Thread Rating:
  • 11 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Girls college (COPIED)
" par ye kaise ho sakta hai Sir.. ghar walon ko kya kahoongi...?" Neeru ne sawaal kiya.. halanki uski taraf se poori 'haan' thi...
" college ki taraf se jaayein toh.. aur bachchon ke sath..?" Vasu ka bhi tour ka mood ban gaya tha.. Neeru ke sath
Neeru ke anchhuye youvan ki pyas hathon se na mit paane ki kasak Neeru ki aankhon mein sapast dikhayi di jab usne Vasu se najrein char ki," chaloongi Sir.. kab chalna hai.?"
Vasu ka rom rom khil utha..," main lunch ke baad batata hoon... abhi tum jao.. koyi aa jayega.. " kahkar Vasu khada hokar Staffroom se nikal gaya...
Neeru tadap uthi.. Tour toh jab jayega tab jayega.. abhi kya karoon.. usne angdayi lekar janghon ke beech apni panty ko theek kiya aur murjhayi huyi si apni class mein aa gayi... " Sneha! Main 5 minute mein ghar ke bahar miloonga.. tum taiyaar ho na.. Jaan?" Vicky ne Sneha ko fone par kaha...
" haan.. main taiyaar hoon.. Aa jao!" Sneha ne khud ko niyati ka saamna karne ke liye taiyaar kar liya tha.. waise bhi ab uske paas uski jindagi ke alawa khone ko tha hi kya jo wo mana karti.. aur uss jindagi ka bhi ab kya faayda?
wah pahle hi taiyaar ho chuki thi.. Viru samet sabko usne bata diya tha.. wah ja rahi hai; Vicky ke sath..
Jaise hi wah bahar nikli, Raj ne usko toka," abhi mat jao na Sneha! pls.. ek hafte ki hi toh baat hai.. maan bhi jao!"
" nahi bhaiya.. mujhe jana padega.. Vicky.. Mohan ko meri jarurat hai.. main nahi gayi toh shayad uska sapna 'sapna' hi rah jayega..." Apni aankhon ki nami ko rumaal se pounchhte huye wah boli...," Viru kahan hai?"
"pata nahi.. tum nahi mani toh wo naraj hokar kahin chala gaya.. maine usko roka bhi tha.. par wo nahi mana.. langdate huye gaya hai.. pata nahi kahan.." Raj ko laga ab usko rokne ka koyi faayda bhi nahi.. uski geeli aankhon mein dridhta saaf jhalak rahi thi.. jane ki.. Mohan ke sath..
"wo kahan hai?" Sneha ne apne murjhaye chehre par kshanik muskurahat laate huye poochha.. Raj samajh gaya.. wo kiski baat kar rahi hai..
"abhi bulata hoon.." Raj dusre kamre mein gaya aur ladkiyon mein se Priya ka hath pakad laya..
" tum maan toh rahi nahi ho.. mera tumse baat karne ka dil nahi karta..." Priya ne aate hi apna munh banaya....
Sneha ne uska hath pakad liya.. barbas hi uske aansoo chhalak uthi..," Raj ka hath mat chhodna Priya.. Pahla Pyar aksar kho jata hai.. aur fir aankhein tamaam umra bheed mein usko khojti rahti hain.. (am I right?) ...museebatein aayengi.. par tum dono milkar saamna karna... Bhagwan sachche prem ka sath hamesha dete hain.." Sneha ke liye kahte huye apne aapko sambhalna mushkil ho gaya.. rote huye hi usne baat poori ki,"... Aisa suna hai maine!"
"par tum ro kyun rahi ho Sneha.. subah se hi tum ro rahi ho.. baat kya hai..?" Priya ne Sneha ko pyar ka gurumantra dete huye subakte dekh poochha..
"kuchh nahi.. inka kya hai.. ye toh hamesha sath dete hain.. tanhayi ki agni jab tadap bankar hamein kachotne lagti hai toh yahi toh thandak dete hain.. Aansoo!." Sneha ne unhe pouchhte huye kaha..," dhyan rakhna ek doosre ka.. har koyi Mohan nahi hota.." kahte huye wah Priya ke gale lagkar rone lagi... Priya ki aankhon se bhi aansoo chhalak uthhe..
" Sneha.. hamein tumhare sath ki jarurat padegi.. Mohan ko bol dena.. hamari madad kare.. ab yahan hum kab tak rahenge..?" Priya ne bhi usko apni chhati se chipka liya..
" tabhi bahar Gadi ka horn sunayi diya.. Sneha bina kisi aur se baat kiye jaldi se bahar nikal gayi.. bahar mohan uska intzaar kar raha tha.. 'apna' sapna sakar karne ke liye.... Sneha ne Gadi ki khidki kholi aur agli seat par jakar baith gayi.. apne aakhri safar ke liye
"baat kya hai Sneha? tumhara mood theek nahi lag raha.. koi problem hai kya?" Vicky ne jhijhakte huye Sneha se poochha.. halanki Sneha ne uske paas aane se pahle apne aapko sambhal liya tha.. aur Gadi mein baithte hi muskurakar vicky ki aur dekha bhi tha.. par aaj uski muskurahat mein wo kashish nahi thi.. wo niralapan nahi tha.. aur.. fir chor ki dadhi mein tinka hota hi hai.. Vicky ko shak tha hi.. kahin Sneha 'kuchh' jaan toh nahi gayi hai..
"Nahi.. kuchh nahi.. hum ab kahan ja rahe hain..?" Sneha ne baat palat'te huye poochha...
" kahan ja rahe hain matlab? kahin toh jayenge hi.. pyar nahi karna kya? tum toh tadap rahi thi mere liye!" Vicky ne uske balon mein hath ferte huye kaha...
'pyar karna kisi ke hath mein toh nahi hota na Mohan.. wo toh bus ho jata hai.. jaise mujhe ho gaya.. tumse.. warna kisne socha tha.... Mohan! tumhe main pyari to lagti hoon na...?" Sneha ne vicky se poochha..
"yye tum aaj kaisi baatein kar rahi ho.. kya ho gaya hai tumhe?" vicky ke antarman ne usko dhikkara aur usne Sneha ke haathon mein lahra raha apna hath wapas kheench liya...
"kuchh nahi.. Aaj mummy ki badi yaad aa rahi hai.. !" Sneha recording ko yaad karte hi bhawnao mein bahkar bilakh padi.. Vicky se raha na gaya.. usne gadi side mein lagakar Sneha ka chehra apne hathon mein le liya.. Sneha ka ek ek aansoo laave ki tarah uske dil par tapak raha tha.. badi mushkil sthiti thi.. vicky ke liye," kya baat hai.. tum aaj... tum toh kah rahi thi.. tumne mummy ko kabhi dekha hi nahi.. fir aaj yun achanak mummy kaise yaad aa gayi.....?"
" haan.. Dekha nahi hai kabhi.. par aaj mahsoos ho raha hai.. wo bhi kitni bebas rahi hongi.. kitni tadpi hongi wo.. ye kab tak chalega vicky.. nari kab tak purush ke julmon ka shikar hoti rahegi.. kab tak purush usko apni hasraton aur sapno ko poora karne ka 'sadhan' maanta rahega.. Ardhangini hone ka haq kya hamein kabhi nahi mil payega? hum kya aise hi duniya mein aati hain.. nangi karke jangli kutton ke saamne daalne ke liye..?" Sneha ko 'wo' baatein lagatar ghutan bankar usko khaye ja rahi thi... aakhir usne nikal hi di.. vicky ko vicky kahkar usne Vicky ko hakka bakka kar diya.. aakhir usko bhi haq tha.. jaane se pahle jaan'ne ka.. ki uske sath aisa kyun hua.. yahi uski aakhiri ichchha thi...
Vicky ko jaise sanp soongh gaya.. poori teevrata dikhate huye usne Gadi ko lock kar diya.. taki Sneha wahan se bachkar bhag na sake..
" Mujhe bhagna hota toh main tumhare sath aati hi kyun?" Sneha ke chehre par ab sukoon jhalak raha tha... Vicky ko ye batakar ki wo uski fitrat jaan chuki hai..
" Hummmm.. toh tumhe sab kuchh pata lag gaya.." Vicky ne lambi saans chhodte huye kaha...
"nahi.. Sab kuchh kahan pata laga.. mujhe abhi tak ye pata nahi laga hai ki main tumhe pahchan kyun nahi payi.. tumhari aankhon mein chhipi waasna ko main pyar kaise samajh baithi.. aur ye bhi main kabhi nahi jaan paaungi ki sab kuchh jaan lene ke baad bhi tumhare paas kyun chali aayi... Marne ke liye..!" Sneha ne vicky ko jhakjhor kar rakh diya...
" Dekho Sneha.. iske liye main jimmedar nahi hoon.. apne ye sare sawaal apne baap se karna.. jisne apni biwi ke sath aisa kiya.. aur ab tumhare sath karne ki soch raha hai...! maine tumse kabhi pyar kiya hi nahi.. main pyar vyar ko nahi maanta.. mera lakshya Multiplex hasil karna tha.. aur wo tumhe unko sonp dene ke baad hi poora ho sakta hai..." Vicky ne khud ko glani se bachane ki koshish ki...
" theek hi toh hai.. jab wo aisa kar sakte hain toh tumse kya ummeed karoon..? ho toh tum bhi mard hi aakhir... meri ek aakhiri ichchha poori karoge Vicky...?" Sneha ne uski aankhon mein aankhein daal kar kaha...
" Bolo!" Vicky ne steering par sir rakh liya.. wo Sneha se najrein milate huye katra raha tha...
Sneha ki aankhon se jaise sookhe huye aansuon ki dhara bah nikli...," pata hai vicky.. jab main tumhe mohan samajhti thi.. apna Mohan maanti thi..," Sneha subakne lagi.. par usne bolna jari rakha," tab maine... ek sapna dekha tha.. har ladki ki tarah laal jode mein lipati huyi.... suhaag ki sez par tumhara intjaar karne ka.. hamesha ke liye tumhari ho jane ka.. tumhare liye khana banane ka.. tumse roothne ka.. tumhe mana'ne ka.. hamare bachche ko janam dene ka.. usko dular kar rakhne ka.. tumhare gusse se usko bachakar apne aanchal mein lapet kar chhupa lene ka.. aur.. usko.. kabhi meri tarah akela nahi hone dene ka.. usko kabhi hostel na bhejne ka....." kahte huye Sneha bilakh bilakh kar rone lagi.. Vicky jaisa nisthur bhi uski baatein sunkar andar tak hil gaya..," sambhalo Sneha khud ko.. main koshish karoonga tumhare sath aisa na ho.. multiplex mil jaane ke baad mein tumhe bachane ki koshish karunga.. waise bhi tumhare baap ne kaha tha.. ki uske bahar aane se pahle tumhare sath kuchh na karein.. main wada nahi karta.. par koshish jaroor karoonga.. tumhe bachane ki.."
"kyun koshish karoge tum.. kyun...? taki fir se kisi swarth ke liye mera istemaal kar sako.. na.. mujhe bachane ki koshish mat karna.. main toh pahle hi mar chuki hoon.. mujhe baar baar marne ke liye mat chhodo pls.." Sneha ne vicky ke saamne hath jod liye.....
Vicky ke paas koyi jawaab nahi tha.. Sneha ke kisi sawaal ka.. achanak vicky ka fone baj utha.. baanke ka fone tha," haan.. main aa raha hoon.. aadha ghanta lagega.." kahkar vicky ne fone kata aur Gadi start karke chal diya....... Lunch mein Anjali ne aate hi ladkiyon se poochha," Sneha kahan gayi.. uska mood theek huaa ki nahi..?"
"wo toh chali bhi gayi mummy! Mohan aaya tha usko lene.." Gouri ne khadi hote huye kaha.. Sabko darr tha.. ab tour shayad mushkil hai.. sabhi ke munh pichke huye the.. khas tour se Priya aur Riya ke.. unhe wahan se jana pad gaya toh..
"kyaaa??? oh my God! mujhe college nahi jana chahiye tha.. ab main kya karoon..?" badbadate huye anjali ne fone nikal liya aur Shamsher ke paas fone milaya
"haan.. Anjali.. main sham tak pahunch jaaunga.. tour ki taiyaari kar li hai na?" Shamsher ne fone uthate hi kaha...
"wwo.. Sneha chali gayi.. Vicky ke sath.." Anjali ne uski baat par dhyan na dete huye kaha..
"whhat??? usko pata nahi tha kya..? usko bataya nahi tha kya? ye kya ho gaya..?" shamsher vichlit sa ho gaya...
"mujhe nahi pata.. mere khayal se pata chal gaya tha usko.. subah se ro rahi thi..."
Shamsher ne bina ek pal bhi gunwaye Tough ke paas fone lagaya," Sneha chali gayi.. vicky ke sath.. tumne usko bataya kyun nahi..?"
"kya???" lagbhag waisa hi dhakka tough ko bhi laga," par maine toh usko recording tak suna di thi.. fir wo gayi kyun?"
" ab ye baat sochne ka waqt nahi hai.. hamein jaldi hi kuchh karna padega...!" Shamsher ki taraf se aawaj aayi...
" par chinta karne ki baat nahi hai bhai.. Murari ne apne logon ko uske bahar aane tak usko kuchh nahi karne ko kaha hai.. main sambhal loonga.. sala Murari toh apne paas hi hai na.. main sambhal loonga... par vicky ne ye theek nahi kiya bhai.. wo toh pagal ho gaya hai.. waise Murari ne jo location deal ke liye tay ki hai.. main wahan security officer bhej deta hoon.. khud bhi chala jaaunga.. Recording mein Murari ne khol kar bataya tha.. main nikal raha hoon.." kahkar tough ne fone kata aur jaldi se bahar nikal gaya.....
-----------------------
Lunch ke baad mayus anjali jab office louti toh Vasu pahle se hi uska intzaar kar raha tha..
"Shrimati ji.. maine aapki salaah par vichar kiya tha.. bura nahi hai.. main sath chalne ko taiyaar hoon.. kahiye kab ka karyakram rakhein..?"
" Nahi Vasu ji.. maine bhi aapki baat par gour farmaya tha.. aap sahi kah rahe the.. iss waqt tour par jana theek nahi.. maine programme cancel kar diya hai.." Anjali ne kursi par baithte hi apna matha pakar liya....
