Thread Rating:
  • 75 Vote(s) - 3.79 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Supriya: Ek Jawan Biwi ki Kahani
Really awesome superb story
[+] 1 user Likes Rohanx40's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
Waiting for updates
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Waiting for update
[+] 1 user Likes sushilt20's post
Like Reply
Waiting for next update...
[+] 1 user Likes भाभी जी's post
Like Reply
(16-07-2025, 08:46 AM)Sriya2 Wrote: Updated, thank you Salma! Sorry main is baar bahut ache se nahi pad paayi thi, aur thoda bahut scene rewrite bhi karna pada tha.

Koi baat nahi Sriya galti se mistakes ho hi jati hai edit karne ke liye Shukriya Thanks 
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Hope to get a long and sexy hot update tomorrow
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Sriya ji nxt update kb tk post krenghi ye toh btadeh aap
[+] 1 user Likes आदित्य's post
Like Reply
Waiting for next update
[+] 1 user Likes Iron women's post
Like Reply
Thank you everyone for the feedback and comments. Kafi energy milti hai comments pad ke story zari rakhne mein.

Main expectations clear karne ke liye bata deti hoon - Next update mein koi sex scene nahi hai, kyunki mujhe is update ke first half mein jo hua uske consequence or discussion likhne mein lag gaya aur uske baad aage ki story setup karne ke liye kuch scenes likhne pade. Ye aage ke kafi exciting updates ko setup karega, so please do be patient.

I can wait and try to post 2 updates together taaki logo ko aisa na lage ki bas story story likh di aur kuch maza nahi aaya.
[+] 1 user Likes Sriya2's post
Like Reply
Aapko jaisa theek lage aap waisa hi karo... Agar agle update mein sex nahin hai toh no problem... uske baad aane waale update ke liye suspense bana rahega aur sabh beechaini se wait karenge  Smile
Like Reply
(19-07-2025, 10:36 AM)Sriya2 Wrote: Thank you everyone for the feedback and comments. Kafi energy milti hai comments pad ke story zari rakhne mein.

Main expectations clear karne ke liye bata deti hoon - Next update mein koi sex scene nahi hai, kyunki mujhe is update ke first half mein jo hua uske consequence or discussion likhne mein lag gaya aur uske baad aage ki story setup karne ke liye kuch scenes likhne pade. Ye aage ke kafi exciting updates ko setup karega, so please do be patient.

I can wait and try to post 2 updates together taaki logo ko aisa na lage ki bas story story likh di aur kuch maza nahi aaya.
Ok mam i will wait just make justice with all caracters like atul till now in this story only atul is like niglecting caracter
Like Reply
Waiting for update
Like Reply
......
Like Reply
Great Sriya 2 updates together
Ok I am waiting
Like Reply
Update 70

Ghar ke poore raaste mein Supriya aur Aarti chup they. Aarti jo pichle 4-5 dino se Supriya ko non-stop naseehat diye jaa rahi thi, uska muh toh bilkul band sa ho gaya tha. Woh kis muh se Supriya se kuch kehti ya samjhati.

Doosri taraf Supriya toh ek dam sunn si padd gayi thi. Jai ne jo kuch kaha Vikram ke baare mein usse uske haath abhi tak buri tarah kaanp rahe they. Use is sab mein shayad ye bhi hosh nahi raha tha ki woh Aarti se pooch le ki wahan uske aur Jai ke beech kya hua tha. Bas woh aage ki seat par baithi gehri soch mein doobi hui thi. Woh is sab ke baad apne barabar mein baithe Iqbal se bhi nazre nahi mila paa rahi thi.

Par Iqbal toh gaadi chalate hue bas unhe sahi salamat ghar pahuchana chahta tha. Usne shayad kamre ki poori baat nahi suni thi par use bhi andaza tha ki mamla bahut hi serious tha. Hotel se bahar nikalne ke baad usne Supriya se bahut zidd karne ke baad Supriya ko mana hi liya tha ki woh apni gaadi wahin chhod kar pehle Supriya ki gaadi mein un dono ko ghar chhod dega.

Jaise hi gaadi unke building mein ruki, Supriya ka dhyan bhang hua.

Iqbal - Madamji... ye lijiye... aapki gaadi ki chaabi...

Supriya ka muh utra hua tha - Huh... haan... thank you Iqbal....

Iqbal - Main kuch madad kar sakta hoon aapki?

Supriya - Nahi nahi... aapne kafi help kar di aaj... aap nahi hote toh shayad main ghar bhi nahi pahuch paati aaj...

Iqbal - Aisa mat boliye... kuch bhi kaam ho ya koi bhi dikkat ho... aap bas mujhe phone kar dena... main kisi bhi time haazir ho jayunga...

Supriya - Bilkul... Bhabhi... chale upar...

Aarti gaadi se dheere se utri. Uski gaand abhi bhi buri tarah dard kar rahi thi, itna dard toh shayad use pehli baar sex karne par bhi nahi hua tha. Usse theek se chala bhi nahi jaa raha tha, par woh Supriya ke saamne aur khaskar Iqbal ke saamne apne aap ko kamzor nahi dikhana chahti thi.

Aarti - Haan... chalo....

Aarti aur Supriya lift se upar aa gaye aur ghar mein ghuste hi Aarti apne kamre ke bathroom mein ghus gayi. Use apne shareer par se Jai ke virye ki badboo ko hatana tha. Jai ka maal uske shareer ke kayi hisso par sookh kar kadak ho chuka tha, aur use bahut hi ganda sa mehsoos ho raha tha.

