Thread Rating:
  • 75 Vote(s) - 3.79 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Supriya: Ek Jawan Biwi ki Kahani
Hot update de do Sriya Maza aa jaye
[+] 1 user Likes HBK♡♡'s post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
Waiting for update
[+] 1 user Likes Salma Khan's post
Like Reply
Good one
[+] 1 user Likes Rizzi1198's post
Like Reply
Iqbal real me Shareef hai ya uski koi planing hai Supriya ke liye?
[+] 2 users Like Shahid Khan's post
Like Reply
Fabulous Fantastic Excellent Superb Story
[+] 1 user Likes Rohan0064's post
Like Reply
Waiting for update
[+] 1 user Likes sushilt20's post
Like Reply
Update 54

Ghar pahuch kar Supriya kafi der tak pareshan rahi. Pata nahi woh kya hi soch rahi thi jab usne Vikram ko raat ke is time ghar par aane ke liye bola tha. Woh apne aap ko samjhane mein lag gayi ki uska koi aisa waisa matlab nahi tha, woh toh bas Vikram sir use chhodne aaye they toh usne unko poochna sahi samjha. Uska bilkul bhi koi galat irada nahi tha.

Par doosri taraf uski negative thoughts use feel karwa rahi thi ki jo usne kiya woh kafi jyada galat tha. Vikram sir ne hamesha uske saath bas acha hi kiya tha aur pata nahi woh uske baare mein kya soch rahe honge. Kya Vikram sir ke liye uske mann mein koi feelings paida honi shuru ho gayi thi. Rahul toh chalo unmarried tha aur shayad woh usse sach mein pyaar bhi karne lagi thi, waise kitni badi idiot this woh jo Rahul jaise insaan par bharosa kiya!! Par Vikram sir? Woh toh married they, aur umar mein bhi usse bade they, aur us par uske boss bhi they. 

Shayad woh aaj unse kuch jyada hi comfortable ho gayi thi. Anniversary ke emotions, raat ka mahaul aur unke beech ki gayi baatein shayad is sab ki jimmedaar thi. Supriya ne socha ki woh Vikram sir ko message daal kar sorry bol de, par raat ke 1 baje they aur is time unhe message karna thoda weird hota. Kaafi der inhi sab feelings se jhoojhti hui woh aakhir sone ke liye let gayi. Agle din Sunday tha, aur shayad Atul kal ghar wapas aa jaye.

Subah subah Supriya ki neend phone bajne se khuli. Supriya ne band aankhon mein haath idhar udhar maarte hue apna phone uthaya.

Fir need mein phone uthathe hue bola - Hellloooo… kaun….

Doosri taraf se Iqbal ki aawaz aayi - Madamji… maaf karna maine aapko neend se toh nahi jaga diya...

Iqbal ki aawaz sunte hi Supriya ki neend ek dam se udd gayi - Nahi nahi… bolo Iqbal… kya time hua hai?

Iqbal - 10 baj gaye madam ji, toh mujhe laga aap uth hi gaye honge…

Supriya - Haan woh… hmmmm… bas leti hui thi? Kuch kaam tha kya aapko?

Iqbal - Woh koi aapki gaadi dene aaya hai…

Supriya - Oh acha…. Aap ek baar car ko parking mein laga kar chaabi apne paas rakh loge? Main thodi der mein aati hoon chhaabi lene..

Iqbal - Aap kyun aayenge, main aa jaata hoon dene…

Kal raat jo hua uske baad Supriya itni sharminda thi ki kisi ko ghar par aane ke liye nahi bolna chahti thi. Aur waise bhi jo usne us din Iqbal aur Karuna ko karte dekha tha, tabse use Iqbal ke baare mein sochna hi thoda ajeeb sa lagta. Woh jaldi se boli - Nahi nahi… aap duty par ho.. main aakar le jayungi… thoda time lag jayega par, chalega?

Iqbal - Theek hai madam ji.. main toh yehi hoon, aap jab marzi aa jaana…

Supriya phone rakh kar fir se bed par leti gayi, aur thodi der baad naha dho kar tayyar ho gayi. Supriya kafi achi lag rahi thi. Kaafi dino se ab use ache se make-up karke kahin bhi jaane ki aadat pad gayi thi, toh aaj bhi woh ache se ready ho kar hi neeche gayi.

[Image: F-s00-VHW4-AACUd.jpg]

Jab woh neeche pahuchi toh usne dekha ki gate ke paas do gaadiyan apas mein bhidi hui thi aur kuch logo ke beech mein behas chal rahi thi. Thodi si bheed ikhatta ho gayi thi aur Iqbal bhi bheed ke paas khada tha.

Supriya Iqbal ke paas chalti hui pahuchi - Kya hua yahan Iqbal?

Iqbal ek dam se chaunka - Madamji!! Aap kab aaye, pata hi nahi chala. Kuch nahi, bas log dekh kar nahi chalate, toh aise hi hoga na… ab bhadak rahe hai ek doosre par.

Supriya - Hmmm…

Iqbal - Aap 5 minute rukoge main abhi deta hoon chhabi, aap wahan chhaav mein chale jayo… bahut garmi hai abhi tak, October khatam hone ko aa gaya jabki…

Supriya - Theek hai… Koi jaldi nahi hai

Supriya wahin paas mein ek ped ke chaanv mein khadi ho gayi. Jahan woh khadi thi, woh gate ke oaas se poori tarah dikh nahi rahi thi. Kuch hi minute mein ikhatta hui bheed hatne lagi. Supriya Iqbal ka intezaar karte hue wahin khadi rahi.

Tabhi ek doosra watchman Iqbal ke paas aaya - Iqbal Miya… kya haal chaal…

Iqbal - Sab khair.. tum batayo…

Watchman - Bas kuch nahi… raat ko duty ki thi, ab wapas aa gaye kaam par…

Iqbal - Haan woh toh hai… raat ki duty toh bekar hi hoti hai…

Watchman - Par kal raat toh itni bekar nahi gayi... ahhh... aankhein sekne ko mil gayi… socha nahi tha ye nazara dekhne ko milega...

Iqbal haste hue - Aisa kya dekh liya?

Watchman - Woh 609 wali madam hai na…

Apne flat ka number sunte hi Supriya ke kaan ekdam se khade ho gaye. Ye toh uski baat kar rahe they. Woh unki baatein aur dhyan se sunne lagi.

Supriya ka flat ka number sunte hi Iqbal ke chhere par ek badi si shikan aa gayi thi - 609? Kya hua raat ko?

Watchman - Raat ko kareeb 1 baje ek gaadi aayi, aur usme se 609 wali madam utri, ek dam mast saree pehni hui thi, chhota sa blouse... haaye...

Iqbal - Galat dekha hoga tumne? Kahin 608 ki baat toh nahi kar rahe? Aur kaunsi gaadi thi, safed Indica?

Watchman - Miyaan itne sawaal poochte ho… aree nahi Indica nahi thi, koi mehngi gaadi thi, tip top ekdam… aur andar koi ameer sa aadmi baitha tha... uska sheesha neeche tha toh mujhe shakal dikhi thi... 

Iqbal - Hmmm aur…

Watchman - Aur kya, 608 wali Randi ko toh main ache se jaanta hoon… ye toh 609 wali hi thi, saali bahut itra ke chalti hai… uski gaand itni mast lagti hai na, aur uske mamme...

Iqbal - Tameez se baat kar le unke baare mein… ek shabd aur faltu mat boliyo...

Watchman - Tum kyu itna bhadak rahe ho yaar… raat ko ek baje aise matakte hue aa rahi hai kisi gair mard ke saath… khud hi soch lo na tum kya chinaalpan chal raha hoga…

Iqbal ne doosre watchman ka collar kas ke pakad liya - Teri gaand mein na mota sa danda ghusa dunga agar ainda kabhi unke baare mein kuch bola toh… chal bhaag yahan se..

Doosra watchman ek dam se sakhte mein aa gaya aur apne aap ko chhudate hue badbadata hua wahan se chala gaya. Supriya ye sab sun kar kafi shocked si thi, ki log uske baare mein kya kya bol rahe they. Usne thoda sa peeche hone ki koshish kari taaki Iqbal ko ye na lage ki usne sab sun liya tha. Supriya ko gussa aana shuru ho gaya tha, pata nahi log use kya samajhne lage they.

