Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Intehah................(A Tale Of Lust)
#21
  Intehah (story Of Limitless Love, Revenge, And Lust)

Update -01

Date- 14-feb-2015

Shaam ka waqt tha...........poori duniya jahan khushiyan mana rahi thi.........valentine day ke us khaas din ki............jahan sare premi apni apni premikawon ko dher sare tohfe de rahein they..........phool de rahein they........kahin apne pyaar ka izhaar kar rahein they.........wahin kuch ankahi baatein bhi khamosh labon par unke darmiyan zaahir ho rahi thi..........jahan kai chehrey par khushiyan jhalak rahi thi wahi ek saksh aisa bhi tha jiske chehrey par kewal mayusi thi.......

aankhon mein dher sare aansoon liye hue............wo is waqt apne bister par bilkul khamosh baitha hua tha..........bilkul akela sa........gumsum...........nakaami saaf uske chehrey par jhalak rahi thi..........jaise kisi cheez ko paane ki usey chaah ho aur wo cheez usey na mili ho.........ya cheen li gayi ho...........zubaan poori tarah se khamosh they magar dil mein jaise koi bahut bada sa toofan utha hua tha...........itna bada toofan jisey rokna aab shayad uske bus mein bhi nahi tha.........aur aab wo toofan bahut jald kisi na kisi roop mein aakar uski zindagi mein dastak dene wala tha.......shayad uski maut ke roop mein..................

kamrey ki sari khidkiyaan poori tarah se band thi.........darwaza bhi barabur laga hua tha.........na hi aab us kamrey mein kisi prakar ki koi aahat thi........aur na hi koi awaaz........magar is gehri khamoshi mein ek cheez jo pal pal us khamoshi ko todh rahi thi........wo thi uski dil ki dhadkhan..........jo waqt ke saath saath aab bahut tezi se dhadaktey jaa rahi thi.........kuch nafrat ki wajah se..........to kuch pratishshodh ki wajah se............kuch der tak wo saksh bister par yu hi khamosh baitha rehta hain aur apne beetey hue atteth ke bare mein sab kuch sochney lagta hain...........

sari ghatna ek ek kar kisi film ki tarah uski aankhon ke samney ghumney lagti hain.........aur aakhirkar ek aakhri shabdh uske dimag ko puri tarah se jhankjhodkar rakh deta hain........." jawo........agar tum mujhse itna hi pyaar karte ho to jakar kahin apni jaan kyon nahin de dete...........hain tummein wo himmat............jaan dene ke liye kaleza chahiye............is seenay mein dum hona chahiye........yahan log baatein bahut badi badi kiya karte hain magar yahan koi kisi ke liye kuch karta kuch nahin.........tum bhi unhi sab mein se ek ho.........aur mujhe pyaar jaisi cheezon par bilkul bhi bhasoha nahin.........aur ye raha mera jawab............tumhare is pyaar ka..........." love letter ke kai sare tukdey karke us ladki ne us saksh ke mooh par de mara tha..........jo chot uske dil mein aab nasoor ban gaya tha..........kabhi na bharne wala zakhm wo pal usey aab de gaya tha.........

aansoon aab bhi lagataar uski aankhon se baras rahein they..........wahin dil mein chupa dard aab badta jaa raha tha.........beetatay waqt ke saath saath...........aur aab ye dard is hudd tak badh chuka tha ki us dard ka ilaaz us saksh ke paas maujood nahin tha.........kuch der tak wo chup chaap yu hi rota rehta hain........fir samney table par rakhi hui ek choti si sheeshi par jab uski nazar jati hain uski aankkon se aansoon dheere dheere sookhney lagte hain...........aab shayad wo kuch faisla kar chuka tha..........aab wo ghadi aa chuki thi kuch kar guzar jane ki..........apna pyaar ko sahi saabit kar pane ki..........

uske honton par ek hulki si muskaan tair gayi.........aur haath khud ba khud us sheehi ki taraf badhte chale gaye..............aankhein haule se band hone lagi...........aur jo honth sile they wo khud ba khud khultey chale gaye............aur tab tak khule rahe jab tak wo zehar ki sheeshi ki aakhri boond uske halak mein poori tarah se utar nahin gayi.............kuch der tak us kamrey mein gehri khamoshi rahi..........fir us saksh ki aankhon mein aansoon fir se baras pade..........shayad apni haar ki wajah se..........ya fir apni zindagi se mili us shikasht se.............jo jeetey jee wo kabhi usey nahin bhula sakta tha.............

kuch der baad uske jism mein jaise jaise zehar ka asar badhney laga.......uski takleefein bhi waqt ke saath saath dheere dheere badhney lagi...........aankhein dheere dheere band hoti chali gayi...........