Supriya bhi doosre kamre mein door band karke baith gayi aur halke halke subakne lagi. Itni der se usne Iqbal aur Bhabhi ke saamne apne aansu roke hue they, par ab usse aur nahi ruka jaa raha tha. Jai ne jo kuch kaha, Vikram ne use ek baar bhi sahi se nahi jhutlaya. Aisa nahi tha ki woh poori tarah anjaan thi ki Vikram ne usse pehle aur ladkiyon ke saath sex kiya hoga, par Jai ke muh se ye sab sunna kitna ganda sa laga tha.

Vikram par bharosa kar ke kitna bada decision liya tha usne apni jindagi mein. Vikram ko na sirf usne apna tan diya tha par apna poora mann bhi. Woh uske liye kya kuch nahi kar baithi thi, kya Vikram ko iska andaza bhi tha? Aur woh kya thi Vikram ki liye, bas apne doston mein baatne ki koi cheez? Aur woh na mili toh uske dost ne uski bhabhi ke saath hi woh sab kar daala....

Supriya ko bhabhi ke saamne jaane mein sharam bhi aa rahi thi aur saath hi gussa bhi. Pata nahi woh yahan aayi hi kyu thi. Na woh aati aur na hi shayad ye bawaal hota. Par agar ab nahi hota toh shayad uski aankhein kabhi na khulti. Kafi der tak Supriya bed par baithe roti isi sab ke baare mein sochti rahi. 

Jab uske aansu thode se thame use bhabi ke baare mein hosh aaya. Pata nahi woh kis haal mein thi, Supriya ko toh theek se pata bhi nahi tha ki unke saath hua kya tha. Usne socha ki shayad use Atul ke ghar wapas aane se pehle Bhabhi ke paas jakar baat karni chahiye. Usne bas ye socha hi tha ki uske darwaze par ek halki si dastak hui aur bhabhi naha kar doosre kapdo mein tayyar ho kar uske kamre mein daakhil hui. 

Aarti ki shakal dekh kar lag raha tha ki shayad woh ab tak apne aap ko sambhal chuki thi, par use pata tha ki Supriya aisa nahi kar paayi hogi. Aarti ne andar aa kar darwaza band kar diya aur Supriya ko ghoora. Supriya toh unki serious shakal dekh kar hi ghabra si gayi thi.

[Image: 3099b74cb8d6e477d0da85a1c0fbbf35.jpg]

Supriya ne jaldi se apni aankhon se aansu poche aur uth khadi hui, unse gale lagne ke liye - Bhabhi aap theek ho na.... main bas aa hi rahi thi wahan...

Aarti ne apna haath aage karke Supriya ko apni aur aane se roke. Aaj unki aawaz mein zara si bhi mithaas nahi thi - Supriya... baith jayo... 

Aarti ne Supriya ke paas aate hue uske kandhe par haath rakhte hue use wapas bed par bitha diya. Woh Khud bhi uske barabar mein baith gayi - Kafi der ho gayi thi tumhe kamre mein... toh maine socha ki dekh lu sab theek hai na....

Supriya apne se jyada Aarti ke liye pareshan thi ab - Woh toh mujhe aapse poochna chahiye... pata nahi wahan kya hua aapke saath...

Aarti - Dekho... jo sab hua... hume uske baare mein baat kar leni chahiye... nahi toh pata nahi humare andar ka gubbara kab kiske saamne foot jaye... ye toh na tum chahogi na main...

Supriya Aarti ke is thande se vyahvar se kaanp si rahi thi. Supriya ne Aarti ki aur dekha, shayad uske andar toh is sab ke baare mein baat karne ki himmat bhi nahi hoti, par bhabhi yahan khud hi pehel kar rahi thi. 

Aarti - Mujhe tum sab batayogi yahan sab kya hua hai... ya main Atul ko sab sach bata du?

Supriya ko yakin sa nahi ho raha tha ki bhabhi uske saath aise bhi baat kar sakti hai. Woh bhi thoda gussa hote hue boli - Theek hai... par pehle aap bataiye... aap wahan kya kar rahi thi... nahi toh main bhi bhaiya ko sab bata sakti hoon...

Aarti ko nahi laga tha ki Supriya mein itni himmat hogi ki woh use is tarah se dhamki degi. Usne gehri saans li - Theek hai, wahan jo kuch hua uske baare mein hum aaj ke baad baat bhi nahi karenge... Main baat ghuma fira kar nahi kahungi... aur shayad mujhe pehle hi khul ke bol dena chahiye tha... 

Aarti - Pichle 4-5 dino se tumhare haav bhav dekh kar main ye toh samajh gayi thi ki kuch toh gadbad hai... aur kal ki tumhari baaton se toh ye aur bhi spasht ho gaya tha ki tumhare kisi ke saath chakkar chal raha hai... 

Aarti ki alag si tone Supriya ko chhubhh si rahi thi. Bhabhi ne kabhi usse is tarah se baat nahi ki thi - Bhabhi... aisa kuch....

Aarti ne uski baat kaat di - Kuch bhi safai dene se pehle meri poori baat sun lo... Fir us din Jai se mall mein milkar mujhe laga ki tum dono ke beech.... shayad yahin main thoda sa dhoka kha gayi... mujhe laga main us se mil kar sab kuch theek kar payungi... aur tumhari jindagi fir se patri par le aayo... par lagta hai main khud hi wahan patri se neeche utar gayi...