Iqbal idhar udhar dekhne laga Supriya ko dhoondne ke liye. Aur use aakhir khaar Supriya door khadi dikh hi gayi. Woh chaabi dene ke liye unki aur gaya - Madamji… ye aapki chaabi…

Supriya ne rookhi si aawaz mein kaha - Theek hai... thank you…

Iqbal Supriya ki aur dekh raha tha jaise usse kuch poochna chahta ho. Par Supriya usse bilkul bhi baat karne ke mood mein nahi thi.

Supriya - Main chalti hoon fir…

Supriya ne ek do kadam badaye hi they ki Iqbal ki aawaz nikli - Madamji chhota muh badi baat… par mann mein hai toh pooch raha hoon.. sab theek hai na, sahab ji bhi ghar par nahi hai?

Supriya ne palat kar Iqbal ki aur dekha aur gusse mein boli - Haan sab theek hai… aur hoga kyu nahi? Tumhe bhi lagta hai ki main…

Iqbal - Nahi madamji… mera woh matlab bilkul bhi nahi tha, aap meri baat galat mat le… mujhe toh bas hamesha aapki fiqr hi rehti hai…

Supriya gurra ke boli - Fiqr rehti hai... ya mere baare mein faltu baatein karne ka mauka chahiye...

Iqbal ki toh bolti poori tarah band ho gayi thi. Usne aaj tak Supriya ko itne gusse mein nahi dekha tha. Iqbal ki shakal par bhi thoda sa gussa aa gaya, use aisi badtameezi ki aadat nahi thi - Madamji… sach keh rahe hai… aap ki jagah koi aur hota na toh abhi use thaped dete…

Supriya ne Iqbal ki laal hoti shakal dekhi, usne bhi aaj tak Iqbal ko itna gussa nahi dekha tha. Isse pehle baat aur bigad jaye usne aapko shaant kiya aur samjhaya. Aakhir Iqbal ko uska hi paksh le raha tha apne saathi ke saamne.

Supriya - Sorry Iqbal… main kuch jyada bol gayi… bas woh logo ki baaton…

Supriya ko shaant hote dekh Iqbal ka gussa bhi pal mein utar gaya - Madamji… aap us bawle ki baat par gussa ho rahe ho! Na na… dimaag se paidal hai woh… aap woh sab mat socho… woh kya jaane sach kya hai..

Supriya - Haan, main ek office ke dinner ke liye

Iqbal - Madamji aapko mujhe samjhane ki bhi jaroorat nahi hai… main aapko achi tarah se jaanta hoon… aap kabhi kuch galat hi nahi kar sakte.. par aap ye jaroor samajhna ki duniya ki nazar toh kharab hai… kuch jyada bol gaya toh maaf kar dena…

Supriya - Nahi nahi… aap kyu maafi maang rahe ho…

Iqbal - Chaliye theek hai… waise aap fir kabhi mere saath masjid chalna chahoge? Aapne kaha tha aapko acha laga tha..

Supriya - Are aapne mujhe acha yaad dilaya… us din mujhe mall mein woh masjid wali buddhi amma mil gayi thi aur woh mere peeche pad gayi thi.

Iqbal - Kaun buddhi amma?

Supriya - Wohi jo ye samajh rahi thi ki main aapki… hum dono…

Ye bolte bolte Supriya ke gaal laal ho gaye aur woh sharam se neeche dekhne lagi, aur uski nazar Iqbal ki pant par jaakar ruki jahan ek halka sa ubhar tha. Ek dam se uske dimaag mein fir se uske bade mote land ki tasveer saamne aayi aur usne jhat se apni aakhen doosri aur kar li.

Iqbal - Oh acha… woh amma… haan mujhe bhi mili thi woh… aapko kuch keh rahi thi kya?

Supriya - Haan.. us din toh main fas hi gayi thi… main Atul ke saath thi aur woh mere peeche pad gayi thi ki ye toh tumhara shohar nahi hai.. woh toh doosra wala hai jo kafi lamba chhauda..

Supriya fir se bina soche samjhe sab kuch bol gayi thi. Use apni galti realize hui or woh beech mein chup ho gayi.

Iqbal - Ohhhh… aap toh kafi musibat mein fas gaye honge…

Supriya - Haan par maine Atul ke saamne kisi tarah baat ko sambhal liya. Par bhagwan kare fir se woh amma na mile mujhe kabhi…

Iqbal - Haan shayad yehi behtar rahega… ab unko sab sach batana bhi toh kafi ajeeb lagega.

Supriya - Hmmmm… haan shayad… acha main chalti hoon… kafi kaam hai ghar par… Atul bhi wapas aa rahe hai aaj..

Supriya Iqbal ko bye bolkar wapas apne ghar aa gayi. Uske dimaag mein waise toh bahut kuch chal raha tha par abhi ye sab sochne ka time nahi tha, abhi toh Atul ke wapas aane ki tayyari karni thi.

______________________________________

Atul wapas aa gaya par unke beech kuch doori si bad gayi thi. Dono ke beech koi jhagda toh nahi hua par waise koi pyaar bhari baat bhi nahi hui. Dono ek chhat ke neeche jaise bas saath reh rahe they.

Supriya bhi fir se bas apne wale office jaane lagi aur ab koi jaroorat bhi toh nahi thi Vikram sir ke office jaane ki. Waise bhi woh unka saamna karna bhi nahi chahti thi, use abhi bhi us raat ke liye kaafi sharmindagi thi. Vikram sir yahan wale office aaye bhi nahi they. Bas ghar se office aur office se ghar ka routine sa ban gaya tha pichhle do hafto se.

Is beech Supriya ne gaur kiya ki uski building society ke log use abhi kuch jyada hi khule aam ghoor kar dekha karte they. Aur uske saamne aate hi khusar phusar si shuru ho jaati thi. Aisa lag raha tha ki jaise uske baare mein kuch afwahein failni shuru ho gayi thi. Supriya koshish karti ki woh is sab ke baare mein na socha, aakhir woh is society mein jaanti hi kitne logo ko thi.

Diwali bhi bas kuch hi din door thi toh uski tayyari bhi chal rahi thi. Supriya chahti thi ki woh Diwali par Atul ke saath sab kuch theek kar le. Aakhir kab toh woh dono aise muh fulaye baithe rahenge. Shayad galti uski hi thi toh pehel bhi usi ko karni padegi.

Diwali se 2 din pehle office mein Diwali ka mahaul khoob josh mein tha. Sab log us din ache se sajj dhaj ke office mein ethnic wear mein aaye they. Supriya office mein ek laal rang ki dress pehen kar aayi thi jisme woh kafi jyada hot lag rahi thi. Office mein saari ladkiyan apni photo khichwa rahi thi. Kriti aur Supriya ne bhi Akash ko pakda hua tha apni dher saari photos click karwane ke liye.

Woh photo session ke beech mein hi they ki Supriya ko doosri aur se Vikram sir aate dikhe. Unhone ek kurta pehna hua tha jisme woh kafi jyada smart lag rahe they. Vikram wahan Akash ke paas aakar khada ho gaya aur Supriya aur Kriti ko pose banate hue dekhne laga. Supriya koshish kar rahi thi woh Vikram se eye contact na banaye.

Kriti Vikram ko dekhte hi excitement mein chillayi - Bhaiyaa!!! Wow, looking amazing today! Aap bhi aa jayo… saath mein photos lete hai…

Vikram - Nahi nahi… tum log karo ye sab… its not for me…

Kriti - Please bhaiyaa! It’s Diwali, no excuses today. Come come…

Kriti ne Vikram ka haath pakad kar use Supriya aur apne beech mein khada kar diya. Vikram attention mein un dono ke beech khada tha aur koshish kar raha tha ki uska shareer Supriya ko na chhuye.

Akash - Sir… aap thoda smile kariye na aur pose change kariye…

Kriti - Haan bhaiya.. this is going on Insta.. so better be good…

Vikram - Areee.. main kya karu.. mujhe ye sab samajh nahi aata…

Kriti ne Vikram ka haath pakadte hue apni kamar par rakh diya. Par doosri side ka haath abhi bhi neeche tha.