" main buzdil nahin hoon...........buzdil nahin hoon.........." shayad ye uska aakhri shabdh tha aur..........................uski zubaan humesha ke liye khamosh ho chuki thi..........takleef aab is hudd tak badh chuki thi ki aab uske liye wo dard sehna bardaast ke bahar tha...........aur shayad aab usey is takleef se mukti bhi mil chuki thi.............kamrey mein ek baar fir se gehri khamoshi thi............magar is baar na hi kahin koi shor thi.............. aur na dil ki dhadakney ki koi awaaz............kyon ki aab wo dil ki dhadkan bhi humesha humesha ke liye kahin aab band ho chuki thi...........................ya shayad aab us dil ne dhadakna aab band kar diya tha........................................................

Continue...................................................................................
[+] 1 user Likes Ajaykumar82's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#22
Welcome bhai...
pls “Pic & gif “ bhi add karo
Like Reply
#23
very nice start and also a sad feeling
Like Reply
#24
Nice  bro..! yourock
Like Reply
#25
(07-05-2019, 07:34 PM)Ajaykumar82 Wrote:   Intehah (story Of Limitless Love, Revenge, And Lust)

Great bro... Your writing Every word defined his feeling of love ...let's see aage Kya hoga...
Like Reply
#26
Congratulations Ajay bhai for your new story...
Bas iss story ko bhi apki baki stories ki tarah garam aur kinky bana dena...  ;) Smile

Waiting for the next hot update.... yourock
Like Reply
#27
(07-05-2019, 07:52 PM)Sanjay335 Wrote: Welcome bhai...
pls “Pic & gif “ bhi add karo
thanks bhai.......wo dekha jayega.....

(07-05-2019, 08:06 PM)Romi Wrote: very nice start and also a sad feeling
thnks for reading.......keep in touch.....
[+] 1 user Likes Ajaykumar82's post
Like Reply
#28
(07-05-2019, 08:28 PM)Jaan Wrote: Nice  bro..! yourock

thanks yaara.....saath bane rahiyega...

(07-05-2019, 10:40 PM)Guy93 Wrote: Great bro... Your writing Every word defined his feeling of love ...let's see aage Kya hoga...
thanks yaara........ye to bus shuruwaat hain yaara.....aagey to bahut kuch hone wala hain....
Like Reply
#29
Update do
One punch man
Like Reply
#30
My fav.ajay...wkcm
Like Reply
#31
My fav.ajay..wlcm back......nyc starting..????
Like Reply
#32
(08-05-2019, 07:59 AM)Ajaykumar82 Wrote: thanks yaara.....saath bane rahiyega...

thanks yaara........ye to bus shuruwaat hain yaara.....aagey to bahut kuch hone wala hain....

Hi,
     It's good to see u are here. I have read it previous stories and I love them. And it's my humble request to u that could u please start ur previous story "Ab........bas recall". I love that story plot and the way u where writing it. Hope u would consider my request.
   
                                                        With love  yourock
Like Reply
#33
Wohoooo.. you are here... so good to see you barother..n congratulations for n new story and thank you for coming here..?????
Like Reply
#34
(08-05-2019, 02:05 AM)KareenaKapoorLover Wrote: Congratulations Ajay bhai for your new story...
Bas iss story ko bhi apki baki stories ki tarah garam aur kinky bana dena...  ;) Smile

Waiting for the next hot update.... yourock
thanks yaara.......aapko yahan par dekhkar mujhe behad khushi ho rahi hain.....aagey bhi saath bane rahiyega.......ye kahai ab bus recall ka sequal hain......ye ussey bhi hot hoga........i think........
(08-05-2019, 08:45 AM)Tahirkhan15 Wrote: Update do
agla update aaj shaam ko
Like Reply
#35
(08-05-2019, 08:56 AM)Rahul25 Wrote: My fav.ajay..wlcm back......nyc starting..????
thanks yaara......keep in touch.......aagey bhi saath dete rahiyega....

(08-05-2019, 10:33 AM)Romeodie4juliet Wrote: Hi,
     It's good to see u are here. I have read it previous stories and I love them. And it's my humble request to u that could u please start ur previous story "Ab........bas recall". I love that story plot and the way u where writing it. Hope u would consider my request.
   
