Thread Rating:
  • 79 Vote(s) - 3.7 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Supriya: Ek Jawan Biwi ki Kahani
Eagerly Waiting for the next updates
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
today is wednesday, @Sriya aaj long update doge na?
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Waiting for update
[+] 1 user Likes sushilt20's post
Like Reply
Waiting for updates
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Exclamation 
It is festival time now. Please do not pressurize the writer for updates. Everyone has a family life outside this story universe and also jobs. Please hold on till next weekend and you will not be disappointed  Namaskar
[+] 1 user Likes sexypreeti's post
Like Reply
Update 88

Supriya ek dam se cheekhti hui jagi. Usne jaldi se apna haath apne muh par lagaya jo dard kar raha tha, aur fir apni chhati par jahan kharocho ke nishaan they. Par jab usne wahan chhuaa toh woh hairaan reh gayi, wahan aisa kuch nahi tha. Woh bhari saasein lete hue paseene mein tarr sab kuch samajhne ki koshish kar rahi thi. Abhi kuch pal tak toh Iqbal uske muh mein apna lund thoos raha tha aur us par berahmi se chaddha hua tha, aur ab woh uske barabar mein gehri neend mein soya pada tha.

Supriya ne firse apne mammo ko chhua, use aisa lag raha tha ki uska poora shareer dard kar raha ho. Kya Iqbal aur uske beech sab ho gaya tha ya ye koi sapna tha? Usne mehsoos kiya ki uski panty halki si geeli ho rakhi thi. Dheere dheere uske muh ka dard gayab hona shuru ho gaya tha. Shayad ye sab uska sapna hi tha. Kyunki Iqbal toh abhi bhi bed par apne kone mein so raha tha. Supriya ne apni bhaari saanson ko thamne ki koshish ki.

Shayad woh kuch jyada hi stress mein thi. Iqbal ka use batana ki Vikram nahi aane wala tha, aur fir uske liye woh saariyan laana, aur Rubina bhabhi ka baar baar sex karne par zor daalna, shayad isi sab ne use ye sapna dekhne ke liye mazboor kar diya tha. Woh apne dimaag par zor daal kar sochne lagi ki kal raat hua kya tha. Use sab yaad aane laga.

Bhabhi ne use pehle hi bata diya tha ki ghar mein ghosht banega, aur unhone uske liye pehle se hi alag se khana nikaal diya tha. Woh jaldi khana kha ka upar apne kamre mein aa gayi thi, aur bistar par lette hi shayad use neend aa gayi thi. Use yaad bhi nahi ki kab Iqbal aaya tha bas yaad tha toh ye befazool ka sapna. Chee cheee… Iqbal uske saath kya kya kar raha tha. Aur itni berahmi se… nahi Iqbal uske saath aisa nahi kar sakta tha. Usne toh hamesha use har musibat se bachaya hi tha.

Supriya ne apne maathe par aate hue paseeno ko pocha. Kitni sach sa lag raha tha ye sapna. Iqbal jis tarah se uske saath woh sab kar raha tha, Supriya sochte hi buri tarah kaanp uthi. Par shukr hai ye sab bas ek sapna hi tha, nahi toh pata nahi woh kya hi karti.

Supriya ne Iqbal ki aur dekha, woh shayad kuch jyada hi gehri neend mein so raha tha jo use Supriya  ki cheekh sunai nahi di. Supriya fir se bistar par let gayi aur uske chhehre ki tension thodi kam hui. Pata nahi woh kya hi sochne lagi thi. Par sach toh ye bhi tha ki woh ab Iqbal ki biwi thi, chahe usne ye usse sach mein na kaha ho, bas sapne mein kaha ho. Agar usne usse uska shauhar hone ka haq maang kiya toh? Kya woh use inkaar kar payegi? Aur agar kiya toh Iqbal kya karega?

Usne apne dimaag se ye khayal nikaalne ki koshish kari aur aankhen band kar li. Abhi toh shayad poori raat baaki thi, aur woh apni raat kaali nahi karna chahti thi. Kuch der baad woh fir se so gayi thi par is baar uske dimaag mein aise sapne nahi aa rahe they.

