Thread Rating:
  • 75 Vote(s) - 3.79 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Supriya: Ek Jawan Biwi ki Kahani
Just waiting for your next update
[+] 1 user Likes Rohanx40's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
Meri Jaan Sriya bahut Amazing story likh rahi ho, really you are a Fantastic writer
[+] 1 user Likes Amit Sir's post
Like Reply
Waiting for the next update
[+] 1 user Likes Amit Sir's post
Like Reply
Waiting for updates
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Dil mange more updates
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
(01-08-2025, 11:42 AM)arvind274 Wrote: Ab maulvi se bhi legi kya

Maulvi kaise rok sakega apne aap?
[+] 1 user Likes Armani007's post
Like Reply
(03-08-2025, 11:01 PM)आदित्य Wrote: Sriya ji update kb krenge btadia kro kha hai aapse ek toh aapke writting skill lajawab hai ksm se ..... To good love u.....bs thod sex ho bina mrji ke jaise pratap ke saath kuch aisha laoo ke open sex ho.....iqbal se bhi parking mai or dusra watchmen pkdhle ..... Ya woh bike walle ldke ....ya atul

Sahi mein. Thoda non consensual bhi hona chahiye.
[+] 1 user Likes Armani007's post
Like Reply
Waiting for next update...
[+] 1 user Likes भाभी जी's post
Like Reply
Next update please..
[+] 1 user Likes abhishek.kumar's post
Like Reply
हर कहानी में यही हिन्दू ,., इसके बिना भी कहानी अच्छे से चल सकती है
Like Reply
Sriya update please
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Mast sexy updates do please ab to jisse Lund pura tight ho jaye
[+] 1 user Likes HBK♡♡'s post
Like Reply
Waiting for update
[+] 1 user Likes sushilt20's post
Like Reply
Mtlb hdh hai sriya ji inform kr skte ho aap kb krogi post btadoh attitude kissh baat ka
Like Reply
(05-08-2025, 09:33 PM)आदित्य Wrote: Mtlb hdh hai sriya ji inform kr skte ho aap kb krogi post btadoh attitude kissh baat ka

Attitude nahi hai ji... bas likh rahi hu update... kal tak post karti hoon... thoda sa bacha hai...
[+] 2 users Like Sriya2's post
Like Reply
Update ???
[+] 1 user Likes भाभी जी's post
Like Reply
(03-08-2025, 05:49 PM)rajeev13 Wrote: Is it possible to write on it and send it to people privately? I’d love to read what you’ve written.

Is this possible Sriya ji ?
Like Reply
Update 75

Supriya dheere dheere kadam badati hui wapas Vikram ke paas jaa rahi thi. Uski nazrein jameen par thi, jaise jo kuch abhi hua, uska bojh sir ko neeche jhuka raha ho.

Vikram abhi bhi wahin khada tha, jahan Supriya use chhod kar gayi thi. Jaise hi Supriya paas aayi, usne bina kuch soche Vikram ke gale lag kar apne shareer ka saara bojh us par chhod diya. Vikram bhi kuch pal ke liye bhool gaya tha ki woh kahan khada hai aur usne bhi Supriya ko ache se apni baahon mein bhar liya.

[Image: a936018de0704465ae997fd081600534.gif]

Fir dono sambhalte hue ek doosre se alag hue. Vikram ne Supriya ke silky baalon ko uske chhehre se hataya aur uski aankhon mein kuch dhoodne laga. Kaash woh is samay kahin akele hote toh woh use jam kar choom leta.

Vikram ne Supriya ki aur dekha, uski aankhen halki si bhari hui - Ho gaya sab sahi se?

Supriya ne apni aankhen jhuka li, kuch kehna chahti thi par woh shabd uske muh se nahi nikal rahe they - Vikram woh….

Tabhi kisi aurat ki chubhti hui aawaz Supriya ke kaano mein padi - Aree... kya kar rahi hai tu…

Supriya ne jhatke se apni gardan ghumai, seediyon se ek jaani pechani boodi aurat neeche aati dikhi. Yeh wohi aurat thi jo use pehli baar isi jagah par mili thi. Supriya ne chhehre par ek tension ki lakeer ubhar aayi.

Aurat uske paas aate hue fir se boli - Ye kya kar rahi hai tu… kiske gale pad rahi hai…

Vikram ne puzzled ho kar Supriya ki aur dekha, jaise pooch raha ho ki ye kaun hai. Supriya ne Vikram ki aur dekh kar apne kandhe uchka diye.

Supriya dheere se boli - Mujhe handle karne do… koi nahi hai…

Aurat - Kya khusar phusar kar rahi hai, mere kaan ab itne tez nahi hai…

Supriya - Kuch nahi amma… aap kaisi hai…

Aurat - Chal is baar shukar hai tune mujhe pehchana toh… pichli baar to tu badi badtameez ho gayi thi… mall mein us aadmi ke saath mujhe pehchanne se bhi mana kar rahi thi…

Supriya - Haan, woh main apne pati ke saath thi…

Aurat - Woh tera pati tha?!! Toh ye kaun hai jiske gale lag rahi hai… ab ye mat kahiyo ki ab ye tera pati hai… tere toh pati itne badalte hai jitne logo ke kapde nahi badalte…

Supriya - Nahi… ye mere dost hai…

Aurat - Mard dost?!! Tauba tauba… aur tu unse aise chipat bhi jaati hai… apni jawani par thoda toh kaabu rakh… maana khuda ne tujhe khoobsurat banaya hai par iska matlab ye toh nahi ki har kisi ke gale lag jaye…

Supriya ko uski baatein kafi annoying si lagne lagi thi - Amma aap kya bole jaa rahi hain...

Aurat - Sun meri baat... ek baar ye jawani dhal jayegi na tab ye sab dost kisi kaam na aayenge...

Supriya thoda chhid kar boli - Hume chalna hai amma, aap apna khayal rakhna...

Aurat - Khayal to tu rakhiyo... aur agli baar kisi aur mard ke saath mat dikh jaiyo… tera toh woh sabse pehle wala hi mard sahi tha…

Vikram ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ye aurat kya bol rahi thi. Supriya ne Vikram ko chalne ka ishaara kiya aur woh dono wahan se chal pade.

Vikram ne ek light tone mein pucha - Ye sab kya tha…

Supriya - Kuch nahi… ek pagal si aurat hai.. main ek baar Iqbal ke saath yahan aayi thi tab mujhse mili thi aur doosri baat Atul ke saath, aur ab teesri baar aapke saath… use lagta hai… khair jaane do..

Vikram haste hue - Hahaha… sach mein tumne toh use tension mein hi daal diya hai…

Supriya ne baat palatte hue kaha - Chhodiye na… ab ye bataiye aage ka kya plan hai?

