"Are bhagwaan kahan ho aaj chai naseeb hogi ya nahin"
bahar hall se aawaj aayi
Ye hai sanjeev, ek businessman, isse bas buisness karne se matlb hai or paise kamane se,lekin kuch samay se iske bahut loss lag raha hai or sar par kaafi karj bhi ho gaya hai...
savita: aati hu baba sab milke pareshann kar ke rakh dete ho subh subh..... akele kya kya karun
sanjeev: achha vo sab choro chai pilau, tumhe to pata hai na subh subh mujhe chai peene ki aadat hai or aaj ravi ko bhi chorne jana hai fir udhar se hi khaana ji ke yaha nikal jaunga dekhun agar paise ka kuch ho paaye to
savita: maine to pehle bhi kaha tha ki unse paise mat lo vo theek aadmi nahi hai lekin meri koi sunne tab na
sanjjev: ab subeh subeh gyaan mat do, chai do chai..
( savita kitchen me chaki jati hai or chai banate hue ravi ko uthne ke liye aawaj lagati hai)
ravi: chal uth ravi aaj tujhe delhi jana hai ( ravi khush hota hua khud se kehta hai or aankh malte hue uth jaata hai)
ravi: haan maa uth gaya bas
sanjeev: good morning beta, jaldi fresh ho jao hame nikalna hai
ravi: papa aap bhi aa rahe ho saath mein
sanjeev: are nahi mujhe tere khanna uncle se kuch kaam hai to tujhe drop kar dunga fir udhar se hi nikal jaunga
savita: lo chai lo, le ravi tu bhi le le tab tak mai naasta pack kar deti hu raaste mein kha lena
(aap log soch rahe honge ravi aakhir jaa kaha raha hai
Ravi jaa raha hai Delhi apne ek lauti behen se milne
uska naam hai Rupa. jaisa naam waisa hi banaya hai bhagwaan ne..... ab kya kahe samjh kijiye bipasha basu jaisi dikhti hai..... jo bhi dekhe bas kho jaye..
Rupa ke baare mein or jaan lijiye.... use ghumne firne ka behad shauk tha par ghar walon ne uski shadi karwa di darasal uske papa ne ek baar use kisi ke saath dekh liya tha, ye baat uske papa ne kisi ko nahi batayi bas Rupa ki shaadi kara di vo bhi Delhi me taki us ladke se hamesha ke liye peccha chhut jaye.....)
Aadhe ghante baad:
Ravi: chalo papa mai ready hu
savita: are ye naasta to rakh le
sanjeev: kya tum bhi thoda jaldi nahi kar skati kahin late na ho jaye
Savita: Dekh tu pehli baar apni didi ke ghar jaa raha hai shaadi ke baad vo to mai bhi aati lekin ab kya kahe tere papa ke karan kahin jaa bhi nahi paati hu..
sanjeev: are thik hai na hum log agle mahine chale jayenge.... waise bhi Ravi to abhi rhega vaha 2-3 mahine
ravi: haa maa tum chinta mat karo or papa ka dhyaan rakhna or apna bhi agle mahine pakka aana mai wait karunga or didi bhi
sanjeev: chalo taxi aa gayi
ravi or sanjeev taxi me baith kar nikal jate hain
(Station pe)
sanjeev: achha beta achhe se jaana
Ravi: thik hai papa bye
sanjeev: Didi ka dhyaan rkhna or apna bhi
Ravi: haa papa ab aap jao aapko bhi kaam hai
sanjeev: thik hai
Sanjeev waha se khaanna ke ghar ke liye nikal jaata hai or train Delhi ke liye, Train ko delhi pahunche mein avhi time hai tab tak aaiye dekhte hai ki ye khaana kaun hai or kis paise ki baat ho rahi thi savita or sanjeev ke beech mein
sanjeev ek bunglow ke saamne khara ho kar rumal se apne pasine ponch raha or man me soch raha
sanjeev: kya karun kaise jaun andar ye manega ya nahi savita thik hi kehti thi maine bahut badi galti kar di)
Darte hue sanjeev andar jaata hai or door bell bajata hai thodi der baad ek aadmi darwaja kholta hai ekdum hatta katta, 6 foot lamba, lambi daadhi
aadmi: kaun ho bhai kya chahiye?
sanjeev: apne man mein( arey ye kaun hai dekhne se to naukar lag raha lekin yaha to chotu kaam karta tha ye kaun hai?
aadmi: are bologe ya bulwaun mai
Tabhi ek aadmi seedhiyon se niche utarta hua aata hai
gora chitta, Ghani muuch, mucch ko tav deti ungli or ungli mein sone ki anguthi, gale mein sone ka chain
ekdam raja ke jaise
Sanjeev ki jaise hi najar parti hai uske hanth panv kaanpne lagte hain vo hanth jo kar khara ho jata hai
sanjeev: prrrr..... pranam khaana ji ( kaanpte aawaj mein)
Khanna: aao aao sanju babu tumhara hi intezar tha.... tum to ek dum gayab hi ho gaye agar aaj tum nahi aaye hote to hahahahhah
sanjeev: Malik vo......
khanna: kya voooo..... maine jo kaha tha vo hua ya nahi ye batao nahi to isko dekh rhe ho naya bodyguard rakha hai maine aslam tumhari acchi khaatir darri krega
savjeev: maalik rehem, aap to itne bade aadmi hai....
samjhne ki koshish karein. Mera buisness sara thap ho gaya, ab kaise kya karun kuch samjh nahin aa raha.... rehem karein kuch waqt or de dein
khanna: (chilaate hue) kya samjh rakha hai mujhe main yaha koi khairaat mein paise nahi baant ta.
khanna itni jor se chilaya ki ravi ghabra ke piche girne hi wala tha....
aslam: arey sambhal ke abhi hi haddi tut gayi, to mai kya todunga hahahahha
khaana: arey ye kiska wallet hai aslam
Sanjeev: Khaana ji me....ee..rraaa.. ha...i
khaana: jeb me futi kauri nahi or wallet le ke ghumta hai dekhun to hai kya isme
khaana jaise hi wallet kholta hai dang reh jata hai
1 minute tak dekhta rehta hai
khaana: Ye kaun hai
Sanjeev: meri biwi hai, savita.
khannaa: Tum to keh rahe the tumhare paas kuch nahi hai hahahahahha
sanjeev: mai kuch samjha nahi sach mein hamare paas kuch nahi hai dene ko....
Kahnaaa: hahahahah achaha kaha hai abhi savita
sanjeev: ghar par hai
aslam ke mobile me tabhi phone aata hai or vo use khaana ko dete hue kehta hai ki aapka phone hai
khaana: (phone lete hue) sanjeev abhi tum jao tum bach gaye ki mujhe ye phone aa gaya nahi to aaj hi hahahahah
saneev: mai samjha nahin malik
khanna: jald samjh jaoge
sanjeev ko to waha se kaise bhi nikalna tha vo bina kuch bole waha se nikal jaata hai yaha tak ki apna purse bhi wapas nahin maangta ab baaki update
baad mein