Subah jab woh uthi toh shayad use uthne mein thodi der ho gayi thi kyunki Iqbal toh bistar ya kamre mein nahi tha. Supriya jaldi se khadi hui aur usne ghadi mein time dekha. 9 baj gaye they! Ufff woh itni der tak kaise so gayi thi. Pata nahi sab kya soch rahe honge. Woh jaldi se khadi hui aur kamre mein lage chhote se aine mein dekh kar apne baal theek karne lagi. Usne apni chunni uthayi aur jaldi se neeche ki aur bhaagi.

Woh jaldi se rasoi mein pahuchi jahan aaj Hina Rubina ke saath khadi uska haath bata rahi thi.

Supriya rasoi mein ghuste hi hadbadate hue boli - Bhabhi… pata nahi kaise meri aankh hi nahi khuli… sorry… main woh…

Rubina muskurate hue boli - Koi nahi… ho jaata hai… lagta hai raat sahi se soyi nahi… Hina jaa tu zara kapde sukha de…

Hina kafi naraz si lag rahi thi aur wou muh banate hue rasoi se jaldi se bahar nikli, use waise bhi ghar ka kaam karna zara bhi acha nahi lagta tha, par aaj woh kuch jyada hi roothi hui lag rahi thi.

Supriya ne use jaate dekh poocha - Ise kya hua aaj?

Rubina - Use chhodo, uska toh kuch na kuch laga hi rehta hai… tum ye batayo ki kal raat kya hua?

Supriya raat ke baare mein sochte hi sakpaka si gayi, jaise Rubina uske sapne ke baare mein pooch rahi ho - Kal raat…..

Rubina - Haan… kal raat… tumhari cheekh ki aawaz aayi thi… par bas ek baar…

Supriya ke gaal sharam se laal ho gaye - Aapko sunayi di thi woh? 

Rubina haste hue - Haan banno… main ghode bech ke nahi soti… kya hua tha? Iqbal ne neeche ungli ghusa di thi kya..

Supriya ekdam se bol padi - Nahi nahi… cheee… aap aise kyu bol rahe ho… neeche kaun ungli daalta hai aise…

Rubina ki hasi bad gayi - Hahaha… Kyun tumne kabhi apne neeche ungli nahi ki hai kya? Aur jab mard kare toh aur bhi maza aata hai…

Supriya ne muh banate hue kaha - Uff… aap bhi na… pata nahi kya kya soch leti hai… 

Rubina - Ab aur kya sochti? Tum ek hi baar zor se cheekhi toh mujhe laga ungli hi daali hogi… kyunki agar bada wala auzaar daala hota toh cheekh sirf ek baar nahi aati… hai na?

Supriya - Aisa kuch nahi hua tha… bas ek ajeeb sa sapna aaya tha…

Rubina - Aeeee looooo… ye kya baat hui… chalo sapne mein toh koi ungli se kuch jyada hi daal raha hoga…

Supriya ne sharam se apna muh jhuka liya aur woh saamne rakhe ek kootni ke moosal ko haath mein utha liya. Woh bas ab is topic ko badalna chahti thi - Bataiye naaa..... kya kaam karna hai mujhe…

Rubina - Hahaha… rehne do… sab ho gaya hai…

Tabhi Hina gusse mein bhunbhunate wapis rasoi ki taraf aayi - Ye acha hai, mujhe kaam par laga diya bahar… aur yahan aap dono khi khi kar rahe ho… woh bhi mere bina… aisa lag raha hai jaise ghar ki bahu main hu aur aap dono maa beti…

Rubina ki hasi ruk hi nahi rahi thi - Haha ye baat toh sach hai... tu kahan meri beti hai...

Hina ki shakal rone wali ho gayi thi, Supriya ne apna haath Hina ke kandhe par rakhte hue kaha - Aap aise na satayo ise... acha bata toh sahi... kya hua?

Hina roti hui aawaz mein boli - Chachi... mujhe college jaana hai... wahin apni padai poori karni hai... par Ammi maan hi nahi rahi hai... 