Akash - Sir.. doosri side… symmetry nahi ban rahi..

Vikram - Kya?

Kriti - Offo bhaiya… just put your arm around Supriya, jaise mujhe pakda hai…

Vikram ne Supriya ki aur dekha aur aankhon aankhon mein usse permission maangi wahan haath rakhne ki. Supriya ne halka sa sir hila kar Vikram ko izazat de di, aur fir Vikram se apna haath Supriya ki kamar par rakh diya. Supriya ki kamar par jaise hi Vikram ka haath laga uske poore shareer mein current sa daud gaya, aur uske muh se bahut halki si siski nikal gayi, jo sir Vikram ko sunai di thi.

Akash - Very good.. now its looking good... smile everyone..

Akash photo par photo kheeche jaa raha tha, aur Vikram ki ungliyaan bilkul sthir Supriya ki kamar par tiki hui thi. Supriya ki saansein thodi si bhari ho gayi thi, aur uski chhati saansein lete hue upar neeche ho rahi thi.

Vikram - Done?

Kriti wahan se thoda door hat gayi - Yeah I am done...

Vikram - Ek picture bas meri aur Supriya ki bhi le lo.. 

Supriya abhi bhi Vikram ke paas khadi thi, aur usne palat kar Vikram ki aur dekha. Uske chhehre par ek bahut halki si smile thi, jaise use is sab mein kafi maza aa raha ho. Akash ne haan mein sir hilaya aur un dono ki photos kheechne laga. Supriya ke chhehre par bhi smile aa gayi thi aur woh aas paas ke sab logo ko bhoolne si lagi thi.

Akash bhi maje leta hua Supriya ko alag alag pose banane ke liye bol raha tha - Good Supriya, sir ke kandhe par side se haath rakho.

[Image: e7d92ed52e42fd684965172b31809a03.jpg]

Supriya ne Akash ki directions follow karte hue Vikram ke kandhe par halke se haath rakh diya.

Kriti door se has ke boli - Wow... you guys look really good together... bilkul lovey dovey types...shakal toh dekho inki Akash...

Supriya ke gaal tamatar jaise laal ho gaye they, aur usne ek badi si smile ke saath Kriti ki aur ghoor kar dekha, uski badi badi aankhein Kriti ko chhup hone ka ishaara kar rahi thi. Vikram bhi muskura ke Kriti ko dekh raha tha.

[Image: 9be4dd640e15678588eb47758fa203fb.jpg]

Supriya ne jhat se apne haath Vikram se door kar liye aur thoda sa door ho kar khadi ho gayi. Usne Akash ko ishaara kiya ki photo session poora ho gaya tha. Supriya Kriti ke paas chali gayi.

Supriya ne Kriti ko muskura kar par muh bana kar bola - Kya bolti rehti ho tum... 

Kriti - Joke tha yaar... itni seriously kyu le rahi ho...

Supriya - Main kahan seriously le rahi hu...

Kriti - Lag toh raha hai, apni shakal toh dekho... mana bhaiya handsome hai... par married hai..

Supriya - Shut up ok! Bas bhi karo...

Supriya Kriti ke paas se hat kar side mein akele ho gayi. Use apne emotions par kaabu laane ke liye akele hona jaroori tha. Supriya watercooler ke paas akeli khadi paani hi pee rahi thi ki Vikram us side aane laga. Vikram ko aata dekh Supriya ko jor ka dhaska lag gaya aur woh khaasne lagi.

Vikram ne paas aate hue kaha - Theek ho na Supriya? 

Supriya kuch second baad apni khaasi rokte hue boli - Haan... theek hu...

Vikram - Main bas ye bolne aaya tha ki sorry agar tumhe mere saath photos lena uncomfortable laga toh... Kriti keh rahi thi tum thoda upset ho gayi thi...

Supriya - Nahi nahi... aisa kuch nahi... Kriti toh bas kuch bhi bolti hai...

Vikram - So uncomfortable nahi hui thi?

Supriya ne sir hilaya - Nahi.. main uncomfortable nahi thi...

Vikram - Hmmm... toh fir comfortable thi?

Supriya ne blush karte hue aankhen neeche kar li - Nahi pata...

Vikram - Uncomfortable aur comfortable ke beech mein kahin?

Supriya ne softly kaha - Haan shayad...

Vikram - Aur ab tumne main office bhi aana band kar diya hai...

Supriya ki aankhen ek dam se uth gayi - Aapne hi toh bola tha nahi aane ke liye...

Vikram - Maine aisa kab kaha...

Supriya - Us raat....jab aap mujhe ghar drop kar rahe they...

Vikram - Maine toh shayad ye kaha tha ki its your wish...

Supriya - Haan toh iska matlab toh yehi hota hai na... ki aap nahi chahte main wahan aayu...

Vikram - Oh god... fir se translation ka problem... pata nahi main kab ladkiyon ki language seekh payunga..

Supriya ko Vikram ki baat par hasi aa gayi - Aapko abhi kafi work karna padega us par...

Vikram - Jaroor karuna.. nahi par seriously tum jab chaho wahan aa sakti ho... tumhara lunch kafi miss karta hoon main...

Ab baare Supriya ki chhidane ki thi - Sirf lunch ki baat hai? Woh toh main roz drop karte hue jaa sakti hu...

Vikram halke se muskuraya - Sure, as you wish... 

Supriya - Fir se... as you wish...

Supriya ko water cooler ke paas koi aur aata dikha, aur woh jaldi se apna paani ka glass le kar wahan se hatt gayi. Subah ki photos ke baad woh logo ko baatein banane ka mauka nahi dena chahti thi. Waise hi uski apartment building mein kya kam baatein chal rahi thi ki woh office mein bhi shuru ho jaye.

__________________________________________________________________

Din kisi tarah poora hua, agle kuch din Diwali ki chhutti thi. Supriya ki shaadi ke baad ki pehli diwali thi, aur Atul ko ghar sajate dekh, woh uski madad karne lagi aur un dono ke beech ka tanav thoda sa kam ho gaya. Dono ne ache se mil kar diwali banayi. Supriya Iqbal ko ek mithai ka dabba bhi dene gayi, jisse Iqbal khush ho gaya tha. Diwali kafi achi gayi Supriya ki bina kisi khaas tension ke. Atul bhi fir se khush hone laga tha.

[Image: f9f3104ff60491f56c74ee23c1cc03c3.jpg]

Diwali ke do din baad, Atul office gaya hua tha. Supriya ne aaj ki bhi chhutti li hui thi par woh Vikram ko diwali ki mithayi dene ke liye uske office nikal padi. Usne khud apne haathon se Vikram ke liye meetha banaya tha. Use thoda ajeeb toh lag raha tha ki woh aise bina kisi kaam ke Vikram ke office jaa rahi hai par woh unki pichli baatcheet ke baad unko ye surprise dene mein kafi excited bhi thi.

Main office mein pahuch kar Supriya ko Vikram ke cabin ke bahar Disha dikhayi di, jo hamesha ki tarah serious ho kar baithi thi.

Supriya ne use paas jakar kaha - Hi Disha... Happy Diwali...

Disha ne upar muh karke dekha - Hi, tum aaj yahan? Tumhari seat toh maine kisi aur ko de di hai...

Supriya ne socha ki pata nahi ye ladki itna serious kyu rehti hai, na hi isne meri happy diwali ka jawab diya - Nahi, main yahan work karne nahi, Vikram se milne aayi hu...

Disha - Hmmm... Vikram toh abhi meeting mein hai...

Supriya - Ok, no problem... main wait kar lungi...

Tabhi Vikram ke cabin ka door khula aur kuch log bahar Nikle, aur door par Vikram bhi khada tha. Vikram ne Supriya ko dekhte hi smile di.

Vikram - Supriya... what a surprise... come inside..

Disha beech mein boli - Vikram, abhi aapki ek aur meeting hai..

Vikram - Disha, us meeting ko move kar do please.

