Jab sab shopping karake ghar jate hai toh chandana usake room me chali jati hai. Kiran bhi apne kamare me chala jata hai. Pooja aur Amar leaving room me baate karte baithe hote hai. Chandana change karke aa jati hai aur Sofe par baithati hai. fir oh tino baate karate baithate hai. Kiran room se bahar aata hai. Aur chandana ko bolta hai
Kiran - Mummy muze aap se ek jaruri baat karni hai
Chandana - Ha karo
Kiran - Yaha nahi aap aandar aayengi kya?
Chandana - Yah kar sakte ho Pooja aur Amar koi paraye nahi hai
Kiran - Thik hai mummy. mai chahta hun ki shadi ke baad hum jab US jayenge toh tum bhi hamare sath US aaogi.
Chandana - Han aaungi usame kon si badi baat hai?
Kiran - Mera matlab Hamesha ke liye.
Chandana - Hamesha ke liye nahi aaungi
Kiran - Mummy aab yaha par rukne me ky point hai
Chandana - Fir bhi nahi aaungi. tum dono jao aaram se raho meri chinta mat karo.
Kiran - Mummy aap ki umra aab sirf 46 yrs hai aur aapako US me aane se koi problem nahi
Chandana - Fir bhi nahi aaungi. Mai yaha aakeli rahungi.
Kiran - Toh aap nani ko sath me rehene kokyu nahi bulati.
Chandana - Kisi rishtedar ka naam mat lo hum dono ke alavaahamar koi nahi. jab tumhare papa hum logo ko chhodke gaye the tab sab ne humse muh fer liya tha.
(Kiran Chandana ke pas jata hai aur usaka hath pakad ta hai)
Kiran - Mummy aap ne muze bahut mehnat karake pala posa hai. Aap aagar nhi aati toh mai hi India return aata hun.
Chandana - Aise mat karo beta, tum dono ka career hai mere bare me mat socho.
Kiran - Lekin Mummy aap yaha aakeli.
Amar - Kiran lekin Aunty yaha aakeli kaha hai. Mai hu na unka khayal rakhne ke liye.
Kiran - Yar tum bhi toh delhi me rehete ho
Amar - Nahi mai aab fir se Mumbai shift honewala hun.
Kiran - Mummy aagar aap bura na mane toh ek baat kahu.
Chandana - Bolo beta.
Kiran - Mai aapko ek chit me likh kar deta hun.
Aur ek paper pe Kiran kuch likhta hai aur chandana ko deta hai. Chandana oh padhati hai aur fir hasne lagti hai. Amar ke chehre pe tension badh jata hai. Chandana bolti hai -
Chandana - Mera beta meri dusari shadi karwana chahta hai
Kiran - Mummy aap isako majak mat samjhiye. mai serious hun. Pooja ke ek dur ke uncle hai. aap sirf ekbar unase mil lo. ek minute, pooja tumhare mobile me unaki pics hogi. dikhao.
Pooja mobile me Uncle ka pic search karake Chandana ko dikhati hai. Amar ka chehra sach much dekhne layak tha. usake hath aur pair bar bar hila raha tha. ek baichaini usake movement me dikh rahi thi. Chandana ne Uncle ka photo dekha aur Amar ki taraf ek halkese najar feki, usake chehre pe ek naughtyness dikh raha tha aur kaha vaise Pooja tumhare uncke dikhne me handsome hai lekin mai bad me sochungi usake bare me. pehele tum dono ki toh shadi karo.
Amar ne chandana ke hath se mobile liya aur bola - Pooja tumhare uncle Aunty se bahut jyada aged hai
Pooja - Aare Amar bhaiya ye Aunty se sirf 2 sal bade hai Aur socho Kiran ke papa ko aagar ye pata chala toh oh jal jal ke koyala ho jayenge.
Ye baat sunkar toh chandana aur pooja dono hasane lage. Amar bola-
Amar - Tum bhi kya baat karti ho Pooja, Kiran ke papa kojalane ke liye tum Aunty ka hath kisi ke bhi hath me dogi kya?
Pooja - Amar bhaiya lekin mere uncle bahut aachhe insan hai.
Amar - Aab aunty ne kaha na, ki oh bad me sochegi, toh bad me sochegi. aab usake bare me kyu discuss karna.
Pooja - Lekin Amar bhaiya, Mummy ji ki shadi me aap kyu itna negative ho rahe hai
Amar aab thoda sharmata hai aur Chandana bhi ek naughty smile ke sath pooja ke taraf dekhti hai. Kiran ka mobile bajt hai aur oh aapne room me chala jata hai. Amar bhi usake pichhe chala jata hai. Pooja Chandana ke pas jati hai aur bolati hai "ye Amar bhaiya bhi na bahut jyada hi senti ho rahe hai. Aapki shadi na hone me inako kya itna interest hai. kahi Amar bhaiya aapake pichhe…..".
Aab Chandana sharma jati hai aur jhooth mooth ke ghusse se badi aankhe karake pooja ke taraf dekhti hai lekin usake chehare pe ek sharmili smile chhip nahi pati.