Supriya ko thodi sharmindagi si mehsoos ho rahi thi ki uski wajah se bhabhi Jai se milne gayi thi, par usne fir bhi galti Aarti par daalte hue kaha - Agar aapke mann mein koi sawaal tha, toh aap mujhse khul kar baat kar sakte they na... bina mujh par shak kare hue...

Aarti bhadakte hue boli - Maine koshish ki thi Supriya... aur main kafi hadd tak sahi bhi thi... Jai ki buri nazar thi tum par... woh toh acha hua tum usse bach gayi... par main nahi... main toh use wahan aajmane gayi thi, par usi ne mujhe...

Supriya - Bhabhi... aapke aur Jai ke beech kya hua tha wahan....

Aarti ne apni aankhen fer li - Woh sab mat poocho mujhse... main nahi bata payungi... par tum nasamajh nahi ho... tumhare aashiq ne toh...

Supriya - Woh mera aashiq nahi hai!! Mere aur Jai ke beech mein aisa kuch nahi hai!!!

Aarti - Haan... woh toh main ab samajh hi chuki hoon... woh doosra aadmi wahan... kya naam tha uska... uske saath toh hai na... (Aarti ne Supriya ko gusse mein akadte dekh apni tone thodi halki kari) main tumhe judge nahi kar rahi hoon... bas ye chahti hoon tum mujhe khul kar sab batayo...

Shayad bhabhi ka gussa hi behtar tha unke shaant vyavhar se. Supriya bilakhte hue boli - Bhabhi.... main... kaise samjhayu.... maine kuch... jaan boojh kar nahi kiya...

Aarti - Supriya main samajhti hoon... jawani mein aksar bhool ho jaati hai... aur khaskaar agar ek ladki ko kisi aur mard mein woh dikhe jo use apni pati mein chahiye hota hai... par tum jin logo ke chakkar mein padi ho, woh mujhe bahut hi khatarnak lage... 

Supriya - Main Jai ko toh achi tarah jaanti bhi nahi... par Vikram aise nahi hai... woh aur main ek doosre se pyaar...

Aarti Supriya ke muh se abhi bhi ye sab sun kar hairaan ho rahi thi par usne jataya nahi - Vikram... woh doosra aadmi wahan... Supriya... mujhe khul kar saari baat batayo... mujh par vishwas karo... main tumhara galat nahi chahungi...

Supriya ne apni aankhein neeche kari, usne kabhi socha nahi tha ki use kisi ko ye sab batana padega. Shayad kuch socha hi nahi tha ye sab karne se pehle, tabhi toh aaj woh is halat mein thi - Theek hai, main aapko sab batati hoon...

Supriya ne dheere dheere Aarti ko Vikram ke baare mein batana shuru kiya ki kaise woh Vikram se mili, kaise use Vikram se pyaar hua, aur kaise woh itni nazdeek aa gaye. Use kayi cheeze batane mein sharam bhi aa rahi thi par Aarti use bina roke toke uski saari baat sun rahi thi. Supriya bolte bolte meethi yaadon mein itna kho gayi thi ki woh abhi bhi apne aap ko Vikram ki tareef karne se nahi rok paa rahi thi. Aarti ne apne chehre ke expression ko neutral rakhne ki koshish kari taaki Supriya bolne se ghabraye nahi.

Saari kahani poori ho jaane par dono thodi der chhup baithe rahe. Supriya shuru mein jitna sharamsaar mehsoos kar rahi thi, sab bolne ke baad use aisa lag raha tha jaise uske sir se koi bhaari bojh utar gaya ho.

Aarti ne Supriya ki aur dekha, woh use pehle hi bahut daant chuki thi, aur woh is nasamajh ladki ko woh aur kya hi bolti. Ye ladki toh abhi bhi pagalo ki tarah Vikram se hi pyaar karti thi, aur uske dimaag mein Atul toh shayad kahin door door tak nahi tha.

Aakhir Aarti se ruka nahi gaya- Ab tum kya chahti ho... us Jai ne toh Vikram ke baare mein kya kya nahi kaha tha wahan... aur is sab mein Atul ka kya? Tum uske saath nahi rehna chahti toh use divorce hi de do... Us bechare ko is sab mein kyu latka rakha hai... use toh zara sa andaza bhi nahi is sab ke baare mein...

Supriya ne ekdam se Aarti ki aur dekha. Bhabhi aise kaise bol sakti thi ki woh Atul ko divorce de de. Usne toh aaj tak is baare mein socha bhi nahi tha - Bhabhi... divorce???

Aarti - Haan, aur kya... abhi toh tumne mujhe bataya ki kaise tum aur Atul ek saath khush nahi ho aur tum logo ke beech ab kuch bhi nahi hai... aur shayad woh bhi ye baat jaanta hai... tabhi toh usne mujhe phone kiya tha...

Supriya ekdam se chaunki - Atul ne aapko phone kiya tha???

Aarti - Haan... usne mujhe lagbhag ek mahine pehle call kiya tha aur sab bataya tha ki kaise tum logo ke beech kuch bhi theek nahi hai... woh meri madad chahta tha... Pehle toh mujhe laga ki itni badi baat nahi hogi... par yahan aakar jo maine dekha uske baad toh... main toh tumhara ghar bachane aayi thi, aur pata chala ki mera hi ghar...

Supriya - Aap aisa kyu keh rahi hai... 

Aarti - Chalo woh chhodo... tumhe andaza bhi hai ki mard tum jaisi haseen shadi shuda ladkiyon par taak lagaye baithe hote hai... ki kab unhe koi mauka mile...