Supriya Vikram ke cabin mein andar chali gayi aur woh dono apas mein baatein karne lage. Vikram ne Supriya ka banaya hua meetha bhi khaya jo use bahut acha laga.

Vikram - Wow.. this is amazing... thank you so much, ise laane ke liye..

Supriya - Thank you! Aapne kaha tha na ki aapko Indian sweets pasand hai par aap bahar ki sweets jyada khaate nahi hai.. so maine khud banayi ye..

Vikram - Truly amazing...

Woh dono baat hi kar rahe they ki Vikram ke desk ke phone par beep ki aawaz aayi aur doosri taraf se Disha ki aawaz - Vikram... bade sir aa rahe hai...

Vikram ek dam se hadbada ke khada ho gaya - Supriya... tum is dabbe ko abhi pack kar lo.. and just pretend ki tum yahan kisi office ke kaam se aayi ho...

Supriya - Sure, par hua kya hai...

Vikram - I'll explain later...

Vikram jaldi se jaakar apni seat par baith gaya, aur kuch hi pal baad office ka door bina kisi knock ke khul gaya, aur andar ek badi umar ka aadmi ghusa. Woh kam se kam 65-70 saal ka toh hoga, aur kaafi jyada mota insaan tha.

Unhe dekhte hi Vikram ne bola - Papa aap... aaj yahan...

Papa - Haan Vikram, kisi kaam se paas mein aaya tha socha aaj yahan bhi aa jayu.. bhool sa gaya hoon ye jagah ab toh...

Vikram - Aap aise kyu keh rahe hai... aapka hi office toh hai ye...

Papa - Tha... hai na... ab toh ye tumhare capable hands mein hai... (tabhi us aadmi ki nazar Supriya par padi)... Hello, aapko pehle kabhi nahi dekha...

Vikram - Ye, mere export business ki employee hain..Supriya Sharma.. 

Papa - Acha... tabhi kahun maine kaise nahi pehchana... nahi toh abhi bhi har hiring par meri final mohar toh lagti hi hai... abhi bhi tum us business par apna time waste kar rahe ho...

Vikram - Let that be papa, meri hobby samajh lo aap use... Supriya, you may go, I think the plan needs a bit of rework.

Supriya ne sir hilaya aur bahar ki aur jaane lagi. Darwaza band hote hote us aadmi ki aawaz Supriya ke kaan mein padi - Apne aas paas kafi khoobsurat ladkiyan rakhte ho tum, bahar tumhari secretary, aur ye.....

Bahar aate hi Supriya sochne lagi ki ye kaun tha. Vikram use papa bula rahe they, par woh aise act kar rahe they ki jaise woh is company ke asli maalik ho. Ho na ho woh Vikram ki wife ke papa honge, jinka ye business tha. Supriya ko samajh nahi aaya ki Vikram ekdam se itne panic mein kyu aa gaya tha. Supriya ghar chali gayi aur usne is sab ke baare mein bahut jyada nahi socha.

_________________________________________________

December ka end aa chala tha, aur pichle kuch hafte kafi normal se hi beete they. Supriya aur Atul ki life bhi thodi normal si lagne lagi thi. Atul ke mann ka gussa thoda kam hota chala tha aur Supriya bhi koshish kar rahi ki woh ghar par jyada dhyaan de, office ka kaam bhi kafi slow tha. Vikram sir bhi kuch hafto se gayab se they.

2-3 din baad woh dono Vikram sir ki party mein invited they. Party new year se thoda pehle thi, ek bade se farmhouse mein. Party ka dress code black tha, aur uske liye Supriya ne ek nayi black party saree khareedi thi, jisme woh kaafi amazing lag rahi thi. Saree kafi transparent thi, jisse Supriya ka blouse aur gora shareer saaf dikh raha tha.

Jab woh dono shaam ko us party mein pahuche toh kaafi saari nighahen bas Supriya par hi tiki hui thi. Jyadatar aurato ne wahan western dresses pehni thi, toh Supriya saree mein alag hi simple but hot lag rahi thi.

[Image: 00c4154dfad5f12e26c32241c17a64a5.jpg]

Party mein pahuch kar Supriya ko Kriti aur apne office wale mil gaye aur woh unke saath ho li. Atul ke bank ke bhi kuch log party mein invited they jaise uska boss, Rahul aur baaki kuch aur log. Atul bhi unki company mein jaakar khada ho gaya. 

Supriya aur Kriti toh saath hi chipke hue they, aur Kriti Supriya ko kafi logo se introduce karwa rahi thi. Log bhi jaise jaanboojh kar Supriya ki aur khiche jaa rahe they, aur usse haath milane aur baat karne ke liye betaab they. Atul door kahin khada ye sab dekh raha tha ki kaise Supriya ko itni attention mil rahi thi. Apne boss ke kehne par usne bhi jald hi whisky ka ek glass utha liya tha.

Kriti dheere se ishaare karke Supriya ko logo ke naam bata rahi thi aur unke baare mein uski khufiya jaankari bhi.

Kriti - I hate this party... kitni lame hai... 

Supriya - Itni toh achi party hai... main toh kabhi aisi party mein pehle nahi aayi...

Kriti - Ughhh... Supriya... tumhe party mein chalna hai toh mere saath chalna, they are a 100 times better than this.

Supriya - Par ye toh Vikram sir ki party hai na... usko kaise kharab bol sakti ho..

Kriti - Nahi baba.. ye unki wife Isha ki party samajh lo... bhaiya ka toh bas naam hai.. ughhh, shaitaan ka naam lo shaitaan hazir.. woh aa gayi... Mrs. Isha Singh...

Kriti ke ye bolte hi Supriya jaldi se idhar udhar dekhne lagi, woh kaafi excited thi Isha ko real mein dekhne ke liye. Supriya ko andar se aati hui ek stylish si aurat dikhi jisne kafi heavy makeup kiya hua tha, aur kaafi saari jewelery pehni thi. Uski aankhen aisi behki hui si lag rahi thi jaise woh nashe mein ho. Supriya ne Vikram sir ke desk par jo photos dekhi thi ye usse kaafi alag lag rahi thi, jaise pehchaan mein hi na aa rahi ho. Shayad woh photos kaafi pehle ki hongi.

[Image: d90498921ee2287b13b98b4236518dbc.jpg]

Kriti - Oh god! Pata nahi designer clothes ke naam par bath robe lapet kar kyu aa rahi hai ye... itna awful hai na iska dressing sense.. yuck...

Supriya ko bhi uske kapde bahut ache nahi lage, par usko kapdo ki itni samajh nahi thi - Theek hi toh hai...

Kriti - Come on babe... tum uski side mat lo.. she is like the devil...ok..

Kuch hi pal baad Isha unke saamne se nikalti hui aage chali gayi, usne ek baar bhi Kriti aur Supriya ki aur mud ke bhi nahi dekha. Supriya ne socha ki thoda ajeeb tha, kyunki Kriti ko toh woh jaanti hi hogi. Supriya ki nighahen bas Isha par hi tiki hui thi, jaise uske har interaction ko kaafi bareeki se dekh rahi ho. Woh Isha ko dekhne mein itna kho gayi thi ki use pata bhi nahi chala ki Kriti uske saath nahi khadi thi. Tabhi Supriya ke kandhe par kisi ne halke se tap kiya.

Vikram - Hello madam... us din tum dabba bhi apne saath le gayi...

Supriya ek dam se chaunk gayi - Sir aap!... I mean Vikram... sorry kya keh rahe they aap...

Vikram - Kuch nahi... kise dekh rahi ho tum itne gaur se...

Supriya halka sa blush karte hue - Kisi ko nahi... Actually, aapki wife ko!

Vikram - Isha ko? Milna hai tumhe usse?

Supriya - Nahi nahi! Main toh bas aise hi... 

Vikram - Thank god... usse milne se aasan toh Prime Minister se milna hoga... 

Supriya - Kya? 

Vikram - Kuch nahi.. aise hi joke tha..

Vikram aur Supriya aapas mein baatein karne lage, itno dino se mile bhi toh nahi they. Supriya usko party mein bhi kaam ke updates diye bina nahi reh paayi. Aur Vikram bas halke se muskura ke uski non-stop baatein sun raha tha.

