sam: toh main baithun…

Divya: han baitho…

Fir wo dono batein karne lage…Sam ne do coffee order ki …kafi der coffee pite huye dono batein karte rahe…par tabhi Sam ki najar ek table par padi…

Divya(Sam ka dhyan kahin aur dekh kar): Kya huya kahan dekh rahe ho…

Sam: wo ashu hai na…

Divya: han lag toh wahi raha hai…par kya huya aise kion puch rahe ho…

Sam: uske sath kon hai…

Divya: wo toh neha hai uski gf…

Sam: yaar use toh main janta hun par wo ladka kon hai sath mein…

Divya: pata nahi uska munh toh dusri taraf hai…par tumhe kya ho gaya achanak…

Sam: yaar maine use pehle bhi kahin dekha hai…kam se kam is angel se toh aisa hi lag raha hai…

Divya: chodo na yaar…

Par jyada sochne ke karan Sam ke sir mein dard hone laga…uske dimag ke wo hisse jo Accident ke time harm huye the un par jor padne ke karan Sam ko boht pain ho raha tha aur kafi gabhrahat bhi ho rahi thi…

Divya yeh sab dekh kar boht dar gayi par wo kya kare use samajh nahi a raha tha…uska deemag kaam karna band kar chuka tha…use kus deemag mein nahi aya toh usne Sam ko apni taraf khincha aur uske hontho ko apne hontho mein jakad liya...

Wo paglon ki tarah Sam ke honthon ko kiss karne lagi…wo thoda sa piche ko huyi…bhale hi usne Sam ka dhyan hilane ke liye aisa kiya tha par wo pyar toh karti hi thi na sam se…toh use kus galat nahi laga kiss karne mein…

Divya(ankhon mein pyar liye Sam ke chehre se halka sa dur apna chehra karke): I love you sam…I love you so much…kabhi bol nahi payi par jab se tumhe pehli baar dekha hai tab se mar miti hun tum par…

Sam toh jaise sun sa pad gaya par achi baat yeh huyi k Sam us admi ki taraf se dhyan hatane mein kamzab raha…

Divya ne fir se apne honth bina logon ki fikar kiye jo un dono ki taraf dekh rahe the, sam ke hontho ki taraf badha diye…par tabhi Sam ne apna hath beech mein kiya…aur Divya ko rok diya…

Sam: Divya tum janti ho na main boht kus bhul chuka hun…par pata nahi kion mujhe aisa lagta hai k main tumhare bina adhura sa hun…tumse dur rehne ka man nahi karta tumhare sath rehna acha lagta hai…main nahi janta k main kya kya bhul gaya hun…par sayad main pehle bhi tumse pyar karta tha aur aj bhi karta hun…I love you too Divya…

Sam ke itna bolte hi Divya ne sam ke honthon ko fir se apne hontho mein bhar liya aur paglon ki tarah chusne lagi…

Khair kus der baad jab dono hosh mein aye toh dekha k kafi log un dono ki taraf dekh rahe hain…is liye Divya toh sharama kar bahar hi chali gayi aur Sam bhi bill pay karke bahar chala gaya…

Divya: Sam ab main office jaun…

Sam: han jao yaar…nahi toh tumhara kaam nahi ho payega…

Divya: I love you Sam…main tumhe miss karungi…

Sam: I love you too…Main bhi miss karunga tumhe…

Fir divya ne sam ko hug kiya aur bye bol kar wahan se chala gayi…Aur Sam bhi apne ghar chala gaya…

To be continued….
 horseride  Cheeta    
Like Reply




Users browsing this thread: 2 Guest(s)