"Parantu ye toh koyi baat nahi huyi.. maine lakh sochne ke baad apna mann banaya.. aur ab jabki main jane ka ichchhuk hoon toh aap mana kar rahi hain.. aapko chalna chahiye.. aur nahi toh aap bachchon se hi poochh kar dekh lo.. maine bhi ek aadh ladki se iss baare mein vichar kiya tha.. wo chalne ko taiyaar hain.. aap kahein toh main bachchon se parchiyan dalwa leta hoon.. jaisa bahumat kahe.. boliye?" bechare vasu par toh gaaz si gir padi tour cancel hone ki baat sunte hi... jaane kitne armaan sanjo liye the usne ghante bhar mein hi....
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
"Dekhiye vasu ji.. tour mumkin nahi hai.. aap samajhne ki koshish karein... aur mere sir mein dard hai.. aap kripaya mujhe akela chhod dein..." Anjali tunak si padi thi...
Vasu bina kuchh bole munh fulakar wahan se nikal gaya.. usne class nahi li.. jate huye usne chhoti class ki ek ladki ko bulaya aur usko Neeru ko math ki kitab lekar staffroom mein bhej dene ko bol kar khud wahin chala gaya...
"ji Sir.. Aapne bulaya?" kahte huye Neeru seedhi staffroom mein ghus gayi.. usne andar aane ki ijajat tak nahi maangi.. wo khili huyi thi.. jate hi usne apni math ki kitab ko table par patka aur vasu ki aur munh karke khadi ho gayi...," maine poochh liya hai Sir.. gharwalon se.. main bhi chaloongi tour par... "
Vasu bechaini se khada hokar idhar udhar tahlne laga," Saali sari duniya prem ki dushman hai..! Log jodiyan bante dekh hi nahi sakte.. sabko apni apni padi hai.. batao.. agar chal padte toh kounsa pahad toot padna tha.... ?" Vasu badbada raha tha.. Neeru ko bus ek hi baat dhang se sunayi di.. ' Sari duniya prem ki dushman hai'
"kya Sir?" Neeru ne hichkichate huye poochha..
" arey kya kya?" Vasu ne Neeru ke paas aakar usko kandhon par se pakad liya.. uska gussa uski pakad ki majbooti mein jhalak raha tha.. Neeru andar tak hil gayi.. neeche tak.. Vasu ne aawesh mein bakna jari rakha," wo kya samajhte hain..? agar hum ghoomne nahi gaye toh kya hum pyar karna chhod denge.. kya hum yahan pyar nahi kar sakte.. nahi nahi.. ye toh vidyalay hai.." Vasu ne apne hath hata liye," kya tum mere paas ghar nahi aa sakti.. kya main chori chhipe Raat ko deewarein kood kar tumhare ghar nahi aa sakta.. kya hamara pyar itna kamjor hai ki...."
Vasu jane kya kya bak raha tha.. mano bhang kha rakhi ho.. Neeru hairan thi.. abhi tak jo uss'se baat karte huye hichkicha raha tha.. ab deewarein koodne ki baat kar raha hai.. jane kitne rang the uske Vasu ke.. wo toh aaj tak usko samajh hi nahi payi thi...
Par wo man hi man khil uthi thi.. Jo wo bol dena chahti thi.. uski jarurat hi na padi.. sab kuchh akele vasu ne hi bol diya
"toh kya Sir.. hum tour par nahi ja rahe..?" Neeru ne lagataar anaap shanaap bol rahe vasu ko khud bolkar chup kiya...
" nahi.. par tum chinta mat karo.. main tumhare ghar aaunga.. aaj raat ko.. aa jaaun na?"
Neeru se koyi jawaab dete hi na bana.. wah sharma gayi.. kitaabein uthayi aur bahar bhag gayi.. par jawaab toh Vasu ko mil hi gaya tha.. uski muskurahat mein!
Vicky chupchap Sneha ko lekar apni manjil ki aur chalta ja raha tha.. uska man usko kachot raha tha.. kya wah sahi kar raha hai? haan bhi aur nahi bhi.. uske antarman mein virodhabhas goonj raha tha.. Vicky ke paas sab kuchh tha.. par wo manjil par pahunch kar sustaane walon mein se nahi tha.. uska lakshya aur aagey.. fir aur aagey badhte jana tha.. Jaankaron ki rai mein multiplex rupaiyon ki khan tha.. kahne ko net income sirf 2 se 2.5 lakh rupaiye mahina par vastavikta iss-se kafi alag thi.. pahle jab casino par ban nahi tha to uska malik shahar ka sabse bada ameer tha.. karan undergroung floor par casino ki aad mein hone wale har tarah ke dhandhe.. karodon rupaiyon ki paidawar har mahine uss 100x100 ki chhoti si jagah se hoti thi... par pichhli sarkar ne sab kuchh band karwa diya aur Multiplex ka malik bhari dabav mein aa gaya.. par ab.. ab andar ki khabar ye thi ki agli sarkaar aate hi usko fir se chalu karne ja rahi hai.. aur yahi karan tha ki Murari aur Vicky mein usko lekar talwaarein khinchi huyi thi.. aur chakachoundh kar dene wale rupaiyon ki khanak ke saamne kisi ke jajbaat kuchh mayne nahi rakhte the.. kuchh bhi nahi...
Par Sneha iska shikar kyun bani? kash wah shuru mein hi Sneha ko sab sach bata deta.. kum se kum wo sapne toh na paalti.. usko aaj khud ki hi najron mein yun jaleel toh na hona padta.. Jo sapne Sneha ne dekhe hain.. khud usko bhi toh kabhi na kabhi dekhne hain... iss'se jyada pyar usko karne wali dusri koyi ladki duniya mein usko mil sakegi.. sab kuchh pata chalne ke baad bhi aa gayi..
" Kamaal hai.. Pyar karne wale log kitne beparwah hote hain.. kitne pagal.." Vicky ne ek lumbi saans chhodte huye Sneha ki aur dekha.. uske chehre par koyi bhav nahi tha..
Sneha ne koyi jawaab nahi diya.. par garv se apna sir utha liya.. mano usko apne pagalpan par garv ho.. pyar ko sanjeedagi se samajhne ka ghamand!
" tum kisi aakhiri ichchha ki baat kar rahi thi.. wahi bata do!" khisiyaye huye se vicky ne fir Sneha ko toka...
" tum poori nahi karoge vicky..tum pyar ko samajhte hi nahi ho.. jane do..!" Sneha ne saamne dekhte huye hi jawaab diya...
"kahkar toh dekho! kya pata kar bhi doon?" Vicky ne fir poochhne ki jurrat ki..
"Maine Raj aur Priya dono se baat ki thi.. Dono ek dusre se behad pyar karte hain.. jaise main tumhe kar baithi thi.. bina soche samjhe.. bina jane.. pagal thi na.. tumhare liye.. "
"ye Priya koun hai?" Vicky ne usko toka..
" unke Saamne hi rahti hai.. dono ek hi class mein padhte hain.. ek hi college mein.. wo bhi uske sath hi bhag kar Loharu aa gayi hai.. pata nahi unka kya hoga? Priya ne mujhse kaha tha.." Sneha ne apne aapko jajbaat mein bahne se rokne ki lakh koshish ki par apne aapko subakne se na rok payi.. par wah bolti rahi.." Priya ne kaha tha.. apne Mohan se kahna hamari madad kare.. wo hamara intzaar karenge.. taki hum wapas jakar unki madad kar sakein.. meri tarah wo bhi nadan hain.. agar unke saamne koyi rukawat aayi.. toh mujhe darr hai.. wo bikhar jayenge... main chahti hoon ki tum unki madad karo..!" Sneha ne apni baat poori ki....
"theek hai.. main kar doonga.. par karna kya hai?" Vicky ne baat aage badhane ki koshish ki....
" unko jagah deni hai.. jahan par wo rah sakein.. unko raasta dikhana hai.. nahi Raasta mat dikhana.. wo 'pyar' ko tumse kahin behtar samajhte hain.. ek baat aur maanoge...?" Sneha ne apne aansoo pouchhe...
" Bolo..."
" Unhe kabhi mat batana ki tumne mujhe chhod diya.. mere pyar ki touheen hogi.. unke saamne mein harpal tumhari hi baat karti rahi.. Mohan aisa hai.. Mohan waisa hai..mohan ne mere liye ye kiya.. wo kiya.. wo tumhari bahut ijjat karte hain.. tumhe aadarsh maan'ne lagey hain apna.. agar unko ye sab pata lag gaya toh wo 'pyar' ko hi galat samajhne lagenge.. ek dusre par se bhi visvas uth jayega unka.. aur main nahi chahti ki dil hamesha haare.. aur Dimag hamesha jeete!...
achanak vicky ne kachche raaste par gadi mod di.. wahan 3 gaadiyan khadi thi.. jo unke pichhe chal padi..
" inko sonp dogey mujhe?" Sneha ne vichlit hote huye kaha.. usko laga.. vicky se juda hone ka time aa gaya hai.. mayusi aur majboori uske haseen chehre par achanak bikhar gayi...
" Nahi.. ye apne aadmi hain.. Meri protection ke liye sath aaye hain.. wo bhi poori taiyari ke sath aaye honge.." Vicky ne kaha...
" ek baat bataaoon vicky.. tumhe yaad hai jab hostel se nikalne ke baad unn logon ne hamari gadi rukwayi thi.. aur mujhe le jane ki koshish kar rahe the.. tab mujhe tumse pyar nahi tha.. main apni jaan bachane ke liye tumhare seene se ja chipki thi.. uss waqt main jeena chahti thi.. apne liye... aur jab tumne ek hath se mujhe apne andar samet kar uss aadmi ke munh par ghoonsa mara tha.. wo meri jindagi ka sabse haseen pal tha.. usi ek pal mein mujhe tumse pyar ho gaya.. usi ek pal mein main tumko apna maan baithi.. usi ek pal main mujhe ahsaas hua tha ki pyar kya hota hai.. dusre ke liye jeena kya hota hai.. aur main tumhare liye jeene lagi thi... mujhe nahi pata tha wo sab natak tha.." kahte hi Sneha Vicky ki chhati se chipak gayi aur bachchon ki tarah se rona shuru kar diya.. Vicky ka hath apne aap hi uth kar Sneha ki kamar par chala gaya.. aur usko sakhti se apni chhati mein dubka liya...
" Mujhe wahi maar dena Vicky.. paise lete hi.. unko bhi toh mujhe maarna hi hai.. main tumhe yaad karke tadapna nahi chahti.. main jeena nahi chahti vicky.. please.. mujhe maar dena jaan.. main aur jeekar kya karoongi.. ab har pal mere liye saja ke samaan hoga.. mujhe kyun tadapne ke liye chhod dena chahte ho.. maar dena mujhe.." Sneha ke har shabd mein guhaar thi.. har shabd mein adhuri kasak thi.. uske poora na ho pane ki.. ardhanigini na ban pane ki...
Vicky se kuchh bolte na bana.. ab toh bus ek hi kaam ho sakte tha.. ya toh Sneha ko poori karna.. ya apne armaan..
kareeb 5 minute aur chalne ke baad wo ek teeley ke paas aa gaye.. wahan kuchh aur gadiyan khadi thi... unke theek saamne kuchh doori par Vicky ne gadi rok di.. dusri gadiyan uski barabar mein aa khadi huyi...
Vicky Gadi se neeche utar gaya.. uske utarte hi uski gaadiyon mein se ek aadmi gadi ke bahar Sneha ki bagal mein aa khada hua.. pata nahi kyun?
kuchh aur aadmi nikal kar gadiyon ke paas khade ho gaye.. lagbhag sabhi ke hath mein hathiyar the..
Dusri taraf bhi kuchh aisa hi drishya tha.. farq sirf itna hi tha ki inke paas Sneha thi aur unke paas paisa.. Sneha ki keemat!
Vicky aage gaya toh Udhar se Baanke bhi iss aur chala aaya.. Paas aate hi Baanke ne vicky ki aur hath badhaya.. par vicky ke hath uski jeb se na nikle.. ya pata nahi.. nikal hi nahi paye," paisa?"
" poora hai.. hamare paas aakar dekh sakte ho.. aao!" baanke ne jawaab diya...
Vicky uske sath unki gadiyon ke paas gaya aur dono suitcase check kiye.. hazar hazar ki gaddiyan thi..
" chaho toh gin sakte ho?" Baanke ne batteesi dikhate huye kaha..
" Ek note bhi kum nikla toh tujhe pata hai main kya karoonga...!" Vicky ne rookha sa jawaab diya..
" kaise karna hai..?" Baanke ne adla badli ke baare mein poochha...
" tum apni ek gadi wahan bhej do.. Hum Sneha ko usmein bitha denge.. " vicky ne ek gadi ko apni aur aane ka ishara kiya aur unki gadi uski taraf chal padi..," Idhar hum apni gadi mein Paise rakhenge.. aur udhar tumhari Gadi mein Sneha ko bithayenge.. uske baad humari sabhi gadiyan aage nikal jayengi aur tumhari gadiyan udhar se seedhe... theek hai?" Vicky ne poochha...
"haan.. par main pahle ladki check karoonga...!" Baanke ne kaha...
" aa jao.." Kahkar vicky Sneha ki aur chal pada... Baanke bhi uske pichhe pichhe aane laga...
Sneha gadi mein sahmi huyi si baithi thi.. sab kuchh itna aasan nahi tha jaisa usne socha tha.. dusre aadmi ke sath jane ki kalpana karte huye hi usko darr lag raha tha.. wah toh kahin se bhi apna nahi tha.. jab vicky ne aisa kar diya toh.... wah rone lagi....
Baanke ne ke paas aakar andar jhanaka..," agar main foto sath nahi lata toh kabhi visvas nahi hota ki yah Murari ji ki beti hai.. Dekh na.. kitni garam item hai.. Sasuri rote huye bhi kitni sexy lag rahi hai... nahi?" Baanke ne foto nikal kar Sneha ka chehra milate huye kaha...
Like Reply
" chupchap apna kaam karo.. jyada bakwas karne ki jarurat nahi hai.. warna yahin thok doonga.. samjha!" Jane kyun Vicky ko Baanke ke Munh se Sneha ke shareer ki kamottejak prashansa sunkar jalan si huyi.. uska tohbda chadh gaya...
"he he he.. isko jara neeche utaro.. Murari ji ne bola tha achchhe se check karna.. Achchhe se..!" Baanke Sneha ko apne sath le jane ko kuchh jyada hi lalayit tha..
Vicky ne khidki khol di," Neeche aao Sneha...!"
" nahi.. main iske sath nahi jaaungi.. mujhe mat bhejo pls.. mujhe yahin maar do.. main nahi jaaungi.." Baanke ka chehra hi kuchh aisa tha.. Sneha apni seat se chipak gayi...
