Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Misc. Erotica Yeh Jindagi Bhi Meri Kahan Chali Aayi
#1
[Image: 101985409_yjbmkca1.jpg]


Kafi arse ke baad kuch likhna shuru kar raha hun. Is kahani mein insan ki jindagi se jude har pehlu honge, jinhe hum Incest, Adultery aur na jaane kya kya kehte hain. To doston jo incest ko sirf is najar se dekhte hain ki character kuch aur nahi kar sakta sivaye incest ke to unko ye kahani pasand nahi aayegi. Haan jo log ek khubsoorat kahani jismein dard, mohabbat, dhokha, dosti,vafadari ka milajula sangam pasand karte hon unhe ye kahani umeed karta hun achchi lagegi.

Aam taur pe dekha hoga, kahani ki ek samiksha aur kirdaron ka jikra pehle kiya jata hai.

Na, aisa main kuch nahi karunga. Kyunki isse padne vala pehle hi soch leta hai ki aage kya hone vala hai, to kyun na har update ke baad reader sochne pe majboor ho jaye aage kya hoga? 

to chalte hain ek naye safar pe Yeh Jindagi Bhi Meri Kahan Chali Aayi
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Reserved
Like Reply
#3
Reserved1
Like Reply
#4
Reserved2
Like Reply
#5
congratulations bhai.keep going.
Like Reply
#6
(30-03-2019, 08:23 AM)Aiden Wrote: congratulations bhai.keep going.

thanks
Like Reply
#7
Update 1

Kasmein, vaade, pyaar, wafa sab baatein, baton ka kya, koi kisi ka nahi ye juthe naate hain, naaton ka kya?

Peeche kahin ye gana baj raha tha aur Raj haath mein daru ka glass liye bahar balcony mein khada door shitij ko ghoorta hua mano us uppar vale se ye sawal kar raha tha. Aakhir Kyun? Aakhir Kyun chhod diya usne mujhe kyun kisi aur ki ho gayi?
Upparwala bhi shayad uske gam ko kuch samajh sakta tha, ab uske saath ro to nahi sakta tha, par bin mausam ki barsaat chhod di jaise har tapakti baarish ki boond uski ankhon mein ruke aansuon ka hi roop thi aur ye baarish uske ruke hue ansuon ko hari jhandi dikha ankhon se tapakne pe majboor kar gayi. Aisi hi to ek baarish thi jab vo dono kareeb aaye.
Tap tap barasti bunden daru ke glass mein girne lagi jo aadha khatam ho chukka tha. Ab shayad use koi hosh nahi raha tha ki vo pi raha tha, aur pi raha tha to vo bhi kyun? Kabhi pehle itni nahi peeta tha, par jab se Shalini uski jindagi se door chali gayi, tanhaayi aur judayi ne uske haathon mein daru ki bottle aise thamayi jo ek khatam hone ke baad dusri khul jaati.
Aaj ek hafta ho chukka tha, jab dil mein tufaani dard aur ankhon mein ruke aansu liye usne khud use doli mein bithaya tha. Tab bhi un dard bhari ankhon mein uske liye bas ek sawaal tha…Aakhir Kyun? Usne mana kiya tha, na aana meri shadi mein lekin vo apne dost ko na kaise karta, uski ekloti behan ki shadi jo thi. Shayad uska dost bhi jaanta tha un dono ke rishte ke bare mein lekin usne bhi us shadi ko nahi roka. Aur Shalini ko kisi aur ki banhon mein jaane diya. Iske peeche bhi ek gehra raaz tha jo dono bhai behan Raj ko batane mein darte the aur Shalini ne maa baap ki marji ka bahana laga Raj se dooriyan bana li. Kyunki apni jindagi ka vo kadva sach vo Raj ko kabhi bata nahi sakti thi.
Yahan Raj, Shalini ki judayi ke gam mein jindagi bhula baitha tha, vahan koi aur uske liye tadap rahi thi, bahut koshish ki usne apne pyaar ka izhaar kar de, par na kar paayi, aur khas taur pe jab use pata chala ki Raj ki jindagi mein Shalini aa gayi hai, tab bahut royi thi vo. Ab to silsila ye tha ki roj raat ko apne band kamre mein Raj ki tasveer haathon mein liye bas ansu hi bahati rehti thi is umeed mein shayad koi aisi ghadi aa jaye jab Raj uski ankhon mein base uske liye beshummar mohabaat ko pehchaan le aur use apna le. Bas us ghadi ke intezaar mein vo raat bhar ansu bahati rehti thi. Aur Raj ko is masum pyaar ke bare mein koi khabar na thi.
Shalini ke kareeb rehne ke liye Raj ne apna tabadla Delhi se Mumbai kara liya tha kyunki achanak Shalini ke pita ki Mumbai transfer ho gayi thi. To Raj ne bhi apni transfer karwali. Aisa nahi tha ki vo apne parivaar se pyaar nahi karta tha, unki izzat aur dekhbhaal nahi karta tha. Par kehte hain jab ishq ho jaaye to maashuka se door bhi raha nahi jaata.
Achanak badloon ki jordaar ghadgadahat hoti hai aur Raj apne hosh mein aata hai, haath mein pakde glass ko dekhta hai aur khat se pee jaata hai, daru ke saath apne ansu bhi pee gaya ye use pata na chala. Baarish mein bheeg chukka tha to ghar ke andar ghus gaya apni t-shirt jo bheeg chuki thi, uttar fenki aur laga fir se apne liye jam banane ki uska mobile baj ne laga. Pasand nahi aaya use is waqt mobile ka bajna.
Gusse se mobile ki taraf dekha par ring bell ke saath chamakte naam ko dekh fat se mobile utha call receive kari
Dusri taraf uski laadli badi behan thi. Dono mein do saal ka hi antar tha aur dono ek dusre ko naam se hi bulate the, jab bhi vo use didi bulata to bahut chid jaati thi aur maarne ko dhodti thi.
Payal naam tha uska aur bilkul ek payal ki tarha jhankaar karti thi, jab bhi kuch bolti thi, uski aavaj mein ek mithas thi ek khichaav sat ha. Jo bhi uski aavaz suntan pal bhar ko kho jaata tha.
Payal : Jaldi aao ( uski aavaz mein rudan tha)
Raj ghabra gaya.
Raj : Payal kya hua ro kyun rahi hai.
Payal : Papa ko heart attack hua hai. Jaldi aao, maa aur mera dil bahut ghabra raha hai. Bahut dar lag raha hai.
Raj : Aar aha hun main tu ghabra mat. Kon se hospital mein hain papa.
Payal : Abhi le kar ja rahe hain maa drive kar rahi hai. Dr. Khurana ke yahan le jaayenge.
Raj : Tu ghabra mat main aa raha hun, Kuch nahi hoga papa ko.
Payal : Jaldi aao
Aur line cut jaati hai.
Raj fatafat ek bag mein apne kuch kapde daalta hai. Apna purse uthata hai aur flat se neeche utaar tufaani gati se apni car se airport ki taraf nikal jaata hai. Abhi do ghante baad ek flight thi Delhi ke liye drive karte hue mobile se apne liye ticket book kar leta hai.
Aakhri seat bachi thi jo use mil gayi. Baarish ki vajah se flight thodi late bhi ho gayi aur vo flight udne ke aadhe ghante pehle tak pahunch gaya. Is waqt uske dimag mein bas apna parivaar hi tha, Uske papa ki sehat kaafi achchi thi, yun achanak heart aatack ka aana use chinta mein daal raha tha. Upparvaale se prathna karte hue flight mein baith gaya aur Delhi ki taraf ravana ho gaya.
 