Rubina - Supriya tum iski baaton mein na hi aayo toh behtar hai... tere Abbu kabhi nahi manne wale...

Hina bhadakte hue boli - Par kyun! Ab toh Naaz bhi jaa rahi hai...

Rubina - Tu sab samajhti toh hai... fir kyu baar baar poochti hai... ek toh college koi paas mein nahi hai... ek ded ghante door hai, wahan aayegi jayegi kaise? Doosra tere Abbu ladkiyon ke is tarah ghar se bahar nikalne ke sakht khilaf hai. Woh toh Naaz ke jaane par bhi khush nahi hai.

Hina ka gussa badta jaa raha tha - Chalo shukr hai unki Naaz ke ghar toh nahi chalti na, nahi toh use bhi kaid kar lete...

Shor sharaba sun kar apne kamre mein se Ammi ji bhi nikal aayi thi - Dekho zara kaise kainchi ki tarah juban chal rahi hai iski... bilkul apni maa par gayi hai... 

Rubina ne tirchi aakhon se Ammi ji ko ghoora, jaise unhe chup hone ka ishaara kar rahi ho.

Ammi ji - Main keh rahi hu na, isse pehle ye ladki haath se nikal jaye, iska jaldi se nikaah kara do...

Hina ka gussa kam nahi ho raha tha - Haan bas nikaah kara do... aur fir bachhe kara do... intezaar kyu kar rahe ho....

Ammi ji bhi bhadak gayi - Kaisi behaya si ho rahi hai aaj... apni chachi ke saath baith kar ye sab seekhi hai kya?

Rubina - Ammi ji... kya bol rahe ho aap bhi... Supriya ki toh aawaz bhi nahi nikalti kisi ke aage... use kyu is begairat ladki ki baaton ke beech mein daal rahe ho... 

Rubina ne tez aawaz mein Hina ke aur dekh kar kaha - HINA! Bas! Bohot ho gaya tamasha, jayo apne kamre mein jayo...

Hina pair patakte hue apne kamre mein chali gayi, uske rone ki aawaz aa rahi thi. Supriya wahan khadi khadi dekh rahi thi ki kuch hi minute mein hasi ka mahaul kaise sabke liye gusse mein tabdeel ho gaya. Ammi ji bhi bhunbhunate hue apne kamre mein chali gayi aur Rubina bhi thoda gusse mein bartano ko patak kar maanjne lagi.

Supriya uske peeche hi khadi thi. Woh kuch der ke baat himmat karke boli - Bhabhi... main ek baat bolu?

Rubina jhallate hue boli - Haan... tum bhi bolo... tum kyu peeche raho...

Unki tone sunkar Supriya thodi ghabra si gayi, ab tak itne dino mein Rubina usse is tarah gusse mein nahi boli thi. Supriya ne gehri saans li aur fir se boli - Bhabhi... aap kahe toh main is baare mein pooch kar dekhu aaj raat?

Rubina ko kuch samajh nahi aaya - Kisse? Kya poochna hai?

Supriya ko samajh nahi aa raha tha woh Abbas ko kya bulaye - Bhaiya se.... Hina ke college jaane ke baare mein...

Rubina ek dam se palti, uske chehre par pareshaani saaf thi  - Nahi nahi.... tum kyu is pachde mein pad rahi ho.... kal tak sab theek ho jayega... isko toh aise daure padte rehte hai...

Supriya - Par bhabhi Hina bhi kuch galat toh nahi maang rahi na... aur mujhe nahi lagta ki aap itni purani soch rakhti ho...

Rubina ke chhehre ki shikan bad gayi - Meri soch ki kisko parwah hai... na toh Hina ko aur na hi uske Abbu ko... main keh rahi hu na, tum is sab mein na hi pado toh acha hai...

Supriya kuch aage bol hi nahi paayi aur baaki din aise hi nikal gaya. Woh kuch der ke liye Hina ke kamre mein bhi gayi, par Hina toh muh fula kar baithi hui thi. 

[Image: 5fde0046fa70d2f2f9d0f66b0045f38f.jpg]

Use dekh kar Supriya ko fir se apne purane dino ki yaad aa gayi. Uska dil keh raha tha ki woh Hina ki madad karne ke liye kuch kare, but dimaag keh raha tha ki use apni taang is mamle mein nahi adani chahiye.