Vikram - Hmmm… bas ab toh sab clear hai… Ab bas shaadi… ya Nikah… jo marzi keh lo… fir hum ek ho jayenge...

Supriya ye sun kar thoda sa sharma si gayi - Aur fir uske baad?

Vikram - Uske baad bas tum aur main aur London… aur ek nayi zindagi…

Supriya ye sun kar thoda excited ho gayi - Sach mein... kafi intezaar ho gaya hai is sab mein...

Vikram - Bas ab intezaar ki ghadiyaan khatam hi samjho...

Supriya thoda hichkichate hue - Waise.... maine aapke woh posters dekh they deewar par lage hue…

Vikram ki aawaz thodi dab gayi - Haan.. woh sab Isha ne bina meri permission ke kar diya tha… but don’t worry usse hum par koi farak nahi padega…

Supriya - Aap kitna time yahan rahenge aur kitna London mein? Aapke bina toh main bilkul akeli pad jayungi…

Vikram - Tum fikr mat karo.. main iska bhi koi na koi solution dhoond hi lunga… aur main try karunga ki jyada se jyada time tumhare saath spend karu… aakhir tumse door kaise reh payunga main…

Supriya - Hmmm… mujhe lagta hai ab shayad Atul ko sab bata dena chahiye…

Vikram - Nahi abhi nahi… abhi kisi ko bhi kuch batana sahi nahi hoga… sahi waqt aane do...

Supriya - Theek hai… jaisa aap kahe… waise Kriti bhi baar baar call karke milne ke liye bol rahi thi… aaj bhi kafi zidd kar rahi hai milne ke liye... kya usse milna safe rahega.. usse mile hue kafi din ho gaye..

Vikram - Haan koi problem nahi, tum usse mil lo…. ek baar sab ho jaye toh hame use bhi bata hi denge… I am sure woh khush hogi hamare liye… waise bas Kriti ko miss karti ho ya mujhe bhi…

Supriya - Hmmm… aapko toh bilkul bhi nahi…

Vikram - Acha… woh toh aaj pata hi chal raha hai…

Supriya sharmate hue boli - Sach bolu toh aapki itni yaad aati hai na aajkal.. aur milne ka itna mann karta hai.. khaskaar… raat ko… jab main apne aap ko akeli mehsoos karti hu…

Vikram - Mann toh hai ki abhi tumhe kahin le chalu jahan bas hum dono ho…. Bas ab kuch hi din ki aur baat hai, aur hum dono ko apne dil par kaabu rakhna padega… fir uske baad toh bas hum dono….

Supriya ne Vikram ki aakhin mein use satate hue dekha - Intezaar toh karna hi padega na… 

Vikram - Ufff… tum toh mujhe bhatkane mein lagi ho… Suno, tumhara visa aur tickets waigera sab bas aane hi wale hai… tum bas ek bag pack karke rakhna, sab ho jaane ke baad tumhe jaldi se jaldi yahan se nikalna padega…

Supriya - Par main sabko bolungi kya?

Vikram - Woh tum mujh par chhod do… sorry mujhe abhi office ke liye nikalna hai… tum chali jayogi na ghar?

Supriya - Haan, jaise aayi thi waise hi chali bhi jayungi…

Dono ne ek doosre ko pyaar se dekha. Dono ko pata tha ki agli baar jab woh milne wale they toh woh shaadi ke bandhan mein bandh jayenge. Vikram ne halke se Supriya ke gaal par haath lagaya aur woh wahan se jaldi se nikal gaya.

Supriya ne ek gehri saans li aur wapas us aur chal padi jahan usne Iqbal ko chhoda tha.

________________________

Vikram apni gaadi chalata hua bas office pahucha hi tha. Aaj use kafi saare urgent kaam they office mein, par jo kaam subah hua tha woh sabse jyada zaroori tha. 

Woh office pahuch kar seedha apne floor par pahucha. Disha bahar apne desk par baithi kaam mein busy thi.

Vikram ne paas aate hue kaha - Disha… mera koi courier aaya kya?

Disha ne upar dekhte hue kaha - Haan.. maine apke desk par rakh diya hai. Aur Vikram woh…

Vikram - Haan bolo na…

Disha dheere se boli - Jai sir andar hain…

Ye sunte hi Vikram ka chhehra sakht ho gaya. Ek toh usne socha nahi tha ki us din ki ladayi ke baad Jai usse milne aayega, aur doosra andar kafi kuch aisa tha jo uski nazro se chhipana jaroori tha

Vikram ne thodi se gusse bhari aawaz mein kaha - Tumne use andar kyu jaane diya?

Disha apne aap ko defend karte hue boli - Woh sunte kahan hai… aur unka aapke office mein wait karna koi nayi baat toh nahi hai… 

Vikram ne ek nazar Disha par daali, shayad woh kuch aur kehna chahta tha par ruk gaya. Shayad use bhi pata tha ki usne Disha ko Jai ki entry ko lekar koi specific instructions nahi diye they. Lekin woh usually aisi situation ko bahut ache se pad leti thi, pata nahi aaj aaj usse ye chook kaise ho gayi thi.

Vikram ne khud ko sambhalte hue cabin ka door khola. Jai uski chair par toh nahi par saamne wali chair par baitha tha, uske haath table par rakhe paperweight se khel rahe they.

Jai ne Vikram ko dekhte hi badi si smile di - Dekho… aaj tumhari seat par nahi baitha hoon… tumhe shikayat ka koi mauka nahi dena chahta tha.. 

Vikram ne darwaza band karte hue seedhe poocha - Jai tum yahan kya kar rahe ho…

Jai ne hamesha ki tarah casual andaaz mein kaha - Apne dost se milne aaya hoon … aur kya…

Vikram - I thought us din ke baad ye kafi clear ho gaya tha ki tum yahan welcome nahi ho…

Jai - Us din ko jaane bhi do ab… main toh kabka bhool gaya…

Vikram apni chair tak jaa raha tha, uske desk ke beecho beech courier ke lifafe pade they. Unme se ek British consulate se tha, Supriya ka visa. Jaise bhi ho use ye envelope Jai ki nazaro se door rakhna tha.

Vikram - Toh ab kya mujhse kya chahte ho… main apna stance clear kar chuka tha us din…

Jai - Bas tumhari yaad aayi aur main chala aaya… chalo jo kuch hua uske liye main fir se maafi maang leta hoon…

Vikram - Aur agar main maaf na karu toh…

Jai - Yaar tumhare bina toh shikaar mein bhi maza nahi aata… aisa lagta hai jaise us Sharma pariwaar ne poori zindagi hila kar rakh di hai… ab kab tak gussa rahoge us baat se...