Supriya abhi bhi Vikram ke baare mein hi soch rahi thi - Vikram aise nahi hai... jaroor Jai sab jhooth bol raha hoga...

Aarti tunak kar boli - Toh fir use bolo na ki woh apni biwi ko chhod kar tumse shaadi kar le... taaki itne saare logo ka ghar barbad na ho... Atul bhi fir kisi aur ke saath ghar basa sakta hai na...

Supriya - Atul ne aisa kaha kya? Woh kisi aur ke saath...

Aarti - Kyu? Agar tum ye sab kar sakti ho toh use ye hak nahi hai kya?

Supriya is baat ko maan hi nahi paa rahi thi ki Atul use chhod kar kisi aur ka saath paa sakta tha. Aisa lag raha tha jaise ek hi din mein usne sab kuch kho diya ho.

Supriya ko pareshaan dekh kar Aarti ne kaha - Tumhe bhi pata hai Vikram aisa kuch nahi karega... isiliye main jabse yahan aayi thi tumhare aur Atul ke beech sab kuch theek karne ki koshish kar rahi thi... Atul abhi bhi haath se nahi nikla hai... par tumhare bartav se use bhi kisi aur ki taraf khichne mein jyada der nahi lagegi...

Supriya ne beete hue din yaad kiye, kya Atul sach mein kisi aur se pyaar karne laga tha? Us raat bhi woh Supriya ko bistar par akela chhod kar kamre se bahar chala gaya tha. Aur usse pehle bhi Supriya ko aisa laga laga tha jaise Atul use kuch batana chahta ho.

Aarti - Kafi time ho gaya hai... Atul bas aata hi hoga... tum apna face wash kar lo... uske saamne hum aise koi baat nahi karenge... samajh gayi na...

Supriya ne haan mein sir hilaya aur Aarti use bedroom mein chhod kar kitchen mein chali gayi. Supriya bhi kuch pal baad khadi ho kar apna chhehra, baal aur kapde theek karne lagi. Bhabhi ki baaton ne use aur bhi pareshaan kar diya tha.
___________________________________

Raat ko khane ki table par, Supriya, Atul aur Aarti chup chaap khana kha rahe they.  Aaj jaise kisi mein bhi baat karne ki himmat hi na ho.

Aakhir Atul ne hi chhupi todi - Bhabhi, aap apni dost se milne gayi tha na aaj... kaisa raha?

Aarti - Haan... sab badiya tha... aapka din kaisa raha...

Atul - Theek tha... normal office ka din... waise toh meri aaj boss se ek meeting honi thi, par unhe ekdam se kahin jaana pada..

Supriya neeche dekh kar khana kha rahi thi. Use pata tha Atul Vikram ke baare mein baat kar raha tha, par woh is baat ko aage nahi kheechna chahti thi...

Aarti ko Supriya ne aaj shaam ko hi bataya tha ki Vikram Atul aur uske dono ka boss tha, toh woh bhi pooch baithi - Acha... kuch kaam tha kya unse? 

Atul - Maine socha tha unse kuch chhutiyo ke baare mein baat karunga... taaki hum sab kahin ghoomne chal sake... par baat hi nahi ho paayi... Boss tumhare yahan aaye they kya Supriya...

Ye sunte hi Supriya ko zor ka dhaska lag gaya aur woh khaasne lagi.

Atul - Aree.. ye lo... paani piyo... sab theek toh hai na...

Supriya ne ek-do ghoont paani ke piye aur fir jawab diya - Haan sab theek hai... woh shayad gassa atak gaya tha...

Atul - Aaram se kha lo...

Aarti un dono ko akele thoda time dena chahti thi - Tum dono khayo... main zara neeche tehel kar aati hoon... is bahane tumhare bhaiya se bhi baat ho jayegi...

Aarti wahan se uth khadi hui aur thodi si der baad ghar se bahar nikal gayi. Supriya ko aisa lag raha tha ki woh aur Atul do ajnabi ki tarah saath mein baithe hue khana kha rahe ho. Dono mein se kisi ke paas kuch kehne ko hi nahi tha.

Tabhi Atul ke phone par silent vibrations ki aawaz aane lagi, jaise koi use baar baar message kar raha ho. Atul ka phone table par ulta rakha hua tha toh Supriya ko message nahi dikh rahe they. Itno dino se usne Atul par koi dhyan hi nahi diya tha, par aaj bhabhi ki baaton se woh bahut saari cheeze sochne par majboor ho gayi thi.

Kuch der baad Atul jaise hi plate sink mein rakhne aur haath dhone ke liye khada hua, Supriya ne Atul ka phone palat kar jaldi se dekha. Phone locked tha aur use Atul ka passcode nahi pata tha par woh fir bhi sabse naye message ko pad paa rahi thi.

D - Khana kha liya kya aapne? Aaj raat baat kar sakte hai kya?

Atul ko aate sun Supriya ne jaldi se phone ko wapas ulta rakh diya. "D" akshar se kiska number saved tha aur woh Atul se ye sab kyu pooch raha / rahi thi? Supriya ne thoda aur socha par use samajh hi nahi aa raha tha ki ye kaun ho sakta tha.

Atul wahan aa kar apna phone table se le kar tv ke saamne chala gaya. Supriya pareshaan baithi is baare mein bas sochti hi rahi. Is tarah ki baatein toh koi normal friend nahi poochta. Toh iska matlab Atul bhi kisi aur se !!??