" Neeche aao Sneha.. pls.. natak band karo.. maine tumhe kya kaha tha.." Vicky ne uska hath pakda toh usne apna hath chhuda liya.. ," nahi.. maine kaha na.. main nahi jaaungi.. mujhe maar do.. yahin!" Sneha ki karun chitkar Vicky ke kaleje mein utar gayi.. par usne apne aapko sambhale rakha.. uska kaleja hi kuchh aisa tha..
" isko neeche utaaro.. Vicky ne apne ek aadmi ko ishara kiya aur khud alag hat gaya...
wo aadmi.. Sneha ko kheench kar neeche utaarne ki koshish karne laga.. par jaise Sneha ko toh koyi aur 'hath' apne badan par ab ganwara hi na tha," Door hato.. main utar rahi hoon.." Sneha ne bilakhte huye kaha.. uski aankhon ke saamne andhera sa chhaya hua tha.. jaise mout hi usko pukar rahi ho.. usko vicky ki bagal mein tangi mouser dikhayi di.. aur usko laga usko raasta mil gaya hai.. Wah neeche utar kar vicky ke sath khadi ho gayi.. mouke ke intzaar mein..
"dekh lo jaldi.. mere paas time nahi hai..
" Baanke gour se Sneha ko upar se neeche tak dekhne laga.. uski laar tapak padi.. aankhon mein khoon wasna bankar utar aaya.. Sneha ka har ang itna rasila tha ki kapdon ke upar se hi kisi ki bhi pant geeli ho sakti thi.. Baanke bhool gaya ki wah vicky ke paas khada hai.. ye bhi ki vicky ne usko 2 minute pahle hi chetawani di thi..
Baanke ki najron ko iss tarah apne badan mein chubhta hua dekhna Sneha se sahan
na hua.. wah lajjit hokar vicky se ja lipti aur apne aapko usmein chhupane ki koshish karne lagi.. theek usi tarah jaisa pichhli baar natak ke waqt hua tha..
Vicky ko har pal ye ahsaas ho raha tha ki wah duniya ka sabse gira hua insaan hai.. sabse jyada lalachi aur dhokhebaaj.. usko glani si hone lagi...
" wah Vicky babu.. jawab nahi tera bhi.. maan gaya.. ek baat toh bata.. iska kuchh istemaal bhi kiya ya mere liye kunwari...!"
aagey Baanke ek shabd bhi na bol paya.. uski gardan ghoom gayi.. vicky ka ek jordaar thappad uske gaalon par paanchon ungaliyon ke nishan chhod gaya tha.. gusse se tilmilaye huye Vicky ka hath seedha apni mouser par gaya..
Vicky ko har pal ye ahsaas ho raha tha ki wah duniya ka sabse gira hua insaan hai.. sabse jyada lalachi aur dhokhebaaj.. usko glani si hone lagi...
" wah Vicky babu.. jawab nahi tera bhi.. maan gaya.. ek baat toh bata.. iska kuchh istemaal bhi kiya ya mere liye kunwari...!"
aagey Baanke ek shabd bhi na bol paya.. uski gardan ghoom gayi.. vicky ka ek jordaar thappad uske gaalon par paanchon ungaliyon ke nishan chhod gaya tha.. gusse se tilmilaye huye Vicky ka hath seedha apni mouser par gaya.. aur usne mouser nikal kar Baanke ke seene par taan di.. Vicky ka chehra jillat aur gusse se laal ho chuka tha.. pahli baar jab usne Baanke ko Sneha ko ghoorte dekha tha toh uske dil mein ajeeb si siharan paida huyi thi.. tab usko pahli baar ye ahsaas huaa tha ki Sneha jaane anjaane uski dhadkano mein sama chuki hai.. unke sapne saanjhe ho gaye hain.. Sneha usko apne liye jarurat si lagne lagi thi.. apni ijjat si lagne lagi thi.. 'apni' lagne lagi thi.. par iss baar usko yakeen ho gaya.. wah Sneha ko nahi chhod sakta.. wah uske liye kuchh bhi chhod sakta hai...," unko bolo paisa idhar lekar aa jayein.. main 10 tak ginoonga bus!"
" Nahi.. vicky babu.. pls.. wwo.. mere aadmi nahi hain.. wo Murari ke aadmi hain.. sach mein.. wo kabhi Sneha ko liye bagair paisa nahi denge.. bhagwan ki kasam.. aa.. mm..man toh majak kar raha tha.. ye toh mere liye beti ke jaisi hai.. hai na?.. pls.... mujhe bakhs do..."
Vicky Ginati ginta ja raha tha aur Baanke ki patloon sach mein hi geeli ho gayi.. Bolte bolte... Darr ke marey usne pant ke andar hi 'kar' di..
Vicky 7 tak pahuncha toh Sneha bol padi," Nahi.. aisa mat karo.. main chali jati hoon.. main ja rahi hoon.. " Kahte huye usne khud ko Vicky ke seene se alag karne ki koshish ki par tab tak Vicky ne usko apna hath uski kamar mein daal kar majbooti se apne seene se chipka liya tha.. aur iss baar wo natak nahi tha.. Vicky jud gaya tha.. Sneha ke naam ke sath hamesha ke liye...
9 tak ginte ginte mouser neeche jhuk gaya.. wah Sneha ki najar mein ab aur bura nahi ban'na chahta tha.. usko insaan bankar dikhna chahta tha.. pyar karne wala.. mout baantne wala nahi...
"Bhag jao yahan se.. iss'se pahle ki main apna vichar fir se banaun.. mujhe yahan dikhayi mat dena.." Vicky ne ek ek shabd ko chabate huye kaha...
uske baad toh Baanke ne pichhe mudkar dekha hi nahi... wo sab apni gadiyon mein baithe aur gaadiyan dhool udaati huyi unki aankhon se aujhal ho gayi...
" Chalo wapas!" Vicky ne apne sathiyon se kaha.. unn sabki aankhon mein aansoo aa gaye the.. khushi ke.. Vicky ko pahli baar unhone iss andaj mein dekha tha.. achanak sabne ek dusre ki aankhon mein dekha aur ek sath hawa mein fire kar diya.. Sneha saham kar Vicky ki chhati mein ja dubki..
" aaj tu asli wala leader ban gaya re vicky.. apan tujhe salaam karta hai.." uss aadmi ki aawaj se laga uska koyi kareebi hi hoga.. koyi aur toh iss tarah aalinganbaddh jode ke paas jane ki himmat kar hi nahi sakta tha...
jab sab chale gaye toh Vicky ne Sneha ko apne bahupash se alag karke uski aankhon mein jhanka.. Sneha samajh nahi pa rahi thi ki kya bole!
" Main tumhare layak nahi hoon Sneha.. bulki tumhare sath khada hone layak bhi nahi hoon.. par main tumhari 'wo' ichchha jaroor poori kar ke dikhaunga.. main tumhe galat sabit nahi hone doonga.. Raj aur Priya ko milne se koyi nahi rok sakta.. ..... agar Raj mere jaisa nahi nikla toh... aao tumhe unke paas chhod aaun!" Vicky ne ab tak sahmi khadi Sneha ko Gadi mein bithaya aur fir khud gadi mein baith kar gadi chala di! kafi der yunhi chupchap chalte rahne ke baad Sneha ne najrein ghumakar Vicky ki aur dekha.. Vicky ke haav-bhav bilkul badle huye the.. chehre par Paschatap nahi Garv tha... Glani nahi Sukoon tha..
Sneha ko samajh mein hi na aaya aur baat kahan se shuru kare..." Ab tumhe wo multiplex kaise milega....... Vicky?"
Vicky ne koyi jawaab nahi diya.. bus Sneha ki aur najar bhar kar dekha aur fir seedha ho gaya.. kahna toh chahta tha wah.. bahut kuchh.. kahna chahta tha ki mujhe ahsaas ho gaya hai.. jindagi kya hoti hai.. kahna chahta tha ki.. 'wo' uske liye duniya ki sabse keemati cheej hai.. uske liye wo sabkuchh chhod sakta hai.. agar wo uska hath fir se pakad le toh.. par Vicky ko jab apni Jindagi mein Sneha ki jarurat ka ahsaas hua toh sath hi sath ye bhi ahsaas ho gaya ki wo kya karne ja raha tha.. uske sath.. aur yahi wajah thi ki lakh koshish karne ke baad bhi uske munh se ek shabd tak na nikla...

"Hum kahan ja rahe hain?" Sneha ne usko fir toka...
"Loharu! Mujhe lagta hai wahan tum khush rah sakti ho.. main Shamsher aur tough se baat karoonga.. tumhare liye.. mujhe pata hai.. Sneha.. maine jo kuchh bhi kiya.. wo maafi ke layak nahi.. par pls ho sake toh mujhe maaf kar dena.. ho sake toh!" Vicky ka gala bhar aaya... apni baat kahne ke douran usne kayi baar Sneha ke chehre ki aur dekha.. par jab jab wah najrein milane ki koshish karti.. wah apni najrein hata leta.. usmein ab Sneha ki najron ka saamna karne ki himmat nahi ho pa rahi thi...
" koi farq nahi padta... mujhe tumse koi gila nahi hai.. meri kismat hi aisi hai!" Sneha ke tanha dil mein abhi bhi Vicky ke aagosh mein sama jane ki tadap thi.. par Vicky ko bhi uss'se pyar ho...; tabhi toh! wah toh aisa kuchh bol hi nahi raha tha.. jaise bus uss par daya karke hi usko wapas le aaya ho...
Dono asamanjhas mein the.. dono ek dusre ke liye tadap rahe the par pahal karne se dono hi katra rahe the.. isi asamanjhas mein wo yunhi aadhi adhoori baat karte huye loharu pahunch gaye...
"arey Dekho.... Shayad Sneha didi wapas aa gayi", khoobsoorat si ladki ko Gadi se utarte dekh Vani khushi se uchhalte huye andar bhagi aur usne sabko chounka diya," Black color ki gadi mein hain.."
Andar baithe sabhi ke murjhaye chehre ummeed ki kiran ke sath hi ajeeb dhang se khil uthe.. sabhi bhagte huye bahar ki aur bhage.. Priya ne khidki mein se hi Sneha ko gadi ke paas khadi hokar Vicky ki aur dekhte dekh liya.. wo khushi se jhoom uthi aur bhagti huyi jakar Sneha ko apni baahon mein bhar liya," Mujhe visvas tha; tum jaroor aaogi.. thank you Sneha.. Thank you!"
Sneha ki aankhein chhalak aayi," Shayad tumhara visvas hi mujhe yahan tak le aaya Priya.. warna.." Gadi ke chalne ki aawaj sunte hi Sneha chounk kar palti.. usne chalte huye Vicky ko kuchh bolne ka soch rakha tha.. par.. wo apne se door ja rahi Gadi ko tab tak vismit netron se taakti rahi jab tak ki wo uski aankhon se aujhal na ho gayi..
"ab toh hum chalenge na didi.. tour par.. ab toh Sneha didi bhi aa gayi hain.." Vani Priya ke hath se lipat gayi.. wo thi hi aisi.. ghanta bhar pahle hi wahan aayi thi.. Disha ke sath.. aur Viru se lekar Riya tak.. sabke dilo dimag par chha chuki thi.. sabko lag raha tha jaise usko wo varshon se jaante hain.. Vani apna dil khol kar jo rakh deti thi...
Ab tak sabhi Sneha ke ird-gird jama ho chuke the..
"thahar ja.. nahi toh kaan ke neeche ek lagaaunga.. usko andar toh aane de pahle.." Virender ne Vani ka hath pakad kar ek aur kheench liya...
" aap itne gussail kyun ho.. ? sab aapse darte hain.. aise bologe toh main aapse baat nahi karoongi haan.." Vani ne apni kalai sahlate huye banawati gusse se viru ki aur dekha aur hans padi.. uski hansi hi toh sabki jaan thi... Viru bina muskuraye na rah saka...
Like Reply
" ab bhi toh aa gayi.. maine kaha nahi tha? bhai ke bina dil nahi lagega tumhara!" Viru Sneha ki aur Muskurate huye bola..
Sneha kuchh na bol saki.. uske chehre par aise bhav the jaise uska sab kuchh kho gaya ho.. jaise usko visvas hi nahi tha.. Vicky uski duniya mein satrangi sapne sajakar yun bhag jayega.. Ghar ke andar aate huye bhi wah mud kar baar baar pichhe dekhti rahi........ " haan! toh list bana lo, yahan se koun koun tour par ja rahe hain?" Living room mein Sabko apne charon aur liye baithi Gouri ne chillakar sabko chup kiya.. Viru ek taraf leta hua tha aur Raj uske paas baitha hua ladkiyon ki baatein sun raha tha...
" koun koun kya? sabhi chalenge..!" Vani ne apni najrein ghumakar sabhi ke chehre par jhalak aayi sahmati ke bhav dekhe...
"kyun nahi? poore gaanv ko hi utha le chalte hain... kya khayal hai?" Gouri ne Vani ki hansi udate huye kaha...
" main toh yahan baithe sabhi logon ki baat kar rahi thi.. Gaanv ki baat thode hi kar rahi hoon.." Vani ne munh banate huye kaha...
"arey pagli.. hum sab toh chalenge hi.. par 5-7 bachchon se tour thode hi chala jayega.. kuchh idea do.. gaanv ki aur koun koun ladkiyan chal sakti hain... hamare sath.. agle mahine exam hain.. college se jyada chalne ko taiyaar nahi hongi.." Gouri ne samjhate huye kaha..
" Neha!" Disha tapak se boli.. uske jehan mein sabse pahla naam yahi aaya..," wo jaroor chal padegi.. agar main usko kah doongi toh!"
"theek hai.. likh liya.. aur?" Gouri ne wahan baithe sabhi ke naam likh kar agli line mein 'neha' likh diya!
"Divya! wo toh pakka chal padegi.. likh lo!" ye Vani ki aawaj thi..
" OK!"
" Nisha!" Gouri ne yaad karte huye naam liya..
" Na! wo nahi chal sakti.. uski toh shadi hai.. agle hafte! " Disha ne Gouri ko naam likhne se rok diya...
"sach? kiske sath?" Gouri ne chahakte huye poochha.. Nisha ko Sanjay ka khayal ho aaya.. kitna bewafa nikla wo?
"Koyi bada businessman hai.. Hisar se.. suna hai love marriage hai.. ladke walon ne khud hath maanga hai.."