Unke baat karte karte kisi ne mic se announcement ki - And now... lets have the first dance of the party... Isha and Vikram Singh...

Supriya ne dekha ki Isha dance floor ke beech mein khadi thi, aur logo ne uski chaaro aur ghera sa bana diya tha.

Supriya - Vikram... aapko bula rahe hai...

Vikram - Chalo... tum bhi...

Isse pehle Supriya kuch kehti Vikram Supriya ka haath pakad kar use ghere ki aur le gaya aur fir wahan ghere ke paas aa kar uska haath chhod kar dance floor par chala gaya. Vikram ne aage bad kar Isha ki kamar ko pakad liya aur ek romantic gaana shuru hote hi dono dance karne lage. Sab log khoob seetiyan aur taaliyan baja rahe they, Supriya bhi un mein shaamil thi. 

Thodi der dance ke baad, Isha ruk gayi aur zor se chillayi - Let's change the song... something more happening... not this boring thing that Vikram likes...

Kuch log zor se excitement mein chillaye aur gaana romantic se thoda fast beat mein change ho gaya. Isha ne kuch aur logo ko dance floor par kheecha aur woh kisi aur aadmi ke gale mein apni baahein daal dance karne lagi. Aur bhi couples dance floor par utar aaye they, par Vikram akela sa khada ye tamasha dekh raha tha. Usne ek dam se apni nazrein bheed mein daudayi aur jaisi hi uski nazar Supriya par padi, woh uske paas aaya aur uska haath pakad kar use dance floor par kheech liya.

Supriya isse pehle samajh paati ki kya hua hai, woh dance floor par thi, Vikram ka haath uski kamar aur kandhe par tha, aur woh dono dance kar rahe they. Vikram ki thandi ungliyaan Supriya ke shareer ke nange hisse par chhuu rahi thi, jisse Supriya ka poora jism kaanp uth raha tha. Dono ek doosre ke kaafi paas ho kar dance kar rahe they, aur photographer unki photos kheech raha tha, jiska flash uski aankhon par pad raha tha.

Supriya ko aisa lag raha tha jaise kaafi saari nazre is samay bas un dono par hi tiki ho. Aankhon ke kone se ek pal ke liye aise bhi laga jaise Isha ne un dono ko dance karte dekh gaur kiya ho. Gaana khatam hote hi Supriya jaldi se dance floor se hatt gayi aur door ek kone mein jaakar khadi ho gayi. Uski dil ki dhadkan bahut tez ho rakhi thi. Use itni limelight mein aane ki aadat nahi thi, abhi bas woh yahan akele khada hona chahti thi. Par use party mein apni aur aati ek jaani pehchani shakal dikhi, Atul ke boss ki wife - Renu. Woh Renu se kayi mahino se nahi mili thi, balki tabhi se nahi jabse uski beti Nikki ki shaadi hui thi.

Renu ke chehre par ek kutil si muskaan thi - Supriya... bade dino baad dikhi ho...

Supriya ne use halki si smile di - Renu ji... kaisi hai aap...

Renu - Main toh badiya hoon... tum batayo... waise dikh toh raha hi hai...

Supriya - Kya matlab?

Renu - Ajee wah... kya baat hai... itni bhi nasamajh toh nahi ho...

Supriya - Renu ji mujhe aapse koi baat nahi karni...

Renu - Haan ab bade ghar ki rakhail ban gayi ho toh mujhse kyu baat karogi... tumhare pati ko pata hai kya ki tum kya karti ho?

Supriya ne gusse mein ghoor kar dekha - Kya bakwaas kar rahi ho aap... aisa kuch nahi hai. Aur aap ye sab bol rahi ho? Aap bhool gayi kaise aapne mujhe....

Renu ke chehre ki hasi gayab ho gayi - Pratap ki baat kar rahi ho na... jise tumne Vikram se pitwaya tha..

Supriya hadbada ke boli - Nahi maine nahi...

Renu - Mujhe sab pata chal gaya tha... aur tumhe bhi aaj ek sach aaj bata hi deti hoon. Pratap ne mujh par shaadi todne ka koi pressure nahi daala tha. Maine jaanboojh kar tumhe uske paas bheja tha.. main tabhi samajh gayi thi ki tum kitni badiya raand banogi... aur lo aaj ban bhi gayi ho..

Ye sun kar Supriya ki aankhon se aansu behne shuru ho gaye they aur woh jaldi se wahan se door andar farmhouse ki building mein ghus gayi. Uski aankhon mein aansu bhare hone se use kuch bhi ache se dikhayi nahi de raha tha. Woh chalte chalte kafi andar pahuch gayi thi aur woh ekdam se kisi aadmi se takrayi.

Supriya ne bhari hui aawaz mein kaha - Sorry... I am sorry...

Woh aadmi Vikram hi tha - Supriya... kya hua... tum ro kyu rahi ho...

Supriya - Kuch nahi sir... aap please mujhe akela chhod de...

Vikram ne apna haath Supriya ke kandhe par rakha - Calm down please... 

Supriya - Nahi sir... pata nahi poori duniya kya sochti hai mere baare mein...

Vikram - Supriya... I know now is not the right time to say it... but logo ki parwah karna band karo... logo ko jo kehna hai woh kahenge hi... aur shayad mujhe bhi ye parwah karni band karni padegi...

Vikram ne ek dam se apne haathon se Supriya ka chehra pakda aur apna chehra uske chehre se lagate hue uske honthon par ek lamba sa kiss kar diya. Supriya ek dam shocked si reh gayi, par woh Vikram ko peeche nahi dhakelna chahti thi.

[Image: ezgif-67e260118cb93f.gif]

 Jaise hi kiss tooti woh ek doosri ki aankhon mein dekh rahe they jaise Vikram Supriya se aur bhi kuch chahta ho. Par bahar achanak music ruk gaya tha aur logo ke chillane ki aawaz aa rahi thi. Vikram ne bahar ki aur dekha aur na chahte hue bhi Supriya ka chehra chhodte hue woh jaldi se bahar ki taraf gaya. Supriya bhi uske peeche peeche bahar aa gayi.

Bahar ek ameer si aurat ek aadmi par chilla rahi thi, aur unke aas paas kafi bheed ikhatta thi - Isne meri ass ko touch kiya hai... kahan se aate hai aise cheap log in parties mein...

Supriya ne paas jakar dekha toh uske hosh hi udd gaye. Jis aadmi par woh aurat chilla rahi thi woh koi aur nahi, balki Atul tha. Supriya wahan stabdh si khadi reh gayi.
[+] 10 users Like Sriya2's post
Like Reply
Maine is update mein kafi story aage badane ki koshish kari hai. I know ye update sexual nahi hai but things will change very soon. And Iqbal is definitely in the picture, you will find out soon.

I know thodi alag type ki slow story hai.. par by the time this is finished, I hope everyone will like it.

There is a reason the story is going this way as I am unable to write the completely unrealistic way. I appreciate everyone’s feedback, maybe for now just think that you are reading something different, as there are a lot of stories that get to the sex part really quickly. 

The wait will be worth it, in my opinion. I cant wait for it to end soon so I can stop writing here.
[+] 3 users Like Sriya2's post
Like Reply
Great very emotional update boht maza a raha seductive hona chahy sex na b ho to chalay ga appreciated ?
[+] 1 user Likes Rizzi1198's post
Like Reply
Koi arousing scene add karo jase kisi bus ka safar ya phr lift mn iqbal ya kisi or k sath lift kharab ho jye andhere mn supriya ka koi faida uthay uski gand sa khale chuma chata or supriye bus enjoy kare darty hue
Its a suggestion not necessary
[+] 1 user Likes Rizzi1198's post
Like Reply
Bro just story ja rahi hai bahut hi achcha feel a raha hai aap bahut achcha likh rahe ho aise hi likhate raho aur timely update dete raho best of luck
[+] 2 users Like Abhi T's post
Like Reply
Update 55

Naya saal aa gaya tha par Supriya ke liye toh tension bani hi hui thi. Pichle do-teen hafte Supriya ke liye kafi stressful rahe they. Party mein jo hua uske baad Atul ko uski naukri se nikaal diya gaya tha. Supriya aur Atul ke beech is poore wakaiye ko lekar bahut jyada behas hui thi. Atul ke hisaab se yehi sab toh chal raha tha is party mein, koi kisi ki bhi biwi ko kahin bhi chhuu le. Uska ishaara Supriya aur Vikram ki aur tha. Usne un dono ko kiss karte nahi dekha tha par bahut hi kareeb ho kar dance karte toh dekha hi tha.