_____________________________

Shaam hui aur Iqbal aur Abbas ghar wapas aa gaye they. Rubina aur Supriya rasoi mein khana bana chuki thi aur unhone khana paros diya. Dono bhai chup chaap baith kar khana kha rahe they. 

Tabhi Iqbal ne poocha - Aaj Hina nahi dikh rahi... uski aawaz bhi sunai nahi di... kahin gayi hai kya?

Abbas ne Rubina ko ghoora - Is waqt??? Is waqt kahan jayegi...

Rubina ne rookhi si aawaz mein kaha - Nahi woh apne kamre mein hai...

Iqbal - Kya hua, padai kar rahi hai kya...

Ye sun kar Rubina ka muh sa ban gaya, shayad woh Hina ke haq mein kuch bolna chahti thi, par uski himmat hi nahi hui. Supriya ne bareeki si Rubina ka chhehra padne ki koshish kara, aur jaise hi unki nazre mili, Rubina ne apni nazrein jhuka li.

Supriya ne ek gehri saans li, woh pehli baar Abbas ke saamne kuch bolne wali thi - Ummm... ek baat karni thi aapse bhai jaan...

Abbas ne chaunkte hue Supriya ki aur dekha - Mujhse?? Kaho...

Iqbal ka haath ka niwaala bhi uske haath mein reh gaya tha, aur woh Supriya ko gaur se dekh raha tha. Pata nahi Supriya kya hi bolne wali thi.

Rubina beech mein boli - Kuch nahi kehna ise.... rehne do...

Abbas - Bolne do ise... maine toh kabhi iski aawaz bhi nahi suni... bolo Supriya... kya bolna chahti ho...

Supriya ne ghabrate hue kaha - Jee woh... mujhe Hina ke baare mein kuch baat karni thi...

Abbas - Hina ke baare mein?

Rubina ne apni aankhein neeche kar li, woh bhi shayad ghabrayi hui si thi.

Supriya - Jee... uski padai ko lekar... woh ghar par pad toh rahi hai... par akele mein kitni hi padai ho paati hai, aap bhi jaante hai... aap agar use college jaane de toh uski padai ache se poori ho jayegi...

Abbas ka chhehra ek dam se kafi kathor sa ho gaya tha - Pad likh kar kya karegi... uski shaadi hi karni hai hame...

Supriya - Woh padai mein kafi achi hai... mujhe bata rahi thi ki class mein sabse jyada number aate they uske... abhi pad liya toh pad legi fir baad mein toh... padai likhai kabhi bekar toh jaati nahi hai... use aage madad hi karegi...

Abbas ne muh banate hue kaha - Woh sab toh theek hai... par gaanv se bahar itni door akele aana jaana... ladkiyon ke liye sahi nahi hai... aur pata nahi us college mein kaise ladke padte hai...

Rubina ki aankhen thodi si upar uthi. Abbas ne Supriya ko chup nahi kara diya tha, woh usse is baare mein baat kar raha tha.

Supriya ki aawaz mein bhi thoda sa utsah bad gaya tha - Akele nahi jayegi... subah Iqbal chhod aayenge use... aur din mein le bhi aayenge... aur rahi baat college ki toh woh bas ladkiyon ka college hai... wahan koi ladke nahi padte...

Abbas ne Iqbal ki aur ghoor kar dekha, jaise usse pooch rahe ho ki woh kya sochta tha. Iqbal ki Supriya ki aur dekha aur Supriya ne apna chhehra halka sa teda karke uski aur dekha, taaki woh paseej jaye.

Iqbal ne dheere se kaha - Bhai jaan... agar aapki izazat ho toh main Hina ko chhod aur le aayunga....

Abbas ne aakhir mein Rubina ki aur dekha - Tumhari kya soch hai?

Rubina thodi hairaan si ho gayi ki Abbas usse pooch raha tha - Jee... haan mere khayal se use jaane dete hai... uska bohot mann hai... aur usne kabhi kisi cheez ke liye aise zidd bhi nahi ki hai...