" chhodo na.. aur naam yaad karo!" Vani ne Disha ke munh par hath rakhte huye kaha..," Sarita!" Vani ko yunhi yaad aa gaya.. Divya se Rakesh aur uss'se Sarita!
" chal na! kiska naam le rahi hai.. tour ka maja kharab karwayegi kya? " Disha ne bigate huye kaha..
" Mat le chalo! mujhe kya hai? Maine toh naam yaad dilaya tha bus!" Vani ne munh banaya...
" likh lete hain yaar.. waise hi bachche kum pad rahe hain.. agar aur ladkiyan jaane ko taiyaar ho gayi toh naam kaat denge.. ismein kya hai!" Gouri ne samjhate huye kaha...
"chalo.. likh lo! waise meri koyi dushman bhi nahi hai wo.. bus.. nature ki achchhi nahi hai.." Disha ne safayi dete huye kaha..
Gouri ne naam likh liya..
" Seema didi.. wo bhi toh chal sakti hain..?" Vani ne ek aur naam yaad dilaya..
" nahi.. wo nahi chalengi.. wo toh pregnant hain.." Disha ne ye naam bhi nakar diya..
" Poochh toh lo didi.. kya pata chal padein!" Vani ne jor dekar kaha..
" Mujhe pata hai chhutaki.. wo nahi chalengi.. tu khamkha.. behas kyun kar rahi hai..?"
" Mansi!.. haan.. Mansi.. likh lo didi.. inki mat suno! ye toh 'bus' ko bharne hi nahi dengi wo pakka chalegi.. mere kahte hi!" Vani ek baar Gouri ki aur muskurayi aur fir Disha ki aur ghoora.. kahin wo mana na kar de.. Disha muskurane lagi.. Mansi ke sath hi usko manu ka khayal aa gaya tha...
" likh liya.. aur bolo.." Gouri ne naam likhte huye kaha..
"Kitne ho gaye didi..?" Vani ne copy mein jhankte huye poochha...
"Dekho.. Disha.. Sneha.. Main.. Priya.. Riya.. Vani.. Raj.. Virender... Neha.. Divya.. Sarita.. Mansi.. aur Mummy... Jija ji.. Vasu Sir.. " Gouri ne aakhiri teeno naam list mein jodte huye kaha..
" Aur Sunil Sir?" Vani ne yaad dilaya..
" Nahi.. Mummy ne poochha tha.. wo nahi chal payenge..!" Gouri ne bataya...
Vani jaane kab se kuchh soch rahi thi..," ladkiyan 11 aur ladke sirf 4!"
par kisi ne bechari ki baat par dhyan nahi diya.. usne Disha ki aur Dekha," Didi!"
" Hummmm!" Disha kuchh sochti huyi boli...
Vani ko kuchh kahte na bana.. uske dil ki baat toh Disha ko soch leni chahiye thi...
" Bol!" Disha ne usko toka...
" Kuchh nahi!" Vani ne mayoos hote huye kaha...
"Vicky nahi chal raha kya?" Priya aur Riya Sneha ko dekhte huye achanak ek sath bol padi..
Sneha kuchh na boli.. wo aise hi baithi rahi.. gumsum si...
" Didi! ek minute idhar aana...!" Vani ne khadi hote huye Disha ka hath kheencha..
Disha uthkar uske sath bahar aa gayi," kya?" uski aankhon mein sharaarat si thi.. Shayad wo samajh rahi thi ki Vani kya kahna chahti hai..
" agar Mansi ne mana kar diya toh..?" Vani ne uski aankhon mein dekhte huye poochha...
"par tu hi toh kah rahi thi.. wo chal padegi.. tu fone kar le usko.." Disha anjaan bani rahi..
" nahi.. matlab... aap samajhti kyun nahi.. agar usne mana kar diya toh..?" Vani kuchh aur bhi kahna chahti thi..
" Toh kya?"
" jaise agar uske ghar walon ne agar ye kah diya ki hum isko akeli nahi bhejenge.. toh..?" Vani ne hulka sa ishara diya...
" toh kya? hum jabardasti thode hi le ja sakte hain.. nahi le jayenge.. naam kaat denge.. aur kya?" ab Disha ko ismein koyi shak nahi tha ki Vani ghumafira kar Manu ko sath le chalne ko kah rahi hai..
Vani pair patakti huyi Andar aa gayi..," Mujhe nahi chalna tour par.. main nahi ja rahi.. mera naam kaat do" kahkar Vani Viru ke bed ke paas dale huye sofe par aakar pasar gayi...
Disha bhi uske peechhe peechhe hanste huye andar aa gayi..
" Ab kya problem ho gayi chhammak chhalo!" Viru ne hanste huye Vani ko chheda...
" Aap bhi mat jao tour par.. main bhi nahi ja rahi.. koyi maja nahi aayega tour par.. sab bore hi hone hain.. mujhe pata hai.." Vani ne aur bhi logon ko protest mein shamil karne ki koshish ki..
" Theek hai.. main bhi nahi ja raha.. mujhe toh waise bhi pair mein dard hai.. main kya karoonga jakar..? ghooma toh waise bhi nahi jana hai mujhse!" Viru ne uske Sur mein sur milaya...
Riya ne palat kar vani se hath mila rahe Viru ko dekha.. seene mein anjani si jalan huyi," tumhare liye strecher le chalenge.. main ghumati rahungi.. iss tooti huyi taang ko.."
" pahle khud toh dhang se chalna seekh le.. mujhe ghumayegi..!" Viru ne eent ka jawaab patthar se diya..
" haaaaaaa.. mujhe chalna nahi aata..! kisne bola hai..?" Riya ne viru ko ghoorte huye poochha..
" Maine dekha hai.. Mardon ki tarah se chalti hai tu.. ladkiyon wali toh tujhmein baat hi nahi hai.. " kahte huye Viru jor jor se hansne laga...
Riya ne munh banaya aur uthkar andar chali gayi..
" kya hai ye.. hum planning kar rahe hain chalne ki aur tum logon ko ladayi soojh rahi hai.. Vani idhar aaja.. kuchh aur naam sochte hain..!" Disha ne Vani ko pyar se pukara..
" Main nahi chal rahi.. Mansi ke bagair main nahi jaaungi..." Vani ne apna chehra dusri aur ghuma liya...
" matlab Mansi nahi chal rahi..? Gouri ne uske naam par pen rakh diya..
" Chalegi na.. ye toh pagal hai.. Vani! main uske gharwalon se baat kar loongi.. wo bhej denge usko.. aaja tu.."
Vani nahi aayi.. tabhi Anjali ghar aa gayi," Arey Sneha.. Oh My God!" tum aa gayi.. tumne bataya kyun nahi..? Maine toh.."
" Mummy.. hum tour ki planning kar rahe hain.. college se kitne naam huye?" Gouri ne Anjali ki baat par gour na karte huye poochha...
" Par tour toh maine cancel kar diya.. 5-7 ladkiyon ne kaha tha ki wo ghar poochh kar jawaab dengi.. par maine fir unko mana hi kar diya.. ab toh kal hi poochhna padega... main ajeet aur Shamsher ko fone kar deti hoon...!" Anjali ko yaad aaya.. wo log bhi chinta kar rahe honge...
" maine kar diya Ma'm" Sneha ne anjali ko bataya...
" oh.. bahut achchha kiya.. par mujhe bhi bata dena chahiye tha na.. main sara din tension mein rahi..." Anjali ne uske paas aakar baithte huye pyar se uske gaalon par hath fera..," mere sath andar aa ek baar..."
Sneha Anjali ke pichhe pichhe bedroom ki aur chal di...
" ye kya kar rahi ho tum?" Anjali jor jor se hunsne lagi.. Riya ko dekhkar Sneha bhi apni hansi ko na rok payi..
" apni chal dekh rahi hoon.. bahar wo 'tooti taang kah raha hai ki mujhe chalna nahi aata.. main ladkon ki tarah chalti hoon.. ladkon ki tarah chalti hoon kya main? aur kya ab main catwalk karoon..?" Riya ne gusse se kaha.. wo Dressing table ke saamne khadi hokar apne madak kulhon ko matkate huye baar baar aage pichhe ho rahi thi...
" Wo toh pagal hai! koun kah sakta hai ki tumhe chalna nahi aata.. ulta tumhari chal toh bahut hi... achchhi hai.. usne dekhi hi kahan hai.. ladkiyon ki chal aaj tak.. kabhi dekhta bhi hai wo ladkiyon ko.. diya hoga toh tumhari hi chal par diya hoga dhyan.. ya tumhe jalane ke liye kah raha hoga.. har ladki tumhari tarah kahan chal pati hai Riya!" Sneha ne sach mein hi uski chal ki tareef ki thi.. Morni jaisi chal kahein toh atisyokti na hogi..... "par mummy, tour college ki taraf se hi jana jaroori hai kya? bewajah bheed ikatthi karne se kya fayda.. ab tak kul milakar 10 se jyada toh hum yahin baithe ho gaye hain.. jisko chalna hoga chal padega.. family tour ki tarah se bhi toh ho sakta hai.." Gouri ne college ki taraf se tour le jane mein aa rahi dikkaton ka hal Anjali ko sujhaya...
" Wo toh theek hai.. par maine Vasu Ji se discuss kiya tha.. mere samjhane par hi wo raji huye the.. aur jab unka mood ban gaya toh maine tour cancel hone ki baat kah di.. ab agar unko nahi le gaye toh wo bura nahi manenge kya?" Anjali ne jawab diya...
"par hum ye thode hi kah rahe hain ki kisi ko lekar hi nahi chalna.. agar wo chalna chahein toh hamein koyi problem nahi hai.. tour jana chahiye bus.. kal hi!" Gouri ne apne kahne ka matlab khol kar samjhaya...
"fir toh unko abhi bolna padega.. kal subah ke liye..!"
" wo main bol doongi ma'm! aap chinta na karein.. kaho toh main abhi jakar bol deti hoon.." Vani ko chhed'te huye usko manane mein lagi Disha ne Anjali se mukhatib hote huye kaha...
" Nahi! mujhe bhi chalna padega.. main hi unko samjhaungi.. ye Vani ko kya ho gaya hai? ye kyun roothi huyi leti hai?" Anjali ne Vani ko baar baar Disha ka hath apne shareer se jhatakte dekh poochha...
" chhoti si baat par jid lagaye padi hai.. kah rahi hai.. ummmhhh" Disha ke munh par tapak se uthkar Vani ne hath rakh diya...," Kuchh nahi hai ma'm.. main toh bus aise hi leti huyi hoon..." kahte huye Vani Disha ka hath pakad kar bahar kheench le gayi...
"aap toh bahut buri hain didi.. kya batane wali thi unko?"
" yahi ki tum ab bachchi nahi rahi.. badi badi baatein sochne lagi ho..!" Disha ne hunste huye usko aur adhik chida diya..
" ismein badi baat kya hai.. main yahi toh bol rahi hoon ki..."
" Mujhe sab pata hai tu kya bol rahi hai.. La! main Mansi ke paas fone milati hoon.. uska no. de.."
" kya kahoge aap?" Vani ne no. dekar utsukta se uski aur dekha...
" yahi ki ghar wale agar usko akeli hamare paas tour par bhej dein toh usko shamsher aate huye apne sath le aayega..." Disha ne fone laga kar kaan se sata liya...
" agar wo mana karein toh mere paas ek idea hai didi..." Vani mayusi se uski aur dekhne lagi..
" chup kar.. fone lag gaya.. Hello! Namaste aunty ji!" fone Mansi ki mummy ne uthaya tha...
" namaste beti.. koun?" udhar se aawaj aayi...
" Ji main Vani ki badi behan bol rahi hoon.. Disha!"
" oho! kaho beta.. tum aaye nahi gaanv se.. yahan college ki chhuttiyan badh gayi hain.. isiliye kya?"
" Kya? chhuttiyan badh gayi hain.. mujhe toh pata hi nahi tha..." Disha ke chehre par sukoon ki lahar doud gayi.. ab Mansi ko chalne ke liye mana uske liye chutkiyon ka khel tha....
" wo aaj hi declare huyi hain na.. Garmi kitni pad rahi hai.... Khair Mansi toh Manu ke sath bajar gayi hai.. Manu ke no. par baat kar lo.. doon kya?"
" Nahi Auntiji.. no. toh hamare paas hai.. par aapse hi baat kar leti hoon.."
"bolo beti.. bolo!"
" wo.. hum 5-7 din ke tour par nainital ja rahe hain Vani kah rahi thi.. Mansi bhi chalti toh bahut maja aata..! aap bhej do na usko!"
" kyun nahi beti.. wo toh ye sunkar bahut hi khush hogi.. ab chhuttiyan bhi pad gayi hain.. garmi se toh bachi rahegi.. kab ja rahe ho?"
" Ji.. aaj Raat ka hi vichar hai.. chalne ka.."
" oho! itni jaldi.. khair.. mujhe toh koyi problem nahi hai.. tum unse baat kar lo!"
" theek hai auntiji.. waise Manu bhi chalna chahe toh? hamare sath ladke bhi ja rahe hain...!"
" Dekh beta.. uska main kuchh kah nahi sakti.. wo toh yahan shahar mein hi bahar kum nikalta hai.. jab dekho.. computer se chipka rahta hai.. jane kya mil gaya hai usko.. kahta rahta hai.. Mujhe ek story ko English mein translate karne ka contract mila hua hai.. pata nahi kya story hai.. Ram jane? andha hokar rahega.. agar maan jaye toh usko bhi sath ghaseet le jana.. meri toh sunta nahi hai.."
"theek hai auntiji.. main uske paas hi fone kar leti hoon.. namaste auntiji.." Disha ne fone kata toh Vani wahan se rafuchakkar ho gayi thi.. Disha ne andar jakar dekha toh wo sharmayi huyi si tirchhi aankhon se usko hi dekh rahi thi.. yahi toh chahti thi wo.. Manu ko sath le jana.. aur jab Disha ne Manu ka jikar kiya toh uss'se wahan khadi na raha gaya.. jane kyun?
"Idhar aa Vani.. jaldi aa!" Disha ne Darwaje par aakar usko pukara..
"kya hai?" Vani ki khushi chhupaye na chhup rahi thi.. wo munh fer kar hansne lagi..
"aa toh.. jaldi.. kaam hai..!" kahkar Disha bahar nikal gayi...
Vani ne pichhe se aakar Disha ko apni baahon mein bhar liya.. Disha ne chhudane ki koshish ki par Vani ne na chhoda usko..
" Dekh.. ab jyada machal kar dikhayegi toh main Manu ko nahi bulaungi haan.." Disha ne bandar ghudaki di...