Thodi der baad bhabhi bhi wapis aa gayi thi. Supriya ke mann mein aa raha tha ki woh unse hi pooch le is sab ke baare mein, kya pata unhe hi kuch pata ho. Par aaj jo kuch hua tha, uske baad uski himmat hi nahi hui kuch poochne ki. 

Raat ko bhabhi ke bina kahe bhi woh Atul ke kamre mein aakar wahin bed par let gayi. Aaj toh jaise ek taraf kua tha aur doosri taraf khayi, woh na toh Atul ka saamna karna chahti thi na hi Aarti k. Woh Atul ke kamre mein leti hui fir se sochne lagi ki ye "D" kaun ho sakta tha. Tabhi uske dimaag mein ek naam click kiya, "Disha". Woh Atul ke office mein hi kaam karti thi, aur usne un dono ko ek-do baar baat karte hue dekha tha. 

Toh kya Atul aur Disha ka affair chal raha tha? Supriya ne socha, ki Atul ke andar ye himmat kabse aa gayi ki woh uski jaisi khoobsurat biwi ko chhod kar average se dikhne wali Disha ke saath affair kar le. Supriya ko kafi tez gussa aane laga tha.

Kuch der baad Atul kamre mein aakar uske barabar mein bed par let gaya. Supriya ne apne emotions ko kabu mein laate hue unke beech ki chhupi ko todte hue poocha - Aapki job kaisi chal rahi hai... ab toh aapko kayi mahine ho gaye wahan...


Atul - Theek hi hai...

Supriya - Wahan kafi boring hota hai na... maine bhi us office mein kuch din kaam kiya hai... kafi serious se log hai wahan... Koi office mein friend bana?

Atul - Nahi... office mein kaun friend banega... sab colleagues hi hain... 

Supriya - Haan par colleagues mein bhi koi toh friend ban hi jaata hai...

Atul - Nahi aisa toh koi nahi. 

Atul ki baaton se Supriya ko saaf lag raha tha ki woh jhooth bol raha tha. Par Supriya seedhe seedhe Disha ka naam nahi lena chahti thi. 

Atul - Tum batayo, tumhari job theek chal rahi hai...

Supriya - Haan theek hai... par main soch rahi hoon ki job chhod du...

Atul ne chaunkte hue kaha - Kyu?

Supriya - Bas aise hi... mann nahi hai ab job karne ka...

Atul - Kuch din aur continue rakh lo... abhi kyu chhod rahi ho... ghar par bhi toh bore hi ho jayogi...

Supriya - Haan... ye bhi hai... sochti hoon...

Atul doosri aur karwat le kar so gaya. Supriya abhi bhi Atul aur Disha ke baare mein hi soch rahi thi, aur aaj raat shayad use un dono ke hi sapne aane wale they. Shayad usne Atul ko apne se itna door kar diya tha ki woh Disha ke kareeb ho gaya tha.

__________________________

Subah hui, aur Supriya ab office jaane ke bilkul mood mein nahi thi. Itna sab ho jaane ke baad woh kis muh se us office mein jaati, aur woh bhi us jagah jahan Vikram uska boss tha. Subah aate aate use fir se Vikram par gussa aane laga tha. Kal ki ghatna ke baad Vikram ne ek baar bhi usse baat karne ki koshish nahi ki thi. Shayad ab use parwah hi nahi thi ki woh kya sochti thi.

Supriya ne bed mein lete hue Sahil sir ko message kar diya ki woh aaj office nahi aayegi. Shayad woh ab kabhi office na jaana chahe.

Supriya soch hi rahi thi ki shayad Sahil sir bas "OK" type karke jawab de denge, par is baar aisa nahi hua.

Sahil sir ka message aaya - Supriya, tumhari kaafi saari leaves ho gayi hain pichle ek hafte mein... ye request denied hai...

Supriya ko message pad kar hi gussa aane laga. Usne gusse mein message type karke bhej diya - Theek hai sir... main abhi resign karti hoon...

Sahil sir ka koi jawab nahi aaya, aur Supriya fir se aakhein band karke let gayi. Use pata hi nahi chala ki kab Atul uth kar tayyar ho kar office jaa chuka tha. Supriya bed se uth kar bahar aayi toh dekha ki bhabhi apna samaan pack kar rahi thi.


Supriya - Bhabhi aap saman kyu pack kar rahe ho?

Aarti - Ab kya karungi main yahan ruk kar... mujhe ghar hi nikal jaana chahiye na...

Supriya - Par aap mujhe aise kaise chhod kar...

Aarti - Supriya jo tumhe karna hai tum wohi karogi... mere bolne se koi farak nahi padta... kal bhi tumhare dimaag se Vikram ka bhoot abhi utra nahi tha. Kal se uska koi bhi message aaya tumhare liye?

Supriya chhup ho gayi, uske paas is baat ka koi jawab hi nahi tha.

Aarti - Mujhe tumhare bhaiya se baat karni hai aaj... ki woh meri train ki ticket jaldi ki kara de..

Supriya - Par bas ek hi hafte ki toh aur baat hai, usme jaldi jakar kya kijiyega...

Aarti - Hmmm... jaise tumhari marzi hai... waise hi meri bhi marzi hai... 

Supriya pareshaan hote hue baith gayi, ab kya Bhabhi bhi yahan se chali jayengi. Pichle 5-6 dino mein hi aisa lag raha tha ki uski poori jindagi bikhar si gayi ho. 

Aarti ne Supriya ko pareshan dekh pucha - Atul se koi baat hui raat ko...

Supriya - Nahi...

