Complete taiyar hoke wo apne kamre se nikalti hai aur sidiyo se utarkar niche hall me aati hai.. Apne liye Chai-Nasta banane ke liye wo kitchen me chali jati hai..
Sanskriti thodi hi der me clinic pahoch jati hai. Office me aate hi A.C. on kar deti hai aur apni chair pe beth jati hai.. Aaj Sanskriti ka mann nahi tha clinic aane ko.. Fir bhi wo aati hai.. Akhir wo ek Doctor jo thi.. Magar Sanskriti jaldi hi clinic ka sab kaam khatm karke taiyari me jud jana chahti thi.. Ek ek pal uske liye kimati tha.. Wo jyada time waste nahi karna chahti thi.. Usne soch liya ki aaj wo jaldi chali jayegi.. Aur 4-5 din ke liye clinic bhi bandh rakhegi.. ab Wo apna pura dhyan Suhagraat ki taiyari me lagana chahti thi.. Sanskriti ne socha ki pichli baar jab Sanskar (husband) aye the tab wo khud apne hi hatho se unke liye saji-savri thi.. Magar iss baar to ye mumkin nahi tha, kyoki abki baar to use puri Dulhan ki tarah sajna tha.. Aur Dulhan ki tarah sajna aasan nahi tha. Sanskriti iss baar apne akele hatho se ye kaam nahi kar sakti thi.. Sanskriti ye soch hi rahi thi ki uska dhyan achanak table pe rakhi ek Magazine pe gaya.. Jiske front cover par kisi ladki ka photo tha jo Dulhan ke libas me thi.. Sanskriti wo Magazine utha ke hath me le leti hai aur gaur se dekhti hai.. Sanskriti Magazine ke pages palatne lagti hai.. Aur dhyan se padhne lagti hai.. Uss Magazine me kai khoobsurat ladkiyo ke photographs the jo Dulhan ke libas me saji hui thi.. Aur bhi bahut sari chij thi usme.. Jaise Dulhan ke hath aur paav me lagi mehndi ki photos.. Different Hairstyles.. Different Makeup.. Dulhan ke alag alag rango ki dresses.. Chaniya Cholis.. Bangels.. Cosmetic items.. Etc..
Sanskriti bade dhyan se sab photos dekhti hai aur sochti hai.. ‘ Waah.! Kitni sundar photos hai iss Magazine me.. Me bhi apne Sanskar (husband) ke liye aisi hi Sajugi.,, Nahi..! Sirf Aisi nahi.. Balki inn ladkiyo se bhi kahi jyada Khoobsurat Dulhan banke dikhaugi.. Teri khoobsurati ke aage ye sab fikki lagne lage aisi Sajegi-savregi tu..’ ye sochte sochte Sanskriti ka chehra khusi se chalak uthta hai. Uske gaal laal ho jate hai.. Sanskriti padhte padhte Magazine ke last page par aa jati hai jaha par kuch Address jaisa likha huva tha.. Sanskriti use Dhyan se padhti hai.. Uss Address ke upar ek Title tha..
‘DULHAN BEAUTY PARLOUR’
Address :.xxxxxxxxxx, ***************** Xxxxxx
Contact No. : xxxxxxxx
Sanskriti uske niche likhe huve address ko pura padhti hai.. Last me uska contact no. Bhi likha huva tha.. Sanskriti turant hi apna mobile hath me leti hai aur uss number par dial karti hai.. Sanskriti ko Ring jati hui sunai deti hai.. Aur samne se kisi ladki ki awaj ati hai .
– ” Hello.. Dulhan Beauty-Parlour me apka swagat hai..!”
– “Hello..! .. Ji..Mera Naam Sanskriti Patel Hai.. Aur me apse kuch puchna chahti hu.”
– “Yaa.. Sure Ma’m. Batayiae me apki kya seva kar sakti hu?.”
– “Actually abhi thodi hi der pehle mene apki Magazine padhi.. Usse me kafi prabhavit huvi.. Apki Magazine me jo alag alag Dulhan ke photos hai.. Unka Shringar.. Unki Dresses.. Wo sab muje bahut acche lage.. So, muje bhi apne liye appointment book karvani hai.. To kya aap kar degi?”
– “Thank u ma’m.. tarif ke liye.. Kya me Jaan sakti hu apki Saadi konsi date ko hai?”
Sanskriti ye sawal sunke soch me pad jati hai kyoki uski saadi to already ho chuki thi.. Fir bhi Sanskar (husband) ke pyaar me dubi Sanskriti sochti hai, ‘ isse kya fark padta hai ki meri saadi ho chuki hai.. Kya mein firse Dulhan nahi ban sakti?.. Sath hi phone pe answer bhi deti hai.