Like Reply
Very interesting second part stated from incomplete first part. Lots of plots and characters change especially Vicky. Good creative writing. Hope this students teachers picnic tour has lots of multiple erotic adventures. Also infidelity with new partners.
Like Reply
"Usko bulane ko koun bol raha tha.. maine toh mansi ko bulaya tha bus.." Vani ab bhi Disha ko pakde huye thi..
" toh mana kar doon.. Manu ko!"
" ab kah diya hai toh chalne do.. ya toh pahle hi nahi bolna chahiye tha..." Vani ne usko chhodte huye kaha..
"Abhi kahan bola hai? abhi toh bolna hai.. bolo kya karoon?"
" aap kitni achchhi ho didi..!" Vani ne aur kuchh nahi bola aur andar bhag gayi..
" Muskurati huyi Disha ne Manu ka no. dial kiya... Vasu tour chalne ki baat sunte hi vyakul ho utha.. ab kya karein.. wo log toh aaj rat hi jane wale hain.. Vasu ki manosthiti Ajeeb si ho gayi.. wah toh Neeru ke liye hi tour par jana chah raha tha.. warna toh ye duniya uski dekhi huyi thi.. ab Neeru ko khabar kare bhi toh kaise kare.. Vasu ke dil mein paap tha.. isiliye wah chahkar bhi Anjali ko Neeru ke chalne ke baare mein kuchh bol nahi paya.. Antat: usne khud hi sara jokhim uthane ka faisla kiya..
Anjali ke wahan se nikalte hi usne ek prem pati mein Nainital jane dene ke liye ghar walon ko manane ka sandesh likha aur usko jeb mein daal kar bahar nikal gaya... jaise taise wo poochhta hua Neeru ke ghar ke paas pahunch gaya.. wahan ek aurat nalke par pani bhar rahi thi.. Vasu ghar poochhne ke liye uske paas hi pahunch gaya," Devi Ji, yahan aaspaas ek ladki ka ghar hai.. Neeru ka.. aap kripa karke bata dengi kounsa hai..?"
jhuk kar pani bhar rahi aurat tapak se seedhi khadi huyi aur Vasu ko upar se neeche tak ghoora," re, koun se tu? chhori ke bare mein kyun poochh raha se?"
Vasu uss aurat ke bolne ka lehja sunkar ghabra gaya," Ji.. aap baat ko anyatha na lein.. main Vasu hoon.. Vasu shastri!"
" shastri vastri hoga apne ghar mein.. pahlya ye bata kaam ke hai tanne ladki se? sharam nahi aandi iss tariyan ladki ka ghar poochhti haan.." ( pahle ye bata kaam kya hai ladki se.. sharam nahi aati iss tarah ladki ka ghar poochhte huye ), aurat tamtama gayi thi..
" Ji.. Mujhe kanya se koyi kaam nahi.. Kanya ki mata ji se kaam hai.. aap kripa karke ghar bata dein bus!" Vasu vichlit hote huye bola...
" haye.. mere te ke kaam hogya tann (oho! mujhse kya kaam ho gaya aapko)..tu hai koun bhai " aurat ka mijaj kuchh naram pada...
Vasu ko na nigalte bana na ugalte.. uski halat kharab ho gayi.." tt.. to. kykya aap unki Mata ji hain..?"
" aur ni toh ke ? maa su main Neeru ki.. (aur nahi toh kya? maa hoon main uski) par tu koun se?" Aurat ne jawab diya..," bata ke kaam tha?"
" Jji namastey.. mata ji.. main Vasu.. unka ganit ka addhyapak hoon.." aage usko soojha hi nahi.. jo ye bolta ki kaam kya tha..! aurat ne toh uske munh par tala hi laga diya tha...
" oho.. te master ji.. pahlyan batana tha na.. ( oho.. toh master ji pahle batana chahiye tha na) main tujhe kuchh ulta seedha toh na kahti.. main jaane ke ke soch gi thi.. bata beta.. ke kaam tha..." aurat ka lahja ekdum badal gaya...
" Jji.. wo.. doodh.. nahi.. matlab doodh ke baare mein poochhna tha.. Neeru ne bataya tha ki aapki bhainse doodh deti hain..."
" A Neeru! bahar aayiye ek baar.." aurat ne aawaj lagayi...
Paas ke hi ghar se Neeru bahar nikli aur Vasu ko wahan khade dekhkar buri tarah sakpaka gayi.. man hi man socha," isne toh raat ko aane ko bola tha.. ye toh din mein hi tapak pada...," Namaste Sir!" usne apne aap par kaabu kiya...
" namaste ki bachchi.. tanne master ko jhooth kyun bola.. kounsi bhains doodh deve se aapni.. master ji.. iske munh se galti te likad (nikal) gya hoga.. mhare ghar doodh nahi hota..." Aurat ne aakhiri line Vasu ki aur dekhte huye kahi...
" chalo koyi baat nahi.. main aur kisi se poochh loonga.. Haan Neeru.. wo.. Disha kah rahi thi.. tumhe bata doon.. aaj Raat hi nainital ke liye tour ja raha hai.. tumhe jana ho toh.." Vasu ne jindagi mein pahli baar ishara karne ke liye apni ek aankh ko matkaya.. wo bhi Ladki ki taraf..
Neeru samajh gayi.. aur khush bhi ho gayi..," theek hai sir.. main Disha se milne ja rahi hoon.. abhi.. mummy.. main tour par chali jaaun na?"
" Mujhe na pata ! ye baat apne papa se poochh liye..."
" unhone toh haan kar di thi mummy.. "
" toh fer chali jayiye... mere te kyun poochh ri se....
" Aaja master ji.. Ghar aaja.. doodh toh nahi hai.. par chay toh pila hi devenge...
" Ji.. bahut bahut dhanyawad.. abhi jara jaldi mein hoon.. fir kabhi.." kahkar Vasu, Disha ke ghar chal di Neeru ke pichhe nikal liya..... Gali mein kuchh aage nikal jane ke baad Neeru ne pichhe mudkar dekha.. Vasu uske pichhe pichhe jaise usko soonghta hua aa raha tha.. usne apni chal dheemi kar di aur lagbhag Vasu ke sath sath chalne lagi," Sir! aapko aise nahi aana chahiye tha.. Maa ko shak ho jata toh?" Neeru ne dayein bayein dekhte huye Vasu se kaha...
" Toh kya karta? aaj Rat wo tour par nikal jate aur hum yahin rah jate.." Vasu ne bhi bina usko dekhe; chalte chalte jawab diya..
"hum kyun? aap toh chale hi jate.." Neeru ne ithlate huye apne balon ko kaano se pichhe kiya aur Vasu ki aur houle se Muskurayi...
"Tumhare bina main kya karta wahan?" Vasu ne jawab diya...
Neeru par poori masti chhayi huyi thi.. Vasu ko iss tarah apne liye machalte dekh wo itra gayi," aur.. mere Sath kya karenge wahan?"
"kkkuchh nahi.. main kya karoonga? mmmaine kabhi kuchh kiya hai kya?" Vasu chalte huye Neeru ke madak nitambon ki uthapatak mein khoya hua tha ki Neeru ke iss dwiarthi sawaal ne usko hadbadahat mein daal diya..
Neeru apni hansi nahi rok payi.. Vasu ka ye bholapan hi toh Neeru ko le dooba tha.. warna toh wo kab ki 'jawan' ho chuki hoti..
" ek baat kahoon..?" Vasu ne mouka dekhkar kaha...
" Ji.. kahiye.." Neeru ne chalte huye sarak gayi chunni ko theek karte huye kaha..
" nahi.. kuchh nahi.. tum chalogi na?"
" Haan.. main toh pakka chaloongi.. par aur koun koun ja rahe hain..?" Neeru ne sawal kiya...
" Mujhe toh bus itna pata hai ki tum ja rahi ho.. aur main ja raha hoon.. baki tum unhi se poochh lena.. achchha.. chalne ka samay achchi tarah yaad rakhna aur time se pahle pahunch jana.. bhool mat jana..!" Vasu bechaini se bola, ghar aa gaya tha...
" Ji.." Neeru ne ek baar sarsari nigah Vasu ke pyare chehre par dali aur usne apni chal tej kar di..
-----------------------------
Sham ke kareeb 7 baj chuke the... sab apne apne saman ki packing mein lage the..
" Jiju kab aa rahe hain didi.." Vani se sabra nahi ho pa raha tha.. uska Manu jo uske sath aane wala tha..
" aane hi wale honge.. kah rahe the 10 minute ka rasta aur..." Disha ko Vani ne baat bhi poori na karne di..
" aa gaye... kahte huye wah darwaje ki aur bhagi.. par achanak hi darwaje se kuchh pahle thithak kar ruk gayi.. wapas bhag kar aaine ke saamne gayi aur khud ko upar se neeche tak dekha... pyar aisa hi hota hai.. warna Vani ki taaraf koyi aaina kya karta.. wah toh khud darpan thi.. soundarya ka.. santust hone par wah bahar ki aur bhagi aur darwaje par jakar mayusi se khadi ho gayi," wwo.. kahan hai?"
Shamsher ne uske paas aate huye pyar se uske Gaalon par thapki di," Wo Koun Vani?"
" Wwwo.. wo.. Manasi!" Vani apni juban fisalne se muskil se rok payi..
" Isne toh yahi bataya tha ki yahi Manasi hai.. Ye Manasi nahi hai kya?" Shamsher ne hanste huye Vani ke Samne hi khadi Manasi ki aur ishara karte huye kaha...
" oh.. haan.. mmujhe dikhayi nahi di thi..!" Vani ne jhenpte huye Manasi ko bujhe man se gale lagaya aur andar aa gayi.. achanak hi uska sara josh thanda pad gaya..
" Inke baare mein nahi poochhogi? ye Shalini hai..! hamare sath tour par chalegi..!" Shamsher ne Vani ka hath pakadte huye kaha...
" Mujhe nahi chalna tour par.. mera sir dard kar raha hai.. jao.. sab chale jao.. mujhe akeli chhodkar..." Vani ko toh bus yahi aata tha.. rooth kar apni aankhon se hi roothne ka matlab samjhana aur jid poori hone tak hadtaal par baithe rahna...
Tabhi Disha andar se pani lekar aa gayi.. Shamsher ke sath najarein mili.. dono ne aankhon hi aankhon mein judayi ki tadap se ek dusre ko awagat karaya aur houle se muskurakar Disha andar chali gayi...
" Kya hua Vani? abhi toh tu fone par mujhe chahak chahak kar gana gakar suna rahi thi.. abhi achanak kya ho gaya tujhe.." Manasi ne Vani ke sir par hath lagakar dekha," Sir toh thanda hai tera.. fir Sirdard?"
" Mujhe kisi se baat nahi karni.. sab tour par jao.. maje karo.. main akeli yahan padi rahungi..." Vani ne munh fulate huye Manasi ka hath apne sir se hata diya..
uss'se kuchh door baithi shalini uthkar uske paas aayi..," kitni pyari ho tum.. kis baat par gussa ho yaar..!"
Vani ne apna neeche wala hont bahar nikal kar ek baar usko ghoora aur fir ye sochkar ki iss bechari ka kya kusoor; wah apna dard uske sath baantne ko razi ho gayi," Sabhi aisa hi kahte rahte hain didi.. par sab mujhe sataane mein lage rahte hain.. sab sochte rahte hain ki kaise Vani ko gussa dilaya jaye.. sab mujhe tang karte hain didi.. koyi mujhse pyar nahi karta..." Kahte huye vani ne uska hath pakad kar apne sath baitha liya...
Uski masoom shikayat sunkar Shalini bhi bina muskuraye na rah saki..," Baat kya hai? batao toh sahi?"
Vani kuchh nahi boli .. yunhi achanak Vani ki najar uski ungaliyon par padi.. aur wo ek pal ko sab kuchh bhool gayi," Haye Didi.. kitni pyari ring hai.. kahan se li?"
" pata nahi.. Gifted hai!" Shalini ne jawab diya...
"Kisne... achchha samajh gayi.." fir Shalini ke kaan ke paas munh lakar houle se kaha," Kya Naam hai?"
Shalini ne bhi uske andaj mein hi uttar diya.. uske kaan mein bola," Rohit!"
" Achchha! Shalini ka secret jaankar Vani bahut khush huyi.. par agle hi pal usko 'apna' secret yaad aa gaya aur fir se uska para chadh gaya..," jab aap dono mein ladayi hoti hai toh aap kya karti hain?" Vani aisa hi kuchh karne ka soch rahi thi..
Shalini khilkhilakar hans padi aur fir uske kaan mein kaha," Gali deti hoon.. aur kya?"
"Kya gali deti ho?" kano hi kano mein guftgoo jari thi..
" Ummmmmm" Shalini ne yunhi koyi gali sochi aur fir uske kaan mein kah diya..," Sala!"
" Hummmmmm!" Vani ne Gali rat li... tabhi Manasi ke dwara kahi gayi baat ne uska khoya noor fir se wapas la diya," bahar wale ghar chalein Vani.. Mujhe bhaiya se kuchh kaam hai...!"
" kyaaa? kahan.. Manu bhi aaya hai kya?" Vani khil uthi...
" tum toh aise poochh rahi ho jaise wo bina bulaye hi aa gaya ho.. bulaya nahi tha kya?" Manasi ne muskurate huye kaha...
" maine nahi bulaya kisi ko.. didi ne bulaya hoga... chalo chalte hain..!" Sab kuchh bhulakar Vani usko bahar kheench kar le gayi........ "Sneha! dekho koun aaya hai? Anjali ne khoyi khoyi si Sneha ko ek agyaat romanch se bhar diya. 'kahin wahi toh nahi' soch kar uska dil jhoom utha aur wah apne aap ko teji ke sath pichhe mudne se rok na saki.. Vicky Anjali ke pichhe khada pyasi nigahon se usko taak raha tha.. Nigahon mein Tan ki bhookhi Wasna ki pyas nahi thi, bulki Sneha ki aankhon mein uske liye fir se wahi pyar, wahi jajbat dekhne ki pyas thi
" Mohan!!!! sorry... Vicky aap? Aap kaise aa gaye?" Bhag kar uske gale se ja chipakne ko Sneha ka poora badan bechain ho utha.. par beech mein Anjali khadi thi.. wah awak netron se usko dekhti rah gayi..
"Tum baatein karo! main aati hoon.." Sneha ke tan-man mein uthe ufaan ko bhanp kar Anjali wahan se khisak li...
"Sneha!.." Vicky ki aankhein bhar aayi.. Wah ab bhi usko yun hi ektak dekh raha tha.. bina palkein jhapkaye..