Like Reply
#8
bahut achchhee shuruaat hai! bhaee, aap mere sabase pasandeeda lekhakon mein se ek hain. aapakee lekhan shailee vaastav mein asaadhaaran hai. main bahut khush hoon ki aap is forum par aae hain aur ek naee kahaanee shuroo kee hai. Wish best luck of you.
Like Reply
#9
(30-03-2019, 12:26 PM)Kasif Wrote: bahut achchhee shuruaat hai! bhaee, aap mere sabase pasandeeda lekhakon mein se ek hain. aapakee lekhan shailee vaastav mein asaadhaaran hai. main bahut khush hoon ki aap is forum par aae hain aur ek naee kahaanee shuroo kee hai. Wish best luck of you.

thanks
Like Reply
#10
Ye kahani is update ke baad ek forum pe close kar di gayi thi. iska agla update agar koi post kar sakta hai to jarur kare.
Like Reply
#11
waiting brother
Like Reply
#12
congratulation .

try read this and comment  for inspiration 

https://xossipy.com/thread-1839.html
Like Reply
#13
Thank very for starting this new story.You are my another favorite writer.please post regular update.
Like Reply
#14
is forum par aane aur is naee kahaanee ko shuroo karane ke lie Rajesh bhaee aapaka bahut-bahut dhanyavaad.
Like Reply
#15
very nice starting brother.keep going.
Like Reply
#16
bahut achchhee shuruaat. is naee kahaanee ko shuroo karane ke lie aapaka bahut-bahut dhanyavaad. aap mere pasandeeda lekhakon mein se ek hain.waiting for next update.
Like Reply
#17
bahut achchhee shuruaat. is naee kahaanee ko likhane ke lie aapaka bahut-bahut dhanyavaad.
Like Reply
#18
main bahut khush hoon kyonki aap vaapas aae hain aur aapane yah naee kahaanee shuroo kee hai.
Like Reply
#19
Very nice starting.Thank you very much Rajesh bhai for starting this story.carry on brother.
Like Reply
#20
Waiting eagerly brother.
Like Reply




Users browsing this thread: