Lakhan singh apni puri jaan lagakar daud rahe the aur sath hi surya ke ast hone ki taraf bhi apni nazre jamae hue the. Kuch hi minute baad Lakhan singh ko saamne thodi door par ek sundar bhawan nazar aane laga tha jo rang birangi roshni se jagmaga raha tha aur jiske dwaar par Devi Aphrodite ki ek pratima bhi khadi thi. Yani yahi wo jagah tha jaha is Grah shanti puja ka Grand finale yani aakhiri charan pura hona tha.
Lakhan singh ne apni gati aur tez kardi aur suryast hone se pehle wo us bhawan ke gate par pahuch bhi gae par gate par khade dwaarpaal ne unhe andar ghusne se rok diya. Aur hairaani ki baat ye thi ki wo dwaarpaal bhi ek mahila thi. Aaj ki grahpuja me unhe subah se kewal aur kewal mahilae hi mili thi.
Dwaarpaal: Theheriye aap Devi Aphrodite ke is bhawan me aise andar pravesh nahi kar sakte.
Lakhan singh (haafte hue): Phir hmmmmfff hmm kya hmmmfff karna hoga hmmmff andar jaane ke liye.
Dwaarpaal:Arpan aur Samarpan
Lagan: Arpan hmmmff Samarpan matlab.
Dwaarpaal: Pushp Arpan is bhawan ke charo taraf pushp vaatika hai jaha tarah tarah ke pushp lage hai apko waha se Devi Aphrodite ke priya pushp ko lakar Devi Aphrodite ke charno me arpan karna hai aur pushp ka chunaav dhyan se karna agar aapne galat pushp chuna to is bhawan ke dwaar apke liye band ho jaenge. Aur sheeghrata kijiye Suryaast hone me kuch hi pal shesh hai.
Itna sunte hi Lakhan singh us bhawan ke bagal me bani pushp vaatika me ghus gae. Waha tarah tarah ke pushp lage Bela, Champa, Chameli, Mogra,Gulaab, Rajnigandhq, Genda, Gudhal aur bhi kai. Par is baar Lakhan singh ke man me koi duvidha nahi thi unhe pata tha unhe kaun sa phool chunna hai, wo seedha Gulaab ke paudhe ke paas gae aur waha se ek sundar Gulaab ka phool le liya aur tezi se Devi Aphrodite ki pratima ke paas pahuch gae. Unhone wo gulaab ka pushp us dwaarpaal mahila ko dikhaya aur usne bhi muskurate hue sehmati me apna sir hila diya.
Dwaarpaal: Ab apko ye pushp Devi Aphrodite ke charno me arpit karte hue khud ko unhe Samarpit karna hoga. Apko apna poorna Samarpan karna hoga ki aage aaj ki saadhna me jo bhi karya honge aap bina peeche hate unhe pura karenge. Aisa karne ke baad hi apko andar pravesh milega. Par dhyan rahe ek baar Samarpan karne ke baad aap peeche nahi hat sakte.
Lakhan singh ke liye peeche hatne ka to sawaal hi nahi uthta tha. Aur ab tak intni sari vidhiya poori karne ke baad is aakhiri padaav par peeche hatne ka to sawaal hi paida nahi hota tha. Isliye unhone bina der kiye wo Gulaab ka pushp Devi Aphrodite ke charno me arpit kara. Aur khud ke Samarpan ki bhi shapath li.
Lakhan singh: Mai Lakhan singh putra shree Darshan singh aaj ki saadhna ke liye khud ko poori tarah se Devi Aphrodite ko Samarpit karta hu, aage is saadhna me jo bhi karya hoga mai bina peeche hate unhe pura karunga. He devi kripya mujhe apne bhawan me pravesh karne ki anumati de.
Isi ke sath us dwaarpaal mahila ne us bhawan ke darwaaze khol diye aur Lakhan singh use bhi dhanyawaad karke bhawan ke andar pravesh kar gae. Andar wahi mahila jise unhone menhdi wala paatra diya tha unka intezaaar kar rahi thi
Mahila: Aakhir aap samay se yaha aa hi gae. Maanna padega is umar me bhi apki furti aur tezi kisi naujawan yuvak ko bhi peeche chhod de. Suna hai apne dangal me apne se aadhi umar ke khud se tagde pehelwaan ko hara diya tha. Aur sabhi graho ki puja ke sabhi charno ko badi kushaltapoorvak paar kar liya. Sach me iske liye aap badhai ke patra hai.
Lakhan: Waise in sabme mai akela nahi tha insabme Vineeta jee ka bhi barabar ka yogdaan ya yu kahu shayad unka yogdaan mujhse bhi jada tha. Mai to apne pariwaar ke liye ye sab kar raha tha par unhone jis tarah bina kisi swarth ke ye sab kara uski koi tulna nahi ki ja sakti.
Mahila: Bilkul sahi kaha aapne unki jitni prashansha ki jae kum hai. Aur ye sab aap dono ke sammilit prayaso ka hi parinaam hai jo aap is sadhna ke aakhiri padaav tak pahuch gae hai. Bus apki Grah shanti ki puja sampann hone kewal aaj ki raat shesh hai bus jis tarah ab tak aap dono ka sahyog karke puja ke har charan ko pura kara hai aaj raat ke bache hue charan aur pure kar le.
Lakhan: Bilkul humara bhi yahi prayaas rahega. Waise Vineeta jee kaha hai kya wo bhi isi bhawan me hai.
Hmm wo bhi yahi hai par aap unse abhi nahi mil sakte kyuki wo bhi is waqt apni ek alag tarah ki saadhna me leen hai aur ab apki aur unki mulakaat raat me hi ho paengi. Puja ke aage ke charan apke aur unke sath raat 9 baje tak hi prarambh honge tab tak aap 3-4 ghante vishram kar le taaki raat ki puja ke liye aapko kisi tarah ki thakawat na rahe, aaiye mai apko apka vishram kaksh dikha deti hu.
Wo mahila Lakhan singh ko ek kamre tak le aai.
Mahila: Ab aap yaha 3-4 ghante araam kariye, meri aapki mulakat ab raat 9 baje puja ke agle charan ke samay hi hogi theek hai.
Itna keh kar wo mahila waha se chali gai. Kamre me ek aramdayak bistar tha bistar ke kinaare taaze falo ki tokri rakhi thi. Aur khidkiyo se aati hawa alag hi anand ki anubhuti kara rahi thi. Lakhan singh subah se bhooke bhi the unhone pehle to bistar ke sirahne rakhe fal khae aur phir bistar par let gae. Is puja ke prarambh se ab tak lakah singh ko kabhi zameen, kabhi jungle kabhi patto par sona pada tha ab jake unhe ek aramdayak bistar naseeb hua tha Isliye bistar par lette hue safar se thake hone ke karan unhe neend aa gae. Puja ke shuruaati charan to Lakhan singh ne thodi bahut dikkat ke bawjood badi saralta se pure kar liye the ab dekhna ye tha ki aage aane wale charano me kya nai chunauti unki pratiksha kar rahi thi.