"Hummm.." 2 kadam aage badh kar Sneha fir thithak gayi.. wah Vicky ko baahein failakar usko pukarte huye dekhna chahti thi..
" Tum mere bina rah logi!" Vicky ne wahin khade khade ulte baans bareli ki tarz par sawaal kiya..
" Par tum.." Sneha ke munh se itna hi nikla..
" Main tumhare bina nahi rah sakta Sanu.. itni hi der mein maine jaan liya... ab tumhare bina man nahi lagta.. lagta hai jaise sab kuchh kho doonga.... agar tumhe kho diya toh.. mujhe maaf kar do na.. mujhe tumhari jarurat hai.. tum mere paas kyun nahi aa jati..." Vicky bolta chala ja raha tha.. Sneha ke liye ab aur sahan karna mushkil tha.. wah toh pahle hi tadap rahi thi.. jakar Vicky ke shareer se ja lipti.. aur bachchon ki tarah bilakhne lagi," tumne bulaya hi kab tha.. Main toh pyar kiya tha Mohan... ab tumhi Vicky ho gaye toh main kya karti.. batao!" Sneha uske seene par sir rakhe usmein simat-ti ja rahi thi...
" Mujhe aaj ahsaas ho gaya Sanu! Mujhmein bhi jajbat hain.. main apne ya apno ke armaano ka gala nahi ghot sakta.. mujhe jeena hai.. jikar dekhna hai.. tumhare sath.. Maine faisla kiya hai.. agar tum mera sath dogi toh...." Vicky ke ruk ruk kar bolte honton par jaise tala lag gaya.. Sneha ne apne larjate honton se uski bolti band kar di.. donon sab kuchh bhool kar ek dusre mein kho gaye.. Sneha ne janam janam uska sath dene ka elaan kar diya..
Achanak darwaje par 'khansne' ki aawaj ke sath dono ekdum chhitak kar ek dusre se door ho gaye.. Bedroom ke darwaje par khadi Neeru bahar dekhte huye muskura rahi thi..
"sorry! Mujhe pata nahi tha ki...." Neeru ke chehre par shararati Muskaan thi..," Main aa gayi.. kab chalna hai?" unn dono ko itni aatmiyata se ek dusre mein khoye dekhkar Neeru ke poore badan mein saanp sa reng gaya...

" wo.. hamein kya pata.. mmain toh inki aankh se kuchh nikal rahi thi.. bahar kisi ko pata hoga.." Sneha ne hadbadate huye kaha...
"Andhere mein hi?" Hanskar Neeru bahar nikal gayi.. dono ne ek dusre ki aankhon mein dekha.. hans pade aur fir ek dusre se chipak gaye...
Like Reply
Vani ne dandanate huye Gouri ke ghar pravesh kiya.. Masoom sa gussa jhalkati uski aankhein kuchh dhoondh rahi thi.. aur jab wo usko dikh gaya toh pal bhar ke liye uss'se najarein char ki aur apni gardan matkate huye wapas bahar jakar khadi ho gayi...
Manu uske chehre par itne garam tewar dekhkar sakpaka gaya.. Sath baithe Amit ko 'ek minute' bol kar wah uske pichhe bahar nikal gaya.. wahan Vani aur Manasi.. dono khadi thi..
" Hi Vani!" Manu ne jhijhakte huye bola..
Vani apne kandhe uchaka kar thoda sa aur ghoom gayi.. uss'se dusri aur...," kya hai?"
"kuchh nahi.. bus 'hi' bol raha hoon.. tum kuchh gusse mein lag rahi ho.. kya baat hai.. Mujhe aana nahi chahiye tha kya?" Manu ne apni Mansi ki aur dekhte huye batteesi nikali.. taki Manasi ko koyi shak na ho.. ki maamla gambheer hai...
" nahi .. tumhe bilkul nahi aana chahiye tha.. kyun aa gaye tum.. hum par toh bahut bada ahsaan kar diya na!" Vani ne vyangya bano ki bouchhar kar di.. dusri aur dekhte huye hi..
Manu ne Manasi ki aur dekh kar apni batteesi nikal di.. taki Manasi ko shaq na ho.. ki maamla gadbad hai..
par ishaq aur mushq bhi kabhi chhipane se chhipe hain kya.. chahe koyi kitna hi bada turramkhan kyun na ho.. aur yahan toh dono anadi the.. Mansi hatprabh si baar baar dono ki aankhon mein dekhti rahi.. vismit si.. ki kya.. jo wo soch rahi hai.. sach hai? haan.. sach hi toh hai... dono ki hi aankhon mein usko prem ke dore tairte dikhayi diye.. Vani ke gusse mein bhi aseem pyar tha toh Manu ki 'batteesi' dikhane ka andaj bhi bilkul naya tha.. jaise pakde jaane ke dar se khisiya gaya ho..
" Main aati hoon.. " kahkar Manasi ne andar jate huye Vani ki taraf shararat se aankhein matkayi aur dono ko fursat ke chand lamhe dete huye wahan se alag ho gayi.... " wo.. main tumhari khatir hi toh aaya hoon.. tum munh fulaye kyun khadi ho..?" Manasi ke jate hi Manu Vani ke aage natmastak hota hua sa bola...
" Mere liye kyun aaye ho? tum toh Gouri ke liye aaye ho.. tabhi toh yahin par ruk gaye.. seedhe ghar nahi aa sakte the kya?" Vani ne apne dard ko seene se bahar nikala..
"kya? main.. aur Gouri ke liye.. mujhe uss'se kya matlab hai.. main toh seedha wahin aana chahta tha.. par jab wo.. Vicky ji yahan utare toh Amit ne mujhe bhi yahin utaar liya... Mujhe jane hi nahi diya.. fir main kya kahta.. nahi.. mujhe toh Vani ke paas jana hai.. ye?"
" Amit bhi aaya hai kya? par usko kisne bulaya?" Vani hairan hokar Manu ki aur mudi..
" kisi ne nahi.. jab maine usko ye bataya ki main tour par ja raha hoon toh poochhne laga ki koun koun ja rahe hain... fir Gouri ka naam lete hi jid pakad gaya.. Mujhe bhi chalna hai.. Maine Disha se poochha aur unhone haan kar di.."
" chalo achchha hua.. ab tum aur gouri aapas mein baat nahi karoge..."
" Main kab karta hoon uss'se baat.. tum toh yunhi..." Manu man hi man muskura raha tha.. ladki ke pyar ki pahchan uski jalan se hi toh hoti hai...
" baat nahi ki toh kya? tum uss din uski taraf dekh rahe the.. kayi baar dekha tha.. mujhe pata hai.. ab ki baar dekha toh main tumse baat nahi karoongi haan!"
"offoh.. pata nahi kin kin baaton ko lekar baith jati ho.. chalo.. ab andar chalein.. khamkha log jane kya kya sochenge...?" Manu ne usko andar chalne ka ishara kiya...
Vani ne 2 pal uski aankhon mein aankhein dali aur muskura padi.. Manu toh aankh band karke visvas karne layak tha.. wo toh bus yunhi....
Vani uske pichhe pichhe chal padi...

" tum bhi aa gaye Amit! pahle kahan the.." Vani ne jate hi Amit se sawal kiya..
" haan aa toh gaya hoon.. par shayad kisi ko dikhayi hi nahi de raha.." Amit ne paas se gujar rahi Gouri ko dekh kar comment kiya.. pata nahi kya wajah thi.. par Gouri uss'se jaanboojh kar najre chura rahi thi.. ya fir tarsa rahi thi.. bhagwan jane.. par jab se Amit wahan baitha hua tha.. Gouri rah rah kar ithlati huyi uske saamne se gujar rahi thi.. par usspar dhyan na dene ka natak kar rahi thi...
tabhi wahan par Vasu ji ka aagman hua.. Gouri, Disha, Vani aadi ne jab unko pranam kiya toh sab ladkon ne bhi khade hokar hath jod liye...
" Namaskar ji sabko mera namaskar.. ho gayi taiyaariyan ya abhi kuchh baki hai..." Vasu ki najrein andar aate hi Neeru ko dhoondhne lagi...
" Haan.. Sir.. sabhi aa gaye hain.. bus ab chalte hi honge.. lijiye aap pani lijiye.." Gouri ne Vasu ki taraf tray badhate huye kaha...
Vasu ka matha thanka..," kya? sab aa gaye? Neeru.. wwo.. matlab Neer ka seven toh main thahar kar karunga.. sab aa gaye hain na...!" Vasu ne khud ko sambhala..
" haan.. lagbhag sabhi aa gaye hain Sir.. bus Gaanv se kuchh ladkiyan rahti hain.. wo bhi aati hi hongi.." Vasu ke 'Neeru' kahne se Gouri ko yaad aaya.. Neeru, Neha, Sarita, Divya, Renu, aarzoo aur Sonia abhi aayi nahi hain....
Gouri ne Mushkil se apni baat poori ki hi thi ki unn sabhi ladkiyon ne apne apne bag liye ghar mein kadam rakha...
" Arrey.. yahan toh badi rounak lagi huyi hai... maine toh socha tha ki 5-7 ladkiyan hi ja rahi hain bus.. yahan toh.." Sarita ne aate hi ek ek karke sabhi ladkon ki aur kamuk najron se dekhte huye kaha.. uski toh aish ho gayi.. wahan ka mahoul dekhte hi...
uski iss ada par ladkiyan toh ladkiyan ladke bhi baglein jhankne lage... uski aankhon ke sath uske hav bhav se saaf pata chal sakta tha ki wo 'kheli khayi' ladki hai..
Vasu ki aankhein Neeru ko dekhte hi chamak uthi," ab chala jaye.. yahan baithe baithe kya karenge.. bahut lamba rasta hai...
" Ji abhi main unko fone karti hoon.. Bus aayi kyun nahi... abhi tak!" Disha ne Shamsher ka no. dial kiya aur andar kamre mein nikal gayi...
Kamre mein har taraf josh aur umang ki lahrein uthti dikhayi de rahi thi.. sirf kamre mein khadi Aarzoo, sonia aur Renu ko chhod kar.. Aarzoo aur Sonia ko Neha jabardasti le aayi thi aur Renu Sarita ke kahne se wahan aayi thi.. in sabka iss tarah ghar se bahar nikalne ka pahla mouka tha.. ladkon ko dekhkar hi inki jaan si nikali ja rahi thi.. kahin ghar walon ko pata lag gaya ki unke sath tour par ladke bhi gaye the toh unki khair nahi..... " Kitna time lagega jiju, Nainital tak jane mein...?" Vani ne bus ke aate hi khush hokar Shamsher se poochha...
" 8-10 ghante toh lag hi jayenge.. kyun?" Shamsher ne uska bag pakadte huye kaha...
" Nahi kuchh nahi.. yunhi poochh rahi thi.. aa jao.. sab chadh jao bus mein.." Vani ne chillakar sabko aawaj di...
" lao.. tumhara bag main pakad leti hoon.." Riya lapak kar Viru ke bag ke paas pahunchi...
" Kyun? Raj mar gaya hai kya? Raj! ye le.." Viru ne ek najar Riya ko ghoora aur Raj ko pukar kar apne bag ki aur ishara kiya...
" Le chalne do yaar.. bechari ko.. kitne pyar se toh kah rahi hai.." Raj ne Riya ke achanak mayoos ho gaye chehre ki aur dekhte huye kaha...
" Hunh.. bechari! tumhe bechari lagti hai ye.. dopahar se mujhe 'tooti taang' kah kar bula rahi hai.. agar dusron k ghar na hota toh isko batata ki tooti taang kahte kise hain.." Viru banawati gusse se bola..
" toh.. tum bhi toh mujhko kah rahe the ki main ladkon ki tarah se chalti hoon.. main kuchh bhi na boloon...?" Riya gusse se chilla si padi...
" chalo chalo.. apna rasta naapo.. main Raj nahi hoon samjhi!" Viru ne usko chidane mein koyi kasar nahi chhodi thi..
"Mujhe beech mein kyun ghaseet rahe ho bhai.. Lao bag idhar do.." kahte huye Raj ne bag uthaya aur bahar nikalne laga..
"tooti taang.. tooti taang.. tooti taang.." Riya ne kaha aur jor jor se hanste huye bahar ki aur bhagi...
Viru jane kyun darwaje ki aur kuchh pal ektak dekhta raha.. Riya ke uski aankhon se aujhal ho jane ke baad bhi.. aur fir apne aap hi hansne laga," Pagal hai!"
" Koun pagal hai bhaiya!" Sneha ne taiyaar hokar bedroom se nikalte huye kaha...
" aaa.. haan.. kuchh nahi.. wo aise hi.. ab toh badi khush lag rahi ho.. kya baat hai?" Viru ne baat palat di..
Sneha aur bhi khil uthi.. Vicky ke uski jindagi mein wapas aate hi uske chehre par sada kayam rahne wala noor wapas aa gaya tha," chalo bhi ab!"
" haan haan.. ja raha hoon.." Viru ne kaha aur bahar nikal gaya...
------------------------------------------------------------

Sarita, Neha aur Divya jo pichhli baar ke tour ka kamuk anubhav yaad karke ek baar fir usi tarah ka anand uthane ko tatpar thi, unke aramaano par Pani sa fir gaya.. Vasu jo kisi ke bina kahe hi tour ka prayojak aur Margdarshak ban baitha tha, sabse pahle bus mein sawaar hokar har-ek ko uski seat batane laga tha.. Neeru bus mein chadhne lagi toh usne usko rok diya," tum ruko abhi!"
aur Neeru sharminda si hokar bahar hi khadi rah gayi.. wah toh sabse pahle chadh kar Vasu ke sath wali seat kabja lena chahti thi..
Bus mein chadhne wale ladkon ko usne pichhe ka rasta dikhana shuru kar diya.. Aage wali seaton mein se Ek Shamsher aur Disha ke liye rakh chhodi aur dusri Anjali madam aur Gouri ke liye.. dusre no. ki seaton mein se ek taraf wali usne apne aur vicky ke liye rakh chhodi thi.. aur uske barabar wali pata nahi kiske liye.. par usspar usne kisi ko baithne na diya..
Baki aane wali ladkiyon ko usne teesri pankti se bithana shuru kar diya...
" Shriman ji.. aap yahan aayiye!" Vicky ke bus mein chadhte hi Vasu ne vicky ke liye reserve rakh chhodi seat ki aur ishara kiya..