Abbas - Lagta hai saare mile hue ho......

Supriya apni saans rok kar Abbas ke faisle ka intezaar kar rahi thi.

Abbas - Theek hai... par use bol dena ki bas wahan padai karne jayegi... aur padai karke seedha ghar... agar mujhe pata chala ki aisa nahi hai toh usi din saari padai rukwa dunga... aur is beech uske liye ladka dekhna shuru karo...

Rubina ke chhehre par ek badi si muskaan aa gayi, aur woh hadbadate hue boli - Jee.... shukriya... shukriya...

Abbas wahan se khada hote hue upar ki aur jaane laga. Iqbal ne Supriya ki aur dekha, woh behad hi khush lag rahi thi aur usne Rubina ko gale laga liya. Iqbal ke chhehre par ek halki si muskaan aa gayi aur woh unhe wahan chhod kar upar ki aur apne kamre mein aa gaya.

Lagbhag aadhe ghante baad Supriya chehakte hue upar kamre mein pahuchi. Uski shakal par khushi saaf jhalak rahi thi.

Supriya ne kamre ka darwaza band kiya aur ekdam se bolna shuru ho gayi - Aapko pata hai, bohot hi khush ho gayi thi Hina... jaise pata nahi kya hi mil gaya ho use... aur aapka bhi bohot bohot shukriya ki aapne haan kar di... Rubina bhabhi ko toh yakin hi nahi ho raha tha ki Abbas bhai jaan ne haan kar di....

Iqbal bistar par baitha hua Supriya ko bolte sun raha tha, woh aise baat kar rahi thi jaise woh isi ghar ki sadasya ho. Use ye sab dekh kar bohot acha sa lag raha tha, aaj shayad woh pehli baar itni khul kar Iqbal ke saamne kuch bol rahi thi.

Iqbal use dekh kar khoya sa hua tha aur Supriya bole hi jaa rahi thi. Supriya bhi shayad apne kal raat ke bhayanak se sapne ko bhool gayi thi, use lag raha tha pata nahi usne kya hi haasil kar liya tha aaj.

Supriya bolte bolte Iqbal ke paas aa kar khadi ho gayi thi, uski aawaz ne ekdam se Iqbal ko apni soch se jagaya - Aapne suna bhi maine kya kaha?

Iqbal muskurate hue bola - Jee madamji... aapne aaj itni himmat dikha kar Hina ke liye bhai jaan se baat kar li... mujhe toh yakeen hi nahi hua...

Supriya ek pal ke liye chhup si ho gayi. Iqbal ke muh se madamji sunte hi Supriya bhi jaise fir se apni purani jindagi mein wapis pahuch gayi thi. Ye uska pati ya ghar nahi tha, woh toh bas yahan kisi tarah se pahuch gayi thi. 

Supriya - Haan toh... woh meri bhi toh...

Supriya beech mein hi chhup ho gayi. Hina uski thi kaun? Woh kya thi ki Hina ki? Pata nahi woh Hina ke college jaane par itna khush kyu ho rahi thi.

Iqbal ne shayad uske mann ke bhaav pad liye - Aapki aur uski kafi achi bol chaal ho gayi hai na pichle ek mahine se...

Supriya ne Iqbal se doosri aur chhehra fer liya - Haan shayad....

Iqbal - Ab uske daakhile waigera ka saara kaam aap hi dekh lena... hum logo ko toh is sab ki koi jaankari nahi hai...

Iqbal ki normal si baat sunkar Supriya thodi si sahaj hui - Haan, main uski dost Naaz se baat karti hu kal... fir wahan jaana padega ek baar...

Iqbal - Jee... aap bata dena... main le chalunga....

Supriya - Shukriya... aap so jaiye... aap thak gaye honge...

Iqbal - Aapko is tarah khush dekh kar aaj bohot acha sa lag raha hai... bilkul thakaan mehsoos nahi ho rahi...

Supriya halke se muskurayi. Kal raat ka sapna abhi bhi uske mann ko pareshaan sa kar raha tha. Iqbal sarak kar bed ke ek kone mein let gaya. Supriya ne apne odni chaddar ko jhakta aur bed par apni side failaya. Woh kamre ke batti band karne gayi aur use band karke bed par let gayi.

Kamre mein bilkul sannata tha, aur woh aur Iqbal bed ke do alag alag chhor par lete hue they. Ye chhupi kitni ajeeb si thi, Iqbal ki aur se zara bhi harkat nahi ho rahi thi. Supriya ne apna sir hilate hue apne aap ko dhikkaar lagayi. Pata nahi woh bhi kya kya nahi sochne lag gayi thi kal raat. Kuch bhi toh nahi tha aisa. Par kuch na hokar bhi woh kyu is ghar ka hissa banti jaa rahi thi.

_________________________________________

Agle do din, Hina aur Supriya bilkul utsahit hokar college ke liye saare kagazhat tayyar kar rahe they. Naaz se baat karke unhe pata chala ki college ka session abhi kuch hi hafte pehle shuru hua tha, aur Naaz ne kafi pehle hi apna admission form bhar diya tha.

Beech beech mein Hina Naaz par bhadak jaati kyunki Naaz ne ye saari baatein Hina se chhupayi thi. Fir Naaz apni safai mein batane ki koshish karti ki uski Ammi ne use saaf bola tha ki agar gaanv mein kisi ko is baare mein pata chal gaya toh woh uske Abba ko bhadkana shuru kar denge. Un dono ki kachar kachar ke beech mein Supriya admission ke liye saari cheez ikhatta karne mein lagi thi.

Supriya ne Rubina ke phone se college mein phone karke jaankari lene ki koshish kari par un logo ne bol diya tha ki woh wahan aakar saari baat kare. Unhone admission ke liye na hi haan kiya aur na hi naa. Supriya baar baar Hina ko samjhane ki koshish kar rahi thi ki ho sakta tha ki uska admission ab ho bhi na, kyunki admission ka waqt nikal chuka tha. Lekin Hina aur Naaz apni khushi mein itni doobi hui thi ki unhone Supriya ki baat par zyada dhyan hi nahi diya.

Saare kagaz mil gaye they siwaye Hina ke birth certificate ke. Rubina ne poora ghar chhaan maara par woh use kahin nahi mil raha tha. Par uski 12th ki marksheet mein uski date of birth likhi hui thi, shayad usi se kaam chal jaye.

Rubina - Chalo ab nahi mil raha hai toh isi se kaam chala lo. Mujhe toh ab yaad bhi nahi hai ki tha bhi ya nahi...

Hina - Ammi aap bhi na... mera saara samaan kitni laparwahi se rakha tha... mujhe yaad hai jab Zeenat ko bank account khulwane ke liye birth certificate chahiye tha tab toh aapki badi jaldi mil gaya tha...

Rubina - Acha na baba... galti ho mujhse... par tu fiqr mat kar... jab teri shaadi hogi na usse pehle main dhoond dungi...

Supriya - Chaliye aap log ab ladna band kijiye... bas ab kal subah jaane ke liye tayyar rehna aap dono... 

Rubina ne chaunkte hue kaha - Dono matlab?

Supriya - Iqbal aap dono ko le jayenge kal... wahan jakar ye apna admission kara legi...

Hina - Chachi main kaise akele sab kara lungi... main aapki tarah itni hoshiyaar thodi na hu...

Rubina - Haan... isne toh kara liya... aur main wahan jakar kya hi karungi... aisa karo tum iske saath chali jayo Supriya.... tum ache se baat kar logi...

Hina khush hote hue boli - Haan... ye badiya rahega... aap chaliye mere saath....

Supriya - Aree par tumhara itna bada din hai... tumhari Ammi ko wahan hona chahiye na...

Hina - Ammi ne kaha na ki unse nahi hoga... mujhe toh aapko hi saath lekar jaana hai... aap unse behtar sambhal logi sab...

Supriya ne Rubina ki aur dekha, Hina ki baat sunkar Rubina ka muh thoda sa utar gaya tha.