                                                        With love  yourock
thanks yaara........bro ye kahani bhi ab bus ke sequel rahega.....ismein wwo sab cheezien hongi jo readers padhna chahtey hain........i will try my best....saath bane rahiyega....
Like Reply
#36
(08-05-2019, 11:31 AM)Kinkpink Wrote: Wohoooo.. you are here... so good to see you barother..n congratulations for n new story and thank you for coming here..?????

thanks yaara........isi tarah mera hausla bhi badhatey rahiyega......agla update shaam tak aa jayega......
Like Reply
#37
Gajab ka aaghaz hai bhai....maan gaye aapko...platform chahe jo v ho ap apna best dete ho...xossip band hua to mere chehre pe mayusi thi...ab bass recall ka itna fan ho gaya tha ki mai depression m chl gaya bhut roya tha ...fir xossipy site ka pta chala to ummeed ki kiran dikhi ki aap jarur aaynge or ab bass restart karenge ..or aap aaye jarur wo khani ni par nayi jabardast khaani k saath....aap bhut bade writer ho erotica ke...thanxx ajay bhai nayi story k liye...
Like Reply
#38
very very nice start.Thanks new thread
Like Reply
#39
(08-05-2019, 01:41 PM)Anmolkjain Wrote: Gajab ka aaghaz hai bhai....maan gaye aapko...platform chahe jo v ho ap apna best dete ho...xossip band hua to mere chehre pe mayusi thi...ab bass recall ka itna fan ho gaya tha ki mai depression m chl gaya bhut roya tha ...fir xossipy site ka pta chala to ummeed ki kiran dikhi ki aap jarur aaynge or ab bass restart karenge ..or aap aaye jarur wo khani ni par nayi jabardast khaani k saath....aap bhut bade writer ho erotica ke...thanxx ajay bhai nayi story k liye...

thanks yaara....aapko dekhkar yahan aacha laga...........koshish yehi rahegi ki ye kahani ab bus se bhi aagey jaye.......bus isi tarah se shaath dete rahiyega....

(08-05-2019, 02:48 PM)QueenBee Wrote: very very nice start.Thanks new thread

thanks yaara...for your valuble support..........
update bus thode der mein haazir hain................................
Like Reply
#40
Update 02

" main buzdil nahin hoon...........buzdil nahin hoon.........." shayad ye uska aakhri shabdh tha aur..........................uski zubaan humesha ke liye khamosh ho chuki thi..........takleef aab is hudd tak badh chuki thi ki aab uske liye wo dard sehna bardaast ke bahar tha...........aur shayad aab usey is takleef se mukti bhi mil chuki thi.............kamrey mein ek baar fir se gehri khamoshi thi............magar is baar na hi kahin koi shor thi.............. aur na dil ki dhadakney ki koi awaaz............kyon ki aab wo dil ki dhadkan bhi humesha humesha ke liye kahin aab band ho chuki thi.........................................................................

Ab Aage........................................................................

After 4 months.................

Gurgaon sehar mein stith ek 15 manzil buliding par ek saksh raat ke kareeb 10 baje akela ........gumsum sa..........apni yaadon mein khoya hua tha............nashe ki wajah se uski aankhien surkh laal thi........magar kahin na kahin un aankhon mein aansoon ki chand boondein bhi nazar aa rahi thi............aur dil mein dher sara gum............jo uski aankhein pal pal uske dil mein chupe hue us dard ko bayan kar rahi thi............aisa lag raha tha mano wo apni zindagi se haar gaya ho.........ya usey aab jeeney ki iccha khatam ho gayi ho...........

wo fauran apne kadam aagey ki taraf badhata hain aur jab uski nazar neechay jameen ki taraf jati hain uske dil mein durr ki ek tezz lehar daud jati hain.........agle hi pal wo marney ka khyaal apne dil se nikal deta hain..........magar khyaal nikalte hi fir se uske dil mein daba dard dheere dheere uspar havi hone lagta hain..........aur guzarte waqt ke saath saath uska dard fir se badhta chala jata hain..........kadam ek baar fir se ladkhada padte hain..........aur wo fir kuch sochkar us building ke aakhiri chor ki taraf dubara chal padta hain.........