"oh! thanx shastri ji.." Vicky khush hokar usspar baith gaya.. usne socha sath wali seat uski Sneha ke liye hogi..
uske baad bus mein chadhe Shamsher aur disha ko bhi usne unke liye nirdharit seat bata di..
" aap kyun kast utha rahe hain, vasu ji..? apne aap hi baith jayenge sab.. koyi bachche thode hi na hain.." Shamsher ne muskurate huye kaha...
" Aji, ismein kast ki kya baat hai.. iss karyakram ka sara uttardayittav Anjali ji ne mujh par hi toh dala hua hai.. aap dono sath sath baithiye.." Vasu ne shamsher ki mushkurahat ka jawab dogune josh ke sath diya..
Anjali bina kahe hi shamsher ki barabar wali seat par aa jami... aur uske baad Gouri..
Sneha, jo sabse baad mein aane walon mein se thi, ne upar chadhte hi Vicky ki aur dekha..
" ye mere liye hai devi! aap yahan baith jayiye.. " barabar wali seat ki aur ishara karte huye Vasu ne kaha..
Sneha ne mayoos hokar vicky ki taraf dekha toh vicky ne apna matha pakad liya.. jane kyun Vasu unke beech deewar bana hua tha..
kuchh jawab na pakar Sneha ne wahi seat pakad li jo vasu ne usko dikhayi thi... Vicky ke barabar wali...
" Oho.. tum rah hi gayi thi.. aao.. upar aa jao!" Vasu ne Neeche khadi hokar uske ishare ka intzaar kar rahi Neeru ko dekh kar iss prakar ka natak kiya jaise usko pata hi na ho ki wo neeche khadi hai..."
Neeru upar aa gayi aur Vasu ki aur dekhne lagi...
"ummmm.. aap yahan baith jayiye.. ye seat khali hi hai.." Vasu ne Sneha ke barabar wali seat ki aur ishara karte huye kaha.. ya dusre shabdon mein.. apne barabar wali seat...
" Neeru jab apne chehre par muskurahat aane se rok na saki toh usne apne munh par hath rakh liya..
' toh ye sara arrangement mere liye hi tha..' Neeru ne man hi man socha aur khil uthi.. uske man ki murad poori ho gayi thi... Vasu dhamm se apni seat par jakar baith gaya...," Chalo chalak mahashay!" "A Sona.. ye ladke koun hain yaar...?" Aarzoo ne Sonia ke kaan ke paas apne hont late huye poochha... wo dono ladkiyon mein sabse peechhe baithi thi...
" kya khyal hai Razo? koyi pasand aa gaya kya?" Sonia ne hanste huye dheere se uske kaan mein hi sawal ka jawab sawal se diya...
"hunh.. mujhe kyun pasand aayega.. main aisi ladki nahi hoon.. mujhse aisi bakwas tu na hi kar...!" Aarzoo ek dum bhabhak uthi....
" yaar, ismein bura maan'ne wali kya baat hai.. main toh bus majak kar rahi thi.. tujhe bura laga toh sorry... waise...!" kahkar Sonia chup ho gayi...
kuchh der tak uske aage bolne ka intzar karti rahne ke baad Aarzoo se raha na gaya," Waise kya?"
" Kuchh nahi.. tu khamkha bura maan jayegi..." Sonia ne dheere se kahkar apna sir seedha kar liya.. usko pata tha.. na toh wo aage bolne se ruk sakti hai.. aur na hi Aarzoo uski aadhi chhodi gayi baat ko poora sune bina maan'ne wali hai... ladkiyan hoti hi aisi hain... fir bhi wah chup baithi rahi..
" bata na.. kya kah rahi thi tu.. mujhe teri ye aadat bilkul achchhi nahi lagti.. shuru ki hai toh poori baat kah.. mujhe bura lage ya achchha.. chal bol..." Aarzoo se raha na gaya...
" kuchh nahi.. main kah rahi thi.. khidkiyan bhi nahi khukti iss bus ki toh.. tumhe garmi nahi lag rahi..." Sonia ne baat ko jaan boojh kar kha liya...
" jhoothi.. tu ladkon ke baare mein kuchh bol rahi thi.. mujhe pata hai.. aur waise bhi AC bus mein garmi lag hi nahi sakti.. wo bhi raat ke time... jaldi bata kya bol rahi thi.. mera dimag garam na kar..." Aarzoo ne sonia ko pyar se jhidka.. shayad ye tarkeeb kaam kar jaye...
" arey yaar.. tu ye nahi kah rahi thi ki mujhe toh ladke waise bhi achchhe nahi lagte.. bus isi baat par... main kahne wali thi ki hum jaisi jawan ladkiyon ko ladke pasand nahi aayenge toh kya pasand aayega.. bus majak mein.. apne upar mat le jana baat ko....
" Tu bhi na... dhat!" kahkar Aarzoo sharma gayi...

" ismein galat baat kya hai? sahi toh kah rahi hai ye..." Amit aage wali seat par sir tikaye dhyan se unn dono ki baat dhyan se sun raha tha... achanak beech mein tapak pada..
Amit ki baat sunkar dono seat se uchhal si padi.. turant hi Aarzoo ne sambhalte huye Amit par hi morcha khol diya.. par houle houle," ye idiot hamari baat sun raha hai..!"
"main toh janam jaat idiot hoon ji... sikha do na 'kuchh' mujhe bhi..." kahkar Amit khilkhila utha... dono ladkiyan jhenp gayi...
" tu bhi yaar.. jahan dekho shuru ho jata hai.. aaram se nahi baith sakta kya..?" Manu ne usko danta.. wo uske sath hi baitha apni Vani ko dekh raha tha.. wo bhi rah rah kar sabse najrein bachakar uski aur dekh leti... aur apni haseen smile paas kar deti.. Manu ki aur...
" Maine kya kaha hai.. ab ye mujhe idiot kah rahi hai toh isko jaroor 'kuchh kuchh' aata hoga.. maine toh yahi bola hai ki...." Amit bhi ek no. ka besharm tha...
" chup kar yaar.. tu saare tour ka maja kharaab karega..." Manu ne usko beech mein hi tok diya...
" Tujhe maje lene aate bhi hain... ulloo ki tarah dekhte rahna bus uski aur.... mujhe toh darr hai ki.. wo kahin tujhe 'wo' na samajh le.." Amit ne jaan boojh kar ye baat Manu ke sath sath unn dono ko bhi suna di.. aur fir se hansne laga...
" chup ho ja yaar.. tere hath jodta hoon.. !" Manu ne aakhirkar haar maan hi li...
" Dekh ye bhi toh ladka hai... kitni sharafat se baat kar raha hai.. mujhe toh aise hi ladke pasand hain...." Aarzoo ne kankhiyon se Manu ki aur dekha...
" Iski sharafat ka toh tab pata lagega.. jab tumhare gaanv mein barat aayegi iski... 'sharafat se baat kar raha hai..'" Amit ne Aarzoo ki nakal utaarte huye kaha...," aur haan.. main bhi aaoonga.. barat mein.. chehra dekh lo.. achchhi tarah...!"
" Dekh liya.. Bandar jaisa hai.." Aarzoo ne houle se pichhe baat sunayi aur Sonia aur wo dono khilkhila kar hans pahi...
" haan.. bandar se yaad aaya.. ek baar ek bandar ne kutiya se pyar kar liya.. pata hai kya paida hua?" Amit ne kaha toh Manu ne apne dono hathon se apna munh jakad liya.. nahi jakadta toh aisa thahaka goonjta ki sari bus mein tamasha ban jata.. aur fir jawab dena bhi mushkil ho jata ki hansa toh hansa kis baat par...
" Badtameej!" Aarzoo ne apne chehre se nikalne wali hansi ko jaise taise apne aap par kaabu karke Gali ki shakal de di.. par Sonia apne aap ko hansne se na rok saki.. usne pichhe mudkar apne munh ko hathon mein daboche Manu ki aur dekha.. usko uski badi daya aayi..
Manu aur Sonia ki najrein milni thi aur Vani ka pichhe dekhna ho gaya.. dono ki aankhon mein.. bulki charon ki aankhon mein hansi ki jhalak pate hi Vani tilmila uthi... Bus ne mohan nagar T-junction se dayein mudkar Ghaziabad traffic light ki aur highway no. 24 ki aur bayein turn liya....
" Manasi.. tu Manu ko apne paas bula le na.. main pichhe chali jati hoon..!" jal bhun kar rakh ho gayi Vani ne apne sath baithi Manasi se kaha...
" kyun kya hua..?" Manasi ko Vani ki baat atpati si lagi.. usne peechhe mudkar Manu ko dekha.. Vani ki najron ki bhasha samajh kar Manu ki haalat aisi ho gayi thi jaise bina jahar wale saanp ko kisi ne bil mein ghuste dekh uski poonchh se pakad liya ho.. Shakal toh uski shareef pahle hi thi..
" kyun kah rahi hai tu aisa.. kya hua.. batao na..?" Manasi ne fir se Vani par najrein jamakar kaha...
" kuchh nahi.. bus tu usko yahan bula le.. agar meri baat naani hai toh.." kahkar Vani uthkar pichhli seat par chali gayi.. wahan Divya akeli baithi huyi thi...
kuchh der sochne ke baad Manasi ne Manu ko aawaj di," bhaiya.. idhar aana.."
" Le main kah raha tha na saa.. tu meri band bajwayega.. bajwa di na.." badbadata hua manu wahan se uthkar Angare barsati huyi Vani se mehaj ek second ke liye najre milata hua Manasi ke paas ja baitha..," Kya hua Mani?"
" Kuchh nahi.. aap yahin baithe raho.. bus!" Manasi ne dheere se manu se kaha..
" aakhir kuchh hua bhi hoga? main wahan theek toh baitha tha.. Aaram se.. Main toh kuchh bol bhi nahi raha tha kisi se..!" Manu ne ye safayi Manasi ko nahi bulki uske pichhe baithkar uski shirt kheench rahi Vani ko deni jaroori samajhi...
"Vani khansi toh Manu ne pichhe mudkar dekha.. Vani uski aur aankhein nikale huye daant pees rahi thi.. bechara Manu man maar kar rah gaya.. ye time uss'se jyada khulkar safayi dene ka tha bhi toh nahi...
" Main wapas jaaun?" Manu ki ek aankh Manasi par aur dusri Vani par thi..
Manasi ne pichhe mudkar Vani ko dekha.....
" Meri taraf kyun dekh rahi ho.. meri taraf se toh chahe koyi bhad mein jaye.. muje kya..?" Vani ab bhi uski shirt ko pakad kar kheenche huye thi...
"theek hai.. main yahin baith jata hoon.. waise bhi peechhe nahi baithna chah raha main..." Aur bechara Manu.....
Like Reply
Vicky kafi der se Shamsher ko kuchh kahne ka soch raha tha.. Par Vasu ke paas 3 ghante se jyada baithne ke baad usko aisa lag raha tha jaise kisi aashram mein baitha ho... uske pravachan sun sun kar uske kaan pak gaye the... Aakhirkar uss'se raha na gaya..," Shamsher bhai.. ek minute pichhe aaoge..!"
" haan.. bata na.. kya baat hai? yahin bol de...!" Shamsher ne pichhe ghoomte huye kaha...
" Nahi yaar.. ek baar pichhe aa ja...!"
"chal!" shamsher khada ho gaya aur dono jakar bus ki pichhli seaton par baith gaye..," kya baat hai..?"
" Baat kya hai yaar.. tumne suna nahi kya?" ye kaise kaise adhyapak.. oh my God! main bhi uski bhasha bolne lag gaya.. ye kaise teacher ko sath le aaya tu bhi.. lagta hai jaise mouj masti ke liye nahi.. teerth yatra par ja rahe hon... saare.. teerth.. saare shlok.. sare mantra.. mujhe suna diye isne.. kuchh kuchh toh mujhe yaad ho bhi gaya.. sunaaoon.. Om vishvani dev: savitur, duritani para shuv: yad bhadram aasuv:...."
" yaar ye kya pagalpan hai.. mujhe kyun suna raha hai ye sab.. baat kya hai.. wo bata na..." Shamsher ne hanste huye kaha..
" Dekh le.. tujhse ek chhand bhi nahi suna gaya.. tu soch.. maine poore havan ke mantra kaise jhele honge yaar.. kaise jhela hoga iss.. isko 3 ghante se jyada..." Vicky ne bechara sa munh banate huye kaha," achchha bhala.. Sneha ke paas baith raha tha.. wahan se bhi mana kar diya.." Vicky ro toh nahi raha tha.. par halat uss'se bhi kahin jyada gayi gujari thi.....
" toh kya karna hai.. Sneha ke sath baithna hai abhi...!" Shamsher ne matlab ki baat par aate huye kaha...
" Nahi bhai... ab.. Sneha ke paas baithne se bhi kya hoga.. iss kambakhat ne toh baaton hi baaton mein meri ijjat si loot li hai.. mujhe kuchh bhi yaad nahi.. sivay uske pravachano ke..!" Vicky ka bura haal tha...
" ha ha ha ha.. nahi yaar.. wo mast aadmi hai.. bus baatein kuchh jyada karta hai.. tu bata.. kya chahiye tujhe ab..?" Shamsher hansna toh aur bhi chahta tha.. par Vicky ki roni surat dekh kar usko raham aa gaya...
" Daru! daru chahiye bhai.. abhi ke abhi.. warna main pagal ho jaaunga..!"
" yahan toh theek nahi hai vicky.. samjha kar...!" Shamsher ne usko samjhane ki koshish ki..
" toh aisa karo.. mujhe yahin utaar do.. main wapas chala jaaunga.. ye upkaar toh kar hi sakte ho.. mere bhai.." Vicky ki shakal sach mein hi dekhne layak thi...
" Chal.. main dekhta hoon.. thoda aage chalkar khana khayenge.. tab dekhte hain.. OK?"

"kitni door aur chalna padega...?" Vicky ke chehre par hulki si rounak lout aayi..
" yahan se babugarh kareeb 15 kilometer aur hai.. wahan se 50 kilometer hai Gajroula.. wahan par khayenge......" Shamsher ne usko thapki dete huye kaha...

"theek hai bhai.. par main wapas uske paas nahi jaaunga.. yahin baitha rahoonga tab tak...." Vicky ne murjhaye huye chehre se kaha..
" tu chal na yaar.. aa.. main Sneha ko tere sath bithwane ka jugad karta hoon.. Disha se kahkar.... aaja!" "A Riya! dekh na, Raj Sleevless T-shirt mein kitna cute lag raha hai!" Priya ne najrein ghumakar ek baar fir se Raj par nigaah dali...