Aarti - Tumhe usse baat kar leni chahiye...

Supriya - Aur kya kahu use?

Aarti - Yehi ki tum usse bahut pyaar karti ho, aur kya.

Par Supriya bhi jaanti thi ki ye sach nahi tha. Tabhi Supriya ke phone ki ghanti bajne lagi. Kriti use call kar rahi thi. Supriya Aarti ke saath ki baatcheet ko beech mein chhodte hue call attend karne ke liye apne room mein chali gayi.

Kriti - Babe... kya hua? Tum theek toh ho na...

Supriya - Haan... bas woh thoda...

Kriti - Sorry mujhe babe nahi... bhabhi bolna chahiye tha...

Supriya ne rookhi aawaz mein kaha - Nahi... please... mujhe Supriya hi bula lo... bhabhi wabhi nahi... kisi kaam se call kiya tha kya?

Kriti Supriya ke is bartaav se thoda sa hairaan ho gayi - Nahi bas, Sahil sir kafi gussa ho rahe they... tumne kuch kaha kya unko...

Supriya rukte hue boli - Kriti... main ye job chhod rahi ho... mujhse nahi ho payega...

Kriti - Kya!! Everything good? Koi personal stress? (haste hue) Bhaiya se ladayi toh nahi ho gayi...

Supriya - Aisa kuch nahi... main bas ab job nahi kar sakti... 

Kriti - Oh Ok! Tumne Bhaiya se baat ki kya is baare mein?

Supriya bhadakte hue boli - Kyu? Mujhe unse kyu baat karni hogi is baare mein... ye mera decision hai... main nahi le sakti kya mera decision?

Kriti doosri side bilkul chhup ho gayi. Aaj tak Supriya us par aise bhadki nahi thi. 

Supriya ne bhi ek dam se apni galti realize kar li - Sorry Kriti, main tum par nahi chillana chahti thi, par main abhi explain nahi kar sakti... main baad mein baat karti hoon...

Kriti - Haan ok... I hope we can talk soon...

Supriya ne phone rakh diya, use samajh nahi aa raha tha ki woh kya kare. Sab kuch uske haath se nikalta hi jaa raha tha, Vikram, Atul, uske gharwale, sab kuch. Aur woh ab kuch bhi nahi kar sakti thi.

Agle kuch ghante woh pareshan hote hue ghar mein idhar se udhar ghoomti si rahi. Usne kayi baar socha ki woh Bhabhi se Atul aur Disha ke baare mein baat kar le, par fir use darr tha ki use bhabhi ka lecture hi sunne ko milega. 

Poora din aise hi tension mein nikal gaya, aur Supriya ne paaya ki woh besabri se Atul ka intezaar kar rahi thi. Shaam ko Atul ghar aaya bhi toh woh fir se apne phone par hi laga hua tha. Supriya ne socha ki shayad ye sab kuch mahino se chal raha tha, bas Supriya ne hi dhyan nahi diya.

Raat hote hote fir se Supriya ne mauka lagte hi Atul ka phone check kiya, usne 2-3 passcode try kiye par woh Atul ka phone nahi khol paayi. Par jaise hi usne phone ki notifications ko neeche slide kiya toh us par "D" naam ke insaan ki 3-4 missed calls thi, kuch kal raat ki aur kuch abhi thodi der pehle ki. Supriya ko ab pakke tareeke se lag gaya tha ki jaroor Atul usse kuch chhupa raha hai.

[Image: Tum-Dena-Saath-Mera-Kya-Riya-legi-Manan-...16-scr.png]

Raat ke andhere mein Supriya ke aansu beh rahe they aur woh chup chaap ro rahi thi. Uske paas ab kuch bhi toh nahi bacha tha. Isme shayad uski hi galti thi, kisi aur ki nahi.

Agli subah uske andar bed se uthne ki jaise himmat hi nah thi, aur woh aankhen band kiye bed par leti rahi. Atul office jaa chuka tha, aur bhabhi bahar drawing room mein baithi thi. Tabhi Supriya ke ghar ki ghanti baji. Supriya ko laga ki is samay Karuna hi aayi hogi, shayad thoda jaldi aa gayi aaj.

Par kuch hi second baad Bhabhi ne darwaza kholne ke baad Supriya ko tez aawaz lagani shuru kar di - Supriya! Supriya!! Bahar aayo!

Supriya jhunjhulate hue khadi hui aur bahar ki taraf aayi. Pata nahi aisa kya ho gaya ki bhabhi use bula rahi thi. Par jaise hi woh darwaze ki taraf aayi uske kadam ek dam se ruk gaye. Ghar ke bahar Vikram khada tha, aur uske theek peeche Iqbal. Supriya Vikram ko wahan dekh kar hairaan thi, aur usse bhi jyada is baat se ki Iqbal ne use upar uske ghar tak aane kaise diya tha.

Iqbal Supriya ko dekh kar bola- Madamji... main aapko call hi kar raha tha par aapne phone nahi uthaya... In sir ko aapse kuch baat karni thi...

Vikram - Supriya... main please andar aa sakta hoon kya...

Supriya kafi jyada hairaan thi par woh is tarah Vikram ko apne ghar se bahar se wapis jaane ko kaise bolti. Aarti darwaze se thoda peeche hat gayi thi aur Supriya darwaze ke theek saamne thi.

Supriya ne ek kadam peeche liya, Vikram ko andar aane ke liye haan karte hue - Iqbal main darwaza band kar rahi hoon taaki aawaz bahar na aaye... par tum yahin rehna...