– “Wo kya hai..!. Actually meri saadi to ho chuki hai.. Par baat ye hai ki iss Sunday ko meri suhagrat hai.. Mere pati iss waqt outstation hai.. Aur Parso Sunday who aa rahe hai.* Muje apni Saalgirah pe Unke liye Dulhan ki tarah sajna hai.. Isliye Muje Sunday ki appointment leni hai.. Kya aap Sunday ke din mera name confirm kar degi?.. Aur haa!.. Aap ki fees kitni hai?.. Pls muje bataye..”
– ” Sure m’am.. Me apko hamare charges ke baare me batati hu.. Isme se jo bhi apko pasand aye wo aap muje batana.
1. Normal Look – 3000 Rs.
2. Extra Look – 5000 Rs.
3. Special Look – 10000 Rs. ( Include Ornaments)
4. Dulhan Look – 15000 Rs. ( Include* Ornaments, Mehandi, etc.)
5. The Wedding Special – 25000 Rs. ( All service provide at your home)
Ye 5 hamare alag alag schedule of charges hai.. Inme se aap konsa select karna chahegi m’am..?”
Sanskriti dhyan se sab sunti hai aur puchti hai.
– ” Baki 4 to muje samaj me aa gaye.. But ye last wala samaj nahi aya. All service provide at your home!.. Iska kya matlab hai?”
– ” M’am ye hamara sabse best offer hai. Isme apko hamare Beauty Parlour me aane ki bhi jarurat nahi padegi.. Agar aap ye Offer choose karegi to hum apko apke ghar pe hi service provide karege..”
– ” Matlab..?”. Sanskriti abhi bhi samaj nahi paa rahi thi.
– ” Matlab ye M’am ki Hamare yaha se 2 expert aur well experience ladkiya aap ke ghar par ayegi.. Aur A to Z apko aapke hi ghar par Dulhan ki tarah sajayegi.. Pura Shirngar se apko upar se niche tak taiyar kar degi.. Usse ek din pehle apke hatho aur pairo me Mehndi bhi lagayegi.. Itna hi nahi balki apke Bedroom ko bhi pura Sajayegi.. Apki Suhagraat ki sari taiyari ki jimmedaari hamari hogi..* Bataye M’am kya kehti hai aap?”
Sanskriti ka to mano khushi ka thikana na raha.. Uski ye chinta to bilkul durr ho gayi ki wo 2 din me kaise sab prepare karegi.. Aisa Offer wo hath se jane dena nahi chahti thi.. Usne turant hi phone pe kaha.
– “It’s very Nice.. Apka last offer to bahut hi badhiya hai.. Me vahi choose karti hu.. Aap pls iss Sat – Sunday ko mere name se book kar dijiye..”
– ” Sure M’am.. Me abhi apke name se Saturday aur Sunday ki appointment book karti hu.. Waise aap payment kis mod se karegi?. Cash ya card?.”
– ” Nahi.. Me Sunday ko Cash se hi payment karugi.!”.
– ” Thik hai M’am.. Aap apna Ghar ka address muje Sms kar dijiye. Aur ab me apko batati hu ki hamara staff kitne baje apke ghar par ayega.. Saturday shaam ko thik 7.00 baje aap fresh hoke taiyar rehna.. Uss din aap ke hath aur paav ki mehndi rachi jayegi.. Jise aapko puri raat sambhal ke rakhna hoga.. Dusre din Sunday ko shaam 4.00 baje firse hamari staff apke ghar pe aayegi.. Aur apko puri tarah Dulhan ki tarah Sajane me lag jayegi… Sath hi apka bedroom bhi Sajane me jud jayegi..”
– “Ok.. It’s Really Good.. But ek baat ka dhyan rahe. Sajavat me koi bhi kami nahi rehni chahiye… Pura kamra Aisa lagna chahiye jaise Swarg me hoo.”
– ” Sure M’am.. Apki har khwahish puri karege hum.. Aisa Sajayege aapko ki manno swarg ki apsara lagegi.. Hum apki wo raat yaadgaar raat banadege.. Apko sikayat ka koi mauka nahi dege.. Hamari Staff apki Suhagraat ki taiyari aisi arrange karegi ki aap dekhti hi reh jayegi.”
– ” It’s so nice of u.. To me Kal shaam thik 7.00 baje taiyar rahugi.. Jyada derr mat kijiyega.. Ok… Bye..”
– ” Good bye M’am.. Have a nice day