" aur Viru? wo jag raha hai kya?" Riya ne pichhe nahi dekha.. bus usi se poochh liya..
"hummm.. mujhse kyun poochh rahi hai.. tujhe aankhein nahi di kya bhagwan ne?" Priya ne chatkhare lete huye kaha...
" Mujhe nahi dekhna usko! Muchchhad!" Riya ne kahte huye apni aankhein band kar li.. kahin Aankhon se uske dil ki baat na pata chal jaye..
" umm? kya bola tune? Muchchhad? ha ha ha!" Priya pichhe mudkar Viru ke chehre par ugg rahi hulki moonchhon par gour karte huye hans padi.. Viru ne ek pal ko uss'se najrein milayi aur fir apna chehra dusri aur kar liya..
" Aur kya? jab ye mujhse baat nahi karta toh dil karta hai apne naakhuno se iski moonchhe ukhad daloon.. pata nahi kya samajhta hai apne aapko.. tune bhi toh promice kiya tha na.. mere liye baat karegi.. ab toh bhool gayi hogi tu.. tera kaam toh ban hi gaya hai..." Riya ne munh fulate huye kaha..
" Nahi yaar.. aisi baat nahi hai... teri tarah mujhe bhi uss'se baat karte huye darr lagta hai.. par main Raj ko bolkar dekhoongi.. mouka milne de..!" Priya ne Riya ko shantwana di..
" dekh le.. teri marzi hai.. warna maine toh aisa plan soch rakha hai ki bus.. baad mein mujhe mat kahna ye kya kar diya...!" Riya ne bhi usko ultimatum de dala..
" kya? aisa kya karegi tu?" Priya ne sambhavit aascharya mein pahle hi apna munh khol liya...
" wo toh bus tabhi pata chalega.. agar tune uske mujhse dhang se baat karne ke liye razi nahi kiya toh.. ab tu dekh le..." Riya ne raj ko raj hi rakha..
" dekh Riya.. kuchh ulta seedha karne ki mat sochna.. main kah rahi hoon na.. main baat karoongi..... A.. wo dekh.. Sneha vicky wali seat par chali gayi.. haye.. kass! main bhi Raj ke sath baith sakti..." Priya ne bolte bolte achanak Riya ka dhyan aaage ki aur kheencha..
" aur dekh.. wo 'Sir' uss ladki ke sath baith gaye.. unka bhi kuchh chakkar hai kya?" Riya ne Vasu ki aur ishara kiya...
" Dhat! pagal.. Ab Sneha uski seat par jayegi toh wo kya wahin baithe rahenge.. isiliye Neeru ke paas jakar baith gaye honge.. 'wo' toh 'Sir' hain uske!" Priya ne Riya ke man ka 'mail' nikalne ki koshish ki...
" beshak Sir hon.. par tu chahe shart laga le.. kuchh na kuchh baat jaroor hai.. abhi dekha nahi tune.. dono ek dusre se najrein milakar kaise khil uthhe the.. haan.. kuchh na kuchh chakkar jaroor milge inka bhi!" Riya apni baat par ad gayi..
"Chal na.. tu toh pagal hai.. ab chup kar ye baatein.. koyi sun lega!" kahte huye Priya ne ek baar aur Raj ko aur Viru ki 'moonchhon' ko dekha aur seedhi baith gayi...
--------------------------------
"tum theek toh ho na.. Neeru! ultiyaan wagairah toh nahi aane wali hain na...!" Apne Vasu ne kya topic dhoondha tha.. baat shuru karne ke liye.. wah!
Neeru ne Gardan neeche karke apna sir 'na' mein hila diya.. Vasu ki jaanghein uski jaanghon ke sath sat'te hi uske badan mein wasnatmak sugbugahat si shuru ho gayi thi... iss 'masti' ko aur badhane ke liye usne apni jaanghein thodi si khol kar Vasu se aur jyada chipka di...
" ohh.. kshama karna! maine jaan-boojh kar aisa nahi kiya.." kahte huye Vasu ne sarakte huye apne ko Neeru se thoda alag kar liya.. uss lalloo ko ye laga ki Neeru ka bhari bus mein uske sath sat kar baithna achchha nahi laga hoga...
bechari Neeru kya bolti! khoon ka ghoont peekar rah gayi.. ab aise 'diljale' se yaari ki hai toh bhugatna toh padega hi..
-----------------------------------------
"Thanx Vicky!" Sneha ne chupke se Vicky ke kaan mein kahte huye apna sir uske kandhe par tika diya...
Vicky ne apna hath Sneha ki gardan ke pichhe se le jaate huye dusri taraf uske kandhe par rakh liya..
" tum mujhse abhi bhi pyar karti ho na.. Sanu!" Vicky ne houle se ye baat Sneha ke kaan mein kahkar usko andar tak gudguda diya..
" pata nahi.." Kahkar Sneha ne usko kohni mari..
" bata na.. main seriously poochh raha hoon.." Vicky ne fir se uske kaan mein kaha..
" seriously?" Sneha ne sawaal kiya..
" haan.. yaar seriously.."
Sneha ne apna chehra thoda sa upar uthaya aur uske kaan ke paas apne hont le gayi..," Mera 'pyar' karne ka bahut dil kar raha hai.. main mari ja rahi hoon.. tumhari baahon mein aane ke liye.. kab pahunchenge Nainitaal?"
Vicky ko jawaab mil gaya.. wah aur uska dil, dono jhoom uthhe..," thanx Sanu! main bhi tumhare liye ab utna hi tadap raha hoon.." kahte huye vicky ne Sneha ke kandhe ko dabakar apne se sata liya..
" Main.. tumhari god mein sir rakh loon..?" Sneha ne apni garam saansein Vicky ke kaano ke paas chhodi toh vicky ka 'sab kuchh' akad gaya..
" yahan? abhi? sabke saamne? sabko ajeeb nahi lagega kya?"
" lagne do.. yahan mujhe koun jaanta hai.. aur jo jaante hain.. unka pata hi hai ki main tumhari hi hoon.. kya farq padta hai..?" Sneha uske thoda aur kareeb aakar boli..
" theek hai.. aa jao.. mujhe bhi koyi problem nahi hai..?" Vicky ne uss'se thoda door hatkar Sneha ke uski god mein sir rakhne ka rasta saaf kar diya..
Sneha ne ek pal ko jhijhakte huye apne baayein dekha aur fir aankhein band karke Vicky ki god mein sir tika diya...
par unko dekhne ki fursat kiske paas thi.. sab ya toh 'apne apnon' par najar rakhe huye the ya fir so chuke the... Sivay Aarzoo ko chhodkar.. uska koyi aisa 'apna' toh bus mein tha nahi.. aur neend uski uda hi di thi.. Amit ne.. 'bandar aur kutiya' wali baat kahkar.. jaane anjaane.. kafi der tak uska dhyan isi baat par tika raha.. aur jab uss baat se dhyan hata toh 'vicky' par aakar tik gaya...
Vicky aur Sneha ki chuhalbajiyan uske tan-man mein gudgudi si paida kar rahi thi.. aur jaise hi Sneha jhuk kar vicky ki god mein leti.. 'kalpana shakti' ki door usko vicky ki jaanghon ke beech le gayi..aur anayas hi uski jaanghein kaskar ek dusri se sat gayi.. jane kaisa ahsaas tha.. par jo bhi tha.. Aarzoo ke chehre par bade hi kamuk bhav ujagar ho gaye.. 'issshhh'
" ye kya hai? tum toh abhi se taiyaar ho?" Sneha ne jaise hi vicky ki god mein sir rakha.. ek 'jani-pahchani 'cheez' uske gaalon se aakar sat gayi.. wo kahte huye shararat se muskura padi..
vicky kuchh nahi bola.. bus muskuraya aur uske chehre par pyar se hath ferne laga...
" Mujhe nahi pata.. mujhe sir rakhne mein dikkat ho rahi hai.. isko theek karo pahle.." Sneha ne shararati tareeke se apne gaal aur uss 'cheej' ke beech apna hath rakhte huye dheere se kaha.. hath ka sparsh jean ke upar se paate hi 'wo' aur bhi akad gaya.. aur bhi seedha ho gaya.. aur bhi lamba..
" Dekho.. main pahle hi bol rahi hoon... warna...!" Sneha ne jaise kuchh than hi liya tha..
"main kya karoon.. aaaah" Bolte bolte vicky ki siski nikal gayi.. Sneha ne apne daanton se jean ka wo ubhra hua bhag kaat khaya tha..
Vicky ki siski sunkar Sneha ki hansi chhoot gayi.. wo kahte hain na.. 'chori chori pyar mein hai jo maja!'"aah.. ye kya.. sabko pata chal jayega.." Vicky ne sisak'te huye jhuk kar dheere se kaha...
" Achchha.. ab nahi karoongi.. par baad mein tumhe chhodungi nahi.. dekh lena!" Sneha ne vicky ki aankhon mein jhankte huye sharaarat se apni aankhein matkayi.. aur neeche hi neeche apne hathon se 'uss' ko sahlane lagi.. Vicky par pyar karne ki khumari chadhti ja rahi thi...
Aarzoo bade gour se pal pal badalte Vicky ke chehre ke bhavon ko dekh rahi thi.. usko poora yakin tha ki neeche 'kuchh' na 'kuchh' ho raha hai...
" Sona! tune kuchh dekha kya?" Aarzoo Sonia ke kaan mein fusfusayi..
" Kya?" Sone ki taiyari kar rahi Sonia ne Aarzoo ke chehre ki aur dekhte huye kaha..
" Meri taraf kya dekh rahi hai? udhar dekh.. Saamne!" Aarzoo ne Sonia ko kohni maari..
Sonia ne bus mein aage ki taraf najrein doudayi, par uski najrein wo nahi dekh payi jo Aarzoo dekh rahi thi.. ya fir dekh kar bhi samajh nahi payi," kya dekhoon?"
" Are.. wo ladki.. Sneha uski god mein sir rakhe leti hai... dikhta nahi kya tujhe?"
" aaa haan.. par main dekhu kya?" Sonia abhi bhi anjaan thi..
" tu toh bilkul buddhu hai.. kabhi 'waisi' movie nahi dekhi kya?"
" Sonia 'waisi movie' ka matlab turant samajh gayi," main.. main kyun dekhoongi.. waisi movie.. par tu kahna kya chah rahi hai...?" Sonia ne Aarzoo ke kaan mein fusfusaya...
" oho.. tu toh jaise bilkul hi bholi hai.. sun.. idhar aa" Aarzoo ne kaha aur Sonia uske chehre ki aur jhuk gayi..," Kya?"
" Maine dekhi hai ek baar... usmein ek angrejan kisi angrej ka 'wo' munh mein lekar choos rahi thi.."
Sonia ne Aarzoo ko beech mein hi tok diya..," Dhat! aisi baatein kyun kar rahi hai..?"
" are.. main aisi baat aise hi nahi bol rahi.. tu sun toh sahi.. jab wo aisa kar rahi thi toh wo angrej bhi aise hi sisak raha tha.. jaise ye..."
"Matlab... Sneha.. hey bhagwan.." aur Sonia ne aascharya aur sharam mein apne hath se apna munh dhak liya..
"tu dhyan se dekh.. tujhe apne aap samajh aa jayega..."
" par.. wo aisa kyun kar rahi hai..? sharam nahi aati usko.." Sonia ka chehra sharam se laal ho gaya tha..
" Maje bhi toh aa rahe honge.." Aarzoo ne sonia ke samanya gyan mein ijaafa kiya..
"Majey?? iss kaam mein kaise majey?" Beshak Sonia ye sawaal kar rahi thi.. par ab tak uski mansal jaanghon ke beech usko bhi taralta ka ahsaas hone laga tha... kudaratan!
"ab main tujhe karke dikhaaun kya? tu sach mein nahi samajhti kya ye sab.." Sonia ne peechhe mudkar dekha.. Amit neend ke aagosh mein pada so raha tha..
" nahi.. kasam se.. maine kabhi nahi kiya aisa kuchh" Sonia ne bholi bante huye kaha...
" ek baat bataoon.. kisi ko bolegi toh nahi na..? Aarzoo ne uska hath pakadte huye kaha..
" maine teri kabhi koyi baat kisi ko batayi hai kya?" kahte huye Sonia man hi man wo naam yaad karne lagi thi jis jis ko wo Aarzoo ka 'Raj' bata kar apna pate hulka kar sakegi.. aakhir ladki thi bhai
" Maine hai na.. ek baar.. dekh tujhe meri kasam hai.. kisi ko bolna mat.." Sonia kahte kahte ruk gayi..
" are bol na baba.. nahi bataaungi.. promice!"
" theek hai.. ek baar mujhe ek 'gandi' movie ghar par mili thi.. main akeli hi thi.. maine movie chala li... usmein .. maine abhi bataya tha na tujhe...?" Aarzoo ne apna chehra Sonia se door karte huye uske mano bhavon ko padhne ki koshish ki..
" haan.. haan.. tu bata na.. jaldi" Sonia ne kamukta se apni jaanghon ko kaskar bheech liya.. ajeeb si gudgudi ho rahi thi.. uske badan mein...
" usmein ladki 'usko' munh mein lekar choos rahi thi.. aur wo 'bahut' bada ho gaya tha.." Aarzoo ne apne angoothe aur ungaliyon ko ek dusre se door failate huye 'uska' size samjhane ki koshish ki," aur fir baad mein 'wo' bhi 'uski' chaat raha tha..."
Sonia ka hath swat: hi uski god se neeche chala gaya tha.. shayad chipchipi ho gayi panty ko durust karne ke liye.. ya fir 'uss' meethe ahsaas ko hathon se mahsoos karne ke liye...," haye Raaam! fir..?"
" fir kya? fir wo pyar karne lage..." Aarzoo ne apni aankhon ko failate huye kaha..
" pyar? ye pyar kaise hota hai Ajju!" Sonia ke badan mein aag si lag gayi.. usko 'ye' baatein sunkar itna maja aa raha tha ki usne apni ek jaangh ko dusri ke upar chadha liya...
Sonia ka bhi lagbhag waisa hi haal tha.. ab wo dono vicky aur Sneha se apna dhyan hatakar ek dusri ka hath masalne mein lagi huyi thi.. aur shayad unmein se kisi ko iski khabar bhi na ho.. sab kuchh apne aap ho raha tha..," pyar.. 'usko' 'usmein' daal kar karte hain.." Sonia har ang ke liye 'uss' aur 'wo' sarvnaam ka prayog kar rahi thi... chahe wo purush ka ho ya stri ka..
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)