Vikram apni chair par baitha aur halke se saare envelopes apni side karne laga. Is samay bas woh chahta tha ki Jai yahan se chala jaye - Dekho Jai, aaj main thoda busy hoon... main aata hoon tumse milne…

Jai ne Vikram ki aankhon mein ek jhalak dekhte hue poocha - Pakka?

Vikram - Bilkul pakka… saath baith kar daaru peete hai just like old days…

Jai - Done boss done… waise ye hui na hamari beech ki maturity, mujhe toh laga tha tum kuch jyada hi filmy ho jayoge…

Vikram - Hmmm, nahi… I am fine.. chalo fir milte hai…

Jai jaane ke liye khada hua - Waise milenge kahan? Yahan ya London?

Ye sunte hi Vikram ke chhehre ki smile bilkul gayab ho gayi. Aur Jai ke smile itni badi ki uske daant dikh rahe they. Vikram samajh chuka tha ki Jai woh envelope dekh chuka tha.

Baat ko ghumane ka koi fayda nahi tha, Vikram ne sakht aawaz mein poocha - Tum chahte kya ho…

Jai - Aree dost… tum mujhe galat saamajh rahe ho… bas lifafa saamne rakha tha aur meri nazar us par pad gayi… us par Supriya ka naam bhi saaf saaf dikhayi de raha hai… Disha ko bolo zara aisi cheezi khule mein na chhoda kare...

Vikram - Hmmm... use ye bhi bolna padega ki tumhe kabhi fir yahan andar na aane de...

Jai - Aisa mat bolo... hamare beech toh kabhi aisa hua nahi... jo mera hai woh tumhara hai.. aur jo tumhara hai woh mera hai...

Vikram - Supriya koi baatne ki cheez nahi hai, tum chahe jo kar lo woh toh tumhe milne se rahi…

Jai bhi thoda sanjeeda hota hua bola - Main ab Supriya mein interested hoon bhi nahi… maine kisi ko vaada kiya hai ki uski aur dekhunga bhi nahi…

Vikram haste hue - Acha… tum kahoge aur main maan lunga?

Jai - Sach dost… waise chal kya raha hai? Tum use London bhej rahe ho?

Vikram - Hmmm…

Jai - Kaise manaya use? Shaadi ka promise karke? Agar Isha ko pata chal gaya toh? Bahut badi musibat mein fas jayoge tum dost…

Vikram - Mujhe Isha ki dhamki mat do… 

Jai - Tum toh abhi bhi gusse mein hi ho… shaant raho... agar mere aane se tension badi hai toh main chalta hoon… par kuch bhi jaroorat ho toh main hazir ho jayunga… 

Jai darwaze ki taraf chal pada.

Vikram - Jai… hamari purani dosti ke khatir…

Jai - Bolne ki jaroorat nahi hai dost… kisi ko kuch nahi kahunga… tum jaante ho main jhooth nahi bolta…

Vikram ka dil keh raha tha woh Jai ki baat par yakin kar le, par uska dimaag use kuch aur hi keh raha tha. Use  jald se jald sab karke Supriya ko yahan se nikalna hoga. Shayad kal hi sab kuch karna hoga.

_______________________________

Supriya bas abhi Kriti ke ghar ke bahar hi pahuchi thi. Raat ke 8 baje they, aur aaj woh poori raat Kriti ke ghar par guzarne wali thi. Woh itne dino baad yahan aayi thi, aur Kriti ke saamne fir se Vikram aur apne beech ki baatein chhupana… woh soch kar hi thakaan si mehsoos ho rahi thi. Par ye shayad aakhri baar tha jab use Kriti se kuch chhupana padega.

Supriya ne ghar ki ghanti bajayi aur kuch hi pal baad Kriti ne darwaza kholte hue apni usual energy bhari aawaz mein kaha - Hey sweetheart!! Tum aa hi gayi!!

Supriya apne chhehre par ek muskaan late hue boli - Haan… kaise na aati… tumne itni baar jo bola tha aane ke liye…

Kriti aankh maarte hue boli - Nahi bolti toh shayad tum aati bhi na…

Supriya ko ghar ke andar kadam rakhte hi drawing room se kisi ki baat karne ki aawaz aayi. Usne Kriti ki aur dekhte hue poocha - Uncle aunty ghar par hai kya?

Kriti - Nahi nahi.. papa mummy toh bahar gaye hue hai... we have the house to ourselves... 

Supriya - Oh, fir ye aawazein... koi aur bhi aaya hai kya?

Kriti - Haan bas Akash aur Rahul hi hain… chhote se group ko hi invite kiya hai maine…

Rahul ka naam sunte hi Supriya ke kadam ruk gaye aur uska chhehra safed pad gaya, use nahi pata tha ki Kriti Rahul ko yahan bulane wali thi. 2-3 hafte pehle jo kuch hua, uske baad woh Rahul se kabhi nahi milna chahti thi.

Kriti - Kya hua? Tum toh aise react kar rahi ho jaise maine kisi bhoot ka naam le liya ho…

Supriya ne jaldi se normal hone ki koshish kari - Nahi, nahi… bas mujhe laga tha ki hum dono hi honge… 

Kriti apne honth pout karte hue boli - Haan woh last minute thoda plan change ho gaya… in dono ko bulane ke liye kitna convince karna pada... tum soch bhi nahi sakti...

Supriya - Oh acha… koi special occassion hai kya?

Kriti smile karte hue boli - Guess karo?

Supriya confused thi - Ummm… tumhara birthday toh nahi!!!

Kriti - Birthday to hai.. par mera nahi…

Supriya hairaan hote hue boli - Fir kiska?!!

Kriti - Oh god!! Tum apna hi birthday bhool gayi! Kal tumhara birthday hai dumbo…

Supriya ek pal ke liye bauchakki si reh gayi, itna kuch chal raha tha uski jindagi mein ki woh bhool hi gayi thi ki kal uska hi birthday hai.

Supriya ne dheere se kaha - Ohhh wow… thank you… mujhe toh yaad bhi nahi tha...

Kriti uska haath pakadte hue use kheech kar andar le gayi - Suprise dena tha tumhe, par tum itni serious dikh rahi thi ki mujhe abhi batana pada tumhe…

Kriti Supriya ko lekar andar drawing room mein aa gayi aur wahan Rahul sofe par baitha tha aur Akash paas mein hi khada tha.

Akash ne Supriya ko dekhte hi josh mein kaha - Surprise!!!! Happy birthday in advance!!!

Rahul ne bhi baithe baithe kaha - Happy birthday to you... 

Supriya ne uski aur dekha, uske chhehre par abhi bhi chot ke gehre nishaan they. Supriya ne halki si muskaan ke saath kaha - Thank you…

Kriti - Supriya… you know Rahul ka bike se accident ho gaya tha, kafi chhot lagi thi… poor guy...