aab wo ek baar fir se dorahe par khada tha..........jahan ek taraf uski zindagi thi..................to dusari taraf uski maut.......chunana fir se usey kisi ek ko tha...........waise to wo marney ke iradey se wahan gaya tha magar shayad durr ki wajah se.......wo apne kadam aagey nahin bada paa raha tha..........wo kuch der tak isi asmanjash mein dooba rehta hain........fir wo apne aankhon se behtey aansoon poochta hain......aur apne iradey ko aur mazboot karta hain............himmat to uske ander zara bhi nahin thi magar dil mein zakhm itna gehra tha ki is baar uske kadam khud ba khud apni maut ke taraf badhtey chale jate hain...........shayad aab usney marney ka poora irada bana liya tha..........ya faisla kar chuka tha..........

wo ek nazar apne charon taraf dekhta hain..........raat ke andhere mein wahan gehri khamoshi to thi magar neechay gadiyon ka shorgul bhi sunayi de raha tha...........wo kuch sochkar haule se apni dono aankhein band karta hain........aur gehri lumbi saans chodhta hain..........ek baar fir se uski dil ki dhadkanein guzarte waqt ke saath tezz hoti chali jati hain...........aur agle hi pal uske kadam khud ba khud badhtey chale jate hain............apni maut ke taraf.............

fir uska jism hawa mein kuch pal tak lehrara hain aur...............15 manzil building se uska jism neechay farsh par bikher jata hain.............aab shayad uski saans toot chuki thi......aur jism ke kai hisson se khoon beh raha tha......sir mein itni gheri chot aayi thi ki uski dono aankhein bahar ki taraf nikal aayi thi.............aab sab kuch pal bhar mein shant ho gaya tha..........sansein bhi..........aur dhadkan bhi............bheed kuch hi der mein wahan jama ho gayi thi...........wahan khade log bus tamasha hi dekh sakte they.............kar kuch nahin sakte they............aur waise bhi aab karney ko kuch reh kaha gaya tha..............

*********************************************************************

waise to bade sehar mein is tarah ki ghatna har roz hoti rehti hain.......aur is tarah ki ghatna wahan ke liye aam baat hain..........aur is ghatna se zyadatar logon ko fark bhi nahin padta...........magar ek saksh aisa bhi tha jo is hue haadse se poori tarah toot gaya tha.........aankhein uski bhi num thi magar kahin na kahin usey ek gehra dhaaka zaroor laga tha...........pratishosh ki bhavna liye wo kafi der tak yu hi khamosh rehta hain aur fir achanak se kahin uthkar chal padta hain...........in sab se kahin door...........shayad aab usey apni manzil ki talash thi............ya fir usey apni mazil nazar aa rahi thi.............................................

security officer station......

" tune aaj ka akhbaar padha kya gokhle...........har roz sala wahi gheesa pita news...........sala kal raat fir se ek ladke ne 15 manzil building se koodkar apni jaan de di.........hoga sala koi pyaar ka mara........bechara..........khaya hoga usney kahin pyaar mein dhokha..........." aur wo saksh itna kehkar haule se hans padta hain..........wahin samney baitha sub inspector bhi dheere se hans padta hain..........

" sahi keh raha hain tu diwakar...........ye sala aaj ka generation bahut bekar ho gaya hain..........sala kisi pe bhi bharosha nahin raha aab..........main to kehta hoon ladkiyaan kewal chodney ki cheez hoti hain..........unse dil vil lagana sab bekar hain........sali sab ek jaisi hoti hain...........do ko upar wale jeb mein rakhti hain.......aur chaar ko neechay..........." aur gokhle haule se apni aankh maar deta hain........wahin diwakar bade gaur se gokhle ke chehrey ki taraf dekhkar muskurane lagta hain.........

" tu to aise keh raha hain jaise kisi ladki ne tujhe bhi dhokha diya ho..........khair.........jo bhi ho........aab bade saheb ko is ghatna ki poori information aur details deni padegi.........chal chalte hain.........." aur itna kehkar wo dono fauran security officer station se bahar ki taraf nikal jate hain...........

is ghatna ke ek haftey baad...............

" sir..........pichley haftey jis ladke ne buiding se koodkar suicide kiya tha aur aaj se kareeb 4 mahina pehle ek ladke ne zehar ki sheeshi pee li thi..........un dono ghatna mein ek cheez to common hain sir...........aur wo cheez hain...........ladki........." itna kehkar gokhle gehri saans chodhte hue apni baat par zor deta hain...........wahin kamrey mein ek baar fir se gehri khamoshi chaa jati hain.........samney baitha inspector bade gaur se gokhle ke chehrey ki taraf sawal bhare nazreion se ek tuk dekhney lagta hain........