Supriya lad jhaghad ke itna thak chuki thi ki woh ab Atul ko koi safai nahi dena chahti thi. Uske hisaab se jo Atul ne kiya woh kaafi galat tha, jabki woh Atul se kahin jyada galat cheeze kar chuki thi. Ab Atul berozgaar ghar mein baitha tha aur Supriya office jaa rahi thi. Ye baat toh Atul ko aur bhi jyada chubbh si rahi thi, par woh ab kya hi karta, Supriya ko toh naukri karni hi padegi na.

Supriya ko Vikram ke saath ki gayi kiss bhi reh reh kar satati rehti. Shayad us din use gulab jamun aur ice-cream wali baat aakhir samajh aa hi gayi thi. Par woh apne aap ko samjhati ki woh Vikram ke baare mein soch bhi nahi sakti thi. Ek toh woh usse umar mein kayi saal bade they aur shaadi shuda bhi. Doosra woh uske boss they aur unka koi bhi jod nahi tha. Par jo bhi ho Vikram sir ne ek baat toh sach hi kahi thi Supriya ko ab duniya kya sochti hai ye sochna toh band karna padega. Kyunki Atul ne jo kiya uske baad toh duniya ki nazre use aur bhi paini lagne lagi thi. 

Supriya office pahuchi aur seedhe apne kaam mein lag gayi. Aajkal woh logo se jyada baat karna nahi pasand karti thi. Woh apne kaam mein lagi hi thi ki peon ne aakar usko bataya ki Sahil sir ne use meeting room mein bulaya hai. Supriya ne gehri saans bhari aur meeting room ki taraf chal padi. Meeting room mein sirf Sahil sir they aur unke face par thodi si pareshaani dikh rahi thi.

Sahil - Supriya come come... 

Supriya - Hello sir.. all good?

Sahil - Tum woh catalogue par kaam kar rahi thi na… tum woh kaam Akash ko handover kar do.

Supriya hairaani se boli - Kyu sir?

Sahil - Ummmm… I think wohi better rahega..

Supriya - Par sir.. koi reason toh hoga…

Sahil - Mere paas photoshoot wali company ka call aaya tha, tumne model ko dates sahi se communicate nahi kari.. and ab wahan poora mess ho rakha hai… woh bol rahe hai ki they cant work with someone so unprofessional.

Supriya - Sorry sir… maine toh sab ache se hi communicate kiya tha…

Sahil - I dont know… par tum Akash ko ye mess sort out karne do.. Kriti abhi holidays par hai nahi toh use bol deta…

Supriya ko ye sun kar thoda gussa sa aa gaya, par usne kisi tarah apne aap ko control kiya - Aapne Vikram sir se baat ki kya is baare mein?

Sahil - Isme Vikram se kya baat karni? Ye uska headache nahi hai… look I know tum kafi stressed out ho personal level par, so this is one less thing to worry about.

Supriya - Nahi sir… main sort out kar dungi ye.. main abhi wahan jaati hu…

Sahil - Supriya, I dont think koi fayda…

Supriya - Please sir… Main jaa rahi hu…

Supriya bina koi baat sune jaldi se khadi ho kar apne desk par gayi aur photoshoot wali company ka address nikala. Ye address use nahi pata tha ki kahan padega aur woh soch mein pad gayi ki woh ab kya kare. Par ab usne Sahil sir ke saamne itni badi baatein kar di thi toh peeche hatne ka toh sawal hi nahi hota tha. Shayad woh auto bhi kar leti par filhaal toh woh ek ek paisa soch samajh kar kharch kar rahi thi. Usne dimaag ke ghode daudaye aur bas ek hi naam uske dimaag mein aaya.

Supriya ne Iqbal ko call lagaya - Hello… Iqbal… kaise ho…

Iqbal - Madamji… main badiya… aap kaise ho….

Supriya - Main theek hu… actually aapki ek help chahiye thi…

Iqbal - Haan boliye na…

Supriya - Mujhe office ke kaam se Janakipuram jaana hai… aap le jaa sakte hai kya…

Iqbal - Madamji aaj toh mere paas gaadi nahi hai…

Supriya - Oh acha… chalo koi nahi main auto kar lungi…

Iqbal - Nahi… akeli anjaan jagah aap auto se mat jayo… main kuch intezaam karta hoon.

Supriya - Theek hai, par aap jaldi kar lena…

Call khatam hui aur Supriya besabri se Iqbal ka intezaar karne lagi. Thodi der baad Iqbal ka call aaya ki woh uske office ke neeche aa gaya tha. Supriya neeche pahuchi toh Iqbal ek motorcycle par tha.

Iqbal - Madamji… baitheyi… main ye dost se maang kar laaya hoon.

Supriya 1-2 pal ke liye ruki aur fir Iqbal ke kandhe par haath rakhte hue bike par baith gayi. 

[Image: ezgif-7528e3758b125a.gif]

Supriya ko kisi bhi halat mein wahan jaldi se jaldi pahuchna tha, aur usne Iqbal ko bike tej chalane ke liye bola. Iqbal farrate se bike chala raha tha aur Supriya ne Iqbal ke majboot kandho ko kas ke pakda hua tha. Iqbal toh jaise is samay jannat mein thi ki uski madamji ne use aise pakda hua tha. 

Itni tez speed mein hone ke karan jaise hi Iqbal ne signal par break lagaye, Supriya ki naram goliyaan Iqbal ki sakht peeth par thappp se jakar lagi. Supriya itni zor se takrayi ki uske boobs mein dard sa ho gaya. Supriya ki narmi apni peeth par Iqbal bhi mehsoos kar paaya tha.

Supriya - Ahhhhh….

Iqbal - Kya hua madamji… 

Supriya - Thoda aaram se chalayo….

Supriya apne ek haath se apne boob ko halke se masal rahi thi. Bike ke sheeshe mein Iqbal ko ye saaf dikh raha tha. Tabhi Supriya ki nazar sheeshe mein apni aur dekhte hue Iqbal se mili aur usne apna haath jhat se neeche kar liya.

Iqbal - Aapne bola tha madamji… ki aapko jaldi pahuchna hai wahan…

Supriya - Haan theek hai par aapne ekdam se brake maare na…

Iqbal - Aap aisa karo, mujhe kas ke pakad lo, toh main aur tez chala payunga…

Supriya jara sa hichkichayi aur fir usne apne haath aage karke Iqbal ke kandho ko kas ke pakad liya. Woh Iqbal se bilkul chipki hui thi, uska poora badan Iqbal ke badan se aalingit. Itni dhand bhi ho rahi thi toh dono ke chipke hue shareer se dono ko achi khaasi garmi mil rahi thi. Iqbal ki halat bas dekhne wali thi, aur woh kis tarah se focus karke bike chala raha tha. Ab toh bike to tez chalane ka bhi mann nahi tha uska, woh chahta tha ye safar bas chalta jaye.

Par madamji ko toh wahan pahuchana hi tha, aur wahan pahuch kar Supriya ne Iqbal par apni pakad dheeli kari.

Supriya - Shurkiya Iqbal… aap bas yahin wait karo.. main thodi der mein aati hoon..

Iqbal - Aap aaram se aayo madamji… mujhe koi jaldi nahi hai.

Supriya ne dekha ki ye kafi posh sa area lag raha tha. Uske saamne ek building thi, jisme woh jaldi se ghus gayi. Ground floor par hi chhota sa reception tha aur andar ek khuli jagah mein ek photo studio jahan bahut saare camera lage hue they. Supriya ne reception se photo studio ke director Kaushal ke baare mein poocha aur Receptionist ne use andar studio mein jaane diye. Supriya ko saamne ek aadmi dikha jisne ache se kapde pehne they aur in charge lag raha tha.