Supriya - Aisa nahi hai... tumhari Ammi bhi bohot hoshiyaar hai... mujhse bhi kahin jyada... kitna ladi thi woh tumhare Abbu se tumhare admission ke liye, aur tum aise bol rahi hu unse...

Hina safai dete hue boli - Par woh bhi toh mujhe bol rahi thi...

Rubina beech mein bol padi - Supriya... tum meri fiqr mat karo... sach toh yehi hai ki tum ye kaam mujhse behtar kar logi... aur waise bhi tum dono patli patli ladkiya toh aaram se Iqbal ke saath motorcycle par baith jayoge... main gayi toh ye nahi baith payegi...

Supriya - Motorcycle par?

Rubina - Haan... aur kya... wohi khatara jo bahar khadi rehti hai...

Supriya - Par hum teeno kaise...

Hina - Ho jayega chachi... main aur Naaz toh kayi baar uske bhai ke peeche baith kar jaate hai... ohhh... Ammi ke saamne nahi bolna chahiye tha...

Rubina ne use ghoor kar dekha - Rehne de... mujhe teri saari harkate pata hai.... khair... chalo fir tay hua kal ka maamla...

Supriya thodi excited thi aur thodi nervous bhi. Rubina ne us par is kaam ki jimmedaari daal di thi, pata nahi kal kya hone wala tha. Wahan jakar kahin Hina ko niraasha ka saamna karna pada toh woh kitna sharminda sa mehsoos karegi.

__________________________________

Agle din subah hi Hina tayyar ho kar khadi ho gayi thi. Ek safed kurti aur gulabi dupatte mein woh ek khili hui si kali lag rahi thi. 

[Image: 2d7d0a3f90c073dbf8a126944b5530f7.jpg]

Supriya bhi ek laal salwar suit mein tayyar hokar neeche aa gayi thi. Woh behad hi khoobsurat lag rahi thi, aur shayad uski tension thodi kam hone ki wajah se uske gaal aaj fir se thode bhare hue se lag rahe they. Bilkul pehle ki tarah.

Iqbal toh use bas dekhta hi reh gaya tha. Hina bhi use dekh par uske paas aa gayi thi.

Rubina ne use dekhte hue kaha - Aaj toh dono chachi beti itni saj ke tayyar hui hai... jaisi kisi ki shaadi mein jaa rahi ho...

Hina - Mera admission hai... sajenge nahi...

Rubina - Acha theek hai... ye tabeez rakh lo dono... nazar nahi lagegi... aur suno Supriya.. ye mere kade hai... haath mein daal lo... haath sune ache nahi lagte...

Rubina ne apne haathon se Supriya ko kade pehna diye aur woh dono ghar ke bahar ki taraf jaane lage.



[Image: download.png]

Iqbal pehle hi motorcycle tak pahuch gaya tha aur woh uski seat ko saaf kar raha tha. Ye motorcycle kafi purani si thi, aur uski seat kafi ghisi hui si ho rakhi thi.

Iqbal koshish kar raha tha ki woh Supriya ki aur na hi dekha, kahin woh use dekhte hue na pakad le. Woh bike par baithte hue bola - Chal Hina baith jaa mere peeche... aur chachi tere peeche baith jayengi...

Hina - Nahi nahi.... main beech mein nahi baithungi... mere kapde kharab ho jayenge...

Rubina - Lahol.... ab ye kya naya drama hai... baith jaa na...

Hina - Aree nahi... waise bhi chachi ko adat bhi toh nahi hai aise teen logo ke saath baithne ki, unko peeche bithaya aur woh gir gayi toh? Aap logo toh mujhe hi kosoge na.... unko beech mein bithate hai taaki woh mehfooz rahe...

Rubina - Baat toh teri theek hai...

Supriya - Nahi ye kya theek hai... main baith jayungi peeche... nahi girungi... pakka...

Rubina ne apne maathe par haath maarte hue kaha - Dekh lo ab tum log... kahin der na ho jaye...

Iqbal aakhir bol pada aur uski aawaz behad kadak thi - Supriya... tum baith jayo na beech mein...