Supriya ne anjaan banne ka natak kiya- Oh acha… mujhe nahi pata tha… kaise ho tum ab Rahul…

Rahul - Theek hoon… par abhi bhi chhot poori tarah se gayi nahi hai…

Rahul ne Supriya ko ghoor kar dekha, jaise keh raha ho ki tumhe sab toh pata hai, fir bhi anjaan banne ka natak kar rahi ho. Poore kamre mein kuch pal ke liye khamoshi si chhaa gayi aur Kriti baari baari sabki aur dekh rahi thi.

Kriti ne hi is khaamoshi ko toda - Ok guys! Enough serious vibes... aaj ka plan hai Pizza, wine and some embarrassing games...

Akash haste hue bola - Kriti ka matlab hai Akash ki lame embarrassing life stories...

Kriti - Sirf Akash ki hi nahi... sabki...

Kriti jaldi se ek tray mein wine ke glasses le aayi aur sabko dene lagi. Rahul ne glass utha kar kaha - Cheers to the birthday girl....

Kriti aur Akash ne bhi zor ke kaha - Cheers!!!

Supriya bas halki si muskaan liye apne aapko yahan fasa hua sa mehsoos kar rahi thi. Use yahan aaj raat nahi aana chahiye tha, aur ab ye party jo uske naam thi, usse nikalna toh bahut hi mushkil tha.

Kareeb ek-do ghante baad, drawing room ki lights dim ho chuki thi, pizza ke dabbe khali pade they, aur 2-3 wine ki bottle table par bikhri padi thi. Sab log baithe hue hasi majak kar rahe they. Kriti sofe par chhadi hui kuch aise baithi thi ki uski dress mein se uski nangi jaanghen saaf dikh rahi thi. Akash ki nazar toh bas wahin tiki thi.

[Image: 207941372-350361396457851-7464309943701310272-n.jpg]

Sabse jyada peene wali Kriti thi, aur uske chhehre par wine ka nasha saaf dikh raha tha. Akash ka bhi kuch aisa hi haal tha. Bas Rahul aur Supriya ne thodi kam pee thi, par woh ek doosre ki taraf dekh bhi nahi rahe they.

Kuch der baad Kriti aur Akash saath khade ho kar music par dance karne lage. Un dono ko is tarah itni kareeb dance karte dekh toh Supriya ko bhi sharam si mehsoos hone lagi thi.

Kriti ne Supriya ko upar uthane ki koshish kari - Come on guys... join us....

Supriya khadi nahi hui, Kriti kuch jyada hi out of control ho rahi thi - Kriti nahi... tum baith jayo...

Supriya ne Kriti ko kheecha aur woh carpet par neeche dham se baith gayi. Kriti ko isse jaise koi farak hi nahi pada, aur woh taali bajate hue boli - Ok ok suno sab log! Enough boring talk... ab truth and dare ka time hai...

Akash haste hue bola - Oh come on... ye college time wala game kaun khelta hai...

Kriti ne use ghoor kar dekha - Chhup... ab hum log bade ho gaye hai toh truth aur dare bhi bade honge na....samjha...

Supriya ne parshaan hote hue Kriti ko kaha - Kriti... rehne do na ye sab...

Par Kriti ne toh zidd pakad li thi - Please please.... bas thodi si der ke liye....

Rahul ne bhi uski haan mein haan milayi - Come on... Kriti itne pyaar se bol rahi toh khelte hai na...

Saare log neeche carpet par baith gaye. 

Kriti ne ek bottle uthayi - Ok, main bottle spin karti hoon... jiske saamne aayega use ek question ka jawab dena hoga...

Sabhi ne haan mein sir hilaya aur Kriti ne bottle ko ghuma diya, pehli baar bottle Akash ke aage aakar ruki.

Akash ne drama karte hue kaha - Oh god... ab tum log mere baare mein kuch embarrasing poochoge...

Kriti ne muskurate hue kaha - Supriya... tum birthday girl ho... tum poocho...

Supriya ne thoda panic mein kaha - Main kya poochu? Tum log hi pooch lo na...

Kriti ne fir se insist kiya - Come on... just ask him...

Supriya ne thoda sa socha ke poocha - Akash tumhari girlfriend hai?

Kriti ne angoothe ko neeche karte hue kaha - Boooo... itna simple question...

Akash ne has ke jawab diya - Thank you ma'am.... filhaal toh nahi hai...

Kriti ne jaldi se doosra question pooch liya - Acha tum kisi ko like karte ho?

Akash - Hey, bas ek hi question poochna tha... rules are rules...

Kriti hasi - Ok Ok... I will spin it again...

Is baar bottle jaakar Kriti par ruki. Isse pehle koi Supriya ko question poochne ke liye kehta, Supriya ne khud hi keh diya - Koi aur bhi question pooch lo, nahi toh kafi boring game ho jayega...

Rahul - Ok... main pooch leta hoon... tumne last 6 months mein mere elawa kisi aur ko kiss kiya hai?

Akash ne taana maara - Ooooo... ye toh game serious ho gaya... ab bolo Kriti ji... end kar de game...

Kriti - Nahi... I will be honest... haan maine kiss kiya hai... par ek hi sawal tha so you can't ask me who...

Is baar Akash ne bottle spin kari aur Rahul par aakar ruka.

Kriti ne use chhidate hue kaha - Ok... ab tum bhi nahi bachoge... tumne haal hi mein mere elawa kisi aur ko kiss kiya hai?

Supriya ka dil zor zor se dhadak raha tha, Rahul ne ek nazar uski aur dekha aur fir halke se kaha - Haan.... ab next please...

Akash - Ooooo.... secrets are coming out...

Kriti thoda shocked thi, par woh ab ye game continue rakhna chahti thi. Is baar fir se Akash par bottle aayi.

Rahul ne jhat se usse sawal pooch liya - Do you secretly have a crush on Kriti?

Akash ne ghoor kar Rahul ki aur dekha, jaise woh uska koi gehra raaz ujagar kar diya ho - Come on yaar... this is not fair...

Supriya bhi bol padi - Bolna toh padega na... rules are rules...

Kriti halke se smile karte hue boli - Don't worry Akash... sach bol do... I won't mind...

Akash jhepte hue bola - Haan... I mean who wouldnt...

Kriti ke gaal thodi si sharam se laal ho gaye they, par usne jaldi se bottle dubara spin kar di. Is baar bottle Supriya par aakar ruki.

Supriya ghabra rahi thi ki koi usse kya poochega. Akash ne turant hi badla lete hue poocha - Have you had sex outside of your marriage?

Supriya ne uski aur gusse mein dekha - Ye kaisa behooda sawal hai... main iska jawab nahi dungi...

Kriti ne bhi Akash ko tok diya - Hey... come on Akash... thodi decency rakho yaar questions mein...