Supriya ne uske paas jaakar poocha - Hello... aap Kaushal hai...

Kaushal - Yes... aapko kisne andar aane diya?

Supriya - Sir... main Supriya... hamari baat hui thi aaj ke photoshoot ke liye...

Kaushal - Vikram sir ke yahan se? Oh god... toh tum ho woh jisne saara mess create kiya hai... no wonder... (usne Supriya ko upar se neeche dekha jaise uske kapdo ka majak uda raha ho).

Supriya - Sorry sir... woh shayad confusion ho gaya tha, and model aur aapki dates align nahi hui...

Kaushal - It's too late... ab doosri date dhoodna jo kam se kam three months se pehle nahi milegi...

Supriya - Sorry sir... but 3 months toh bohot jyada hai... please...

Kaushal - But where is your model na? I am here... woh kahan hai... 

Supriya - Oh... aapke paas koi aur model nahi hai shoot ke liye?

Kaushal - Ye Lucknow hai... Mumbai nahi... ki yahan bahar models ki line lagi ho... so unless you have a model hum shoot nahi kar sakte na...

Supriya bahut jyada pareshaan ho rahi thi. Itni badi gadbad toh kafi costly rahegi - Ummm... aap meri photos kheech lo... main outfits pehen leti hu...

Kaushal - Aise thodi na hota hai... koi bhi aayega aur woh model ban jayega..

Supriya - But aapka studio toh aaj ke liye booked hai na hamari company ke liye... toh fir aapko kya problem hai...

Kaushal gusse mein bola - Main Vikram sir ko call karta hoon... ye kaafi unprofessional hai... agar unki company nahi hoti toh main kab ka...

Supriya uske saamne gidgidane lagi - Please Vikram sir ko mat call kariye... trust me... I can do it... aap mujhe bas 30 minutes de dijiye... if it doesnt work main Vikram sir ko khud call karke bata dungi...

Kaushal - Tumhe na nahi samajh aata na... ok... go change right now... aur jab nahi hoga na tab main enjoy karunga jab tum Vikram ko call karogi..

Kaushal ne ek ladki ko ishaara kiya Supriya ko dress aur saath ki accessories dene ke liye. Woh ladki Supriya ko ek change room le gayi jahan use ek bhari sa lengha pehenna tha. Supriya ne jaldi se apni kurti aur pajami utaari aur woh lengha pehen liya. Us ladki ne bhi Supriya ki kaafi help kari. Ek doosri ladki aayi Supriya ka makeup aur hair thode se style karne ke liye. Jaldi jaldi karne ke baad bhi 20 minute lag gaye.

Kaushal - Hurry up... only 10 mins left for you...

Supriya bhaari lenghe mein jaldi se bahar aayi aur photo studio ke set mein khadi ho gayi. Use nahi pata nahi tha ki ab kya karna hai. Pehli wali ladki ne Kaushal ke kaan mein kuch kaha, aur Kaushal ne sir hilaya.

Supriya - Theek hai sir... aise hi khadi rahu...

Kaushal - Nahi neeche baith jayo. 

Supriya set ke floor par neeche baith gayi. Kaushal uske paas aaya aur uska chehra apne haath se pakad liya.

Kaushal - Camera ki taraf nahi dekhna hai.. doosri aur dekha hai.. aur apne haath is par rakh lo, pair peeche faila lo..

Supriya ne apne pair thode se peeche kiye, aur fir Kaushal ne lenghe mein haath daalte hue uska pair pakada aur side kar diya.  Woh wapas camera par gaya aur photo kheechte hue aur instructions zor zor se chillane laga. Supriya kisi tarah se apne aap ko calm rakhte hue zameen ki taraf dekhne lagi.

[Image: 467983282-18321777349094812-8825131868949629413-n.jpg]

Kaushal ki finally aawaz aayi - Ok, perfect... ye theek tha.. ab apna sir apne haathon par rakh do...

Kuch tries ke baad Supriya ko ye karna aa gaya tha, kafi jaldi seekh gayi thi woh. Use khushi ho rahi thi ki aakhir usne is impossible se dikhne wale kaam ko kar hi diya tha. Kaushal ne Supriya ke alag alag pose mein photos kheeche. Woh har pose banane mein Supriya ke paas aakar uski body ko sahi position mein karta. Supriya Kaushal ke kahin bhi aise chhone se khush nahi thi, par uske paas abhi option kya tha.

Kaushal - Ok good.

Supriya ne rahat ki saans li - Maine kaha tha na ki main kar lungi... see I did it...

Kaushal - Hmmm... fluke tha ye... anyway...

Supriya - Waise main pooch sakti hu ki aapki assistant ne kya kaha tha aapke kaan mein...

Kaushal - Hmmm... usne kaha tha pretty face hai... model face...

Supriya ye sun kar khush si ho gayi.

Kaushal - Ab yahan kyu khadi ho... jayo doosri outfit mein change karke aayo...

Supriya - Abhi aur bhi hain?

Kaushal - Haan toh tumhe lagta hai main ek outfit ke liye itna charge karta hoon... quick...

Supriya jaldi se andar ki aur gayi aur Kaushal ki assistant ne wahan doosri dress taangi hui thi. Par use dekhte hi Supriya ke toh hosh hi udd gaye. Ek chhoti si white dress thi, ye toh uske ghutne se bhi upar aane wali thi. Woh ye kaise pehen sakti thi. Usne assistant ko bulaya poochne ke liye ki kahin koi galdi toh nahi ho gayi, par usne confirm kiya ki dress yehi thi. Supriya ne kisi tarah himmat karke woh dress pehni. Woh dress itni chhoti thi ki agar Supriya jara sa jhukti toh uski panty dikh jaati. Supriya ghabrate hue bahar aayi.

Kaushal ne use dekhte hi apni aakhen badi ki aur fir uske paas aaya - Looks good on you, but turn around ek baar.

Supriya uske liye poora ghoom gayi, tabhi Kaushal ne uski gaand ki daraar mein haath daalte hue dress ko kheecha.

Supriya ek dam se darr ke uchhal padi - Ouch... ye kya kiya...

Kaushal ke face par ek gandi si smile thi - Tumhari dress stuck thi... use bahar nikaala hai...

Supriya ne Kaushal ko ghoor kar dekha - Aap mujhe bol dete...main nikaal leti..

Kaushal - Chalo... time nahi hai...

Kaushal fir se camera par chala gaya aur Supriya ko neeche apni khees par baithne ke liye bola. Upar se assistant flower barsa rahi thi aur Kaushal photo click kar raha tha. Par Supriya ka face serious tha.

[Image: Mrunal-Thakur-3.jpg]

Kaushal - Face ko relax karo... smile karo thoda... 

Kaushal frustrate ho kar fir se Supriya ke paas aaya aur Supriya ke dress ke straps theek karne laga. Supriya apne ghutno par baithi thi aur Kaushal upar khada hua. Uski pant Supriya ke muh ke kaafi nazdeek thi aur Supriya doosri aur dekhne ki koshish kar rahi thi. Tabhi usne ek dam se apne haath Supriya ke boobs ke paas laakar dress ko thoda neeche kheecha aur uske haath Supriya ke boobs ke upari hisse par jaakar lage. Supriya ne uski aur upar dekha aur woh muskura raha tha.

Kaushal - Kuch khaas dikh nahi raha tha... dikhana bhi jaroori hota hai na... Is baar smile ke saath karna.

Supriya chahti thi ye shoot jaldi se khatam ho jaye aur Kaushal use aise na chhue. Isliye woh jaise Kaushal bol raha tha waisa fatafat se karne lagi. Kaushal ne use bola ki woh apna ek haath upar karke thoda sa peeche bend ho. Supriya ko pata tha isse uski nangi jaanghe aur bhi dikhengi par usne waise hi kiya. Dress bas utni hi upar hui ki uski panty na dikhe, par uski gore masile pair saaf dikh rahe they. Aur saath hi uski saaf chikni bagal.