Supriya Iqbal ke muh se apna naam iss tarah pehli baar sunkar thoda hairaan si ho gayi. Par ab sabke saamne toh woh use madamji nahi bulata na. Pata nahi kyu use fir se apne sapne ki yaad aane lagi aur kaise woh usme use Supriya keh kar bula raha tha.

Rubina bhi Iqbal ki baat sun kar muskura padi - Lo jee... ab toh tumhare shauhar ne bhi bol diya hai... kam se kam unki baat toh mat taalo...

Bhabhi ke majak se Supriya ke gaal sharam se laal ho gaye aur woh ghar ke bahar khade ho kar aur tamasha nahi karna chahti thi. Usne apne haath halke se Iqbal ke kandhe par rakhe aur uske peeche bike ke dono aur pair karke baith gayi. Uske aur Iqbal ke beech bas thoda sa hi gap tha. Par uske baad turant hi Hina Supriya ke peeche aa baithi aur usne Supriya ko thoda aage dhakela.

Hina - Chachi... aage ho na...

Hina ne jaise hi Supriya ko aage dhakela uske mamme Iqbal ki peeth par jakar takraye aur uska poora jism Iqbal ke jism se chipak gaya. Uske muh se halki si annhhh bhi nikal gayi.

Rubina sab bareeki se dekh rahi thi, aur use sara mazra dekh kar hasi si aa gayi - Lagta hai ye safar toh bada majedaar hone wala hai...

Supriya ne muskurate hue par gusse mein Rubina ko ghoora. Fir usne peeche dekhte hue Hina se poocha - Sab le liya na? 

Hina - Jee chachi... chalo bhi ab....

Iqbal ne bike shuru kar di, aur gaanv ki ubad khabad sadak par Supriya ka ang ang hilte hue Iqbal ki peeth se takrane lage, jaise aaj Supriya khud hi apne jism ko usse dabwa rahi ho. Supriya sochne lagi, uffff ye ek ghante ka safar aise kaise katega.
Like Reply
I think u should add sex encounters with abbs and Rubina , So it will make readers also engaging.
Like Reply
Wow maza a gya sapna hi tha great
[+] 2 users Like Rizzi1198's post
Like Reply
Nice to see Supriya make a positive impact to the household by promoting Hina's higher education.
Aur Iqbal ko bhi abb kuch ghantebarr ka 'well-deserved' aanand milega.
[+] 1 user Likes qazmlp's post
Like Reply
Thumbs down ... best of luck with the story
Like Reply
Ab supriya dheere dheere iqbal ki family me interest lene lagi hai , it's quite obvious jo itnaa din uss family members ke sath hogaya...ab slowly iqbal se nazdeeki, love and finally sex in a natural speed perhaps. Per supriya ko abhi tak uski future safety ke bare me koi soch nhi, kaise yahan se niklegi ,kya usne iqbal ko completely accept kar liya !...let's see in coming updates.
[+] 1 user Likes Godzilla's post
Like Reply
Nice update and beautiful story
[+] 1 user Likes sushilt20's post
Like Reply
Heart 
Very nice twist to the story  thanks
[+] 1 user Likes sexypreeti's post
Like Reply
Thank you @Sriya wo dream tha, bahut hi shaandaar zabardast update shukriya
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
@Sriya font size bahut small hai please edit karke isko big kar do jisse padne me easy ho
[+] 2 users Like Salma Khan's post
Like Reply
Shukriya Sriya2 really zabardast jab dream etna mast tha to haqeeqat me to kitna kamaal karega Iqbal
[+] 1 user Likes HBK♡♡'s post
Like Reply
Thanks Sriya2 wo dream tha real hota to story ka interest chala jata. well done!
[+] 1 user Likes Rohan0064's post
Like Reply
Aahista aahista hi maza aata hai Sriya2 Ji shukriya story ko right track par lane ke liye absolutely awesome update
[+] 1 user Likes Shahid Khan's post
Like Reply
@Sriya Ji font, type size is very small padne me problem ho rahi hai please font size big edit karo
[+] 1 user Likes Rohanx40's post
Like Reply
Absolutely stunning update very nice
Like Reply




Users browsing this thread: Celeb41, 17 Guest(s)