Iqbal - Main yahin hu madamji... aap fikar mat kijiye... Jaiye sir... aap andar jaiye...

Vikram ne andar aate hue darwaza band kar diya - Kafi acha watchman hai ye... bahut mushkil tha ise manana ki ye mujhe upar aane de, par woh shayad samajh gaya tha ki mere iraade bure nahi hai...

Supriya ne uski baat ko ignore karte hue kaha - Aap yahan kyu aaye hai... jo kuch hua uske baad...

Vikram - Sorry mujhe aane mein 2 din lag gaye, tum soch rahi hongi ki main kahan gayab tha 2 din se. Par main aise hi yahan nahi aana chahta tha...

Vikram ne Aarti ki taraf dekh kar apne haath jod liye - Bhabhi, main Jai ki taraf se maafi nahi maangunga, kyunki agar main maafi maangta hoon toh iska matlab ye hoga ki maine use maaf kar diya ya main use apna kuch samajhta hoon...

Vikram - Jai mera dost nahi hai... bas ek insaan jise main jaanta hoon... jo hua woh bahut jyada galat tha... woh Jai ka tareeka tha mujhse badla lene ka... Mujhe bas is baat ka afsos hai ki aap is sab ke beech mein aa gayi. Us baat ke liye main behad sharminda hoon...

Aarti toh bas baari baari Vikram aur Supriya ki taraf hi dekh rahi thi, use samajh nahi aa raha tha woh kya bole.

Vikram - Supriya... main do din se yehi soch raha hoon ki main tumhara saamna kaise karunga... par main kisi tarah himmat karke yahan chala aaya... 

Supriya - Kal Jai ne aapke baare mein sab bata hi diya tha... ab aur kya reh gaya hai baat karne ke liye...

Vikram ne emotional hote hue bolna shuru kiya - Jai ne jo kuch kaha usme kuch sachhai thi, main ye deny nahi karta. Par ek sachhai ye bhi hai ki main tumse bahut jyada pyaar karta hoon... aur main jab se tumse mila hoon, meri yehi koshish rahi hai ki tum par koi aanch na aaye... tumhe kisi aur se baatne ke baare mein toh main kabhi sapne bhi nahi soch sakta... shayad tum bhi ye baat jaanti hogi...

Supriya chhup ho kar Vikram ki baat ko sun rahi thi.

Vikram - Jab se main tumse mila hoon, main tumhare siwa kisi ke baare mein nahi soch paaya hoon... aur mere liye ab bas tum hi sab kuch ho... yahan tak ki Isha se bhi kahin jyada...

Supriya Vikram ki baaton se pighalne si lagi thi, par usne Aarti ke serious chhehre ki aur dekha, use pata tha Bhabhi kya soch rahi thi. Supriya ne unke mann ki baat khud hi keh di - Par usse kya farak padta hai... na aap kabhi Isha ko chhodenge aur na hi hum kabhi saath ho sakte hai...

Vikram - Maine uska hal dhoond liya hai... aur hum saath ho sakte hai...

Aarti beech mein bol padi - Saath rehne ka matlab kya hota hai, Supriya aur aap dono hi shaadi shuda ho, toh is rishte ka koi matlab nahi. Aap kabhi Supriya se shaadi nahi kar paayenge toh fir...

Vikram - Nahi, main shaadi ki hi baat kar raha hoon... main Supriya ko poori tarah apnana chahta hoon... shaadi karke....

Supriya ko yakin hi nahi ho raha tha ki Vikram kya keh raha tha. Kya ye sach tha?

Vikram - Main Supriya se shaadi karunga. Maine Supriya ke liye yahan se door London mein ek ghar le liya hai... wahan hame kisi ka darr nahi hoga...

Aarti - Aur aapki yahan ki jindagi, aapki biwi... aap use chhod kar wahan chale jayenge?

Vikram - Main Isha ko nahi chhod sakta par mere liye Supriya hi sab kuch hogi...

Aarti - Jab aap apni biwi ko nahi chhod sakte toh hum is baare mein baat hi kyu kar rahe hai... use chhode bina aap Supriya se shaadi kaise kar sakte hai...

Supriya ko bhi Vikram ki baat kafi ajeeb si lag rahi thi.

Vikram ne Supriya ki taraf dekha - Supriya, tum mujh par bharosa karti ho... mujhse pyaar karti ho...

Supriya ne kuch second ke liye Vikram ki aankhon mein dekha aur use wahan sirf sachhai hi dikhai di. Usne halke se sir hila kar haan kar diya - Haan... par Vikram jo bhabhi bhi keh rahi hai... shaadi ke bina hamare rishte ka koi naam nahi hoga...

Vikram - Supriya... tum mere liye sab kuch ho life mein.... par ye bhi sach hai ki Isha mujhe kabhi divorce nahi degi, aur agar use pata chala main tumse shaadi karne ke liye divorce ke baare mein soch bhi raha hoon toh woh pata nahi kya kar baithegi... 

Supriya - Toh fir, hum kaise shaadi kar sakte hai...

Vikram - We will both convert and marry...

Aarti aur Supriya dono ke muh se zor ke nikla - Kya!!!!

Vikram - Maine kayi mahino is problem ke baare mein socha hai, aur mujhe iske elawa koi aur solution nahi mila hai... ye legal bhi hai aur yahan se nikal kar doosre desh mein rehna tumhare liye safe bhi hoga...

Aarti - Nahi, ye kya keh rahe ho... doosra upay ye hai ki tum aur Supriya ek doosre ko bhool jayo aur apni apni jindagi mein laut jayo... ye bakwaas ki baatein band karo...

Vikram - Haan... woh bhi ek option hai... aur agar Supriya yehi chahti hai toh fir hum baat yehi khatam kar denge...

Aarti - Supriya... tu bol de na ise...

Supriya - Bhabhi aap.... mujhe thoda sochne ke liye time chahiye....

Aarti ko yakin hi nahi ho raha tha ki Supriya is baare mein soch bhi kaise sakti thi.

Vikram - Ye mere liye bhi koi aasan decision nahi tha, agar kisi ko kaano kaan bhi iski bhanak lag gayi toh mera personal professional political career sab khatam ho sakta hai... par Supriya ke liye main ye bhi karne ko tayyar hu... Supriya, tumhe mere iraado par shak hai?

Supriya - Vikram... aisa nahi hai... par mujhe kuch time chahiye sochne ke liye...

Vikram - That's fair, tum soch lo... par agar tum mujhse abhi bhi pyaar karti ho toh mujhe umeed hai tum mujh par trust karogi... abhi is baat ka jikr kisi se bhi nahi karna... KISI se bhi nahi...

Supriya ne haan mein sir hilaya. Vikram apne haath jod kar ghar se bahar ki aur nikal gaya. Supriya ghar ke hall mein khadi sochti hi reh gayi thi ki Vikram ne ye kaisa ajeeb sa solution uske saamne rakh diya tha.

______________________________

Vikram ke jaane ke baad Supriya aur Aarti kafi der tak chhup ho gaye they.

Aarti ne hi aakhir woh chhupi todi - Supriya... tu is baare mein soch bhi kaise sakti hai... hamne yehi baat ki tha na, tu Atul ke saath apne rishte ko theek kar...

Supriya ne halke se kaha - Aur agar Atul is rishte ko theek na karna chahte ho toh?

Aarti - Matlab? Agar woh theek nahi karna chahta toh mujhe kyu call karta?

Supriya - Kya pata woh sab bas dikhawa hi ho... aapko kya pata Atul kya kar raha hai... 

Aarti - Baat ko ghuma fira ke mat bol...

Supriya - Atul ka bhi affair chal raha hai...

Aarti - Kya? Pagal ho gayi hai kya? Atul ka koi affair nahi chal raha hai...

Supriya - Aapko kya pata, jo jitna seedha dikhta hai hota nahi hai... uske office mein ek ladki hai... woh aur Atul...

Aarti - Tu kiski baat kar rahi hai... uske office mein toh Disha hai.. aur woh toh...

Supriya chaunkte hue boli - Ohhh! Toh aap bhi jaanti hai Disha ke baare mein... (aur fir bhadakte hue) ye sahi hai... yahan mujhe naseehat diye rahe ho... aur khud ye baat chhupa kar rakhe ho...

Aarti - Aisa kuch nahi... tu galat samajh rahi hai... Atul ne mujhse kuch nahi chhupaya hai... aur meri aur Disha ki baat hui thi...

Supriya - Wow... aapki aur Disha ki baat bhi hui thi... aap ho kiski side... mujhe toh ye bhi samajh nahi aa raha...

Aarti chhup ho gayi, Supriya uski har baat ko galat tareeke se lekar jaa rahi thi. 

Supriya ka gussa bahut tez ho chuka tha - Aap khud hi Jai se milne gayi thi na, aapne hi kaha tha na ki aap use aajmane gayi thi. Chalo maan lo Jai ne aapke saath kuch galat karna shuru kiya, par aap wahan se nikal bhi nahi paayi?

Aarti - Supriya... hosh kar le... kya bol rahi hai...

Supriya - Mujhe ab sab samajh aa raha hai...

Aarti apni jagah se khadi ho gayi - Supriya... ye mat bhoolo ki main tumhari bhabhi hoon...

Supriya - Yehi soch kar main chhup thi ab tak... aap shukr karo main bhaiya ko kuch nahi batayungi... 

Supriya ki baat sunkar Aarti ka chhehra gusse se tamtamane laga tha. Usne kabhi socha nahi tha ki uske aur Supriya ke beech kabhi aisi baat bhi ho jayegi. Woh uske saamne se hat kar doosre kamre mein chali gayi.

Supriya bhi akele gusse mein baithi sab kuch soch rahi thi. Use aisa lag raha tha ki jaise use uski khud ki bhabhi ne aur Atul ne bhi use bahut bada dhoka diya ho. Shayad woh usi pal apna mann bana chuki thi, par woh abhi Vikram ko phone nahi karna chahti thi.
[+] 9 users Like Sriya2's post
Like Reply
Blind turn for Supriya, she need to be turn right path
Like Reply
Galti pahle khud ne mi pahle rahul phir vikram or galti atul ki wah bhai wah khud ki galti sabit nahi hui to sahi writer mam aj ka part padh apne pichle coments ke liye mafi chaunga bahut hi jabardast update hai bass jo bhi kare ap Atul ko neglect or negative na fikhey use guilt trip par mat bheje
Like Reply
......
[+] 5 users Like khemucha's post
Like Reply
Supriya raand pr itna sundar vivachan krne k  liye aapki jitni tareef ki jay km hai
[+] 2 users Like arvind274's post
Like Reply
So much drama and so very entertaining and suspensful as well.
Too good writing and very well executed story plot
[+] 1 user Likes qazmlp's post
Like Reply




Users browsing this thread: Sharmatyrion, 21 Guest(s)