Akash - Acha... aur jab mujhse poocha jaa raha tha question tab?

Supriya ne Kriti ki aur dekha - Main woh sawal nahi poocha tha... aur waise main ye game nahi khelna chahti... faltu ke sawaal ho rahe hai...

Kriti ne Supriya ko uthne nahi diya aur use samjhate hue kaha - Ok Ok... calm down... dubara spin kar lete hai...

Kriti ne jaldi se spin kara aur is baar Rahul par aakar ruka. Akash use bhi chhodne nahi wala tha - Tumne jise kiss kiya tha, kya hum use jaante hai?

Supriya ne jhat se Rahul ki aur dekha, woh use kuch bhi bolne se rokna chahti thi. Rahul ne uski aankhon mein nahi dekha bas neeche dekhte hue halke se bola - Haan...

Kriti bhi ab serious ho gayi thi, uska nasha kam hone laga tha - Oh wow... that's interesting... aisa kaun hai?

Rahul - No more questions...

Kriti ne dubara poocha - Nahi Rahul... I am serious... tell me... kaun hai?

Rahul ne aankhein uthate hue Supriya ki aur dekha, par Kriti ko kuch samajh nahi aaya. Use laga bas woh Supriya se permission maang raha hai uska naam lene ke liye.

Kriti - Supriya tum jaanti ho kya use?

Supriya ne jhat se kaha - Main? nahi toh...

Akash aakhir beech mein bol pada - Oh come on... woh tum hi toh ho... I mean everyone knows right... Rahul aur Supriya toh kiss kya sab kuch hi kar chuke hai...

Kriti ki aankhein badi ho gayi aur woh zor se boli - WHAT!!!! Kya nonsense bol rahe ho.... Supriya aur Rahul?

Akash ne aaram se kaha - I mean yeah... tumhe date karne se pehle Supriya aur Rahul kafi close they... Rahul ne hi mujhe ye bataya tha...

Supriya jaldi se uth khadi hui - Ye kya behooda majak hai...

Rahul halki si muskaan liye bola - Come on Supriya... ab bata bhi do...

Kriti ko apne kaano par yakin nahi ho raha tha - Ek second... kya hai ye sab... what the hell!!!

Rahul - Kriti... I am sorry tumhe aise ye sab pata chala... par yaad hai jab hum logo ne baat karna shuru kiya tha... aur tab tum mujhse gussa ho gayi thi gym mein... aur hamari bol chaal band thi... tab main aur Supriya...

Kriti apni yaadon mein jaldi se saari baatein yaad karne lagi - Kya! Mujhe toh Supriya ne bola tha ki tum... oh god... Fuck... 

Kriti ne gusse se Supriya ki aur dekha - How could you do that to me! You.... 

Woh shayad koi ganda shabd bolne wali thi Supriya ke liye par use kisi cheez ne rok liya.

Rahul - Aur ye mere accident wale din bhi Supriya aur main saath hi they... batayo na Supriya sabko kya hua tha us din kya hua tha...

Supriya gehri saansein le rahi thi, use samajh nahi aa raha tha woh yahan kaise fas gayi thi, kya ye Rahul ka hi failaya hua jaal tha usse badla lene ka - Nahi... woh... meri baat suno Kriti... Rahul mujhe blackmail kar raha tha...

Rahul - Oh come on... hamare beech sab toh ho chuka tha pehle... main tumhe blackmail kyu karunga...

Kriti ne gusse mein bottle ko door faik ke maara aur wahan se andar kamre mein jaane lagi - Get out! Get out! All of you... now!!!

Supriya jaldi se uske peeche peeche bhaagi - Kriti... meri baat suno... ye sach nahi hai... poora sach toh nahi....

Kriti ne use ghoor kar dekha - Tumne bhaiya ko isliye chhoda... taaki tum aur Rahul fir se... Fuck! You are such a piece of....

Supriya - Kriti nahi... aisa nahi hai...

Kriti chalte chalte kamre tak andar apne kamre tak pahuch gayi thi, wine ka nasha aur gusse ki aag use buri tarah bhadka rahi thi - You are such a liar! Tum meri best friend thi... maine tumhari itni help kari... aur tumne... hamesha mujhse jhooth hi bola... Apne husband se cheat kiya... Bhaiya ko bhi dhoka diya...

Uski baatein sun kar Supriya ko bhi gussa aane laga tha - Aur tum... tum bhi toh Rahul se cheat kar rahi thi... tumne woh gore Danny ko kiss nahi kiya tha? Aur aaj Akash aur tumhare beech ka sach bhi zahir ho hi gaya tha...

Kriti bhadak kar boli - Don't you dare turn it on me... I am so happy that ab tum bhaiya ki life mein nahi ho...

Supriya apne aap ko sach bolne se rok nahi saki - Acha... tumhe bata du ki Vikram aur main alag nahi hue hai... hum log bas ye dikhawa kar rahe hai...

Kriti - Dikhawa toh tumhari speciality hai na... woh toh bahut acha kar leti ho tum...

Supriya - Ye koi dikhawa nahi hai, Vikram aur main bas shaadi karne hi wale hai... mere aur Rahul ke beech ab kuch nahi hai...

Kriti - Par tha toh sahi na... OK! theek hai, main bhaiya ko hi sab kuch bata dungi...

Ye sun kar Supriya ki akad thodi si kam ho gayi aur usne Kriti ka haath pakad liya - Please yaar... aisa mat karna... meri baat suno... 

Kriti ne chilla kar use kaha aur uska haath jhidak diya - Why should I listen to you!

Supriya - Please... hamari dosti ke khatir... please unse kuch mat kehna...

Kriti - Get out of this house now... before I do something that both of us will regret... get lost... NOW!

Kriti jis tarah us par cheekh kar padi, Supriya buri tarah hil gayi thi aur woh jaldi se bahar ki aur nikli. Woh darr aur gusse se kaanpti hui bahar ki aur nikli, shayad Rahul aur Akash wahan se jaa chuke they. Isse pehle ki Kriti Vikram ko kuch bhi bataye, use Vikram se baat karni hi padegi. Usne Vikram ke prepaid number par call kiya par woh number band pada tha.

Supriya jaldi se apni gaadi mein baithi aur tezi se gaadi chalati hui ghar ki aur le gayi. Ye din pata nahi kahan shuru hua tha aur pata nahi kahan jaakar khatam hoga. Supriya ki aankhein laal pad gayi thi aur thamne ka naam nahi le rahi thi. Raat ki khali sadko par woh tezi se gaadi chalate hue apni building pahuchi. 

Raat ke lagbhag 11.30 baj gaye they jab Supriya ne apne ghar ka darwaza khola. Jaise hi Supriya ne dham se ghar ka darwaza dhad se band kiya, Atul shor sunkar apni aakhen malta hua bedroom se bahar aaya - Supriya... tum... tumne toh kaha tha subah aayogi...