" ladki.........to ismein common kya hain.......dono maut ke peechay kahin ek hi ladki to nahin.........."  kafi der tak samney baitha inspector apne dimag par zor dete hue apni baat kehta hain.......wahin gokhle ka chehra khil uthatha hain.......

" absolutely right sir..........in dono ghatna ke peechay ek hi ladki hain.........magar aabhi tak ye clear nahin hua hain..........bus itna pata chal paya hain ki us ladki ne in dono ladkon ke pyar ko thukraa diya tha........shayad is wajah se in dono ne aisa kadam uthaya.........." aur gokhle apni adhuri baat khatam karta hain.......

" agar ladki ne unhein mana kar diya to ismein us bechari ladki ka kya dosh............waise us ladki ka naam kya hain..........is baat se to clear hain ki wo ladki laakhon mein zaroor ek hogi........tabhi to uske itne sare aashiq hain...........aab to lagta hain us ladki se mujhe bhi zaroor ek baar milna hi padega..........

" us ladki ka naam hain kavya mehta.........magar afos ki baat ye hain sir ki aap aab us ladki se mil nahin sakengey........kyon ki aab wo ladki is sehar mein nahin hain..........maine agal bagal se us ladki ke bare mein pata karwaya tha........aur ye baat bhi tay hain ki aab us ladki ki shadi fix ho gayi hain...........kul mila jula kar ye case closed ho chuka hain sir........thats it........" aur gokhle wo file wahin table par rakh deta hain..........aur fauran bahar ki taraf nikal padta hain..........

**********************************************************************

Date 15 March 2017

Ratnagiri..............ek khoobsurat sehar.............charon taraf pahad aur jungle se ghira hua...........usi sehar se bahar bana ek bada sa bunglow aur uske charon taraf lage bade bade ped..........un pedon ke beech ek 9 feet ki boundary thi jo us bunglow ko poori tarah se ghere hue thi............us boundary ke upari hisson par sheesay ke bade bade tukdey lage they.........aur samney ek bada sa gate.........aur usi se sate ek chota sa cabin.......jismein chaukidaar ke liye ek 8/10 ka room bana hua tha..........

ander ka hissa kafi bada tha............aur samney ek bada sa guest room bhi tha...................jismein us ghar ke naukar wahan rehtey they..............aur bunglow ki saaf saafayi kiya karte they........uske theek samney car parking ki jagah thi...........halanki ye bunglow aabhi naya bana tha is wajah se aas paas zyada ghar nahin they.........aur naye painting ki wajah se us bunglow ki khoobsoorti mein chaar chand lag gayi thi..........samney ka kafi hissa sheeshay ka bana hua tha..........aur samney ek bada sa main darwaza tha.........

ander ke farsh par safed rang ka tiles laga hua tha.........aur samney ek bada sa hall tha.......jiske beechon beech ek bada sa jhoomar latak raha tha..........wahin kuch door par sofey aur samney ki deewar par 48 inch ki LED t.v lagi thi.........thodi door par ek bada sa music system bhi tha..........ander kareeb 4 bade bade kamrey they......aur upar bhi 4 bade bade room they........poora bunglow tiles aur marbles se bana tha......jissey uski khoobsurati mein aur bhi izafa ho raha tha...........

har do room ke saath attach mein toilet bana tha.........do upar ......do neechay.........aur is bade ghar mein rehta tha..............mehta parivaar......................yani ki shayamanand mehta..........jo tha is bunglow ka maalik..........ya yu kaho ki is poorey parivaar ka akela malik............

shyamanand ki umar kareeb 65 saal thi........bal poorey safed ho chuke they.......aur chehrey par jagah jagah jhuriyaan dikh rahi thi........haath mein ek badi si chadi humesha rehti thi.......wahin unki wife sunita mehta bhi aab boodhi ho chuki thi.........jo kadam se kadam milakar unke budhape ka sahara bani hui thi.............waise to shyamanand ke teen aulaad they...........ek rahul mehta........aur dusara ram mehta.........aur teesari uski khoobsurat beti kajal mehta...........

rahul ki shadi ho chuki thi..........aur uski shadi hue lagbhag 6 mahine beet chuke they.............waise rahul australia mein building constuction mein job karta tha.........aur zyadatar wo india se bahar hi rehta tha............rahul ki jis ladki se shadi hui thi us ladki na naam tha..........................................."  Kavya Mehta " ................................wo naam jo ek alag hi pehchaan aab bayan kar raha tha...............

Continue.....................................................................
[+] 2 users Like Ajaykumar82's post
Like Reply

Users browsing this thread: Muzzi, 4 Guest(s)