[Image: Gp-MZf-Oib-YAAe-DJ0.jpg]

Kaushal Supriya ki aur photos kheechne laga. Uski assistant fir se uske paas aayi. Is baar unki khusar phusar Supriya ke kaano tak pahuchi. Kaushal assistant ko bol raha tha - Bikini set room mein taang do...

Supriya ye sunte hi ghabra si gayi. Is dress ne bhi hadd si kar di thi, par bikini set toh kuch jyada hi ho jayega. Woh sochne lagi ki woh kya kare, kya woh bahar se Iqbal ko bulaye? Nahi fir toh bada sa tamasha ho jayega yahan.

Tabhi bahar se aate hue use Vikram sir dikhe, use apni aakhon par yakin hi nahi ho raha tha ki woh yahan kya kar rahe they. Vikram sir seedhe andar chale aaye, aur unki ek nazar Supriya par padi.

Vikram thodi sakht aawaz mein - Kaushal!! What's this?

Kaushal - Sir... isne bola tha ki ye aapki company se hai... main sure nahi tha isliye aapko message kiya.

Vikram ne Supriya ki aur dekha - Supriya... go change please...

Supriya sir hilate hue jaldi se change karne andar chali gayi. Woh apna salwar suit pehen kar bahar aayi toh dekha ki Vikram Kaushal par bhadak raha tha. 

Kaushal - Sir... trust me... usne bahut zidd ki thi...aap toh mujhe jaante ho...

Vikram - Achi tarah se jaanta hoon isiliye bol raha hoon..

Kaushal - Sir look at this... aapki company ke catalogue ke liye collage bhi bana diya. Itni fast hai meri team.

[Image: 491464512-17907050706103822-1747818206180845615-n.webp]

Vikram ne ek nazar photo par daali aur fir Kaushal ki aur sakhti se dekha - This is not going anywhere. Ye sab abhi delete kar dena. Negatives bhi. Main Jai ko bol dunga ki I am not working with you anymore.

Kaushal - Nahi... please sir... Jai sir ko mat bolna... reshoot kar lenge, koi problem nahi. Waise Jai sir wala photoshoot bhi ready hai, woh aapko...

Vikram - Not now!! Supriya, lets leave.

Vikram Supriya ke saath bahar reception area mein aa gaya.

Vikram thoda disappointed hote hue bola - Supriya... you should have called me... aisa yahan par akele nahi aana chahiye tha...

Supriya - Sorry sir... mujhe laga maine mess create kiya hai toh mujhe hi solve karna chahiye...

Vikram ne gehri saans li - Tum ye kyu sochti hu ki world ki saari problems tumhe akele hi solve karni hai....

Supriya neeche dekh rahi thi - Sir... aapko pata hi hai... Party mein jo Atul ne kiya uske baad...

Vikram - But that's not your problem... tumne toh kuch galat nahi kiya na...

Supriya - Par sir... Atul aur main... hum log.... and fir ab unki job bhi nahi hai...

Vikram - Maybe that's what he deserves...

Supriya ka chhehra buri tarah utar gaya tha. Use samajh nahi aa raha tha ki woh kya bole. Atul ne jo kiya tha woh galat tha par woh ek doosra chance jaroor deserve karta tha.

Vikram ne uska chhehra pad liya - Ok, I will see what I can do. But no promises. Chalo, let me drop you home.

Woh dono bahar nikle they ki Supriya ko thodi door Iqbal bike par baitha dikh gaya. Usne Iqbal ko wait karne ke liye bola tha, tab se 3 ghante ho chuke they aur woh abhi bhi wahan uska intezaar kar raha tha. Woh toh andar photoshoot mein Iqbal ko bhool hi gayi thi. Ab aise Iqbal ko chhod kar Vikram ke saath chale jaana toh kafi galat hoga. 

Vikram sir pata nahi kya sochenge agar woh dekhenge ki woh ek watchman ke saath jaa rahi hai. Par us din party mein unki kiss ke baad woh ab tak kabhi bhi akele mein saath mein nahi hue they, aur shayad yehi behtar tha. Filhaal toh woh Iqbal ke bahane se Vikram ke saath jaane se bach sakti thi.

Supriya ne himmat karke bol hi diya - Vikram... main aapke saath nahi jaa sakti... kisi ne mujhe yahan drop kiya tha aur woh mere liye wait kar raha hai... so I think mujhe uske saath hi jaana chahiye..

Vikram - Oh ok... kahan hai car... let me walk you to it..

Supriya ne Iqbal ki aur ishaara kiya - Woh bike.. wahan...

Bike aur Iqbal ko dekh kar Vikram ne koi khaas reaction nahi diya, aur woh dono Iqbal ki taraf chal pade. Jaise hi woh uske nazdeek pahuche, Iqbal bike se uth khada hua aur apni shirt theek karne laga.

Iqbal ne Vikram ko nazar andaaz karte hue Supriya se kaha - Madamji aa gaye aap... main bas andar aane hi wala tha... maine aapke phone par message bhi kiye they... mujhe laga aap kisi pareshaani mein toh nahi fas gaye...

Supriya - Haan sorry Iqbal... thoda jyada time lag gaya... ye Vikram hai, mere boss...

Vikram - Hello Iqbal... aap yahan Supriya ke liye ruke hue they itni der se...

Iqbal - Haanji sir... madamji ko lekar aaya tha, toh wapas bhi lekar hi jayunga.. aise kaise chala jaata...

Vikram - Haan, ye toh hai. Waise, kahan se hai aap?

Iqbal - Abhi toh yahin thikana hai.. par waise main Salimpur ke paas se hoon...

Vikram - Acha... theek hai aap le jaiye inhe... acha laga ye dekh kar ki aaj ke jamane mein bhi koi kisi par bharosa kar sakta hai...

Iqbal - Jee sir... chaliye madamji...

Supriya Iqbal ki bike ke peeche baith gayi aur use Vikram ko bye wave kiya. Vikram un dono ko jaate hue dekh raha tha.
[+] 10 users Like Sriya2's post
Like Reply
(12-05-2025, 12:07 PM)Shahid Khan Wrote: Iqbal real me Shareef hai ya uski koi planing hai Supriya ke liye?

Pata chalega shayad baad mein.. itna black and white nahi hai…
[+] 1 user Likes Sriya2's post
Like Reply
Khud pakdi nahi gey to sab theek or pati ne ek galti kar di to vo galat ye sahi hai sala hypocracy ki limit cross kar di hai is aurat ne khud 2 -2 land kha ke pati ka hath lagne par itna hanguma kyu ki vo pakdi nahi gey or pati se galti pakdi gey aiso aurto ko to narak me bhi jagah na mile
[+] 2 users Like Ayush01111's post
Like Reply
Very nice perfect updates awesome writing
Iqbal se Supriya Madamji ki massage kara do, night me Supriya madamji bahut tired ho jab because Atul bhi ghar par nahi hai to real feel hoga story me ab because Iqbal Supriya madamji ki help karne laga hai
[+] 2 users Like HBK♡♡'s post
Like Reply
Niceupdates
[+] 1 user Likes arvind274's post
Like Reply
Perfect
[+] 1 user Likes Rizzi1198's post
Like Reply
(13-05-2025, 11:37 AM)Ayush01111 Wrote: Khud pakdi nahi gey to sab theek or pati ne ek galti kar di to vo galat ye sahi hai sala hypocracy ki limit cross kar di hai is aurat ne khud 2 -2 land kha ke pati ka hath lagne par itna hanguma kyu ki vo pakdi nahi gey or pati se galti pakdi gey aiso aurto ko to narak me bhi jagah na mile

Bhai aishi randiya bhavisy banane k naam pr ghar se kadam bahar nikalti hai pr asal me y apne bhosde ki aag ko bahar shant krti hai fir pati aur pariwar jay daai chudane
[+] 2 users Like arvind274's post
Like Reply
Please help in rating this story higher than 3 stars so more people want to read it…
[+] 3 users Like Sriya2's post
Like Reply
bahut hi mast, garam aur behad hi kamuk story writing!
Vikram and Supriya ka kiss hot tha and Iqbal Supriya ka bike ride bhi hot thi and Supriya ka photoshoot bhi hot tha
Like Reply




Users browsing this thread: Sharmatyrion, 25 Guest(s)