Supriya ne use teekhi nazro se dekha - Kyu! Main galat time par aa gayi kya? Koi aur so rahi hai kya tumhare saath bedroom mein?

Atul annoyed hote hue bola - Ye kya bakwaas kar rahi ho...

Supriya - Kyu? Mere jaate hi tumne Disha ko toh nahi bula liya apna saath dene ke liye...

Atul - Supriya tum limit cross kar rahi ho... main kuch bolta nahi iska matlab ye nahi...

Supriya - Aap kuch bolte hi toh nahi... tabhi toh ye sab ho raha hai...

Atul ne apne aap ko thoda control karne ki koshish kari - Raat ko ye sab tamasha mat karo...

Supriya chilla kar boli - Kyu? Sach sunne mein problem ho rahi hai?

Atul - Lagta hai tumne pee hui hai... main tumhe pehle bhi bata chuka hoon ki Disha aur mere beech aisa kuch nahi hai... bas woh meri colleague hai...

Supriya taana maarte hue boli - Acha... woh bas colleague hai toh fir raat ko tumhe "D" naam se kaun message karta hai... 

Atul chaunk gaya - Kya? Tumne kab dekha...

Supriya ko laga ki use bhi sach pata chal hi gaya - Pakde gaye na...

Atul - Kya pakda gaya, tumhe pata bhi hai "D" kaun hai?

Supriya - Disha ofcourse...

Atul - "D"... Dhruv ka number hai... main use bachpan mein D bulaya karta tha...

Supriya ne gusse mein kaha - Kya? Jhooth bol rahe ho...

Atul - Tum check kar lo mera phone...

Supriya ko yakin nahi ho raha tha, uska dimaag chalna band sa ho gaya tha.

Atul - Mujhe yakin nahi aa raha tum mujh par itna shak kaise kar sakti ho... maine hamesha tum par trust hi kiya... logo ne mujhe bahut bhadkane ki koshish kari tumhare against... but mujhe nahi lagta usme kuch bhi sach hain....

Supriya bilkul chup thi, kuch bhi bolne ki halat mein nahi. Uske andar kuch toot sa gaya tha, woh aisi toh kabhi nahi thi.

Atul - Main jaanta hoon main tumhare layak nahi hu, par main try toh kar raha hoon... par tum try kar rahi ho kya? Bolo?

Supriya ne Atul ki aur dekha, use shayad kuch toh batana hi hoga, woh ab yahan aur nahi reh sakti thi - Atul... main ye ghar chhod kar jaa rahi hoon... shayad hum dono ke liye wahi theek hoga...

Atul - Kya nonsense hai... aaram se baitho... paani piyo... sorry main thoda bhadak gaya...

Supriya ne apna sir jor se na mein hilaya- Nahi... bas ab hamare beech ab kuch nahi bacha hai...

Atul - Supriya... sach mano... mere aur Disha ke beech kuch nahi hai...

Supriya - Atul, ab baat Disha ki nahi hai... baat hamari hai... hum logo ko saath nahi rehna chahiye... tum doosri shaadi kar lo...

Atul ko lag raha tha is halat mein woh Supriya se baat nahi kar rahi thi - Tum aaram karo... subah baat karte hai... pata nahi tum kis mood mein bahar se aayi ho... 

Supriya ne use roka - Nahi... abhi baat poori karte hai...

Atul - Supriya mujhe subah office mein jaana hai... is waqt hum sirf ladenge aur kuch nahi haasil hoga...

Atul use wahan chhod kar wapas apne kamre mein chala gaya. Supriya rote hue akele apne kamre mein aa gayi. Aaj toh usne shayad sab kuch hi kho diya tha, Kriti, Atul aur shayad Vikram ko bhi. Shayad woh aaj kuch jyada hi behak si gayi thi. 

Par bas ab woh Vikram ko nahi khona chahti thi. Wohi toh bacha tha uske paas. Shayad use Vikram ko sab sach bata hi dena chahiye.

Supriya ne apne phone ki aur dekha aur ek baar fir Vikram ke prepaid number par call kar di.

Supriya ko umeed nahi thi ki is samay Vikram call uthayega, par 2-3 ghanti baad doosri tarah se Vikram ka soft "hello" aaya.

Supriya ki saans ukhad si rahi thi - Vikram... mujhe abhi aapko abhi sab sach batana hai...

Vikram ne shant aawaz mein kaha - Hey... calm down... kya hua?

Supriya - Woh Kriti ke yahan.... sab gadbad ho gaya...

Vikram ne aaram se kaha - Haan woh Kriti ka call aaya tha mere paas... Rahul ko lekar sab na...

Supriya ko samajh nahi aaya ki Vikram is baat ko lekar itna chill kaise ho sakta tha, Supriya - Aapko sab pata hai?

Vikram - Haan... mujhe pehle se sab pata tha... par it doesn't matter... I know you hate him... and he is not worth it...

Supriya ne ek chain ki si saans li - Oh Vikram... main itne tension mein aa gayi thi...

Vikram - Calm down... don't worry... 

Supriya - Par Kriti bahut bhadki hui thi...

Vikram - Main use samjha dunga... give her some time... par listen maine isliye ye number on kiya tha ki I want us to get married tomorrow... aur fir parso maine tumhari London ki flight book kar di hai... you need to leave as soon as possible...

Supriya - Kyu? Kuch gadbad ho gayi hai kya?

Vikram - Haan... par main abhi sab nahi samjha sakta... main bas ek address text kar raha hoon... tum wahan kal pahuch jaana... uske baad hum log saath chal kar apni shaadi register karwa lenge...

Supriya - Theek hai... main aa jayungi...

Vikram - Ab aur tension mat lo... thoda rest karo... kal kafi khaas din hone wala hai...

Supriya aur Vikram ki call khatam hui aur Supriya ki bechaini thodi si kam ho gayi thi. Shayad sab kuch itna bhi nahi bigda tha, Vikram jaroor Kriti ko mana lega, aur khair woh yahan se chali hi jayegi. Kal shayad uska naya jeewan shuru hone wala tha.
___________________

Subah jab Supriya uthi toh 9 baj chuke they aur Atul office jaa chuka tha. Supriya ka sir abhi bhi buri tarah ghoom raha tha - shayad raat ki wine and jhagdo ki wajah se. Par abhi ye sab sochne ka time nahi tha. Aaj uske liye ek bada din tha. Use tayyar ho kar apne naye jeewan ki shuruwaat karne jaana tha.

Supriya jaldi se bistar se uthi aur bathroom ki taraf bhaagi. Jaise hi thanda paani uske muh par pada, woh thode hosh se mein aayi. Nahi kar bahar nikalne ke baad woh apni almari khol kar khadi ho gayi. Aaj woh kuch khaas pehenna chahti thi.


Supriya ne apni almari se ek laal rang ki saree nikali aur use pehenne lagi. Uska dil zor ke dhadak raha tha aur woh kafi jyada bechaini aur excitement mehsoos kar rahi thi. Lenghna pehenna mein thoda time lag gaya aur fir uske saath chhoodiyan pehni aur ache se makeup kiya. Supriya ne apna mangal sutra utha kar bed ke side ki table par rakh diya. Ab iski kya jaroorat thi.


[Image: 74e418569ca60abfe067c867658191b1.jpg]

Supriya ko lagbhag 2 ghante lag gaye tayyar hote hote. Usne apne aap ko aine mein dekha, Vikram ko woh bahut hi achi lagne wali thi aaj, bilkul Vikram ke pasand se tayyar hui thi aaj woh. 

Ab aakhir woh jaane ke liye tayyar thi. Use aaj bhi Iqbal ki jaroorat padne wali thi aur usne use call kiya.

Iqbal ne phone uthate hi kaha - Madamji, sab khariyat toh hai na?

Supriya - Hello Iqbal… sab theek hai… par mujhe aaj fir aapki madad ki jaroorat hai…

Iqbal - Boliye na…

Supriya - Mujhe kahin jaana hai abhi... aap car se mujhe chhod denge kya?

Iqbal - Madamji.... main kahin bahar hoon... thoda time lag jayega pahuchte pahuchte...

Supriya - Acha... koi nahi... main chali jayungi...

Iqbal - Aap kahe toh main kisi ko bol du aapko chhodne ke liye...

Supriya - Nahi nahi... ho jayega manage... aap chinta mat karo...

Iqbal - Aap mujhe pata bhej do... main wahin aapko mil jayunga taaki aap mere saath wapis aa sako...

Supriya - Theek hai... main bhejti hoon...

Iqbal - Aap apna khayal rakhna... main milta hoon aapse jald hi...

Supriya ne phone rakha. Woh is bhari saari mein gaadi toh bilkul nahi chalana chahti thi, toh uske paas auto pakadne ke elawa koi option nahi tha. Supriya apna bag lekar neeche pahuchi aur building ke bahar se ek taxi pakad kar Vikram ke paas chal di.

Raaste mein uska dil zor zor se dhadak raha tha. Ek purani raah chhodne ka darr, ek nayi raah pakadne ka darr. Chup chaap baithi woh apne aane wale kal ka intezaar kar rahi thi.

Taxi ne use kuch der baad ek chhote se mandir ke bahar utaara. Supriya jaldi se mandir ke andar chali gayi aur wahan use saamne Vikram khada dikhayi diya. Uske chhehre par ek badi si smile thi. Aaj aakhir un dono ka milan jo hone wala tha.

[Image: 676d8384a19da00de203b503eebd3ecf.jpg]

Vikram ko dekhte hi Supriya ki tension bhi kafi hadd tak kam ho gayi, aur uske chhehre ki smile bhi wapas aa gayi. Usne door se hi haath hila kar Vikram ko wave kiya.

Jaise jaise woh Vikram ke paas pahuch rahi thi, uske gaalo ki laali badti jaa rahi thi. Uske honth toh jaise seal ho gaye they.

Vikram bhi use bas dekhta reh gaya tha - Wow.... you are looking amazing... I love you...

Supriya ne idhar udhar dekha aur sharmate hue boli - I love you too...

Dono mandir mein ek doosre ko hug karne mein jhijhak se rahe they. Dono ke liye hi ek doosre se ab ek pal bhi door rehna aasan nahi tha. Bas khade hue ek doosre ko dekhte hue muskurate rahe.

Vikram ne chhupi ko todte hue kaha - Pandit ji ne bola hai ki 40 minute mein shubh muhurat hai, tab tak intezaar karna padega. 

Supriya muskurayi - Koi baat nahi, itna intezaar kiya hai toh 40 minute aur kya hote hai...

Vikram ne Supriya ka haath halke se thaam liya - Main soch raha tha tab tak kuch aur rasme kar le... maine kuch khaas tayyari toh nahi ki thi, par abhi yaad aaya...

Supriya hairaan hokar boli - Kaisi rasme?

Vikram - Main soch raha tha ki agar hamari proper shaadi hoti toh kuch toh rasme hote shaadi se pehle, hum ek doosre ko angoothi toh pehnate hi na...

Vikram Supriya ko thoda side mein ek kamre mein le gaya aur apni jeb se ek chhota sa velvet box nikala. Usme ek sundar si angoothi thi. Usne Supriya ke ungli mein woh angoothi pehna di. Supriya itni sundar angoothi ko bas dekhti hi reh gayi thi, uski aankhon mein halki si nami aur dil mein khushi.

Supriya udaas hote hue boli - Par main toh kuch laayi nahi... ab kya karu?

Vikram haste hue bola - Jo tumhare ungli mein hai... wohi de do...

Supriya - Par woh aapke aayegi nahi.

Vikram - Koi baat nahi... London mein ek doosri le lenge... aur fir us nayi wali se ise exchange kar lenge.

Supriya ne apni ungli ki angoothi utaar kar Vikram ko de di, aur fir woh Vikram ki pehnayi hui angoothi ko niharne lagi. Woh bahut hi jyada sundar thi. Dono ke liye hi ye pal behad haseen tha.

[Image: 60f2539327ce9dce2761c9c71f7baab0.jpg]

Tabhi Supriya ko kuch ghu ghu ki aawaz aane lagi, jaise kisi ka phone silent par ring kar raha ho. Usne apna phone check kiya, ye uska toh nahi tha.

Supriya ne Vikram ke haath ko chhote hue kaha - Vikram... shayad aapka phone ring kar raha hai...

Vikram - Haan... dekhta hu...

Vikram ne jaise hi phone jeb se nikaal kar dekha, uske chhehre par ek shikan si aa gayi.

Supriya ne Vikram ko pareshan dekh pucha - Kaun hai? Uthayo na...

Vikram ne casually kaha - Nahi, koi nahi hai... aise hi... not important today...

Par kuch hi pal baad phone fir se vibrate karne laga, Vikram thoda annoy ho kar badbadaya - Aaj ke din hi ise call karna hai... waise toh kabhi nahi...

Supriya ne fir poocha - Kiska call hai?

Vikram ne apne honth par ungli rakhte hue use chhup rehna ka ishaara kiya - Shhhh... chup rehna bilkul....

Vikram ne call uthaya aur doosri aur se Isha ki tez aawaz aayi - Vikram!! Where are you?

Vikram ne apni aawaz ko normal karte hue kaha - Office ke kaam se bahar nikla tha, kyu?

Isha - Abhi ke abhi ghar pahucho...

Phone speaker par tha toh Supriya bhi sab sun paa rahi thi aur usne Vikram ki aur dekha, Isha use abhi ghar kyu bula rahi thi.

Vikram - Sab theek hai na?

Isha - Nahi... I want you here at home in the next 20 minutes...

Vikram irritate hote hue bola - Isha main kisi client meeting mein hoon... main abhi nahi aa sakta...

Isha - Ok... fir tum responsible honge jo bhi us bitch ke saath hoga...

Vikram ka dil tezi se dhadakne laga - Kiski baat kar rahi tum?

Isha - Tumhari premika - Supriya Sharma, aur kiski!!!

Vikram ka dil buri tarah baith gaya - What nonsense yaar... we have discussed this before...

Isha ne cheekhte hue kaha - Mujhe bewakoof banane ki koshish mat karo... maine tumhe samjhaya tha na ki just fuck her and get rid of her... par tumhe meri baat samajh nahi aayi... tum us bitch se shaadi karne ke sapne dekh rahe they… 

Vikram - Isha... listen... main aa kar sab explain kar dunga, aisa kuch nahi hai...

Isha - Don't worry, sab clear ho jayega aaj.. maine Aslam ko already bhej diya hai uske ghar...

Vikram ke shakal par ek dehshat thi - What!! Supriya... I mean Ishaa.... just call him back... iski jaroorat nahi hai...

Isha - Abhi bhi tumhare muh se uska hi naam nikal raha hai na... unbelievable...

Vikram - Jaroor tumhe kisi ne mere against bhadkaya hai... Jai!!! Jai aaya tha kya ghar... trust me uski aur meri ladayi hui thi financial matters ko lekar... you can't trust him...

Isha - Jai bolta toh shayad main ek second ke liye tumhari baat maan bhi leti... par ye mujhe Jai ne nahi bataya...

Vikram - Fir kisne kaha tumse ye sab?

Isha ki shakal toh nahi dikhayi de rahi thi, par uski aawaz se zahir tha ki usne ye muskura ke hi kaha hoga - Tumhari pyaaaariii behna aayi thi subah ghar... usne mujhe sab bata diya hai... ek ek cheez... itne time se ye sab chal raha tha aur tum mujhse jhooth bolte rahe…

Vikram buri tarah hakka bakka mehsoos kar raha tha - Kriti!? Tum majak kar rahi ho na? Main abhi use call karke sab clear karwata hoon...

Isha - Don't bother... uska phone band hoga... aur don't lash out at her... she just told me the truth... 

Vikram ko yakin nahi ho raha tha ki Kriti uske saath kuch aisa kar sakti thi. Par shayad usne ye sab Vikram ke against nahi Supriya ke against kiya tha.

Isha - Dad uska admission kara denge US ke college mein... so she is happy... anyway, I need you to come home now... otherwise... us raand ka aisa haal karega na Aslam... tum abhi aa jayoge toh shayad main tum par aur uske baaki family members par thodi narmi bartu...

Vikram kafi defeated feel kar raha tha, Isha ko is khel mein harana bahut mushkil tha, use wahan jaana hi hoga - Main aata hoon... please mere aane tak kuch bhi nahi karna...

Isha - Come quick, tumhari rakhail ka show shuru hone se pehle...

Isha ne phone kaat diya. Vikram ka sir buri tarah jhuka hua tha. Usne Supriya ki aur dekha toh uski halat toh aur bhi kharab thi. Uske aansu buri tarah beh rahe they, aur woh apna haath apne muh par rakhe kisi tarah apni siskiyaan daba rahi thi. Phone rakhte hi uske bilakhne ki aawaz aane lagi.

Yeh pal, jo kuch der pehle tak unka sabse khoobsurat tha, ab ek bura sapna ban gaya tha.

Supriya rote hue kisi tarah se boli - Vikram ye sab.... Kriti.... woh aisa kaise kar sakti thi... ab kya karenge hum....

Vikram bas wahin khamosh, pareshan khada tha, jaise uske pairon ke neeche se zameen khisak gayi ho. Sab kuch ek pal mein bikhar gaya tha. Lekin zyada waqt nahi tha. Use turant kuch sochna hoga, kuch karna hoga, isse pehle ki Supriya par mandra raha khatra sach mein ek kabhi na mitne wali haqiqat ban jaye.


Vikram - Supriya... abhi ye sab sochne ka time nahi hai... tumhe yahan se jaldi se jaldi nikalna hoga...

Supriya - Par main kahan jayungi...

Vikram jaldi se sochte hue bola - Tumhara passport toh ghar par hi hoga, toh woh option hai nahi… waise bhi airport jaana bhi khatre se khali nahi hai.... hmmm... woh tumhara driver, watchman... woh kahan hai?

Supriya - Woh toh...

Vikram ne apna phone nikaala aur jaldi se Iqbal ka number dial kiya - Iqbal... abhi ke abhi yahan pahucho...

Iqbal - Kya hua Saab ji... main bas 5 minute door hoon... Supriya madamji theek toh hai na...

Vikram - Haan sab theek hai... bas jaldi pahucho yahan...

Supriya apne aansu pochte hue boli - Kya hua... aap Iqbal ko kyu bula rahe ho...

Vikram - Supriya... maine uske baare mein sab kuch pata lagaya hua hai... uske ghar se safe is samay koi bhi jagah nahi hogi tumhare liye...

Supriya chaunkte hue boli - Iqbal ka ghar!!!! Par wahan kyu… main apne Jhansi ke ghar bhi toh jaa sakti hu..

Vikram - Trust me... woh log tumhe wahan dhoond lenge… aur agar ek baar tum Isha ke gundo ke haath lag gayi toh main bhi tumhe bacha nahi payunga... woh tumhare saath kuch bhi...

Supriya ne darr ke maare apne haath Vikram ki chhaati par rakh diye - Vikram... kya bol rahe ho aap...

Vikram ne Supriya ko gale laga liya - Bas kuch dino ki baat hogi... jab tak ye maamla thanda padta hai...

Supriya ke mann ki saari khushi, saari hasi gayab ho gayi thi, aur uski jagah bas thi toh ek dehshat. Kal aur aaj ke beech uski poori zindagi hi tabah ho gayi thi. Aur woh bhi uske janamdin par.
[+] 11 users Like Sriya2's post
Like Reply
(06-08-2025, 01:23 AM)rajeev13 Wrote: Is this possible Sriya ji ?

Sorry ye toh possible nahi hoga...
[+] 1 user Likes Sriya2's post
Like Reply
Heart 
Superb, Just mind blowing  clps clps clps
[+] 1 user Likes sexypreeti's post
Like Reply




Users browsing this thread: arvind274, Kabir007, 11 Guest(s)